dosti shayari
Kaun Kehtaa Hai Tujhe Mainay Bhulaa Rakhaa Hai
Terii Yaadon Ko Kaleje Say Lagaa Rakhaa Hai
Lab Pay Aahein Bhii Nahiin Aankh Mein Aansuu Bhii Nahiin
Dil Nay Har Raaz Mohabbat Kaa Chhupaa Rakhaa Hai
Tuuney Jo Dil Kay Andhere Mein Jalaayaa Thaa Kabhii
Vo Diyaa Aaj Bhii Siinay Mein Jalaa Rakhaa Hai
Dekh Jaa Aakay Mehaktay Huye Zakhmon Kii Bahaar
Mainay Ab Tak Tere Gulashan Ko Sajaa Rakhaa Hai
**********************************************************
Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hy Raat Wasi,
Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkoon Ki Barsat Wasi,
Tery Baad Ye Duniya Waaly Mujh Ko Pagal Kar Dein Ge,
Khushbu K Dais Main Mujh Ko Le Chal Apny Sath Wasi,
Aaj To Us Ka Chehra B Kuch Badla Badla Lagta Hy,
Mosam Badla Duniya Badli, Badal Gaye Halaat Wasi,
Chhor Wasi Ab Us Ki Yaadein Tujh Ko Pagal Kar Dain Gi,
Tu Qatra Hy Wo Darya Hy Dekh Apni Auqaat Wasi.
**********************************************************
Mere Chaand Meri Ik Baat Suno
Mera Tum Bin Dil Veeran Suno
Her Subha Ki Ronak Tum Se Hai
Mere Raat K Roshan Chaand Suno
Tera Sab Se, Her Andaaz Alag
Tere Hansnay Se Ho Shaam Dhanak
Tere Bin Her Subha Shaam Suno
Mere Chaand Meri Ik Baat Suno
Ek Vaada Ker Lo Tum Mujh Se
Tum Ab Na Routho Gay Mujh Se
Ruk Jaye Na Meri Saans Suno
Mere Chaand Meri Ik Baat Suno
**********************************************************
Gham had sy jo guzra hai to ye Aehsas hua hai,
Dil bujh k bhi dil rehta hai pathar nahi hota,,
Har shakhs ko munoh maangi muradein nahi milteen,
Har shakhs muqaddar ka sikandar nahi hota,,
Har dil mein Mohabbat ho ye mumkin nahi “MOHSiN”,
K…..!
Har seep ki Aaghoosh mein Gohar nahi hota…..!!!
**********************************************************
manzar hai wahi thithak rahi hun
hairat se palak jhapak rahi hun
ye tu hai k mera waham hai
band ankhon se tujh ko tak rahi hun
jaise k kabhi na tha tarruf
yun milte hue jhijhak rahi hun
pahchan main teri roshani hun
aur teri palak palak rahi hun
kya chain mila hai sar jo us k
shanon pe rakhe sisak rahi hun
ik umr hui hai khud se larte
ander se tamam thak rahi hun
**********************************************************
Tumhary “KHWAB” sajany me lutf aata hay,
K apne aap “JALANY” me lutf aata hay,
Khuda se apne liye “MAANGTi” hon jab tujh ko,
Mujhy ye “HATH” othany me lutf aata hay,
Teri “YAAD” me bas jaagty rahein shab bhar,
Khud apni “NEEND” churany me lutf aata hay,
Teri “ZAAT” se hay be_panah “PIYAR” hamein,
Tumhary “NAAZ” othany me lutf aata hay…!
**********************************************************
**********************************************************
PARVEEN SHAKIR
“Patthar sy wfa
mout se sada mang rahi hon,
Q Aaj main sehra se Ghata Mang rhi hon,
Muddat se koi dil ko dukhane nhi aya’
Aa jao koi zakham nayhe mang rahi hon’
Hy Chand Boht door mere
Dust-e-rasam se’
Jo Ghar mn jaley aisa diya mang rhi hon’
Jo jurm mohbat mn tujhe mra bana de’
Aisi hi koi pyari saza mang rhi hon’
Maalom hy tum ghair k ho jao Gay “SHAKIR”
Phr b tumhin paaney ki Dua mang rhi hon’.!!
**********************************************************
{…GAZAL..}
“Wo jo sukh mila teri zaat se Kisi or se wo mila nhi,,
“Tu basa hai ankhon main jis trha Koi or aise basa nhi,,
“Tu hua hai jitna qareebtar, Koi or itna howa nhi,,
“Wo jo dil main tera muqam hai Kisi or ko wo dia nahi,,
“Wo jo rishta tujh se hai ban gaya Kisi or se wo bana nahi….
**********************************************************
Shayd koi Bahana banao gy Aaj b
Jhoti Qasm safai se khaogy Aaj b
Tareef kr rahy ho Meri tum jo es Qadar
Lgta hy Jaldi choor k jao gy Aaj b
Q muskra rahy ho koi Baat hy zaror
Shayad nae Aada se satao ge Aaj b
Karty to hy Yaqeen magar jante hen hum
Dil-Nashi
Aany ka kr k Wada na Aao gy Aaj b.?
**********************************************************
Best Ghazal
wasi Shah
Log Har Mor Pe Ruk Ruk K
Sambhalte Kyon Hain,
Itna Darte Hain To Phir Mohabat Karte Kyon Hain,
Main Na Koi Jugnu Hon Na Diya Na Chand,
Phir Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hain,
Is Main Mosam Ka Kasoor Hai Ya Logon Ka,wasi
Log Mosam Ki Tarha Pal Bhar Mein Badalte Kyon Hain.
**********************************************************
Jafa Wo krty hain to Bs Yaheen se krty hain
K Sari Bazm me Parda Hami se krty hain
Sawal e Shoq Shuru Hum Wahin se krty hain
Jawab Wo bhi Shuru Bs “Nhi” se krty hain
Aisa Na ho k kmi Dard e DiL me aa Jae
Dosti Phr se kisi Dilnasheen se krty hain
Tum Suno Ya Na Suno Hum to kahey Jaengay
DiL ki Hr Baat Fqat Hum Tmhi se krty hain
Jahan Kahin Mere Parda Nasheen ki ho Baat
Hayat Apni Shuru Hum Waheen se krty hain.
**********************************************************
SHEHR-e-Fana Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
EK Bujhta Sa Dia Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
TO Rafaqat K Liye Aur Kisi Ko Chun Le,
MAIN To Khud Tanha Sa Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
TUJH Ko Darkaar Hain Phoolon K Mehakte Saaye,
MAIN To Sehra Mein Khara Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
AE Parstar-e-Gul Tera Raasta Takty Takty,
SHAAKH Pe Sookh Giya Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
TO Bhi Auron Ki Tarah Mujh Se Kinaara Kar Le,
SARI Dunya Se Burra Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon,
**********************************************************
Be-HiSS Hen
Yahan Log
BHALAA Soch Kr Krna
.
iS Doar Men Logon Sy
WAFA Soch Kr Krna
.
GuL Shaakh Sy Bichhry To..
Kahin Ka Nai Rehta
.
Tm ZAAT Meri
Khud Sy
JUDA, Soch Kr Krna
.
iK BAAR Jo Roothy To
Manaa Tm Na Skogy
.
Hm Jaisy Wafa-Daaroon Ko
KHAFA Soch Kr Krna….!!
**********************************************************
Koi faryaad tere dil main dabi ho jaise.
Tu nai aankhon se koi baat kahi ho jaise.
Jaagtey jaagtey ek umar kati ho jaise..
Jaan baki ho magar saans ruki ho jaise..
Har mulakaat pe mehsus yehi hota hai..
Mujh se kuch teri nazar puch rahi ho jaise..
Raah chalte hue aksar yeh goman hota hai.
Woh nazar chup ke mujhe dekh rahi ho jaise.
Ake lamhe main simat aya sadyon ka safar.
Zindgi teaz bohut teaz chali ho jaise.
Is tarha pehron tujhe sochta rehta hon main.
Meri har saans tere naam likhi ho jaise.
**********************************************************
?Gham e Zamana Se Khud Ko Bacha Ke Rakhtay Hain
Tumharay Khwab Se Aankhen Saja Ke Rakhtay Hain
*Bhatak Rahay Hain Tumharay Shaher Me Gada-gar Sy
Wo Chand Log Jo Sikkay Wafa K Rakhtay Hain
*Tumharay Aany Ka Suntay He Ghar Ki Cheezon Ko
Kabhi Uthatay, Kabhi Phir Se La Ke Rakhtay Hain,
*Bayaan Kis Ka Ghalt Hy, Qasoor-Waar Hy Kon
Chalo Ye Hisab Aagay Khuda Ke Rakhtay Hain,
**********************************************************
>> Teri “aas” thi tu
mila nahi,
meri “Jaan” tujh se gila nahi.
>> Tere “DiL” me jo raha Dair tak,
Wo Shakhs itna “Bura” nahi.
>> Mujhe Bhool mat Aey
“Husne Sitam”,
Ye meri Wafa Ka “Sila” nahi.
>> Mere “DiL” pe tera hi naam hy,
Tu ne aaj tak wo “Parha” nahi.
>> Mera “Saya” Ban k chala tu sath,
Mere sath sath Tu “chala” nahi.
>> Tujhe Kis Ki “aas” hy aaj tak,
Yehi “raaz” mujh Pe Khula nahi…
**********************************************************
**********************************************************
Usy bana kr GHAZAL men subh-o-sham likhta raha,
Haqeeqat ki har gari men usy SALAM likhta raha,
Wo meri MUHABAT ko mera JANUN samaj betha,
Men NAAM-e-MUHABAT ko bar bar likhta raha,
Kar lo IQRAR-e-DILAGI muj se ye kaha us se mene,
Ajib shakhs tha muje he BEWAFA likhta raha,
Uski AARZUU ye the k “BHUL JAO MUJE”,
Men har DIWAAR par ISHQ ki intaha likhta raha,
ZULM sehna he to ISHQ ki MIRAAJ hai.!
Wo badnaam krta raha men NADAAN likhta rha.
**********************************************************
Jo kaanp uthta tha mujhay gawanay k khof say,
Wo chor gaya mujhay zamanay k khof say,
Dunya main kuch khas khush nahi hon main,
G rahey hain bus mar janay k khof say,
Hamari misaal bhi un pholon c hai,
=*DOST*=
Jo khilay hi nahi murjhanay k khof sy,
**********************************************************
Kehna ghalt ghalt to chupana sahi sahi,
.
Qasid kaha jo us ne batana sahi sahi,
.
Ye subha subha chehre ki rangaat urri hui,
.
Kal raat tum kahan the batana sahi sahi,
.
Dil le k mera hath main kehte hain mujh se wo,
.
Kiya lo ge is ka daam, batana sahi sahi,
.
Aankhein milao ghair se, do hum ko jam-e-mey,
.
Saqi tumhain qasam hai pilana sahi sahi,
.
Aye meh faroosh bheerr hai teri dukan pr,
.
Gahaq hain hum be-maal dikhana sahi sahi,
.
GHALIB to jan-o-dil se faqt aap ka hai bus,
.
Kiya aap bhi hain us k batana sahi sahi ? ..
**********************************************************
Ab jo bikhry to bikherny ki shikayat kesi ?
Khushk patton ki hawaon se rafaqat kesi ?
Main ne hr dor me tujh se mohabbat ki hy,
Jurm sangeen hy ab is me riayat kesi ?
1 patta b agr shakh se juda hota hy,
Kya kahun dil pe guzrti hy Qiyamat kesi?
Zindagi to “Us” k bina lamhon ka safar hy,
Na’jany Raah me Aa gai sadiyon ki musafat kesi ?
**********************************************************
Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna
Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne
Kese Ban Gaye Hain Tere Pyar Mein Faqeer Dekhna
Mere Ho Or Mere Hi Reho GyHamesha
Rang Laaye Gi Sachey Pyar Ki Taseer Dekhna
Bohat Zulm Sahey Hain Teri Judai K Ham Ne
“saggar”
Sada Ek Jesi Nhi Rehti Taqdeer Dekhna..
**********************************************************
“Rulane Wale To Sabi Mile
Aansu Ponchne Wala Na Mila,
Mere Dil Ko Thi Jis Ki Tamanna
Wo Chahne Wala Na Mila,
Yon To Duniya Girne Walon Ko Uthane Ki Bat Krti Hai,
Jab Mein Gira To Uthane Wala Na Mila,
kehte hai ye
PYAR KA JAHAN Hai,
PYAR KI DUNYA Hai,
Jab Me Ne Pyr Kiya To Nibhane Wala Na Mila”
**********************************************************
TuM Tajjub Na Karna,
Jab Kabhi Sar-E-Raah
TuMhe Koi Rooh,
Roti Hui,
Sisakti Hui,
Sadayein Deti Hui,
Baatein Karti Hui,
Nazar Aaye,
Bas Pal Bhar Mein Itna Jaan Lena,
Ke Tere Wasl Ki Khwahish Ne Meri Rooh Ko,
Is MuqaaM Par Laa Khada Kiya Hai…
**********************************************************
Main jhoom jaon to sharabi na smjhna,
+
Gir jaon jo
sajday main to namazi na smajhna,
+
Thorra sa behak gaya hon muhabbat main,
+
Jo Aagy barhon to shikari na samajhna,
+
Mujh se cheen li hain khushiyan meray apno ne,
+
Hath jo
phailaaon to bhikhari na smjhna,
+
Mujhe
Aata hai ab bhi Dosti ka khayal,
+
Bohat kuch
khoya hai main ne anarri na samjhna,.
+
Ek naseehat meri yaad rakhna
Ay payare dost,
+
Dosti ko kabhi tum waqt-guzari na samajhna.
**********************************************************
Meri Mayat pr Kafan na dalo
Muje aadat ha Muskurane ki,
Mere Janaze ko na le jao
Umeed ha mere dost k ane ki,
Dair hojaye tu kuch na kehna
Usay adat ha mujhe Satane ki,
Agr ho Naraz tu Ay yaro!
Koshish krna usay Manane ki,
Jab dekh kr chala jaye meri Mayat,
Phir tayari krna mujhe jaldi Dafnane ki,
q k….
agr woh palat aya aur muje dekh kr ro para,
to meri sansaen wapis na aa jaen
q k…!
meri adAt hy usy chup karane ki…
**********************************************************
Ye Wafa Bhi Kya Khata Hei, Mujhe Sochna Parrey Ga..!
Usey Mujh Se Kyun Gila Hei, Mujhe Sochna Parrey Ga..!
Dil-e-Muztarib Hua Hei Teri Yaad Se Gurezaan,
Ye Muqaam Kaun Sa Hei, Mujhe Sochna Parrey Ga..!
Wo Miley To Beqaraari, Na Miley To Beqaraari,
Mere Dil Ko Kya Hua Hei, Mujhe Sochna Parrey Ga..!
**********************************************************
**********************************************************
Hum sy na sahi Ghairon sy sahi tumy dil ka lgana aa to gya,
Duniya me ksi k ho to gy tumy pyar nibhana aa to gya,
Phuloun k khwab dikhaye muje or de di Baharen auron ko,
Dil mera rha veran to kya,
Gul tumko khilana aa to gya,
Bethy ho kisi k pahlu me ankhon me chamkta pyar liye,
Main khush hun kisi ki qismat me ye waqt suhana aa to gya,
Hum hi duniya ko thukra k aye thy tmari mahfil me,
Hum sy tumny kuch to sekha tumy dil thukrna aa to gya.
**********************************************************
Dekh kr tanha mujh se pocha
Baharon ne,
Kaha gaya tera wo hmsafar…?
Tjhe tu bara naaz tha us par..!!?
Ye dekh kr may chup raHa,
Magr…!!!
Mere Ansoaon ne Jwab dia,
Milna….. Qismat me
Bichrna….. Naseeb tha
Wo mujh se Itna Door ho gaya…
JITNa.!!!
”WO MERE QAREEB tha.
**********************************************************
Tumheen
Kuchh Farq
Nahi Parrta.
Main tum se rotth jaoon to
Tumahry paas na aoon to
Phir tum se door ja kr main
Kabhi waapis na aoon to.
Tumhari yad mein gum sum
Kabhi aansu bhahaoon to
Tumheen
Kuchh Farq
Nahi Parrta.
Tumhri yaad mein aksar
Khud ko bhul jaoon to
Main teri deed mein tan’ha
Kabhi khud ko mitaoon to
Main tum se door reh kr phir
Akely mr b
jaoon to.
Tumheen
kuchh farq
Nahi parrta.
**********************************************************
Jhooti Tasalliyon Ki Zroorat Nahi Mujhay,
Keh Dy K Masroof Hun Fursat Nahi Mujhay
Ye Bhi Nahi K Main usko ilzaam Day Sakoon
Ye Bhi Nahi K us Say Shikayat Nahi Mujhay
Main Bhi uski Yaad Ko Dil Say Bhula To Dun
Per Kia Karo0n K Dil Ki ijaazat Nahi Mujhay.
**********************************************************
Khwabon ki DehLez pe Sona,Acha Lagta hai
Kuch Lamhon ko Uska Hona, Acha Lgta hai
khaiL khaiL me Jewan Bhar k Dukh mit Jaty hein
Kho kr Pana, Pa kr khona Acha Lgta hai
DiL WaLon ko Dekh k wo aise khush hota hai!
Bachay ko Jis Tarha khiLona, Acha Lgta hai
Hijjr ka Mosam ho or koi Aas na Baqi ho
PaLkon mei Tab Ashk Pirona, Acha Lgta hai
Kabi Kabi DiL Bhar Aata Hai Hanste Hanste B,
Kabi kabi Dil khol kr Rona Acha Lgta hai.
**********************************************************
Wohi Izhar Kafi Tha
Tumhen Ek Din Kaha Tha Jo
K Tum Se Pyar Karte Hain
Wo Lamha Bhool Kyun Baithe
Wo jumla Bhool Kyun Baithe
Abhi Tajdeed Maango Ge
Meri Be’laos Chahat Ki
Tumhen Ek Baar Phir Se Wo
Mohabbat Na Mile Shayad
Ye Jo Tum Rooth Baithe Ho
Tumhari Kam Nigahi Hai
Tumhen Gar Pyar Karna Tha
Hamare Sath Chalna Tha
Wo Ek Izhar Sun Lete
Wohi Izhar Kafi Tha
Tumhen Ek Din Kaha Tha Jo
K Tum Se Pyar Karte Hain…..!!
**********************************************************
Ye Thora Sa Jiwan Adhura Sa Mosam
Ye Rango Ki Chahat Gulabo Ki Hasrat
Ye Roshan Sawere Ye Madham Andhere,
Kisi Roz Tanha Milo To Bataein!
Khayalo Ki Raahein Chamakti Nigahein,
Wafaein Nibhana Adaein Dikhana,
Ye 1 Silsila Hai Magar Fasla Hai,
Jawan Hain Umidein Uri Hain Jo Nindein,
Kisi Roz Tanha Milo To Bataein!
Agar Jan Jao To Ehsas Rakhna
Esay Raz Rakhna
Karo 1 Wada Banalo Erada
Mulaqat Karlo
Wohi Baat Karlo
Kisi Roz Tanha Milo To Bataein.
**********************************************************
kaha tha jab ussay main nay
zara mujh ko batao to
mohabbat kis ko kehtay hain
bhala kaisay yeh hoti hai
meri woh baat sun k to
zara dheemay say muskaya
labon ko bheench k uss nay
tha palkon ko bhi jhapkaya
zara sa soch k uss nay
lya tha saans ik gehra
hua tab mujh say yon goya
mohabbat naam hai jisska
naseebon say he milti hai…
**********************************************************
Kabi moam bn k pighal gaya
Kabi girte girte sanbhal gaya
Wo bun k lamha guraiz ka
Mere pas he se nikal gaya
Osy rokta b to kis tarha
K wo shakhs itna ajeeb tha
Kabi tarap utha meri aah se
Kabi ashk se na pighal ska
Sar-e-rah mila wo agar kabi
To nazar chura k guzar gaya
Wo utar gaya meri ankh se
Mere dil se q na utar saka
Wo chala jahan chor k
Wo wahan se phr na palat ska
Wo sanbhal gaya tha magar Faraz!
Main bikhar k phr na simat ska..
**********************************************************
Kaha Uss Ne Bhrosa Dil Pe Itna Nahi Krte.
Kaha Me Ne Muhabat Me Kabi Socha Nahi Karte
Kaha Uss Ne Buhat Khush Rang Dunya K Nazare Hy
Kaha Me Ne Jab Tum Ho Tu Hm Kuch Dekha Nahi Krte
Kha Uss Ne Ma Tum Se Door Hoon Lekin Tumhari Hoon
Kaha Me Ne K Sapne Dil Ko Behlaya Nahi Krte
Kaha Uss Ne Tumhari Chahat Tumhen Rusvaya Degi
Kaha Me Ne Shorat Se Ghabraya Nahi Krte
Kaha Uss Ne Samajh jao Samajh Jao
Kaha Me Ne K DiwanO Ko Samjhaya Nahi Karte…
**********************************************************
**********************************************************
“Meri zindagi meri jaan-e-jan”….!!
“Mujhe le chalo kabhi us jahan”.!!
“Jahan tu hi mera naseeb ho”…
“Jahan dil say to hi qareeb ho”…!
“Jahan gham koi na aa sakay”…
“Jahan nafratain na sata sakain”.!!
“Jahan qurb ho…!!”
“Jahan ho khushi…!!”
“Jahan chahti ho humein zindagi..!”
“Jahan dil mera na udaas ho…!!”
“Jahan her ghari teri aas ho…!!”
“MERi ZiNDAGi”
“MERi
JAAN-E-JAN…!!”
“MUJHE LE CHALO KABHi US JAHAN”
**********************************************************
(GHAZAL)
“Only 4 Lovers”
Pyar To Jis Haal
Mein Ho Dard Hi
Deta Hai,
Kabhi Apno Ki
“JUDAI” se,
Kabhi Kisi Ki
“BEWAFAI” se,
Kabhi Adhre
“KHUWABON” se,
Kabhi Jhoote
“WAADON” se,
Pyar Hamesha
Dard Deta Hai,
Kabhi Rooh Ki
“TARAP” ban kar,
Kabhi Dilon Ki
“KASAK” ban kar,
Kabhi Tamasha
“BANA” Kar,
Kabhi Bharosa
“CHURA” Kar,
Pyar Hamesha Dard Deta Hai…
Magr Phr Be Pyar,Pyar hota ha…!!!
**********************************************************
Aatish-e-ishq se seenay ko jalaya Q tha
Tum ne ye rog jawani may lagaya Q tha
Q liye phirtey ho ab dunya me purnam aankhain,
Payar acha tha magar dil may basaya Q tha
Jab bichar jana hi taqdeer may likh rakha tha,
Mere MOLA mujhe phir us se milaya Q tha
Kese mumkin hai miley hijr ki raaton may sakun,
unki yaadon ko sar-e-aam jagaya Q tha
Jub k maloom tha wo rakhte hain ghazab ka ghusa,
Dil ka ehwaal unhain ja k sunaya Q tha..!!
**********************************************************
Chal0 Phir Shart Lag Jae,
Mai sabit Aaj Kr D00n Gi,
K Tum Ne Dil-Lgi Ki Hy,
Muhabat Naam Ki’ Ki Hy,
Sun Kr us Ki Baat0n K0,
Main B0la
Saada-Dil Larrki,
Agr Main Dil-Lagi Karta,
T0 Jeeny Se Na Yun Darta,
Muhabat Naam Ki Karta,
Wafaayen Aam si Karta,
Mgar Phir Bi,
Teri Taskeen Ki Khatir Ye Kehta H0n,
Haan!
Main ne Dil’ Lgi Ki Thi,
Tujhe Apna Hi Samjha Tha,
Tujhe Dil se Lgaya Tha,
Jahan Na K0i Gham P0hanchy,
Wahan Tujh K0 Chupaya Tha,
Mgar Jaana’n Yaqeen Jan0,
Tumhare H0sly Ki Daad Deta H00n,
K Kitni Be-Rukhi se Tum Ne Keh Dala,
CHAL0 PHIR SHART LAG JAE K
TUM NE DIL-LAGI KI HAI…!
**********************************************************
“Mare jaise Ban jao Gy” jab ISHQ tumhe Ho jaeGa,
Diwaron Se takrao Gy jab ISHQ tumhe Ho jae Ga.
Tanhai k jhuley jhulo Gy,Hr Bat Purani Bulo Gy,
Aainey Se Ghabrao Gy jab ISHQ tumhe Ho jae Ga.
Jab Suraj B So jae Ga,Aur Chand Kahin kho jaeGa,
tum B Ghar Dair Se Aao Gy jab ISHQ tumhe Ho jaeGa.
Bechaniyan jab Barh jain Gi,Aur yad kisi ki Aye Gi,
tum Meri Gazlen Gao Gy jab ISHQ tumhe Ho jaeGa?
**********************************************************
“Tujh se milne ko kbhi hum Jo machal Jate hain
To khayalon Mein bahot dor Nikal Jaty han
Gar wafaon mein sadaqat bhi ho shidat bhi
Phir to ehsas se pather bhi pighal Jaty hain
Uski ankhon k nashy mein hain Jab sy dobe
Lar-kharaty hain kdam Or sanbhal Jate han
Bewfai ka mujhy Jab bhi khyal ata hai
Ashk rukhsar py aankhon se phisal Jate hn
Piyar me ek hi mosam hai bharon ka
Ay SAQI
Log mosam ki trah kese bdal Jty hain..
**********************************************************
Usey Kehna K Palkon Pe Na Taane Khwab Ki Chaadar..
Samundar K Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nhi Milta..
Faqat Tum Hi Se Karta Hoon Me Saari Raaz Ki Baaten..
Har Aik Ko Daastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nhi Milta…
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai..
Kisi K Hijar Mein Neenden Ganwa Kar Kuch Nhi Milta..
Jigar Ho Jaaye Ga Chalni Ye Aankhen Khoon Royen Gi…
“WASi”
Be-Faiz Logon Se Nibha Kar muhobat ‘Kuch Nhi Milta’.!
**********************************************************
Jis ki jhankaar meN dil ka aaraam tha, woh teraa naam tha
Mere hoNtoN pe raqsaaN jo ek naam tha, woh teraa naam tha
Mujh se mansoob thiN daastaanaiN kayi, Ek se ek nayee
Khubsurat magar jo ek ilzaam tha, woh teraa naam tha
Kaise karta kisi aur ki guftaguu, yaad tha sirf tu
Mujh ko mere junuN ka jo in’aam tha, woh teraa naam tha
Subh se shaam tak jo mere paas thi, woh teri aas thi
Shaam tak jo kuchh lab E baam, woh teraa naam tha
Dost jitne the naa aashnaa ban gaye, paarsaa ban gaye
Jo mere saath ruswa sar E aam tha, woh teraa naam tha
Gham ne taarikiyoN me uchhaalaa mujhe, maar daalaa mujhe
Ek nayi chaaNdni ka jo paigham tha, woh teraa naam tha
Tere hi dam se hai yeh ‘Qateel’ aaj bhi, shairy ka wali
Us ki GhazloN meN kal bhi jo ilhaam tha, woh teraa naam tha
**********************************************************
Smander Pur Sukoon Hai Pr Kinarey Shor Krty Hain,
Mery Atraaf Bs Rangeen Nzaray Shor Krty Hain.
Or Ab To Chandni Raatein Mujay Achi Nahi Lagtein,
Sukoon Se So Nahi Skta K Taray Shor Krty Hain.
Mein Jb Khamosh Rehta Hon To Sb Khamosh Rehty Hain,
Agr Ik Lafz B Bolon To Saray Shor Krty Hain.
Bohat Muddat Hoi Jb Tm Mery Kochay Se Guzray Thay,
Nishan Qadmon K Ab Tk Wo Tmharay Shor Krty Hain…!!
**********************************************************
Chaley ayo,
K tum bin hum udas hain,
Yeh shaamain yeh sawerey udas hain,
Dekho meri ankho main,
Teri yaad k ansoo machaltey hain,
Aur mera dil kerchi kerchi seeney main chubhta hai.
Chaley ayo
K yeh rut phir nai aye ge yeh phool ek bar hi khiltay hain.
Is sawan ki shaam ki bondain tum se kehti hain.
Chaley ayo,
Chaley ayo.
**********************************************************
**********************************************************
“”””””‘”GAZAL”””””””
Muhabbat se daman churana nahi””
Kabhi chor kr mujhko jana nehi””
Kaha tha (DIL) se muhabbat na karna””
Magar baat meri yeh mana nehi””
Tumhy dil diya hy hifazat se rakhna””
Kabhi isko thokar lagana nehi””
Koi baat tumko jo meri na bhaye””
Khudara bura tum manana nehi””
Koi baat ho jaye kesi b isko””
Tum masla Aana ka banana nehi””
Ho mujh se shikayat to mujh se hi kehna””
Kisi ghair ko tum batana nehi”””
**********************************************************
?Ma¡n ne kab dard K zakhmo se sh¡kayat k¡ ha¡,
Han mera jurm ha¡ K main ne mohabbat k¡ ha¡,
Aaj phr dekha ha¡ usse mehf¡l ma¡n pathar ban kar,
Main ne aankhon se na¡ d¡L se baghawat k¡ ha¡,
Usko bhool jane k¡ ghalt¡ bh¡ na¡ kar sakta
,,,Faraz,,,
Toot kar k¡ ha¡ to s¡rf ‘”usi”‘se mohabbat k¡ ha¡..
**********************************************************
–=Naseeb=–
Khuda ik baar usey mera bana de
Kitna ChahtaY hain usey koi bata de
Bohat Naaz hai humein apni Mohabat per
Ho jae wo mera aisa Mojza dikha de
agar wo mera Naseeb nahe bun sakta
Us k Qaadmo ki khak mujhy bana de
har pal Dakhon use k Sapne,
na Jaagon mujhy aisi Neend sula de.
,;*”*,,*”*;,
*,DiL.se,*
‘*;,;*’
**********************************************************
Usay ye kon samjhaey?
Wo dasht-e-khamoshi me ungliyon me sipiyan pehnay
Kisi sookhay smandar ki adhoori piyas ki batein
Bohat chup chap sunta ha
Bohat khamosh rehta ha
Usay ye kon samjhaey?
Khushi k aik ansoo say samandar bhar bhi jatay hein
Bohat khamosh rhenay say taaluq marr bhi jatay hein…!!!
**********************************************************
Zara Udaas hoon Lekin Zara Masroor B hoon…
Tumhary paas hoon shayad,
Shayad Door B hoon…
Yoon Pathreelay Raston pay Chalna Shoq nahi Mera..,
Kuch Maamla Chahat ka hai Kuch Majboor B hoon..
Mohabbat Ho Gai Tum say Bus itni Khata hai Meri…
Mana K Mujrim hoon Magar BeQasoor B hoon,,,,
**********************************************************
*== GHAZAL==*
Us Ki Nazron Ka KamaL Na Poch,
::
Ab Jo Hua Hy Mera Hal Na poch,
::
Ho Gai Us K Samney Zuban Band Meri,
::
Phir Kia keay Us Ny Mujh sy Sawal Na Poch,
::
Milta Hy Mujhy Her Roz Khuwab Mein,
::
Usy Hy Mera Kitna KhayaL Na Poch,
::
Tery Sang Jo Waqt Guzra Maloom Nahi,
::
JUDAI Mein Jo Guzra Wo SaaL Na Poch,
::
TAJIR To Hon Main Mohabbat Ka Magar,
Howa Kis Tarha Main KANGAL Na Poch
**********************************************************
Masroof hai din raat usay waqt kahan hai,
Wo mujh se karay baat usay waqt kahan hai,
Betabi-e-dil ka ussay andaza hi nhi hai,
Samjhay merey jazbat ussay waqt kahan hai,
Wo pohanchay meri ankh se behtay hoay ansoo,
Ay rang-e-barsat ussay waqt kahan hai,
Bhoolay se he wo pochnay Aae jaye mera haal,
Ay gardish-e- halat ussay waqt kahan hai,
Mojon me trapta howa mein tair raha hon,
Thamey woh mera haath ussay waqt kahan hai.
**********************************************************
Hamare aane ka tha har lamha intezar,
Ajj unko humse milne ki fursat nahi,
Hume rakhte the apni nigaho main tasweer banakar,
Ajj unko hume dekhne ki fursat nahi,
Humare Zikr se hoti thi shamo-saher,
Ajj unko hume pukarne ki fursat nahi,
Hume pane ki arzoo me karte the sajda ratbhar,
Ajj unko humare haq me dua karne ki fursat nahi,
Hum jarahe hai jinki yaad me dunya chorkar,
Ajj unko humare akhri didar ki fursat nahi,
**********************************************************
Mera haal pochne ki usay fursat nahi rahi.
shaid usay meri zarorat nahi rahi
Umeed ki akhri shama bhi bujh gai,
hum nay maan liya usay hum say mohabat nahi rahi.
Shaid mujh say baat karnay ka bahana wo mit gaya,
ya kuch bhool janay ki usay aadat nahi rahi.
Meri udasi mei bhi mujh ko hasa dayna,
Lagta hai uski waisi shrarat nahi rahi.
Aankhon mei meri dekh k wo aansoo khush hai,
shaid usay meray dukh say ab idawat nahi rahi.
**********************************************************
Tum jub b lot kar Aana,
Tu Aana shaam se pehle.
“Mujhe kuch baatain karni hen,
Zara aaraam se pehle.
“Mujhe tum se ye kehna hy,
K tum meri zarurat ho,
Tumhara naam leta hon,
Men har ek naam se pehle..
Mujhe hergiz na bhule ga,
Tumhara muskura dena,
Tumhara jaan likh dena,
Hamare naam se pehle.
**********************************************************
**********************************************************
Khamoshi Se “Bhikharna” Aa Gaya Hai,
Hamein Ab Khud “Ujarna” Aa Gaya Hai,
Kisi Ko “Bewafa” Kehte Nahi Hum,
Hamen Bhi Ab “Badalna” Aa Gaya Hai,
Kisi Ki Yaad Mein “Rote” Nahi Hum,
Hamein Chup Chaap “Jalna” Aa Gaya Hai,
“Gulaboon” Ko Tum Apne Pas Rakkho,
Hamein “Kantoon” Pe Chalna Aa Gaya Hai
**********************************************************
Main kisi aur ki hun,itna bta kar roi
Wo mujhe Mehndi lagay hath dikha kr roi
Main Be-Qasoor hoon Qudrat ka faisla hai ye
Lipat k mujh se wo bus itna bta k roi
Mujh pe aik karb ka toofan ho gya hayel
Jab mere samny khat mere jala kar roi
Meri nafrat aur adawat pighal gayi pal mein
Wo Bewafa hai to Q mujh ko rula kr royi
Sab shikway mere 1 pal mein beh gaye “wassi”
Jheel si Aankhon mein jb Aansu saja kar roi.
**********************************************************
Tmhary na hony se kuch b nhi bdla.
Ye surj b wahee se niklta hy.
Asman pe tary b chmkty hen.
Or,
Chand ke chandni b hoti hy.
Hwa b chlti hy.
Drya b behty hen.
Phool b khilty hen.
In me khushbu b hoti hy.
.
.
.
. *LEKIN*
.
.
.
.
Na jany Q,
Tmhary na hony se.
Hr cheez adhori c lgti hy.
Hr subha,
Sham c lgti hy.
Hr muskan udas c lgti hy.
Hr mehfil anjan c lgti hy.
Hr dhrkn,
be-jan c lgti hy.
SACH TO YE HY K.
Sari dunya VERAN c lgti hy.
**********************************************************
Faqat ye iltejaa hay Tum sy…
K Raabton ko Bahaal Rakhna…
Kahen bhi Jana Kaheen bhi Rehna…
Magar Hamara khayal Rakhna…
Abhi Bhanwar men hai Naao,
Abhi Sitary hen Gardishon men…
Me Lout Aaoon ga Teri Jaanib…
Bachaa k Kuch
Mah-o-Saal Rakhna…
Suno . . . .
Tum Apna Khayal Rakhna…!
**********************************************************
Usne Door Rehny Ka Mashvra B Likha HY
Sath Hi Mohabt Ka Wasta B Likha HY
Usne Ye B Likha Hy
Mere Ghr NHi Aana
Or Saaf Saaf Lfzon M Raasta B Likha Hy
Kuch Harf Likhe Hain Zabt Ki Nseeht M
Kuch Harf M Usne Hosla B Likha Hy
Shukrya B Likha Hy DiL Se Yaad Krne Ka
DiL Se Bhool Jaane Ka Wasta B Likha HY.
**********************************************************
Adhoore Chaand Se ‘Faryad’ To Karta Hoga,
Wo Mujhe ‘Ziyada’ Nhi Par Yaad To Karta Hoga,
‘Bhoole Se Hi Sahi Kabhi Meri Yaad To Aati Hogi,
‘Wo Mere Baare Me Kuch ‘Irshad’ To Karta Hoga,
‘Bohat Masroof Sahi Din Bhar, ‘Phir Bhi !!
‘Tanhaiyon Me Kuch Pal Mere Liye ‘Barbad’ To Karta Hoga”
**********************************************************
KASH MAIN TERA
DIL HOTA!
Teri yadon teri sochon pe mushtamil hota
Tere sath
Me lmha lmha dhrakta rehta
Khud se muj ko juda na tu kr pata
Teri zindgi ka daar-o-madaar me hota
Mere bagher tera jeena bht mushkil hota
Kash me tera dil hota.
Me agr khush hota to Hasaata tujko
Jo kabi rota to sath rulata tujko
Tere sang jeeta sang hi marta
Teri tamam chahaton ka Mehwaar hota
Kash!
A kash
K me is Qabil hota
KASH ME TERA
DIL HOTA,
**********************************************************
Ek baar kar k aitbaar likh do
Kitna hai mujh se pyar likh do
Kat’ti nahi yeh zindagi ab tare bina
Kitna aur karun intzar likh do
Taras rahay hain bari muddat se
Is baar apni MOHABBAT ka izhaar likh do
Deewane ho jayein jisay parh kar hum
Kuch aisa tum mare yaar likh do
Ziyada nahin likh saktay tu mat likho tum
MOHABBAT bharay lafz 2 chaar likh do
Ek baar likho MOHABBAT hai mujhe tum se
Phir yahi jumla baar baar likh do
**********************************************************
Buri bala hai mohabbat khuda kisi na de
ye dil ka rogh ye chaahat khuda kisi ko na de
buri bala he mohabbat khuda kisi ko na de
tardap , junoon , ye rusvaaiyaan , akela-pan
qadam qadam ye museebat khuda kisi ko na de
zaroori he to bohat zindagi me ishq magar
ye jaan leva zaroorat khuda kisi ko na de
jo chaut tu ne mujhe di koi na de tujh ko
ye be-waffaaii ki aadat khuda kisi ko de
**********************************************************
Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi
Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi
Jeeton To Tujhay Paon Haroon To Piya Teri,
Her Lehza Khyl Rakhon Gi Srif Itna,
Beth Jaon To B Teri Aur Uth JAon To B Teri,
Kuch Kar Loon Haal Apna Aisa Humsafar,
Aankh Lagay To B Teri Aankh Khulay To B Teri,
Teri Har Aahat Pay Paa Loon Gi Tabeer Aisi,
Hans Jaon To B Teri Rooth Jaon To B Teri,
MAy Saath Doon Tera Kuch Aisay JAan-E-jahan,
Zinda Rahoon To B Teri Mar Jaon To B Teri,
**********************************************************
Lutta ke tujh par sab kuch mein apna…..
Teri dunia toh tera Sheher chor jaongi…..
Phir kabhi na laut ke aaongi……
Bas phir mein bhi Pyar karne waalon ke dilon me…….
Ek Yaad bankar reh jaongi……..
Khuda Kismat bhi na majboor kar sake wapas jaane ko…….
Kuch iss tarah teri har Gali Tera yeh Sheher chor jaongi….
**********************************************************
Jab Bichar Kar Tere Is Dil Se Chali Jaongi,
Dil Ko Seney Main Na Paoge To Yaad Aaongi,
Aongi Chupky Se Khawabon Main Jo Tere Aksar,
Phir Jo Sotey Mai Hi Hansdoge To Yaad Aongi,
Meri Masom Mohobbat Ko Bhula Ker Jab Tum,
Phir Kisi Aur Ko Chahoge To Yaad Aongii,
Dosto Ki Kisi Mehfil Mein Baton Baton Mein,
Jab Kisi Baat Pe Roothoge To Yaad Aongi,
Meri Tasveer Ko Ankhon Mein Chupaney Ke Liye,
Apney Ashko Sey Mitaoge To Yaad Aongi,
Yaad Karty Hue Ye Sans Jo Tooteygi Meri,
Phir Meri Kabar Pa Aoge To Yaad Aongii,
”Bohat Yaad Aon Gi”
**********************************************************
Ajeeb larki hoon Khudh ko jalana chahti hoon
Mein khudh ko rakh kar kaheen bhool jana chahti hoon,
Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milen mujhko
Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahti hoon,
Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham sai mujhe
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahti hoon,
Baha baha kai yeh ansoo bikhar chuki hoon buhut
simat kai zaat mein ab muskurana chahti hoon,
Jisey aik umer sai Dil mein basa kai rakha hai
Woh raaz aaj mein sab ko batana chahti hoon,
Wohi yaad hai jo acha kaha hai loghon nai
Baqaya sarey sitam bhool jana chahti hoon,
Mujhe zamaney nai pathar samjh lia hai magar
Mein aik Larki hoon sab ko batana chahti hoon,
Jo mujh sai ruth chuki hain zamaney ki khushiyan
To mein bhi khushyon sai ab ruth jana chahti hoon,
Woh meri khwahishein woh mera khwaab woh mera bachpan
Aye Umer rafta mein phir sai woh pana chahti hoon,
**********************************************************
phoolon se achhi uski khusboo,
kaliyon si pyari muskaan.
sitaro sa chamakta chehra,
koyal se mithi zuban.
chand bhi chhup jaaye yeh keh ke
aasman pe mera ab kya kaam.
chandni to aa nikli zameen pe
kaisi hai yeh kudrat ki shaan.
alfaz kam padte hain kehne ko,
aisi hai meri jaan
**********************************************************
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon ?
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon ?
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ?
Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..
**********************************************************
Kaise Kat-ti Hain wo Raatein Hum Bata nhi Sakte,
Par Sach Ye h Ki Hum Tumse Kuch Chhupa nhi Sakte,
wo Guzre hue Din wo Guzri Hui Raatein
wo Guzra Hua Har Ik Pa Hum Bhula nhi Sakte,
Meri Yaadon me Tum Ho Meri Tanhaiyo me Tum Ho
Itna Pyaar h Tumse Ke Hum Ginwa nhi Sakte,
In Ankho Ko In Saanso Ko Bus Tumara Hi Intezaar h Ab
Aa Bhi jao Is Dil Ko or Tadpa nhi Sakte,
wo Pyaar Ki baatein wo Qasmay wo Waadein Jo Sach h
uss sach Ko Tum Jhuthla nhi Sakte
Kaise Kat-ti hain wo Raatein Hum Bata nhi Sakte
par Sach Ye h ki Hum Tumse Kuch chhupa Nahi Sakte.
**********************************************************
Aksar In Hawaon Se Tera Jikar Karte Hai.
Humto Teri Yaad Se Bhi Shukar Karte Hai.
Machal Ne Lagti Hai Tamanna.e.Dil Aur Bhi
Jab Aap Humari Soch Se Guzar Karte Hai.
Chand Bhi Khud Ko Jalne Lagta Hai Us Waqt.
Jab Uske Aage Aapki Shadgi Ki Baat Karte Hai
Is Hayat Main Tujhe Hi Pane Ki Khwaish Hai
Aksar Apni Duao Main Teri Hi Talab Karte Hai.
**********************************************************
Laakh inkaar karo tum par keh raha ye dil hamara hai,
Teri aankhon ne kiya hai jise pasand wo chehra hamara
hai,
Tumhari har adda ye kehti hai hamse tumpe haq sirf hamara
Hai,Sach kahe to tu bhi khuda hamara hai,
Haye re khuda lutt gaye ham uss par aur wo kitne naaz se
kehte hai kya kasoor hamara hai, kaise bataye ki kaisa
loota dil hamara hai…
**********************************************************
Muhbbatien Hemsha Abaad Rakhna
Dil Ko Younhi Tum Shaad Rakhna
Tera Payar Hai Mere Liye Anmol Buhat
Is Payar Ka tum Maan Rakhna
Mere Or Bas Mere He Rehna Tum
Meri Yeh sansieen Tum Bahal Rakhna
Meri Zindagi Tum se Hai
Mere Liye Tum Apna Khayal Rakhna…!
**********************************************************
Yeh Judai Apni Aarzi Hai,
Na Dil Main Is Ka Malaal Rakhna,
Hamari Aankhon Nay Jo Mil Kay Dekhay Hain,
Wo Saray Sapnay Sanbhal Rakhna,
Tumhari Saansay, Tumhari Dharkan,
Suno….. !
Humari Amaantein Hain,
Humari Khatir He Jaan -e- Jana,
Humesha Apna Khayal Rakhna.
**********************************************************
**********************************************************
Jab Bhi Usko Meri Yaad Aaya Karegi
Aankhon Mein Aansoon Behisaab Laya Karegi..
Jab Bhi Karegi Yaad Mere Sath Bite Har Pal Ko
Wo Ek Pal Haskar Phir Khamosh Ho Jaya Karegi..
Jab Kabhi Khud Ko Tanha Mehsus Karegi
Tab Wo Mere Likhe Khato Ko Padha Karegi..
Kitabo Mein Chhupi Meri Tasvir Dekhkar
Apne Seene se Laga – Laga Kar Roya Karegi..
Dekh Kar Meri Di Huvi Nishani Ko
Use Apne Aanchal Mein Chhupa Liya Karegi..
Kisi Gair Ke Liye Chhorkar Mujhe Tanha
Wo Apni Bhool Pe Bahut Pachtaya Karegi.
**********************************