Jab Gumbad E Khizra Pe Woh Naat Lyrics

Jab Gumbad E Khizra Pe Woh Naat Lyrics

 

JAB GUMBAD-E-KHIZRA PE WOH PEHLI NAZAR GAYI NAAT LYRICS
Jab Gumbad-e-Khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi
Aankhon Ke Raastay Mere Dil Mein Uttar Gayi

Sar Kham Tha Lab Khamoosh Thay Aankhein Thein Ashkbaar
Ik Sa’at-e-Bedaar Thei Jou Ke Guzar Gayi

Dil bhi hai shad shad, tabiyat hai pur bahar,
Lagta hai aaj meri Madinay khabar gai.

Barsi Thei Iss Qadar Ke Naha Sa Gaya Udher
Woh Barish-e-Karam Mere Daaman Ko Bhar Gayi

Jou Keh Sakaa Na Lab Se Mili Woh Murad Bhi
Mere Sukoot Per Bhi Shaha Ki Nazar Gayi

Taiba Se Lautna Kissi Aashiq Se Poochiye
Aisa Hai Jaisay Rooh Badan Say Guzar Gayi

Awaz Ubaid Teri Ba Faizan-e-Naat Hee
Seeno Mein Aashiqan Nabi Kay Utar Gayi

Mar kar bhi na marunga mai alla ki qasam,
Yeh jaan unke zikr mey meri agar gayee.

 

जब गुंबद-ए-ख़ज़रा पे वो पहली नज़र गई
आँखों के रास्ते मेरे दिल में उतर गई

सर ख़म था, लब ख़मोश थे, आँखें थीं अश्कबार
इक सा’अत-ए-बेदार थी जो कि गुज़र गई

बरसी थी इस क़दर कि नहा सा गया उधर
वो बारिश-ए-करम मेरे दामाँ को भर गई

जो कह सका न लब से, मिली वो मुराद भी
मेरे सुकूत पर भी शहा की नज़र गई

मर कर भी ना मरूँगा मैं, अल्लाह की क़सम
ये जान उन के ज़िक्र में मेरी अगर गई

दिल भी है शाद-शाद, तबी’अत है पुर-बहार
लगता है आज मेरी मदीने ख़बर गई

तयबा से लौटना किसी ‘आशिक़ से पूछिए
ऐसा लगे कि रूह बदन से गुज़र गई

आवाज़, ‘उबैद ! तेरी ब-फ़ैज़ान-ए-ना’त ही
सीनों में ‘आशिक़ान-ए-नबी के उतर गई

शायर:
ओवैस रज़ा क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी

Sharing Is Caring:

Leave a Comment