JAHAAN BAANI ATA KARDIEN

 

Jahaan Baani Ataa Kardein Bhari Jannat Hiba Kardein

Nabi Mukhtaar E Kul Hain Jis Ko Jo Chaahein Ataa Kardein

 

Jahaan Mein Un Ki Chalti Hai Wo Dum Mein Kya Se Kya Kardein

Zameen Ko Aasmaan Kardein Suraiya Ka Saraa Kardein

 

Fazaa Mein Udne Waale Yun Na Itraayein Nida Kardein

Wo Jab Chaahein Jise Chaahein Usey Farma Rawaa Kardein

 

Meri Mushkil Ko Yun Aasaan Mere Mushkil Kusha Kardein

Har Ek Mauje Balaa Ko Mere Maula Naakhuda Kardein

 

Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duha Kardein

Gamon Ki Dhoop Mein Wo Saaya E Zulfe Dota Kardein

 

Ataa Ho Bekhudi Mujhko Khudi Meri Hawaa Kardein

Mujhe Yun Apni Ulfat Mein Mere Maula Fanaa Kardein

 

Jahaan Mein Aam Paigaam E Shahe Ahmed Raza Kardein

Palat Kar Peechhe Dekhein Phir Se Tajdeed E Wafa Kardein

 

Nabi Se Jo Ho Begaana Usey Dil Se Juda Kardein

Pidar, Maadar, Biraadar, Maalo Jaan Un Par Fida Kardein

 

Kisi Ko Wo Hansaate Hain Kisi Ko Woh Rulaate Hain

Wo Yunhi Aazmaate Hain Wo Ab To Faisla Kardein

 

Gil E Taiba Mein Mil Jaaoon Gulon Mein Mil Ke Khil Jaaoon

Hayaat E Jaawedaani Se Mujhe Yun Aashna Kardein

 

Unhein Manzoor Hai Jab Tak Ye Daur E Aazmaish Hai

Na Chaahein To Abhi Wo Khatm Daure Ibtila Kardein

 

Mujhe Kya Fikr Ho AKHTAR Mere Yaawar Hain Wo Yaawar

Balaaon Ko Jo Meri Khud Giraftaar-E-Balaa Kardein

 

 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: