romantic shayari
“Wo meri Qasm leta nahi ilzAAm samajh kar,
“Or dey deta hy apni Qasm inAAm samaj kar,
Wo janta hy mujy us sy kitni Mohabat hy,
Phir bhi Guftogu karta hy anjaan samajh kar.
Mainy usay apny dil ki dharkan main basaya hai.
Or wo dil main rakhta hai mujy mehman samajh kar.
Agar usay hum sy mohabbat nhe to na sahi.
Magar Q ilzam daita hai gumnam smj kr.
Mainy apni sari khushiyan usky nam kr di
Or wo hamain pyar karta hai ehsaan samajh kar.
“Mohabbat naam hai mera”
“Agar Chaho Gay Tum Mujh Ko”
Tumahri sans se pehly
Tumhari jan ban jaon
“Ager Dekho Gay Tum Mujh Ko”
Tumhari ankh se pehly
Tumhary khuwab ban jaon
“Agar Socho Gay Tum Mujh Ko”
Tumhary Paon Se pehly
Tumhari rah ban jaon
“Mohabbat Naam Hai Mera.
Mujhe TUM Soch k Dekho”
Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay.
Ye faisala kya hai tujhe dekhne k baad.
Kehte hain tujhse log masiha magar yahan.
Ek shakhs mar gaya hai tujhe dekhne k baad.
Sajdah karon k naqsh-e-qadam chumti rahoon.
Ghar Kaba ban gaya hai tujhe dekhne k baad.
Sajdah karon gi tujhko to kafir kahen gay log.
Ye kon sochta hai tujhe dekhne k baad.
Rehti hai khoi khoi si har waqt ab “Hina”
Ye haal ho gaya hai tujhe dekhne k baad.
wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay
phir hansata hay wo itna k bhula deta hay
kabi jo ro day to mujko b bhool jata hay
aur phir bhool k mujko b rula dayta hay
us say poochon k bata kis say muhabat hay tumhai?
Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay
khud he kehta hai na dohraon purani yadain
main na dohraon to phir khud he suna deta hay
khud he likhta hai k jazbat main halchal na karo,
aur phir khud he nayee aag laga deta hay
Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se Chup Chaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..
bheer may aik ajnabi ka saamna accha laga…
sub se chup ker woh kisi ka dekhna accha laga…
surmae ankhon k neechay phool se khilne lage…
kehte kehte,kisi ka sochna accha laga…
baat to kuch bhi nahi thi laikin uska aik dum…
haath honton per rukh kar rokna accha laga…
dil may kitne ahed baandhe the bhulane k usne….
woh mila to sub irade torna accha laga..
chae may cheeni milana us ghari accha laga…
zare-lub wow muskurata ‘shukriya’ accha laga…
is adae jan ko may bura kaise kahon…
jub bhi aya saamne woh bewafa accha laga…
Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna
Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna
Kehna k samundar k kinare pe na jaye
Kuch log smundar se bhi hain gehray usay kehna
Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hoti
Darya hi badal lehte hain raasty usay kehna
Kuch log safar k lyie mouzu nahi hote
Kuch raasty kattay nahi Tanha usay kehna
Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona
K basti k sabhi log hain behray usay kehna
phir waqt k maktal me sajhti hain woh aankhein
jo dekhti hain khowaab sunehry usay kehna
Kash Kabi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mai
Main Rang Deta Tujhe Apne Pyar Mai
Main Itna Pyar Deta Tujhe
Jan-E-Arzoo
Tum Khud Ko Bhula Dete Mere Aitbar Mai
Tum Jo Mujhe Bulate Mulaqat K Liye
Bechain Ho K Phirte Mere Intezar Mai
Main Dair Se Jo Aata Naraz Ho K Tum
Har Baat Ka Jawab Dete Inkar Mai
Tum Jo Rooth Jate Mujh Se Kisi Bat Pe
Main Tumhein Manata Bare Pyar Se
Maan Kar Tum Mujh Se Sirf Ye Kehte
Hai Nahi Koi Kmi “jaan” Tere Pyar Main
=KYA TUM BHI =
Shaam ki dehleez par
AAS ka deep jalaty ho,
Kisi patty ki ahat par
Darwazy ki taraf bhagy jaty ho,
Kya tum bhi
Dard chupany ki koshish karty karty
c,
OR bila waja muskuraty ho,
=KYA TUM BHI =
Neend se pehly palkon par,
Dhairon khwab sajaty ho,
YA phir bistar par letkar roty roty so jaty ho,
=KYA TUM BHI =
Meri tarhan kisi ko itna toot k chahty ho,,,
=KYA TUM BHI =
”Ye na samaj k bichra hon to bhol gaya hon tujhe !
”Tare hathon ki khoshbo mare hathon main aaj bhi hai !
”Ye or baat hai majboriyon ne nebhane na di dosti !
”Warna shamil sachai mari wafaon main aaj bhi hai !
”Mohabat say barh kar tum say aaqedat hai mujhay ay dost !
”Yon maqam tera boland sab doston main aaj bhi hai !
”Har lamha zindagi main mohabaten naseeb hon
tujhe !
”Shamil tu mari zindagi ki duaon main aaj bhi hai
Ab tak na samaj paye mera shor-e-fughaan b
tum log to parh letay ho ankhon ki zuban b
khat is liye shayad mujay ab tum nahi likhtay
kaghaz py utar aaty hen sanson k nishan b
shohrat say faqat is liye aata hay mujay khof
mash’hoor na ho jaye mera zakhm-e-nihaan b
is dard k rishtay me to yksan hen shb-o-roz
jo haal tumhara hay wo aalam hay yahan b
kuch wo b dukhi dil liye aya tha meray pas
kuch dard bhara tha mera andaz-e-bayaan b.
GHAZAL
Tmhare Aane Ki Ik
Aahat Si Hoti Hai
Na Jane Kyün Dil Me
HaLchaL Si Hoti Hai
Tümhe Dekhne Ko
Jee To Chahta He Mgr?
Tmhari Aankhon Me Aksar
Ik Shrarat Si Hoti Hai
Tüm Jo Müsküra K
Müjhe Ik Nazar Dekho
Aesa Lagta Hai Jese
Sehra Me Barish Si Hoti Hai
Tüm Chalo Sath Mere Ümr Bhar K Liye
Tmhe Dekh Kr Aksar
Ye Khwahish Si Hoti Hai
Mere Hatho Ki LakeeRon Me
Ho Shamil Naam Tmhara
Takdeer Se Aksar
Ye Güzarish Si Hoti hai
mere lafz ki gahrai main aksr kamal uska ta..
ghazal meri thi magar kheyal uska tha..
main shaier to na tha magar usne bena dia..
ankh shrabi hont sagar chehra kammal uska tha..
main kesy maan lon k use mujhe se mohabbat nahi..
bichate waqat meri tarha ajab haal uska tha..
mujhe apne ujar jane se nahi tha sarokar koi..
main afsorda is lieye tha k mijhe malal uska tha..
tanhai main bhi jo use mian na kah saka..
bhari mahfil main kah geyaa yah kammal uska tha..
Teri \”Chahat\” Me Hum Zamana Bhool Gaye,
Tere Baad Kisi Ko \”Apnana\” Bhool Gaye,
Phir Laga Saara Jahaan \”Veeraan\” Humko,
Jaise Chaman Me \”Phool\” MehKana Bhool Gaye,
Tumse \”Mohobbat\” Hai Ye Bataya Saare Jahaan Ko,
Yehi \”Baat\” Bas Tujhko Batana Bhool Gaye,
Humne Mita Diya Jahaan Bhi Likha Tha \”Naam\” Tera,
Magar Apne \”Dil\” Se Mitana Bhool Gaye,
Woh Juda Hoye Humse \”Muskurate\” Hoe,
Magar Apni Palkon Se \”Aansoo\” Hatana Bhool Gaye…..
Zara tham tham k barsa kar
abhi itna na rotha kar
Abhi to dur hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar
Teri ankhen smandar hen
Samandar ko na sehra kar
Mera dil doob jata hai
Mujhe ase na dekha kr
Hawa mujh se kahe pagal
Na yun raston me betha kar
Wo 1 din chor jaye ga
Usay itna na chaha kar
Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye
Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye
Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye
Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye
In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye
Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye
Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye
Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,
Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!
Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do,
Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do,
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho,
Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do,
Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein,
Mujhey yeh batanay ki ijazat day do,
Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra,
Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do,
Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar,
Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do
Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?
Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?
Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?
Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?
Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?
Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?
Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?
Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain ?
KOI TO HOTA….
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA…..
jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA….
Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu
Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu
Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu
Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu
Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu
Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.
dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.
“Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi …
Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi…
Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k…
Meri kisi saada par woh thehra he nahi…
khuda se jholi pehla kay manga tha usay …
Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi…
Har aik se pucha sabab us kay na milne ka …
Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi…!!
Usne Mjhe Chaha Hi Nhi Me Chahat Samjh Bethi
Uski Pal Bhar Ki Muskrahat Ko Pyar Samjh Bethi
Wo To Hr Bat Pr Han Krta Tha Me Hi Iqrar Samjh Bethi
Usne MjhSe Ziyada Ehmiyat Di apne Doston Ko
Me Uski Ye Ada Mazak Samjh Bethi
Usne Kaha B Tha Koi or Hai Meri Zindagi Me
Me Hi Khud Ko Uski Zindagi Me Samjh Bethi
Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai
Tamam Umer Ka Mujh Say Nisab Mangta Hai
Us Kay Qadmoon Main Khushioon Ko Dhair Ker Diya
Pagal Un Cheezon Ka Jawaz Mangta Hai
Hur Sawal Kay Jawab Ko Jantay Huay Bhi
Apnay Hur Sawal Ka Jawab Mangta Hai
Hum Mout Ki Dehleez Per Hain Janta Hai Jana Hai Hamain
Pagal Hay Hamaray Ruknay Ki Dua Mangta Hai
tu kisi auo ko dekhe,muskuraya mujhe acha nahin lagta
dil ka dard kisi aur ko sunaye mujhe acha nahin lagta
tere kareeb aane k liye taras rahi hon main kab se aur
tu jab auron ko kareeb laye mujhe acha nahin lagta
mana k hai tere kai chahne wale ee mere sanam
lekin tu kisi aur ka dil behlaye ye mujhe acha nahin lagta
dekhna meri aur bhari mehfil me chupke se aur nazar pher lena
tu mujhe se yun nighahoein churaye mujhe acha nahin lagta
har dard ki parwaah nahin karti main mere sanam lekin
tu kisi aur ki ghazal gungunaye mujhe acha nahin lagta
mana k boht buri hon main, nahin salika mujhe jeene ka
lekin tu mujhe yun pakhon pe bithake nazron se giraye
mujhe acha nahin lagta
Wo Kisi Or Ko S0che To Bura LagTa Hai
Wo Kisi Or Ko Dekhe To Bura LagTa Hai
Meri Aankh0n Ko Sirf Tareef Uski ChahiYe
Koi Acha b Keh De To Bura LagTa Hai
Usko Koi Or Agar Dekhe To Ho Gawara Kese
Uska Jo Naam b Le Le To Bura LagTa Hai
Meri Aankh0n Main Kya So0rat Nahi Dikhti Usko
Gar Agar Wo Aayina b Dekhe To Bura LagTa Hai
Usko Keh Do Ke Sare-Sham Na Ghar Se Nikle
Sath SaaYa b Chale Uske To Bura LagTa Hai
Chirh Se Hoti Hai Uske Hath Ki Ghari Se Mujhe
Ho Gayi Dair Batade Usko To Bura LagTa Hai
UsSe KehDo Ke Aankh0n Main Na Surma Daale
Uski Aankh0n Main Koi Or Samaye To Bura LagTa Hai
Maine Khol Ke Rakh Daale Warq Sabhi Dil Ke
Phir b Wo Hum Se Chupaye To Bura LagTa Hai
bhari mehfil main mujhko tujhsa koi sacha nahi lagta,
tu ei pal ke liye bhi meri nazron se door ho, acha nahi lagta,
zindagi ke iss raah main, ee mere humdum hum milenge zaroorat,
iske ilawa main kuch aur sochon, acha nahi lagta,
dil ki baatein zuban par aa jaye to kuch araam mile,
kuch baaton ko dil hi dil mian daba dena acha nahi lagta,
jab kisi ki baatein kisi ki yaadein, jeene ki wajah ban jaati hai,
tab usse ek pal k liye bhio door rehna acha nahi lagta,
“khawaish” apna haal-e-dil lafzon main keh deta hai,
par agar lafzon ko bhi na samjjha jaye to acha nahi lagta,
log kehte hai khawab wo dekho jo haqeeqat ke rang main dhal sake,
“khawaish” kehta hai khwaab zaroor dekho koi gham nahi agar woh haqeeqat ke rang main naa
dhal sake,
sirf kisi ko paanea hi muhabbat nahi,
muhabbat main paane khone ka sauda acha nahi lagta,,
Tumhari an-kahi baatien
tumhari an-kahi ghazlien
Jab bhi Mai gun-gunata hoon
Tum akser yaad aati ho
Tumhara wo bichar jana
bichar k phir se mil jana
Meri khamosh baaton ko bhi
sun-na aur samajh jana
Mai Jab mehsoos krta hoon
tum akser yaad aate ho
Tumhara wo rula daina
Satana aur mana lena
kuch chupa kar bhi bata dena
Ye soch ke Jab bhi Mai muskurata hon
tum akser yad aate ho
Tum akser yaad aaty ho
Phir Aaj Koi Ghazal Usk Naam Na Ho Jaye
Aaj Kahin Likhte Likhte Sham Na Ho Jaye
Kar Rahe Hain Intezar Usk Izhar-e-Mohabbat Ka
Isi Intezar Mien Kahin Sham Na Ho Jaye
Nahi Laite Hain Uska Naam Sar?e Aam Is Darr Se
Kahin Naam Uska Badnamam Na Ho Jaye
Mangtay Hain Dua Jab Wo Yaad Atay Hain
K Judai Mere Pyar Ka Anjam Na Ho Jaye
Sochte Hain Aksar Darte Hain Tanhai Mien
Usk Dil Mie Kisi Aur Ka Mukam Na Ho Jaye
GALAT FEHMI MAIN MAT REHNA”
Mohabbat ka asar hoga galat fehmi main mat rehna,
Woh badle ga chalen apni galat fehmi main mat rehna,
Tasalli bhi usse dena yahe mumkin hai ke main lot aaon,
Magar yhe bhi usse kehna galat fehmi main mat rehna,
Tumhara tha tumhara hon tumhara hi rahonga main,
Mere bare main is darja galat fehmi main mat rehna,
Mohabbat ka bharam toota hai ab chup chup ke rote ho
Tumhen maine kaha tha na galat fehmi main mat rehna.
Guzrey waqt ko bhula dena bhi aasan nahi hota,
Ghamon ko hansi mein chupa lena bhi aasan nahi hota
Zaroori nahi ke poori ho har khawahish lekin,
Apni khawahish ko daba lena bhi aasaan nahi hota,
Mana ke toote huye pholon se khushboo nahi aati,
Magar unhain kitaboun mein saja lena bhi aasaan nahi hota,
koi aur tere baad aa sakta ho,shayad magar,
Har kisi ko dil mein jagah dena bhi aasaan nahi hota
Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho
Kis ka ab haath rakh ke seene per
Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho
Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho
Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho
Kiun mere dil mai rakh nahee dete
Kis liye gham uthaya kerte ho
Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho
Akhiri khat mai usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho
kyon na phir tujh sey milny ka irada kar lon
zakham ye sadiyon purana tar-o-taza kar lon
phir sey keh don usey ke tum meri aqeedat ho
phir sey guzra mohabaton ka eyada kar lon
sonp don ab yeh shokh tabiyat os ko
sochta hon ke khud ko is qadar saada kar lon
ya usey pa key bhula don dard-o-gham apny
ya us ke hijar ka gham aur bhi zayada kar lon
woh tu har kasam hans ke torr deta hai
phir naya kis tarah us sey koi waada kar lon..?
Agar main had se guzar jaoun to mujhe maaf kerna..
tere dil main utar jaoun to mujhe maaf kerna..
raste men tujhe dekh ker teri deed ki khatir..
pal bhar jo thehar jaoun to mujhe maaf kerna..
apne jazbat se likhi howi shokh tahreer..
tere nam kar jaoun to mujhe maaf kerna..
tere pal bhar ki judai mujhe jeene nahi deti..
tere bin jo mar jaoun to mujhe maaf kerna..
\”GHAZAL\”
\”Koi umeed jo hoti tere lout aane ki…
\”Phir na hoti aisi halat dil dewane ki…
\”Mein to har haal mein khush rehne ki justju mein rahe…
\”Na gai teri aadat wo staane ki…
\”Zandagi jabr-e-musalsal ki tarah kaat rahe hon…
\”Nahi deta koi dua bhi mar jane ki…
\”Tere sang beeta har lamha yaad aata hai…
\”Jab bhi koshish ki tujhe bhulane ki…
\”Ab to aksar yehi sochtde rehte hoonSagar…
\”Tujh ko mangon ya mangon dua tuje bhul Jane ki..
:\”GAZAL\”;
\”Sath rota tha mere sath hansa krta tha,
\”Wohi ek tha jo mere dil mein basa krta tha,
\”Meri chahat ka talbgar tha wo is darja,
\”K wo musalle pe namazon mein dua krta tha,
\”Ek lamhe ka bicharna bhi gawara na tha use,
\”Rote rote wo mujh se yehi kaha krta tha,
\”Rog dil ko jo laga betha tha anjane mein,
\”Meri agosh mein marne ki dua krta tha,
\”Baat kismat ki thi k door ho gaye jo hum,
\”Warna wo to mujhe taqdeer kaha krta tha. ?
Baray Masoom Jazbon Se,
Wo Apnay Shokh Haathon par…!!
Wafa ki Surkh Mehndi Se…!!
Usi ka Naam Likhti Hai,
Jisay wo Pyaar karti Hai…!!
Mgr wo Na Smajh Larki…!!
Abi Tak Ye Nhi Samjhi,
K…
Sapnay Toot Jaayen To,,,
Bohat Barbaad kartay Hain!
Ye ujhlay Rang Haathon Par,
Kbi Thehra Nhi karte!!!
Mohabat To Haqeeqat Hai…!!
Koi Sapna Nahi Hota…!!
Kisi ka Naam Likhnay Se,,,
Koi Apna Nhi HoTa…!!
usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,
Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,
Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,
Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,
Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,
Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin
har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin
wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin
ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin
hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin
Zillat-E-Tanhai Sy Ghabra K Ai
Hon ~
Main Abhi Abhi Shehr-E-Wafa Se Ai Hon ~
Kuch Dair Hawa Ko Baton Me Lgaye Rakhna ~
Main Ghar Me Ik Charagh Jala K Ai Hon ~
Uss Ne Pocha Hy Kia Ehd-E-Wafa Nibhao Ge ? ?
So Hathon Me Quran Utha K Ai Hon ~
WO Chahay To Ab Muj Se Trk-E-Talluq Kr Le ~
WO Meri ZINDAGI Hy Usy Bata K Ai Hon ~
WO Ab B Mujy Ana Prast Smjhta Hy ~
** Parveen **
Main Jisay Ro Ro K Mana K Ai Hun..
Mohabbat Ki Haseen Rahon Mein Aksar Mene Dekha Hai
Jo Sathi Sath Chalte They, Bichhartey Maine Dekha Hai,
Sajaatey They Barey Hi Shoq Se Khayalon Ki Haseen Duniya,
Bohat Choti Si Baaton Pe Ujartey Maine Dekha Hai,
Jo Kehte Thaay K Ik Pal Bin Tere Hum Reh Na Payenge,
Saamna Ab Ho To Chup Chap Guzartey Maine Dekha Hai,
Jo Kehte Thaay Tera Rishta Zamane Bhar Se Afzal Hai
Unhi Rishton Ko Pal Bhar Mein Bikhartey Maine Dekha Hai.
woh kisi or ka hoga to Qayamat ho gi,
Phir kisi ko bhi kisi sa na mohobbet ho gi,
usy dekhay koi aacha nahi lagta mujh ko,
Us se barh kr bhikoi or muhabbat ho gi,
Raat kal chaaand ko dekha to ye ehsaas hua,
Woh akela hy usy meri zarurat ho gi,
Ay \”khuda\” us ko kisi Or ka honey na dena!!!!!
Zindagi bhar mujhy phir khud say shikayat ho gi…..
Woh Kisi Aur Ki Hogi To Inayat Hogi
Yu Muhabbat Ko Sakhawat Se Ukhuwat Hogi
Usay Dekh Kar He Kuch Acha Nahin Lagta Mujh Ko
Kuch Dair Aur Yu Dikhi To Qayamat Hogi
Raat Kal Chand Ko Dekha To Ye Ehsaas Hua
Safed Anday Mein Zardi Ki Milawat Hogi
Aay \”KHUDA\” Woh Kisi Aur Ki Ho Na Paye
Warna Maut Her Mard Ki Wasiyat Hogi
Bohat khamosh reh kr wo sadain mujko deta tha
bary barpoor jazbon ki qabain mujko deta tha
Kabhi jo dard ki aatish muje sulagnay lagti the
wo apne saans ki mehki hawain mujko deta tha
Wo uski chahtain b sari duniya se anokhi the
reazat khud wo krta tha jazain mujko deta tha
Mery ehsas k sahraon main jo dhoop barti the
wo mosam ka khuda ban kr ghatain mujko deta tha
Usy main ajnabi smjhi magar har mour pe
wo apny naam ki sari duain mujko deta tha
Haqiqat jan kr esi hamaqat kon krta hai
bhla befaiz logon se mohabat kon krta hai
btao jis tijarat men khasara hi khasara ho
bina soche khasare ki tijarat kon krta hai
hmen hi ghalat fehmi thi ksi k waste wrna
zmane k riwajon se baghawat kon krta hai
KHUDA ne sabr krne ki mjhe tofiq bakhshi hai
aray ji bhr k tarpao shikayat kon krta hai
ksi k DIL k zakhmon pr marham rkhna zruri hai
mgr is dor mein $MUSKAN$ ye zehmat kon krta hai
YUN HI ANJANE ME TUJH SE RAFAQAT SI HO GAI
DOSTI KARNE CHALAY OR TUJSE CHAHAT SI HOGAE
TU NA HO TO KHUD SE HI ULAJHTA HOON
KIA KARUN MUJHE TERI ADAT SI HO GAE
ME APNE WAJOOD ME TUJHE TALASH KARTA HOON
MUJE TUM SAY “MOHABBAT” SI HO GAE
MERE PASS AAO TO JI LOON DO PAL
MERI TO HAR SAANS TERI AMANAT HOGAE
ME SOCHTA THA TERI AAGAY “ZINDAGI” ZARURAT SI HO GAE
Tere qareeb rahon ya k door jaaon mei,
Hah dil ka ek hi aalam tujh hi ko chaahon mein,
Mein jaanta hun wo rakhta hai chaahatain kitni,
Magar ye baat use kis tarah btaaon mein,
Jo chup raha to samjhega badgumaan mujhe,
Bura bhala hi sahi kuch to bol aaon mein,
Phir is k bad ta’alluq mein faasle honge,
Mujhe sanbhaal k rakhna bichhaR na jaaon mein,
Muhabbaton ki parakh ka yehi to raasta hai,
Teri talaash mein niklon tujhe na paaon mei.
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch
wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch
waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch
aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina,
Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,
Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna,
Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina,
Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,
Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi dain
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey
Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey
Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey
Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey
Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao
Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao
Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao
Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao
Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao
Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz
Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz
kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz
Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz !
Wo Kehta Hai
“Batao Besabab Kyun Rooth Jati Ho..?”
Main Kehti Hoon
“Zara Mujh Ko Manao
…Acha Lagta Hai…”
Wo Kehta Hai
“Mera Dil Tum Say Aakhir Kyun Nahe Bharta..?”
Main Kehti Hoon
“Muhabat Ki Koi Had Hi Nahe Hoti…”
Wo Kehta Hai
“Batao Main Tumhain Kyun Bhaa Gaya Itna..?”
Main Kehti Hoon
“Meri Jan Hadsay To Ho Hi Jatay Hain…”
Wo Kehta Hai
“Achanak Main Tumhain Yun Hi Rulaa Doon To..?”
Main Kehti Hoon
“Mujhe Dar Hai K Tum Bhi Bheeg Jao Gay..?
^^ Chorr Gaye Ho ^^
Khushiyon Ki Baarat adhoori Chorr Gaye Ho
Saajan Dil Ki Baat adhoori Chorr Gaye Ho
Tum to Khud They Pyaas bujhane wale Baadal,
Tum Kiyon Kr Barsaat adhoori Chorr Gaye Ho
Aadhay Aadhay Kr K Meri Needein, Khwab,
Meri Ek Ek Raat adhoori Chorr Gaye Ho
Logon Ki Takmeel ka baa.es ban.ny Wale,
Kiyon Kr Meri Zaat adhoori Chorr Gaye Ho
Sadiyon Ki Sangat K Baare Bol rahay they,
Aur achanak Baat adhoori Chorr Gaye Ho…!!!
mohabatooN meiN kch esse b haal hote haiN,,
khafa hooN jiN se oNhi k khayal hote haiN.
machalte rehte haiN zehnooN meiN was’wasooN ki tarha,,
haseeN log bhi jaaN ka wabaal hote haiN.
maiN dil k zakham chopaooN teri tarha kese??
K tere paas to lafzooN k jaal hote haiN.
bas aik to hi sabab to Nahi odasi ka,,
tarha tarha k dilooN ko malaal hote haiN.
seyaah raat meiN jalte haiN jogNooN ki tarha,,
dilooN k zakham b kitNe kamaal hote haiN…!!!
!!!…KABHI SOCHE WO BHI…!!!
Ishq sehra hai k darya KABHI SOCHE WO BHI
us se kia hai mera naata KABHI SOCHE WO BHI
han main TANHA hun ye iqrar bhi karleti hun
khud bhi kitna hai wo tanha KABHI SOCHE WO BHI
ye alag baat jataya nahi main ne usko
warna kitna usay chaha KABHI SOCHE WO BHI
use awaz likha..chand likha…phool likha
main ne kia kia usay likha KABHI SOCHE WO BHI
mutmain hun usey lafzo‘n ki hararat de kar
main ne kitna usay socha KABHI SOCHE WO BHI..!!
Mujhy Khamosh Raho Me Tera Sath Chaheay,
Tanha Hy Mera Hath Tera Hath Chaheay,
Mujh Ko Mere Muqadar Pritna Aqeen To Hy,
Tujhko B Mere Lafz Meri Baat Chaheay,
Main Khud Apni Shaar’iy Ko Kiya Acha Kaho,
Mujh Ko Teri Tareef Teri Daad Chaheay,
Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Wastey Hai,
Lakin Junoon-E-Ishaq Ko Teri Hae Sougat Chaheay,
Tu Mujhko Paany Ki Khawahish Rkhta Hai Shayd,
Lekin Mujhy Jeeny K Liye Teri Hi Zaat Chaheay.
Har Sans Mohabbat Pe Fida Karta Rahun Ga,
Saa’el Hun, Tere Dar Pe Sdaa Karta Rahun Ga,
Ye Dard Ye Aansu Meri Qismat Ki Ataa Hai,
Haan Tere Liye Dil Se Dua Karta Rahun Ga,
Ta’zeer Lgao, Mujhy Sooli Pay Charha Do,
Mujrim Hun Magar Jurm-E-Wafa Karta Rahun Ga,
Taslim Kary Ya Na Kary, Us Ki Raza Hai,
Mein Farz Mohabbat Ka Adaa Karta Rahun Ga.
Mohsin Mein Farishta To Nahi, Us Ko Khabar Hai,
Aadam Hun, Bghawt Ki Khta Krta Rahun Ga.
Chalo Tum Saath Mat Daina..
Mujhey Beshak Bhula Daina..
Naye Sapnay Saja Laina..
Naye Rishtay Bana Laina..
Bhula Daina Sabhi Waday.
.
Sabhi Qasmain Sabhi Natay.
Tumhain Jana Ijazat Hy..
Jo dil Chahay Wo Sab Karna..
Magar Ab Tum Kisi Say Bhi..
Anokha Pyar Mat Karna..
Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Saweirey Jald Uthna Ha
Na Shab Ko Deir Se Sona
Kahein Baahir Nahi Jana
Kisi Se Bhi Nahi Milna
Na Koi Fikr Laahaq Ha
Na Koi Yaad Baaqi Ha
Magar Ye Aakhri Misraa
Zara Sa Jhoot Lagta Hai!!
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe
Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe
Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!
Humne Bewaffai Nehi Ki Aapse
Aap Yeh Kyo Keh Ke Hume Sattate Hai
Aapka Rishta Kisi Our Ke Saath Hai
Hum Yehi To Aapko Samjhate Hai
Aapke Haath Pe Jiski Angoti Hai
Useh Ka Aap Pe Haq Hai
Humne Bewaffai Nehi Ki Aapse
Aap Yeh Kyo Keh Ke Hume Rulate Hai
teri chah main had say guzar jaon gi ik din
piyar hota hai kia yeh dikhaon gi ik din
teri sang dili ko sehtay sehtay
main jaan say apni guzar jaon gi ik din
apni sari chahtain tujh pay war kay
piyar karna tujhay bhee sikhaon gi ik din
jee na pay ga tu bhee ho kay juda mujh say
aisa piyar tujh say kar jaon gi ik din
andhairon main hi dhoondhta reh jay ga mujh ko
aisi bay rukhi dikhlaon gi ik din
kho kay mujh ko pachtao gay bohat sanam tum
wafa aisi tum say kar jaon gi ik din
aisi deewangi say chahon gi tujhay
bhool jao gay tum bhee sara jahan ik din
jaan teri bhee labon pay aa jay gi
ban kay khak jab matti main mil jaon gi ik din
koi mausam ho tere rang mein rang jaoongi
mein koi waqt nahi jo badal jaoongi…..
maine maana tu ghata hai per itna na baras
mein bhi dariya hoon kinare pe ubal jaoongi
mein koi waqt nahi jo badal jaoongi….
mein tere haath ki rekha hoon mujhe gaur se padh
kam hui teri muhabbat to mit hi jaoongi
mein koi waqt nahi jo badal jaoongi….
roz aaya na karo usne kaha hai rashid
aaj sadko pe bhatak lu waha kal jaoongi
mein koi waqt nahi jo badal jaoongi………..
Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai
Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai
Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko
Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai
Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko
Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat K Hai
Haseen Azaala Hai, Karam Hai Ya He Khush Bukhti
Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai
Karoon Main Kese Adaa Shuker Iss Nawazish Ka
Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai
Khood Se Bhi Berh Ker Main Ne Tujh Chahat Ki Hai
Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadaat Ki Hai
Tum Sey Kitna Peyar ha Dil Men Utar Ke Dekh Lo
Na Yaqeen Aaye Tu Phir Dil Badal Ke Dekh Lo
Ham Ne Apni Har Sanss Per Nam Tera Likh Dia
Ik Tujhy Paany Ki Kahtir Kud Ko Pagal Kar Dia
Ishq Men Tum Bhi Sanam Had Sey Guzar Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Peyar Hai Dil Men Utar Ke Dekh Lo
Jany Kueen Sary Jahan Sey Ho Gia Bekabar
Jab Sey Tum Ankhon Men Aaye Jagty Hai Ye Nazar
Apny Raton Sey Mery Rateen Badal Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Peyar Hai Dil Men Utar Ke Dekh Lo
Usy kehna,
Tumhein Hum Kesy Bhool Sakty Hain,
K,
Ye Gulab B Tera Aks Hai,
Ye Sitara B Tera Naqsh Hai,
Ye Chand Tumhari Chahat Hai,
Bas Tujko Hi Sochty Rehna,
Apny Dil Ki Rahat Hai,
Usy Kehna,
Tumhein Hum Yad Karty Hain,
Poory Chand Ki Raton Me,
Sab Khushi Ki Baton Me,
Kbi Sawan Me,Barsaton Me,
Kbi Be-Jan Lamhon Me,Kbi Anjan Raston Me,
Tumhein Hum Yad Kartay Hain,
Tumhein Hum Ksay Bhool Sakty Hain..?’
‘Sab Kehte Hain
Tum Boht Muskuraati Ho
Khanakate Howe Shokh Lehje Main Jab BoLti Ho
ToO Lagta Hai
Duniya Haseen Ho Gaii Hai
Tumhari Hansi Boht KhobSoorat Hai
Tum Mukammal Nazar Aati Ho
Hamen Kitna Khush Rakhti Ho
Main PhiR Se Hans Deti Hon
Sochti Hon
Inhain Apne Wajod Ka Wo Hissa Dikhaaon
Jise Veeraniyaan Chaatt Rahi Hain
AuR Wo Zakhm Dikhaaon
Jo Un K Ataa Karda Hain
Jin K Liye Zindagi WaaR Dii Thi
Phir Mere AndaR Se Aik Aawaz Aati Hai
Aisa Mat Karna
Inhain Khush Rakho
Dukh Na Daina
Sach Mat Bataana
Ye Sab Tere Chaahne WaLe Hain
Tujhe PyaaR Karte Hain
Bas In K Liye
Apna Har Ghum Chupaao
Muskuraaao…..
Sada Muskuraaao…’
‘humain koi Gham nahin tha Gham-e-ashiqi se pehle
na thii dushmanii kisii se terii dostii se pehle
hai ye merii badnaseebii teraa kyaa qasoor iss mein
tere Gham ne maar Daalaa mujhe zindagii se pehle
…
meraa pyaar jal rahaa hai aye chaand aaj chhup jaa
kabhii pyaar thaa hamein bhii terii chaandni se pehle
main kabhii na muskuraataa jo mujhe ye ilam hotaa
ke hazaaron Gham milenge mujhe ik Khushii se pehle
ye ajeeb imtehaan hai ke tumhii ko bhoolnaa hai
mile kab they iss tarah ham tumhein bedilii se pehle’
‘”Badnaam Zamany main Mohabbat Nahi Karty”
“Dil Waly To Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karty”
“Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe hein”
“Ham Log Amanat Main Khyanat Nahi Karty”
“Tanhai Main Karty Hein Yaad Aansoo Baha Kar”
“Zahir Kabhi Ham Apni haqiqat Nahi Karty”
“Waqt Aany Per Maaloom Ye Ho Jaye Ga Uss Ko”
“Ham Sirf Dekhawy Ki Mohabbat Nahi Karty”‘
Masrof hen din raat uneh waqt kahan hy
Wo hmse karen bat uneh waqt kahan hy
Be-tabi-e-dil ka uneh andaza kahan hy
samjhen mere jazbat uneh
waqt kahan ahan hy
Is dil mei sulagte huay sholoon ko wo dekhein
Ay waqt-e-mulaqat uneh waqt kahan hy
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai
magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai
‘Teray Piyar Main Janaa Hum Nay Baray Dhukay Khayay Hain
Dil Per Hath Rukh Ker Yahan Tuk Chalay Aiy Hain
Teray Tasawur Main Janaa Zindagi Guzaar Di Hum Nay
Ub Deed Ki Piyass Ankhon Main Liyay Chalay Aiy Hain
Her Shaks Per Tera Gumman Rehta Hey Hum Ko
Teri Khushbu Mun Main Basaiy Chalay Ai Hain
Muchulti Arzuwon Ko Poora Ker Day Gur
Apna Dil Hataili Per Liyay Chalay Aiy Hain’
‘Mey apni Zaat chor aya hun,
Hijr ki raat choor aya hun.
Chala aya hun us ki mehfil sey,
Kuch Shikayaat choor aya hunn.
Ki teri Baat ki qadardani,
Mey apni baat choor aya hun
.
Rukhsat ho ker mein fani dunya sey,
Sub kharafat choor aya hun.
Ek asasa thay yey mera
Dil kay jazbaat choor aya hun.’
Dil-e-naadan to muhobat ki sada deta hai
jise chaho wohi shakhs daga deta hai
phir main kyun us se muhabat ki tawaqqo rakhon
jo har baat raqeebon ko bata deta hai
tu agr bewafa hai to kya gham
dil to phr b tuje jeene ki dua deta hai
tm samjhte ho k hr shakhs na samaj hai
waqt ustaad hai hr baat sikha deta hai
tm agr zakhm pe chirko gay namak
waqt marhm hai har cheez bhula deta hy….’
tumhary bin me jee loon gi mera tum se ye wada he
zeher-e-judai pee loon gi mera tum se ye wada he
mager ik shert he meri btao !
puri kro gy kia?
me jb b tanha ho jaon tum apni yad bhejo gy
jo mj ko hosla dy gi
mere ghum me wo roye gi
mere ansu wo pee ly gi
tum apni yad se kehna
mje na chor kr jaye
mera sahara bn jaye
or ab bus akhri ik baat……
tumhary bin ye jeevan bht veeran lgta he
ye wada nibhana b bht dushwar lgta he!!!
‘Aghaz k jhute bandhan me
Aghaz k gehre pardon me
Hr shakhs mohabbat krta hy
Halan k mohabbat kch b nhi
Sb jhute rishte natay hain
Sb dil rakhnay ki batain hain
Kb kon kisi ka hota hy
Sb asli roop chupaty hain
Ehsas s khali log yahan
Lafzon ki teer chalaty hain
Ek bar nazar m aa k wo
Phir sari umer rulaty hain
Ye ishq o mohabbat, mehr o wafa
Ye sb kehny ki batain hain
Hr shaks khudi ki masti me
Bs apni khatir jeeta hy
Bs apni khatir jeeta hy……………’
‘mohabbat ki tamanna hai to phir wo wasf paida kar
jahan sy ishq chala hai, wahan tak naam paida kar…
agar sacha hai meray ishq mai to aey bani aadam,
nigahe ishq paida kar, jmal-e-zarf paida kar…
mai tuj ko tuj say ziada or saab say ziada chahon ga,
magar shart ye hai k apnay andar meri justaju to paida kar…
agar na badlon teri khatir har ek cheez to kehna,
tu apnay aap mai pehlay andaz-e-wafa to paida kar’
‘Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey
Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey
Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey
Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey
Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey
Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey’
Khanjr Se Kro Baat Na Talwaar Se Poocho,
Main Qatal Huwa Kaise Mere Yaar Se Poocho,
Farz Apna Maseeha Ne Ada Kr Diya Lekin,
Kis Tarha Kati Rat Ye Beemar Se Poocho,
Kuch Bhool Hovi Hai To Saza B Koi Hogi,
Sub Kuch Main Bata Don ga Zara Pyar Se Poocho,
Aankho Ne To Chup Reh K B Rodad Suna Di,
Q Khul Na Sake Ye Lub Izhaar Se Poocho,
Ronaq Hai Mere Ghar Main Tasawur Hi Se Jis k,
Wo Kon Tha “RAAHI” Dr-o-Deewar Se pocho.!!
Suno!
Mujhe Rona Nhi Aata.
Mujhe Khona Nhi Aata.
K Tum Bin Jeena Mushkil Hai.
Jo Dard Tum Dena Chahte Ho Mujhe Sehna Nhi Ata.
Tum To Reh Lo Ge Saath Kisi Aur K Mgr.
Main Kya Krun K Mujhe RASTA Badalna B Nhi Ata.
Tum To Waaqif Ho Andaz.E.Guftugu K.
Mujhe To Baat Krne Ka Salika B Nhi Ata.
Tum To Jeet Jate Ho Larr Jhagar Kr B.
Dekho Mujhe To Larna B Nhi Ata.
Tum To Khush Reh Lo Ge Mere Bin.
Dekho Tumhare Bin To Mujhe Jeena B Nhi Aata
Akelay Jo Dukh Uthatey Ho,
Yeh Tum Acha Nahi Kartay,
Humara Dil Jalatay Ho,
Yeh Tum Acha Nahi Kartay,
Kaha Bhi Tha Mohabat Hai,
Mohabbat Hi Issey Rakho,
Tamasha Jo Banatay Ho,
Yeh Tum Acha Nahi Kartay,
Uthatay Ho Falak Tak Tum,
Humain Saray Mehfil Main,
Uthaa Kar Jo Giratay Ho,
Yeh Tum Acha Nahi Kartay,
Jo Koi Pooch Lay Tumse ke,
Rishta Kya Hai Abhi Un Sey,
To Nazron Ko Jo Jhukatay Ho,
Yeh Tum Acha Nahi Kartay,
Bikhar Jayen Andheron Main,
Saharaa Tum To Detay Ho,
Magar Phir Chorr Jatay Ho,
Yeh Tum Acha Nahi Kartay..
Usy Kehna Ameer_E_Shehr Kbi Sir Nicha Nhi Krte,
Ana Ka Hm Kisi B Hal Me Soda Nhi Krte,
Agr Ghm Hd Se Brh Jayen To Ansu Aa He Jatey Hen,
Mgr Hm Apni Aankhon Ko Kbi Drya Nhi Krte,
Khushi K Sare Mosm Dusron Me Baant Dete Hen,
Fqat 1 Drd Ki Dolat Hy Jo Baanta Nhi Krte,
Hm Ehle ZOQ Ki Fitrat Se Sare Log Waqif Hen,
K Hm Kuch Kr Guzrte Hen Mgr Socha Nhi Krte,
Kren Gay Tum Se Hm Trk_E_Taaluq Ye Kese Mumkin Hy,
K Hm To Dushmnon Ka Sath B Chora Nhi Krtay.