Noor E Haq Jalwa Numa Tha Mujhe Maloom Na Tha Lyrics

Noor E Haq Jalwa Numa Tha Mujhe Maloom Na Tha Lyrics

 

 

Noor e Haqq jalwahnuma tha, mujhe maaloom na tha
Shakal e insaan mein chhupaa thaa, , mujhe maaloom na tha

The Divine Light was manifest, but I wasn’t aware
He was hidden in human form, but I wasn’t aware

Baarhaa, jis ne kaha tha “Ana basharun” us ne [1]
“Man ra’anii” bhii kaha tha, mujhe maaloom na tha [2]

Frequently, he who said, “I am a man”, said too: [1]
“He who has seen me has seen God!” but I wasn’t aware [2]

BakriyaaN jis ne charaa’ii theeN Halima terii
‘Arsh par vohii gyaa, , mujhe maaloom na tha

He who tended your goats O’ Halima,
Also ascended to the Divine Throne, but I wasn’t aware

Jis ne ummat keliye ro kay guzaareeN raateiN
Voh hii Mahboob e Khuda tha, , mujhe maaloom na tha

He who spent his nights weeping for his followers
He alone was the Beloved of God, but I wasn’t aware

Chaand ashaaray se phaTTa, hukm say sooraj loTaa
Mazhar e zaat e Khuda tha, , mujhe maaloom na tha

The Moon split at his signal; at his command, the Sun returned
He was the manifestation of the Divine Essence, but I wasn’t aware

Dekha jab qabr mein uss pardah-nasheeN ko tau khulaa
Dil-e-Salik mein rahaa tha, mujhe maaloom na tha

When I saw that Veiled One in my grave, I understood
He had lived in Salik’s heart, but I wasn’t aware!


[1] Al-Kahf [18:110], Qul innama ana basharun mithlukum – Say, verily, I am a man like you.

[2] hadith sharif: Man ra’ani fa-qad ra’a al-haqq (He who has seen me has seen God (al Haqq)

🙂

Sharing Is Caring:

Leave a Comment