ghazals

URDU GHAZALS • URDU POETRY • SHAIRY IN URDU | Best Ghazals in Hindi & Urdu Online

 

 

Shor Karna Humain.. Irfan Siddiqi Ghazal

Shor karna humain be-wajh nahiN aagaya hai

Koi Khanjar rag e gardan ke qareeN aagaya hai

Ko ba koo said chale aate hain gardan daalay

Shahr mein kaun shikari sar e zeeN aagaya hai

Aur kijiyee hunar e khush badanaaN ki taareef

Woh badan aag lagaane ko yahiN aagaya hai

Dil e barbaad zamaane se alag hai shayed

Saara aalam to tere zer e nageeN aagaya hai

Unke nazdeek yeh saari sukhan aaraayi thi

Tujh ko dekha hai to logon ko yaqeeN aagaya hai

Ab kisi Kheema e gah-naaz mein jaate nahi hum

beech mein kab se koi khaanaa nasheeN aagaya hai

(Irfan Siddiqi)

 

Aa Gaya Tha Woh Khush Khesaal Pasand

آ گیا تھا وہ خوش خصال پسند
تھی ہماری بھی کیا کمال پسند

حیف! بد صورتی رویّوں کی
ہائے دل تھا مرا جمال پسند

کیوں بنایا تھا ٹِھیکرا دل کو
کیوں کیا ساغرِ سفال پسند

ٹھیک ہے میں نہیں پسند اُنہیں
لیکن اس درجہ پائمال پسند

سچ نہ کہیے کہ سچ ہے صبر طلب
لوگ ہوتے ہیں اشتعال پسند

ہاں مجھے آج بھی پسند ہے وہ
اس کو کہتے ہیں لازوال پسند

حلم ہے اہلِ علم کا شیوہ
جاہ والوں کو ہے جلال پسند

وصل کو ہجر ، ناگہانی موت
ہجر کو موسمِ وصال پسند

فکرِ دنیا نہیں! مجھے احمدؔ
اپنی مستی اور اپنی کھال پسند

محمد احمدؔ

 

Aa gaya tha wo khush khesaal pasand

Thi hamari bhi kya kamaal pasand

Haif bad-soorati rawayyoN ki

Haaye dil tha mera jamaal pasand

Kyun banaya tha Theekra dil ko

Kyun kiya saaghar e sefaal pasand

Theek hai main nahi pasand unhein

Lekin is darja paayemaal pasand??

Sach na kahiye K sach hai sabr talab

Log hote hain ishte’aal pasand

Haan mujhe aaj bhi pasand hai woh

Is ko kahte hain lazawaal pasand

Hilm hai ahl e ilm ka shewaa

Jaah walon ko hai jalaal pasand

Wasl ko hijr, naagehaani maut

Hijr ko mausam e wesaal pasand

Fikr e duniya nahi mujhe Ahmad

Apni masti aur apni khaal pasand

(Mohammad Ahmad)

 

Mile Bina Hi Bichharne Ke Dar Se Laut Aaye

ملے بنا ہی بچھڑنے کے ڈر سے لوٹ آئے

عجیب خوف میں ہم اس کے در سے لوٹ آئے

نہ ایسے روئیے ناکامی_محبت پر

خوشی منائیے زندہ بھنور سے لوٹ آئے

یہ سوچتے ہوئے بیٹھے ہیں راہ میں رک کر

اُدھر تو گئے ہی نہیں تھے جدھر سے لوٹ آئے

لب اس کے سامنے تھے اور ہم نے چوما نہیں

سمجھ لو پاؤں اٹھے اور در سے لوٹ آئے

ابھی تو وقت ہے سورج کے ڈوبنے میں تو پھر

یہ کیا ہوا کہ پرندے سفر سے لوٹ آئے

کسی بھی طرح یہ دنیا نہ چھوڑ پائے ہم

کہ جب بھی نکلے تری رہ_گزر سے لوٹ آئے

پھر اس نے دیکھا کوئی تارا ٹوٹتے اک رات

پھر ایک روز مسافر سفر سے لوٹ آئے

مرے گزرنے کی افواہ ہی اڑا دے کوئی

کسے خبر کہ وہ جھوٹی خبر سے لوٹ آئے

(kuldeep)

Mile bina hi bichharne ke Dar se laut aaye
Ajeeb khauf mein hum us ke dar se latu aaye

Na aise roiye naakaamii -e- muhabbat per
Khushi manaaiye zinda bhanwar se laut aaye

Yeh sochte hue baithe hain raah mein ruk kar
Udhar to gaye hi nahi the jidhar se laut aaye

Lab uske, saamne the aur hum ne chooma nahi
Samajh lo paon uThay aur dar se laut aaye

Abhi to waqt hai suraj ke doobne mein to phir
Ye kya hua K parinday safar se laut aaye

Kisi bhi tarah ye duniya na chhoR paye hum
K jab bhi nikle teri rahguzar se laut aaye

Phir us ne dekha koi tara toot_te ek raat
Phir ek roz musafir safar se laut aaye

Mere guzarne ki afwaah hi uRaade koi
Kise khabar K woh jhooti khabar se laut aaye

(Kuldeep kumar)

 

Bujha Hai Dil To Gham E Yaar Ab Kahan Tu Bhi

Bujha hai dil to Gham e yaar ab kahan tu bhi
Besaan e naqsh ba deewar ab kahan tu bhi

Baja K chashm e talab bhi hui tahee-keesa
Magar hai rounaq e bazaar ab kahan tu bhi

Hamen bhi kar e jahaN le gaya hai dur bahut
Raha hai dar-pa-e-aazaar ab kahan tu bhi

Hazar suratein ankhoN mein phirti rahti hain
Meri nigaah mein har baar ab kahan tu bhi

Usi ko waada faramosh kyun kahein ae dil
Raha hai saahab e kirdaar ab kahan tu bhi

Meri ghazal mein koi aur kaise dar aayye
Sitam to yeh hai K ae yaar ab kahan tu bhi

(Ahmad Faraz)

 

Yeh Jo Deewanay Se Do Char Nazar Aate Hain

Yeh jo deewanay se do chaar nazar aate hain
In mein kuchh saahab E israar nazar aate hain

Teri mehfil ka bharam rakhte hain so jate hain
Warnaa yeh log to bedaar nazar aate hain

Door tak koi sitaaraa hai na koi jugnoo
Marg E ummeed ke aasaar nazar aate hain

Mere daaman mein shararoN k siwa kuchh bhi nahi
Aap phooloN ke khareedaar nazar aate hain

Kal jinhein chhu nahi sakti thi farishtoN ki nazar
Aaj woh raunaq E baazaar nazar aate hain

Hashr mein kaun gawaahi meri dega ‘Saghar’
Sab tumhaare hi tarafdaar nazar aate hain

(SaGhar Siddiqi)

tagged best ghazal, best shairy, shairy in urdu, urdu ghazals, urdu poetry1 comment
Daikh Masti Wajood Ki Meri
june 29, 2017, posted in ilhaami aayaat, irfan sattar

دیکھ مستی وجود کی میری
تا ابد دھوم مچ گئی میری

تُو توجہ اِدھر کرے نہ کرے
کم نہ ہو گی سپردگی میری

دل مرا کب کا ہو چکا پتھر
موت تو کب کی ہو چکی میری

اب تو برباد کر چکے، یہ کہو
کیا اسی میں تھی بہتری میری؟

میرے خوش رنگ زخم دیکھتے ہو؟
یعنی پڑھتے ہو شاعری میری؟

اب تری گفتگو سے مجھ پہ کھُلا
کیوں طبیعت اداس تھی میری

زندگی کا مآل اتنا ہے
زندگی سے نہیں بنی میری

چاند حسرت زدہ سا لگتا ہے
کیا وہاں تک ہے روشنی میری؟

اب میں ہر بات بھول جاتا ہوں
ایسی عادت نہ تھی، کہ تھی میری؟

میری آنکھوں میں آکے بیٹھ گیا
شامِ فرقت اجاڑ دی میری

پہلے سینے میں دل دھڑکتا تھا
اب دھڑکتی ہے بے دلی میری

کیا عجب وقت ہے بچھڑنے کا
دیکھ، رکتی نہیں ہنسی میری

خود کو میرے سپرد کربیٹھا
بات تک بھی نہیں سنی میری

تیرے انکار نے کمال کیا
جان میں جان آگئی میری

میں تو پل بھر نہیں جیا عرفان
عمر کس نے گزار دی میری

~~~~***~~~~

Daikh masti wajood ki mairi
Ta-abad dhoom mach gayi mairi

Tu tawwajo idhar kare, na kare
Kam na hogi supurdagi mairi

Dil mera kab ka ho chuka patthar
Maut to kab ki ho chuki mairi

Ab to barbad kar chuke, ye kaho
Kya isi meiN thi behtari mairi?

Mere khush-rang zakhm daikhte ho
Ya’ani paRhtey ho shayeri mairi?

Ab teri guftugu se mujh pe khula
KyuN tabiyat udaas thi mairi

Zindagi ka ma’al itna hai
Zindagi se nahiN bani mairi

Chaand hasrat-zada sa lagta hai
Kya wahaN tak hai roshni mairi?

Ab maiN har baat bhool jata hooN
Aisi aadat na thi…K thi mairi?

Mairi aankhoN meiN aa ke baiTh gaya
Shaam-e-furqat ujaaR di mairi

Pehle seene meiN dil dhaRakta tha
Ab dhaRakti hai be-dili mairi

Kya ajab waqt hai bichaRney ka
Daikh rukti nahiN hansi mairi

Khud ko maire supurd kar baiTha
Baat tak bhi nahiN suni mairi

Tere inkaar ne kamaal kiya
Jaan meiN jaan aa gayi mairi

MaiN to pal bhar nahiN jiya ‘Irfan’
Umr kis ne guzaar di mairi

(Irfan Sattar)

<h3>Wo Humsafar Tha Magar Us Se Humnawaai Na Thi</h3>

ﻭﮦ ﮨﻤﺴﻔﺮ ﺗﮭﺎ ﻣﮕﺮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮨﻢ ﻧﻮﺍﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﮐﮧ ﺩﮬﻮﭖ ﭼﮭﺎﺅﮞ ﮐﺎ ﻋﺎﻟﻢ ﺭﮨﺎ ﺟﺪﺍﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ

ﻣﺤﺒﺘﻮﮞ ﮐﺎ ﺳﻔﺮ ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﺑﮭﯽ ﮔﺰﺭﺍ ﺗﮭﺎ
ﺷﮑﺴﺘﮧ ﺩﻝ ﺗﮭﮯ ﻣﺴﺎﻓﺮ ﺷﮑﺴﺘﮧ ﭘﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ

ﻋﺪﺍﻭﺗﯿﮟ ﺗﮭﯿﮟ ، ﺗﻐﺎﻓﻞ ﺗﮭﺎ، ﺭﻧﺠﺸﯿﮟ ﺗﮭﯿﮟ ﺑﮩﺖ
ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﻣﯿﮟ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺗﮭﺎ ، ﺑﮯ ﻭﻓﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ

ﺑﭽﮭﮍﺗﮯ ﻭﻗﺖ ﺍﻥ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﯽ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﻏﺰﻝ
ﻏﺰﻝ ﺑﮭﯽ ﻭﮦ ﺟﻮ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﺍﺑﮭﯽ ﺳﻨﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ

ﮐﺴﮯ ﭘﮑﺎﺭ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﻭﮦ ﮈﻭﺑﺘﺎ ﮨﻮﺍ ﺩﻥ
صدﺍ ﺗﻮ ﺁﺋﯽ ﺗﮭﯽ ﻟﯿﮑﻦ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﮨﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ

ﻋﺠﯿﺐ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ ﺭﺍﮦ ﺳﺨﻦ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﮑﮫ ﻧﺼﯿﺮ
ﻭﮨﺎﮞ ﺑﮭﯽ ﺁ ﮔﺌﮯ ﺁﺧﺮ، ﺟﮩﺎﮞ ﺭﺳﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ

ﻧﺼﯿﺮ ﺗُﺮّﺍﺑﯽ

Wo hu-msafar tha magar us se hum-nawaai na thi

Ke dhoop chhaaNv ka aalam raha, judaai na thi

MuhabbatoN ka safar is tarah bhi guzraa tha

Shikasta dil the musaafir, shikasta-paayi na thi

Adavatein thiN, taghaful tha, ranjisheiN thiN bahut

BichhaRne wale mein sab kuchh tha be-wafaai na thi

BichhaRte waqt un aNkhoN mein thi hamari Ghazal

Ghazal bhi woh, jo kisi ko abhi sunaai na thi

Kise pukaar raha tha woh doobta hua din

Sadaa to aayi thi lekin koi duhaai na thi

Ajeeb hoti hai raah E sukhan bhi, dekh ‘Naseer’

WahaaN bhi aagaye aakhir, jahaaN rasaai na thi

(Naseer Turrabi)

<h3>Bayaan E Haal Mufassal Nahi Hua Ab Tak</h3>

بیانِ حال مفصّل نہیں ہوا اب تک
جو مسئلہ تھا وہی حل نہیں ہوا اب تک

نہیں رہا کبھی میں تیری دسترس سے دور
مِری نظر سے تُو اوجھل نہیں ہوا اب تک

بچھڑ کے تجھ سے یہ لگتا تھا ٹوٹ جاؤں گا
خدا کا شکر ہے پاگل نہیں ہوا اب تک

جلائے رکھا ہے میں نے بھی اک چراغِ امید
تمہارا در بھی مقفّل نہیں ہوا اب تک

مجھے تراش رہا ہے یہ کون برسوں سے
مِرا وجود مکمل نہیں ہوا اب تک

دراز دستِ تمنّا نہیں کیا میں نے
کرم تمہارا مسلسل نہیں ہوا اب تک

————– جہانگیرنایاب

Bayaan E haal mufassal nahi hua ab tak
Jo mas’ala tha wohi hal nahi hua ab tak

Nahi raha kabhi main teri dastaras se door
Meri nazar se too ojhal nahi hua ab tak

BichhaR ke tujh se ye lagta tha tut jaunga
Khuda ka shukr hai paagal nahi hua ab tak

Jalaye rakkha hai main ne bhi ek chiragh E umeed
Tumhara dar bhi muqaffal nahi hua ab tak

Mujhe tarash raha hai ye kaun barson se
Mera wajood mukammal nahi hua ab tak

Daraaz dast E tamanna nahi kiya main ne
Karam tumhara musalsal nahi hua ab tak

(Jahangir Nayaab)

<h3>Bahut Kathin Tha Nibhaana, Nibaah Main Ne Kiya…</h3>

Bahut kaThin tha nibhaana, nibaah main ne kiya

Khud apne aap ko yaani tabaah main ne kiya

Mila tha jab K mujhe tu sufaid-umri mein

Tujhe bhi pyaar magar be-panaah main ne kiya

MaiN tere jism ke ander tha baat karte hue

Tujhe pata bhi nahi jo gunaah main ne kiya

Jo kamsukhan the miyaN wo bhi daad dene lage

Kisi ke she’r pe jab waah waah main ne kiya

Tu mere jurm ki tamheed E be-gunaahi dekh

Koi wakeel na koi gawaah main ne kiya

Tumhare ishq pe woh naaz hai mujhe jaanaaN

K is Ghuroor mein sar kaj-kulaah main ne kiya

(Mehshar Afridi)

2 comments
Bhuli Bisri Hui Yaadon Mein Kasak Hai Kitni
march 9, 2016, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
Bhuli bisri hui yaadoN mein kasak hai kitni

Doobti shaam ke atraaf chamak hai kitni

Manzar E gul to bus ek pal k liye Thahra tha

Aati jaati hui saansoN mein mahak hai kitni

Gir ke Too-Ta nahi shayed woh kisi pat-thar per

Uski aawaz mein taabindaa khanak hai kitni

Apni har baat mein woh bhi hai hasinoN jaisa

Us saraapay mein magar nok plak hai kitni

Jaate mausam ne jinhein chhoR diya hai tanha

Mujh mein un TooT-te pattoN ki jhalak hai kitni

(Zubair Rizvi)

<h3>Rona Gana PaR Jata Hai</h3>

Ronaa gaanaa paR jata hai
Ishq to maNhga paR jata hai

TaabereiN aage chalti hain
Khaab akelaa paR jata hai

Main bhi shahr e wafa jaaunga
Kitna kharchaa paR jata hai?

DeewareiN jab girne ko hoN
Dar per jaalaa paR jata hai

Ek din ankheiN thak jati hain
Ek din ronaa paR jata hai

Tu na ho to dil ka aaNgan
Kaisa soona paR jata hai!

(Ghalib Ayaz)

<h3>Pahunch Se Door, Chamakta Saraab Yaani Tu</h3>

پہنچ سے دُور ۔۔ چمکتا سراب ۔۔ یعنی تُو
مجھے دکھایا گیا ایک خواب یعنی تُو

مَیں جانتا ھوں ببُول اور گلاب کے معنی
ببُول یعنی زمانہ ، گلاب یعنی تُو

جمالیات کو پڑھنے کا شوق تھا ، سو مجھے
عطا ھوا ھے مکمل نصاب یعنی تُو

کہاں یہ ذرّہء تاریک بخت یعنی مَیں
کہاں وہ نُور بھرا ماھتاب یعنی تُو

بدل گئی ھے بہت مملکت مرے دِل کی
کہ آگیا ھے یہاں انقلاب یعنی تُو

ھر اِک غزل کو سمجھنے کا وقت ھے نہ دماغ
مجھے بہت ھے فقط انتخاب یعنی تُو

کبھی تو میرے اندھیروں کو روشنی دے گا
گریز کرتا ھوا ماھتاب یعنی تُو

اِدھر ھے کوہ کنِ دشتِ عشق یعنی مَیں
اُدھر ھے حُسنِ نزاکت مآب یعنی تُو

اُجاڑ گُلشنِ دل کو بڑی دعاوں کے بعد
ھوا نصیب گُلِ باریاب یعنی تُو

بہت طویل سہی داستانِ دل ، لیکن
بس ایک شخص ھے لُبِّ لباب یعنی تُو

کبھی کبھی نظر آتا ھے دشتِ ھجراں میں
جنُوں کی پیاس بڑھاتا سراب یعنی تُو

چکھے بغیر ھی جس کا نشہ مُسلسل ھے
مجھے بہم ھے اِک ایسی شراب یعنی تُو

کوئی سوال ھے جس کو جواب مِلتا نہیں
سوال یعنی کہ فارس ، جواب یعنی تُو

رحمان فارس

~~~

Pahunch se door, chamakta saraab – yaa’ni tu

Mujhe dikhaaya gaya aek khaab – yaa’ni tu

Main jaanta hun babul aur gulaab ke maani

Babool yaani zamaana, gulaab – yaa’ni tu

Jamaaliyaat ko paRhne ka shauq tha, so mujhe

Ataa hua hai mukammal nisaab – yaa’ni tu

KahaaN yeh zarra E taar-k-bakht, yaani main

KahaaN woh noor bhara maahtaab – yaa’ni tu

Badal gayi hai bahut mamlekat mere dil ki

K aagayaa hai yahaaN inqilaab – yaa’ni tu

Har ek Ghazal ko samajhne ka waqt hai na dimaGh

Mujhe bahut hai faqat intekhaab – yaa’ni tu

Kabhi to mere andheroN ko raushni dega

Gurez karta hua maahtaab – yaa’ni tu

Idhar hai koh-kan-e-dasht-e-ishq yaani main

Udhar hai husn E nazaakat ma’aab – yaa’ni tu

UjaaR gulshan E dil ko baRi duaaoN ke baad

Hua naseeb, gul E baaryaab – yaa’ni tu

Bahut taveel sahi daastaan E dil lekin

Bus ek shakhs hai lubb-e-labaab – yaa’ni tu

Kabhi kabhi nazar aata hai dasht E hijraaN mein

JunuN ki pyaas baRhata saraab – yaa’ni tu

Chakhe beghair hi jis ka nasha mukammal hai

Mujhe baham hai ek aisi sharaab – yaa’ni tu

Koi sawaal hai jis ko jawaab milta nahi

Sawaal yaani K ‘Faaris’, jawaab – yaa’ni tu

(Rahman Faaris)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Wafa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liya
august 5, 2015, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Wafaa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liyaa

Ke Teri Baat Ki Aur Teraa Naam Bhi Na Liyaa

Khushaa Wo Log K Mehroom E Iltefaat Rahay

Tere Karam Ko Ba Andaaz E Saadgi Na Liyaa

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay

Hazaar Shukar GirebaaN Ko Ham Ne Si Na Liyaa

Tamaam Masti O Tishnaa-Labii Ke Hangaamay

Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meenaa Liyaa

‘Faraz’ Zulm Hai Itni Khud Aitmaadi Bhi

Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Liyaa

(Ahmad Faraz)

 

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khare Woh

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye KhaRe Woh
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool PaRe Woh

Bhoolaa Nahi Dil Hijr Ke Lamhaat KaRe Woh
Ratein to BaRi ThiN Hi Magar Din Bhi BaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai BigRa Hai Agar Woh
Us Ki To Ye Aadat K HawaaoN Se LaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar Woh
Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se LaRe Woh

Alfaz Thay Us Ke K Bahaaron K Payaamaat
Khushbu Si Barasne Lagi Youn Phool JhaRe Woh

Har Shakhs Mujhe Tujh Se Juda Karne Ka KhaaahaN
Sun Paye Agar Aik To Das Ja K JaRe Woh

Bachche Ki Tarah Chand Ko Choone Ki Tamanna
Dil Ko Koi Shai De De To Kia Kia Na ARe Woh

ToofaaN Hai To Kya Gham Mujhe Awaz To Dejiye
Kya BhooL Gaye Aap Mere Kachche GhaRe Woh!

(Parvin Shakir)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, female poets of urdu, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
ZamiiN Kaisi Lagegi Aasmaan Kaisa Lagega
may 20, 2015, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat
ZamiiN kaisi lagegi, aasman kaisa lagega
Hamare baad tumko ye jahaaN kaisa lagega

Thake haare hue suraj ki bhigi raushni men
HawaaoN se ulajhta baadbaaN kaisa lagega

Jame qadmon ke niche phisalti jaegi ret
Bikhar jaegi jab umr-e-rawaaN kaisa lagega

Isi miTTi men mil jaegi punji umr bhar ki
Giregi jis ghaRi diwar-e-jaaN kaisa lagega

Bahut itra rahe ho dil ki bazi jeetne par
Ziyan baad az ziyan baad az ziyan kaisa lagega

Wo jis ke baad hogi ek musalsal be-neyazi
GhaRi bhar ka wo sab shor o fughan kaisa lagega

Abhi se kya bataen marg-e-majnun ki KHabar par
Suluk-e-kucha-e-na-mehrbaaN kaisa lagega

Batao to sahi ai jaan-e-jaan kaisa lagega
Sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega

(Iftekhar Arif)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Dil Girafta Hi Sahi Bazm Sajaali Jaye
march 4, 2015, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
دل گرفتہ ہی سہی بزم سجالی جائے

یادِ جاناں سے کوہئ شام نہ خالی جائے

رفتہ رفتہ یہی زنداں میں بدل جاتے ہیں

اب کسی شہر کی بنیاد نہ ڈالی جائے

مصحفِ رُخ ہے کسی کا کہ بیاضِ حافظ

ایسے چہرے سے کبھی فال نکالی جائے

وہ مروّت سے ملاِ ہے تو جھکا دوں گردن

میرےدشمن کا کوئی وار نہ خالی جائے

بے نوا شہر کا سایہ ہےمرے دل پہ فراز

کس طرح سے مری آشفتہ خیالی جا ئے

احمد فراز

Dil giraftaa hi sahii bazm sajaali jaye

Yaad E janaN se koi shaam na khaali jaye

Rafta-rafta yahi zandaaN mein badal jate hain

Ab kisi shahr ki buniyaad na daali jaye

Mushaf E rukh hai kisi ka K beyaaz E Hafiz

Aise chehre se kabhi faal nikaali jaye

Wo murawwat se mila hai to jhukadun gardan

Mere dushman ka koi waar na khaali jaaye

Be-nawaa shahr ka saaya hai mere dil pe ‘Faraz’

Kis tarah se meri aashufta khyaali jaye

(Ahmad Faraz)

 

Ab Mehfil E Ghazal Mein Ghazal Aashna Hai Kaun?

 

Renown Urdu poet Dr. Kalim Ajiz passed away yesterday. It is a tribute to him from all poetry lovers.

اب محفلِ غزل میں غزل آشنا ہے کون؟
مانا کہ ایک ہم ہیں، مگر دُوسرا ہے کون؟
قاتل نے جب پُکارا کہ اہلِ وفا ہے کون؟
سب لوگ جب خموش رہے، بول اُٹھا ہے کون؟
تُم اپنی انجُمن کا ذرا جائزہ تو لو
کہنے کو تو چراغ بہت تھے، جلا ہے کون؟
دعویٰ سُخن کا سب کو ہے لیکن تمام عُمر
اک دشمنِ سخن سے مُخاطب رہا ہے کون؟
سب دیکھتے جدھر ہیں اُدھر کیا ہے؟ کچھ نہیں!
ہم دیکھتے جِدھر ہیں اُدھر دیکھتا ہے کون؟
تصویرِ میکدہ میری غزلوں میں دیکھئیے
سنبھلا رہا ہے کون، نشے میں گِرا ہے کون؟
مَیں ایک نقشِ پا ہُوں مگر مَیں بتاؤنگا
اِس راہ سے جو گزرا ہے وہ قافلہ ہے کون!
سب دوست ایک ایک کرکے مُجھے چھوڑتے گئے
دُشمن بھی دنگ ہے کہ یہ تنہا کھڑا ہے کون
گھر بھی ترا، گلی بھی تری، شہر بھی ترا
جو چاہے جِس کو کہہ دے، تُجھے روکتا ہے کون؟
عاجؔز یہ کِس سے بات کرو ہو غزل میں تُم؟
پردہ اُٹھاؤ ہم بھی تو دیکھیں چُھپا ہے کون؟

~~~~~~~***~~~~~~~

Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun?

Maanaa K aek hum hain magar dusraa hai kaun?

Qaatil ne jab pukaara K ahl e wafaa hai kaun?

Sab log jab khamosh rahe bol uTha hai kaun?

Tum apni anjuman ka zaraa jaayezaaH to lo

Kahne ko to chiraagh bahut the, jala hai kaun?

Daa’va sukhan ka sab ko hai lekin tamaam umr

Ek dushman e sukhan se mukhatib raha hai kaun?

Sab dekhte jidhar hain udha kya hai kuchh nahi

Hum dekhte jidhar hain udhar dekhta hai kuan?

Tasveer e maikada meri ghazloN mein dekhiye

Sanbhla raha hai kaun, nashe mein gira hai kaun?

Main ek naqsh e paa hun magar main bataunga

Is raah se jo guzra hai woh qaafila hai kaun?

Sab dost aek ek kar ke mujhe chhoRte gaye

Dushman bhi dang hai k ye tanha khaRa hai kaun?

Ghar bhi tera, gali bhi teri, shahr bhi tera

Jo chahe jis ko kah de tujhe rokta hai kaun?

‘Aajiz’ ye kis se baat karo ho ghazal mein tum?

Parda uThao, hum bhi to dekhien chhupa hai kaun?

(Kalim Ajiz)

 

Peet Karna To Hum Se Nibhaana Sajan…

 

Peet karna to hum se nibhaana sajan, hum be pahlay hi din tha kahaa na sajan

Tum hi majboor ho, hum hi mukhtaar hain, khair maana sajan, yeh bhi maana sajan

Ab jo hone ke Qissay sabhi ho chuke, hum tumhein kho chuke, tum humein kho chuke

Aagay dil ki naa baatoN mein aanaa sajan, K yeh dil hai sadaa ka diwaana sajan

Yeh bhi sach hai na kuchh baat ji ki bani, sooni raatoN mein dekha kiye chaandni

Per yeh sauda hai hum ko puraanaa sajan, aur jeene ka apnay bahaana sajan

Shahr ke log achchhe hain hum-dard hain, per hamaari suno hum jahaaN-gard hain

DaaGh-e-dil na kisi ko dikhaana sajan, yeh zamaana nahi woh zamaana sajan

Us ko muddat hui sabr kartay hue, aaj koo-e-wafaa se guzartay hue

Poochhh kar is gadaa ka thikaana sajan, apne ‘Insha’ ko bhi dekh aana sajan

(Ibn E Insha from CHAAND NAGAR)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ibn e insha, ibn e insha ghazals, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Rooh Mein Le Ke ZamaanoN ki Thakan Aaye The Hum
september 16, 2014, posted in abhishek shukla, ilhaami aayaat
Rooh meiN le ke zamaanoN ki thakan aaye the ham

Raat yuN tha k sar e shahr e badan aaye the ham

Khush-libaasi thi jahaaN shart usi mehfil meiN

Log kahte haiN tera hijr pahan aaye the ham

Yaad to hoga khili dhoop ke maanind ik roz

Rauzan E jaaN se teri rooh meiN chhan aaye the ham

Teri aaNkhoN meiN kabhi aaye the hairat ki tarah

Tere maathe pa’ kabhi misl e shikan aaye the ham

Tumko dekha to mili quvvat e goyaayi hameiN

Varna khaamosh the jab shahr e sukhan aaye the ham

Ye to accha hua jee khol ke roya wo hameiN

Kaisa bacchoN ki tarah dhool meiN san aaye the ham

Usne kuchh aisa banaya tha ki bigde hue the

Usne kuchh aisaa bigada tha ki ban aaye the ham

(abhishek shukla)

 

Woh Dushman E Jaan, Jaan Se Pyaara Bhi Kabhi Tha

Wo dushman-E-jaN, jaan se pyaara bhi kabhi tha

Ab kis se kahaiN, koii humaara bhi kabhi tha

Utra hai rag-O-pai mein to dil kaT sa gaya hai

Yeh zehr-E-judaai K gawaara bhi kabhi tha

Har dost jahaN abr-E-gurezaaN ki tarah hai

Ye shehar kabhi shehr humaara bhi kabhi tha

Titli ke ta’aaqub mein koi phool sa bachcha

Aisaa hi koi khaab humaara bhi kabhi tha

Ab agle zamaane ke milen log toh puchheiN

Jo haal humara hai tumhaara bhi kabhi tha?

Har bazm mein hum ne usay afsurda hi dekha

kahte hain ‘Faraz’ anjuman-aara bhi kabhi tha

(Ahmad Faraz)

 

Ajab Hai Rang E Chaman Ja Ba Ja Udaasi Hai

عجب ہے رنگ ِ چمن، جا بجا اُداسی ہے

مہک اُداسی ہے، باد ِ صبا اُداسی ہے

نہیں نہیں، یہ بھلا کس نے کہہ دیا تم سے؟

میں ٹھیک ٹھاک ہوں، ہاں بس ذرا اُداسی ہے

میں مبتلا کبھی ہوتا نہیں اُداسی میں

میں وہ ہوں جس میں کہ خود مبتلا اُداسی ہے

طبیب نے کوئی تفصیل تو بتائی نہیں

بہت جو پوچھا تو اتنا کہا، اُداسی ہے

گداز ِ قلب خوشی سے بھلا کسی کو ملا؟

عظیم وصف ہی انسان کا اداسی ہے

شدید درد کی رو ہے رواں رگ ِ جاں میں

بلا کا رنج ہے، بے انتہا اُداسی ہے

فراق میں بھی اُداسی بڑے کمال کی تھی

پس ِ وصال تو اُس سے سِوا اداسی ہے

تمہیں ملے جو خزانے، تمہیں مبارک ہوں

مری کمائی تو یہ بے بہا اُداسی ہے

چھپا رہی ہو مگر چھپ نہیں رہی مری جاں

جھلک رہی ہے جو زیر ِ قبا اُداسی ہے

دماغ مجھ کو کہاں کائناتی مسئلوں کا

مرا تو سب سے بڑا مسئلہ اُداسی ہے

فلک ہے سر پہ اُداسی کی طرح پھیلا ہُوا

زمیں نہیں ہے مرے زیر ِ پا، اُداسی ہے

غزل کے بھیس میں آئی ہے آج محرم ِ درد

سخن کی اوڑھے ہوئے ہے ردا، اُداسی ہے

عجیب طرح کی حالت ہے میری بے احوال

عجیب طرح کی بے ماجرا اُداسی ہے

وہ کیف ِ ہجر میں اب غالباً شریک نہیں

کئی دنوں سے بہت بے مزا اُداسی ہے

وہ کہہ رہے تھے کہ شاعر غضب کا ہے عرفان

ہر ایک شعر میں کیا غم ہے، کیا اُداسی ہے

Ajab hai rang e chaman, jaa-ba-ja udaasi hai

Mahek udaasi hai, baad-e-sabaa udaasi hai

Nahi nahi yeh bhala kis ne kah diya tumse

MaiN thik thak hun, haaN bus zara udaasi hai

MaiN mubtila kabhi hota nahi udaasi mein

MaiN wo hun jis mein K khud mubtila udaasi hai

Tabeeb ne koi tafseel to bataayi nahi

Bahut jo poochhha to itna kaha udaasi hai

Gudaaz Qalb khushi se bhala kisi ko mila?

Azeem wasf hi insaan ka udaasi hai

Shadeed dard ki rau hai ravaaN rag-e-jaaN mein

Bala ka ranj hai be inteha udaasi hai

Firaaq mein bhi udaasi baRe kamaal ki thi

Pas-e-visaal to us se siwaa udaasi hai

TumheN mile jo khazaane tumhein mubrak hoN

Meri kamaayi to yeh be-bahaa udaasi hai

Chhupa rahi ho magar chhup nahi rahi meri jaaN

Jhalak rahi hai jo zer-e-qaba udaasi hai

DimaaGh mujh ko kahaaN kaainaati mas’aloN ka

Mera to sab se baRa mas’alaa udaasi hai

Falak hai sar pe udaasi ki tarah phaila hua

ZameeN nahi mere zer-e-paa udaasi hai

Ghazal ke bhes mein aayi hai aaj mahram-e-dard

Sukhan ki oRhe hue hai ridaa, udaasi hai

Ajeeb tarh ki haalat hai meri be-ahwaal

Ajeeb tarha ki be-maajraa udaasi hai

Wo kah rahe the k shair ghazab ka hai ‘Irfan’

Har aek she’r mein kya Gham hai kya udaasi hai

(Poet:Irfan Sattar)

 

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi

 

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisii to na thi
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisii to na thi

Le gayaa chheen ke kaun aaj tera sabr-O-qaraar
Be-Qaraari tujhe ai dil kabhi aisii to na thi

Us kii aaNkhoN ne KHudaa jaane kiya kya jaadu
K tabi’at meri maa’il kabhi aisii to na thi

Aks-E-ruKHsaar ne kis ke hai tujhe chamkaayaa
Taab tujh meiN mah-E-kaamil kabhi aisii to na thi

Ab ki jo raah-E-muhabbat meiN uThaayi takliif
Sakht hoti hameN manzil kabhi aisii to na thi

Paa-E-kubaaN koi zindaaN meN naya hai majnuN
Aatii aavaaz-E-salaasil kabhi aisii to na thi

Nigah-E-yaar ko ab kyuuN hai taGaaful ae dil
Wo tere haal se Ghaafil kabhi aisii to na thi

Chashm-E-qaatil meri dushman thii hamesha lekin
Jaisii ab ho gayi qaatil kabhi aisii to na thi

Kyaa sabab tu jo bigaDta hai ‘Zafar’ se har bar
Khoo teri huur-shamaail kabhii aisii to na thi

(Bahadur Shah Zafar)

tagged bahadur shah zafar ghazals, best ghazal, best ghazals, best shairy, classical ghazal, classical poetry, famous ghazal, fine ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Dil Tujhe Naaz Hai Jis Shakhs Ki …
august 4, 2014, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
دل تجھے ناز ہے جس شخص کی دلداری پر
دیکھ اب وہ بھی اُتر آیا اداکاری پر

میں نے دشمن کو جگایا تو بہت تھا لیکن
احتجاجاً نہیں جاگا مری بیداری پر

آدمی، آدمی کو کھائے چلا جاتا ہے
کچھ تو تحقیق کرو اس نئی بیماری پر

کبھی اِس جرم پہ سر کاٹ دئے جاتے تھے
اب تو انعام دیا جاتا ہے غدّاری پر

تیری قربت کا نشہ ٹوٹ رہا ہے مجھ میں
اس قدر سہل نہ ہو تو مری دشواری پر

مجھ میں یوں تازہ ملاقات کے موسم جاگے
آئینہ ہنسنے لگا ہے مری تیاری پر

کوئی دیکھے بھرے بازار کی ویرانی کو
کچھ نہ کچھ مفت ہے ہر شے کی خریداری پر

بس یہی وقت ہے سچ منہ سے نکل جانے دو
لوگ اُتر آئے ہیں ظالم کی طرف داری پر

Dil tujhe naaz hai jis shakhs ki dildaari par
Dekh! ab woh bhi utar aayaa adaakaari par

MaiN ne dushman ko jagayaa to bahut tha lekin
Ehtejaajan nahiN jaaga meri bedaari par!!

Aadmi aadmi ko khyaaye chala jaataa hai
Kuchh to tahqeeq karo is nayi beemari par

Kabhi is jurm pe sar kaaT diye jaate the
Ab to in’aam diya jata hai Ghaddaari par

Teri qurbat ka nasha TooT raha hai mujh mein
Is qadar sahl na ho tu meri dushwaari par

Mujh mein yuN taaza mulaqat ke mausam jaage
Aayiina haNsne lagaa hai meri taiyyari par

Koi dekhe bhare baazaar ki veerani ko
Kuch na kuch muft hai har shai ki kharidari par

Bus yahi waqt hai sach munh se nikal jaane do
Log utar aaye hain zaalik ki tarafdaari par

(By Sleem Kausar: Muhabbat ek shajar hai)

tagged best ghazal, best ghazals, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Dekh To Dil K Jaan Se Uthta Hai
august 1, 2014, posted in classic ghazals, ilhaami aayaat
Dekh to dil K jaaN se uTh-ta hai
Ye dhuaaN sa kahaaN se uTh-ta hai

Gor kis dil-jale ki hai ye falak
Sho’la ek subh yaaN se uTh-ta hai

BaiThne kaun de hai phir usko
Jo tere aastaaN se uTh-ta hai

YuN uThe aaah! us gali se hum
Jaise koi jahaaN se uTh-ta hai

Khaana-E-dil se zeenhaar na jaa
Koi aise makaaN se uTh-ta hai

Naalaa sar kheeNchta hai jab mera
Shor k aasmaaN se uTh-ta hai

Ishq ek ‘Meer’ bhaari patthar hai
Kab ye tujh naatawaaN se uTh-ta hai

(Mir Taqi Mir)

tagged best ghazal, best ghazals, classical ghazal, classical poetry, famous ghazal, mir taqi mir ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Gaye Baras Ki Eid Ka Din …
july 28, 2014, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir
Gaye baras ki eid ka din kya achchha tha

ChaaNd ko dekh ke uskaa chehra dekha tha

Feza mein ‘Keats’ ke lehje ki nermahat thi

Mausam apne rang mein ‘Faiz’ ka misraa tha

Duaa ke be-aawaaz, uloohi lamhoN mein

Woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha

Hath uTha ker jab aNkhoN hi aNkhoN mein

Us ne mujh ko apne Rab se maaNgaa tha

Phir mere chehre ko haathoN mein le ker

Kitne pyar se mera maatha chooma tha!

Hawa! kuch aj ki shab ka tu ahwaal suna

Kya woh apni chhat per aaj akela tha?

Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne

Chand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha?

(Parveen Shakir)

 

Wahshat E JaaN Ki Pazeeraayi Na Kar Paayega Tu

 

Wahshat e jaaN ki pazeeraayi na kar paayega tu
Khud ko itnaa kabhi sahraayi na kar paayega tu

HaNstaa gaata hua ik shahr hai mujhmeiN maujood
Mere atraaf meiN tanhaayi na kar paayegaa tu

Mujhko dekhegaa baharhaal junooN karte hue
HaaN meri hauslaa-afzaayi na kar paayega tu

Abke lagta hai K beemaar huN maiN sach-much ka
Abke lagtaa hai maseehaayi na kar paayega tu

AaRay aa jaayegii har baar meri naadaani
Mere aage koi daanaayi na kar paayega tu

Khair duniyaa ka bhalaa tujhse kahaaN mumkin hai
Aur mere saath bhi acchaayi na kar paayega tu

MaiN wo patthar huN K jismeiN koi taaseer nahiN
Mukhtasar ye K jabeeNsaayi na kar paayega tu

Ab to har dasht meri zaat ka partau hai yahaaN
Is se badhkar mujhe saudaayi na kar paayega tu

Tujhse mansoob haiN ash’aar kuchh aise bhi mere
Ghaaliban jinki pazeeraayi na kar paayega tu

(Abhishek Shukla)

tagged abhishek shukla ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Tere Tan Ke Bahut Rang HaiN Jaan-E-Man
july 21, 2014, posted in ilhaami aayaat, irfan siddiqui

Tere tan ke bahut rang haiN jaan-e-man, aur nihaaN dil ke nairang-KhanoN meiN haiN!
Laamsaah, Shaammah, Zaaiqaah, Saameaah, Baasraah sab mire raaz daanoN meiN haiN!!
Aur kuChh daaman-e-dil kushaadah karo! dosto, shukr-e-n’emat ziyaadaa karo!
PeR, dariya, hava, raushni, aurteN, KhushbueN sab Khuda ke KhazaanoN meiN haiN!!
Naaqa-e-husn kii ham rakaabii kahaaN ?! Khaima-e-naaz meiN baraayaabii kahaaN?!
Ham to ai baano-e-kishwar-e-dilbari, paasdaaroN meiN haiN! saarbaanoN meiN haiN!!
Mere andar bhii hai ek shehar-e-digar, mere mehtaab ik raat idher se guzar!
Kaise kaise chiraagh in dariichoN meiN haiN! kaise kaise qamar in makaanoN meiN haiN!
Ik sitaarah ada ne yeh kya kar diya?! merii miTTi se mujh ko juda kar diya!
In dinoN paaoN mere zamiiN par nahiiN, ab miri manzileN aasmaanoN meiN haiN!
(Irfan Siddiqui)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, irfan siddiqui ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Qurb E Jaanan Ka Na Maikhaane Ka Mausam Aaya
july 16, 2014, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Qurb-e-jaanaN ka na maikhaane ka mausam aaya
Phir se be-sarfaa ujaR jaane ka mausam aaya

Kunj-e-Ghurbat meN kabhi gosha-e-zandan meN the hum
Jaan-e-jaaN jab bhi tere aane ka mausam aaya

Ab lahu rone ki khaahish, na lahu hone ki
Dil-e-zinda tere marjaane ka mausam aaya

Koocha-e-yaar se har fasl mein guzre hain magar
Shaayad ab jaaN se guzar jaane ka mausam aaya

Koi zanjeer koi harf-e-khirad le aaya
Fasl-e-gul aayi K diivaane ka mausam aaya

Sail-e-khuN shahr ki galiyoN meN dar aya hai Faraz
Aur too khush hai K ghar jaane ka mausam aaya

(Ahmed Faraz – Pas Andaz Mausam)

tagged ahmad faraz ghazal, ghazal by ahmad farazleave a comment
Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaun
june 24, 2014, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
Tujhe kho kar bhi tujhe paauN, jahaaN tak dekhuN

Husn-E-yezdaaN se tujhe husn-E-butaaN tak dekhuN

Tu ne yuN dekha hai jaise kabhi dekhaa hi na tha

Main to dil mein tere QadmoN ke nishaaN tak dekhuN

Faqat is shouq mein poochhi haiN hazaaroN baateiN

MaiN tera husn, tere husn-E-bayaaN tak dekhuN

Mere veeraana-E-jaaN meiN tere Gham ke dam se

Phool khilte nazar aate haiN jahaaN tak dekhuN

Waqt ne zehn mein dhundhla diye tere khad-O-Khaal

YuN to maiN TooT-te taaroN ka dhuaaN tak dekhuN

Dil gaya tha to yeh aaNkheiN bhi koi le jaataa

MaiN faqat aek hi tasveer kahaaN tak dekhuN

Ek haQeeQat sahi firdous meiN hooroN ka wajood

Husn-E-insaaN se nimaT luN to wahaaN tak dekhuN

(Extracted from ‘Moheet’ by Ahmed Nadeem Qasmi)

 

Sookhe Pokhar, Banjar Dharti, Neer Bhaye Ban Chhaon

 

Sookhe pokhar, banjar dharti, neer bhaye ban-chhaoN

MiTTi miTTi lagta hai ab soona – soona gaaoN

Kutte jaise haaNp rahe hain piichhe piichhe log

Aage al-lhaR si ek laRki, Jeevan jis ka naaoN*

ShahroN ke andaaz kahaaN sah paayega dehaat

Gili kachchi pagdandi par, mat rakhiyega paaoN

Gori rangat, kaali zulfeiN, teekhay sab aakaar

Uska sab kuchh yad hai mujhko, bhuluN apna naaoN

Mamta ka dhan baaNT rahi hai saari kachli naar

Gobar-gobar haath haiN jiske, kichaR-kichhaR paaoN

SaaNjh bhayii, sab revaR pahunche apne apne Thor

Ek ‘Badnam’ phire aawaara, jis ka ghar na gaaoN

(By: Badnam Nazar)

*naaoN = Name

 

Jaisa HuN Vaisa KyuN HuN…

 

Jaisa huN vaisa kyuN huN samjha sakta tha maiN

Tum ne poochha to hota, batlaa sakta tha maiN

Aasoodaa rahne ki Khaahish maar gayii varnaa

Aagay aur bahut aage tak jaa sakta tha maiN

ChhoTii moTii ek lahar hii thii mere andar

Ek lahar se kyaa toofaan uThaa sakta tha maiN

KahiN-kahiN se kuchh misre, ek aadh Gazal, kuchh sher

Is pooNjii par kitnaa shor machaa sakta tha maiN

Jaise sab likhte rahte haiN GazleN, nazmeN, geet

Vaise likh likh kar ambaar lagaa sakta tha maiN

(Iftekhar Arif)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Siskiyaan Leti Hui Ghamgeen Hawaao
may 6, 2014, posted in ilhaami aayaat, qateel shifayi

سسکیاں لیتی ہوئی غمگین ہواؤ، چُپ رہو
سو رہے ہیں درد، ان کو مت جگاؤ، چُپ رہو

رات کا پتھر نہ پگھلے گا شعاعوں کے بغیر
صبح ہونے تک نہ بولو ہم نواؤ ، چُپ رہو

بند ہیں سب میکدے، ساقی بنے ہیں محتسب
اے گرجتی گونجتی کالی گھٹاؤ ، چُپ رہو

تم کو ہے معلوم آخر کون سا موسم ہے یہ
فصلِ گل آنے تلک اے خوشنواؤ ، چُپ رہو

سوچ کی دیوار سے لگ کر ہیں غم بیٹھے ہوئے
دل میں بھی نغمہ نہ کوئی گنگناؤ ، چُپ رہو

چھٹ گئے حالات کے بادل تو دیکھا جائے گا
وقت سے پہلے اندھیرے میں نہ جاو ، چُپ رہو

دیکھ لینا، گھر سے نکلے گا نہ ہمسایہ کوئی!
اے مرے یارو، مرے درد آشناؤ ، چُپ رہو

کیوں شریک غم بناتے ہو کسی کو اے قتیلؔ!
اپنی سولی اپنے کاندھے پر اُٹھاؤ ، چُپ رہو

Siskiyaan Leti Hui GhamgeeN Hawao, Chup Raho
So Rahe Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho

Raat Ka Pat_thar Na Pighlega Shuaa’oN Ke Baghair
Subaah Hone Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho

Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Bane Hain Muhtasib
Ae Garajtii Goonjti Kaali Ghataao,Chup Raho

Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Koun Sa Mausam Hai Ye
Fasl-e-Gul Aane Talak Ae Khushnawao, Chup Raho

Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Hue
Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho

ChhaT Gaye Haalaat Ke Baadal To Dekha JaayeGa
Waqt Se Pehle Andhaire Mein Na Jao, Chup Raho

Kiun Sharik-e-Gham Banate Ho Kisi Ko Ae ‘Qateel’
Apni Sooli Apne Kaandhe Per Uthaao, Chup Raho

(By Qateel Shifai)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, qateel shifai ghazals, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Shehr E Gul Ke Khas O Khaashaak Se Khauf Aata Hai
april 17, 2014, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat
شہر گل کے خس و خاشاک سے خوف آتا ہے
جس کا وارث ہوں اسی خاک سے خوف آتا ہے

شکل بننے نہیں پاتی کہ بگڑ جاتی ہے
نئ مٹی کو چاک سے خوف آتا ہے

وقت نے ایسے گھمائے افق ، آفاق کہ بس
محور گردش سفاک سے خوف آتا ہے

یہی لہجہ تھا کہ معیار سخن ٹھہرا تھا
اب اسی لہجئہ بے باک سے خوف آتا ہے

آگ جب آگ سے ملتی ہے تو لو دیتی ہے
خاک کو خاک کی پوشاک سے خوف آتا ہے

قامتِ جاں کو خوش آیا تھا کبھی خلعتِ عشق
اب اسی جامئہ صد چاک سے خوف آتا ہے

کبھی افلاک سے نالوں کے جواب آتے تھے
ان دنوں عالم افلاک سے خوف آتا ہے

رحمتِ سیدِ لولاک پہ کامل ایمان
امتِ سیدِ لولاک سے خوف آتا ھے

Shehr-e-gul ke khas-o-khaashaak se khauf aata hai
Jis ka waaris huN, usi khaak se khauf aata hai

Shakl ban_ne nahi paatii K bigaR jaati hai !!
Nayi miTTi ko naye chaak se khauf aata hai

WaQt ne aise ghumaaye ufaQ – aafaaQ K bus
Mahvar-e-gardish-e-saffaak se khauf aata hai

Yahi lehjaa tha K me’yaar-e-sukhan Thahra tha
Ab isi lehjaa -e- be-baak se khauf aata hai

Aag jab aag se miltii hai to lau deti hai
Khaak ko khaak ki poshaak se khauf aata hai

Qamat-e-jaN ko khush aya tha kabhi khil’at-e-ishq
Ab isi jaama-e-sad-chaak se khauf aata hai

Kabhi aflaak se naaloN ke jawaab aate the
In dinoN aalam-e-aflaak se khauf aata hai

Rahmat-e-syed-e-laulaak pe kaamil eemaan
Ummat-e-syed-e-laulaak se khauf aata hai

(Mehr Do Neem – Iftekhar Arif)

 

Wafa Kar Magar Ustawaari Na Rakh

Wafa kar! magar ustawaari na rakh

Koii bojh seene pe bhaari na rakh

Mohabbat ke badle muhabbat na maang

K yeh silsilaa, karobaari na rakh

Kisii aur heelay se kar mustafeez

FaQat rasm-e-bada-gusaari na rakh

Tu aaya hai to harf-e-matlab pe aa

ZabaaN per bahut khaksaari na rakh

Salamat nahii sar to dastaar kya

Bahut apni ooNchi ataari na rakh

HaqeeQat tujhe maar dalegi sun!!

‘Mujeebi’ bahut jaan kaari na rakh

[Siddique Mujeebi]

 

Khuli Jo Aankh To Woh Tha Na Woh Zamana Tha

 

Khuli jo aaNkh to woh tha na woh zamaanaa thaa

Dahakati aag thi, tanhaayii thi, fasaanaa thaa

GhamoN ne baaNT liyaa hai mujhe yuN aapas meiN

K jaise maiN koii looTaa huaa Khazaanaa thaa

Ye kya K chand hi qadmoN pe thak ke baiTh gaye

TumheiN to saath mera door tak nibhaanaa thaa

Mujhe jo mere lahuu meiN Dubo ke guzaraa hai

Woh koi Ghair nahiiN! yaar ek puraanaa thaa

Khud apne haath se ‘Shahzad’ us ko kaaT diyaa

K jis daraKht kii Tahnii pe aashiyaanaa thaa

{ by : Farhat Shahzad }

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, farhat shahzad ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy5 comments
Us Ne Bekaar Yeh Behroop Banaya Hua Hai
april 2, 2014, posted in ilhaami aayaat, irfan siddiqui
Us ne bekaar ye behroop banaayaa huaa hai

Ham ne jadu ka ik aa’eena lagayaa huaa hai

Do jagah rehte haiN hum, aik to ye shehr-e-malaal

Aik wo shehr jo KhaboN meN basaayaa huaa hai

Raat aur itni musalsal, kisi deevaane ne

Subh roki hui hai, chaand churaayaa huaa hai

Ishq se bhi kisi din ma’raka faisal ho jaaye

Us ne muddat se bahut hashr uThaayaa huaa hai

LaGhzisheN kaun sanbhaale K muhabbat meN yahaaN

Hum ne pehle hi bahut bojh uThaayaa huaa hai

Baano-e-shehr, hameN tujh se nadaamat hai bahut

Aik dil hai so kisi aur pe aayaa huaa hai!!!

(by: Irfan Siddiqui)

 

Kaash Ek Aisi Shab Aae Jab Tu Ho Pehlu Mein

 

کاش اک ایسی شب آئے جب تُو ہو پہلو میں

سانسیں سانسوں میں مل جائیں، آنسو آنسو میں

 

یاد کی لَو سے آئینے کا چہرہ ہو پُرنور

نہا رہی ہو رات کی رانی خواب کی خوشبو میں

 

نیند مری لے کر چلتی ہے شام ڈھلے، اور پھر

رات الجھ کر رہ جاتی ہے اُس کے گیسو میں

 

رہے ہمارے ہونٹوں پر اک نام کا دن بھر ورد

شب بھر دل کی رحل پہ رکھا اک چہرہ چومیں

 

آپ اپنی ہی ضَو سے جگمگ کرنا ساری رات

دھڑک رہا ہو جیسے میرا دل اِس جگنو میں

 

بولتے رہنا ہنستے رہنا بے مقصد بے بات

جیسے دل آہی جائے گا میرے قابو میں

 

ویسے تو اکثر ہوتا تھا ہلکا، میٹھا درد

اب تو جیسے آگ بھری ہو یاد کے چاقو میں

 

ایک دعا تھی جس نے بخشی حرف کو یہ تاثیر

یہ تاثیر کہاں ہوتی ہے جادو وادو میں

 

جب مجھ کو بھی آجائے گا چلنا وقت کے ساتھ

آجائے گی کچھ تبدیلی میری بھی خُو میں

 

تم کیا سمجھو تم کیا جانو کون ہوں میں کیا ہوں

وہ اقلیم الگ ہے جس میں ہیں میری دھومیں

 

قحط ِ سماعت کے عالم میں یہی ہے اک تدبیر

خود ہی شعر کہیں اور خود ہی پڑھ پڑھ کر جھومیں

 

لوگ ہمیں سمجھیں تو سمجھیں بے حرف و بے صوت

ہم شامل تو ہو نہیں سکتے ہیں اِس ہا ہُو میں

 

جن کے گھر ہوتے ہیں وہ گھر جاتے ہیں عرفان

آپ بھی شب بھر مت ایسے ان سڑکوں پر گھومیں

~*~

kaash ik aisi shab aae jab tu ho pehlu meiN
SaNsaiN saNsoN meiN mil jayaiN, aansu aansu meiN

Yaad ki lau se aayiney ka chehraa ho pur-noor
Naha rahi ho raat ki raani khwaab ki khushbu meiN

Neend meri le kar chalti hai shaam Dhaley aur phir
Raat ulajh kar reh jati hai us ke gesu meiN

Rahe hamare honToN par ik naam ka din bhar wird
Shab bhar dil ki rehl pe rakkha ik chehra choomaiN

Aap hi apni zau se jagmag karna saari raat
DhaRak raha ho jaisey maira dil is jugnu meiN

Bolte rehna, hanste rehna, be maqsad, be baat
Jaise aa hi jaae ga dil maire qabu meiN

Waisey to aksar hota tha halka meeTha dard
Ab to jaisey aag bhari hai yaad ke chaaqu meiN

Aik dua thi jis ney bakhshi harf ko ye taaseer
Ye taseer kahaN hoti hai jadu wadu meiN

Jab mujh ko bhi aa jae ga chalna waqt ke sath
Aa jaae gi kuch tabdeeli mairi bhi khu meiN

Tum kya samjho tum kya jano kon huN kya huN maiN
Woh iqleem alag hai jis meiN haiN mairi dhoomaiN

Qeht-e-sama’at ke aalam meiN yehi hai ik tadbeer
Khud hi shair kahaiN aur khud hi paRh paRh kar jhumaiN

Log hamaiN samjhaiN to samjhaiN be-harf-o-be-saut
Hum shamil to ho nahiN sakte haiN is ha hu meiN

Jin ke ghar hote haiN woh ghar jate haiN ‘Irfan’
Aap bhi shab bhar mat aise in saRkoN par ghoomaiN

(Irfan Sattar)

 

Harf Lafzon Ki Taraf Lafz Ma’aani Ki Taraf

 

Harf lafzoN ki taraf lafz ma’aani ki taraf
Laut aaye sabhi kirdaar kahaani ki taraf

Hosh kho baitha tha maiN zardi e jaaN se aur phir
Ik hawaa aayi uRaa le gayi paani ki taraf

Pahle misre meiN tujhe soch liya ho jisne
Jana paRtaa hai use misra e saani ki taraf

Dil meiN ik shakhs ki ummid ka marna tha ki bas
DhaRkaneiN khiNchne lagiN marsiya-khaani ki taraf

Chashm e veeraaN ko baharhaal khushi hai iski
Khaab raaghib to hue naql e makaani ki taraf

Jab fizaa uske badan-rang ki ho jaayegi
Ghaur se dekhenge ham apni jawaani ki taraf

Ham to ik umr hui apni taraf aa bhi chuke
Aur dil hai ki usi dushman e jaani ki taraf

Us se kahnaa ki dhuaaN dekhne laayaq hogaa
Aag pahne hue jaaoonga maiN paani ki taraf

Dil wo dariya hai mire seena e khaali meiN k ab
Dhyaan jata hi nahiN jiski rawaani ki taraf

Uthne lagti hai mire jism se ik boo e firaaq
Raat dekhooN jo kabhi raat ki raani ki taraf

(Abhishek Shukla)

tagged abhishek shukla ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Hum Hain Awaaraa Soo Ba Soo Logo
march 20, 2014, posted in ibn e insha, ilhaami aayaat

ہم ہیں آوارہ سُو بسُو لوگو
جیسے جنگل میں رنگ و بُو لوگو

ساعتِ چند کے مسافر سے
کوئی دم اور گفتگو لوگو

تھے تمہاری طرح کبھی ہم لوگ
گھر ہمارے بھی تھے کبھو لوگو

ایک منزل سے ہو کے آئے ہیں
ایک منزل ہے رُوبُرو لوگو

وقت ہوتا تو آرزو کرتے
جانے کس شے کی آرزو لوگو

تاب ہوتی تو جتسجُو کرتے
اب تو مایوس جستجُو لوگو

ابنِ انشا
Hum haiN aawaaraa soo-ba-soo logo

Jaise jangal mein rang-o-boo logo

Saa’at -e- chand ke musaafir se

Koi dam aur guftagoo logo !!

The tumhaari tarah kabhi hum bhi

Ghar hamaare bhi the kabhoo logo

Aek manzil se ho ke aaye haiN

Aek manzil ke roo-ba-roo logo

Waqt hotaa to aarzoo kartay !!

Jaane kis shai ki aarzoo logo

Taab hoti to justajoo kartay

Ab to maayoos-e-justajoo logo

(Ibn E Insha)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ibn e insha, ibn e insha ghazals, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Khaab Ke Phoolon Ki Taabirein Puraani Hogayin
march 14, 2014, posted in ahmad mushtaq, ilhaami aayaat
Khaab ke phooloN ki taa’beereiN puraani hogayiN

Khoon Thanda paR gaya aaNkhein puraani hogayiN

Jis ka chehraa tha chamakte mausamoN ki aarzoo

Us ki tasviireiN bhi auraaQ e Khazaani hogayiN

Dil bhar aaya kaGhaz-e-khaali ki surat dekh kar

Jin ko kahna tha woh sab bateiN zabaani hogayiN

Jo muqaddar tha usay to rokna bus mein na tha

Un ka kya karte jo baateiN naagihaani hogayiN

Rahgaya Mushtaq dil meiN rang-e-yad-e-raftagaN

Phool maNhgay hogaye QabreiN puraani hogayiN

(By: Ahmad Mushtaq)

 

Dekh Le Khaak Hai Kasay Mien K Zar Hai Saayin

Dekh le! khaak hai kaasay meiN K zar hai saayiN
Dast-e-daadaar baRaa sho’badaa – gar hai saayiN

Tu mujhe uss ke kham -o- paich bataata kya hai
Kooy -e- Qaatil to meri raahguzar hai saayiN

Ye jahaN kya hai bas ek safha-e-be-naqsh-o-nigaar
Aur jo kuchh hai tera husn-e-nazar hai saayiN

Shahr-o-sehra to haiN insanoN ke rak_khe hue naam
Ghar wahiN hai dil-e-deewaana jidhar hai saayiN

Hum ne pahle bhi ma’aal-e-shab-e-Gham dekha hai
AaNkh ab ke jo khulegii to sehar hai saayiN

PaaoN ki fikr na kar, baar-e-kam-o-besh utaar
Asl zanjeer to saamaan-e-safar hai saayiN

Aage taqdeer parinday ki jahaaN le jaaye
Hadd-e-pervaaz faqat hauslaa bhar hai saayiN

Shairi kaun karaamat hai magar kya keejiye!
Dard hai dil meiN so lafzoN mein asar hai saayiN

Ishq meiN kahte hain Farhaad ne kaTa tha pahaaR
Hum ne din kaaT diye yeh bhi hunar hai saayiN

(By Irfan Siddiqui)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, irfan siddiqui ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Ghar Jab Bana Liya, Tere Dar Par Kahe Beghair
february 25, 2014, posted in ilhaami aayaat, mirza ghalib
Ghar jab bana liya, tere dar par kahe beGhair
Jaanega ab bhi tu na mera ghar kahe beGhair

Kahte hain, jab rahi na mujhe taqat-e-sukhan
JanuN kisi k dil ki main kyunkar kahe beGhair

Kaam us se a paRa hai K jisaka jahan mein
Leway na koi naam sitamagar kahe beGhair

Ji mein hi kuch nahi hai hamare wagarna ham
Sar jaaye ya rahe, na rahen par kahe beGhair

ChoRunga main na us but-e-kafir ka poojana
ChoRe na khalq go mujhe kafir kahe beGhair

Maqsad hai naz-o-Ghamza wale guftagu mein kaam
Chalta nahi hai, dashna-o-khanjar kahe beGhair

Har chand ho mushahida-e-haq ki guftagu
Banti nahi hai bada-o-saaGhar kahe beGhair

Behra hun main to chahiye duna ho iltefaat
Sunta nahi hun baat muqarrar kahe beGhair

‘Ghalib’ na kar huzur mein tu bar-bar arz
Zahir hai tera hal sab un par kahe beGhair

Mirza Ghalib

 

Ab Junun Kab Kisi Ke Bus Mein Hai

Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai
Uski khushboo nafas-nafas meiN hai

Haal us Said ka, sunaaiye kya!
Jis ka saiyyad khud qafas meiN hai

Kya hai gar zindagi ka bus na chala
Zindagi kab kisi ke bus meiN hai?

Ghair se rahiyo tu zara hushiyaar
Woh tere jism ki hawas meiN hai!

Paa-shikastaa paRa hua huN magar
Dil kisi naGhma-e-jaras meiN hai

‘Joan’ hum sab ki dastaras meiN haiN
Woh bhala kis ki dastaras meiN hai

(by: Joan Alia)

 

Inkaar Mein Iqraar Ki Baat Aa Hi Gayi Hai
fe

Inkaar meiN iqraar ki baat aa hi gayi hai
BatoN meiN Gham-e-yar ki baat aa hi gayi hai

Aaya hai kabhi zikr agar dar-o-rasan ka
Gesoo-o-qad-e-yar ki baat aa hi gayi hai

Jab surKhi-e-gulshan ka kabhi zikr hua hai
Tere lab-o-ruKhsaar ki baat aa hi gayi hai

DhooNda hai agar zaKhm-e-tamana ne mudaawa
Ek nargis-e-bimaar ki baat aa hi gayi hai

Mil baiThe haiN zandaaN meiN agar sham ko ahbab
Tere dar-o-deewaar ki baat aa hi gayi hai

ChaiRa hai koi talKh fasaana jo kisi ne
Shirini-e-guftaar ki baat aa hi gayi hai

(Mazhar Imam)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, ghazal by mazhar imam, mazhar imam ghazals, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy1 comment
Ghubaar E Tab’ Mein Thori Bahut Kami Ho Jaye
january 23, 2014, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

غبارِ طبع میں تھوڑی بہت کمی ہو جائے
تمھارا نام بھی سُن لوں تو روشنی ہو جائے

ذرا خیال کرو، وقت کس قدر کم ہے
میں جو قدم بھی اُٹھا لوں ، وہ آخری ہو جائے

قیامتیں تو ہمیشہ گزرتی رہتی ہیں
عذاب اُس کے لئے جس کو آگہی ہو جائے

گزر رہے ہیں مرے رات دن لڑائی میں
میں سوچتا ہوں کہ مجھ کو شکست ہی ہو جائے

عجیب شخص ہے تبدیل ہی نہیں ہوتا
جو اُس کے ساتھ رہے چند دن وہی ہو جائے

مرا نصیب کنارہ ہو یا سمندر ہو
جو ہو گئی ہے، تو لہروں سے دشمنی ہو جائے

تمام عمر تو دوری میں کٹ گئی میری
نہ جانے کیا ہو؟ اگر اس سے دوستی ہو جائے

بس ایک وقت میں ساری بلائیں ٹوٹ پڑیں
اگر سفر یہ کٹھن ہے تو رات بھی ہو جائے

میں سو نہ جاؤں جو آسانیاں میسر ہوں
میں مر نہ جاؤں اگر ختم تشنگی ہو جائے

نہیں ضرور کہ اونچی ہو آسمانوں سے
یہی بہت ہے زمیں پاؤں پر کھڑی ہو جائے

تمام عمر سمٹ آئے ایک لمحے میں
میں چاہتا ہوں کہ ہونا ہے جو ابھی ہو جائے

وہی ہوں میں وہی امکاں کے کھیل ہیں شہزادؔ
کبھی فرار بھی ممکن نہ ہو، کبھی ہو جائے

شہزادؔ احمد
Ghubaar-e-tab’ mein thoRi bahut kami ho jaye
Tumhaara naam bhi sun lun to roushni ho jaye

Zara khayaal karo! waqt kis Qadar kam hai
MaiN jo Qadam bhi uThaluN woh aakhri ho jaye

QaymaateiN to hameshaa guzartii rahtii haiN
‘azaab us ke liye jis ko aa-gahee ho jaye

Guzar rahe haiN mere raat din laRaayii meiN
MaiN sochta huN K mujh ko shikast hi ho jaye

Ajeeb shaksh hai! tabdeeel hi nahii hotaa!
Jo us ke saath rahe chand din, wohii ho jaye

Meraa naseeb kinaaraa ho yaa samundar ho
Jo hogayii hai to lahroN se dushmani ho jaye

Tamaam umr to doori mein kaT gayi merii!!
Na jaane kya ho? agar uss se dosti ho jaye

Bus aek waqt mein saari balaayeiN TooT paRiN
Agar safar ye kaThin hai to raat bhi ho jaye

MaiN so na jauN, jo aasaaniyaaN muyassar hoN
MaiN mar na jauN, agar khatm tishnagi ho jaye

Nahi zaroor, K ooNchii ho aasmaanoN se!!
Yehi bahut hai zamiiN paoN par khaRi ho jaye

Tamaam umr simaT aayi hai ek lamhay meiN
MaiN chahta hun K hona hai jo abhi ho jaye

Wohi huN maiN! wohi imkaN ke khel haiN Shahzad
Kabhi feraar bhi mumkin na ho, kabhi ho jaye

(Shahzad Ahmed)

 

Updated Version of Rekhta.org Launched

Now Rekhta was Optimized for Mobile also for poetry lovers

in Urdu, Roman and Dev Nagri

RekhtaNewVersion

tagged rekhta literature website, rekhta website, rekhta.org, urdu shairyleave a comment
Ojhal Sahi Nigaah Se, Dooba Nahi Hun Main
january 7, 2014, posted in ilhaami aayaat

Ojhal sahi nigah se, dooba nahi huN maiN

Ae raat khabar-dar K hara nahi huN maiN

Darpesh subh-o-sham yehi kashmakash hai ab

Uska banuN maiN kaise K apna nahi huN maiN

Mujh ko farishta hone ka daawa nhi magar

Jitna bura samjhte ho utna nahi huN maiN

Is tarah pher pher k baateiN na keejiye

Lehje ka rukh samajhta hu bacha nahi huN maiN

Mumkin nahi hai mujh se ye tarz-e-munafqat

Dunya tere mizaj ka bandaa nahi huN maiN

(By: Amjad Islam Amjad)

 

Yeh Aansu Be Sabab Jaari Nahi Hai

 

Ye aaNsu be-sabab jaari nahi hai

Mujhe rone ki beemaari nahi hai

Na puchho zakhm-hae-dil ka aalam

Chaman mein aisi gulkari nahi hai

Bahut dushwar samjhana hai Gham ka

Samajh lene mein dushwari nahi hai

Ghazal hi gungunaane do K mujh ko

Mizaaj -e- talkh guftaari nahi hai

Chaman me kyuN chaluN kantoN se bachkar

Yeh aayeen -e- wafaadaari nahi hai

Woh aayein Qatl ko jis roz chaheiN

YahaN kis roz taiyyari nahi hai

(Dr. Kalim Ajiz)

Aa Gayi Yaad Sham Dhalte Hi

 

غزل

آگئی یاد شام ڈھلتے ہی
بجھ گیا دل چراغ جلتے ہی

کُھل گئے شہرِ غم کے دروازے
اک ذرا سی ہوا کے چلتے ہی

کون تھا تُو کہ پھر نہ دیکھا تُجھے
مِٹ گیا خواب آنکھ ملتے ہی

خوف آتا ہے اپنے ہی گھر سے
ماہِ شب تاب کے نکلتے ہی

تُو بھی جیسے بدل سا جاتا ہے
عکسِ دیوار کے بدلتے ہی

خون سا لگ گیا ہے ہاتھوں میں
چڑھ گیا زہر گل مسلتے ہی

منیر نیازی
ماہِ منیر سے انتخاب


Aa gayii yaad shaam dhalte hi
Bujh gaya dil chiraaG jalte hi
Khul gaye shahr-e-gham ke darwaze
Ek zara si hawaa ke chalte hi
Kaun tha tu? K phir na dekha tujhe
MiT gaya khaab, aankh malte hi
Khauf aata hai apne hi ghar se
Maah-e-shab taab ke nikalte hi
Tu bhi jaise badal sa jaata hai
Aks-e-deewar ke badalte hi
Khun sa lag gaya hai hathoN mein
ChaRh gaya zehr, gul masalte hi
(Munir Niyazi)

Dayem Para Hua Tere Dar Par Nahi Hun Main

Daayem paRaa hua tere dar par nahi huN maiN

khak aisi zindagi pe K pat-thar nahi huN maiN

Kyun gardish-E-mudam se ghabra na jaye dil

Insan huN! pyala-O-saghar nahi huN maiN

Yarab zamana mujh ko miTata hai kis liye

Lauh-E-jahan pe harf-E-mukarrar nahi huN maiN

Had chahiye saza mein uqoobat k waaste

Akhir gunaahgar hun, kafir nahi huN maiN

Kis waaste azeez nahiN jaante mujhe

Lal-O-zumurrud-O-zar-O-gauhar nahi huN maiN

Rakhte ho tum qadam meri ankhoN se kyun daregh

Rutbe mein mahr-O-mah se kamtar nahi huN maiN

Karte ho mujhko man’a-E-qadambos kis liye

Kya asman k bhi barabar nahi huN maiN

‘Ghalib’ wazifakhwar ho, do shaah ko dua

Wo din gaye K kahte the naukar nahi huN maiN

(Mirza Ghalib)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, classical ghazal, classical poetry, famous ghazal, fine ghazal, ghalib ghazal, ghazal by mirza ghalib, mirza ghalib ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Maraajeat – A Poem by Hassan Akhtar Jaleel
december 6, 2013, posted in hasan akhtar jalil, muntakhab nazms
مراجعت
———-
چلو اک بار پھر اپنی انہیں قبروں کی جانب لوٹ جائیں ھم
جہاں اس حشر بے داور سے پہلے
نیند کی صدیاں گزاری تھیں
چلو پھر اپنے کفنوں میں لپٹ جائیں
لحد کی خاک چہروں پر بکھیریں اور سو جائیں
سوا نیزے پہ سورج ھے
مگر اب تک ھماری تشنہ کامی نے
میان عرصئہ محشر،کہیں بھی چشمئہ کوثر نہیں دیکھا
کہیں میزان کی تنصیب کا منظر نہیں دیکھا
کسی ظالم کے بائیں ھاتھ اعمال کا دفتر نھیں دیکھا
سوا نیزے پہ سورج ھے
مگر وہ عدل کا دن، داد خواہی کی گھڑی اب تک نہیں آئی
چلو اک بار پھر اپنی انہیں قبروں کی جانب لوٹ جائیں ھم
کہ وہ اک کاروبار خسروی تھا اور ھم اسکو
کسی کے عہد یوم الدین کی تکمیل سمجھے تھے
وہ اک دجال کی آواز تھی جس کو
ھم اپنی سادگی صور اسرافیل سمجھے تھے
(حسن اختر جلیل)

Maraajeat

Chalo ik bar phir apni unhi qabron ki janib lot jaen hum
JahaaN es hashr e be dawar se pehle
Neend ki sadyan guzari theeN

Chalo phir apne kafnoN meiN lipaT jaaen
Lahad ki khaak chehroN par bikhereN aur so jaaen

Sawa neze pe sooraj hai

Magar ab tak humari tishna-kami ne
Miaan e arsa e mehshar, kaheeN bhi chashma-e-kousar nahee dekha
Kehen meezan ki tanseeb ka manzr nahee dekha

Kisi zalim ke baaeN hath meiN aamal ka daftar nahee dekha

Sawa neze pe sooraj hai

Magar wo adl ka din, daad-khaahi ki ghari ab tak nahi aai

Chalo ik bar phir apni unhi qabron ki janib lot jaaen hum
K wo ik karobar-e-khusrawi tha aur hum usko
Kisi ke ahd-e-yomiddin ki takmeel samjhe the

Wo ik dajjal ki awaz thee jisko
Hum apni saadgi se soor e israfeel samjhe the

(Hassan Akhtar Jaleel)

Haal Khulta Nahin Jabinon Se

حال کُھلتا نہیں جبینوں سے
رنج اُٹھائے ہیں کن قرینوں سے

رات آہستہ گام اُتری ہے
درد کے ماہتاب زینوں سے

ہم نے سوچا نہ اُس نے جانا ہے
دل بھی ہوتے ہیں آبگینوں سے

کون لے گا شرارِ جاں کا حساب
دشتِ امروز کے دفینوں سے

تو نے مژگاں اُٹھا کے دیکھا بھی
شہر خالی نہ تھا مکینوں سے

آشنا آشنا پیام آئے
اجنبی اجنبی زمینوں سے

جی کو آرام آ گیا ہے اداؔ
کبھی طوفاں، کبھی سفینوں سے

اداؔ جعفری


Haal khulta nahii jabeenoN se
Ranj uThaye haiN kin qareenoN se
Raat aahista gaam utrii hai
Dard ke maahtaab zeenoN se
Humne socha na usne jana hai
Dil bhi hote haiN aabgeenoN se
Kaun lega sharaar-e-jaN ka hisab
Dasht-e-imroz ke dafeenoN se
Tu ne miZgaaN uTha ke dekha bhi
Shahr khali na tha makeenoN se
Aashnaa aashnaa pyaam aaye
Ajnabi ajnabi zameenoN se
Dil ko aaraam aagaya hai ‘Ada’
Kabhi toofaN kabhi safeenoN se
(Ada Jaafari)

Teri Jannat Se Hijrat Kar Rahe Hain

Teri jannat se hijrat kar rahe haiN

Farishte kya baghavat kar rahe haiN

Hum apne jurm ka iqraar karelien

Bahut din se yeh himmat kar rahe haiN

Woh khood haare hue hain zindagi se

Jo duniya par hukumat kar rahe haiN

ZamiiN bhiigi hui hai aansuoN se

YahaN baadal ibaadat kar rahe haiN

Fezaa meiN aayateiN mehki hui haiN

KahiN bach-che tilaawat kar rahe haiN

Humaari be-basi ki intehaa hai

K zaalim ki himaayat kar rahe haiN

ParindoN ke zameen-o-aasmaaN kya

Watan mein rah ke hijrat kar rahe haiN

Ghazal ki aag meiN palkoN ke saaye

Muhabbat ki hifaazat kar rahe haiN

MaiN apne bhaaiyoN se mukhtalif huN

Woh mausam ki shikaayat kar rahe haiN

(Bashir Badr)

 

Kya Wasl Ki Saa’at Ko Tarasne Ke Liye Tha

Kya wasl ki saa’at ko tarasne ke liye tha

Dil, shahr-e-tamanna tere basne ke liye tha

Sehra mein bagooloN ki tarah naach raha hun

Fitrat se maiN baadal tha barasne ke liye tha

Rotee hui ek bheeR mere gird khaRi thi

Shayad yeh tamaasha mere hansne ke liye tha

Kuchh raat ka ehsaaN hai na suraj ka karam hai

Guncha to bahar-haal bikasne ke liye tha

Us raah se guzra huN jahaN saaNs na de saath

Har naqsh-e-kaf-e-paa mere dasne ke liye tha

Har qatra meri aaNkh se bahne ko to tha betaab

Har zarra mere paaoN jhulasne ke liye tha

(Muzaffar Hanfi)

 

Aaj Zara Fursat Payi Thi, Aaj Use Phir Yaad Kiya

Aaj zara fursat payi thi, aaj use phir yaad kiya

Band gali k aakhri ghar ko khol k phir aabaad kiya

Khol k khirki chand hansa, phir chand ne donon hathon se

Rang uRaye phool khilaye chiryon ko aazad kiya

BaRe baRe gham khaRe hue the rasta roke rahoN mein

Choti choti khushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya

Baat bahut maamooli si thi, ulajh gayi takraaroN meiN

Ek zara si zid ne aakhir donoN ko barbaad kiya

DaanaoN ki baat na maani! kaam aayi nadani hi

Suna hawa ko parhaa nadi ko mausam ko ustaad kiya

(Nida Fazli)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, nida fazli ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Aandhi Chali To Naqsh E Kaf E Paa Nahi Mila
november 12, 2013, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
AaNdhi chali to naqsh-e-kaf-e-paa nahiN mila

Dil jis se mil gaya, woh dubaaraa nahiN mila

Hum anjuman meiN sab ki taraf dekhte rahe!

Apnii tarah se koii akelaa nahiN mila

Mehr-o-wafaa ke dasht nawardo, jawaab do

Tum ko bhi woh ghazaal mila ya nahiN mila

Aawaaz ko to kaun samajhta K door door

khaamoshiyoN ka dard shanaasa nahiN mila

Kachche ghaRe ne jeet li naddi chadhi hui

Mazboot kashtiyoN ko kinaara nahiN mila

(Mustafa Zaidi)

 

Hamare Zakhm E Tamanna Puraane Hogaye HaiN

 

Hamare zakhm-e-tamanna puraane hogaye haiN

K us gali mein gaye ab zamaane hogaye hiaN

Tum apne chaahne waloN ki baat mat suniyo!

Tumhaare chaahne waale diwaane hogaye haiN

Wo zulf, dhup mein furqat ki ayi hai jab yad

To baadal aye haiN aur shamiyaane hogaye haiN

Jo apne taur se hum ne kabhi guzaare the

Wo subh-o-shaam to jaise fasaane hogaye haiN

Ajab mahak thi mere gul tere shabishtaaN ki

So bulbuloN ke wahaaN aashiyaane hogaye haiN

Hamaare baad jo aayeiN unhein mubarak ho

JahaaN the kunj wahaaN kaarkhane hogaye haiN

(Joan Alia)

 

Kisi Taveel Musafat Mein Rahnuma Si Khaak

 

Kisi taveel musaafat mein rahnumaa si khaak

Hamaare saath musalsal hai aashnaa si khaak

Teraa khyaal k hai tezz aaNdhiyoN pe muheet

Mere wajood ka hissaa, faqat zaraa si khaak

Mataa’-e-ashk bahut kam hai paas aankhoN ke

Idhar hai khitta-e-jaaN ki bahut hi pyaasi khaak

Dayaar-e-jaaN ki sayahat humaiN na raas aayi

URa rahi thi wahaN har taraf udaasi khaak

Woh mujh pe dhool uRaakar guzar gaya shayed

Ulajh gayi hai nigahoN se khushnuma si khaak

(Ghalib Ayaz)

tagged modern shairi, shairy in urdu, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Mujhe Kyun Na Aawe Saqui, Nazar Aaftaab Ulta
october 16, 2013, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

مجھے کیوں نہ آوے ساقی نظر آفتاب الٹا
کہ پڑا ہے آج خُم میں قدحِ شراب الٹا

عجب الٹے ملک کے ہیں اجی آپ بھی کہ تُم سے
کبھی بات کی جو سیدھی تو ملا جواب الٹا

چلے تھے حرم کو رہ میں، ہوئے اک صنم کے عاشق
نہ ہوا ثواب حاصل، یہ ملا عذاب الٹا

یہ شب – گذشتہ دیکھا کہ وہ کچھ خفا ہیں گویا
کہیں حق کرے کہ ہووے یہ ہمارا خواب الٹا

یہ عجیب ماجرا ہے کہ بروزِ عیدِ قرباں
وہی ذبح بھی کرے ہے، وہی لے ثواب الٹا

کھڑے چُپ ہو دیکھتے کیا، مرے دل اجڑ گئے کو
وہ گنہہ تو کہہ دو جس سے یہ ہوا خراب الٹا

غزل اور قافیوں میں نہ کہے سو کیونکے انشا
کہ ہوا نے خود بخود آ، ورقِ کتاب الٹا

انشا اللہ خان انشا

 

Mujhe kyuN na aawe saaqui nazar aaftaab ulTa

K paRa hai aaj khum mein Qadah e sharaab ulTa

Ajab ulTe mulk ke haiN aji aap bhi k tum se

Kabhi baat ki jo seedhi, to mila jawaab ulTa

Chale the heram ko,rah mein hue ik sanam k ashiq

Na hua sawaab haasil, yeh milaa azaab ulTa

Ye shab e guzishta dekha K wo kuch khafa hain goya

KahiN haq kare K howe, yeh hamaara khaab ulTa

Yeh ajeeb maajraa hai k baroz e Eid e qurbaaN

Wohi zabh bhi kare hai wohi le sawaab ulTa

KhaRe chup ho dekhte kya, mere dil ujaR gaye ko

woh gunah to kah do jis se yeh hua kharab ulTa

Ghazal aur qaafiyoN mein na kahe so kyun k ‘Insha’

K hawa ne khud bakhud aa, waraq e kitaab ulTa

(Insha allah khan insha)

 

Azaab E Wehshat E JaaN Ka Sila Na Maange Koi

 

Azaab-e-wehshat-e-jaaN ka silaa na maaNge koi

Naye safar ke liye raastaa na maaNge koi

Buland haathoN mein zanjeer daal dete haiN

Ajeeb rasm chali hai, duuaa na maaNge koi

Tamaam shahr mukarram, bus aek mujrim maiN

So mere baad meraa khuN-bahaa na maaNge koi

Koi to shahr-e-tazabzub ke saakinoN se kahe

Na ho yaqiin to phir mo’jezaa na maaNge koi

Azaab-e-gard-zezaaN bhi na ho bahaar bhi aaye

Is ehteyaat se ajr-e-wafaa na maaNge koi

(Iftekhaar Arif)

 

Imkaan Dekhne Ko Ruka Tha MaiN Jast Ka

 

Imkaan dekhnay ko ruka tha maiN jast ka

Ailaan kar diya gaya meri shikast ka

Saye se apne qadd ka lagata hai tu hisab

Andaza ho gaya hai tere zehn-e-past ka

Tujh ko badan ki had se nikalna kahaN nasib

Samjhe ga kaise rooh ko aalooda hast ka

Tu hai K kal ki baat ka rakhta nahiN hai paas

MaiN hooN ke paasdaar hooN ehd-e-alast ka

Jis se garoh-e-badaa-faroshaaN hasad kare

Taari hai mujh pe nassha usi chashm-e-mast ka

Ja, shehr-e-kam-nigaah meiN shuhrat samaiT le

Yeh kaam hai bhi tujh se hi mauqa-parast ka

Shah-e-junooN ka takht bicha hai ba-ehtamaam

Pehlu meiN intizaam hai meri nashast ka

Wus’at mili hai zabt ko mere baqadr-e-dard

Bolo koyi jawaab hai is band-o-bast ka?

‘Irfan’, teri laaj bhi Allah key supurd

Sattar hai wohi to har ik tang-dast ka

(Irfan Sattar)

Shahr E Kitaab Ujar Gaya, Harf Barahna Sar Hue

 

Shahr-e-kitaab ujaR gaya, harf barahnaa sar hue

Naghma hai surma dar -gulu, she’r watan badar hue

Mausam-e-dard ke safiir jo bhi nadeem the so the

Ab to sabhi farefta, daanaa-o-daam par hue

Jam-o-suboo ki aabroo, ahl-e-hawas ke haath hai

Jab se faqiih-o-muhtasib, shahr mein mo’tebar hue

Sarv_jawaaN ki maut par royeingi QumriyaaN bahut

YuN to ba-faiz-e-baghbaaN, Qatl kayi shajar hue

Dar khor-e-harf-e-yaar the jin ke liye hamiN ‘Faraz’

Aaj wohi sitam zareef, ghair ke naama-bar hue

(Ahmed Faraz)

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Zakhm Ka Andamaal Hote Hue
september 4, 2013, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
زخم کا اندِمال ہوتے ہوئے​
میں نے دیکھا کمال ہوتے ہوئے​

ہجر کی دھوپ کیوں نہیں ڈھلتی​
جشنِ شامِ وصال ہوتے ہوئے​

دے گئی مستقل خلش دل کو​
آرزو پائمال ہوتے ہوئے​

لوگ جیتے ہیں جینا چاہتے ہیں​
زندگانی وبال ہوتے ہوئے​

کس قدر اختلاف کرتا ہے​
وہ مرا ہم خیال ہوتے ہوئے​

پئے الزام آ رُکیں مجھ پر​
ساری آنکھیں سوال ہوتے ہوئے​

آج بھی لوگ عشق کرتے ہیں​
سامنے کی مثال ہوتے ہوئے​

خود سے ہنس کر نہ مل سکے احمدؔ​
خوش سخن، خوش خصال ہوتے ہوئے​

Zakhm ka andamaal hote hue
Maine dekha kamaal hote hue
Hijr ki dhoop kyuN nahi dhalti
Jashn-e-shaam-e-visaal hote hue
De gayi mustaqil khalish dil ko
Aarzoo paayemaal hote hue
Log jeete hain, jeena chahte hain
Zindagaani wabaal hote hue
Kis Qadar ikhtelaaf karta hai
Woh mera hum khayal hote hue
Pay-e ilzaam aa rukiN mujh par
Saari aankhein sawaal hote hue
Aaj bhi log ishq karte haiN
Saamnay ki misaal hote hue
Khud se haNs kar na mil sake Ahmed
Khush suKhan, khush Khisaal hote hue
(Muhammad Ahmed)

tagged best ghazal, best ghazals, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Yeh Kehna To Nahi kaafi K Bus Pyaaray Lage Hum Ko
september 3, 2013, posted in ahmad mushtaq, ilhaami aayaat
Yeh kahna to nahi kaafi K bus pyaare lage hum ko

Unhein kaise bataayein hum K woh kaise lage hum ko

MakeeN the ya kisi khoyi hui jannat ki tasveereiN

MakaaN us shahr ke bhoole hue sapne lage hum ko

Hum un ko soch mein gum dekh kar wapas palaT aaye

Woh apne dhyaan mein baithe hue achchhe lage hum ko

Bahut shaffaf the jab tak K masroof-e-tamanna the

Magar is kaar-e-duniya mein baRe dhabbe lage hum ko

JahaaN tanha hue dil mein bhaNwar se paRne lagte hain

Agar_che muddatein guzreiN kinare se lage hum ko

(Ahmed Mushtaq : From AaNkheiN Purani HogayiN)

tagged ahmad mushtaq ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Shahr Sunsaan Hai Kidhar Jayein
august 30, 2013, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi
شہر سنسان ہے کدھر جائیں
خاک ہو کر کہیں بکھر جائیں

رات کتنی گزر گئی لیکن
اتنی ہمت نہیں کہ گھر جائیں

یوں ترے دھیان سے لرزتا ہوں
جیسے پتے ہوا سے ڈر جائیں

اُن اجالوں کی دھن میں‌پھرتا ہوں
چھب دکھاتے ہی جو گزر جائیں

رین اندھیری ہے اور کنارہ دور
چاند نکلے تو پار اتر جائیں​

Shahr sunsaan hai kidhar jayeiN

Khaak ho kar kahiN bikhar jaayeiN

Raat kitni guzar gayii, lekin

Itni himmat nahi K ghar jaayeiN

YuN tere dhyaan se laraztaa hun

Jaise pat_te hawa se dar jaayeiN

Un ujaaloN ki dhun mein phirta hun

Chhab dikhaate hi jo guzar jaayeiN

Rain aNdheri hai aur kinaara door

ChaNd nikle to paar utar jaayeiN

(Nasir Kazmi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by nasir kazmi, modern shairi, nasir kazmi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Hisaab E Ishq Mein Thora Zayaan Kiya Jaye
august 28, 2013, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Hisaab e ishq mein thora zayaaN kiya jaye

Kabhi kabhaar use bad-gumaaN kiya jaaye

Koi badan mere she’roN ka iste’aara ho

Kisi ke lams ko ab javidaaN kiya jaye

Zeyaada rakkha nahi nazar pe baar e visaal

Mataae deed ko kyuN raayegaaN kiya jaye

Isi talab mein meri zaat hogayi khaamosh

K mujh ko tere laboN se bayaaN kiya jaye

Samaa’atein hain yahan be yaqeen logoN ki

Hamaara zikr pas e daastaaN kiya jaye

Dyaar-e-khaab ki gum-gashtagii se achchha hai

Tavaaf e koocha naa mehrbaan kiya jaye

(Ghalib Ayaz)

tagged shairy in urdu, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Tang Aachuke Hain Kashmakash E Zindagi Se Hum
august 26, 2013, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
‫تنگ آ چکے ہيں کشمکش زندگی سے ہم‬

‫ٹھکرا نہ ديں جہاں کو کہيں بے دلی سے ہم‬

‫مايوسئ مآل محبت نہ پوچھئے‬

‫اپنوں سے پيش آئے ہيں بيگانگی سے ہم‬

‫لو آج ہم نے توڑ ديا رشتۂ اميد‬

‫لو اب کبھی گلہ نہ کريں گے کسی سے ہم‬

‫ابھريں گے ايک بار ابھی دل کے ولولے‬

‫گودب گئے ہيں بار غم زندگی سے ہم‬

‫گر زندگی ميں مل گئے پھر اتفاق سے‬

‫پوچھيں گے اپنا حال تری بے بسی سے ہم‬

‫الله رے فريب مشيت کہ آج تک‬

‫دنيا کے ظلم سہتے رہے خامشی سے ہم‬

 

Tang aachuke hain kashmakash-e-zindagi se hum

Thukra na dein jahaaN ko kahiN be-dili se hum

Mayoosii-e-ma_’aal-e-muhabbat na poochhiye

ApnoN se pesh aaye haiN, begaangi se hum

Lo, aaj hum ne toR diya rishtaa-e-umeed‬

Lo, ab kabhi gila na kareinge kisi se hum

Ubhreinge ek baar abhi dil ke walwalay

Go dab gaye hain baar-e-gham-e-zindagi se hum

Gar zindagi mein mil gaye phir ittefaq se

Poocheinge apna haal teri be-basi se hum

Allah re fareb-e-mashiyyat K aaj tak

Duniya ke zulm sahte rahe khaamushi se hum

 

(Sahir Ludhiyanvi – TalkhiyaN)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Rekhta.org – The Biggest Litetary Portal in Urdu World
august 23, 2013, posted in literary news, rekhta.org
An unbelievable collection of Ghazals, Nazm, and E-books.
Visit http://rekhta.org

Rekhta

tagged rekhta.org2 comments
Har Aashna Mein KahaN Khooy-E-Mahramaana Woh
august 22, 2013, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Har aashna mein kahaN khooy-e-mahramaana woh

K be-wafaa tha magar dost tha puraanaa woh

KahaN se layein ab aaNkhein use K rakhta tha

AdaawatoN mein bhi andaaz mukhlisaana woh

Jo abr tha to use tooT kar barasnaa tha

Yeh kya K aag laga kar hua rawaanaa woh

Pukaarte hain mah-o-saal manziloN ki tarah

Laga hai tosan-e-hasti ko taziyaanaa woh

Hamein bhi Gham-talabi ka nahi raha yaaraa

Tere bhi rang nahi gardish-e-zamaana woh

Ab apni khaahishein kya kya use rulaati haiN

Yeh baat hum ne kahi thi magar na maana woh

Yehi kaheiNge K bus soorat-aashnaayi thi

Jo ahd tooT gaya! yaad kya dilaana woh

Us ek shakl mein kya kya na sooratein dekhiN

Nigaar tha nazar aayaa nigaar khaana woh

‘Faraz’ khaab si ghaflat dikhaayi deti hai

Jo log jaan-e-jahaaN the hue fasaana woh

(Ahmad Faraz – From CHAND AUR MAIN)

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Main Khiradmand Rahoon Ya Tera Vahshi Ho Jaaoon
august 21, 2013, posted in abhishek shukla, ilhaami aayaat
میں خرد مند رہوں یا تیرا وحشی ہو جاوں
جو بھی ہونا ہے مجھے عشق میں جلدی ہو جاوں

زندگی چاک کی گردش کے سوا کچھ بھی نہیں
میں اگر کوزہ گری چھوڑ دوں مٹی ہو جاوں

پھر سے لے جائے میری ذات سے تُو عشق ادھار
اور میں پھر سے تیرے حسن پہ باقی ہو جاوں

کوئی دم تُو میرے چہرے پہ خوشی بن کے ابھر
کوئی دم میں تیرے چہرے کی اداسی ہو جاوں

یا تو دریا میں بدل جاوں کہ لہریں اٹھیں
ہا بگولوں کاکہا مان لوں آندھی ہو جاوں

اس کی جانب سے کوئی ہجر مجھے آ کے لگے
اور میں معرکہ ء عشق میں زخمی ہو جاوں

جبر کی طرح کوئی جبر کروں اپنے ساتھ
کیوں نا کچھ دیر کو میں اپنے پہ حاوی ہو جاوں

ابھشیک شکلا

MaiN khiradmand rahooN ya tera vahshi ho jaaooN

Jo bhi hona hai mujhe ishq meiN jaldi ho jaaooN

Zindagi chaak ki gardish ke siva kuchh bhi nahiN

MaiN agar koozaagari chhoR dooN mitti ho jaaooN

Phir se le jaaye meri zaat se tu ishq udhaar

Aur maiN phir se tere husn pe baaqi ho jaaooN

Koi dam tu mere chehre pe khushi ban ke ubhar

Koi dam maiN tere chehre ki udaasi ho jaaooN

Ya to dariyaa meiN badal jaaooN ki lahreiN uttheiN

Ya bagooloN ka kahaa maan looN aaNdhi ho jaaooN

Uski jaanib se koi hijr mujhe aa ke lage

Aur maiN maa’rka-e-ishq meiN zakhmi ho jaaooN

Jabr ki tarah koi jabr karooN apne saath

KyoN na kuchh der ko maiN apne pe haavi ho jaaooN

(Abhishek Shukla)

tagged abhishek shukla ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Yaad Use Intehaayi Karte HaiN
august 19, 2013, posted in ilhaami aayaat, joan alia
Yaad use intehaayi karte haiN
So hum uski buraayi karte haiN

Pasand aata hai dil se yusuf ko
Woh jo Yusuf ke bhaaii karte haiN

Hai badan khaab-e-wasl ka dangal
Aao, zor – aazmaayi karte haiN

Us ko aur Ghair ko khabar hi nahi
Hum lagaayi – bujhaayi karte haiN

Halat-e-wasl meiN bhi hum donoN
Lamha lamha judaayi karte haiN

Aap jo mere jaaN haiN main dil hun
Mujh se kaise judaayi karte haiN

Ba-wafaa aek dusre se miyaaN
Har nafas be-wafaayi karte haiN

Jo haiN sarhad ke paar se aaye
Woh bahut khud-setaayi karte haiN

Pal Qyaamat ke sood-khaar haiN John
Yeh abad ki kamaayi karte haiN

(Joan Alia – Extacted from Gumaan)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by joan alia, joan alia ghazals, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Wagarna Kisko Haasil Thi Yeh Aasaani Banaane MeiN
july 23, 2013, posted in abhishek shukla, ilhaami aayaat
Wagarna kisko haasil thi ye aasaani banaane meiN
Hui thi aag khud shaamil mujhe paani banaane meiN

Bachaaye rakh K ye baRhti hui raateiN hi iiNdhan haiN
Andhere kaam aa jaate haiN taabaani banaane meiN

Badan unke liye kya mas’ala rah jaaye, jo rooheiN
Mukammal kaam aa jaati hoN uriyaani banaane meiN

MaiN jis par ik shikan ho jaauN aur dekha kare duniya
Lagaa hai waqt ik aisee hi peshaani banaane maiN

HazaaroN ajnabee chehroN se guzari haiN meri aankheiN
Ye soorat zindagi ki jaani pahchaani banaane meiN

Meri takhleeq iske zimme thi, so ab yahi jangal
Lagaa hoga mere hisse ki veeraani banaane meiN

Usi se ishq karke raaigaaN kar lenge kya sab kuchh?
Lagi hai umr jisko dushman e jaani banaane meiN

(abhishek shukla)

tagged abhishek shukla ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Yeh Bastiyaan Hain K Maqtal
june 4, 2013, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat
Ye bastiyaaN hain K maqtal, duaa kiye jayeN

Duaa ke din hain musalsal, duaa kiye jayeN

Koi fughaaN, koi Naalaa, koi buka, koi bain

Khulega baab -e- muqaffal, duaa kiye jayeN

Ye aztraab, yeh lambaa safar, yeh tanhaayi

Yeh raat aur yeh jangal, duaa kiye jayeN

Bahaal hoke rahe gi fezaa-e-khitta-e-khair

Yeh habs hoga mu’attal, duaa kiye jayeN

Guzashtagan-e-muhabbat ke khaab ki saugand

Woh khaab hoga mukammal, duaa kiye jayeN

Hawaaye-sarkash-o-saffaak ke muqaabil bhi

Ye dil bujheiNge na mash’al, duaa kiye jayeN

Ghubaar uRaati, jhulasti hui zamiinoN par

UmaNd ke aayeiNge baadal, duaa kiye jayeN

Qubool hona muqaddar hai harf-e-khaalis ka

Har aek aan, har ek pal, duaa kiye jayeN

(By:Iftekhar Arif)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Safar Ke Baad Bhi Zauq E Safar Na Rah Jaye
may 21, 2013, posted in abhishek shukla, ilhaami aayaat
Safar ke baad bhi, zauq-e-safar na rah jaaye
Khyal-o-khaab mein ab ke bhi ghar na rah jaaye

Main sochtaa huN bahut zindagii ke baaray meiN
Yeh zindagii bhi mujhe soch kar na rah jaaye

Bas ek khauf mein hotii hai har sehar merii
Nishaan-e-khaab kahiN aaNkh par na rah jaaye

Yeh be-hisi thi to meri zid thi mere ajzaa se
K mujh mein apne ta’aaqub ka dar na rah jaaye

Hawaay-e-shaam!! teraa raQs naaguziir sahi
Yeh meri khaak tere jism per na rah jaaye

Usi ki shakl liya chaahti hai khaak merii
So shahr-e-jaaN mein koi kuza-gar na rah jaaye

Guzar gayaa ho agar qaafila to dekh aao
Pas-e-ghubaar kisi ki nazar na rah jaaye

Main aek or khaRa hun hisaar-e-duniya ke
Wo jis ki zid mein khaRa huN udhar na rah jaaye

(By: Abhishek Shukla)

tagged abhishek shukla ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy6 comments
Ratjage Hon K Bharpoor Neendein
april 24, 2013, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Ratjagay hoN K bhar poor neeNdein musalsal use dekhna
Wo jo aNkhoN mein hai aur aaNkhon se ojhal use dekhna

Is kaRi dhoop mein dil tapakte hain aur baam par woh nahi
Kal naye mausamoN mein jab aayeNge baadal use dekha

Wo jo khushbu bhi hai aur jugnu bhi hai aur aaNsu bhi hai
Jab hawa gunguaanyegi, naache ga jangal use dekhna

Jo hawaoN mein hai aur fezaoN mein hai aur duaoN mein hai
Koi phailaaye daaman, K lahraaye aaNchal use dekhna

Shairi mein bhi us jaan-e-jaaN ka saraapa samaata nahi
Aur aaNkhoN ki dereena khaahish!! mukammal use dekhna

Yeh bhi kya sochnaa hai K har waqt naadaaN use sochna
Yeh bhi kya dekhna hai K har samt paagal use dekhna

Shaam-e-wada sahi, dukh zeyada sahi, phir bhi dekho ‘Faraz’
Aaj shab uski furqat mein kah lo ghazal, kal use dekhna

(Ahmad Faraz)

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Woh Jo Ek Shart Thi Wahshat Ki Utha Di Gayi Kya
april 23, 2013, posted in ilhaami aayaat, irfan siddiqui
وہ جو اک شرط تھی وحشت کی اٹھا دی گئی کیا
میری بستی کسی صحرا میں بسا دی گئی کیا

وہی لہجہ ہے مگر یار تیرے لفظوں میں
پہلے اک آگ سی جلتی تھی،بجھا دی گئی کیا

جو بڑھی تھی کہ کہیں مجھ کو بہا کر لے جائے
میں یہیں ہوں تو وہی موج بہا دی گئی کیا

پاوں میں خاک کی زنجیر بھلی لگنے لگی
پھر میری قید کی معیاد بڑھا دی گئی کیا

دیر سے پہنچے ہیں ہم دور سے آئے ہوئے لوگ
شہر خاموش ہے سب خاک اڑا دی گئی کیا

عرفان صدیقی

Woh jo ek shart thi wahshat ki uThaadi gayi kya

Meri basti kisi sehraa meiN basaa di gayi kya

Wohi lehjaa hai magar yaar tere lafzoN meiN

Pahle ek aag si jalti thi, bujhaa di gayi kya

Jo baRhi thi K kahiN mujh ko bahaa kar le jaaye

MaiN yahi huN to wohi mauj bahaadi gayi kya

PaaoN meiN khaak ki zanjeer bhali lagne lagi

Phir meri qaid ki mee’aad baRhaa di gayi kya

Der se pahunche hain hum door se aaye hue log

Shahr khaamosh hai sab khaak uRaa di gayi kya

(By Irfan Siddiqui)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, irfan siddiqui ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy14 comments
Kyun Mujh Pe Hua Hai Mehrbaan Tu
april 19, 2013, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir
KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN tu
Ek zarra-e-khaak aur kahaaN tu

MaiN dhoop ki aadi ho chali thi
KyuN mujh pe bana hai sayebaaN tu

MaiN teri zameen-e-nisf-e-shab huN
TaaroN bhara mera aasmaaN tu

Aise hi hamaari soch yekjaan
MaiN nutq tera, meri zabaaN tu

Taiyyar huN maiN safar ko lekin
Kashti ka uThaaye baadbaaN tu

Kitna bhi ho sakht mera lehjaa
Deeba-o-hareer-o-parniyaaN tu

Ek aam ghareeb-e-shahr hun maiN
Kya sun ke karega daastaaN tu

Pat_thar mein gulaab dekhta hai
Kis darja hai mujh se khushgumaaN tu

Ab thoRa sa waqt rah gaya hai
Zaaye’ karuN maiN na raayegaaN tu

(Parveen Shakir)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, female poets of urdu, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Jab Bhi Hansne Ke Zamaane Aaye
april 18, 2013, posted in ilhaami aayaat, mohsin naqvi
Jab bhi hansne ke zamaane aaye
Zakhm phir yaad puraane aaye

Baar-ha unko manaaya to hamein
RooTh jaane ke bahaane aaye

Phir mujhe toot ke chaaha usne
Phir bichhaRne ke zamaane aaye

Muskuraa kar hamein milne waale
Zindagi bhar ko rulaane aaye

Kitni mahroom thiN neendein unki
Khaab bhi jin ko jagaane aaye

Teri chahat ne Thaharne na diya
Raah mein kitne thikaane aaye

Tu nahi hai to hawa ka jhoNka
Ghar ki zanjeer hilaane aaye

Dil bujhaa hai na jale hain kheeme
Aap kyuN jashn manaane aaye

Isi ummeed pe jaago yaaro!
Ab woh kis waqt na jaane aaye

Raas aaya jinhein sehra ‘Muhsin’
Unki qismat mein khazaane aaye

(Mohsin Naqvi)

(Mohsin Naqvi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, mohsin naqvi ghazals, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
UnhiN Ko Raah E Talab Khaar Daar Di Gayi Hai
april 3, 2013, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
انہی کو راہِ طلب خار دار دی گئی ہے
وہ جن کو مملکتِ اعتبار دی گئی ہے

ذرا سی دیر تو سو لیں یہ اہلِِ دل کہ انہیں
بہت طویل شبِ انتظار دی گئی ہے

گئے دنوں میں ہمارا تھا قصرِ خوش آثار
اب اپنے نام کی تختی اتار دی گئی ہے

لہو لہان اجالوں کا دن ڈھلا آخر
سیاہ کرب زدہ شب گزار دی گئی ہے

ہمارے پاس تھا کیا خواب وہ تو ٹوٹ گیا
اک اور چیز تھی جان’تجھ پر وار دی گئی ہے

ہماری دشت نوردی کو اک فسانے میں
بشارتِ شجرِ سایہ دار دی گئی ہے

غالب ایاز

 

UnhiN ko raah e talab khaar daar di gayi hai

Woh jin ko mamlekat e aetebaar di gayi hai

Zara si der to solein yeh ahl e dil K inhein

Bahut taveel shab e intezaar di gayi hai

Gaye dinoN meN hamara tha Qasr e khush aasaar

Ab apne naam ki takhti utaar di gayi hai

Lahoo lahaan ujaaloN ka din dhalaa aakhir

Siyaah, karb-zada shab guzaar di gayi hai

Hamaare paas tha kya khaab, woh to toot gaya

Ek aur cheez thi jaaN, tujh per waar di gayi hai

Hamaari dasht navardi ko ek fasaane mein

Bashaarat e shajar e saaya daar di gayi hai
(Ghalib Ayaz)

tagged modern shairi, shairy in urdu, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy9 comments
Apne Jaise Hi Kisi Shakl Mein Dhaalenge Tumhein
march 5, 2013, posted in abhishek shukla, ilhaami aayaat
Apne jaisi hi kisi shakl meiN dhaalenge tumheiN

Hum bigaR jaayenge itnaa ki banaa lenge tumheiN

Apni aankhoN meiN dhuaaN kar ke to mushkil hogi

Apne seene pa baharhaal bujhaa lenge tumheiN

MujhmeiN paivast ho tum yuN ke zamaane waale

Meri mitti se mere baad nikaalenge tumheiN

Faislaa kar hi liya hum ne agar miTne ka

Kaasa e jism meiN thoRa sa bachaa lenge tumheiN

Jaane kya kuch ho chhupa tum meiN muhabbat ke siva

Ham tasallii ke liye phir se khaNgaalenge tumheiN

Ye zamiN kuchh bhi nahiN aur ye jahaN kuchh bhi nahiN

Ham agar chaaheiN to ik jast meiN jaa lenge tumheiN

Toot saktaa hai bahut jald ye zindaan e badan

Tum hameiN chhoo lo to ham yuN bhi chhuRa lenge tumheiN

Hamne sochaa hai K is baar junooN karte hue

Khud ko is tarh se kho denge k paa lenge tumheiN

Tum se ik jang to laRni hai so laRte hue ham

Apne kheme meiN kisi roz mila lenge tumheiN

(abhishek shukla)

tagged abhishek shukla ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Meri Saari Zindagi Ko Be Samar Us Ne Kiya
february 22, 2013, posted in ilhaami aayaat, munir neyazi
Meri saari zindagi ko be-samar usne kiya

Umr meri thi magar us ko basar usne kiya

MaiN bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke bad

Par mujhe is mulk mein kamzor tar usne kiya

Raahbar mera bana, gumraah karne ke liye

Mujh ko seedhe raaste se dar-ba-dar usne kiya

Shahr mein woh mo’tebar meri gawaahi se hua

Phir mujhe is shahr mein na-mo’tebar usne kiya

Shahr ko barbaad kar ke rakh diya usne ‘Munir’

Shahr par yeh zulm mere naam par usne kiya

(Munir Neyazi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, munir neyazi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Rekhta.org – Biggest Treasure of Urdu Poetry!
february 11, 2013, posted in literary news, rekhta.org
Rekhta

FOR LANDING ON REKHTA WEBSITE – CLICK HERE
tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, rekhta literature website, rekhta website, rekhta.org, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy33 comments
Badan Mein Jaise Lahu Taziyaana Ho Gaya Hai
february 7, 2013, posted in ilhaami aayaat, irfan siddiqui

Badan mein jaise lahu taaziyaanaa hogaya hai

Usay gale se lagaaye zamaanaa hogaya hai

Chamak raha hai ufaq tak ghubaar e tiira-shabi

Koi chiraaGh safar par rawaanaa hogaya hai

HumeiN to khair bikharna hi tha kabhi na kabhi

Hawaay-e-taaza ka jhoNka bahaanaa hogaya hai

Gharaz K poochhte kya ho ma’aal e sokhtagaaN

Tamaam jalna – jalaana fasaanaa hogaya hai

Fazaay e shouq mein uski bisaat hi kya thi

Parindaa apne proN ka nishaanaa hogaya hai

Kisi ne dekha hai patjhaR mein phul khilte hue

Dil apni khush nazarii mein divaanaa hogaya hai

(Irfan Siddiqui)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, irfan siddiqui ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Read countless Ghazals on Rekhta.org
february 6, 2013, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
Unique Multi-script Urdu Poetry Resource

Introducing you to the greatest Urdu Poetry Website ever.
Log in http://www.rekhta.org for

These are amazing features:

Over 3000 Ghazals in Roman, Devnagri and Urdu scripts!
Each Ghazal complete and authenticated!
250 poets featured – classical and modern!
Ghazal recitation by shairs and professionals!
Meaning of 35,000 urdu words just a click away!
Unique and powerful search engine!

3 comments
Chaandi Jaisa Rang Hai Tera …
february 4, 2013, posted in ilhaami aayaat, qateel shifayi

Chaandii jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Aek tu hi dhanvaan hai gori, baqi sab kangaal

Har aaNgan mein saje na tere ujle roop ki dhoop
Chhail-chhabeeli raani thoRa ghuNghat aur nikaal

Bhar bhar nazreiN dekheiN tujh ko aate jaate log
Dekh tujhe badnaam na karde harni jaisi chaal

Beech mein rang-mahal hai tera khayii charoN or
Hum se milne ki ab gorii tu hi raah nikaal

Yeh duniya hai khud gharzoN ki lekin yaar ‘Qateel’
Tu ne hamaara saath diya tu jiye hazaaroN saal

By : Qateel Shifayi

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, qateel shifai ghazals, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Teri Soorat Jo Dilnasheen Ki Hai
january 30, 2013, posted in faiz ahmad faiz, ilhaami aayaat

Teri soorat jo dilnasheeN ki hai
Aashna shakl har haseeN ki hai

Husn se dil lagaa ke hastii ki
Har ghaRi hum ne aatisheeN ki hai

Subh E gul ho K sham E maikhana
Madh us rooy E naazneeN ki hai

Shekh se be-haraas milte hain
Hum ne touba abhi naheeN ki hai

Zikr e dozakh, byan e hur-o-qasur
Baat goya yahiN kaheeN ki hai

Ashk to kuchh bhi rang la na sake
KhooN se tar aaj aasteeN ki hai

Kaise maneiN heram ke sahl-pasand
Rasm jo aashiqoN ke deeN ki hai

‘Faiz’ auj e khyaal se hum ne
AasmaaN Sindh ki zmeeN ki hai

(Faiz)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, faiz ahmad faiz ghazal, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by faiz ahmad faiz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Koi Mila To Kisi Aur Ki Kami Hui Hai
january 23, 2013, posted in ilhaami aayaat, irfan sattar
Koi mila to kisi aur ki kami hui hai
So dil ne be-talabi ikhtiyaar ki hui hai

JahaaN se dil ki taraf zindagi utarti thi
Nigaah ab bhi usi baam par jami hui hai

Hai intezaar use bhi tumhaari khushbu ka
Hawaa gali mein bahut der se ruki hui hai

Tum aagaye ho to ab aayiina bhi dekhenge
Abhi abhi to nigaahoN mein raushni hui hai

Hamara ilm to marhun e lauh e dil hai miyaN
Kitaab e aql to bas taaq par dhari hui hai

Banao saaye, haraarat badan mein jazb karo
K dhoop sehn mein kab se yuNhi paRi hui hai

Nahi nahi, main bahut khush raha huN tere beghair
Yaqeen kar K yeh haalat abhi abhi hui hai

Woh guftagoo jo meri sirf apne aap se thi
Teri nigaah ko pahunchi to shairy hui hai

(By: Irfan Sattar)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, irfan sattar ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy6 comments
Safar Mein Hai Jo Azal Se Yeh Woh Balaa Hi Na Ho
january 22, 2013, posted in ilhaami aayaat, munir neyazi
Safar mein hai jo azal se yeh woh balaa hi na ho

KiwaaR khol ke dekho, kahiN hawaa hi na ho

Nigaah e aayiina maloom, aks e na-maaloom

Dikhayi deta hai jo asl mein chhupaa hi na ho

ZamiN ke gird bhi paani, zamiN ki tah mein bhi

Jo shahr jam ke khaRa hai woh tairtaa hi na ho

Na jaa K is se paray, dasht-e-marg ho shaayad

PalaTna chahe wahaaN se to raastaa hi na ho

Main is khyaal se jaata nahi watan ki taraf

K mujh ko dekh ke us but ka ji buraa hi na ho

Kati hai jis ke khyaaloN mein apni umr ‘Munir’

Mazaa to jab hai K us shokh ko pataa hi na ho

(Munir Neyazi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, munir neyazi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Yeh Samundar Hai, Kinare Hi Kinare Jaao
january 16, 2013, posted in ilhaami aayaat, kalim ajiz
Yeh samundar hai! kinaare hi kinaare jaao

Ishq har shakhs ke bas ka nahi pyaare jaao

YuN to maqtal mein tamashaayi bahut aate hain

Aaao us waqt, K jis waqt pukaare jaao

Dil ki baazi lage phir jaan ki bazi lag jaye

Ishq mein haar ke abiTho nahi, haare jaao

Kaam ban jaye agar zulf junuN ban jaaye

Is liye us ko saNvaaro K saNvare jaao

Koi rastaa koi manzil use dushwaar nahi

Jis jagah jaao muhabbat ke sahaare jaao

Hum to mitti se ugaayeNge muhabbat ke gulab

Tum agar toRne jaate ho sitaare, jaao

Doobna hoga agar doobna taqdeer mein hai

Chaahe kashti pe raho chaahe kinare jaao

Tum hi socho bhal yeh shouq koi shouq hua

Aaj ooNchayi pe baiTho kal utaare jaao

Maut se khel ke karte ho muhabbat ‘Ajiz’

Mujh ko Dar hai kahiN be-maut na maare jaao

(By Kalim Ajiz)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, dr. kalim ajiz ghazals, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by kalim ajiz, poets of bihar, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy1 comment
Bazaahir Log Kitne MehrbaaN The
january 10, 2013, posted in ilhaami aayaat, mohsin naqvi
Bazaahir log kitne mehrbaaN the !

Magar dukh banTne wale kahaan the

LaboN per muskurahat ki dhanak thi

Lahoo lathre sukhan zer E zubaN the

Jo manzil aashna the wo musafir !!

Pus e khak e ghubaar e karvaaN the

Mai aise shahr ka baasi bana hooN

MakiN patther the, shishe k makaN the

Jala jab aashyaaN to hum ne jana

K tinke bhi hawa ke raazdaaN the

Kisi ne haal tak puchha na ‘Mohsin’

Hum ahl e dil bhi kitne rayegaaN the

By: Mohsin Naqvi

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, mohsin naqvi ghazals, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Raag Mein Rang Mein Khushbu Mein
january 8, 2013, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Raag mein rang mein khushbu mein nahaayi hui raat

ORhh lii hai teri yaadoN se sajaayi hui raat

Kya koi sho’la-e-khush-rang chhupa hai mujh mein

Laut jaati hai dar-e-chashm pe aayi hui raat

Ab mere hujraa-e-wahshat mein ammaN chahti hai

Rang aur noor ke haathoN yeh sataayi hui raat

Ho gayiN phir se tahi-dast hamaari aaNkhein

Subh par hum ne lutaadi hai kamaayi hui raat

Mo’jezaa-gar thi teri sard-nigaahi sar-e-shaam

Kitne khaaboN ki mere dil se rihaayi hui raat

Hum har ek cheez ko pur noor samajh baithe hain

Jab se hai khitta-e-ehsaas pe chhayi hui raat

(Ghalib Ayaz)

4 comments
Abhi To Aap Hi Haayil Hai Raasta Shab Ka
january 7, 2013, posted in abhishek shukla, ilhaami aayaat
Abhi to aap hi haayil hai raasta shab ka
Qareeb aaye to dekheNge hausla shab ka

Chali to aayi thi kuch door saath saath mere
Phir uske baad – khuda jaane kya hua shab ka

Mere khayaal k wahshat kade mein aate hii
JunooN ki noNk se phoota hai aabla shab ka

Sahar ki pahli kiran ne use bikher diya
Mujhe sameTne aaya tha jab khuda shab ka

ZameeiN pe aake sitaaroN ne ye kaha mujhse
Tere qareeb se guzrega qaafila shab ka

Sahar ka lams meri zindagi badha deta
Magar giraaN tha bahut mujhpe kaaTna shab ka

By: Abhishek Shukla

tagged abhishek shukla ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Mere YaqiN Ko Pas-E-Parda-E-GumaN Kar Ke
december 28, 2012, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Mere yaqiN ko pas-E-purda-E-gumaN kar ke

Tu is nawaah men rahta hai per kahaN kar ke

Nahi hai koyee bhi is anjuman men hum jaisa

Chiragh jal to rahe haiN mager dhuaN kar ke

Guzar gaye haiN wo lamhe rawa rawi meN agar

Guzaar do ye zamane bhi rayegaN kar ke

MaiN apne khooN ka darya bana to luN lekiN

Thahar na jaye ye kashti mujhe rawaN kar ke

Ye kauN tha k hadaf ban k saamne aayaa

PalaT gaya hai magar teer ko kamaN kar ke

(Aftab Husain)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Yeh Rang Yeh Raushni Yahin Hai
december 27, 2012, posted in ahmad mushtaq, ilhaami aayaat
Ye rang ye raushni yahiN hai

Aage koi sehar nahiN hai

Lagte haiN ye pair dekhe bhale

Shayad wo gali yahiN kahiN hai

Ya ek fareb hai muhabbat

Ya mere naseeb meN nahiN hai

Hai roop magar kisi kisi per

Hai dhoop magar kahaIN kahiN hai

Saayaa hi nahi raha hai ‘Mushtaq’

Deewaar to aaj bhi wahiN hai

by : AHMAD MUSHTAQ

tagged ahmad mushtaq ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Itne Bhi To Woh Khafaa Nahi The
november 15, 2012, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Itne bhi to woh khafaa nahi the

Jaise kabhi aashnaa nahi the

Maanaa K beham kahaan the aise

Per yuN bhi judaa judaa nahi the

Thi jitni Bisaat! ki parastish!

Tum bhi to koi khudaa nahi the

Had hoti hai tanz ki bhi aakhir

Hum tere nahi the, jaa nahi the

Kis kis se nibaahte rafaaqat

Hum log K bewafaa nahi the

Rukhsat hua woh to maine dekha

Phool utne bhi khush-numaa nahi the

The yuN to hum uski anjuman meiN

Koi hameiN dekhtaa, nahi the

Jab usko tha maan khud pe kya kya!

Tab hum bhi ‘Faraz’ kya nahi the

(Ahmad Faraz)

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Buzurg E Waqt, Kisi Shai Ko La Zawaal Bhi Kar
september 20, 2012, posted in ilhaami aayaat, irfan siddiqui
بزرگِ وقت کسی شے کو لازوال بھی کر
تو کیسے شعبدہ گر ہے کوئی کمال بھی کر

درخت ہوں، تو کبھی بیٹھ میرے سائے میں
میں سبزہ ہوں تو کبھی مجھ کو پامال بھی کر

یہ تمکنت کہیں پتھر کہیں بنا نہ دے مجھ کو
تو آدمی ہے،خوشی بھی دکھا ملال بھی کر

میں چاہتا ہوں کہ اب جو بھی جی میں آئے کروں
تجھے بھی میری اجازت ہے جو خیال بھی کر

پگھلا رہی ہیں اس آشوبِ وقت میں صدیاں
وہ کہہ رہا ہے کہ تو فکرِ ماہ سال بھی کر

عرفان صدیقی

Buzurg E waqt, kisi shai ko la-zawaal bhi kar

Tu kaisa sho’badaa-gar hai, koi kamal bhi kar

Darakht hooN, to kabhi baiTh mere saaye mein

MaiN sabzaa huN, to kabhi mujhko payemaal bhi kar

Yeh tamkanat kahiN pat_thar bana na de mujhko

Tu aadmi hai, khushi bhi dikha , malaal bhi kar

MaiN chahta hooN K ab jo bhi ji mein aaye karuN

Tujhe bhi meri ijaazat hai, jo khayaal bhi kar

Pighal rahi haiN is aashob E waqt meN sadiyaaN

Wo kah raha hai k tu fikr E maah O saal bhi kar

(Irfan Siddiqui)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy8 comments
Khabar E Tahayyur E Ishq Sun, Na JunooN Rahaa, Na Parii Rahi
september 13, 2012, posted in classic ghazals, ilhaami aayaat
خبرِ تحیرِ عشق سن، نہ جنوں رہا، نہ پری رہی
نہ تو تُو رہا، نہ تو میں رہا، جو رہی سو بے خبری رہی

شۂہ بے خودی نے عطا کیا، مجھے اب لباسِ برہنگی
نہ خرد کی بخیہ گری رہی، نہ جنوں کی پردہ دری رہی

چلی سمتِ غیب سے اک ہوا کہ چمن ظہور کا جل گیا
مگر ایک شاخِ نہالِ غم جسے دل کہیں سو ہری رہی

نظرِ تغافلِ یار کا گلہ کس زباں سے کروں بیاں
کہ شرابِ حسرت و آرزو، خمِ دل میں تھی سو بھری رہی

وہ عجب گھڑی تھی کہ جس گھڑی لیا درس نسخۂ عشق کا
کہ کتاب عقل کی طاق پر جو دھری تھی سو وہ دھری رہی

ترے جوشِ حیرتِ حسن کا اثر اس قدر ہے یہاں ہوا
کہ نہ آئینے میں جِلا رہی، نہ پری میں جلوہ گری رہی

کیا خاک آتشِ عشق نے دلِ بے نوائے سراج کو
نہ خطر رہا، نہ حذر رہا، جو رہی سو بے خطری رہی

سراج اورنگ آبادی

Khabar E tahayyur E ishq sun, na junooN rahaa, na parii rahii

Na to tuu rahaa, na to maiN rahaa, jo rahii so beKhabarii rahii

Shah E beKhudii ne ataa kiyaa mujhe ab libaas E barahnagii

Na Khirad kii bakhiyaagari rahii, na junooN kii pardadarii rahii

Chali simt E Ghaib se kya hava K chaman zahoor kaa jal gaya

Magar ek shaaKh E nihaal E Gham jise dil kaho so harii rahii

Voh ajab ghaRi thi maiN jis ghaRi liya dars nuskha E ishq ka

K kitaab aql kii taaq meN jooN dharii thii tyuuN dharii rahii

Nazr E taGhaaful E yaar kaa gila kis zubaaN se bayaaN karuN

K sharab E sad qadah E aarzu khum E dil meN thi so bhari rahii

Tere josh E hairat E husn ka asar is qadar se yahaN hua

K na aayiine meN rahii jilaa, na parii ko jalvagarii rahii

Kiyaa Khaak aatish E ishq ne dil E benavaa E Siraj ko

Na Khatar raha, na hazar raha, magar ek beKhatarii rahii

(Siraj Aurangabadi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, classical ghazal, classical poetry, famous ghazal, fine ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy8 comments
Yun Hausla Dil Ne Haaraa Kab Tha
september 8, 2012, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir
YuN hausla dil ne haaraa kab tha
Sartaan mera sitaaraa kab tha

Laazim tha guzarna zindagi se
Bin zehr piye guzaaraa kab tha

Kuchh pal use aur dekh sakte
AshkoN ko magar gawaaraa kab tha

Hum khud bhi judaayi ka sabab the
Uska hi qusoor saaraa kab tha

Ab aur ke saath hai to kya dukh
Pahle bhi koi hamaaraa kab tha

Ek naam par zakhm khil uthe the
Qaatil ki taraf ishaaraa kab tha

Aaye ho to raushni hui hai!!
Is baam par koi taaraa kab tha

Dekha hua ghar tha par kisi ne
Dulhan ki tarah saNwaaraa kab tha

(From KHUD KALAAMI by Parvin Shakir)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy5 comments
Tum Haqeeqat Nahi Ho Hasrat Ho
august 14, 2012, posted in ilhaami aayaat, joan alia
Tum haqiqat nahi ho hasrat ho
Jo mile khaab meN wo daulat ho

MaiN tumhare hi dam se zinda huN
Mar hi jauN jo tum se fursat ho

Tum ho khushbu k Khab ki khushbu
Aur utni hi, be – murawwat ho

Tum ho pahlu meN par qaraar nahi
Yaani aisa hai jaise furqat ho

Tum ho angRayii rang O nikhat ki
Kaise angRayi se shikaayat ho

Kis tarah choR duN tumhein janaN
Tum meri zindagi ki aadat ho

Kis liye dekhti ho aayeena
Tum to khud se bhi khubsurat ho

DaastaaN khatm hone wali hai
Tum meri aakhri muhabbat ho

(Jaun Alia)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by joan alia, joan alia ghazals, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Chupke Chupke Raat Din (Mukammal Ghazal)
august 10, 2012, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
Chupke chupke raat din aaNsu bahaana yaad hai
Hum ko abtak aashiqi ka wo zamaana yaad hai

Ba-hazaraaN izteraab O sad hazaaraaN ishtiyaaq
Tujh se wo pahle pehal, dil ka lagaana yaad hai

Baar baar uThna usi janib nigaah E shouq ka
Aur tera ghurphe se wo, aankheN laRaana yaad hai

Tujh se kuch milte hi wo bebaak ho jana mera
Aur tera danton men wo ungli dabaana yaad hai

KhaiNch lena wo mera parde ka kona daf’a-atan
Aur dupatte se tera wo muNh chupaana yaad hai

Jaan kar sota tujhe woh qasd E pa-bosi mera
Aur tera thukra k sar, wo muskuraana yaad hai

Tujhko jab tanha kabhi pana to az-raah-E-lehaaz
Haal E dil batooN hi batoon men jataana yaad hai

Ghair ki nazroN se bach kar, sab ki marzi k khilaaf
Wo tera chori chhupe ratoN ko aanaa yaad hai

Aa gaya gar wasl ki shab bhi kahiN zikr E firaaq
Woh tera ro ro k mujhko bhi rulaana yaad hai

Do-pahar ki dhoop meN mere bulane ke liye
Woh tera koThe pe nange paoN aana yaad hai

Aaj tak nazroN men hai wo sohbat E raz O neyaz
Apna jaana yaad hai, tera bulaana yaad hai

Mithi mithi cheR kar baateN niraali pyaar ki
Zikr dushman ka wo batoN men uRaana yaad hai

Dekhna mujhko jo barghushta to sau sau naaz se
Jab mana lena to phir, kud rooTh jaana yaad hai

Chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
MuddateiN guzriN par ab tak wo thikaana yaad hai

Shauq men menhdi k wo be-dast-o-pa hona tera
Aur mera wo chheRna, wo gudgudana yaad hai

Ba-wajood E iddaaye itteqa ‘Hasrat’ mujhe
Aaj tak ahd E hawas ka wo fasaana yaad hai

By : Hasrat Mohani (From his book “Aansoo Bahaanaa Yaad Hai”)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, classical ghazal, classical poetry, classics in modernity, famous ghazal, fine ghazal, hasrat mohani ghazal, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy5 comments
Baqadr E Paimana E Takhaiyyul
july 31, 2012, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
Baqadr E paimaana E takhaiyyul, suroor her dil mein hai khudi ka

Agar na ho ye farayb E paiham, to dam nikal jaye aadmi ka

Bas ek ehsaas E naa-rasaii, na josh us mein na hosh usko

JunuN pe haalat raboodgii ki, khirad pe aalam ghunoodgi ka

Hai rooh tarikiyoN mein hairaN, bhujha hua hai chiragh E manzil

Kahin sar E raah yeh musaafir paTak na de bojh zindagi ka

Khuda ki rahmat mein bhool baithuN yahi na manii hai iske waez

Wo abr ka muntazir khaRa ho, makaan jalta hai jab kisi ka

Wo lakh jhukwa le sar ko mere, magar ye dil ab nahi jhuke ga

K kibreyaii se bhi zeyada ,mizaaj naazuk hai bandagii ka

‘Jamil’ hairat mein hai zamaana , mere taghazzul ki muflisi per

Na jazba E ‘Ijtiba E Rizvi’, na kaif ‘Perwez Shahidi’ ka

Syed Kazim Ali ‘Jamil Mazhari‘

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, jamil mazhari ghazal, poets of bihar, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy4 comments
Kahin Khyaam Lagein Qarya E Wisaal Bhi Aaye
july 27, 2012, posted in ilhaami aayaat, irfan siddiqui

KahiN khayaam lageN qarya E wisaal bhi aaye

Shab e safar men koi sa’at E zawaal bhi aaye

Kisi ufaQ pe to ho ittesaal E zulmat O noor

K hum kharaab bhi hoN, aur vo khush khesaal bhi aaye

Sukhan mein kab se hai raushan! ye kya zaruri hai

K woh sitaara sar E matla’ E misaal bhi aaye

Suna hai sair ko nikli hui hai mauj E nishaat

Ajab nahi hai taraf E kucha E malaal bhi bhi aaye

HameN ‘atiyya E tark E talab qubool na tha

So hum to uski inayat pe khaak daal bhi aaye

By :Irfan Siddiqi

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, tavil bahr, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu shairy6 comments
Hum Ko JunuN Kya Sikhlate Ho
july 24, 2012, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
Hum Ko JunuN Kya Sikhlate Ho Ham The PareshaaN Tum Se Zeyaada

Chaak Kiye Hain Hamne Azizon Chaar GarebaaN Tum Se Zeyaada

 

Chaak-E-Jigar Muhtaaj-E-Rafoo Hai Aaj To Daaman Sirf Lahoo Hai

Ek Mausam Tha Ham Ko Raha Hai Shauq-E-BaharaaN Tum Se Zeyada

 

Jaao Tum Apani Baam Ki Khaatir Saari Lawen Sham’oN Ki Katar Lo

Zakhmon K Mehr-O-Mah Slamat Jashn-E-ChiraghaN Tum Se Zeyada

 

Ham Bhi Hameshaa Qatl Hue Aur Tum Ne Bhi Dekhaa Door Se Lekin

Ye Na Samjhe Hamko Huaa Hai Jaan Ka NuQsaaN Tum Se Zeyaada

 

Zanjir-O-Diwaar Hi Dekhi Tumne To ‘Majrooh’ Magar Ham

Koocha-Koocha Dekh Rahe Hain Aalam-E-ZandaaN Tum Se Zeyaada

 

(BY : MAJROOH SULTANPURI)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, majrooh sultanpoori ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Kabhi Guman Kabhi Aetebaar Ban Ke Raha
july 19, 2012, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat

Kabhi gumaan, kabhi aetebaar ban ke raha

Dayaar e chashm mein wo intezaar ban ke raha

Hazaar khaab meri milkiyat mein shamil the

MaiN tere ishq mein sarmaya daar ban ke raha

Tamaam umr use chaahnaa na tha mumkin

Kabhi kabhi to wo is dil pe baar ban ke raha

Usi ke naam karuN maiN tamaam ahd e khyal

Daroon e jaaN jo mere sog-waar ban ke raha

Agarche shahr meiN mamnu’ thi himaayat e khab

Magar yeh dil sabab e inteshaar ban ke raha

(Ghalib Ayaz)

4 comments
Sunehra Hi Sunehra Wada E Farda Raha Hoga
july 6, 2012, posted in ilhaami aayaat, subodh saqi
Sunehraa hii sunehraa waada-e-farda rahaa hoga
Qayaas-aaraayi kaa besaakhtaa lamha raha hoga

Samandar meiN chunay moti, na taaroN ka jahaaN dekha
Zaroor iskool meiN takh’eel par pehra raha hoga

Kahaa thha jisne Tumse “haaN maiN Tum se pyaar karta huN”
Mere andar chhupaa ek bedhaDak ladka raha hoga.

MaiN ab bhi darte darte apne haq kii baat karta hooN
Merii taaleem meiN dar ka baRa hissaa raha hoga

Tumhaari bazm se ghussay meiN uTh ke aa gaya thha maiN
Na jaane baad meiN kis qism ka charchaa raha hoga

Gaya hai chhoR kar mehfil ko itnee bedilee se vo
Ki baahar bheeD mein bhi waaqaaee tanhaa raha hoga

Voh jisne mujh ko registaan meiN paani pilaaya thha
Muje lagtaa hai khud voh mehrbaaN pyasaa raha hoga

BY: SUBODHLAL(SUBODH“SAAQI”)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by subodh saqi, modern shairi, shairy in urdu, subodh saqi ghazal, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Kisi Ko De Ke Dil Koi Nawa Sanj E FughaN KyuN Ho
july 3, 2012, posted in ilhaami aayaat, mirza ghalib

Kisi ko de ke dil koi nawaa-sanj-e-fughaaN kyuN ho?? ??
Na ho jab dil hi sine mein to phir muNh main zubaan kyun ho

 

Wafaa kaisi? kahan ka ishq? jab sar phoRna Thehra
To phir ae sangdil tera hi sang-e-aastaaN kyuN ho?

Yehi hai aazmaanaa to satana kis ko kehte haiN?
Adu ke ho lye jab tum to mera imtihaaN kyuN ho?

 

Ye keh sakte ho “Hum dil main nahin hain?” par ye batlao!
K jab dil mein tum hi tum ho to aankhon se nihaaN kyuN ho?

Qafas mein mujh se roodad-e-chaman kehte na dar humdum
Giri hai jis pe kal bijli woh mera aashiyaaN kyuN ho?

 

Nikala chahta hai kaam kya taa’noN se tu Ghalib?
Tere be-mehar kehne se wo tujh par mehrbaaN kyuN ho?

 

(Mirza Ghalib)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghalib ghazal, ghazal by mirza ghalib, mirza ghalib ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Tumhari Anjuman Se Uth Ke Divane Kahaan Jate
june 26, 2012, posted in ilhaami aayaat, qateel shifayi
Tumhaarii anjuman se uTh ke diivaane kahaaN jaate

Jo vaabastaa hue tum se voh afsaane kahaaN jaate

Nikal kar dair-o-kaa’ba se agar milta na maiKhaana

To Thukraaye hue insaaN Khudaa jaane kahaaN jaate

Tumhaari be-ruKhii ne laaj rakh lii baada-Khaane kii

Tum aaNkhoN se pilaa dete to paimaane kahaaN jaate

Chalo achchhaa huaa kaam aa gaiyi diivaangi apnii

Vagar na ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate

‘Qateel’ apnaa muqaddar Gham se be-gaanaa agar hota

To phir apne paraaye ham se pahchaane kahaaN jaate

(By:Qateel Shifai)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, qateel shifai ghazals, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Bahut Roya Woh Hum Ko Yaad Kar Ke
may 30, 2012, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Bahut roya woh hum ko yaad kar ke

Hamaari zindagii barbaad kar ke

PalaT kar phir yahiN aajayeNge hum

Woh dekhe to hamaiN aazaad karke

Rihaayii ki koi soorat nahii hai

Magar haaN! minnat E saiyaad kar ke

Badan mera chhuaa tha usne lekin

Gaya hai rooh ko aabaad kar ke

Har aamir tool dena chaahta hai

Muqarrar zulm ki mee’aad kar ke

(Parveen Shakir)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy6 comments
Naam Hi Kya NishaN Hi Kya Khaab O Khyaal Ho Gaye
may 22, 2012, posted in ilhaami aayaat, joan alia

Naam hi kya nishaN hi kya khaab O khyaal ho gaye
Teri misaal de ke hum teri misaal ho gaye

Saya E zaat say bhi rum, aks E sifaat se bhi rum
Dasht E ghazal main aa ke dekh hum to ghazaal ho gaye

Kitne hi nashsha-ha-E-zouq, kitne hi jazba-ha-E-shouq
Rasm E tapaak E yaar se ru ba zawaal ho gaye

Ishq hai apna paidaar, us ki wafa hai ustawaar
Hum to halaak e warzish E farz E mahaal ho gaye

Kaise zameeN parast the ahd E wafa ke paasdaar
UR kar bulandyun meiN hum, Gard E malaal ho gaye

Qurb E jamaal aur hum, Aish E wisaal aur hum ?
HaaN ye hua K sakin E shahr E jamaal ho gaye

Jadaa E shouq main paRa Qahat E ghubar E karwaN
WaaN ke shajar to sar ba sar dast E sawaal ho gaye

Kaun sa qafila hai yeh jis ke jaras ka hai yeh shor
Main to niDhal hogaya hum to niDhal hogaye

khaar ba khaar gul ba gul, fasl E bahaar aa gayi
Fasl E bahaar aa gayi , zakhum bahaal ho gaye

Shor uTha magar tujhy lazat E gosh to milii
Khoon bahaa magar teray hath to laal ho gaye

Hum nafasaan E waz’a-daar, mustam’aaan E burd baar
Hum to tumharay waastay ek wabaal ho gaye

‘Joan’ karoge kab talak apna misalia talash
Ab kayi hijr hogaye, ab kayi saal hogaye

(Joan Alia)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by joan alia, joan alia ghazals, modern shairi, shairy in urdu, tavil bahr, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Phir Usi Raah Guzar Par Shayad
may 15, 2012, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Phir Usi Raah Guzar Par Shayad

Hum Kabhi Mil SakeiN Magar, Shayad

Jinke Hum Muntazar Rahe Unko

Mil gaye Aur Humsafar Shayad

Jaan Pahchaan Se Bhi Kya Hoga

Phir Bhi Ae Dost, Ghaur Kar Shayad

Ajnabeeyat ki Dhund Chhat Jaye

Chamak Utthe Teri Nazar Shayad

Zindagi Bhar Lahu Rulaayegi

Yaad-e-Yaaran-e-Bekhabar Shayad

Jo Bhi BichhRe Wo Kab Mile haiN ‘FARAZ’

Phir Bhi Tu Intezaar kar Shayad..!!!

(Ahmad Faraz)

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy10 comments
Faseel E Jism Gira De Makaan E JaaN Se Nikal
may 1, 2012, posted in abhishek shukla, ilhaami aayaat

Faseel e jism gira de makaan e jaaN se nikal

Ye intshaar zada shahr hai..yahaaN se nikal

Teri talaash meiN phirte haiN aaftaab kayi

So ab ye farz hai tujh par ki saaybaaN se nikal

Tamaam shahr par ik khaamushi musallat hai

Ab aisa kar k kisi din meri zabaaN se nikal

Maqaam e vasl to arz o samaa ke beech meiN hai

MaiN is zameen se niklooN..tu aasmaaN se nikal

MaiN apni zaat meiN taareekiyaaN samete hooN

Tu ik charaagh jala..aur ab yahaaN se nikal

Kaha tha mujhse bhi ik din hawaa e sahra ne

Meri panaah meiN aa ja..ghbaar e jaaN se nikal

Safar khud apne musafir ka dhyaan rakhta hai

Bas apni khaak utha..aur is makaaN se nikal

(By : Abhishek Shukla)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy9 comments
Main Umr Ke Rastay Mein Chup Chaap Bikhar Jata
april 27, 2012, posted in azm bahzad, ilhaami aayaat

Main umr ke rastay mein chup-chap bikhar jata

Ek din bhi agar apni tanhai se dar jata

Main tark e ta’alluq pe zinda huN so mujrim huN

Kash uske liye jeeta!! apne liye mar jata

Kal saamne manzil thi peechhe meri aawazieN

Chalta to bichhaR jata, rukta to safar jata

Main shehr ki rounaq mein gum ho ke bahut khush tha

Ek shaam bacha leta, ek roz to ghar jata

Uss jaan e takkallum ko tum mujhse to milwatay

Tas_Kheer na kar pata, hairaan to kar jata

(Azm Behzad)

tagged azm bahzad ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, tanhayi, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy14 comments
Phool Sare Teri Khush Rang Nazar Ke Liye Hain
april 23, 2012, posted in ilhaami aayaat, tariq matin

Phool saare teri khush rang nazar ke liye haiN

Zakhm jitne bhi hain sab mere jigar ke liye haiN

Jane kis kaam ke hain, kya hai hamaara masraf??

Hum kisi ghar ke liye hain na safar ke liye haiN

Kitne aalaam O masaayeb ke hain mahvar hum log

KashtiyaN jo bhi hain apni woh bhaNvar ke liye haiN

Meri tanhaayi ke mo’nis hain! mere gham ke rafeeq!

Saare aaNsoo, jo mere deeda e tar ke liye haiN

Apni taqdeer meiN kuchh bhi nahi patjhaR ke siwa

Yeh bahaarein to faqat aek shajar ke liye haiN

Mujh se kahne lagii yeh raat, K ‘Tariq’ saheb

Aap jaage hue kis khaab e sehar ke liye hain?

(By Tariq Matin)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazals by tariq matin, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, tanhayi, taqdeer, tariq matin ghazals, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy1 comment
Khaab Mein Soya Tha Main, Kisne Jagaya Mujh Ko
april 18, 2012, posted in ilhaami aayaat, subodh saqi

 

Khaab meiN soyaa thha maiN, kissne jagaaya mujhko?
Kisski aawaaz ne andar se bulaaya mujhko?

Kaun hooN maiN? ye kisi ne na bataaya mujhko
Aaj tak mujh se kisi ne na milaaya mujhko

Man ke kuchh aur taQaaze haiN, mere tan ke aur
Mujh se milne naheeN deti, meri kaayaa mujhko

Raat ho, Dinn ho, azakhaana ho, maikhaana ho
ChhoRtaa hee naheeN tanhaayi ka saayaa mujhko

Lafz harr tol ke bolo, kahaa karte thhe buzurg
Ye saleeQaa magar ab tak naheeN aayaa mujhko

Raat ke dariyaa ke uss paar suhaana dinn hai
ThhapkiyaaN deke shab-e-gham ne sulaayaa mujhko

Ab to aakaash hee aakaash hai aur meri uRaan
Vehm ke saayoN ne go laakh daraaya mujhko

Written by : SUBODH LAL (SUBODH “SAAQI”)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by subodh saqi, modern shairi, shairy in urdu, subodh saqi ghazal, tanhayi, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum K Too Kya Hai
april 13, 2012, posted in ilhaami aayaat, mirza ghalib

Har ek baat pe kehte ho tum K ‘too kya hai’ ?
TumheeN kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

Na sho’le meiN yeh karishma na barq meiN ye ada
koee bataao K woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
Wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
Hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

RagoN meiN dauRte phirne ke ham naheeN qaayal
Jab aaNkh hi se na Tapka to phir lahoo kya hai ?

Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
Siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

PiyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?

Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata
Wagarna shahar meiN ‘Ghalib’ kee aabroo kya hai ?

(By: Mirza Ghalib)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, classical ghazal, classical poetry, famous ghazal, fine ghazal, ghalib ghazal, ghazal by mirza ghalib, mirza ghalib ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy5 comments
Dil HIjr Ke Dard Se Bojhal Hai
april 10, 2012, posted in ibn e insha, ilhaami aayaat
Dil hijr ke dard se bojhal hai, ab aaan milo to behtar ho

Is baat se humko Kya matlab, yeh kaise ho yeh kyuN kar ho

Ik bheek ke donoN kaasay hain, ik pyaas ke donoN pyase hain

Hum khaitee hain, tum badal ho,hum nadiya hain,tum saagar ho

Hum saNjh samay ki chhaya hain, tum chaRhti raat ke chandarmaaN

Hum aate hain, tum jate ho, phir mel ki soorat kyuN kar ho

Ab husn ka rutbaa aali hai, ab husn se sehra khali hai

Chal basti meiN banjara ban, chal nagri me saudaagar ho

Jis cheez se tujhko nisbat hai,jis cheez se tujh ko chahat hai

Wo sona hai,wo heera hai, wo maati ho ya kunkar ho

Wo raatein chand ke saath gain, wo baatein chand ke sath gain

Us sukh k sapne dekheiN kyun, jab dukh ka sooraj sar par ho

Ab ‘Insha Ji’ ko bulana kya, ab pyaar ke deep jalana kya??

Jab dhoop aur chhaaya aik se hoN, jab din or raat barabar ho!!

(By: Insha Ji)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ibn e insha, ibn e insha ghazals, insha ji, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Raushan Kaheen Bahaar Ke Imkaan Hue To Hain
april 4, 2012, posted in faiz ahmad faiz, ilhaami aayaat

Raushan kaheeN bahaar ke imkaaN hue to haiN
Gulshan mein chaak chand garebaaN hue to haiN

Ab bhi khizaan ka raaj hai lekin kaheen kaheen,
Gosh E rah E chaman mein ghazal-khaaN hue to haiN

Thahri huii hai shab ki siyaahi vaheeN magar
Kuchh kuchh sahar ke rang purafshaaN hue to haiN

In mein lahu jalaa ho hamara K jaan O dil
Mehfil mein kuch chiraagh farozaaN hue to haiN

Haan kaj karo kulaah K sab kuch luta ke hum
Ab be-niyaaz E gardish E dauraaN hue to haiN

Ahl E qafas ki subah E chaman mein khulegi aankh
Baad E sabaa se vada O paimaaN hue to haiN

Hai dasht ab bhi dasht magar, khoon E pa se ‘Faiz’
Sairaab chand khaar E mugelaaN hue to haiN

 

(Faiz)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, faiz ahmad faiz ghazal, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by faiz ahmad faiz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Gham Ka Vo Zor Ab Mere Andar Nahi Raha
march 29, 2012, posted in ilhaami aayaat, munir neyazi
Gham kaa vo zor ab mere andar nahi rahaa
Is umr meiN, maiN itana samar_var nahi rahaa

Is ghar meiN jo kashish thi gayi un dinoN ke sath
Is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahi rahaa

Vo husn-E-naubahaar, abad shauq jism sun
Rahna tha us ko saath mere, par nahi rahaa

Mujh meiN hi kuchh kami thi K behtar maiN un se tha
MaiN shahar meiN kisii ke baraabar nahi rahaa

Rahbar ko un ke haal ki ho kis tarah Khabar
LogoN ke daramiyaan vo aakar nahi rahaa

Waapas na jaa vahaaN K tere shahar meiN ‘Munir’
jo jis jagah pe tha vo vahaaN par nahi rahaa

(By : Munir Neyazi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, munir neyazi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy7 comments
Sab Qareene Usi Dildaar Ke Rakh Dete Hain
march 26, 2012, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Sab qareenay, usi dildaar ke, rakh dete haiN

Hum ghazal men bhi hunar yaar ke rakh dete haiN

Shayad ajayeN kabhi chashm e khariidar men hum

Jan O dil biich mein bazaar ke rakh dete haiN

Zikr e janaN mein yeh duniya ko kahaN le aaye

Log kyuN mas’alay bekaar ke rakh dete haiN

Zindagii teri amaanat hai magar kya kijiye

Log yeh bojh bhi thak haar ke rakh dete haiN

Hum to chahat men bhi ghalib ke muqallid hain ‘Faraz’
Jis pe marte haiN use maar ke rakh dete haiN

(Ahmad Faraz)

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy6 comments
De Uthi Lau Jo Tere Sath Guzaari Hui Sham …
march 13, 2012, posted in abhishek shukla, ilhaami aayaat
De uThi lau jo tere saath guzaari hui shaam
Hujra e jaaN ki har ik cheez pe taari hui shaam

Umr bhar dhoop lapete rahe apne tan se
Ham se pahni na gayi uski utaari hui shaam

Pahle to mujhse meri zaat ka matlab poochha
Aur phir apne hi ehsaas se ‘aari hui shaam

Ae junooN pooch isi lamha e maujood se poochh
Lams ye kiska uThaaya hai K bhaari hui shaam

Do hi kirdar numaayaaN hain kahaani meiN meri
BekaraaN dasht hua maiN to shikaari hui shaam

Is taraf dasht e badan meiN koi sooraj dooba
Us taraf seena e aflaak se jaari hui shaam

MaiN naseiN kaat ke sooraj meiN utar hi jaata
Par khayaal aaya tera hijr ki maari hui shaam

Kya faqat hamse sawaalaat kiye jaayenge??
Kya faqat hamse mukhatib hai ye haari hui shaam?

Ham ne har shai meiN utarte hue dekha khud ko
Yaad aayi jo tere qurb pe waari hui shaam

By: Abhishek Shukla

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Kaleja Thaam Lo Roodad E Gham Ham Ko Sunane Do …
march 6, 2012, posted in ilhaami aayaat, kalim ajiz
Kaleja thaam lo roodad E gham ham ko sunaane do
Tumhein duk_kha hua dil ham dikhate hain dikhane do

Usi ke dam se thoRi raushni hai khaana E dil meiN
Bujhaate kyuN ho sham- E aarzoo ko jhilmilane do

Usi se tum kisii kii zulf ki roodaad sun lena
Udhar dekho wo deewaana chala aata hai aane do

Suna hai ishq ka me’raaj pinhaN hai shahadat me
Chhuri laao mujhe bhi apni qismat aazmaane do

Na dagh aayega apne daman E husn E tabiy’at per
Wafaa per mere jo tohmat lagate hain lagane do

Zamana sabr kar leta hai ‘Ajiz’ ham bhi kar leNge
Khalish dil ki miTa lene ke do aaNsoo bahane do

(Kalim Ajiz)

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, classics in modernity, dr. kalim ajiz ghazals, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by kalim ajiz, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy2 comments
Na Hamsukhan Se, Na Main Hamzabaan Se …
february 27, 2012, posted in ilhaami aayaat, subodh saqi
Na hamsukhan se, na maiN hamzabaaN se poochhooNga

MaiN apnay ghar ka pataa laamakaaN se poochhooNga

“Bataao ishq ke kya aur imtihaaN haiN abhi?”

MaiN raaste kee harik kahkashaaN se poochhooNga

Tamaam lutf-e-sama’aT ke jaadooee pehloo –

KhamoshiyoN meiN kissee bezubaaN se poochhooNga

Naee Talaash naye raasToN ke baaray meiN

Kissee bhatakTe hue kaarvaaN se poochhooNga

Vohee sawaal mere bachche mujh se poochheiNge

Jo maiN’ne socha thhaa abba miyaaN se poochhooNga

by : SUBODH LAL (SUBODH “SAAQI”)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by subodh saqi, modern shairi, shairy in urdu, subodh saqi ghazal, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …
february 8, 2012, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye

Jo tera lams mile to khule yeh baab E wajood
Aur is mein ho tu kabhi mayhmaaN hamare liye

Hum us pe khaab ki soorat utarne waale hain
Sajaye aaNkh mein wo kahkashaaN hamare liye

Udaas hochuke lamhoN mein rang bharti hui
Hawaaye shaam hai na-mehrbaaN hamare liye

Nateejatan hamaiN mahroom e khaab hona paRa
HaqeeqatoN ne kaRe imtehaaN hamare liye

11 comments
Zindagi Bhar Wafa Hamin Se Hui …
february 3, 2012, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi
Zindagi bhar wafaa hamiN se huii
Sach hai yaro khataa hamiN se huii

Dil ne har daagh ko rakha mehfooz
Ye zameeN khushnuma hamiN se huii

Ham se pehle zameen E shehr E wafa
Khaak thi, keemiyaa hamiN se huii

Kaun uThata shab E firaaq ke naaz
Yeh bala aashnaa hamiN se huii

Be-gharaz kaun dil gaNwaata hai
Teri Qeemat adaa hamiN se huii

Sitam E naarawa tujhi se hua
Tere haq mein dua hamiN se huii

Sa’yi – tajdeed E dosti ‘Nasir’
Aaj kya, baarha hamiN se huii

(Nasir Kazmi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by nasir kazmi, modern shairi, nasir kazmi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Tu Hai Gar Mujh Se Khafaa, Khud Se Khafaa Hun …
january 31, 2012, posted in ilhaami aayaat, mazhar imam
(Our Beloved poet Mazhar Imam passed away on yesternight 11.30 on 30th Jan 2011. Pray for the peace of his soul. He was born in 1928 in Bihar’s Darbhanga district. He spent a glorious life and served Urdu literature. This famaous Ghazal written by him is a tribute.)

 

Tu hai gar mujh se khafa khud se khafaa huN maiN bhii
Mujh ko pahchaan K teri hi adaa huN maiN bhii

Aek tujh se hi nahiN fasl E tamannaa shaadaab
Vohi mausam huN vohii aab O havaa huN maiN bhii

Sabt huN dast E Khamoshii pe hinaa kii suurat
Naashunidaa hi sahii teraa kahaa huN maiN bhii

ChaaNd ban kar tere aaNgan meN utar hii jaauN
Raat ke pichhale pahar maaNg duaa huN maiN bhii

YuuN na murjhaa K mujhe Khud pe bharosaa na rahe
Pichhle mausam meN tere saath khilaa huN maiN bhii

Jaane kis raah chaluN, kaun se ruKh muR jaauN
Mujh se mat mil K zamaane ki havaa huN maiN bhii

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by mazhar imam, mazhar imam ghazals, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy6 comments
Wahshatein Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Sath …
january 30, 2012, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Wahshatein barhti gayiN hijr ke aazaar ke saath
Ab to hum baat bhi karte nahi Ghamkhaar ke saath

Hum ne ek umr basar ki hai Gham E yaar ke saath
‘Meer’ do din na jiye hijr ke aazaar ke saath

Ab to hum ghar se nikalte hain to hans dete haiN
Taaq par izzat E saadaat bhi dastaar ke saath

Is qadar khauf hai ab shahr ki galiyoN me K log
Chaap sunte haiN to lag jaate hain diiwaar ke saath

Aek to khaab liye phirte ho galiyoN galiyoN
Us pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath

Shahr ka shahr hi naaseh ho to kya kijiyega
Warna hum rind to bhiR jate hain do chaar ke saath

Hum ko us shahr mein taa’miir ka sauda hai jahaaN
Log me’maar ko chun dete haiN deewaar ke saath

Jo sharaf hum ko mila koocha E jaanaaN se ‘Faraz’
Sooye-maqtal bhi gaye haiN usi pindaar ke saath

(Ahmad Faraz)

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Guftagu Karta Tha, Gata Tha, Hansaa Karta Tha …
january 25, 2012, posted in ilhaami aayaat, subodh saqi
Guftagu karta tha, gaataa tha, haNsaa karta tha
Jism meraa thaa, koyee aur rahaa karta tha

AahateiN, dastakeiN, rah rah ke sunaa karta tha
Dinn meiN sau baar ye darwazaa khulaa karta tha

Pahle voh mere liye jab bhee duaa karta tha
Uski aawaaz meiN ek dard huaa karta tha

Jiska saaya mere hamraah chala khata hai
Pahle voh khud mere hamraah chalaa karta tha

AasmaaN ab bhi vohi, khaahisheiN ab bhi haiN vohi
Voh magar par kahaaN jin se maiN uRaa karta tha

Raat ho, din ho, kaRee dhoop ho ya thandi chhaaoN
Har qadam sar pe mere saayaa rahaa karta tha

Khauf jo mujh ko pareshaan kiyaa karte thay
Un ko aksar nazar-aNdaaz kiyaa kkarta tha

By: SUBODH LAL (SUBODH ‘SAAQI’)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Tasawwurat Ka Haasil, Wohi Nishaana E Dil …
january 21, 2012, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
تصوارت کا حاصل ، وہی نشانہ دل
اسی کہ ذکر سے دلچسپ ہے فسانہ دل

مجھے یہ خوف کے تیری عدم توجہ سے
اجڑ نا جائے کہیں اب کے آشیانہ دل

چلی گئی وہ کسی جسم کی سكونت میں
ہزار ہم نے سجایا نگار خانہ دل

یہاں پہ کتنے حسین ولولے ہمکتے تھے
بھرا رہتا تھا کبھی میرا آستانہ دل

بہت عزیز ہے دست تاہی کا کرب مجھے
اسی کہ دم سے میرے پاس ہے خزانہ دل

ذرا ٹھہر کے یہی ساعتیں قیام کی ہیں
پھر اس کہ بعد بدل جائیگا زمانہ دل . . . !

Tasawwurat ka haasil, wohi nishaana e dil
Usi ke zikr se dilchasp hai fasaana e dil

Mujhe yeh khauf k teri adam tawajjohi se
UjaR na jaye kahin abke aashiyana e dil

Chali gayi woh kisi jism ki sakoonat mein
Hazaar hum ne sajaya nigaar khana e dil

Yahan pe kitne haseeN walwale humakte the
Bhara pura tha kabhi mera aastaana e dil

Suna hai dard ke lamhaat lauT aayenge
Jabhi to surkh hua jaata hai dihaana e dil

Bahut aziz hai dast e tahi ka karb mujhe
Isi ke dam se mere pas hai khazana e dil

Zara Thahar K yahi saa’ateiN qyaam ki haiN
Phir is ke baad badal jaayega zamaana e dil

6 comments
Apni Tanhayi Mere Nam Pe Abaad Kare …
january 19, 2012, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir
Apni tanhaayii mere naam pe aabaad kare

Kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare

Dil ajab shahr K jis par bhi khula dar iska

Woh musaafir ise har samt se barbaad kare

Apne qaatil ki zahanat se preshan hun main

Roz ek maut naye tarz ki eejaad kare

Itnaa hairaaN ho meri be-talabi ke aage

Wa qafas mein koi dar khud mera saiyyad kare

Salb E beenaayii ke ahkaam mile hain jo kabhi

Raushni chhune ki khashish koi shabzaad kare

Soch rakhna bhi jaraayem mein hai shamil ab to

Wohi maasoom hai har baat pe jo saad kare

Jab lahoo bol paRe uske gawaahoN ke khilaf

Qaazii-E-shahr kuchh is baab mein irshaad kare

Uski muTThi mein bahut roz raha mera wajood

Mere saahir se kaho ab mujhe aazaad kare

(Parveen Shakir)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, tanhayi, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Aap Apna Ghubaar The Hum To …
january 18, 2012, posted in ilhaami aayaat, joan alia
Aap apna Ghubaar the hum to
Yaad the, yaadgaar the hum to

Pardagi! hum se kyuN rakha parda
Tere hi pardaa-daar the hum to

Waqt ki dhoop mein tumhare liye
Shajar E saayaa daar the hum to

URte jaate hain dhool ke manind
AaNdhiyoN par sawaar the hum to

Hum ne kyuN khud pe aetebaar kiya
Sakht be-aetebaar the hum to

Sharm hai apni baar baari ki
Be sabab baar baar the hum to

KyuN hamain kar diya gaya majboor
Khud hi be-ikhtiyaar the hum to

Tum ne kaise bhulaadiya hum ko
Tum se hi musta’aar the hum to

Khush na aaya hamain jiye jaana
Lamhe lamhe pe baar the hum to

Sah bhi lete hamaare ta’anoN ko
Jan e man, jaaN nisaar the hum to

Khud ko dauraan e haal mein apne
Be tarah naa-gawaar the hum to

Tum ne hum ko bhi kar diya barbaad
Naadir E rozgaar the hum to

Hum ko yaroN ne yaad bhi na rakha
‘Joan’ yaaroN ke yaar the hum to

(Joan Alia)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by joan alia, joan alia ghazals, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Teri Shoridaa Mizaji Ke Sabab Tere Nahi …
january 11, 2012, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat
تری شوریدہ مزاجی کے سبب تیرے نہیں
اے مرے شہر ترے لوگ بھی اب تیرے نہیں
میں نے ایک اور بھی محفل میں انھیں دیکھا ہے
یہ جو تیرے نظر آتے ہیں یہ سب تیرے نہیں
یہ بہ ہر لحظہ نئی دھن پہ تھرکتے ہوئے لوگ
کون جانے کہ یہ کب تیرے ہیں کب تیرے نہیں
تیرا احسان کہ جانے گئے پہچانے گئے
اب کسی اور کے کیا ہوں گے یہ جب تیرے نہیں
دربدر ہو کے بھی جو تیری طرف دیکھتے تھے
وہ ترے خانماں برباد بھی اب تیرے نہیں
اب گلہ کیا کہ ہوا ہوگئے سب حلقہ بگوش
میں نہ کہتا تھا کہ یہ سہل طلب تیرے نہیں
ہو نہ ہو دل پہ کوئی بوجھ ہے بھاری ورنہ
بات کہنے کے یہ انداز یہ ڈھب تیرے نہیں
افتخار عارف
Teri shoreedaa mizaaji ke sabab tere nahi
Ae mere shahr! tere log bhi ab tere nahi

Mainne ek aur bhi mahfil men inhen dekha hai
Yeh jo tere nazar aate hain ye sab tere nahi

Yeh ba-har-lamhaa nayi dhun pe thirakte hue log
Kaun jaane K yeh kab tere hain kab tere nahi

Tera ehsaan K jaane gaye, pahchaane gaye
Ab kisi aur ke kya hoNge yeh jab tere nahi

Dar-ba-dar hoke bhi jo teri taraf dekhte the
Woh tere khaanumaaN barbaad bhi ab tere nahi

Ab gila kya K hawaa hogaye sab halqa-bagosh
MaiN na kahta tha K yeh ahl e talab tere nahi

Ho na ho dil pe koi bojh hai bhaai warnaa
Baat kahne ke yeh andaaz yeh Dhab tere nahi

(By: Iftekhar Aarif)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Teri Ummid Tera Intezar Jab Se Hai …
january 7, 2012, posted in faiz ahmad faiz, ilhaami aayaat
Teri ummid, tera intezar jab se hai

Na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai

Kisi ka dard ho karte haiN tere naam raqam

Gilaa hai jo bhi kisi se, tere sabab se hai

Hua hai jab se dil E na – saboor be – qaboo

Kalam tujh se nazar ko baRe adab se hai

Agar sharar hai to bhaRke, jo phool hai to khile

Tarah tarah ki talab, tere rang e lab se hai

KahaaN gaye shab E furqat ke jaagne wale

Sitaara e sehari hum-kalaam kab se hai

(Faiz)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, faiz ahmad faiz ghazal, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by faiz ahmad faiz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Nama Bar Apna Hawaaon Ko Banane Wale …
january 5, 2012, posted in ilhaami aayaat, qateel shifayi

Namaa-bar apna hawaaoN ko banaane wale

Ab na aayeNge plat kar kabhi jaane wale

Kya milega tujhe bikhre hue khaaboN ke siwa

Ret par chaaNd ki tasveer banaane wale

Sabne pehna tha baRe shouq se kaghaz ka libas

Jis qadar log the barish mein nahaane wale

Mar gaye hum to ye katbay pe likha jaayega

So gaye aap zamaane ko jagaane wale

Dar O deewar pe hasrat si barasti hai ‘Qateel’

Jaane kis des gaye pyaar nibhaane wale

(Qateel Shifayi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, qateel shifai ghazals, shairy in urdu, tasveer, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Hua Karega Har Ek Lafz Mushkbaar Apna …
january 4, 2012, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Hua karega har ek lafz mushkbaar apna
Abhi sakooN se kiye jaao! Intezaar apna

Utha liya hai bhalay half jaaN – nisaari ka
Mujhe sanbhaal, ke hota huN bar bar apna

Udaas aankhoN ko hai intezar fasl E muraad
Kabhi to mausam e jaN hoga saazgaar apna

Tumhaare dar se uThaye gaye, malaal nahi
WahaN to chhoR ke aaye hain hum ghubaar apna

Sabhi chiraaGh kamar-bastaa haiN hawa k khilaf
Bechaari le ke kahaaN jaye inteshaar apna

Bahut buland hui jaati hai anaa ki faseel
So hum bhi tang kiye jaate haiN hisaar apna

1 comment
Mil Hi Jaayega Kabhi, Dil Ko Yaqeen Rahta Hai …
december 30, 2011, posted in ahmad mushtaq, ilhaami aayaat

Mil hi jaayega kabhi, dil ko yaqeeN rahta hai

Wo isi shahr ki galiyoN mein kaheeN rahta hai

Jis ki saansoN se mahakte the dar O baam tere

Ae makaaN bol, kahaN ab wo makeeN rahta hai

Ek zamaana tha K sab ek jagah rahtay the

Aur ab koi kaheeN, koi kaheeN rahta hai

Roz milne pe bhi lagta hai ja jug beet gaye

Ishq mein waqt ka ehsaas naheeN rahta hai

Dil fasurdaa to hua dekh ke usko lekin

Umr bhar kaun jawaaN, kaun haseeN rahta hai

(By: Ahmad Mushtaq)

tagged ahmad mushtaq ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy5 comments
Meri Aankhon Ke Aage Aayina Hai, Main KahaN HuN …
december 27, 2011, posted in ilhaami aayaat, subodh saqi
Meri aaNkhoN ke aage aaeena hai, maiN kahaaN hooN?
Faqat saaya hi saaya rah gaya hai, maiN khaaN hooN?

PaRosi, dost, rishte-daar aur kuchh ajnabee haiN
Mere aaNgan meiN aisa jamghaTa hai, maiN kahaaN hooN?

Na jaane kab se maiN duniyaa meiN kya kya dhooNdta thaa
Wajood ab mera mujh ko dhooNdta hai, maiN kahaaN hooN?

Vo meree shakl aur kapRe pehan kar ghoomtaa hai
JahaaN miltaa hai, mujhse poochhta hai, maiN kahaaN hooN?

Ye bastee hai naye chehroN ki bastee, aur yahaaN par
Faqat bahroopiyoN ka silsilaa hai, maiN kahaaN hooN?

Milaa “Saaqi” se pyaasoN ko bulawaa, aur sunaa hai
Sar-e-fehrist koee paarsaa hai, maiN kahaaN hooN?

by: SUBODH LAL (SUBODH ‘SAAQI’)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by subodh saqi, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Bichhar Ke Tum Se Yeh Sochun …
december 21, 2011, posted in ilhaami aayaat, mohsin naqvi
BichhaR ke tum se yeh sochuN, K dil kahaaN jaaye
Sehar udaas kare, shaam raayegaaN jaaye

ZameeN – badar jo hue ho to mere ham-safaro
Chalay chalo K jahaaN tak yeh aasmaaN jaaye

Tamaam shahr mein phailii hui hai tanhaayii
Ye dil jawaaN sahi, lekin kahaaN kahaaN jaaye

JaluN to yuN K azal jagmagaa uThe mujh se
BujhuN to yuN K abad tak mera dhuwaaN jaaye

Abhi to dil se nikal kar zabaaN tak aayi hai
Kise khabar K kahaaN tak yeh daastaaN jaaye

Qadam-qadam pe hai zandaN ravish-ravish pe salib
Koi to ho jo K jo ab bahr E imtehaaN jaaye

BichhaR chalaa hai to meri duaa bhi leta ja
WahaaN-wahaaN mujhe paye, jahaaN-jahaaN jaye

Main apne ghar ki taraf jaarahaa huN yuN ‘Muhsin’
K jaise luT ke, kisi ban mein kaarvaaN jaaye

(Mohsin Naqvi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, mohsin naqvi ghazals, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Sukhan Mein Rang Tumhare Khyaal Hi Ke To Hain …
december 20, 2011, posted in ilhaami aayaat, irfan siddiqui
Sukhan mein rang tumhare khyaal hi ke to haiN
Ye sab karishmay, hawaaye visaal hi ke to haiN

Kaha tha tum ne K deta hai kaun ishq mein jaan
So hum jawaab, tumhaare sawaal hi ke to haiN

Zara si baat hai dil mein agar bayaaN ho jaaye
Tamaam mas’alay, izhaar haal hi ke to haiN

YahaaN bhi is ke siwa aur kya naseeb hamaiN
Khutan me rahke bhi chashm-e-ghazaal hi ke to haiN

Jasaarat E sukahan E shairaaN se darna kya
Ghreeb, mashghala e qeel o qaal hi ke to haiN

Haawaa ki zad pe hamara safar hai kitni der
Chiraagh hum kisi shaam E zawaal hi ke to haiN

(Irfan Siddiqui)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Hum Rahe, Par Nahi Rahe Aabaad …
december 19, 2011, posted in ilhaami aayaat, joan alia
HUM RAHE, PAR NAHI RAHE AABAAD
YAAD KE GHAR NAHI RAHE AABAAD
KITNI AANKHEN HUIN HALAAK E NAZAR
KITNE MANZAR NAHI RAHE AABAAD
HUM K AE DIL SUKHAN THE SAR-TA-PA
HUM LABON PAR NAHI RAHE AABAD
SHAHR E DIL MEIN AJAB MOHALLE THE
JIN MEIN AKSAR NAHI RAHE AABAD
JANE KYA WAQEAA HUA, KYUN LOG
APNE ANDAR NAHI RAHE AABAD
tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by joan alia, joan alia ghazals, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Zindagi Karne Ki Phir Tahreek Andar Se Hui …
december 16, 2011, posted in ilhaami aayaat, muzaffar hanfi
Zindagi karne ki phir taHreek andar se hui
Zakham bahar the, tabii’at theek andar se hui

Tu ne kyuN itni salakhaiN khiRkiyoN par taan diN
Dor saansoN ki teri baareek andar se hui

MaiN jisay baizaar ho kar choR aaya tha kabhi
Ab wohi basti bahut nazdeek andar se hui

Hum yeh samajhe the mu’mma zindagi ka hul hua
Aur phir paida nayee tashkeek andar se hui

Bhar liya hoga paRosi ka ujaala chheen kar
Aap ki qandeel kyuN tareek andar se hui

Kashmakash thi ae ‘Muzaffar’ is zamiN aur bahr me
Doob janay ki mujhay tahreek andar se hui

(Muzaffar Hanfi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by muzaffar hanfi, modern shairi, muzaffar hanfi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Khamoshiyon Mein Hai Sangeet Jaisi Jaadugari …
december 8, 2011, posted in ilhaami aayaat, subodh saqi
KhamoshiyoN meiN hai saNgeeT jaisee jaadugaree
Kabhee khayaal, kabhee DaaDra, kabhee thumree

VahaaN na kaam karegi khiraD kee kaareegaree
JahaaN hawaa meiN ghulaa ho tilism-e-bekhabree

Thee afra-tafri bahut dil ki anjuman meiN magar
Na tumne waada nibhhaaya na bheji khushkhabari

MaiN dhoondtaa hee rahaa us ko jo mujhee mein hai
Ye mera zauQ-e-nazaaraa, ye meree kamnazaree

Abhi khamosh hai paani, hawaa bhi chup hai magar
Ubaal aayegaa, uphnegee aur besabaree

Naye paDaao, naye shehr aur naye sehraa
Hazaar tajrube paaye ba-raahe- dar-badaree

Vo log Qaus-o-Qazah se bhee khauf khaayeiNge
Ki jinn ki sirf guphaaoN meiN zinDagi guzree

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Jab Yar Ne Rakht E Safar Bandha …
december 6, 2011, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Jab yaar ne rakht E safar baandha kab zabt ka yaara us din tha

Har dard ne dil ko sehlaayaa!! kya haal hamaara us din tha

Jab khaab hui us ki aaNkhain jab dhund hua us ka chehraa

Har ashk sitaara us shab tha har zakhm angaara us din tha

Sab yaaroN ke hote sote – hum kis se gale mil kar rote

Kub galiyan apni galiyan thein kab shahr hamaara us din tha

Jab tujh se zara ghafil Thehre har yaad ne dil per dastak di

Jab lab pe tumhara nam na tha her dukh ne pukaara us din tha

Ek tum hi ‘Faraz’ na thay tanha! ab ke to bulaawa jab aaya

Ek bheeR lagi thi maqtal mein her dard ka mara us din tha

 

(Ahmad Faraz)

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, tanha, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Muhabbat Mein Wafaadaari Se Bachiye …
december 5, 2011, posted in ilhaami aayaat, nida fazli
Muhabbat mein wafaadaari se bachiye

JahaaN tak ho adaakaari se bachiye

Har ek soorat bhali lagti hai kuchh din

Lahoo ki sho’bdaa-kaari se bachiye

Sharaafat, aadmiyat, dard – mandi !!

BaRe shahroN mein bimaari se bachiye

Zaroori kya har ek mehfil mein aana

Takalluf ki rawaadaari se bachiye

Bina pairoN ke sar chalte nahi hain

BuzurgoN ki samajhdaari se bachiye

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, nida fazli ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy6 comments
Woh Meri Rooh Ko Shadab Karta Rahta Tha …
november 30, 2011, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
WOH MERI ROOH KO SHAADAAB KARTA RAHTA THA
MAIN UN DINON SAFAR E KHAAB KARTA RAHTA THA

BAS EIK ZIKR TERA THA JO GAAH GAAH MUJHAY
ASEER E HALQAA E AHBAAB KARTA RAHTA THA

USE TO ZAKHM-RUTAIN DEKHNE KI AADAT THI
MAIN CHAARAA-JOOYII KE ASBAB KARTA RAHTA THA

HUM EK GHAR KE LIYE KHAAR, AUR HAKIM E SHAHR
SHUMAR E GUMBAD O MEHRAAB KARTA RAHTA THA

USAY KHABAR THI K MAIN PAAR UTAR HI JAAUNGA
SO, KASHTIYAAN MERI GHARQAAB KARTA RAHTA THA

9 comments
Tere Darwaaze Pe Meri Dastakein …
november 29, 2011, posted in ilhaami aayaat, subodh saqi
Tere Darwaaze pe meri DasTakeiN rah jaayeiNgee
Tere Dil meiN mere dil kee DharRkaneiN rah jaayeiNgee

Kitne Deewaane Thhay ham, ye aTkaleiN rah jaayeiNgee
Lok virsay meiN hamaari laGhzisheiN rah jaayeiNgee

Pankh jab kholainge ham, uRte hee uRte jaayeiNge
Aur peechhe manzileiN hee manzileiN rah jaayeiNgee

Zehn meiN, Dil meiN, nazar meiN, rang rach-bas jaayeiNge
Aur fizaa meiN fasl-e-gul kee khushbooeiN rah jaayeiNgee

MauQay- mauQay par mere ash’aar dohraaogay Tum
MaiN chalaa jaaooNgaa meri aahateiN rah jaayeiNgee

WaQayaa maazi kee galiyoN meiN kaheen rah jaayega
WaQt ke daaman pe thhoRee silwateiN rah jaayeiNgee

Kaun jaane inQuilaab aaye na aaye phirr kabhee
Aasmaano! raat dinn kee gardishein rah jaayeiNgee!

By : SUBODH “SAAQI”

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, subodh saqi ghazal, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Zara Si Der Ko Aaye The Khaab Aankhon Mein …
november 26, 2011, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat

Zara si der ko aaye the khaab aaNkhoN mein
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mein

Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
KhaTak raha hai wohi aaftaab aaNkhoN mein

Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mein

Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mein

Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mein

Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mein

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Udaas Rut Mein Basad Ehtemaam Aagaye Hain …
november 17, 2011, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Udaas rut mein basad ehtemaam aagaye hain
In aaNsuoN ko saleeqay tamaam aagaye hain

Agar na laut ke aayeN to yeh samajh lenaa
K hum bhi jung-e-muhabbat mein kaam aagaye hain

Pukaarti hai hamain saahiloN se aati hawaa
K likh ke ret pe, teraa jo naam aagaye hain

Ajeeb rog laga hum ko sair E mahfil ka
So maikaday ki taraf ek shaam aagaye hain

Bus ek hum hain sabhi darja-bandiyoN se paray
Wagarna bazm mein sab khaas o aam aagaye hain

3 comments
Koyi Had Nahi Hai Kamaal Ki …
november 12, 2011, posted in ilhaami aayaat, munir neyazi
Koyee had nahi hai kamaal ki
Koyee had nahi hai jamaal ki

Wohi qurb O door ki manzileN
Wohi sham khaab O khyaal ki

Na mujhe hi uska pata koyee
Na use khabar mere haal ki

Ye jawaab meri sada ka hai
K sada hai uske sawaal ki

Wo qayamateN jo guzar gayiN
ThiN amanateN kayee saal ki

Ye namaaz E asr ka waqt hai
Ye ghaRi hai din k zawaal ki

Hai ‘Munir’ subh E safar nayii
Gayee baat shab ke malaal ki

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, munir neyazi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
O Mere Masroof Khuda …
november 11, 2011, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi
O mere masroof khuda
Apni duniya dekh zara

Itni khilqat ke hote
ShahroN meN hai sannata

JhoNpRi waloN ki taqdeer
Bujha bujha sa aek diya

Khaak uRate haiN din raat
MeeloN phail gaye sehra

ZaaG O zaghaN ki gunjoN se
Suna jangale GuNj uTha

Suraj sar pe aa pahuNcha
Garmi hai ya roz E jaza

Peyasi dharti jalti hai
Sukh gaye bahte dariya

FaslaiN jal kar raakh huiN
Nagri nagri kaal paRa!!

O mere masroof khuda
Apni duniya dekh zara

tagged best ghazal, best ghazals, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by nasir kazmi, modern shairi, nasir kazmi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Mar Jaye Koi Un Ko Gham NaeeN Hona …
november 8, 2011, posted in ilhaami aayaat, muzaffar hanfi
Mar jaaye koi un ko gham naeeN hona
Un doo ankhooN meiN nam naeeN hona

Pat_ta hai to lashoN se pat jaanay do
Dekho, is kuchay meiN mataam naeeN hona

Kala badal ghor nirasha ka hooN maiN
Pyaray tum bhi bijli sai kam naeeN hona

Jungle ka qanoon chalay ga, suntay haiN
Basti meiN adam wadam naeeN hona

Hum bhi istiqbal ko janay walay thai
Wo kahta hai kala parcham naeeN hona

Qatra hooN to shabnam rah kar ji loonga
Logo, mujh ko darya meiN zam naeeN hona

Wo mujh ko beshak Thanda kar saktai haiN
Aag ‘Muzaffar’ GhazloN meiN kam naeeN hona

 

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by muzaffar hanfi, modern shairi, muzaffar hanfi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Be Rukhi Tu Ne Bhi Ki, Uzr E Zmana Ker Ke …
november 2, 2011, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Be-rukhi tu ne bhi ki, Uzr-E-zmana ker ke

Ham bhi mehfil se uTh aaye haiN bahana ker ke

Kitni baaten thiN na kehna thiN, so keh bheji haiN

Ab pasheman haiN qaasid ko rawana ker ke

Kya kaheN kya hai un ankhoN me k rakh deti haiN

Aik achchay bhalay insaaN ko diwana ker ke

Koi weerana E hasti ki khabr kya lata

Khud bi ham bhool gaye dafn khzana ker ke

Wo agar ankhon me rehta to ham khush the ‘Fraz’

Us ne kya zulm kiya dil me Thikana ker ke

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy9 comments
Sar Mera Kaam Yeh Kar Aaya Tha …
november 2, 2011, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Sar mera kaam yeh kar aaya tha
Kooy E qatil se guzar aaya tha

Apni hi khoj me sargardaaN hun
Main kahaaN jaake bikhar aaya tha

Kya pata uski haiN kitni shakleN
Raat to aankh mein bhar aaya tha

Dasht E ghurbat mein khyaal aata hai
Ghar bhi dauraan E safar aaya tha

Sangbarii se woh bachte bachte
Gahre paani mein utar aaya tha

Shairi aaj sar e raah mili !!!
Rang roop uska nikhar aaya tha.

3 comments
Tera Hijr Mera Naseeb Hai …
october 24, 2011, posted in ilhaami aayaat, nida fazli
Tera hijr mera naseeb hai,
Tera Gham hi meri hyaat hai
Mujhe teri doori ka Gham ho kyuN
Tu kahiN bhi ho mere saath hai

Mere vaaste tere naam par
Koi harf aaye! nahi, nahi!!
Mujhe khauf e duniya nahi magar
Mere roo-baru teri zaat hai

Tera vasl ae meri dilruba
Nahi meri Qismat to kya hua
Meri mahjabeeN yahi kam hai kya
Teri hasratoN ka to saath hai

Tera ishq mujh pe hai mehrbaaN
Mere dil ko haasil hai do jahaN
Meri jaan E jaaN isi baat par
Meri jaan jaaye to baat hai

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, nida fazli ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Kaahay ko Biyaahi Bides …
october 21, 2011, posted in amir khusro, muntakhab nazms

Kaahay ko biyaahi bides, ray, lakhi baabul moray,
Kaahay ko biyaahi bides……..

Bhayiyon ko diye babul mehlay do-mehlay,
Hum ko diya pardes, ray, lakhi babul……
Hum to hain babul teray khoontay ki gayyan,
Jid haankay hank jaayen, ray, lakhi babul……
Hum to hain babul teray belay ki kaliyan,
Ghar ghar maangi jaayen, ray lakhi babul……
Hum to hain babul teray pinjray ki chidiyan,
Bhor bhaye ud jaayen, ray, lakhi babul……
Taaqon bhari mainay gudiyan jo chhoReeN
Chhoota sahelin ka saath, ray lakhi babul……
Kothay talay say palakiya jo nikli,
Beeran nay khaayi pachhaR, ray, lakhi babul…..
Dolee ka parda uthakar jo dekha,
Aaya piya ka des, ray, lakhi babul moray.

Kaahay ko biyaahi bides, ray, lakhi baabul moray.
Kaahay ko biyaahi bides……..

 

tagged amir khusro, amir khusrow, classical poetry2 comments
Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar E Jafa Nahi Kiya …
october 15, 2011, posted in ilhaami aayaat, joan alia

Dil ne wafa ke naam par kaar E jafa nahi kiya
Khud ko halaak kar diya! khud ko fida nahi kiya

Kaise kahen K tujh ko bhi ham se hai vaasta koi
Tu ne to hamase aaj tak koi gilaa nahi Kiya

Jane teri ‘nahi’ ke sath kitne hi jabr the, K the
MaiN ne tere lehaaz mein tera kaha nahi kiya

Tu bhi kisi ke baab mein ahd shikan ho Ghaliban
MaiN ne bhi ek shakhs ka qarz ada nahi kiya

Jo bhi ho tum per mo’tariz usko yahi jawaab do
Aap bahut sharif haiN aapne kya nahi kiya

Jis ko bhi shaikh O shah ne hukm E khuda diya qarar
Humne nahi kiya woh! han, bakhuda nahi kiya

Nisbat E ilm hai bahut haakim E waqt ko ‘aziiz
Usne to kaar E jehl bhi be olamaa nahi kiya

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by joan alia, joan alia ghazals, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Jabeen E Shauq Pe Gard E Malaal Chaahti Hai …
october 13, 2011, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Jabeen E shauq pe gard E malaal chaahti hai
Meri hayaat, safar ka m’a’aal chaahti hai

MaiN vus’atoN ka talabgaar apne ishq mein huN
Woh meri zaat mein ek yerGhamaal chaahti hai

HamaiN pata hai K us mehrbaaN ki charaa-gari
Hamaare zakhmoN ka kab indmaal chaahti hai

Tumhare baad meri aankh zid pe aagayi hai
Wohi jamaal, wohi khadd O khaal chaahti hai

Hum us ke jabr ka Qissa tamaam chahte haiN
Aur uski teGh, hamaara zawaal chaahti hai

Tum is ko apne tasarruf meiN laarahe ho, magar
Yeh shairy hai! Zara dekh bhaal chaahti hai

4 comments
Main To Bin Dekhe Bahal Jaunga …
october 1, 2011, posted in ilhaami aayaat, muzaffar hanfi
Main to bin dekhe bahal jauNga, lekin tum log
Toor kahta hai ke jal jauNga, lekin tum log

Khak se raabta rakhna tumheN manzoor nahi
MaiN to mitti men bhi ral jauNga, lekin tum log

Dagmagata jo nahi hai wo sambhalta bhi nahi
DagmagauN ga, sambhal jauNga, lekin tum log

Tum bhi charhte hue suraj ke pujari nikle
Ek pahar aur hai! dhal jauNga, lekin tum log

Khud hi ek shola E jawwala huN mera kya hai
Bhujh ke us paar nikal jauNga, lekin tum log

Qaeda hai hai ke pighal jata hai jalne wala
Raoshni deke pighal jauNga, lekin tum log

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by muzaffar hanfi, modern shairi, muzaffar hanfi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Hum KahaN Aur Tum KahaN JaanaaN …
september 10, 2011, posted in ilhaami aayaat, joan alia
ہم کہاں اور تم کہاں جاناں
ہیں کئی ہجر درمیاں جاناں
رائیگاں وصل میں بھی وقت ہوا
پر ہوا خوب رائیگاں جاناں
میرے اندر ہی تو کہیں گم ھے
کس سے پوچھوں ترا نشاں جاناں
عالم بیکراں میں رنگ ھے تو
تجھ میں ٹھہروں کہاں کہاں جاناں
روشنی بھر گئی نگاہوں میں
ہو گئے خواب بے اماں جاناں
اب بھی جھیلوں میں عکس پڑتے ہیں
اب بھی ھے نیلا آسماں جاناں
ھے جو پر خوں تمہارا عکس خیال
زخم آئے کہاں کہاں جاناں


Hum kahaN aur tum kahaN jaanaaN
HaiN kayee hijr darmiyaN jaanaaN

RaaygaN wasl meN bhi waqt hua
Par hua khoob raayegaN jaanaaN

Mere ander hi tu kahiN gum hai
Kis se puchhuN tera nishaN jaanaaN

Aalam E bekaraN meN rang hai tu
Tujh meN ThahruN kahaN kahaN jaanaaN

Raushni bhar gayee nigaahoN meN
Ho gaye khaab be amaN jaanaaN

Ab bhi jheeloN meN aks parte haiN
Ab bhi neela hai aasmaN jaanaaN

 

Gayi RutoN Me To Shaam O Sehar Na The Aise …

 

گئی رتوں میں تو شام و سحر نہ تھے ایسے
کہ ہم اداس بہت تھے مگر نہ تھے ایسے

یہاں بھی پھول سے چہرے دکھا ئی دیتے تھے
یہ اب جو ہیں یہی دیوار و در نہ تھے ایسے

ملے تو خیر نہ ملنے پہ رنجشیں کیسی
کہ اس سے اپنے مراسم تھے پر نہ تھے ایسے

رفاقتوں سے مرا ہوں مسافتوں سے نہیں
سفروہی تھا مگر ہم سفر نہ تھے ایسے

ہمیں تھے جو ترے آنے تلک جلے ورنہ
سبھی چراغ سر رہگزر نہ تھے ایسے

دل تباہ تجھے اور کیا تسلی دیں
ترے نصیب ترے چارہ گر نہ تھے ایسے

Gayi rutoN me to shaam O sehar na the aise
K hum udaas bahut the magar na the aise

Yahaan bhi phool se chehre dikhayi dete the
Yeh ab jo hain, yahi deewaar O dar na the aise

Mile to khair, na milne pe ranjishenN kaisi
K us se apne marasim the par na the aise

RafaaqatoN se mara huN, musaafatoN se nahi
Safar wohi tha magar hum-safar na the aise

HameeN the jo tere aane talak jalay warnaa
Sabhi chiraagh sar e rahguzar na the aise

Dil e tabaah! tujhe aur kya tasalli den
Tere naseeb, tere chara-gar na the aise

 

Maslak -E- Jabr Woh Apnaate Hue …

 

Maslak -e- jabr woh apnaate hue
Hum baGhaavat pe tule jaate hue

Chashm-e-ummeed ko path_raate hue
Dekh lo khaab ko murjhaate hue

Apni bebaak muhabbat ki wajah
Ek mulaqaat thi, ghabraate hue

Dekhte rahte hain hum hijr naseeb
Saa’at E wasl guzar jate hue

Husn-e-afsurda ki taazim me sab
phool paaye gaye murjhate hue

Kya mere baa’d bhi koi aaya
Dar E maqtal pe ghazal gaate hue

Sar E baazaar tamaashaayi sab
Jaan se aik bashar jaate hue

Humne us k liye kuchh she’r likhe
Dil e babas pe taras khate hue

Rooh ko hogaye battiis baras
Habs E be-ja ki sazaa paate hue

1 comment
Kisi ke Jaur O Sitam Yaad Bhi Nahi Karta …
july 14, 2011, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat
Kisi ke jaur O sitam yaad bhi nahi karta
Ajeeb shahr hai fariyaad bhi nahi karta

Koi to hai jo parindoN ko baal O par dekar
ZamiN Ki qaid se aazad bhi nahi karta

Na jane kaisi qayamat guzar gayi ab ke
Gharib shikwa E bedaad bhi nahi karta

Kabhi kabhi ye giraN-gosh Cheekh paRta tha
Ye kaam ab mera hum-zaad bhi nahi karta

Wahi salib O salasil, sukoot, sang zani
Naye sitam koi eejaad bhi nahi karta

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Kab Tak Baithe Hath MaleN …
june 13, 2011, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi
Kab tak baithe hath maleN

Chal sathi kahiN aur chaleN

Ab kis ghaaT pe baNdheN nao

Ab yeh toofaN kaise TaleN

Ab Ye mangeN kaun bhare

Ab ye paude kaise phaleN

Jug jug jiyeN mere saathi

Jalne waale aur jaleN

Tujhko chain mile ‘Nasir’

Tere dukh geetoN men dhaleN

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by nasir kazmi, modern shairi, nasir kazmi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy6 comments
Ye Jaah O Hasham Nahi Rahe ga …
june 8, 2011, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat

Ye jaah O hasham nahi rahe ga
Ye tabl O alam nahi nahi rahega

Aayegi, zaroor aayegi subh
Ye ahd E sitam nahi rahe ga

Palte ga palat ke aaye ga din
Adbaar O alam nahi rahe ga

Ankhon men sajeNge khab bas khab
Daman koi nam nahi rahe ga

Aalam men kharaba E khush aasaar
Qamat tera kam nahi rahe ga

Ya baat rahegi ahle huq ki
Ya phir ye qalam nahi rahe ga

 

Shab Wohi Lekin Sitara Aur Hai …

 

Shab wohi lekin sitara aur hai
Ab safar ka iste’ara aur hai

Ek muththi rait men kaise thame
Is samandar ka kinara aur hai

Mauj k murne men kitni der hai
Nao dali aur dhara aur hai

Jang ka hathyar tai kuch aur tha
Teer seene men utara aur hai

Matn men to jurm sabit hai magar
Haashiya, sare ka sara aur hai

Sath to mera zamiN deti mager
Aasman ka hi ishara aur hai

Dhoop men dewaar hi kaam ayegi
Tez barish ka sahara aur hai

Haarne men ek anaa ki baat thi
Jeet jane men khasara aur hai

Sukh ke mausam ungliyoN pe gin liye
Fasl E gham ka goshwara aur hai

Der se palkeN nahi jhapkiN meri
Pesh E jaN abke nazara aur hai

Aur kuch pal us ka rasta dekh lun
Aasman par ek tara aur hai

Had chiraghon ki yahan se khatm hai
Aaj se rasta hamara aur hai

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Yeh Jo Zer E Ataab Hain Saaray …
may 31, 2011, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
یہ جو زیر عتاب ہیں سارے
حامی انقلا ب ہیں سارے

شہر ہے جن کے دم سے با رونق
ہم سے خانہ خراب ہیں سارے

دام خوش منظری میں قید ہو کیوں ؟
بے وقوفو !! سراب ہیں سارے

اپنے خوابوں کی لاش اٹھاے ہیں
لوگ جو کامیاب ہیں سارے

وہ گلی ، وہ مکان ، وہ کھڑکی
کچی عمروں کے خواب ہیں سارے


Yeh jo zer E ataab haiN saaray
Haamii E inqilaab haiN saaray

Shahr hai jin ke dam se ba rounaq
Hum se khaanaa kharaab haiN saaray

Daam E khush manzari meN qaid ho kyun?
Be waqoofo! saraab haiN saaray

Apne khaaboN ki laash uthaaye haiN
Log jo kaamyaab haiN saaray

Woh gali, woh makaan, woh khiRki
Kach_chi umroN k khaab haiN saaray

Aa kisi din tujhe main dikhlaun
Dukh mere lajawab hain saare

 

Be Nam Sa Yeh Dard Thehar KyuN Nahi Jaata …

 

Be-naam sa yeh dard Thehar kyuN nahi jaataa

Jo beet geya hai woh guzar kyuN nahi jaataa

Sab kuch to hai kya dhoondti rahti hain nigaahaiN

Kya baat hai maiN waqt pe ghar kyuN nahi jaataa

Woh ek hi chehraa to nahi saare jahaaN meiN

Jo door hai woh dil se utar kyuN nahi jaataa

Mein apni hi uljhi huii raahoN ka tamaashaa

Jaate haiN jidhar sab maiN udhar kyuN nahi jaataa

Woh naam jo barsoN se samaayaa hai zehen meN

Woh khaab agar hai to bikhar kyuN nahi jaataa

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, nida fazli ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy9 comments
Sundar Komal SapnoN Ki Baaraat …
may 19, 2011, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir
Sundar komal sapnoN ki baaraat guzar gayi jaanaaN
Dhup aNkhon tak aa pahuNchi hai raat guzar gayi jaanaaN

Bhor samay tak jis ne hamaiN baaham uljhaaye rakkha
Woh albeli resham jaisi baat guzar gayi jaanaaN

Sadaa ki dekhi raat hamaiN is baar mili to chupke se
Khaali hath pe rakh k kya saughat guzar gayi jaanaaN

Kis koNpal ki aas meN ab tak waise hi sar-sabz ho tum
Ab to dhup ka mausam hai barsaat guzar gayi jaanaaN

Log na jane kin raatoN ki muraadeN maaNga karte haiN
Apni raat to woh jo tere saath guzar gayi jaanaaN

 

Chiraagh Apne Hawa Dene Se Pahle …

 

ChiraaGh apne hawa dene se pahle
Jalaane the bujhaa dene se pahle

MiyaaN kya lazmi tha khaak uRana
Kisi ko raastaa dene se pahle

Naseem e subh ko aayaa paseena
KhazaaN ko bad dua dene se pahle

Mila sakte ho kya hum se nigaaheN
Baghavat ki sazaa dene se pahle

Munaasib hai K paRh li jaaye takhti
Kisi dar par sadaa dene se pahle

Hamaaraa haarna tai ho chukaa tha
Tumhaare haath utha dene se pahle

Sakhi mashhoor the hum bhi ‘Muzaffar’
Magar sab kuchh luta dene se pahle

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by muzaffar hanfi, modern shairi, muzaffar hanfi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Ek Naye Roop Men Nazar Aaya …
april 9, 2011, posted in ilhaami aayaat, malikzada javed

Ek naye roop me nazar aaya
Wo kahiN jake kya saNwar aaya

Mere yadoN ke thum gaye hain paon
Us haweli ka jab khaNdar aaya

Apne daaman ko phaaR kar rona
MuddatoN baad ek hunar aaya

Log izzat se tak rahe haiN mujhe
Mera kirdaar ab nikhar aaya

ChaaoN jaisi thi shakhsiyat jiski
Dhoop oRhay hue nazar aaya

Apne par ko samet kar ‘Javed’
AasmanoN se maiN utar aaya

 

Jurm E Inkaar Ki Sazaa Hi De …

 

جرم انکار کی سزا ہی دے
میرے حق میں بھی کچھ سنا ہی دے

شوق میں ہم نہیں زیادہ طلب
جو ترا ناز کم نگاہی دے

تو نے تاروں سے شب کی مانگ بھری
مجھ کو اک اشک صبح گاہی دے

تو نے بنجر زمیں کو پھول دیے
مجھ کو اک زخم دل کشا ہی دے

بستیوں کو دیے ہیں تو نے چراغ
دشت دل کو بھی کوئی راہی دے

عمر بھر کی نوا گری کا صلہ
اے خدا کوئی ہم نوا ہی دے

زرد رو ہیں ورق خیالوں کے
اے شب ہجر کچھ سیاہی دے

گر مجال سخن نہیں ناصر
لب خاموش سے گواہی دے


Jurm E inkaar ki sazaa hi de
Mere haq meN bhi kuch sunaa hi de

Ishq meN ham nahiN zyaadaa-talab
Jo teraa naaz E kam-nigaahi de

Tu ne taaroN se shab ki maaNg bhari
Mujh ko ek ashk subh-gaahi de

Tu ne banjar zamiN ko phuul diye
Mujh ko ek zakhm dil-kushaa hi de

BastiyoN ko diye haiN tu ne chiraaG
Dasht E dil ko bhii koii raahi de

Umr bhar ki navaa-gari kaa silaa
Ae Khudaa! koii ham-navaa hi de

Zard-roo hain waraq KhyaaloN ke
Ae shab E hijr, kuch siyaahii de

Gar majaal E sukhan nahiN ‘Nasir’
Lab E khaamosh se gavaahi de

 

Be Qaraari Si Be Qaraari Hai …

 

Be-qaraari si be-qaraari hai
Wasl hai aur firaaq taari hai

Jo guzaari na ja saki hum se
Hum ne woh zindagi guzaari hai

Us se kahiyo K dil ki galioN meN
Raat din teri intezaari hai

Ik mehak samt-E-jaaN se aayi thi
MaiN yeh samjha teri sawaari hai

Haad-soN ka hisab hai apna
Warna har aan sab ki baari hai

Bin tumhare kabhi nahiN aayi
Kya meri neeNd bhi tumhari hai

Nig-habaaN kya hue K logoN par
apna saaya bhi ab to bhaari hai

Khush rahe tu ke zindagi apni
Umr bhar ki ummeed waari hai

Aap meN kaisay aauN maiN tujh bin
SaaNs jo chal rahi hai aari hai

Hijr ho ya wisal ho kuchh ho
Hum haiN aur us ki yaadgaari hai

 

 

Tere Siwa Bhi Mujhe Koyi Yad Aane Waalaa Tha …

 

Tere siwa bhi mujhe koyii yad aane waalaa tha
MaiN warna yuN hijr se kab ghabraane waalaa tha

Jaan boojh kar, soch samajh kar maiN ne bhula diya
Har woh Qissaa jo dil ko bahlaane waalaa tha

Mujhko nadamat bas is per hai log bahut khush haiN
Is lamha ko kho kar maiN pachtaane waalaa tha

Yeh to khair huyii dariya ne rukh tabdeel kiya
Mera shahr bhi us ki zad meN aane waalaa tha

Ek ek kar ke sab rastay kitne sunsan huye
Yad aaya maiN lambe safar per jaane waalaa tha

(Prof. Shahr Yar)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, fine ghazal, ghazal by shahr yaar, modern shairi, shahr yaar ghazals, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Kuchh Yadgar E Shahr E Sitamgar Hi Le Chalen …
march 8, 2011, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi

Kuchh yadgar-E-shahr-E-sitamgar hi le chalen
Aaye haiN is gali meN to pat_thar hi le chalen

YuN kis tarah katega kaRi dhup ka safar
Sar par khayal-e-yar ki chaadar hi le chalen

Ranj-E-safar ki koi nishaani to paas ho
Thori si khak-E-kucha-E-dilbar hi le chalen

Ye kah k chheRti hai hamaiN dilgiraftagi
Ghabraa gaye haiN ap to bahar hi le chalen

Is shahr-E-be-chiraaGh meN jaayegi tu kahaN
Aa ai shab-E-firaaq tujhe ghar hi le chalen

 

tagged ghazal by nasir kazmi, nasir kazmi ghazal3 comments
Kahin Goyaayi Ke HaathoN Samaa’at Ro Rahi Hai …
march 4, 2011, posted in azm bahzad, ilhaami aayaat
(Aaj yani 4 March 2011, ko Azm Bahzad sahab hamare beech se rukhsat hogaye. Unki yeh ghazal unko khiraj e aqeedat ke taur par. Khuda unhen jannat me uncha maqaam ata kare)

KahiN goyaayi ke haathoN samaa’at ro rahi hai
KahiN lab bastaa rah jaane ki hasrat ro rahi hai

Kisi deewaar par nakhun ne lik_kha hai rihaayi
Kisi ghar meN aseeri ki aziyyat ro rahi hai

KahiN member pe baiTha hai ek sajde ka nashsha
Kisi mehraab ke neeche ibaadat ro rahi hai

Yeh maathe par paseene ki jo larzish tumne dekhi
Yeh ek chehre pe laa-haasil mushaqqat ro rahi hai

Ajab mahfil hai sab ek dusre pe haNs rahe haiN
Ajab tanhaayi hai khilwat ki khilwat ro rahi hai

Yeh khamoshi nahi, sab iltejaayeN thak chuki haiN
Yeh aaNkheN tar nahi, rone ki himmat ro rahi hai

Jo ba’ad az hijr aaya, us ko kaise wasl kah duN?
Shikaayat se gale mil ke nidaamat ro rahi hai

Ise ghussa na samjho! ‘Azm’ yeh mere lahoo me
Musalsal zabt karne ki riwaayat ro rahi hai

 

tagged azm bahzad ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, tanhayi, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Woh Har Jumla Adhoora Bolta Hai …
february 24, 2011, posted in ilhaami aayaat, malikzada javed
Wo har jumla adhoora bolta hai
Phir uske baad chehra bolta hai

Wo taht-ul-lafz ho ya ho tarannum
Ghazal kiski hai lahja bolta hai

Jahannum naam likhwa lega apne
Buzurgon se jo ooNcha bolta hai

Hai aaurat ek saleeqe mand ghar me
Sajawat ka tareeqa bolta hai

Ghazal ‘Javed’ ne chheRi hai jab se
Jidhar dekho ujaala bolta hai

(Malikzada Javed)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, ghazal by malikzada javed, malikzada javed ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy7 comments
Har Taraf Har Jagah Be Shumaar Aadmi …
february 22, 2011, posted in ilhaami aayaat, nida fazli

Har taraf har jagah be shumaar aadmi
Phir bhi tanhaaiyoN ka shikaar aadmi

Subh se shaam tak bojh dhotaa hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi

Har taraf bhaagte dauRte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi

Roz jeetaa hua roz martaa hua
Har naye din, naya intezaar aadmi

Zindagi ka muQaddar safar dar safar
Aakhri saans tak be-qaraar aadmi

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, nida fazli ghazal, tanhayi, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Tumne Khud Ko Chalo Sajaya To …
february 21, 2011, posted in ilhaami aayaat, malikzada javed

Tumne khud ko chalo sajaayaa to
Aaiinaa aaj muskuraayaa to

Ishq kar lunga dushmanoN se maiN
woh agar ho gaya paraayaa to

Soch kar dil ko toRna mere
Ye diya bujh ke jal na paayaa to

Dhoop kamroN se rooTh jaayegi
PeR aaNgan me gar lagaayaa to

Meri aaNkhen thiN khushk muddat se
Aashiqui ne chalo rulaayaa to

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, ghazal by malikzada javed, malikzada javed ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Yeh Tajrubaa Bhi Karun …
february 14, 2011, posted in ilhaami aayaat, mazhar imam

Ye tajrubaa bhi karuN, ye bhi kar dikhaauN maiN
K Khud ko yaad rakhuN us ko bhul jaauN maiN

Fareb-kaar meN kuchh to hai, koi baat to hai
K jaan boojh ke itne fareb khaauN maiN

Vo pal kahaN haiN jo duniyaa se joRta tha mujhe
Jo paauN tujh ko to sab ke qarib aauN maiN

Kabhi to ho mere ehasaas E kam-tari meN kami
Kabhi to ho K use khul ke aazmaauN maiN

Vo shaKhs hai K nasim E sahar ka jhoNkaa hai
Bikhar hi jaauN jo us ko gale lagaauN maiN

AzaaN ke baad duaa ko jo haath uThaaye voh
‘Imam’ apani namaazeN bhi bhul jaauN maiN

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, ghazal by mazhar imam, mazhar imam ghazals, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy4 comments
Kaha Tha Kisne Tujhe Aabroo GaNwaye Ja …
january 28, 2011, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Kaha tha kisne tujhe aabru gaNwaane jaa
‘Faraz’ aur use haal E dil sunaane jaa

Kal ek faqeer ne kis saadgi se mujhse kaha
Tere JabeeN ko bhi tarsaiNge aastaane jaa

Use bhi hamne gaNwaaya teri khushi ke liye
Tujhe bhi dekh liya hai, aray zamaane jaa

Bahut hai doulat E pindaar phir bhi dewaane
Jo tujhse rooTh chuka hai use manaane jaa

Suna hai usne So’ember kI rasm taza ki
‘Faraz’ tu bhi muqaddar ko aazmaane jaa

 

 

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
TamannaaoN MeN Ulajhaayaa Gaya HooN …
january 19, 2011, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
TamannaaoN meN uljhaayaa gaya hooN
Khilaune de ke bahlaayaa gaya hooN

HooN us kuuche ke har zarre se aagaah
Udhar se muddatoN aayaa gaya hooN

Dil E muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm
Main Khud aayaa nahi laayaa gayaa hooN

Saweraa hai bahut ai shor E mahashar
Abhii bekaar uThavaayaa gayaa hooN

Lahad meN kyuN na jaaooN muNh chhupaye
Bharii mahafil se uThawaayaa gayaa hooN

kujaa main aur kujaa ai ‘Shad’ duniyaa
kahaN se kis jagah laayaa gayaa hooN

Shad Azim Abadi

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, classical ghazal, famous ghazal, fine ghazal, poets of bihar, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy1 comment
Zikr Us Pari-wash Ka, Aur Phir Bayaan Apna …
january 13, 2011, posted in ilhaami aayaat, mirza ghalib

Zikr us parii-wash ka, aur phir bayaaN apnaa
Ban gaya raqib aaKHir thaa jo raazdaaN apnaa

Mai wo kyuN bahut pite bazm E ghair meN yaarab
Aaj hi hua manzoor, un ko imtihaaN apna

Manzar ik bulandee par aur ham banaa sakte
‘arsh se udhar hotaa kaash K makaaN apnaa

DeN vo jis qadar zillat hum haNsi meN TaleNge
Baaray aashna nikla unka paasbaaN apna

Dard E dil likhuN kab tak? jaauN unko dikhlaa duN
UNgliyaaN figaar apni KHaamaa KHuN_chakaaN apnaa

Ghiste-ghiste mit jaata aap ne ‘abas badlaa
Nang E sajdaa se mere sang E aastaaN apna

Ta kare na ghammazee, kar liya hai dushman ko
Dost kii shikaayat meN hum ne hum-zabaaN apna

Ham kahaaN ke daanaa the? kis hunar meN yaktaa the?
Be_sabab huaa ‘Ghalib’ dushman aasmaaN apnaa

 

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by mirza ghalib, mirza ghalib ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Yeh Waqt Phir Se Kisi Imtehan …
january 7, 2011, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat

Yeh waqt phir se kisii imtehaan hi ka na ho
Aur is me abke zayaaN apni jaan hi ka na ho

Suna hai bazm meN sab ki chhalak paRi aaNkhen
KahiiN woh zikr meri daastaan hi ka na ho

Mere qareeb hai tu aur sochtaa huN maiN
K sab tamasha dil E khush gumaan hi ka na ho

Har ek lamhaa ise kori manziloN ki lagan
Ajeeb sar hai, kabhi saaibaan hi ka na ho

Har ek sitam pe yeh imkan paalte rahna
K is me haath kisii mehrbaan hi ka na ho

Bas ek khyaal se dil khauf khane lagta hai
Sitam zareef mere khaandaan hi ka na ho

tagged best ghazal, modern shairi, poets of bihar, urdu poets from bihar3 comments
Dil Ki Baat Labon Per La kar …
january 7, 2011, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Dil ki baat laboN per laa kar ab tak hum dukh sahte haiN
Hum ne sunaa tha is basti me dil waale bhi rahte haiN

Beet gaya saawan ka mahina, mausam ne nazreN badleeN
Lekin in pyasi aankhoN me ab tak aaNsu bahte haiN

Ek hamaiN aawaara kahnaa koi baRaa ilzaam nahiN
Duniya waale dil waaloN ko aur bahut kuchh kahte haiN

Jin ki khaatir shahr bhi chhoRa, jin k liye badnaam hue
Aaj wohi hum se begaane bagaane rahte haiN

Woh jo abhi is raah guzar se chaak garebaaN guzraa tha
Us aawaara deewaane ko ‘Jalib’ ‘Jalib’ kahte haiN

(Habib Jalib)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, udas shairy, urdu shairy3 comments
Kaisa Maazi Tha Kya Hai Haal Apna …
december 24, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Kaisa maazi tha kya hai haal apna
Dekhnaa tha hamaiN zawaal apna

Aur bhi ho gaye haiN hum tanhaa
Ek zara aaya tha khayaal apna

Dasht ho baaz-gasht se aabaad
Koyee duhrayee to sawaal apna

Yeh safar khatm yuN nahi hoga
Raasta badleN mah O saal apna

Dekh hum phir jala rahe hain Chiragh
Ae hawa hauslaa nikaal apna

 

*** Shahr Yar ***

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, ghazal by shahr yaar, modern shairi, shahr yaar ghazals, shairy in urdu, tanha, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Ishq Daam O Diram Se Sharminda …
december 10, 2010, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat

Ishq daam O diram se sharminda

Hum teri chashm E nam se sharminda

Har taraf be-hisii ka pahraa tha

Hum hue apne dam se sharminda

Naa’ra E khalq hai mazid, mazid!

Aap dast E karam se sharminda

Khushk saali ki aahateN paake

Ashk haiN fart E gham se sharminda

Meri majruh ungliyaN ab haiN

Zulf E janaN ke kham se sharminda

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, fine ghazal, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Amir E Shahr Se Sayil BaRa Hai …
december 10, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Amir E shahr se sayil baRa hai
Bahut naadaar, lekin dil baRa hai

Lahoo jamne se pahle khuN-baha de
YahaaN insaaf se Qatil baRa hai

ChaTaanoN meN ghira hai, aur chup hai
Samumdar se kahiN saahil baRa hai

Kisi basti meN hogi such ki hurmat
Hamare shahr meN baatil baRa hai

Jo zil-lul-lah per eemaan laye
Wohi danaoN meN aaqil baRa hai

Use kho kar bahaaye-dard paayii
ZayaaN chhota tha aur haasil baRa hai

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, female poets of urdu, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Azaab Yeh Bhi Kisi Aur Par Nahi Aaya …
december 1, 2010, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat

Azaab yeh bhi kisi aur par nahi aaya
K ek umr chale aur ghar nahi aaya

Us ek khaab ki hasrat meN jal bujhi aaNkheN
Wo ek khaab K ab tak nazer nahi aaya

KareN to kis se kareN naarasaiyoN ka gila
Safar tamaam huaa hum-safar nahi aaya

DiloN ki bat badan ki zabaaN se kah dete
Ye chaahte the magar dil idhar nahi aaya

Ajib hi tha mere daur E gumrahi ka rafiq
BichhaaR gaya to kabhi laut kar nahi aaya

Harim E lafz O ma’aani se nisbateN bhi rahiN
Magar saliqa E arz E hunar nahii aaya

 

tagged best ghazal, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Ek Pari Ru Ko MuNh Zabaani HuiN …
november 30, 2010, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat

Ek pari-ru ko muNh zabaani huiN
Meri GhazleN to ghair faani huiN

Jin ke hone se khush bayaaN the hum
DaastaaneN woh sab puraani huiN

Din dhala, thak ke hum bhi laut gaye
Dukh ki parchhaiyaaN syaani huiN

Ab muqaffal naye makaan meN haiN
Saari cheezeN jo khaandaaneN huiN

Sharm, shokhi, rijhaao, bhola pan
RangateN us ki pur ma’aani huiN

Sach hai, Ghaafil mizaaj thi duniya
AafateN bhi to naagihaani huiN

 

tagged best ghazal, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairyleave a comment
NamazeN Parhna Aadat Ho Gayi Hai …
november 18, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

NamazeN paRhna aadat ho gayii hai
Bahut sastii ibaadat ho gayii hai

Use aane meN kya majburi hogi
HamiN se koyi ghaflat ho gayii hai

Lahoo maeN ab vo sachchayii kahan hai
K woh surf E shahaadat ho gayii hai

Arab ki sar zameeN pakeeza kab thi
Muhammad ki badaulat ho gayii hai

Khuda ko jab se pahchana hai ‘Alavi’
HamaiN sab se muhabbat ho gayii hai

 

(By: Muhammad Alvi)

tagged best ghazal, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Qabr (Nazm)
october 18, 2010, posted in akhtarul eeman, muntakhab nazms

Ajam ke shahroN meN ek shahar ka hai ye qissa
Yeh raft O bood ka ek silsilaa jo qaayam hai
BhaNvar meN jis ke har ek cheez doob jaati hai
Suna hai us meN kisi qasbe ka rayees baRa
PhaNsa kuchh aisa, koi chaal kaargar na hui
Har ek tibbee madad, har dawa, ilaaj, gharaz
Woh sab jo qabza E insaan O mumkinat meN tha
Kiya, tamam maseeha qareeb O door jo the
Talab kiye gaye, sab ko zar E kaseer diya
Magar khuda ko jo manzoor tha woh ho ke raha
Ajal ne beTe se mahboob baap chheen liya
Khabar yeh phail gayi door paas pal bhar meN
Har ek rota tha zaar O qataar sun sun kar
Pisar ke bain ka dil par asar shadeed hua
Woh seena peet ke kahta tha baar baar, ‘Pidar!
Chale ho aisi jagah chhoR kar hameN sab ko
JahaaN na dost na hamdam na koi hai munis
Andheri kothri hogi, akele rahna hai
Na khana paani jahaaN hai na roushni ka guzar
WahaaN pe jaisi bhi guzregi khud hi sahna hai
Har ek chez ko tarsoge haaye haaye wahaaN
Koi madad ko na aayega aisi duniyaa hai!!’

Ghareeb bhi koi shamil tha us janaaze meN
Aur apne noor E nazar ko bhi saath laaya tha
Suni jo aah O buka us ne kuchh nahi samjha
Palat ke baap se poochha bahut hi saadgi se
‘Hamare ghar liye jaate haiN kya unheN baba?’

tagged akhtar ul eeman shiri, nazms4 comments
Dekh Hamari Deed Ke Kaaran …
september 23, 2010, posted in ibn e insha, ilhaami aayaat

Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua

Ek sitaara baiThe baiThe taabish meN khursheed hua

Aaj to jaani, rastaa takte, shaam ka chaNd padeed hua

Tu ne to inkaar kiya tha, dil kab naa-ummeed hua??

Aan ke is beemaar ko dekhe!! tujh ko bhi taufeeQ hui?

Lab pe us ke naam tha tera, jab bhi dard shadeed hua

HaaN us ne jhalak dikhlayi, ek hi pal ko dreeche meN

Jaano ek bijli lahraayi, aalam ek shaheed hua

Tu ne hum se kalaam bhi chhoRa, arz E wafaa k sunte hi

Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua

Duniya ke sab karaj chhoRe, naam pe tere ‘Insha’ ne

Aur use kya thoRe Gham the? tera ishq mazeed hua

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ibn e insha, ibn e insha ghazals, modern shairi, shairy in urdu, tavil bahr, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy9 comments
Yeh Shaam Kitni HaseeN Hai, Magar Udaas Hai Dil …
september 18, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Yeh shaam kitni haseeN hai, magar udaas hai dil
Koi sabab bhi naheeN hai, magar udaas hai dil

Bahut dinoN pe maiN phir apne gaaoN aaya huN
Suna hai woh bhi yaheeN hai, magar udaas hai dil

Phir uss makaan ki khiRki meN chaNd ugtaa hai
Phir us meN koi makeeN hai, magar udaas hai dil

Yeh kaaNpte hue hoNtoN ka lams, yeh khushbu
Woh aaj kitna QareeN hai, magar udaas hai dil

Yeh gooNjti hui waadi, yeh nuQrayi aawaaz
YahiN pe wo bhi kaheeN hai, magar udaas hai dil

Bas ek nigaah jise dekhne ki hasrat thi
Woh aaj pahloo nasheeN hai, magar udaas hai dil

Yeh Gham ki shab bhi dhalegi, sehar bhi aayegi
Har ek shai pe yaQeeN hai, magar udaas hai dil

Bahut hi doob ke kahta huN yeh Ghazal ‘Muztar’
BaRi shaguftaa zameeN hai, magar udaas hai dil

 

By: Muztar Khairabadi (?)

 

tagged best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Kasheeda Sar Se Tawaqqo’ Abas Jhukaao Ki Thi …
september 17, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Kasheeda sar se tawaqqo’ abas jhukaao ki thi
BigaR gayaa huN K surat yahi banaao ki thi

Woh jis ghamand se bichhRa gila to is ka hai
K saari baat muhabbat me rakh rakhaao ki thi

Woh mujh se pyar na karta to waar kya karta
K dushmani meN bhi shiddat usi lagaao ki thi

Magar yeh dard E talab bhi saraab hi niklaa
Wafaa ki lahr bhi jazbaat ke bahaao ki thi

Akele paar utar ke yeh nakhuda ne kaha
Musaafiro yahi Qismat shikastaa naao ki thi

ChiraGh E jaN ko kahaN tak bacha ke hum rakhte
Hawaa bhi tez thi, manzil bhi chal chalaao ki thi

MaiN zindagi se naburd aazma raha huN ‘Faraz’
MaiN jaantaa tha, yahi raah ek bachaao ki thi

 

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Pur ShikastoN Ki Na ChheRo DaastaaN …
august 9, 2010, posted in ilhaami aayaat, muzaffar hanfi

Pur shikastoN ki na chheRo daastaaN is martabaa
BaiTh jaye ga yeh khastaa aasmaaN is martabaa

Dha chuki mera kharaabaa lekin ae reg E rawaaN
Itna Gham tu le ke jaye gi kahaaN is martabaa

Baat karna jurm hai im-saal mere shahr meN
Aur zoroN par meri tab’ E rawaaN is martabaa

Kya khabar abke bhaNwar se hath nikle ya nahi
Dekhiye kya gul khilaye badbaaN is martabaa

Be salaaKh ab aik bhi khiRki nahi rah jayegi
Her taraf se uTh rahi haiN aaNdhiyaaN is martabaa

Wo dareechaa band hai pichhle baras aisa na tha
Door kitni ho gyee hai kahkashaaN is martabaa

Ae ‘Muzaffar’ jam’a hoNgai saari basti ke chiraaGh
Aag se bachnaa nahi koyii makaaN is martabaa

 

tagged best ghazal, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by muzaffar hanfi, modern shairi, muzaffar hanfi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Ab Kya Hai Jo Tere Paas AauN …
august 8, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Ab kya hai jo tere paas aauN
Kis maan par tujhko aazmaauN

Zakhm ab ke to saamnehi khaaauN
Dushman se na dosti buRhaaauN

Titli ki tarah jo uR chuka hai
Wo lamha kahaN se khoj laaauN

Girvi haiN samaa’ateN bhi ab to
Kya teri sadaa ko muNh dikhaaauN

Ae mere liye na dukhne waale
Kaise tere dukh samet laaauN

YuN teri shanaakht mujh meN utre
Pahchaan tak apni bhool jaaauN

Tere hi bhalay ko chaahti huN
MaiN tujh ko kabhi na yaad aauN

Qaamat se baRi salib paa kar
Dukh ko kyuN kar gale lagaaauN

Deewar se bel baRh gyee hai
Phir kyuN na maiN bhi phail jaaauN

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, female poets of urdu, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Raqs Karne Ka Mila Hukm Jo DariyaaoN MeN …
august 4, 2010, posted in ilhaami aayaat, qateel shifayi

Raqs karne ka milaa hukm jo dariyaaoN meN

Humne khush hoke bhaNvar baaNdh liye paaoN meN

Jo bhi aataa hai, bataata hai naya koi ilaaj

Bat na jaaye tera beemaar maseehaaoN meN

Jis barahman ne kaha hai K ye saal achchha hai

Us ko dafnaao mere haath ki rekhaaoN meN

Woh khuda hai kisi TooTe hue dil meN hoga

MasjidoN meN use dhooNdho na kaleesaaoN meN

Humko aapas meN muhabbat nahi karne dete

Bas yehi aib hai is shahr ke daanaaoN meN

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, qateel shifai ghazals, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Ravish MeN Gardish E SaiyyargaaN Se …
august 3, 2010, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat

Ravish meN gardish E saiyyargaaN se achchhi hai
ZameeN kaheeN ki bhi ho aasmaaN se achchhi hai

Jo harf E haq ki himaayat meN ho woh gum-naami
Hazaar waz’a ke naam O nishaaN se achchhi hai

Ajab nahiN k usi ki zabaan kheeNchi jaaye
Jo kah raha hai khamoshi zabaaN se achchhi hai

Bas ek khauf kahiN dil yeh baat maan na jaaye
Yeh khaak E Ghair hameN aashiyaaN se achchhi hai

Hum aise gul-zadagaaN ko bahaar yek saa’at
Nigaar khaana E ahd E khazaaN se achchhi hai

 

tagged best ghazal, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Jane KyuN Pairahan Pe Dhool Na Thi …
july 31, 2010, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat

جانے کیوں پیرہن پہ دھول نہ تھی
یہ مسافت تو بے حصول نہ تھی

جذبۂ دل کو کب پتا تھا اسے
اتنی وارفتگی قبول نہ تھی

میری چاہت میں سرد وقفے تھے
بے وفائی تری فضول نہ تھی

دکھ ہوا جب میری وہ حالت پر
دل گرفتہ نہ تھی ملول نہ تھی

موت دھوکے سے لے گیی جاں کو
زندگی بھی تو با اصول نہ تھی


Jane kyuN pairahan pe dhool na thi
Yeh musafat to be husool na thi

Jazba E dil ko kab pata tha use
Itni waraftagi qubool na thi

Meri chahat meN sard waQfe the
Bewafaayi teri fazool na thi

Dukh hua, jab wo meri haalat par
Dil giraftaa na thi, malool na thi

Maut dhoke se le gayi jaaN ko
Zindagi bhi to ba usool na thi

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, modern shairi, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy7 comments
Aur Kya Zindagi Rah Gayi …
july 27, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Aur kya zindagi rah gayi
Ek musalsal kami rah gayi

Waqt phir darmiyaN aa gaya
Baat phir un-kahi rah gayi

Paas jangal koii jal gaya
Raakh har su jami rah gayi

Zar ka eeNdhan bani fikr E nau
Shaaiiri adh-mari rah gayi

MaiN na roya, na khul ker haNsa
Har nafas tashnagi rah gayi

Tum na aaye meri zindagi
Raah takti huii rah gayi

Paas E dariya dili rakh liya
Laakh tashna labi rah gayi

Phir fana ka payaam aa gaya
Aik umeed thee, rah gayi

Aap ‘Ahmed’ kahaaN reh gaye
Aur kahaaN zindagi rah gayi

Muhammad Ahmed
From Karachi
tagged best shairy, chhoti bahr, modern shairi, shairy in urdu, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Us Raah Pe Jaane Se Pahle Asbaab …
july 25, 2010, posted in azm bahzad, ilhaami aayaat

Us raah pe jaane se pahle asbaab sanbhaal ke rakh lena
Kuchh ashk firaaq se le lena kuchh phool visaal ke rakh lena

Ek umr ki mahroomi apne seene meN chhupaana mushkil hai
Jab hadd E wazaahahat aajaaye, yeh teer nikaal ke rakh lena

Ek hairat dil meN jhaNkegi, aaNkhoN meN sitaare TaaNkegi
Jo aaNsoo tum par bhaari hoN daaman me uchhaal ke rakh lena

Ek aisi chup taari karnaa jaise goyaayi se ‘aari ho
Khaamoshi ke gahwaare me aawaazeN paal ke rakh lena

Chehre se khushi saabit karna jaise har dukh se ghaafil ho
HaaN baab E takhatub aaye to alfaaz malaal ke rakh lena

Woh shaam bahut jald aayegi jo tum ko tum se milaayegi
Us shaam tum apni aahoN se kuchh naGhme dhaal ke rakh lena

Is kaar E jahaaN ki wahshat par jab koi dastaawez likho
Sab se aakhir meN kuchh safhe apne ahwaal ke rakh lena

Taa’eed ke sannate se uTho, tardeed ke shor meN aajaao
Ek talkh jawaab se behtar hai ilzaam sawaal ke rakh lena

Ye khaboN, zakhmoN, daaGhoN ki tarteeb munasib hai lekin
Is zaad E safar meN ‘Azm’ kahiN kuchh sadme haal ke rakh lena
tagged azm bahzad ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Dil Ki Barbaadi Ka Koi Silsilaa Pahle Se Tha …
july 25, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Dil ki barbaadi ka koi silsilaa pahle se tha
Is chiraGh E shab pe altaaf E hawa pahle se tha

Us ke yuN tark E muhabbat ka sabab hoga koi
Ji nahi yeh maanta wo bewafaa pahle se tha

DonoN apni zindagi ke chhutpute meN haiN magar
Is tarah milna muQaddar me likha pahle se tha

Ab to zakhm E dil namak khaar E tawajjoh hai tera
Naam par jari tere harf E dua pahle se tha

Raasta bhoola nahi abke parinde khushkhabar
Aur kuchh ujRa hua shahr E sabaa pahle se tha

Tere aane se to bas zanjeer hi badli gayi
Hum asiiroN pe jafaa ka baab waa pahle se tha

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, female poets of urdu, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Jo Ho Ek Baar Woh Har Baar Ho …
july 24, 2010, posted in ilhaami aayaat, nida fazli
Jo ho ek baar woh har baar ho aisa nahi hota
Hamesha ek hi se pyaar ho aisa nahi hota

Har ek kashti ka apna tajruba hota hai duniya meN
Safar me roz hi manjdhaar ho aisa nahi hota

Kahaani meN to kirdaaroN ko jo chahe banadijiye
HaQeeQat meN kahaani kaar ho aisa nahi hota

KahiN to koi hoga jis ko apni bhi zarurat ho
Har ek baazi meN dil ki haar ho aisa nahi hota

Sikhadeti haiN chalna thokareN bhi raahgiroN ko
Koi rasta sada dushwaar ho aisa nahi hota

tagged best ghazals, best shairy, famous ghazal, modern shairi, nida fazli ghazal, shairy in urdu, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Tark E Muhabbat Kar BaiThe Hum …
july 23, 2010, posted in ilhaami aayaat, mohsin naqvi

Tark E muhabbat kar baiThe hum, zabt E muhabbat aur bhi hai

Ek Qyaamat beet chuki hai, ek Qyaamat aur bhi hai

Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta joR liya

Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya

Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai

Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi

Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai

Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe

Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai

Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai

Ek aziyyat maaNd paRi hai, ek aziyyat aur bhi hai
(Mohsin Naqvi)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, mohsin naqvi ghazals, shairy in urdu, tavil bahr, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Nigaah O Dil Ke Pas Ho Woh Apna Aashnaa Rahe …
july 21, 2010, posted in ilhaami aayaat, mazhar imam
Nigaah O dil ke pas ho wo apna aashnaa rahe
Hawas hai ya K ishQ hai yeh kaun sochta rahe

Woh mera jab na hosaka to phir yahi saza rahe
Kisi ko pyar jab karun woh chhup ke dekhta rahe

Mana to us ko luN magar yeh silsila bhi kya rahe
Alag hai is ka zaaiQa K woh khiNcha khiNcha rahe

Mashaam E jaaN pe khushbuoN ki jab phuwar hi na ho
Hazaar baat baat meN woh phool TsaNktsa rahe

Shaguftan E jamaal ko hijaab E lams chaahiye
Faseel E shab ki oat meN chiraaGh yeh jala rahe

Na itni door jaaiye K log poochhne lagaiN
Kisi ko dil ki kya Khabar, ye hath to mila rahe

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by mazhar imam, mazhar imam ghazals, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairyleave a comment
Yaad Aaye HaiN Ahd E JunuN Ke …
july 20, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Yaad aaye haiN ahd E junuN ke khoye hue dildaar bahut

Un se door basaali basti jin se hamaiN tha pyaar bahut

Ek ek kar ke khili thiN kaliyaaN, ek ek kar ke phool gaye

Ek ek karke hum se bichhRe baaGh E jahaaN meN yaar bahut

Husn ke jalwe aam haiN lekin zauQ E nazaaraa aam nahi

IshQ bahut mushkil hai lekin ishQ ke daavedaar bahut

Zakhm kaho yaa khilti kaliyaaN haath magar guldastaa hai

BaaGh E wafa se hum ne chune haiN phool bahut aur khaar bahut

Jo bhi mila hai le aaye haiN daGh E dil ya daaGh E jigar

Waadi waadi, manzil manzil, bhaTke haiN ‘Sardar’ bahut

(Ali Sardar Ja’fari)

tagged best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, sardar jafari, shairy in urdu, tavil bahr, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Qaa’r E Gumnaami Se Nikle To Khabar MeN Aaye …
july 20, 2010, posted in ilhaami aayaat, tariq matin

Qaa’r E gumnaami se nikle to khabar meN aaye
Teergi kaaT ke hum chaaNd nagar meN aaye

Dil meN is tarh utarte haiN tamanna k parind
Jaise khushhaali achanak kisi ghar meN aaye

Kaash aisa ho K aabaad rahe sab ka makaaN
Roushni aaye to har sehn me dar meN aaye

NaQsh E paa se tere mil jaaye suraaGh E manzil
Tu jo guzre to chamak raah guzar meN aaye

Din ke hangaame teri yaad se Ghafil rak_kheN
Shaam hote hi tera dard jigar meN aaye

Hum salaamat rahe yeh uski nawazish hi to hai
Tuti patwaar liye beech bhaNwar meN aaye

Yeh taQaazaa to zaruri nahi ‘Tariq Sahab’
Aap ka naam bhi arbaab E hunar meN aaye

tagged best ghazal, best shairy, fine ghazal, ghazals by tariq matin, poets of bihar, shairy in urdu, tariq matin ghazals, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy1 comment
Ghanim Se Bhi Adaawat MeN Had Nahi MaaNgi …
july 16, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Ghaniim se bhi adaawat meN had nahi maaNgi
K haar maan li, lekin, madad nahi maaNgi

Hazaar shukr K hum ahl E harf E zindaa ne
Mujaaweraan E aab se sanad nahi maaNgi

Bahut hai lamha E maujood ka sharaf bhi mujhe
So apne fan se baQaay E abad nahi maaNgi

Qubool woh jise karta woh iltejaa nahi ki
Du’aa jo woh na kare mustarad nahi maaNgi

MaiN apne jamaa E sad chaak se bahut khush huN
Kabhi abaa O Qabaa E khirad nahi maaNgi

Shaheed jism salamat uThaye jaate haiN
Jabhi to gor kanoN se lahad nahi maaNgi

MaiN sar barahna phira bhi sar kashiida raha
Kabhi kulaah se tauQeer E Qad nahi maaNgi

Ataa E dard meN woh bhi nahi tha dil ka Gharib
‘Faraz’ maiN ne bhi bakhshish meN had nahi maaNgi

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, sher o adab, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu shairyleave a comment
Tu Ne Kuchh Bhi Na Kaha Ho Jaise …
july 15, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

 

Tu ne kuchh bhi na kaha ho jaise

Mere hii dil ki sadaa ho jaise !!!

YuN teri yaad se jii ghabraayaa

Tu mujhe bhool gaya ho jaise

Is tarah tujh se kiye haiN shikwe

Mujh ko apne se gilaa ho jaise

YuN har ek naQsh pe jhukti hai jabiN

Tera naQsh E kaf E paa ho jaise

Tere hoNtoN ki Khafii si larzish

Ek haseeN she’r hua ho jaise

  • By – Sufi Tabassum *

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Kuchh Gham E JaanaaN Kuchh Gham E DauraaN …
july 11, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
Kuchh gham E jaanaaN kuchh gham E dauraaN, dono meri zaat ke naam

Ek Ghazal mansoob hai tujh se ek Ghazal haalaat ke naam

Mauj E balaa deewaar E shahar par ab tak jo kuchh likhti rahi

Meri kitaab E zeest ko paRhiye!!, darj hai sab sadmaat ke naam

Sehraa, zandaaN, tauQ, salaasil, aatish, zahr aur daar o rasan

Kya kya hum ne de raK_Khe hain aap ke ehsaanaat k naam

Us ki gali se maQtal E jaaN tak, masjid se maikhaane tak

Uljhan, pyaas, khalish, tanhaayi, karb zada lamhaat ke naam

Girte kheeme, jalti tanabaiN, aag ka dariya, khoon ki nahr

Aise munazzam mansooboN ko dooN kaise aafaat ke naam

Roushan chehraa, bheegi zulfaiN, dooN kis ko kis par tarjeeh

Ek Qaseeda dhoop ka lik_khuN, ek Ghazal barsaat ke naam

Jin ke liye mar mar ke jiye hum, kya paayaa un se ‘Manzur’

Kuchh ruswaayi, kuchh badnaami, hum ko mili sauGhaat ke naam

( Malik Zada Manzur Ahmad )
tagged best ghazal, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, qaseeda, shairy in urdu, tanhayi, tavil bahr, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Too Paas Bhi Ho To Dil Be Qaraar Apnaa Hai …
july 2, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Too paas bhii ho to dil beqaraar apnaa hai
K ham ko teraa nahiiN intazaar apnaa hai

Mile koyii bhi teraa zikr chheR dete haiN
K jaise saaraa jahaaN raazdaar apnaa hai

Vo door ho to bajaa tark E dostii ka Khayaal
Vo saamane ho to kab iKhtiyaar apnaa hai

Zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa liya dil se
Is aasare pe K ek Gham-gusaar apanaa hai

‘Faraz’ raahat E jaaN bhii vohii hai kyaa kiije
Vo jis ke haath se siinaa figaar apnaa hai …!!

 

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Kisi Ka Dard Ho Dil Be Qaraar Apna Hai …
july 2, 2010, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi

Kisi ka dard ho dil be-Qaraar apna hai
Hava kahiN ki ho siinaa figaar apna hai

Ho koi fasl magar zakhm khil hi jate haiN
Sadaa bahaar dil E daGhdaar apna hai

Jo shaad phirte the kal aaj chhup ke rote haiN
Hazaar shukr gham E paaidaar apna hai

Na tang kar dil E mehzuN ko ae gham E duniya
Khudai bhar meN yehi Gham gusaar apna hai

Wo koi apne siwaa ho to us ka shikwa karuN
Judaayii apni hai, aur intezaar apna hai

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by nasir kazmi, modern shairi, nasir kazmi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Kab YaaroN Ko Tasleem Nahi Kab Koi Ado Inkaari Hai …
june 29, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Kab yaaroN ko tasleem nahi kab koi ado inkaari hai

Is kooye talab meN hum ne bhi dil nazr kiya jaaN waari hai

Jab saaz E salasil bajte the hum apne lahoo me sajte the

Woh reet abhi tak baqi hai yeh rasm abhi tak jaari hai

Kuchh ahl E sitam kuchh ahl E hasham maikhaana girane aaye the

Dahleez ko choom ke chhoR diya dekha K yeh pat_thar bhaari hai

Jab parcham E jaaN le kar nikle hum khaak nashiN maqtal maqtal

Us waqt se le ke aaj talak jallad pe haibat taari hai

ZakhmoN se badan gulzaar sahi par unke shikastaa teer gino

Khud tarkash wale kah deNge yeh baazi kis ne haari hai

Kis zo’m me the apne dushman shaayad yeh unheN malum na tha

Yeh khaak E watan hai jaaN apni, aur jaan to sab ko pyaari hai

 

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, tavil bahr, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Naaz E Begaangi MeN Kya Kuchh Tha …
june 28, 2010, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi

Naaz E begaangi meN kya kuchh tha
Husn ki saadgi meN kya kuchh tha

Laakh raahaiN thiN laakh jalwe the
Ahd E aawaargi meN kya kuchh tha

AaNkh khulte hi chhup gayi har shai
Aalam E be-khudi meN kya kuchh tha

Yaad haiN marhalay muhabbat ke
Haye us be-kali meN kya kuchh tha

Kitne beete dinoN ki yaad aayee
Aaj teri kami meN kya kuchh tha

Kitne manoos log yaad aaye
Subh ki chaNdni meN kya kuchh tha

Raat bhar ham na so sake ‘Nasir’
Parda E khaamushi meN kya kuchh tha

{ from : Barg E Nai }

tagged best ghazal, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by nasir kazmi, modern shairi, nasir kazmi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy1 comment
Kabhi Ae Haqeeqat E Muntazar – By Allama Iqbal …
june 28, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Kabhi ae haqeeqat E muntazar nazar aa libaas E majaaz meN

K hazaaroN sajday taRap rahay haiN meri jabeen E neyaaz meN

Tarab aashnaa-E-kharosh ho, to nawaa-E-mahram E gosh ho

Wo suror kya K chupa hua ho sukoot E parda E saaz meN

Tu bacha bacha ke na rakh ise, tera aa-i-naa hai wo aa-i-naa

K shikastaa ho to azeez tar hai nigaah E aa-i-naa saaz meN

Dam E tauf E kirmak E sham’a ne yeh kaha K ab woh asar kahaaN

Na teree hikayat E soz meN, na meri hadees E gudaaz meN

Na kahiN jahaaN meN amaaN mili, jo amaaN mili to kahaaN mili

Mere jurm E khaanaa kharaab ko tere ‘afw E bandaa nawaaz meN

Na woh ishq meN rahiN garmiyaaN, na wo husn meN rahiN shokhiyaaN

Na woh Ghaznavi meN taRap rahi, na woh Kham hai zulf E Ayaz meN

Jo maiN sar-ba-sajdaa hua kabhi, to zameeN se aane lagi sadaa

Tera dil to hai sanam aashna, tujhe kya milega Namaaz meN

 

tagged allama iqbal poetry. ghazal by sir iqbal, best ghazal, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, shairy in urdu, sufiana kalam, tavil bahr, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy5 comments
Khelo Phaag Langoti MeN …
june 28, 2010, posted in ilhaami aayaat, muzaffar hanfi

 

Khelo phaag langoti meN
Uljhe daaRhi choti meN

 

Bikta dekha hai eemaan
Do boti ek roti meN

 

Sach_che dar sach_che haiN hum
Saaraa khoT kasoti meN

 

Sab apnoN ka hissa hai
Meri tikka boti meN

 

Aaj ‘Muzaffar’ chaaNd hue
Kal tak the kajloti meN

 

tagged best ghazal, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, ghazal by muzaffar hanfi, modern shairi, muzaffar hanfi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Sham Ne Apni ZulfaiN KholiN Phaila Saayaa Saayaa Ghar …
june 25, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Shaam ne apnee zulfaiN kholiN phaila saayaa saayaa ghar

Kya jaane kya dil par beetii aaj bahut yaad aayaa ghar !!!

Is se achchha tha sapnoN ki chhat k neeche rah lete

Rait pe diwareN uThwayiiN pani par banwaayaa ghar

Mitti tujh se kya rishta hai jis din hum ne chhoRa gaoN

Dair talak diwaareN royiN, door talak saath aayaa ghar

Socha tha maidaan meN shayad kuchh din chain se cut jayeN

Dil bhi kaisa hai bunjaaraa sath uTha kar laayaa ghar

Kya karte! diwaar O dar ki kuchh tahzeeb hi aisi thii

Apna ghar mahsus hua hai aksar hamaiN paraayaa ghar

ToR ke ek pholoN ki dali baiThe sehra ke us paar

Ae jaaN teri yaad ne aakar aaj bahut mahkaayaa ghar

( Zafar Gorakhpuri )

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, modern shairi, shairy in urdu, tavil bahr, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy, zafar gorakhpuri ghazal1 comment
Tere Milne Ko Bekal Ho Gaye HaiN …
june 24, 2010, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi

Tere milne ko bekal ho gaye haiN
Magar yeh log pagal ho gaye haiN

BahaareN le ke aaye the jahaaNn tum
Woh ghar sunsaan jangal ho gaye haiN

Yahan tak baRh gaye aalaam E hasti
K dil ke houslay shal ho gaye hai N

Kahaan tak taab laaye naatawaaN dil
K sadme ab musalsal ho gaye haiN

Nigaah E yaas ko neeNd aarahi hai
Mizaa par ashk bojhal ho gaye haiN

InhaiN sadiyoN na bhoolega zamana
YahaN jo hadsay kal ho gaye haiN

JinhaiN hum dekh kar jite the ‘Nasir’
Wo log aaNkhoN se ojhal ho gaye haiN

(Burg E Nai se makhooz)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by nasir kazmi, modern shairi, nasir kazmi ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
ChhoRo Ab Us ChiraGh Ka Charcha Bahut Hua …
june 24, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

ChhoRo ab us chiraaGh ka charchaa bahut hua
Aapna bhi shab ke haathoN khasaaraa bahut hua

Milne diyaa na us se hamaiN jis khayaal ne
Socha to us khayaal se sadmaa bahut hua

BaiThe rahe K tez bahut thi hawaaye shauQ
Dasht E hawas ka gar-che iraadaa bhaut hua

Kya be-sabab kisi se kahiN oobte haiN log
Baawar karo K zikr tumhaaraa bahut hua

Achchha to ab safar ho kisi aur samt meN
Yeh roz O shab ka jaagna sona bahut hua

Aakhir ko uTh gaya tha jo ek bat kah ke woh
Sunte haiN phir usi ka e’aadaa bahut hua

(By : Ahmad Mahfooz)

tagged best shairy, modern shairi, shairy in urdu, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Hum K Minnat Kash E Saiyyaad NahiN Hone Ke …
june 23, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

 

Hum K minnat kash E saiyyaad nahiN hone ke
Woh jo chaahe bhi to aazaad nahiN hone ke

Dekh aa kar kabhi un ko bhi jo tere haathoN
Aise ujRe haiN K aabaad nahiN hone ke

Wasf E mai aur sifat E yaar ke mazmuN ke siwa
Naasehaa!! tere suKhan yaad nahiN hone ke

Yaar bad-ahd ka kitna baRa ehsaaN hai K hum
Ab kisi ke liye barbaad nahiN hone ke

Us jafa kash ko du’aa do K agar wo na raha
Phir kisi se sitam eejaad nahiN hone ke

Aaj phir jashn manaayaa gayaa aazaadi ka
Kal gharoN per kayii afraad nahiN hone ke

Etne aaram talab ho to muhabbat meN ‘Faraz’
‘Meer’ bun jaaoge ‘Farhaad’ nahiN hone ke

Culled from his book : “Ghazal Bahaanaa karuN”

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Chandni Tha K Ghazal Tha K Sabaa Tha! Kya Tha …
june 23, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

ChaNdni tha K Ghazal tha K sabaa tha – KYA THA
MaiN ne ek baar tera naam sunaa tha – KYA THA

Ghar meN too bhi to nahi jo koyi bartan TuTe
Ye jo kamre meN abhi shor hua tha – KYA THA

Khudkushi kar ke bhi bistar se uTha huN zindaa
MaiN ne kal raat meN jo zahr piyaa tha – KYA THA

Ab ke bhichhRe haiN to lagta hai K kuchh TooT gaya
Mera dil tha K tera ahd E wafaa tha – KYA THA

Zid nahiN hai K isay tu bhi ta’lluQ samjhe
Wo jo ek din mujhe diwana kaha tha – KYA THA

Tum to kahte the Khuda tumse khafa hai ‘Qaisar’
Doobte waQt jo ek haath baRhaa tha – KYA THA

(Qaisar ul Ja’fari)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, qaisar ul ja’fari ghazal, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Mila Hai Kaise Nashe Ka SuraaGh Ab Ke Baras …
june 23, 2010, posted in ilhaami aayaat, tariq matin

Mila hai kaise nashe ka suraaGh ab ke baras
Bhare gaye haiN lahoo se ayaaGh ab ke baras

 

Azaab utraa hai kaisa K gulshan E dil meN
Shajar shajar hai khazaaN deeda zaaGh ab ke baras

 

Hamari aaNkhoN meN utra hai jugnuoN ka juloos
Kisi ne di hai woh souGhat E daaGh ab ke baras

 

Woh jis ke naQsh E qadam se bahaar thi mansoob
Milaa na uska kahiN bhi suraaGh ab ke baras

 

Sanak uThi haiN kuchh is tarh aaNdhiyaaN ‘Tariq’
K bujh rahe haiN khushi ke charaaGh ab ke baras

 

tagged best ghazal, best shairy, fine ghazal, ghazals by tariq matin, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, tariq matin ghazals, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairyleave a comment
Sine MeN Jalan, AankhoN MeN Toofaan Sa KyuN Hai …
june 22, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Siine meN jalan, aankhoN meN toofaan sa kyuN hai

Is shahr meN har shaKhs preshaan sa kyuN hai

Dil hai to dhaRakne ka bahaanaa koi DhuNDhay

Pat_thar ki tarah be-his O be-jaan sa kyuN hai

Tanhaayi ki yeh kaun si manzil hai rafeeQo??

Ta hadd E nazar, ek bayaabaan sa kyuN hai

Hum ne to koi baat nikaali nahi Gham ki

Vo zood pashemaan, pashemaan sa kyuN hai

Kya koi nayi baat nazar aati hai hum meN

Aayeena hameN dekh ke hairaan sa kyuN hai

( Shahr Yaar k kalaam se intekhaab)

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, ghazal by shahr yaar, modern shairi, shahr yaar ghazals, shairy in urdu, tanhayi, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Tere Ishq Ki Inteha Chaahta HooN …
june 21, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

 

Tere ishq ki inteha chaahta hooN
Meri saadgi dekh kya chaahta hooN

Sitam ho K ho wadaa E be-hijaabi
Koi baat sabr-aazma chaahta hooN

Yeh Jannat mubarak rahe zaahidoN ko
K maiN apka saamna chaahta hooN

Zara sa to dil hooN magar shauq itna
Wohi lantaraani suna chaahta hooN

Koi dum ka mehmaan hooN ae ahl E mahfil
Chirag E sehar hooN bujha chaahta hooN

Bhari bazm meN raaz ki baat kahdi
BaRa be-adab hooN sazaa chaahta hooN

( By: Allama Iqbal )

tagged allama iqbal poetry. ghazal by sir iqbal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Dil Akelaa Hai Bahut Laalaa E Sehraa Ki Tarah …
june 15, 2010, posted in ilhaami aayaat, mazhar imam

Dil akelaa hai bahut laalaa E sehraa kii tarah

Tum ne bhi chhoR diya hai mujhe duniyaa kii tarah

ChhoR ke jaao na yuuN ahd E guzishtaa kii tarah

Ban ke ummeed raho waadaa E fardaa kii tarah

Tum havaa ho to bikhero mujhe saahil saahil

Mauj E mai ho to bahaa do mujhe dariyaa kii tarah

Paas rahte ho to aataa hai judaayi kaa Khayaal

Tum mere dil meN ho andeshaa E fardaa kii tarah

Biich meN kuchh to rah O rasm E ta’alluq rakkho

Ajnabii yuN nahiN milate haiN shanaasaa kii tarah

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, fine ghazal, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairyleave a comment
Ishq Minnat Kash E Qaraar Nahi …
june 14, 2010, posted in faiz ahmad faiz, ilhaami aayaat

Ishq minnat kash E qaraar nahi
Husn majboor E intezaar nahi

Teri ranjish ki intehaa maloom
HasratoN ka miri shumaar nahi

Apni nazreN bikher de saaqee
Mai ba-andaazaa E khumaar nahi

Zer E lab hai abhi tabassum E dost
Muntashir jalwa E bahaar nahi

Apni takmeel kar raha hun maiN
Warna tujh se to mujh ko pyar nahi

Charaa E intezaar kaun kare
Teri nafrat bhi ustawaar nahi

‘Faiz’ zinda raheN wo haiN to sahi
Kya huaa gar wafa shu’aar nahi

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, faiz ahmad faiz ghazal, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by faiz ahmad faiz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
HaNse To AaNkh Se AaNsu RavaaN Hamare Hue …
june 14, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

 

HaNse to aaNkh se aaNsu ravaaN hamare hue
K hum pe dost bahut mehrbaaN hamare hue

 

Bahut se zakhm haiN aise jo unke naam ke haiN
Bahut se qarz sar E dostaaN hamare hue

 

KahiN to aag lagi hai wajood ke andar
Koi to dukh hai K chehre dhuaaN hamare hue

 

Garaj baras ke na hum ko dubo sake baadal
To yeh hua K wohi baadbaaN hamare hue

 

‘Faraz’ manzil E maqsood bhi na thi manzil
K hum ko chhoR ke saathi ravaaN hamare hue

 

 

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Jab Dahr Ke Gham Se AmaaN Na Mili …
june 14, 2010, posted in ibn e insha, ilhaami aayaat

Jab dahr ke gham se amaaN na milii, hum logoN ne ishQ eejaad kiya

Kabhi shahr E butaaN me kharaab phire kabhi dasht E junuN aabaad kiya

Kabhi bastiyaaN ban, kabhi koh O daman, raha kitne dinoN yahi ji ka chalan

JahaaN husn mila wahaaN baith rahe, jahaaN pyar mila wahaN saad kiya

Shab E maah me jab bhi yeh dard uTha, kabhi bait kahe (likhi ‘Chand Nagar’)

Kabhi koh se jaa sar phoR mare, kabhi kabhi Qais ko jaa ustaad kiya

Yahi ishQ bil-aakhir rog banaa, K hai chaah k saath bijog banaa

Jise ban_na tha aish woh sog banaa, baRa man ke nagar me fasaad kiya

Ab qurbat O sohbat E yaar kahaaN, lab O aariz O zulf O kinaar kahaN

Ab apna bhi ‘Meer’ sa aalam hai, Tuk dekh liya, ji shaad kiya

*Chand Nagar – Insha Ji ka majmaua E kalam

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, classical ghazal, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ibn e insha, ibn e insha ghazals, insha ji, shairy in urdu, tavil bahr, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy2 comments
Dil E Naadaan Tujhe hua Kya Hai …
june 11, 2010, posted in ilhaami aayaat, mirza ghalib

Dil E naadaaN tujhe huaa kya hai

Aakhir iss dard kii davaa kya hai

Hum haiN mushtaaQ aur woh bezaar

Yaa ilaahee yeh maajraa kya hai

MaiN bhi muNh me zabaan rakhta huN

Kaash poochho K muddu’aa kya hai

Jab K thujh bin naheeN koi maujood

Phir yeh hangaamaa ae Khuda kya hai

Yeh paree chehra log kaise haiN

Ghamza O ishwa O adaa kya hai

Shikan E zulf E anbareeN kyuN hai

Nigah chashm E surma sa kya hai

Sabza O gul kahaaN se aaye haiN

Abr kyaa cheez hai, havaaa kya hai

Hum ko un se wafa ki hai ummeed

Jo naheeN jaante wafa kya hai

HaaN bhala kar tera bhala hogaa

Aur darvaesh kee sadaa kya hai

Jaan tum par nissaar karta hooN

Main naheeN jaanta du’aa kya hai

MaiN ne mana K kuchh nahi ‘Ghalib’

Muft haath aaye to buraa kya hai

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by mirza ghalib, mirza ghalib ghazal, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy5 comments
Haalat E Haal Ke Sabab, Haalat E Haal Hi Gayi …
may 31, 2010, posted in ilhaami aayaat, joan alia

Haalat E haal ke sabab, haalat E haal hi gayi

Shauq meN kuch nahiN gaya, shauq ki zindagi gayi

Ek hi haadsaa to hai aur vo yeh K aaj tak

Baat nahi kahi gayi, baat nahi suni gayi

Baad bhi tere jaan E jaaN dil meN rahaa ajab samaaN

Yaad rahii teri yahaaN, phir terii yaad bhi gayi

Uske badan ko di namud hamne suKhan meN aur phir

Uske badan ke vaaste ek qabaa bhi si gayi

Uskii ummid E naaz kaa hamse ye maan tha ke aap

Umr guzaar deejiye, umr guzaar di gayi

Uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye

Haalat E dil, K thi Kharaab, aur Kharaab ki gayi

Teraa firaaq jaan E jaaN aish thaa kyaa mere liye

Yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pi gayi

Uski gali se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar

Ek gali ki baat thi, aur gali gali gayi

 

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by joan alia, joan alia ghazals, modern shairi, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Be Minnat E Khizr E Raah Rahna …
may 28, 2010, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi
Be minnat E Khizr E raah rahnaa
Manzuur hameN tabaah rahnaa

YaaroN ko nasiib sar-faraazii
Mujhko terii gard E raah rahnaa

Dil aik ajiib ghar hai pyaare
Is ghar meN bhi gaah gaah rahnaa

Gar yuNhi rahii diloN ki ranjish
Mushkil hai baham nibaah rahnaa

Bhar aayegii aaNkh bhii kisii din
Khaalii nahiiN sirf aah rahnaa

Main haath nahi use lagaya
Ae begunahi gawaah rahna

‘Nasir’ ye vafaa nahiN junuN hai
Apna bhi na Khair Khaah rahnaa

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, chhoti bahr, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by nasir kazmi, modern shairi, nasir kazmi ghazal, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Sar E Baam E Hijr Diya Bujha To Khabar Hui …
may 25, 2010, posted in iftekhar arif, ilhaami aayaat

Sar E baam E hijr diya bujha to khabar hui
Sar E shaam koi judaa hua to khabar hui

Mera khush kharam balaa ka tez kharam tha
Meri zindagi se chala gaya to khabar hui

Mere saare harf, tamaam harf azaab the
Mere kam sukhan ne sukhan kiya to khabar hui

Koi baat ban ke bigaR gayi to pata chala
Mere bewafaa ne karam kiya to khabar hui

Mere hamsafar ke safar ki samt hi aur thi
KahiN raastaa koi gum hua to khabar hui

Mere Qissa go ne kahaN kahaN se baRhayi baat
Mujhe daastaaN ka siraa mila to khabar hui

Na woh mausam E rang rez, na dil, na maiN
Koi khaab tha K bikhar gaya to khabar hui

( From: Harf E baaryaab )

tagged best ghazal, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by iftekhar arif, iftekhar arif ghazal, modern shairi, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Hawa Mahak UThi Rang E Chaman Badalne Laga …
may 25, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Hawa mahak uThi rang E chaman badalne laga

Woh mere saamne jab pairahan badalne laga

Bahum hue haiN to ab guftagu nahi hoti

Bayaan E haal meN tarz E sukhan badalne laga

Andhere meN bhi mujhe jagmaga gaya hai koi

Bas ik nigaah se rang E badan badalne laga

Zara si dair ko barish ruki thi shaakhoN per

Mizaaj E susan O sarv O saman badalne laga

Faraz E koh pe bijli kuch is tarah chamki

Libaas E vaadi O dasht O daman badalne laga

 

( Taken from: Inkaar )

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, female poets of urdu, fine ghazal, modern shairi, parvin shakir ghazal, tarz e sukhan, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Kya Zamana Tha K Har Roz Mila Karte The …
may 7, 2010, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi

Kya zamana tha k har roz mila karte the

Raat bhar chaNd k hamraah phira karte the

JahaaN tanhaaiyaaN sar phoR k so jati haiN

Un makaanoN meN ajab log raha karte the

Kar diya aaj zamaane ne unheN bhi majbur

Kabhi yeh log mere dukh ki dawa karte the

Dekh kar jo hamaiN chup chap guzar jata hai

Kabhi us shakhs ko hum pyar kiya karte the

IttefaaQaat E zamana bhi ajab haiN ‘Nasir’

Aaj woh dekh rahe haiN jo suna karte the

 

tagged best ghazal, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by nasir kazmi, modern shairi, nasir kazmi ghazal, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy3 comments
Hai Bhare DarakhtoN Ke Ba Wajood Ban Tanha …
may 7, 2010, posted in ilhaami aayaat, mazhar imam

Hai bhare darakhtoN ke baa wajood ban tanha
Roz O shab k hangaame phir bhi anjuman tanha

RatjagoN ke woh saathi kis jahaaN meN baste haiN
Kya hamiN tak aayegi subh ki kiran tanha

Rah gayiN kahaaN pichhe gesuuoN ki barsaateN
Mere ghar tak aayihai boo E yasman tanha

Wo to khair yuN kahiye, zauQ E husn hamdam tha
Jooye sheer kya laataa azm E kohkan tanha

Haaye yeh shab E vaadaa, dil ka haal kya kahiye
Hujla E uroosii meN jis tarah dulhan tanha

Jaane kis shabistaaN meN kaun jaagta hoga
Nisf shab ko nikli hia ek gulbadan tanha

 

(Extracted from : Rishta GuNge Safar ka)

tagged best ghazal, best shairy, ghazal by mazhar imam, mazhar imam ghazals, modern shairi, poets of bihar, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from biharleave a comment
Dil O Nigaah Pe Kis Taur Ke Azaab Utray …
may 5, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Dil O nigaah pe kis taur ke azaab utray
Wo maahtaab hi utra, na uske khaab utray

KahaaN woh rut K jabeenoN pe aaftaab utray
Zamana beet gaya unki aab O taab utray

Main usse khul ke miluN, soch ka hijaab utray
Woh chahta hai meri rooh ka naqaab utray

Udaas shab meN, kaRi dopaher ke lamhoN meN
Koi charaagh, koi suurat E gulaab utray

Kabhi kabhi tere lehje ki shabnami Thandak
Samaa’atoN ke darichon pe khaab khaab utray

Faseel E shehar E tamanna ki zard bailoN per
Tera jamaal kabhi surat E sahaab utray!

Teri haNsi meN naye mausamoN ki khushbu thi
Naveed ho K badan se puraane khaab utray

Supurdagi ka mujassam sawaal ban ke khiluN
Misaal E qatra E shabnam tera jawaab utray

Teri tarah, meri aankheN bhi mo’tabar na raheeN
Safar se qabl hi raston meN woh saraab utray!!

( Majmua-e-kalaam : Khushbu : se )

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, female poets of urdu, fine ghazal, ghazal by parvin shakir, modern shairi, parvin shakir ghazal, urdu ghazals, urdu poetry1 comment
Badan Ki Qaid Bahut Saazgaar Bhi To Nahi …
may 3, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Badan ki Qaid bahut saazgaar bhi to nahi
Magar yahaaN koi raah E faraar bhi to nahi

Yeh kis nadi meN utaari haiN kashtiyaaN humne
Ba qadr E shouQ thapeRoN ki maar bhi to nahi

Hamara ghar bhi yahaaN tha karega kaun yaqeeN
K muTthiyoN meN hamare Ghubaar bhi to nahi

Kis ehtiyaat se phoote hiaN aable abke
Lahoo ki booNd sar E nok E khaar bhi to nahi

To kis umeed pe toReN tilism E zulmat E shab
K chaNdni kahiN dariyaa ke paar bhi to nahi

SadaayeN deti hai dehleez kyuN mujhe sar E shaam
K dil ko ab khalish E intezaar bhi to nahi

BaNdhe haiN uski muravvat ki rassiyoN se ‘Zafar’
Hum apni saaNs leN yeh ikhteyaar bhi to nahi

tagged best ghazals, best shairy, famous ghazal, modern shairi, urdu ghazals, urdu poetry, zafar gorakhpurileave a comment
Aazad Ghazal – Mazhar Imam …
may 3, 2010, posted in ilhaami aayaat, mazhar imam

Jin ke dil me rakhshindaa haiN ilhaami aayaat!!

Waqt ke bhari shaanoN pe wo rakh ke dekheN apna haath

 

Beej namak ke bone wale kheti meN masroof

Abke jaane kab tak thahre zakhmoN ki barsaat

 

Hum kya unki nazr kareN ab chehre pe aaNkheN hi nahi

Pahle dekar khush hote the ashkoN ki souGhat

 

Subh ka taRkaa hote hote uR jaate the lafzoN k sab rang

Jaag ke tujh ko khat likhte the aadhi aadhi raat

 

Aaj hua so hona tha (maiN ooNche ghar ki beti huN)

Dekho phir mat karna aisi waisi baat

 

Kitnaa garm lahoo hai apna duniyaa ko bhi dekhne deN

Rakhna hoNt pe hoNt aur dena haath me haath!!

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ilhaami aayaat, mazhar imam ghazals, modern shairi, poets of bihar, shairy in urdu, urdu poets from biharleave a comment
Dil MeN Laavaa Ubal Raha Hai Kya? …
april 30, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Dil meN laavaa ubal raha hai kya?
Koi kuhsaar jal raha hai kya??

Khaab! fard E zamiN pe zahir ho
Meri aaNkhoN meN pal raha hai kya

Chashm E shabnam, safir E Ghuncha ban
YuN hawa ban ke chak raha hai kya

Aa shareek E Gham E khudaayi ho
Apni wahdat meN gal raha hai kya

Itne aasoodaa kyuN haiN ahl E safar
Sar se toofaan Tal raha hai kya?

Kis liye bad hawaas haiN taare
Koi suraj nikal rahaa hai kya?

Kaat kar pheNk de inheN ‘Amjad’
Aise haathoN ko mal raha hai kya

( By – Amjad Islam Amjad )

tagged amjad islam amjad, best ghazal, best shairy, fine ghazal, modern shairi, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Yaad Aataa Hai Roz O Shab Koi …
april 29, 2010, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi

Yaad aataa hai roz O shab koi

Hum se rutha hai be sabab koi

Lab E joo chhaaoN me darakhtoN ki

Woh mulaaqaat thi ajab koi!!

Jab tujhe pahli baar dekhaa tha

Woh bhi tha mausam E tarab koi

Kuchh khabar le K teri mahfil se

Door baitha hai jaaN ba lab koi

Na Gham E zindagi na dard E firaaq

Dil meN yuNhi si hai talab koi

Yaad aati haiN door ki baateN

Pyaar se dekhta hai jab koi

ChoT khaayi hai baarhaa lekin!

Aaj to dard hai ajab koi

Jin ko mitna tha mit chuke ‘Nasir’

Un ko ruswaa kare na ab koi

 

 

KahiN Se Kuchh Hikaayat ChhoR Di Hai …

 

KahiN se kuchh hikaayat chhoR di hai
Bas is had tak riwaayat chhoR di hai

KahaaN hum darbadar dhote vo giThri
Havelii meN amaanat chhoR di hai

Nijaat us ne to paali apni kah kar
Meri khaatir Qyaamat chhoR di hai

To kya ab kuchh kahiN baaQi nahi hai?
To kya sab ne muhabbat chhoR di hai?

Shab E gham dhooNdh le dar aur koi
Ab is dil ne saKhaavar chhoR di hai

Lahoo ki cheeKh le jaaye jahaaN ab
Suno!! hum ne shikaayat chhoR di hai

‘Zafar’ tum to baRe Qaayal the uske
Yeh kyuN saahab salaamat chhoR di hai

 

tagged best ghazal, best shairy, chhoti bahr, modern shairi, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy, zafar gorakhpuri1 comment
UTh Aur Phir Se Rawanaa Ho Dar Zeyaadaa NahiN …
april 28, 2010, posted in ilhaami aayaat, zafar iqbal

UTh aur phir se rawanaa ho dar zeyaadaa nahiN
Bahut kathin sahi manzil safar zeyaadaa nahiN

ByaaN me apne sadaaQat ki hai kami warnaa
Ye raaz kya hia K us par asar zeyaadaa nahiN

Mujhe kharab kiya usne haaN kiya hoga
Usi se poochhiye mujh ko khabar zeyaadaa nahiN

Suna hai wo mere baare me sochta hai bahut
Khabar to hai hi magar mo’tabar zeyaadaa nahiN

Yeh justaju to rahe kaun hai wo kaisa hai
SuraaGh kuchh to milega agar zeyaadaa nahiN

Abhi rawana huN yeksuyi se maiN dasht ba dasht
K rahguzaar E safar meN shajar zeyaadaa nahiN

Jabhi to khaar E dil E dostaaN nahiN huN abhi
K aib mujh meN bahut haiN hunar zeyaadaa nahiN

DinoN ki baat hai ab kiimiyaa gari apni
K rah gayi hai zara si kasar zeyaadaa nahiN

‘Zafar’ hum aapko gumraah to nahiN kahte
Yahi K haiN bhi agar raah par zeyaadaa nahiN

 

 

 

Kuchh Is Tarah Khushi Ko Mujassam UTha Liya …

 

Kuchh is tarah khushi ko mujassam uTha liya

Jo mil raha tha us se zara kam uTha liya

Taqseem horahe the chaman meN gul E muraad

MaiN ne bhi ek nageenaa E shabnam uTha liya

Bhaari tha do jahaaN pe magar jhoomte hue

Nok E palak pe maiN ne tera Gham uTha liya

Shoreedgi ka hukm chalega zamaane meN

ZarroN ne gard baad ka parcham uTha liya

ZakhmoN ke vaaste hai namakdaan hi bahut

Mere sitam zareef ne marham uTha liya

Ek jhurjhuri si door talak li zameen ne

Bach_chi ne shaakh E gul se baNdha bam uTha liya

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, ghazal by muzaffar hanfi, modern shairi, muzaffar hanfi ghazal, taqseem, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetryleave a comment
Mahfil E RaftagaaN MeN Zikr E AayindgaaN Bahut Raha …
april 28, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Mahfil E raftagaaN meN zikr E aayindgaaN bahut raha
Baar E giraaN the aur bhi par yeh giraaN bahut raha

 

Aawaargaan E dasht E shab, nikle baraay E gasht E shab
Roz ke bar khilaaf raat, shor E sagaaN bahut raha

 

Jitne the aafiyat talab, zid meN usi taraf gaye
Dasht meN nisbatan jidhar khatraa E jaaN bahut raha

 

YuN to hai kaarobaar E dil, sood O zayaaN se be neyaaz
Lekin na jaane abke kyuN, us meN zayaaN bahut raha

 

De na saki zara panah, un ko faseel E seem O zar
Jinke saroN meN muddatoN, zo’m E gumaaN bahut raha

 

Milne ko un se mil liye!!! hone ko baat bhi hui
Lekin wahaaN se aane par, dil meN dhuaaN bahut raha

 

Kuu E malamat ek din, aakhir ko chhoRna paRa
Pahle bhi ranj the bahut, magar baad az aaN bahut raha

 

( By : Anjum Irfani )

tagged anjum irfani ghazal, best ghazals, best shairy, modern shairi, mutafarriq ghazals, shairy in urdu, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairyleave a comment
Zindagi Se Nazar Milaao Kabhi …
april 28, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Zindagi se nazar milaao kabhi – Haar k baad muskuraao kahi

 

Tark E ulfat k baad umeed E wafa – Ret par chal saki hai naao kabhi

 

Ab jafaa ki sarahataiN bekaar – Baat se bhar saka hai ghaao kabhi

 

Shaakh se mauj E gul thami hai kahiN – Baat se bhar sakaa hai ghao kabhi

 

Andhe zehnoN se sochne waalo – Harf meN raushni milaao kabhi

 

BarisheN kya zamiN k dukh baNteN – AaNsuoN se bujhaa alaao kabhi

 

Apne Spain ki khabar rakhna – KashtiyaaN tum agar jalaao kabhi

 

 

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, female poets of urdu, fine ghazal, modern shairi, parvin shakir ghazal, tark e ulfat, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetryleave a comment
Joan!! Guzasht E Waqt Ki Halat E Haal Par Salaam …
april 27, 2010, posted in ilhaami aayaat, joan alia

‘Joan’!! guzasht E waqt ki halat E haal par salaam
Us ke firaaQ ko duaa!! us ke visaal par salaam

Teraa sitam bhi tha karam, tera karam bhi tha sitam
Bandagi teri teGh ko!! aur teri dhaal par salaam

Sood O zayaaN k farq ka ab nahi hum se waastaa
Subh ko arz E kornish!! shaam E malaal par salaam

Ab to nahi hai lazzat E mumkin E shauq bhi naseeb
Roz O shab zamaanaa E shauq E mahaal par salaam

Hijr E sawaal ke haiN din!! hijr E jawaab ke haiN din
Us ke jawaab par salaam!! apne sawaal par salaam

Jaane woh rang E mastii E khaab O khyaal kya hui?
Ishrat E khaab ki sana!! aish E khyaal par salaam

Apna kamaal tha ajab!! apna zawaal tha ajab!!
Apne kamaal par darood!! apne zawaal par salaam

 

 

Fusuun E Harf le gaya, Tilism E Khaab Le Gaya …

 

Fusuun E harf le gaya, tilism E khaab le gaya

Waraq waraq usi ka tha wohi kitaab le gaya

Abhi nigah jhuki na thi, K maiN ne hoNt rakh diye

Sawaal woh na karsaka, magar jawaab le gaya

Mujhe pata tha raah meN chiraaGh jal na paayega

WahaaN gaya to apne saath maahtaab le gaya

FroGh E jism E taazaa se khumaar rang E Ghazaa se

Nasha bahut baRha gaya, magar sharaab le gaya

Meri azal ki tishnagi!! bujhaa gaya wo narm dil

Nishaat E aab de gaya, Gham E sarab le gaya

Tha dekhne meN saadaa dil, magar baRa zaheen tha

Mujhe gunaahgaar kar ke woh sawaab le gaya

Nigaah E imtiyaaz ka shikaar maiN hua ‘Imam’

YahaaN woh khaa de gaya, wahaaN gulaab le gaya

 

 

Kam Kam Kaho, SaNbhal Ke Kaho, Shaan Se Kaho …

 

Kam kam kaho, saNbhal ke kaho, shaan se kaho
Roodaad E shouq zabt ke unwaan se kaho

Is meN kuchh apne pyaar ki izzat ka hai sawaal
Aa jaaye raah par dil E naadaan se kaho

Tark E wafaa jahaaN meN koi jurm to nahi
Kya tum wafaa shu’aar ho? eemaan se kaho

Us dar pe ahl E dil ko nahi puuchhta koi
Tum ek rayees E shahr ho! darbaan se kaho

KyuN le rahe ho hazrat E naaseh ka imtehaaN
Jo dil ki baat hai kisi insaan se kaho

Humne banaa liyaa hai naya phir se aashiyaaN
Jaao yeh baat phir kisi toofaan se kaho

Kis muNh se ab ‘Qateel’ pe dharte ho tohmateN
Yeh sab hikaayateN kisi anjaan se kaho

 

 

Rah Navard E Bayaban E Gham, Sabr Kar Sabr Kar …

 

Rah navard E bayabaan E gham, sabr kar sabr kar

Kaarvaan phir mileNge baham, sabr kar sabr kar

Be nishan hai safar, raat saari paRi hai magar

Aa rahi hai sadaa dam ba dam, sabr kar sabr kar

Teri faryaad gooNjegi dharti se aakaash tak

Koi din aur sah le sitam, sabr kar sabr kar

Tere QadmoN se jaageNge ujRe diloN k khutan

Paa shikastaa Ghazaal E heram, sabr kar sabr kar

Shahr ujRe to kya!! hai kushaada zameen E khuda

Ek naya ghar basaayeNge hum, sabr kar sabr kar

Yeh mahallat E shaahi tabaahi k haiN muntazair

Girne waale haiN in ke alam, sabr kar sabr kar

Daf bajaayeNge barg O shajar saf ba saf, har taraf

Khushk mitti se phootega nam, sabr kar sabr kar

LahlahaayeNgi phir khhetiyaaN, kaarvaN kaarvaaN

Khul ke barsega abr E karam, sabr kar sabr kar

Dard ke taar milne to de, hoNt hilne to de

Saari baateN kareNge raQam, sabr kar sabr kar

Dekh ‘Nasir’ zamaane meN koi kisi ka nahiN

Bhool jaa us ke Qaul O Qasam, sabr kar sabr kar

 

tagged best ghazal, best shairy, fine ghazal, modern shairi, nasir kazmi ghazal, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetryleave a comment
Ajab Junoon E Musafat MeN Ghar Se Nikla Tha …
april 26, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Ajab junoon E musafat meN ghar se nikla tha
Khabar nahiN hia K suraj kidhar se nikla tha

Ye kaun phir se unhiN raastoN meN chhoR gaya
Abhi abhi to azaab E safar se nikla tha

Yeh teer dil meN magar be sabab nahi utraa
Koi to harf lab E chaaraagar se nikla tha

Yeh ab jo aag bana shahr shahr phaila hai
Yahi dhuaaN mere deewar O dar se nikla tha

MaiN raat toot k royaa to chain se soyaa
K dil ka zahr mere chashm E tar se nikla tha

Ye ab jo sar haiN Khamidaa, kulaah ki khatir
Ye aib bhi to hum ahl E hunar se nikla tha

Wo Qais ab jise majnuN pukaarte haiN ‘Faraz’
Teri tarah koi deewaanaa ghar se nikla tha

 

 

MaiN Kisi Kuu E Aziyyat Se Nahi Aaya HuN …

 

MaiN kisi kuu E aziyyat se nahi aaya huN
NarGha E sang E malaamat se nahi aaya huN

Apni pahchaan banaayi hai to aaya huN yahaaN
MaiN kisi baab E riyaayat se nahi aaya huN

Apni aaNkhoN meN chupaale K tera aks huN maiN
Kisi aayinaa E zulmat se nahi aaya huN

MaiN bhi ek khaak ka putlaa huN tere hi jaisa
Kisi dozakh, kisi jannat se nahi aaya huN

Teri shiriN sukhani khiiNch ke laayi hai mujhe
Yaar maiN apni zaroorat se nahi aaya huN

Itni begaangi achhi nahi ‘Tariq’ saahab
MaiN kisi shahr E adaavat se nahi aaya huN

tagged best ghazals, modern shairi, poets of bihar, tariq matin ghazals, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from biharleave a comment
Dardmand E Ishq HaiN, Gham Se Na GhabraayeNge Hum …
april 26, 2010, posted in ilhaami aayaat, kalim ajiz

Dardmand E ishq haiN, gham se na ghabraayeNge hum
Shaairy karte raheNge!! aur mar jaayeNge hum

Hum to deewaane haiN humko maslehat se kya Gharaz
Apni chaadar se bhi zeyaadaa, paaoN phailayeNge hum

Ishq ki barbaadiyaaN, Qismat se hoti haiN naseeb!!
Jis qadar bigReNge utnaa hi saNwar jaayeNge hum

HoshiyaaroN ko mubaarak teri mahfil ae Khirad!!
Subh aayeNge tere dar par na shaam aayeNge hum

Apne aaNsoo hi jawaab E purshish E ahwaal haiN
Khud nahi samjhe to kya auroN ko samjhaayeNge hum

Ab ke phir barsaat meN ganj E shaheedaaN par chaleN
AasmaaN royegaa aur apni ghazal gaayeNge hum

 

 

YuNhi Be yaqeeN, YuNhi Be NishaaN, Meri Aadhi Umr Guzar Gayi …

 

YuNhi be yaqeeN, yuNhi be nishaaN, meri aadhi umr guzar gayi

 

KahiN ho na jaauN maiN raayegaaN, meri aadhi umr guzar gayi

 

Kabhi saaebaN bhi na tha baham, kabhi kahkashaaN thi qadam qadam

 

Kabhi be makaaN!! kabhi laa makaaN, meri aadhi umr guzar gayi

 

Kabhi zikr E hurmat E harf meN, kabhi fikr E aamad O sarf meN

 

YuNhi rizq O ishq ke darmiyaaN, meri aadhi umr guzar gayi

 

Use paaliyaa use kho diyaa, kabhi haNs diya kabhi ro diya

 

BaRi mukhtasar si hai daastaaN, meri aadhi umr guzar gayi

 

KahaaN kayenaat meN ghar karuN, maiN yeh jaan luN to safar karuN

 

Isi soch meN tha K naagehaaN, meri aadhi umr guzar gayi

[ Ghazal By : Irfan Sattar ]

tagged best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, irfan sattar ghazal, modern shairi, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetryleave a comment
Ae Iraado! Mujhe Takmeel Ki Taaseer Dikhaao …
april 26, 2010, posted in azm bahzad, ilhaami aayaat

Ae iraado!!! Mujhe takmeel ki taaseer dikhaao

Khab maiN dekh chuka huN mujhe taa’beer dikhaao

Kaahisho!! AaNkh se bahti hui hasrat na bano

Waqt badla hai to badli hui tasveer dikhaao

Raasto!! Mere liye manzileN aasaaN kardo

Tum mere zer E Qadam rahne ki tauqeer dikhaao

Waahimo!! Hadd E yaqeeN pe mujhe hairaaN na karo

Arsaa E shak se guzar jaane ki tadbeer dikhaao

Hauslo!! Jang ki haalat ko badal kar dekho

MaiN sipar dekh chuka huN mujhe shamsheer dikhaao

Zaaviyo!! Husn E lab O chasm nahi hai kaafi

Qaid karne ke liye duusri zanjeer dikhaao

Faaslo!! Qurb ke lamhoN me yeh doori kaisi

Yahi hoga to mujhe safha E taqdeer dikhaao

Faislo!! Baar E virasat hai mere shaanoN par

Jis ka haQdaar huN mujh ko wohi jaageer dikhaao

RaunaQo!! ‘Azm’ ki aaNkhoN me chamakne k liye

Is bayaabaaN meN kisi shahr ki taameer dikhaao

 

 

Kisi Ki Nabz, Us Ki Azmat E Kirdaar Girti Hai …

 

Kisi ki nabz, us ki azmat E kirdaar girti hai
Masihaa saamne hai surat E bimaar girti hai

PRosi ki siyaasat meN khasaara maiN uThata huN
Mere aaNgan me aksar ret ki divaar girti hai

Agar tum noor ke meenaar se lipte rahe to kya
K is ki roushni to jheel ke us paar girti hai

Hum apne aabloN se raaste gulnaar karte haiN
Hamaare paaoN pe Qaus E Qazah bekaar girti hai

Agar bijli ko girnaa hai gire dasht O bayaabaaN par
Mere phalte darakhtoN pe hi kyuN har baar girti hai

Wo zaalim dekh leta hai to dil par teer chalte haiN
Palak jhapkaaye to talwaar pe talwaar girti hai

‘Muzaffar’ woh mere fan ki bulandi dekhte kaise
Idhar to dekh kar naQQaad ki dastaar girti hai

tagged muzaffar hanfi ghazal1 comment
Aa Ke Pat_thar To Mere Sehn MeN Do Chaar Gire …
april 26, 2010, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals

Aa ke pat_thar to mere sehn meN do chaar gire

Jitne is prR ke phal the, pas E deewaar gite

Aisi dahshat thi fezaaoN meN khule paani ki

AaNkh jhapki bhi nahi haath se patwaar gire

Mujhe girna hai to main apne hi QadmoN pe giroN

Jis tarah saayaa E deewaar pe deewaar gire

Teergi chhoR gaye dil me ujaaloN k khutoot

Yeh sitaare mere ghar toot k bekaar gire

Kya hawaa haath meN talwaar liye phirti hai

KyuN mujhe dhaal banaane ko ye chhatnaar gire

Dekh kar apne dar O baam laraz jaataa huN

Mere hamsaaye me jab bhi koi deewaar gire

Waqt ki dor khudaa jaane kahaaN se TuTe!!

Kiss ghaRi sar pe yeh laTki hui talwaar gire

Humse Takra gayi khud baRh k andheroN ki chaTaan

Hum sambhal kar jo bahut chalte the laachaar gire

Kya kahuN deeda E tar yeh to mere chehraa hai

Sang kaT jaate haiN baarish ki jahaaN dhaar gire

Haat aaya nahi kuchh raat ki dal dal k siwaa

Haay kis moR pe khaaboN ke parastaar gire

Woh tajalli ki shuaayeN thiN k jalte hue teer

Aayine toot gaye, aayinaa bardaar gire

Dekhte kyuN ho ‘Shakeeb’ itni bulandi ki taraf

Na uThaayaa karo sar ko K yeh dastaar gire

( By : Shakeeb Jalali )

 

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka …

 

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Ab Bhi Hai Mere Shaane Pe Sar Udaasi Ka

Wo Koun Keemiyaa gar Tha K Jo Bikher Gaya
Tere Gulaab Se Chehray Pe Zar Udaasi Ka

Mere Wajood Ke Khalvat kade MeN Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya TaaQ Par Udaasi Ka

MaiN Tujh Se Kaise KahuN Yaar MehrbaaN Mere
K Tu ilaaj NahiN, Merii Har Udaasi Ka

Ye Ab Jo Aag Ka Darya Mere Wajood MeN Hai
Yehi To Pahlay Pahal Tha Sharar Udaasi Ka

Na Jane Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar E Shaam
Woh Meraa Dost, Mera Humsafar Udaasi Ka

‘Faraz’ Deeda E Pur Aab MeN Na DhooNdh Usay
K Dil Ki Teh MeN KahiN Hai Guhar Udaasi Ka !

 

tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, fine ghazal, modern shairi, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry5 comments
Tuti Hai Meri NeeNd Magar Tumko Is Se Kya …
april 21, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Tooti hai meri neeNd magar tumko is se kya?
Bajte raheN hawaaoN se dar, tumko is se kya?

Tum mauj mauj misl E sabaa ghoomte raho
Kat jayeN meri soch ke par, tumko is se kya?

AuroN ka haath thaamo, unheN raasta dikhaao
Main bhool jaooN apna hi ghar, tumko is se kya?

Abr E gurez paa ko barasne se kya gharaz
Seepi meN ban na payeN gohar tumko is se kya?

Le jayeN mujhko maal E Ghanimat ke saath udu
Tum ne to daal di hai sipar, tumko is se kya?

Tumne to thak ke dasht meN khiime laga liye
Tanha kaTe kisi ka safar, tumko is se kya?

 

tagged best ghazal, best shairy, famous ghazal, female poets of urdu, modern shairi, parvin shakir ghazal, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry14 comments
Gham Ki Baarish Ne Bhi Tere NaQsh Ko Dhoya Nahi
april 20, 2010, posted in ilhaami aayaat, munir neyazi

Gham ki baarish ne bhi tere naQsh ko dhoya nahii

Tu ne mujh ko kho dia, maiN ne tujhe khoya nahii

NeeNd ka halka gulaabi sa khumaar aaNkhoN meN tha

Yun laga jaise woh shab ko dair tak soya nahii

Har taraf diwar O dar aur un meN aaNkhoN ka hujum

Kah sake jo dil ki halat woh lab E goya nahii

Jurm Aadam ne kiya aur nasl E Adam ko saza

KaaT_ta huN zindagi bhar maiN ne jo boya nahii

Jan_ta huN aik aise shakhs ko main bhi ‘Munir’

Gham se pat_thar ho gaya lekin kabhi royya nahii

 

 

Kis Liye Phirta HuN Tanha, Na Kisi Ne Puchha …

 

Kis liye phirtaa huN tanha!! na kisi ne poochhaa

KyuN kahiN ji nahiN lagta!! na kisi ne poochhaa

Zehn aawaaraa, dil aawaaraa, nazar aawaaraa

Kaise is haal ko pahuNcha? na kisi ne poochhaa

Kaun hai, aayaa hai kis des se, kis se milne

Sab ne dekha magar itna na kisi ne poochhaa

Jaane kya kahte!! agar puchhtaa ahwal koi

Khair yeh bhi hua achchha na kisi ne poochhaa

Be ta’alluq hue ‘Ruhi’ ajab andaaz se log

Kis pe kya haadsa guzra, na kisi ne poochhaa

 

( Ruhi Kunjahi )

 

Hum Parvarish E Lauh O Qalam Karte RaheNge …

 

Hum parvarish E lauh O Qalam karte raheNge
Jo dil pe guzarti hai raQam karte raheNge

Asbaab E Gham E ishq baaham karte raheNge
Veerani E dauraaN pe karam karte raheNge

HaaN talkhi E aiyyaam abhi aur baRhegi
HaaN ahl E sitam mashq E sitam karte raheNge

Manzoor ye talkhi ye sitam hum ko gavaara
Dam hai to madaava E alam karte raheNge

Maikhaana salaamat hai to hum surkhi E mai se
Taz’een E dar O baam E haram karte raheNge

Baaqi hai lahu dil meN to har ashk se paidaa
Rang E lab O rukhsaar E sanam karte raheNge

Ek tarz E taGhaaful hai so wo un ko mubaarak
Ek arz E tamanna hai so hum karte raheNge

 

tagged best ghazals, best shairy, faiz ahmad faiz ghazal, famous ghazal, fine ghazal, modern shairi, top ghazals, urdu ghazals, urdu poetry3 comments
Tujh Se To Koi Gila NahiN Hai …
april 16, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Tujh se to koi gila nahiN hai
Qismat meN meri sila nahiN hai

BichhRe to na jane haal kya ho
Jo shakhs abhi mila nahiN hai

Jeeney ki to aarzu hi kab thi
Marne ka bhi housla nahiN hai

Jo zeest ko mo’tabar bana de
Aisaa koi silsila nahiN hai

Khushbu ka hisaab ho chuka hai
Aur phool abhi khila nahiN hai

Sarshari-E-rahbari meN dekha
Peechhay mera qaafila nahiN hai

Ek Thais pe dil ka phoot bahna
Chhunay meN to aabla nahiN hai

 

 

Khaa Kar ZaKhm Duaa Di Ham Ne …

 

Khaa kar zakhm duaa di ham ne

Bas yuuN umr bitaa dii ham ne

Raat kuchh aise dil dukhtaa tha

Jaise aas bujhaa dii ham ne

Yaad ko teri toot ke chaahaa

Dil ko khoob sazaa dii ham ne

Sannaate ke shahr meN tujh ko

Be aawaaz sadaa dii ham ne

Dekh ke jis ko dil dukhtaa tha

Woh tasveer jalaa dii ham ne

Aa ‘Shahzad’ tujhe samjhaayeN

KyuN kar umr gaNvaa dii ham ne

{ by : Farhat Shahzad }

tagged best ghazal, best shairy, farhat shahzad ghazal, fine ghazal, udas shairy, urdu poetryleave a comment
Yeh Na Thi Hamari Qismat K Visaal E Yaar Hota …
april 6, 2010, posted in ilhaami aayaat, mirza ghalib

Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota
Agar aur jeete rahtay, yehi intezaar hota

Tere waa’de par jiyee ham to yeh jaan chhooT jana
K khushi se mar na jaate!!! agar intezaar hota

Koi mere dil se poochhe, tere teer E neem kash ko
Yeh khalish kahaaN se hoti, jo jigar k paar hota

Yeh kahaaN ki dosti hai K bane haiN dost naaseh
Koi chaaraa saaz hota koi Ghamghusaar hota

KahuN kis se maiN K kya hai shab E Gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marnaa agar aik baar hota

Hue mar K ham jo ruswa hue kyuN ka Gharq E dariya
Na kabhi janazaa uthta na kahiN mazaar hota

Yeh masaael E tasavvuf, yeh tera bayaan ‘Ghalib’
Tujhe ham wali samajhte Jo na baadaakhaar hota

 

tagged best shairy, classical ghazal, ghalib ghazal, ghazal by mirza ghalib, top ghazals, udas shairy, urdu poetry10 comments
Hum SunayaiN To Kahaani Aur Hai …
april 5, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Hum sunayaiN to kahaani aur hai
Yaar logoN ki zabaani Aur hai

Chaaragar rote haiN taza zakhm ko
Dil ki beemari puraani aur hai

Jo kaha humne wo mazmuN aur tha
TarjumaaN ki tarjumaani aur hai

Hai bisaat E dil laho ki aik booNd
Chasham E purkhuN ki ravaani aur hai

Namabar ko kuch bhi hum paiGhaam daiN
DastaaN us ne sunaani aur hai

Aab E zamzam dost laaye haiN abas
Hum jo peetay haiN wo paani aur hai

Sab Qayamat QamatoN ko dehkh lo
Kya mere janaaN ka saani aur hai?

Ahl E dil ki anjuman meN aa kabhi
In ki duniya yaar jaani aur hai

Shairy karti hai ik duniya ‘Faraz’
Par teri saadaa bayaani aur hai

 

Safar E Manzil E Shab Yaad NahiN …

 

Safar E manzil E shab yaad nahiN
Log rukhsat hue kab yaad nahiN

Dil meN har waqt chubhan rahti thi
Thi mujhe kis ki talab yaad nahiN

Wo sitaara thi K shabnam thi K phul
Ek soorat thi ajab yaad nahiN

Aisa uljha huN gam E duniya meN
Ek bhi khaab E tarab yaad nahiN

Bhoolte jaate haiN maazi ke dayaar
Yaad aayeN bhi to sab yaad nahiN

Ye haqeeqat hai K ahbaab ko hum
Yaad hi kab thhay jo ab yaad nahiN

Yaad hai sair E charaaGhaaN ‘Nasir’
Dil ke bujhne ka sabab yaad nahiN

 

tagged best ghazal, fine ghazal, nasir kazmi ghazal, urdu poetry3 comments
Tujhe Hai Mashq E Sitam Ka Malaal Waise Hi …
march 29, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Tujhe hai Mashq E Sitam ka Malaal waise hi
Humaari Jaan hai, JaaN par wabaal waise hi

Chala Tha Zikr Zmaane ki Bewafaayi ka
So aa gaya hai tumhara Khayal waise hi

Hum aa gaye haiN Tah E Daam to Nasib apna
Wagarna usne to phenka tha Jaal waise hi

MaiN rokna hi nahin chahta tha Waar uska
Giri nahin Mere Haathon se Dhaal waise hi

Zamaana humse bhala Dushmani to kya rakhta
So kar gaya hai humaiN Paayemaal waise hi

Mujhe bhi ShouQ na tha DaastaaN sunane ka
‘Faraz’ usne bhi poocha tha Haal waise hi

 

 

Dekha Hua Sa Kuchh Hai To Sochaa Hua Sa Kuchh …

 

Dekhaa hua sa kuchh hai to sochaa hua sa kuchh

Har waqt mere saath hai uljhaa hua sa kuchh

Hotaa hai yuuN bhii raastaa khultaa nahiN kahiN

Jangal sa phail jaataa hai khoyaa hua sa kuchh

Saahil kii geelii ret pe bachchoN ke khel saa

Har lamhaa mujh meN bantaa bikhartaa hua sa kuchh

Fursat ne aaj ghar ko sajaayaa kuchh is tarah

Har shay se muskuraataa hai rotaa hua sa kuchh

DhuNdhlii sii ek yaad, kisii qabr kaa diyaa

Aur mere aas paas chamkataa hua sa kuchh

 

tagged best ghazals, best shairy, fine ghazal, modern shairi, nida fazli ghazal, udas shairyleave a comment
Hum To YuN Khush The K Ek Taar Grebaan MeN Hai …
march 11, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Hum to yuN khush the k ek taar grebaan meN hai

Kya khabar thi k bahaar iske bhi armaan meN hai

Ek zarb aur bhi ae zindagi e teeshaa ba dast

SaaNs lene ki sakat, ab bhi meri jaan meN hai

Main tujhe kho ke bhi zinda huN ye dekha tu ne

Kis Qadar hausla haare hue insaan meN hai

Faasle Qurb k sho’loN ko hawaa dete haiN

MaiN tere shahr se door aur tu mere dhyaan meN hai

Sar E deewaar frozaaN hai abhi ek chiraaGh

Ae naseem E sehari, kuchh tere imkaan meN hai

Dil dhaRakne ki sadaa aati hai hai gaaahe gaahe

Jaise ab bhi teri aawaaz mere kaan meN hai

 

 

 

Hum HaiN Mataa E Koochaa E Baazaar Ki Tarah …

 

Hum haiN mataa-E-koochaa-E-baazaar ki tarah
UThtii hai har nigaah khareedaar ki tarah

Is koo-E-tishnagi maiN buhat hai k aik jaam
Haath aa gaya hai daulat-E-bedaar ki tarah

Wo to kahiN haiN aur magar dil k aas paas
Phirti hai koi shay nigah-E-yaar ki tarah

Seedhi hai raah-E-shauq pe yuN hi kabhi kabhi
Kham ho gayi hai gesoo-E-dildaar ki tarah

Ab ja k kuch khulaa hunar-E-naakhun-E-junuN
Zakhm-E-jigar hue lab-O-rukhsaar ki tarah

‘Majruh’ likh rahe haiN wo ahal-E-wafaa ka naam
Hum bhi khaRe hue haiN gunahagaar ki tarah

[ Majruh Sultanpuri ]

 

Apni Dhun MeN Rahta HuN …

 

Apni dhun meN rahtaa huN
MaiN bhii tere jaisaa huN

O pichhlii rut ke saathii
Abke baras maiN tanhaa huN

Terii galii meN saaraa din
Dukh ke kankar chuntaa huN

Mujh se aaNkh milaaye kaun
MaiN teraa aaeenaa huN

Meraa diyaa jalaaye kaun
MaiN tera Khaalii kamraa huN

Tuu jiivan kii bharii galii
MaiN jangal ka rastaa huN

Apni lahr hai, apnaa rog
Dariyaa huN aur pyaasaa huN

Aatii rut mujhe royegii
Jaati rut ka jhoNkaa huN

 

tagged best ghazals, chhoti bahr, nasir kazmi ghazal, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetryleave a comment
Nazar Bujhi To Karishmay Bhi Roz O Shab Ke Gaye …
february 24, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Nazar bujhi to karishmay bhi roz O shab ke gaye
K ab talak nahi aaye haiN log jabb ke gaye

Sunegaa koun teri bewafaaiyoN ke gilay
Yahi hai rasm-E-zamana to ham bhi ab ke gaye

Magar kissi ne hamaiN ham safar nahi jaanaa
Yeh aur baat K ham saath saath sab ke gaye

Ab aaye ho to yahaaN kya hai dekhnay ke liye
Ye shahr kab se hai weeraN wo log kab ke gaye

Giraftaa dil thay, magar houslaa na haaraa tha
Giraftaa dil haiN magar housslay bhi ab ke gaye

Tum apni shamm’a tamanna ko ro rahe ho ‘Faraz’
In aaNdhiyoN meN to pyare charaGh sab ke gaye

 

leave a comment
Jala Diyaa Shajar E JaaN K Sabz Bakht Na Tha …
february 18, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Jala diyaa shajar E jaaN, K sabz bakht na tha
Kisi bhi rut me haraa ho ye wo darakht na tha

Jo khaab dekha tha shahzaadiyoN ne pichhle pahar
Phir us ke baad muqaddar me taaj O takht na tha

Zara se jabr se maiN bhi to toot sakti thi
Meri tarah se tabi’at ka woh bhi sakhta na tha

Andheri raatoN ke tanhaa musaafiroN k liye
Diyaa jalata hua koi saaz O rakht na tha

Mere liye to wo khanjar bhi phool ban ke uThaa
Zabaan sakht thi, lehjaa magar karakht na tha

 

Gaye wo din k mujhi tak tha mera dukh mahdood
Khabar ke jaisaa ye afasaana lakht lakht na tha

 

 

Fasaanaa ChheRti Hai Shaam Uska …

 

Fasaanaa chheRti hai shaam uska
Khalaa meN guNjtaa hai naam uska

Woh chauthi samt ho yaa saatvaaN dar
Chha-ti his ne liya hai naam uska

Musalsal ek sada koh E nidaa se
Mujhe milta raha paiGhaam uska

Lahu se aabyaari hum kareNge
Chaman meN gul khilaanaa kaam uska

Hamari be-gunaahi ne hameshaa
Sar aaNkhoN pe liya ilzaam uska

Meri aaNkhoN meN ek surat basi hai
Mere daaman meN hai in’aam uska

‘Muzaffar’ lafz milke sochte haiN
Chalo Gharat kareN aaraam uska

 

1 comment
Badlaa Na Apne Aap Ko Jo The Wohi Rahe …
february 18, 2010, posted in ilhaami aayaat, nida fazli

Badlaa na apne aap ko jo the wohi rahe
Milte rahe sabhi se magar ajnabi rahe

 

Har waqt har maqaam pe haNsna mahaal hai
Rone ke waaste bhi koi be-kali rahe

 

Duniya na jeet paao to haaro na aap ko
ThoRi bahut to zehn me naaraazgi rahe

 

Apni tarah sabhi ko kisi ki talash thi
Hum jiske bhi qareeb rahe door hi rahe

 

Guzro jo baaGh se to dua maaNgte chalo
Jis me khile haiN phool wo daali hari rahe

 

 

Yeh Deewaane Kabhi PaabandiyoN Ka Gham Nahi LeNge …

 

Ye deewaane kabhi paabandiyoN ka Gham nahi leNge

GarebaaN chaak jab tak ker na leNge, dam nahi leNge

Lahoo deNge to leNge pyar, moti hum nahi leNge

HameN phooloN ke badle phool do shabnam nahi leNge

Muhabbat karne wale bhi ajab khud_daar hote haiN

Jigar per zakhm leNge, zakhm per marham nahi leNge

SaNwaare jarahe haiN hum to uljhee jatee hen zulfeN

Tum apne zimma lo, ab ye bakheRa hum nahi leNge

(Incomplete)

 

Mujh Ko YaQeeN Hai Sach Kahti ThiN Jo Bhi Ammi Kahti ThiN …

 

Mujh ko yaQeeN hai sach kahti thiN jo bhi ammi kahti thiN
Jab mere bachpan k din thay, chaNd me pariyaaN rahti thiN

 

Ek ye din jab apnoN ne bhi hum se naataa toR liyaa
Ek wo din jab peR ki shaakheN bojh hamara sahti thiN

 

Ek ye din jab sari saRkeN rooThi rooThi lagti haiN
Ek wo din jab ‘Aao khelaiN’ saari galiyaaN kahti thiN

 

Ek ye din jab jaagi raataiN deewaaroN ko takti haiN
Ek wo din jab shamoN ki bhi palkeN bojhal rahti thiN

 

Ek ye din jab zehn me saari aiyyaari ki bateN haiN
Ek wo din jab dil me bholi bhaali bateN rahti thiN

 

Ek ye din jab laakhoN Gham aur kaal paRa hai aansu ka
Ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaaN bahti thiN

 

Ek ye ghar jis ghar me mera saaz O saamaaN rahta hai
Ek wo ghar jis ghar me meri buRhi naani rahti thiN

 

( JAVED AKHTAR )

 

Zindagi Jaisi Tawaqqo’ Thi NahiN, Kuchh Kam Hai …

 

Zindagi jaisi tawaqqo’ thi nahiN, kuchh kam hai

Har ghaRi hota hai ehsaas, kahiN kuchh kam hai

 

Ghar ki taa’meer tasawwur meN hi hosakti hai

Apne naQshe ke mutabiq ye zameeN kuchh kam hai

 

BichhRe logoN se mulaaqaat kabhi phir hogi

Dil meN ummeed to zeyada hai yaqeeN kuchh kam hai

 

Ab jidhar dekhiye lagta hai K is duniyaa meN

KahiN kuchh cheez zeyada hai kahiN kuchh kam hai

 

Aaj bhi hai teri doori hi udaasi ka sabab

Yeh alag baat K pahle si nahiN kuchh kam hai

(By: Shahr Yar)

tagged best ghazals1 comment
Kahaniyan Na Suno Aas Paas Logon Ki …
february 11, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Kahaniyan na suno aas paas logoN Ki
Ke mera shaher hai basti udaas logoN Ki

Na koi samt na manzil so Qaafila kaisa
RawaaN hai bheeR faqat be-Qayas logoN Ki

 

Kisi se pooch hi lete wafa ke baab meN hum
Kami nahiN thi zamaanaa-shanaas logoN Ki

 

MuhabbatoN ka safar khatm to nahiN hota
Baja K dosti aayi na raas logoN Ki

 

HamaiN bhi apne Kayi dost yaad aate haiN
Kabhi jo baat chale na-sipaas logoN Ki

 

Karo na apni bala-noshion Ke yuun charchay
K is se aur bhi barhti hai pyaas logoN Ki

 

MaiN aany wale ZamaanoN se dar raha huN ‘Faraz’
K maiN ne dekhi haiN aaNkheN udaas logoN Ki

 

tagged ahmad faraz ghazal, best shairy, urdu ghazals1 comment
Sarfroshi Ki Tamanna Ab Hamaare Dil MeN Hai …
february 11, 2010, posted in classic ghazals, ilhaami aayaat
Sarfroshi ki tamanna ab hamare dil meN hai
Dekhna hai zor kitna baazu E Qatil meN hai

Ae shahid E mulk O millat, maiN tere uper nisaar
Ab teri himmat ka charcha Ghair ki mahfil meN hai

Rah rav E raah E muhabbat, rah na jaana raah meN
Lazzat E sehra navardi doori E manzil meN hai

Aaj phir maQtal meN Qatil kah raha hai baar baar
AayeN woh shauQ E shahadat jinke jinke dil meN hai

Marne walo aao ab gardan kataao shauQ se
Yeh Ghaneemat waqt hai, khanjar kaf E Qaatil meN hai

Waqt aane par dikhadeNge tujhe ae aasmaaN
Hum abhi se kyuN batayeN kya hamare dil meN hai

Ab na agle walwale haiN aur na woh armaan ki bheeR
Sirf mit jaane ki hasrat ek dil E bismal meN hai

 


Syed Shah Muhammad Hasan,
Bismil Azeem Aabaadi
1900 – 20 june 1978

 

BaGh Saaraa To BayaabaaN Na Hua Tha, So Hua …

 

BaGh saaraa to bayaabaaN na hua tha, so hua
Jo khazaaN ka kabhi ehsaaN na hua tha, so hua

Hum to bedaar hue khaab se apne lekin
Woh bhi khaaboN meN preshaaN na hua tha, so hua

Hum bhi kuchh soch k kar baithe bilaakhir shikwaa
Woh bhi pahle to pashemaaN na hua tha so hua

Mish’aleN sar ki sajaayi gayiN tasht E zar meN
Kab se maqtal meN chiraaGhaaN na hua tha, so hua

Safar E jaaN ki hui ab kahiN jaa kar takmeel
Yaani maiN be sar O saamaaN na hua tha, so hua

Dekhte dekhte aa pahunchaa saroN tak paani
Ab tak andaaza E toofaaN na hua tha, so hua

Aur kya mujh ko silaa milta khuloos E dil ka
Hadaf E tohmat E yaaraaN na hua tha, so hua

DostoN meN jo ta’alluQ tha woh baaQi na rahaa
DushmanoN meN koi paimaaN na hua tha, so hua

Dasht meN abr to barsaa woh do ek booNd sahi
Pahle itna bhi to imkaaN na hua tha, so hua

‘Mohsin’ achchha hi hua us ne palat di jo naQaab
Rang us ka jo numaayaaN na hua tha, so hua

( Mohsin Zaidi)

leave a comment
Lashkar E Ishq Ne Jab Se Kheeme Kiye …
february 11, 2010, posted in ilhaami aayaat, irfan siddiqui

Lashkar E ishq ne jab se kheeme kiye, kuchh na kuchh roz sarhad baRhaa li gayi
Aur phir ek din mere dil ki zameeN, dard ki mamlekat meN milaa li gayi

 

Raat ko ruk k sehraa jagayaa gaya, jab thakan se badan ki tanaabeN giriN
Apne haathoN k takiye banaye gaye, apni mitti ki chadar bichhaa li gayi

 

Ek chiRiyaa ki aawaaz aati rahi mere bachchoN ko mujh se chhuRaayaa gaya
Meri basti se mujh ko nikaalaa gaya, mere jangal me basti basaa li gayi

 

Dast E khaali pe kya hausla kijiye, kaise jeene ki Qeemat adaa kijiye
Abke darbaar meN nazr E sar bhej kar bach nikalne ki surat nikaa li gayi

 

Kucha E rahzanaaN se guzarte hue, kuchh lutaanaa bhi tha kuchh bachaana bhi tha
Apni sadiyoN ka sona lutaaya gaya apni khaaboN ki jannat bachaa li gayi

 

Khatm hota hai us raat ka majraa, ab ye kya poochte ho k phir kya hua
Phir chiraGhoN ki aaNkheN bujha di gayiN, phir guloN ki zabaaN kaat dali gayi

 

Saare manzar Ghubaar E pas E kaarwaaN hogaye, baam O dar sab dhuaaN hogaye
Ab munaajaat ka waqt hai ghar chalo! sair ki jaa chuki, khaak uRaa li gayi

 

 

 

Gira AaNkhoN Se Chaknaa Choor Hokar …

 

Gira aaNkhoN se chaknAa choor hokar
Teraa saayaa, mujassam noor hokar

 

Agar socho to wazni ho gayee hai
Hamari baat naa manzoor hokar

 

Kisi ka paas aa kar door honaa
kahiN andar mahakna door hokar

 

Nazar Qaus E Qazah si tan rahi hai
Kisi ke jism se bhar poor hokar

 

‘Muzaffar’ dekhna kya ban gayi hai
Ghazal jazbaat se ma’moor hokar

 

1 comment
Yeh To Uska Hi Karishma Hai FusuN Hai, YuuN Hai …
february 10, 2010, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

 

Yeh to uska hi karishma hai fusuN hai, yuuN hai
YuN to kahne ko sabhi kahte haiN yuN hai yuuN hai

Tum muhabbat meN kahaN sood O zyaaN le aaye
Ishq ka naam khirad hai na junuN hai, yuuN hai

Jaise koi ho dar E dil pe sitaadaa kab se
Aik saayaa na daruN hai na baruN hai, yuuN hai

Ab tum aaye ho meri jaan!! tamaashaa karne
Ab to darya meN talatum na sukuN hai, yuuN hai

Tu ne dekhi hi nahiN dasht E wafaa ki tasveer
Nok E har khaar pe ek qatra E khuN hai, yuuN hai

Naaseha! tujh ko khabar kya ke muhabbat kya hai
Roz aa jaata hai samjhaataa hai, yuN hai, yuuN hai

Shaairi taza zamaanoN ki hai me’maar “Faraz”
Yeh bhi ik silisila E “Kun Fa YakuN” hai, yuuN hai

 

 

Aks E Khushboo HuN Bikharne Se Na Roke Koi …

 

Aks E khushboo huN bikharne se na roke koi

Aur bikhar jaauN to mujh ko na samete koi

KaNp uTh_ti huN maiN ye soch k tanhayi maiN

Mere chehre pe tera naam na paRh le koi

Jis tarah khaab mere ho gaye rezaa rezaa

Us tarah se na kabhi toot ke bikhre koi!!

MaiN to us din se hiraasaaN huN k jab hukm mile

Khushk phooloN ko kitaaboN maiN na rakkhe koi

Ab to is raah se wo shakhs guzarta bhi nahiN

Ab kis umeed pe darwaaze se jhaaNke koi

Koi aahat, koi aawaaz, koi chaap nahiN

Dil ki galiyaaN baRi sunsaan haiN, aaye koi

 

 

leave a comment
Giraftaa Dil HaiN Bahut Aaj Tere Deewane …
february 2, 2010, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi

Giraftaa dil haiN bahut aaj tere deewane
Khuda kare koi tere siva na pahchaane

Miti miti si umeedaiN thake thake se khayaal
Bujhe bujhe se nigaahoN meN Gham ke afsaane

Hazaar shukr K hum ne zubaaN se kuch na kaha
Yeh aur baat K poochhaa na ahl E duniya ne

Ba-qadr-e-tashna-labi pursish-e-wafa na huee
Chhalak ke rah gaye teri nazar ke paimaane

Khayaal aa gaya maayuus rahguzaaroN ka
Palat ke aa gaye manzil se tere deewane

KahaaN hai tu K tere intezaar meN ae dost
Tamaam raat sulagte haiN dil ke veeraane

Ummeed E pursish E Gham kis se keejiye ‘Nasir’
Jo mere dil pe guzarti hai koi kya jaane

 

 

 

Tum Aaye Ho Na Shab E Intezaar Guzrii Hai …

 

Tum aaye ho na shab-E-intezaar guzrii hai
Talaash meN hai sehar baar baar guzrii hai

JunuuN meN jitni bhi guzri bakaar guzarii hai
Agar che dil pe kharaabii hazaar guzrii hai

Huii hai hazrat-E-naaseh se guftaguu jis shab
Wo shab zaruur sar-E-kuu-E-yaar guzrii hai

Woh baat saare fasaane meN jiskaa zikr na thaa
Woh baat unko bahut naa-gavaar guzrii hai

Na gul khile haiN, na un se mile, na mai pi hai
Ajeeb rang meN ab ke bahaar guzrii hai

Chaman meN Ghairat-E-gulchiN pe jane kya guzri
Qafas se aaj sabaa be – Qaraar guzrii hai

 

 

Abr O BaraaN Hi Na Thay Bahr Ki Yorish MaiN Shareek …

 

Abr O baraaN hi na thay bahr ki yorish maiN shareek

Dukh to ye hai k hai mallah bhi sazish maiN shareek

Ta hamain tark E ta’alluq ka bahut ranj na ho

Aao tum ko bhi karaiN ham isi koshish maiN shareek

Ik to wo jism tilismaat ka ghar lagtaa hai

Us pe hai niyyat E khaiyaat bhi poshish maiN shareek

Saari khalqat chali aati hai ussay daikhne ko

Kya karay dil bhi k duniya hai sifarish maiN shareek

Itna sharmindah na kar apnay gunahgaroN ko

Ae khuda tu bhi raha hai meri khaahish maiN shareek

Lafz ko phool banana to karishma hai Faraz!

Ho na ho koi to hai teri nigaarish maiN shareek

leave a comment
Poochhte HaiN Woh K GHalib Kaun Hai?
january 29, 2010, posted in ilhaami aayaat, mirza ghalib

Jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?
Kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?

Raat din gardish meiN haiN saat aasmaaN
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?

Laag ho to usko ham samjhaiN lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?

Ho liye kyuN naamaabar ke saath-saath ?
Yaar! apne KHat ko ham pahuNchaayaiN kya ?

Mauj-E-KHooN sar se guzar hee kyuN na jaaye
Aastaan-E-yaar se uTh jaayaiN kya ?

Umr bhar dekhaa kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?

Poochchte haiN woh K ‘GHalib’ kaun hai ?
Koee batlaao K ham batlaayaiN kya ?

 

11 comments
Marne Se Bhi Pahle Mar Gaye The …
january 19, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Marne se bhi pahle mar gaye the
Jeene se kuchh aise dar gaye the

 

Raste me jahaaN talak diyay the
Saare mere hum-safar gaye the

 

AaNkheN abhi khul nahi saki thiN
Aur khaab mere bikhar gaye the

 

Jab tak na khila tha Us ka waada
Mausam mere be samar gaye the

 

Gardaab se bachne waaloN ki samt
Saahil se kayi bhaNvar gaye the

 

“Q”

 

Ab tak wohi nashsha E paziraayi
Kal khaab meN us ke ghar gaye the

 

Milta na tha waapasi ka rasta
Kya jaAniye hum kidhar gaye the

 

3 comments
Shauq Ka Rang Bujh Gaya, Yaad Ke Zakhm Bhar Gaye …
january 19, 2010, posted in ilhaami aayaat, joan alia

Shauq ka rang bujh gaya, yaad ke zakhm bhar gaye
Kya meri fasl hochuki, kya mere din guzar gaye?

Hum bhi hijab dar hijab chhup na sake, magar rahe
Woh bhi hujoom dar hujoom rah na sake, magar gaye

Rahguzar E khyal meN dosh ba dosh the jo log
Waqt ki gard O baad meN jane kahaN bikhar gaye

Sham hai kitni be tapaak, shahr hai kitna sahmnaak
Hum nafaso kahaaN ho tum, jane ye sab kidhar gaye

Aaj ki raat hai ajeeb, koi nahi mere qareeb
Aaj sab apne ghar rahe, aaj sab apne ghar gaye

Hifz E hyaat ka khyal hum ko bahut bura laga
Pas ba hujuum E ma’rekaa, jaan k be sipar gaye

MaiN to safoN k darmiyaaN, kab se paRa hun nim-jaaN
Mere tamaam jaaN-nisaar mere liye to mar gaye

Rounaq E bazm E zindagi, turfaa haiN tere log bhi
Ek to kabhi na aaye the, aaye to rooth kar gaye

Khush nafasaan E be nava, be khabaraan E khush ada
Teerah naseeb the magar shahr meN naam kar gaye

Aap meN ‘Joan Alia’ sochiye ab dharaa hai kya
Aap bhi ab sidhaariye, aap k chaara gar gaye

 

Aarzoo Ki Hamaa Hamii, Aur MaiN …

 

Aarzoo ki hamaa hamii, aur maiN

Dard E dil, dard E zindagi aur maiN

Mauja’ E Qulzum E abad, aur tu

Chand booNdoN ki tishnagi aur maiN

Raat bhar teri raah takte rahe

Tere kooche ki raushni aur maiN

Chhup k milte haiN teri yaadoN se

Shab ki tanhaayi, chaaNdni aur maiN

Ek hi raah k musaafir haiN

BekaraaN raat, khaamushi aur maiN

Yeh bhi ek Manzil E junuN thi ‘Jalil’

Warnaa zandaan E aagahi aur maiN

 

(Hasan Akhtar Jalil)

18 comments
Woh Teraa Naam Tha …
january 17, 2010, posted in ilhaami aayaat, qateel shifayi

Jis ki jhankaar meN dil ka aaraam tha, woh teraa naam tha
Mere hoNtoN pe raqsaaN jo ek naam tha, woh teraa naam tha

Mujh se mansoob thiN daastaanaiN kayi, Ek se ek nayee
Khubsurat magar jo ek ilzaam tha, woh teraa naam tha

Kaise karta kisi aur ki guftaguu, yaad tha sirf tu
Mujh ko mere junuN ka jo in’aam tha, woh teraa naam tha

Subh se shaam tak jo mere paas thi, woh teri aas thi
Shaam tak jo kuchh lab E baam, woh teraa naam tha

Dost jitne the naa aashnaa ban gaye, paarsaa ban gaye
Jo mere saath ruswa sar E aam tha, woh teraa naam tha

Gham ne taarikiyoN me uchhaalaa mujhe, maar daalaa mujhe
Ek nayi chaaNdni ka jo paigham tha, woh teraa naam tha

Tere hi dam se hai yeh ‘Qateel’ aaj bhi, shairy ka wali
Us ki GhazloN meN kal bhi jo ilhaam tha, woh teraa naam tha

 

Chaaraa – Gar Haar Gaya Ho Jaise …

 

Chaaraa – gar haar gaya ho jaise
Ab to marnaa hi dawaa ho jaise

Mujhse bichhRa tha vo pahle bhi magar
Ab ke yeh dard naya ho jaise

Mere maathe pe tere pyar kaa haath
Rooh par dast E sabaa ho jaise

YuN bahut haNs k mila tha lekin
Dil hi dil me woh khafaa ho jaise

Sar chhupaayeN to badan khulta hai
Zeest muflis ki ridaa ho jaise

 

 

Jaam Diya Hai Choom Kar Aur Suruur BaRh Gaya …

 

Jaam diya hai choom kar aur suruur baRh gaya

Khoon me phool khil gaye aaNkh me nuur baRh gaya

Khub uRa liya Ghubaar, ghum chuke har ek dyaar

Faayedaa dil ko kuchh nahi, dard zaruur baRh gaya

Haath Khata ka thaam le, ‘afv O ataa se kaam le

Bandish O ehtesaab se, jurm O qusuur baRh gaya

Us ne nigaah pher kar raasta de diyaa mujhe

Bojh wahiN utaar kar maiN bhi huzuur baRh gaya

Haal ‘Muzaffar’ aap ka, Ghair tha yuNhi ishq meN

Aur banaam E shaairy, ek futuur baRh gaya

 

leave a comment
‘Kalim’ Haal To Apnaa Sunaao Kaisa Hai?
january 15, 2010, posted in ilhaami aayaat, kalim ajiz

‘Kalim’ haal to apnaa sunaao kaisa hai ???
Hai dard kam k bahut dil ka ghaao kaisa hai

Bachi k toot k kashtii E dil bhi doob gayi
Ab aaNsuoN ki nadi ka bahaao kaisa hai

Dayaar E husn me ab is ki maang hai k nahi
Wafaa ka in dinoN baazaar bhaao kaisa hai

Hai waz’a kaisi naye qatl karne waaloN ki
Puraane qaatiloN ka rakh-rakhaao kaisa hai

Ye der – der se yaa jald jald milte hiaN
Gale ke saath chhuri ka lagaao kaisa hai

 

leave a comment
Gulaab Haath MeN Ho, AaNkh MeN Sitaaraa Ho …
january 11, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

 

Gulaab haath meN ho, aaNkh mein sitaaraa ho
Koi wujood mohabbat ka iste’aaraa ho

MaiN gahray paani ki is ro ke saath bahti rahuN
Jazeeraa ho ke muqaabil koi kinaaraa ho !

Kabhi kabhaar usay dekh leN, kahiN mil leN
Yeh kab kaha tha ke woh khushbadan hamaaraa ho

Qusoor ho to hamaare hisaab meN likh jaaye
MohabbatoN meN jo ehsaan ho, tumhaaraa ho

Yeh itni raat gaye kaun dastakaiN degaa
KahiN hawa ka hi uss ne na roop dhaaraa ho

Ufaq to kya hai dar-E-kehkashaaN bhi chhu aayeN
MusafiroN ko agar chaaNd ka ishaaraa ho

MaiN apne hissay ke sukh jiske naam kardaaluN
Koi to ho jo mujhe iss tarah ka pyaaraa ho

Agar wujood meN aahang hai to wasl bhi hai
MaiN chaahe nazm ka tukRa, woh nasr paaraa ho

 

 

SailaaboN Ko Shah Dene MeN TufaaN Ko Uksaanay MeN …

 

SailaboN ko shah dene meiN tufaaN ko uksaanay meN
kitnay haathoN ki sazish hai ek diwar giraanay meN

 

Too ne bahutera samjhaya, moti khaal girah meiN maal
Ae duniya kaise aa jatay, hum tere bahkaanay meN

 

Fun ko mahkaaye rakhtay haiN zakhmi dil ke taza phool
Tooti takhti kaam aati hai nayya paar lagaanay meN

 

Titli jaise rang bikhairo ghayaal ho kar kantooN say
MakRi jaise kya uljhe ho Gham ke taanay baanay meN

 

Bayzari ke haath na marna sau heelay haiN jinay ke
Payaray sar meN wahshat ho to gard bahut wiraanay meN

 

Bujhtay bujhtay bhi zalim nay apna sar jhuknay na diya
Phool gayi hai saans hawa ki ek chiragh bujhaanay meN

 

Khoya ji ka chain ‘Muzaffar’ un say tark-E-ta’luq par
Aa pahunchay gardaab ke muNh tak, dariya se katraanay meN

 

leave a comment
Pahle Jab Bhi Dil Dukhta Tha …
january 4, 2010, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat

Pahle jab bhi dil dukhta tha
Tujh ko soch liya karta tha

Kal jis jaa baaraat ruki thi
Aaj wahaN par sannata tha

Pahla baal paka dekha jab
Us din to dil doob gaya tha

Uski hatheli par hontoN se
Maine apna naam likha tha

Mere dukh me ro paRti thi
Jaane us ka dil kaisa tha!

Mere pairoN me larzish thi
Tera kutta bhoonk raha tha

‘General Knowledge Book’ meN chhupa kar
Tera khat paRhta rahtaa tha

1 comment
Taza MuhabbatoN Ka Nasha Jism-O-JaaN MeN Hai …
january 4, 2010, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Taazaa muhabbatoN ka nasha jism-O-jaaN meN hai
Phir mausam-E-bahaar mere gulsitaaN meN hai

Ik khaab hai ke baar-E-digar dekhte haiN hum
Ik aashna si roshni saare makaaN meN hai

Tabish meN apni mehr-O-mah-O-najam se siwa
Jugnoo se yeh zameen ko kaf-e-aasmaaN meN hai

Ik shaakh-E-yaasmeen thi kal tak khizaaN asar
Aur aaj sara baaGh ussi ki amaaN meN hai

Khushbu ko tark karke na laaye chaman meN rang
Itni to soojh boojh mere baaghbaaN meN hai

Lashkar ki aankh maal-E-ghaneemat pe hai lagi
Salaar-E-fauj aur kisi imtehaaN meN hai

Har jaan nisaar yaad dihaani meN munhamik
Naiki ka har hisaab dil-E-dostaaN meN hai

Hairat se dekhta hai samandar meri taraf
Kashti meN koi baat hai ya baadbaaN meN hai

Uska bhi dheyaan jashn ki shab ae sipah dost
Baqi abhi jo teer, uduu ki kamaaN meN hai

Baithe raheNge shaam talak tere sheesha gar
Yeh jaante huye ke khasaaraa dukaaN meN hai

Masnad ke itne paas na jaayeN ke phir khaley
Woh be-taaluqi jo mizaaj-E-shahaaN meN hai

Warna yeh taiz dhoop to chubhti humeN bhi hai
Hum chup khaRe huye haiN ke tu saayebaaN meN hai

 

Yeh Kis Khalish Ne Phir Is Dil MeN Aashiyaanaa Kiyaa …

 

Yeh kis Khalish ne phir is dil meN aashiyaanaa kiyaa

Phir aaj kis ne suKhan ham se Ghaayebaanaa kiyaa

Gham-E-jahaaN ho, ruKh-E-yaar ho ke dast-E-uduu

Salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa

The Khaak-E-raah bhii ham log qahar-E-tuufaaN bhii

Sahaa to kyaa na sahaa aur kiyaa to kyaa na kiyaa

Khushaa ke aaj har ik mudda_ii ke lab par hai

Voh raaz jis ne hameN raaNd-E-zamaanaa kiyaa

Voh hiilaagar jo vafaajuu bhii hai jafaaKhuu bhii

Kiyaa bhii “Faiz” to kis but se dostaanaa kiyaa

2 comments
Ye Tabi’at Hai To Khud Aazaar Ban JaayeNge Ham …
december 28, 2009, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat

Ye tabi’at hai to Khud aazaar ban jaayeNge ham
Charaagar royeNge aur Gam_Khvar ban jaayeNge ham

Ham sar-E-chaak-E-vafa haiN aur tera dast-E-hunar
Jo bana degaa hameN ai yaar ban jaayeNge ham

Kya Khabar thi ai nigaar-E-she’r tere ishq meN
Dil_baraan-E-shahr ke dil_daar ban jaayeNge ham

SaKht jaaN haiN par hamaari ustavaari par na ja
Aise TuuteNge teraa iqaraar ban jaayeNge ham

Aur kuch din baiTne do ku-E-janaaN meN hamen
Rafta rafta saayaa-E-divaar ban jaayeNge ham

Is qadar aasaaN na hogi har kisii se dosti
Ashnayi meN tera me’yaar ban jaayeNge ham

Mir-O-Galib kya K ban paaye nahin Faiz-O-Firaq
Zo’m ye thaa Ruumi-O-‘Ataar ban jaayeNge ham

Dekhne meN shaKh-E-gul lagte haiN lekin dekhna
Dast-E-gulchiN ke liye talvaar ban jaayeNge ham

Ham chiraGhoN ko to tariki se laRana hai ‘Faraz’
Gul hue par subh ke aasaar ban jaayeNge ham

leave a comment
Laayiq E Deed Woh Nazaaraa Tha …
december 28, 2009, posted in ilhaami aayaat, muzaffar hanfi

Laayiq E deed woh nazaaraa tha
Laakh naizay thay sar hamaaraa tha

 

Ek aaNdhi si kyuN badan meN hai
Us nay shayadd hameN pukaaraa tha

 

Shukriyaa reshmi dilaasay ka
Teer to aap nay bhi maaraa tha

 

BaadbaaN say ulajh gaya langar
Aur do haath par kinaaraa tha

 

Sahabo baat dastaras ki thi
Ek jugnoo tha, ek sitaaraa tha

 

AsmaaN bojh hi kuch aisaa hai
Sar jhukaanaa kisay gawaaraa tha

 

Ab namak tak nahi hai zakhmoN par
DostoN sai baRa sahaaraa tha

 

 

leave a comment
Un Se Nain Milaa Kar Dekho …
december 28, 2009, posted in ilhaami aayaat, munir neyazi

Un se nain milaa kar dekho

Ye dhokhaa bhii khaa kar dekho

Duuri meN kyaa bhed chhupa hai

Is kii khoj lagaa kar dekho

Kisii akelii shaam kii chup meN

Giit puraane gaa kar dekho

Aaj kii raat bahut kaalii hai

Soch ke diip jalaa kar dekho

Jaag jaag kar umr kaTii hai

NiiNd ke dvaar hilaa kar dekho

 

Aaiinaa KyuN Na DuN K Tamaashaa KaheN Jise …

 

Aaiinaa kyuuN na duuN K tamaashaa kaheN jise
Aisaa kahaaN se laauuN K tujhsaa kaheN jise

Hasrat ne laa rakhaa terii bazm-E-Khayaal meN
Guldastaa-E-nigaah suvedaa kahe.n jise

PhuuNkaa hai kisane gosh E muhabbat meN ai Khudaa
Afasuun-E-intazaar E tamannaa kaheN jise

Sar par hujuum-E-dard-E-Ghariibii se Daliye
Vo ek musht-E-Khaak K seharaa kaheN jise

Hai chashm-E-tar meN hasarat-E-diidaar se nihaaN
Shauq-E-inaaN guseKhtaa dariyaa kaheN jise

Darakaar hai shiguftan-E-gul haaye aish ko
Subh-E-bahaar pa.nbaa-E-miinaa kaheN jise

“Ghalib” buraa na maan jo vaaiz buraa kahe
Aisaa bhii koii hai K sab achchhaa kaheN jise

leave a comment
Ab Bhalaa ChhoR Ke Ghar Kyaa Karte …
december 23, 2009, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir

Ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
Shaam ke vaqt safar kyaa karte

Terii masruufiyyateN jaante haiN
Apne aane kii Khabar kyaa karte

Jab sitaare hii nahiiN mil paaye
Le ke ham shams-O-qamar kyaa karte

Vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
Saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-O-aaKhir Thahrii
Kar ke zarre ko guhar kyaa karte

Raa’e pahle se banaa lii tuune
Dil meN ab ham tere ghar kyaa karte

Ishq ne saare saliiqe bakhshe
Husn se kasb-E-hunar kyaa karte

 

leave a comment
Shaamyanay Meri Gheebat MeN Hawa Taan_ti Hai …
december 21, 2009, posted in ilhaami aayaat, muzaffar hanfi

Shaamyanay meri Gheebat meN hawa taan_ti hai

GaaoN meN meray na hoonay sai baRi shaan_ti hai

Wo bagola hai ke uRnay pe sadaa aamaadaa

MaiN jo mitti huN to mitti bhi kahaaN maan_ti hai

Dekhnaa kaisay humaknay lagay saray pat_thar

Meri wahshat ko tumhari gali pahchaan_ti hai

Phool banti hai kali hansatay haNsaatay lekin

Uskay dil pe jo guzarti hai wohi jaan_ti hai

Meri koshish hai K duniyaa ko banaadooN firdaus

Aur duniya mujhay naakaaroN men gardaan_ti hai

Hum ko ek haal meN qismat nahi rahnay deti

Kabhi mitti men milati hai, kabhi chhaan_ti hai

 

 

Na Tera Qurb Na Baadaa Hai Kya Kiya Jaaye …

 

Na tera qurb na baadaa hai kya kiya jaaye
phr aaj dukh bhi zyaadaa hai kya kiya jaaye

 

HamaiN bhi arz-E-tamanna ka Dhub nahi aataa
Mizaaj-E-yaar bhi saadaa hai kya kiya jaaye

 

Kuch apnay dost bhi tarkash badosh phirtay haiN
Kuch apna dil bhi kushaadaa hai kya kiya jaaye

 

Voh mehrbaaN hai magar dil ki hirs bhi kum ho
Talb, karam se zyaadaa hai kya kiya jaaye

 

Na us se trk-E-ta’alluQ ki baat kar paayeN
Na hamdami ka eraadaa hai kya kiya jaaye

 

Saluk-E-yaar se dil doobney laga hai Faraz
Magar ye mehfi-E-a’adaa hai kya kiya jaaye

 

leave a comment
Duniya Ne Hum Pe Jab Koi Ilzaam Rakh Diya …
december 18, 2009, posted in ilhaami aayaat, qateel shifayi
Duniya ne hum pe jab koi ilzaam rakh diya
Humne muqabil uske tera naam rakh diya

Eik khaas had pe aa gayi jab teri berukhi
Naam uska humne gardish-E-ayaam rakh diya

Min larkhara raha huN tujhe dekh dekh kar
Tu nay to mere saamne eik jaam rakh diya

Kitna sitam-zareef hai woh saheb-E-jamaal
Usne diya jala ke lab-E-baam rakh diya

Ab jis ke jee meN aaye wohi paye roshni
Hum ne to dil jala ke sar-E-‘aam rakh diya

Kya maslehat-shanaas tha woh admi ‘Qateel’
MajbooriyoN ka jisne ‘wafa’ naam rakh diya

 

 

Raat Ke Khaab SunaayeN Kis Ko …

 

Raat ke Khaab sunaayeN kis ko raat ke Khaab suhaane the
DhuNdhle dhuNdhle chehre the par sab jaane pahchaane the

 

Ziddii vahshii alhaR chanchal miiThe log rasiile log
HoNT un ke GhazaloN ke misr’e aaNkhoN meN afsaane the

 

Ye laRkii to in galiyoN meN roz hii ghuumaa kartii thii
Is se un ko milnaa thaa to is ke laakh bahaane the

 

Ham ko saarii raat jagaayaa jalte bujhte taaroN ne
Ham kyuuN un ke dar pe utre kitne aur Thikaane the

 

Vahshat kii unvaan hamaarii in meN se jo naar banii
DekheNge to log kaheNge ‘Insha’ ji diiivaane the

 

leave a comment
Phul, Khushbu, Sahaab Honaa To …
december 17, 2009, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Phul, khushbu, sahaab honaa to

Ae du’aa mustajaab honaa to

Main gahan tak tujhe na lagne duN

Tum mera maahtaab honaa to

Manzilen intezaar meN hoNgi

Hauslo!! ham rekaab honaa to

Waaqif e sard o garm bhi hona

Haami E inqelaab honaa to

Nuqs tujh me bhi sab nikaleNge

Ek zara kaamyaab honaa to

MaiN use dekh kar hi jita huN

Ho gaya us ka khaab hona to?

leave a comment
Wafa MeN Ab Yeh Hunar Ikhtiyaar Karna Hai …
december 17, 2009, posted in ilhaami aayaat, mohsin naqvi

Wafa meN ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aaitebaar karna hai

Yeh tujh ko jaagtay rahnay ka shouq kab say huaa?
Mujhay to khair teraa intezaaar karna hai

Hawa ki zad meN jalanay haiN ansoN kay chiraagh
Kabhi yeh jashan sar E rahguzaar karna hai

Woh muskura kay naye waswasoN meN daal gaya
Khayaal tha K usay sharamsaar karna hai

Misaal E shaakh E barhana khizaN ke rut meN kabhi
Khud apnay jism ko be – barg O baar karna hai

Teray firaaq meN din kiss tarah kattaiN apnay
K shuGhal E shab to sitaray shumaar karna hai

Chalo yeh ashak hi moti samajh kay baich aayaiN
Kissi tarah to hamaiN rozgaar karna hai

Kabhi to dil meN chhupay zakhm bhi numayaaN hoN
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeh koi zid K shouq hai ‘Mohsin’
Khud apni jaan kay dushman say payaar karna hai

 

2 comments
Tujhse BichhaR Ke Ham Bhii Muqaddar Ke Ho Gaye …
december 16, 2009, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Tujhse bichhaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye
Phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye

Phir yuN huaa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa
Andar vo nafrateN thiiN ke baahar ke ho gaye

Kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the
Ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye

Ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
Ai dard-E-hijr hum bhii to pat_thar ke ho gaye

Samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-E-shahr
Phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye

Ab ke na intizaar kareN chaaragar kaa ham
Ab ke gaye to kuu-E-sitamgar ke ho gaye

Rote ho ek jaziira-E-jaaN ko “Faraz” tum
Dekho to kitne shahr samandar ke ho gaye

 

 

Aah Ko Chaahiye Ek Umr Asar Hone Tak …

 

Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
Kaun jitaa hai teri zulf ke sar hone tak

Daam har mauj meN hai halqaa-E-sad_kaam-E-nahang
DekheN kyaa guzre hai qatare pe guhar hone tak

Aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
Dil kaa kyaa rang karuuN Khuun-E-jigar hone tak

Ham ne maanaa ke taGhaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayeNge ham tum ko Khabar hone tak

Partav-E-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
MaiN bhii huuN ek inaayat kii nazar hone tak

Yak_nazar besh nahiiN fursat-E-hastii Ghaafil
Garmii-E-bazm hai ik raqs-E-sharar hone tak

Gham-E-hastii kaa ‘Asad’ kis se ho juz marg ilaaj
Shamm’aa har rang meN jaltii hai sehar hone tak

 

1 comment
Hoti Hai Tere Nam Se Wahshat Kabhi Kabhi …
december 14, 2009, posted in ilhaami aayaat, nasir kazmi
Hoti Hai Tere Nam Se Wahshat Kabhi Kabhi
Barham Hui Hai YuN Bhi Tabi’at Kabhi Kabhi

Ai Dil Kise Nasib Ye Taufiq-E-Iztirab
Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi

Tere Karam Se Ai Alam-E-Husn-E-Afrin
Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi

Dil Ko Kahan Nasib Ye Taufiq-E-Iztirab
Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi

Josh-E-Junun MeN Dard Ki TuGhyaniyoN K Sath
AshkoN MeN Dhal Gayi Teri Surat Kabhi Kabhi

Tere Qarib Rah K Bhi Dil Mutma’in Na Tha
Guzri Hai Mujh Pe Ye Bhi Qayamat Kabhi Kabhi

Kuch Apna Hosh Tha Na Tumhara Khayal Tha
Yun Bhi Guzar Gayi Shab-E-Furqat Kabhi Kabhi

Ai Dost Ham Ne Tark-E-Muhabbat K Baawajud
Mahsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi

 

Dubo Kar Khoon MeN LafzoN Ko Angaaray Banaataa HooN …

 

 

Dubo kar khoon meN lafzoN ko angaaray banaataa hooN
Phir angarooN ko daheka kar ghazal paaray banaataa hooN

ZamiN par hi rafooo ka dher sara kaam baqi hai
KhalaaoN say na kahe dena K saiyaaray banaataa hooN

Mere hathoN ke chhalay phool ban jatay haiN kaghaz par
Meri aankhooN say poocho raat bhar taaray banaataa hooN

Jidhar maati uRaa dooN aftaab E taazaa paidaa ho
Abhi bachchoN main hoon saabun ke ghubbaaray banaataa hooN

Zamaanaa mujh se barham hai mera sar is liyee kham hai
K mandir ke kalas, masjid ke meenaaray banaataa hooN

Mere bachchay khaRe haiN balti le kar qataaroN meN
KuiaiN, taalaab, nahraiN aur fawwaaray banaataa hooN

Muzaffar waaqayi be dast-O-paa hooN maiN to kya Gham hai
Yeh kya kam hai ke mansoobay bahoot saaray banaataa hooN

 

leave a comment
Shaam-E-Firaaq Ab Na Puuchh Aayii Aur Aake Tal Gayii …
december 11, 2009, posted in faiz ahmad faiz, ilhaami aayaat

Shaam-e-firaaq ab na puuchh aayii aur aake tal gayii
Dil thaa K phir bahal gayaa, jaaN thii K phir sambhal gaii

Bazm-E-khayaal meN tere husn kii sham’aa jal gayii
Dard kaa chaaNd bujh gayaa, hijr kii raat dhal gayii

 

Jab tujhe yaad kar liyaa, subhh mahak mahak uthii
Jab teraa Gham jagaa liyaa, raat machal machal gayii

Dil se to har mu’aamlaa karake chale the saaf ham
Kahane meN unke saamane baat badal badal gayii

 

Aakhir-E-shab ke hamasafar ‘Faiz’ na jaane kyaa hue
Rah gayii kis jagah sabaa, subha kidhar nikal gayii

 

leave a comment
Fanaa MeN Zindagi Ka Isti’aaraa Doob Jaaye Ga …
december 9, 2009, posted in ilhaami aayaat, muzaffar hanfi
Fanaa meN zindagi ka isti’aaraa doob jaaye ga

Yeh wo dul dul hai, jis ne sar ubhaaraa doob jaaye ga

Koi kahta tha do hi din hooyy thay un ki shadi ko

Kisay maloom tha Dul meN shikaaraa doob jaaye ga

Agar masoom ka hur qatra-e khooN ek samundar hai

Tau chuloo bhar lahoo meN shaher saaraa doob jaaye ga

Yeh liptay baadbaan, yeh kashtiyoN ke jhooltay langar

Sabhi aasaar kahte haiN, kinaaraa doob jaaye ga

Suna hai zor ghat jaayee ga darya ka saweray tak

Madad aanay say pahlay ghar hamaaraa doob jaaye ga

MaiN apna she’r kaise nazr kar dooN ahl E daulat ko

Ujaalay meN to yeh roushan sitaaraa doob jaaye ga

‘Muzaffar’ kyuN taRaptay ho kaha tha hum ne pahlay hi

Ke aaNsooN mat piyo, aankhooN mein paaraa doob jaaye ga

 

 

Pura Dukh Aur Aadha ChaaNd …

 

Pura dukh aur aadha chaand
Hijr ki shab aur aisa chaand

Din meN wahshat bahal gayi thi
Raat hui aur nikla chaand

Kis maqtal se guzra hoga
Itna sahmaa sahmaa chaand

 

YaadoN ki aabaad gali meN
Ghoom raha hai tanha chaand

 

Meri karwat per jaag uthey
NeeNd ka kitna kachcha chaand

 

Mere muNh ko kis hairat se
Dekh raha hai bhola chaand

 

Itnay ghanay baadal ke peechhe
Kitna tanha hoga chaand

 

AaNsu roke noor nahaaye
Dil dariya, tann sehra chaand

 

Itne roshan chehre per bhi
Suraj ka hai saya chaand

 

Jab paani meN chehra dekha
Tunay kisko socha chaand?

 

Bargad ki aik shaakh hata ker
Jaanay kisko jhaaNka chaand

 

Baadal ke resham jhoolay meN
Bhor samay tak soya chaand

 

Raat ke shaanoN per sar rakkhe
Dekh raha hai sapna chaand

 

Sookhay pattoN ke jhurmat per
Shabnam thi ya naNnha chaand

 

Haath hila ker rukhsat hoga
Uski surat hijr ka chaand

 

Sehra sehra bhatak raha hai
Apne ishq meN sacha chaand

 

Raat ke shayed aik bajey haiN
Sotaa hoga mera chaand !!

 

 

Husn Ke Zer E Baar Ho Ke Na Ho …

 

Husn ke zer E baar ho K na ho!!
Ab ye dil be-qaraar ho K na ho

Marg E amboh dekh aate haiN!!
AaNkh phir ashkbaar ho K na ho

Karb E paiham se hogaya pat_thar
Ab ye seenaa figaar ho K na ho

Phir yahi rut ho ain mumkin hai
Par teraa intezaar ho K na ho

Shakh E zaitoon ke amiN hum haiN
Shahr meN ishtehaar ho K na ho

DaaGh E dil hum dikhaye jate haiN
Us pe hai – Sharmsaar ho K na ho

She’r mere saNbhaal kar rakhna!
Ab ghazal mushkbaar ho K na ho

 

 

Jaane WaaloN Se Raabetaa Rakhnaa …

 

Jaane vaaloN se raabetaa rakhnaa
Dosto rasm-e-faatihaa rakhnaa

 

Ghar kii ta’amiir chaahe jaisii ho
Us meN rone kii kuch jagah rakhnaa

 

MasjideN haiN namaaziyoN ke liye
Apne ghar meN kahiiN Khudaa rakhnaa

 

Jism meN phailne lagaa hai shahr
Apnii tanhaaiyaaN bachaa rakhnaa

 

Umr karne ko hai pachaas ke paar
Kaun hai kis jagah, pataa rakhnaa

 

leave a comment
Sab Log Liye Sang-E-Malaamat Nikal Aaye …
december 8, 2009, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Sab log liye sang-E-malaamat nikal aaye

Kis shahr meN ham ahal-E-muhabbat nikal aaye

Ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho

AaNsuu kii jagah aaNkh se hasarat nikal aaye

Har ghar kaa diyaa gul na karo tum K na jaane

Kis baam se Khurashiid-E-Qayaamat nikal aaye

Jo dar_paa-E-pindaar haiN un qatl_gahoN se

JaaN deke bhii samajho K salaamat nikal aaye

Ae ham_nafaso kuchh to kaho ahad-E-sitam kii

Ek harf se mumkin hai hikaayat nikal aaye

Yaaro mujhe masaluub karo tum K mere baad

Shaayad K tumhaaraa qad-O-qaamat nikal aaye

 

 

Ta’zeer-E-Ehtimaam-E-Chaman Kaun De Gaya …

 

Ta’zeer-E-ehtimaam-E-chaman kaun day gaya
Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya

Daikhay jo khadd-O-khaal to socha hai baarhaa
Sehra ki chaaNdni ko badan kaun day gaya

 

Meri jabeeN ki saari lakeeraiN teri ataa
Lekin teri qaba ko shikan kaun day gaya

 

Teray hunar mai khilwat-E-khushboo sahi magar
KaantoN ko umr bhar ki chubhan kaun day gaya

 

Jungal say poochti haiN hawaaoN ki barhami
Jugnoo ko tairgi mai kiran kaun day gaya

 

Kis ne basaaye aaNkh mai ashkoN kay qaaflay
Be-ghar musaafiroN ko watan kaun day gaya

 

Tujh say to khair pal ki musaafat ka saath tha
Meray badan ko itni thakan kaun day gaya

 

ToRa hai kis nay nok-E-sinaaN par sakoot-E-sabr
Lab bastagi ko taab-E-sukhan kaun day gaya

 

‘Mohsin’ wo kaayinaat-e-ghazal hai ussay bhi daikh
Mujh say na pooch mujh ko yeh fun kaun day gaya

 

 

 

Safeenay Hi Ko Tere Vastay Toofaan Kar Dega …

 

Safeenay hi ko tere wastay toofaan kar dega
Samundar ek din mushkil teri aasaan kar dega

Agar muNh zor maujoN ko lagaamaiN de nahiN saktay
To yeh dariya tumharay khait raigistaan kar dega

Muhabbat aarzo_oN ki nayi basti basaaye gee
JunuuN baRh kar dar-O-diwar ko maidaan kar dega

Samajhta hai mere ash’aar par tanqeed likhnay say
Wo meri saat pushtoN par baRa ehsaan kar dega

Abhi ummeed baqi hai ke wo bichRa huaa saathi
Kisi bhi moR par mill kar hamaiN hairaan kar dega

Teri qurbat meN rah kar mujh ko bhi izaat mili lekin
Yahi saamaan aapas meN hamaiN anjaan kar dega

Usay nazdeek aa kar door rahna khooob aata hai
Wo zalim muskura kar bhi tera apmaan kar dega

Baher surat basher hai dost, paiGhamber nahiN koi
Wo apnay naf’a par beshak tujhay qurbaan kar dega

Ajab kamzor lamhay meN sada di hai sadaqat ne
‘Muzaffar’ aaj har qatra lahoo ka daan kar dega

 

 

Kitna Kaam KareNge …

 

 

Kitnaa kaam kareNge

Ab aaraam kareNge

Tere diye hue dukh

Tere naam kareNge

 

Ahal-E-dard hi aakhir

KhushiyaaN aam kareNge

 

Kaun bacha hai jise voh

Zer-E-daam kareNge

 

Naukri chhoR k ‘Nasir’

Apnaa kaam kareNge

 

leave a comment
Safar MeN Dhoop To Hogi Jo Chal Sako To Chalo …
november 24, 2009, posted in ilhaami aayaat, nida fazli
Safar meN dhoop to hogi jo chal sako to chalo
Sabhi haiN bheeR meN tum bhi nikal sako to chalo

Idhar udhar kayi manzil haiN chal sako to chalo
Bane banaaye haiN saaNche jo Dhal sako to chalo

Kisi ke waaste raaheN kahaaN badalati haiN
Tum apane aap ko Khud hi badal sako to chalo

YahaaN kisi ko koyii raastaa nahi detaa
Mujhe giraake agar tum sambhal sako to chalo

Yahi hai zindagi, kuchh Khaak, chand ummeedeN
Inhi khilonoN se tum bhi bahal sako to chalo

Har ik safar ko hai mahafooz raastoN ki talaash
HifaazatoN ki rivaayat badal sako to chalo

KahiN nahi koi sooraj dhuaaN dhuaaN hai fizaa
Khud apane aap se baahar nikal sako to chalo

 

 

ChaNd MeN Jo PariyaaN Rahti HaiN …

 

ChaNd meN jo pariyaaN rahti haiN

Hum ko milte dekh chuki haiN

 

In aankhoN me kyuN rahti ho ??

Jo har dam roti rahti haiN

 

Laakh nikaaluN dil se lekin

Khaab nigoRe sab ziddi haiN

 

Us malakooti husn ke, logo

Jitne Dhab haiN, aafaaqui haiN

 

Aaj jise sun kar tum roye

Wo baateN mujh per beeti haiN

2 comments
Sochtaa HuN K Mahfuz Kar LuN Ise Apne Sine MeN …
november 23, 2009, posted in ilhaami aayaat, irfan siddiqui
Sochtaa huuN K mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah

ThoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah

 

Yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mere haath meN haath de

Tuu havaa-E-sar-E-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-E-raayegaaN kii tarah

 

Haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baaNdh kar le chalaa

Mera maazii mere saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah

 

sang-E-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaa

Raftaa raftaa sabhii ne saroN par koyii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah

 

KhaahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-E-balaa-Khez bantii gayii

Jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah

 

 

Gaisu-E-Shaam MeN Aik Sitaaraa Aik Khyaal …

 

Gaisu-E-shaam meN aik sitaaraa aik khyaal
Dil meN liye phirte haiN tumharaa aik khyaal

Baam-E-falak par sooraj,chaaNd, sitaara tha
Ham ne beyaaz-E-dil pe utaaraa aik khyaal

Kabhi to un ko bhi dekho, jin logoN ne
Umr gaNwaai aur saNwaaraa aik khyaal

Yaad k shahr k shor se kaale kosoN door
Dasht-E-faraamoshi se pukaaraa aik khyaal

YuN bhi hua hai dil k muqaabil duniya thi
Phir bhi na haaraa phir bhi na haaraa aik khyaal

Mujh par zarb paRi to khalqat ne dekha
Meri bajaaye paaraa paaraa aik khyaal

Aik musaafat, aik udaasii, aik ‘Faraz’
Aik tamannaa, aik sharaaraa, aik khyaal

1 comment
Kabhi Jo CheR Gayee Yaad-E-RaftagaaN Mohsin …
november 20, 2009, posted in ilhaami aayaat, mohsin naqvi
Kabhi jo cheR gayee yaad-E-raftagaaN Mohsin
Bikhar gayee haiN nigaaheN kahaaN kahaaN Mohsin

 

Hawa ne raakh urraaii to dil ko yaad aayaa
K jal bujheeN mere khaabon ki bastiyaaN Mohsin

 

Kuch aaise ghar bhi miley jin meN ghooNgatoN k iwaz
Hui haiN dafn dopattoN meN larrkiyaaN Mohsin

 

KhaNdar hai ahd-E-guzishta na chhu na chheR isay
KhuleN to band na hoN is ki khirrkiyaaN Mohsin

 

Bujha hai kaun sitaaraa k apni aankh k saath
Huey haiN saare manaazir dhuaaN dhuaaN Mohsin

 

Nahi k us ne ganwaaye haiN maah O saal apne
Tamaam umr kaTi yuun bhi raaegaaN Mohsin

 

Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
SameiTna theeN jisay meri kirchiyaaN Mohsin

 

KahiN se us ne bhi toRa hai khud se rabt-E-wafa
Kahin se bhool gaya maiN bhi daastaaN Mohsin

 

 

Woh Firaaq Aur Woh Vissal KahaN …

 

Woh firaaq aur woh vissal kahaN
Woh shab-O-roz-O-maah-O-saal kahaaN

Fursat-E-karobaar-E-shauq kise
Zauq-E nazzaara-E jamaal KahaaN

Dil to dil vo dimagh bhi na raha
Shor-E-sauda E khatt-O-Khal KahaaN

Thi wo ik shakhs ke tasawwur se
Ab wo raanaayi-E-khayal kahaaN

Aisaa aasaaN nahiN lahoo ronaa
Dil meN taaqat jigar meN haal kahaaN

Humse chhuta Qumaar-khana E-ishq
WaaN Jo JayeN girah meN maal kahaaN

Fikr-E-duniya meN sar khapata HuN
MaiN kahaaN aur yeh vabaal kahaaN

Muzmahil ho gaye Quwaa ‘Ghalib’
Woh anaasir meN aitedaal kahaaN

 

 

Yaas MeN Jab Kabhi AaNsuu Nikla …

 

Yaas meN jab kabhi aaNsuu niklaa
Ek nayii aas kaa pahluu niklaa

Le uRii sabza-e-Khudrau ki mahak
Phir terii yaad kaa pahluu niklaa

MiiThii bolii meN papiihe bole
Gungunaataa huaa jab tuu niklaa

AayiiN saavan kii andherii raateN
KahiiN taaraa, kahiiN jugnuu niklaa

Naye mazmuun sujhaatii hai sabaa
Kyaa idhar se vo suman-buu niklaa

PaaNv chhilne lagii jaltii huii ret
Dasht se jab koii aahuu niklaa

Kayii din raat safar meN guzre
Aaj to chaaNd lab-e-juu niklaa

Taaq-e-maiKhaanaa meN chaahii thii amaaN
Vo bhii teraa Kham-e-abruu niklaa

Ahl-e-dil sair-e-chaman se bhii gaye
Aks-e-gul saayaa-e-gesuu niklaa

Vaaqe’aa ye hai ke badnaam hue
Baat itnii thii ke aaNsuu niklaa

 

Badan Ke DonoN KinaaroN Se Jal Raha HuN MaiN …

Badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN

K chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

Tujhii pe Khatm hai jaanaaN mere zavaal kii raat

Tuu ab tulu’ bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

Bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko

To aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-raahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh

Havaa-e-taazaa! tere saath chal rahaa huuN maiN

MaiN Khaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai

Aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

1 comment
Kab Hawa E Sitam Se Darte The …
november 18, 2009, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Kab hawaa E sitam se darte the
Khaahish E rang O boo jo karte the

Us gali meN kabhi na khaak uRe
Be sabab jis se hum guzarte the

Uski yaadeN udaas karti thiN
Uski yaadoN se hi saNwarte the

Ek aisa bhi daur guzraa hai
Log aapas meN pyaar karte the

Jaane kya mashGhalaa hai ab unka
Zindagi meN jo rang bharte the

 

1 comment
Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna …
november 17, 2009, posted in ilhaami aayaat, qateel shifayi
Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna
MaiN Phir AauuNga Palat Kar Mera Intezaar Karna

Mujhe Darr Hai, Mere Aansoo Teri Aankh Se Na JhalkeN
Zara Sooch Kar Samajh Kar Mujhe Sogawaar Karna

Usay Dhoond Sab Se Pehlay Jo Mila NahiN Hai Tujh Ko
Yeh Sitaaray AasmaaN Kay Kabhi Phir Shumaar Karna

Mere Shahr Ki Fiza MeN Koi Zahr Bhar Gaya Hai
Tere Husn Par Hai Laazim Ussay Khushgawaar Karna

MaiN UthauuNgaa Na EhsaaN Tere Baad Na-Khuda Ka
Mujhe Tu Ne Hi Duboya, Mujhe Tu Hi Paar Karna

Mere Bad-Naseeb sathi, Teri Zindagi Hi Kya Hai
Na Kisi Sey Dil Lagaanaa, Na Kisi Sey Pyaar Karna

Kabhi Iqtidaar BaKhshay Jo Khuda ‘Qateel’ Tujh Ko
Jo Rawish Hai QatiloN Ki, Woh Na Ikhtiyaar Karna

 

Main Mar Mita To Wo Samjha Yeh Inteha Thi Meri …

 

Main mar mita to wo samjha ye inteha thi meri
Usay khabar hi na thii, khaak kimiya thi meri

MaiN chup hua to wo samjha k baat khatam hui
Phir us k baad to aawaaz ja ba ja thi meri

Jo taa’na zan tha meri poshish E dardidaa par
Usi ke dosh pay rak_khi houi qaba thi meri

MaiN us ko yaad karuN bhi to yaad ata nahiN
MaiN us ko bhool gaya huN, yahi saza thi meri

Shikast de gaya apna Ghoroor hi us ko
Wagarna us k muqabil basaat kya thi meri

KahiN dimaGh kahiN dil kahiN badan hi badan
Har ek se dosti yaari juda juda thi meri

Koi bhi koo E muhabbat say phir nahin guzra
To shahr E ishq maiN kya akhri sada thi meri

Jo ab ghamand say Sar ko uThaaye phirti hai
Isi tarah ki to makhlooq khaak E pa thi meri

Har aik shair na tha dar khor E qaseeda dost
Aur us say tab’ae E rawaaN khub aashna thi meri

MaiN usko dekhta rahta tha hairatoN se ‘Faraz’
Ye zindagi se ta’aaruf ki ibtedaa thi meri

leave a comment
Abke Yeh Ehteyaat Bhi Kar Jaanaa Chaahiye …
november 17, 2009, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Abke ye ehteyaat bhi kar jaanaa chaahiye !!!
Andhi se qabl khud hi bikhar jaanaa chaahiye

Haan jab mujhe jamood ki tohmat hi mil gayi
To dil se bhi khayaal E safar jaanaa chaahiye

Sab raaste hisaar ke jangal meN qaid haiN
Kya faisla kareN K kidhar jaanaa chaahiiye

Rahzan to sab kamaayaa jua maal le gaye
Ab sirf jaan leke na ghar jaanaa chaahiye

Karte haiN be sabab hi khataayeN ma’aaf jo
Aise “khataa ma’aaf” se dar jaanaa chaahiye

Kuchh faisle to hoNge mere ikhtiyaar ke
Aankhon se ye Ghilaaf utar jaanaa chahiye

Jab mere paas us ke liye chhat talak nahi
Ae uski aarzoo, tujhe mar jaanaa chaahiye

 

 

NahiN Nigaah MeN Manzil To Justajuu Hi Sahi …

 

NahiN nigaah meN manzil to justajuu hii sahii

NahiN visaal muyassar to aarazuu hii sahii

Na tan meN Khuun faraaham na ashk aankhon meN

Namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii

Kisii tarah to jame bazm!! maikade vaalo

NahiN jo baadaa-O-saaGhar to haa-O-hu hii sahii

Gar intezaar kathin hai to jab talak ai dil

Kisi ke vaada-E-fardaa ki guftaguu hii sahii

Dayaar-E-Ghair meN maharam agar nahiN koii

To ‘Faiz’ zikr-E-vatan apne ruubaruu hii sahii

leave a comment
BichhaR Ke Mujh Se Kabhi Tu Ne Yeh Bhi Sochaa Hai …
november 17, 2009, posted in ilhaami aayaat, mohsin naqvi
BichhaR ke mujh se kabhi tu ne yeh bhi sochaa hai

Adhuuraa chaand bhi kitnaa udaas lagtaa hai

Ye lamhaa vasl kaa hai isko raayegaaN na samajh

K is ke baad vahii duuriyoN kaa sahraa hai

Kuchh aur der na jhaRtaa udaasiyoN kaa shajar

Kise Khabar tere saaye meN kaun baiThaa hai

Ye rakh-rakhaao muhabbat sikhaa gayii us ko

Vo ruuth kar bhi mujhe muskuraa ke miltaa hai

MaiN kis tarah tujhe dekhuun nazar jhijhakti hai

Teraa badan hai K yeh aaiinoN kaa dariyaa hai

leave a comment
Avval Avval Ki Dosti Hai Abhi …
november 17, 2009, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Avval avval ki dosti hai abhi
Ek Ghazal hai K ho rahi hai abhi

MaiN bhi shahr-E-wafa meN nau-vaarid
Wo bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhi

MaiN bhi aisa kahaN ka zood-shanaas
Wo bhi , lagta hai , sochti hai abhi

Dil ki waaraftagi hai apni jagah
Phir bhi kuch ehteyaat si hai abhi

Gar-cheh pehle sa ijtenaab nahiN
Phir bhi kam kam sapurdagi hai abhi

Khud-kalaami meN kab ye nash_sha tha
Jis tarah ru-ba-ru koi hai abhi

QurbateN laakh khoobsoorat hoN
DooriyoN meN bhi dil-kashi hai abhi

Raat kis maah-wash ki chaahat meN
ShabnamistaaN saja rahi hai abhi

MaiN bhi kis vaadi-e-khayaal mein tha
Barf si dil pe gir rahi hai abhi

Zindagi koo-E-na-muraadi se
Kisko muR muR k dekhti hai abhi

Is qadar khiNch gayi hai jaaN ki kamaaN
Aisa lagta hai TooTti hai abhi

Kaisa mausam hai kuchh nahiN khulta
BooNda baNdi thi, dhoop bhi hai abhi

Aisa lagta hai khalvat-E-jaaN meN
Wo jo ik shakhs tha wohi hai abhi

MuddateN ho gayeeN ‘FARAZ’ magar
Wo jo deewaangi k thi, hai abhi

 

Dard Se Mere Hai Tujhko Beqaraari Haaye Haaye …

 

 

 

Dard se mere hai tujhko beqaraarii haaye haaye
Kyaa hui zaalim teri Ghafalatshi’aari haaye haaye

Tere dil meN gar na thaa aashob-E-Gham kaa hausalaa
Tu ne phir kyun kii thii merii Gham-gusaari haaye haaye

Kyun meri Gham-Khaaragii kaa thujhko aayaa thaa Khyaal
Dushmanii apanii thii merii dost daari haaye haaye

Umr bhar kaa tuune paimaan-E-vafaa baaNdhaa to kyaa
Umr ko bhii to nahiN hai paayadaari haaye haaye

Zahr lagtii hai mujhe aab-O-havaa-E-zindagii
Yaa’nii tujh se thi ise naasaazgaari haaye haaye

Ghulfeshaani haaye naaz-E-jalvaa ko kya ho gaya
Khaak par hoti hai terii laalaakaari haaye haaye

Sharm-E-rusvaayii se jaa chhupnaa naqaab-E-Khaak meN
Khatm hai ulfat kii tujh par pardaadaari haaye haaye

Khaak meN naamuus-E-paimaan-E-muhabbat mil gayii
Uth gayii dunyaa se raah-O-rasm-E-yaari haaye haaye

Haath hi teGh-aazmaa kaa kaam se jaataa rahaa
Dil pe ik lagne naa paayaa zakhm-e-kaari haaye haaye

Kis tarah kaaTe koii shab_haaye taar-E-barshigaal
Hai nazar khun kardaa-E-akhtar-shumaari haaye haaye

Gosh mahjuur-E-payaam-O-chashm mahruum-E-jamaal
Ek dil, tis par ye naa-ummiid-vaari haaye haaye

Ishq ne pakaRa na thaa ‘Ghalib’ abhii vahshat ka rang
Rah gaya thaa dil meN jo kuchh zauq-E-Khaari haaye haaye

 

8 comments
Jab Bhi Meraa Ehtesaab Hogaa …
november 16, 2009, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
Jab bhi meraa ehtesaab hogaa

Sach se bahut ijtenaab hogaa

~

Phir band palak pe tez dastak

Jaane do, koi khaab hogaa

~

Kya soch ke jashn hum manaayeN

Kya ab na koi azaab hogaa !!??

~

Hai jurm meri samaa’atoN ka

Qaul uska kyuN kharaab hogaa

~

HaiN ma’aaf unke QahQahe! aur

AahoN kaa meri hisaab hogaa

~~~

leave a comment
Chalo K Kuchaa-E-Dildar Chal Ke Dekhtay HaiN …
november 16, 2009, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Chalo K kuchaa-E-Dildar chal ke dekhtay haiN
Kisay kisay hai ya aazaar chal ke dekhtay haiN

Suna hai aisa masihaa kahiN say aayaa hai
K us ko shahr k beemaar chal ke dekhtay haiN

Hum apnay but ko , ZuleKha leye hai Yusuf ko
Hai kon rounaq-E-baazaar chal ke dekhtay haiN

Suna hai dair-O-haram maiN wo ab nahi milta
So abke us ko sar-E-dar chal ke dekhtay haiN

Us aek shaKHs ko dekho to aaNkh bharti nahi
us aek shaKHs ko har bar chal ke dekhtay haiN

Wo meray ghar ka karay qasd jab to saaye say
Kayee qadam dar-O-deewar chal ke dekhtay haiN

‘Faraz’ aseer hai us ka K woh Faraz ka hai
Hai koun kis ka griftaar? chal ke dekhtay haiN

leave a comment
Is Naaz Is Andaaz Se Tum Haaye Chalo Ho …
november 13, 2009, posted in ilhaami aayaat, kalim ajiz
Is naaz is andaaz se tum haaye chalo ho
Roz ek Ghazal ham se kahalavaaye chalo ho

Rakhnaa hai kahiN paaNv to rak_kho ho kahiN paaNv
Chalnaa zaraa aayaa hai to itaraaye chalo ho

Diivaana-E-gul qaidii-E-zanjiir hai, aur tum
Kyaa THaa_TH se gulshan kii havaa khaaye chalo ho

MaE meN koi Khaami hai na saaGhar meN koi khoT
Piinaa nahiN aaye hai to chhalkaaye chalo ho

Ham kuchh nahiN kahate haiN koi kuchh nahiN kahtaa
Tum kyaa ho tumhiN sab se kahalavaaye chalo ho

ZulfoN kii hai fitrat yahi, lekin mere pyaare
zulfoN se bhii zyaadaa tumhiN bal khaaye chalo ho

Vo shokh sitam_gar to sitam Dhaaye chale hai
Tum ho ke “Kaleem” apanii Ghazal gaaye chalo ho

6 comments
Test
november 13, 2009, posted in akhtarul eeman, muntakhab nazms
Coming Very sooon……………

leave a comment
Khush Numa Lafz Ki …
november 13, 2009, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat

Khush numa lafz ki sawaari bas

Shahr walon ko ek madaari bas

Ishq me aur kya hua hum se

Dhang se ki hai ashk baari bas

Ek nauras kali ka gul banna

Zindagi!! teri payedaari bas

Fasl e gul kaynat ki, mujh ko

Teri chahat ki aik kyaari bas

Manzilen ghair ke liye makhsus

Apne hisse me khaabkaari bas

Ek bejaan muskurahat hai !!!!

Oonche logon ki inkesaari bas

Aur kiyaa seekhte zamaane se

Hogaye hum bhi kaar O baari bas

leave a comment
Izhaar – Ahmad Faraz
november 12, 2009, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
Pat_thar ki tarah agar maiN chup huN

To ye na samajh, K meri hasti

Beganaa E sholaa E wafaa hai

Tahqeer se yuN na dekh mujhko

Ae sang taraash tera teeshaa

Mumkin hai k zarb E avvaliN se

Pahchan sake k mere andar

Jo aag tere liye chhupi hai

Woh aag hi meri zindagi hai

leave a comment
New Urdu Novel
november 12, 2009, posted in uncategorized
Musharraf Zauqui’s new novel Titled “URDU” is going to be published very soon. Yeh musalmaanoN ki 1000 sala tahzeeb ka description hai.

leave a comment
Ek Na Ek Roz To Rukhsat Karta …
november 10, 2009, posted in ilhaami aayaat, parvin shakir
Ek na ek roz to rukhsat karta

Mujh se kitni bhi muhabbat karta

Sab ruteN aake chali jaati haiN

Mausam E Gham bhi to hijrat karta

BheRiye mujh ko kahaaN pasakte

Woh agar meri hifaazat karta

Aur us se na rahi koi talab

Bas mere pyaar ki izzat karta

Mere lehje meN Ghurur aayaa tha

Usko haq tha k shikaayat karta

leave a comment
JahaaN Kharaab Sahi Hum Badan Dareedaa Sahi …
november 10, 2009, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat
JahaaN kharaab sahi hum, badan dareedaa sahi
Teri talaash me nikle haiN, paa bureedaa sahi

Jahaan E she’r meN meri kayee riyaasateN haiN!
MaiN apne shahr me gumnam O na shuneedaa sahi

Bhale hi chhaaoN na de, aasraa to detaa hai
Ye aarzu ka shajar hai, khazaaN raseedaa sahi

Inhi bujhi hui aankhoN me khaab utreNge
YaqiN na chhor, ye bimaar O shab gazeedaa sahi

DiloN ko joRne waali Ghazal salaamat hai
Ta’alluqaat hamaare agar kasheedaa sahi

Mere beGhair har ek daastaaN adhoori si
MaiN us kitaab me ek lafz E khat-kasheeda sahi

leave a comment
Mere Hi Lahuu Par Guzar Auqaat Karo Ho …
november 10, 2009, posted in ilhaami aayaat, kalim ajiz
Mere hii lahuu par guzar auqaat karo ho
Mujh se hii amiiroN ki tarah baat karo ho

Din ek sitam, ek sitam raat karo ho
Vo dost ho dushman ko biii jo maat karo ho

Ham khaak_nashiN tum suKhan aara ho sar-E-baam
Paas aake milo duur se kyaa baat karo ho

Ham ko jo milaa hai vo tumhiiN se to milaa hai
Ham aur bhulaa deN tumheN kyaa baat karo ho

YuuN to hameN muNh pher ke dekho bhi nahiN ho
Jab vaqt paRe hai to madaaraat karo ho

Daaman pe koii chiiNt na Khanjar pe koi daaGh
Tum qatl karo ho ke karaamaat karo ho

Bakne bhi do “Aajiz” ko jo bole hai bake hai
Diivaanaa hai diivaane se kyaa baat karo ho

5 comments
Eeitaay E Khafi Meri Ghazal …
november 10, 2009, posted in ilhaami aayaat, muzaffar hanfi
Eeitaay E khafi meri Ghazal meN bhi nikaali
Zaalim ne kami taaj mahal meN bhi nikaali

Zaahir hai k anjaam k phal aayeNge is meN
Ek shaakh mere husn E amal meN bhi nikaali

Sar deke bhi khush hai k sar afraaz ne tere
ThoRi si kaji teGh E ajal me bhi nikaali

Ho jayega paimaanaa mere sabr ka labrez
Turshi jo mere sabr k phal me bhi nikaali

Ab is pe shab E wasl ka ilzaam na rakhiye
Ek neeNd mere baazu E shal meN bhi nikaali

Dhabbe mere daaman k bahut usne ginaaye
Phir maine chhurii uski baGhal meN bhi nikaali

leave a comment
Tere Maqtal Ki Aabroo …
november 10, 2009, posted in ghalib ayaz, ilhaami aayaat

Sehn E maqtal ki aabroo hum the

Qatl ke waqt baa-wazoo hum the

Yeh nadee ab kise bulaati hai?

Pahle to is ki justajoo hum the

Apni basti ko yaad hai ke nahiN

Uski galiyoN ki haau-hu hum the

Tishnagii de rahi thi sairaabi!!

Pyaas k din kanaar E joo hum the

Apne kuchh khaab yad aane lage

Raat maazi ke ru baroo hum the

Jaane kis baat pe vo rooth gaye

Hum nawaalaa the hum sobu hum the

leave a comment
FarishtoN Se Bhi Achchha …
november 9, 2009, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
FarishtoN se bhi achchha maiN bura hone se pahle tha

Vo mujh se intehaayii khush khafa hone se pahle tha

Haqiqat se khyaal achchha hai bedaari se khaab achchha

Tasavvur me vo kaisa saamnaa hone se pahle tha

Kisi bichhRe hue ka laut aanaa Ghair mumkin hai

Mujhe bhi yeh gumaaN ek tajrubaa hone se pahle tha

Agar maa’doom ko maujood kahne me ta’ammul hai

To jo kuchh bhi yahaaN hai aaj, kya hone se pahle tha

‘Sha’oor’ is se hameN kya, intehaa k baad kya hoga

Wohi hoga k jo kuchh ibtedaa hone se pahle tha

( Anwar Sha’oor )

tagged fine ghazal, modern shairi, tasavvur, top ghazals, urdu poetryleave a comment
Zaalim Thaa Vo Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bahut Thi …
november 9, 2009, posted in ilhaami aayaat, kalim ajiz
ظالم تھا وہ اور ظلم کی عادت بھی بہت تھی
مجبور تھے ہم اس شے محبت بھی بہت تھی

اس بت کے ستم سہہ کے دکھا ہی دیا ہم نے
گو اپنی طبیعت میں بغاوت بھی بہت تھی

واقف ہی نہ تھا رمز محبت سے وہ ورنہ
دل کے لئے تھوڑی سی عنایات بہت تھی

یوں ہی نہیںمشہور زمانہ میرا قاتل
اس شخص کو اس فن میں مہارت بہت تھی

کیا دوارِ غزل تھا کہ لہو دل میں بہت تھا
اور دل کو لہو کرنے کی فرصت بھی بہت تھی

ہر شام سناتے تھے حسینوں کو غزل ہم
جب مال بہت تھا تو سخاوت بھی بہت تھی

بلاوا کے ہم عاجزؔ کو پشیمان بھی بہت ہیں
کیا کیجئے کمبخت کی شہرت بھی بہت تھی
کلیم عاجز

Zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
Majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii

Us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
Go apnii tabiyat meN baGhaavat bhii bahut thii

Vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
Dil ke liye thoRii sii inaayat bhii bahut thii

YuN hii nahiiN mashhuur E zamaanaa meraa qaatil
Us shaKhs ko is fan meN mahaarat bhii bahut thii

Kyaa daur-e-Ghazab thaa k lahuu dil meN bahut thaa
Aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii

Har shaam sunaate the hasiinoN ko Ghazal ham
Jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii

Bulavaa ke ham ‘Ajiz’ ko pashemaaN bhii bahut haiN
Kyaa kiijiye kam_baKht kii shohrat bhii bahut thii

 

tagged best ghazal, best shairy, classical ghazal, classics in modernity, dr. kalim ajiz ghazals, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by kalim ajiz, poets of bihar, shairy in urdu, urdu ghazals, urdu poetry, urdu poets from bihar, urdu shairy3 comments
Pat_thar Ke Khuda …
november 9, 2009, posted in ilhaami aayaat, misc. ghazals
Pat_thar ke Khuda vahaaN bhi paaye
Ham chaaNd se aaj lauT aaye

DivaareN to har taraf khaRi haiN
Kyaa ho gaye mehrabaan saaye

Jangal kii havaayeN aa rahii haiN
KaaGhaz kaa ye shehr uR na jaaye

Lailaa ne nayaa janam liyaa hai
Hai Qais koii jo dil lagaaye

Hai aaj zamiN kaa Ghusal-e-sahhat
Jis dil meN ho jitnaa Khuun laaye

Sehraa sehraa lahuu ke Kheme
Phir pyaase lab-e-furaat aaye

( Kaifi Azami )

tagged best ghazal, famous ghazal, kaifi azami poetry, modern shairi, top ghazals, traqqi pasand shairy, urdu ghazals, urdu poetryleave a comment
Chaman meN Rang-E-Bahaar …
november 9, 2009, posted in ilhaami aayaat, munir neyazi
Chaman meN rang-e-bahaar utraa to maiN ne dekhaa
Nazar se dil kaa Ghubaar utraa to maiN ne dekhaa

MaiN niim shab aasmaaN ko hasrat se dekhataa thaa
Chaman meN vo husn zaar utraa to maiN ne dekhaa

Khumaar-e-mai thi vo chehraa kuchh aur lag raha tha
Dam E sahar jab Khumaar utraa to maiN ne dekhaa

Galii ke baahar tamaam manzil badal gaye the
Jo saayaa ek kuu E yaar utraa to maiN ne dekhaa

Ek aur dariyaa kaa saamnaa thaa ‘Munir’ mujh ko
MaiN ek dariyaa ke paar utraa to maiN ne dekhaa

 

Us ne haNs kar hameN …

Us ne haNs kar hameN pukaaraa kya
Ho gayaa phir se woh hamaaraa kya?

Jashn sa shahr e jaaN me kaisa hai
Aa raha hai wo maah paaraa kya?

Aarzoo, khaab, aas, mahroomii !!
Hausla phir bhi hum ne haaraa kya

Meri aankheN udaas rahti haiN
Ab na aaye ga wo dobaaraa kya?

AsmaaN par nazar nahi aataa
Khogaya hai mera sitaaraa kya

Dard ki saltanat pe baithaa hai
Koi farma-N-rawaa dobaaraa kya

Ae dil e beqarar – rahne de!!!
Shahr e taskeen me hamaaraa kya

Chaar aansu bahake sab chup hain
RayegaaN qatl hai hamaaraa kya

 

Shama’e Tanha ki tarah …

Shama’e tanha ki tarah, subh k taare jaise
Shahr me ek hi do hoNge hamaare jaise

 

Chhoo gaya tha kabhi is jism ko ek sho’la e zard
Aaj tak khaak meN uRte hain sharaare jaise

 

Sakht jaaN hum sa koi tumne na dekah hoga
Humne qaatil kayi dekhe hain tumhaare jaise

 

Hausle deta hai ye abr e gureezaaN kya kya
Zindaa hoN dasht me hum iske sahaare jaise

 

Ab jo chamka tera khanjar to khyaal aata hai
Tujh ko dekha ho kahiN nahr kinaare jaise

 

Deednee hai mujhe seene se lagaanaa uska
Apne shaanoN se koi bojh utaare jaise

 

Uski aankheN hain k ek doobne waalaa insaan
Doosre doobne waale ko pukaare jaise

 

ChiraaGh Maangte Rahne Ka Kuchh Sabab Bhi NahiN …

ChiraaGh maangte rahne ka kuch sabab bhi nahiN
Andhera kaise batayeN k ab to shab bhi nahiN

Main apne zo’m mein ek bazyaft par khush huN
Ye waqia hai ke mujh ko mila wo ab bhi nahiN

Jo mere shai’r meN mujh se zayada boltaa hai
Main os ki bazm meN ek harf zer-e-lab bhi nahiN

Aur ab to zindagi karne ke sau tareeqe haiN
Hum us ke hijr meN tanha rahe thay tab bhi nahiN

Kamal shakhs tha jis ne mujhe tabaah kiya
Khilaaf us ke ye dil ho saka hai ab bhi nahiN

Ye dastakeN ye meri zindagi ki aadhi raat
Hawaa ka shor samajh luN to kuch ajab bhi nahiN

Ye dukh nahiN K andheroN se sulh ki hum ne
Malaal ye hai ke ab subH ki talab bhi nahiN

Hisaab-e-dar-badari tujh se maang saktaa hai
Ghareeb-e-shahr magar itna be adab bhi nahiN

HameN bahut hai ye saadaat-e-ishq ki nisbat
Ke ye qabeela koii aisa kam nasab bhi nahiN

 

Koyi Ummeed Bar Nahi Aatii …

Koyi ummeed bar naheeN aatii
Koyi soorat nazar naheeN aatee

Maut ka ek din mu’ayyan hai
NeeNd kyuN raat bhar naheeN aaatii?

Aage aatii thii haal-e-dil pe haNsi
Ab kisii baat par naheeN aatii

Jaanta hooN sawaab-e-taa’at-o-zohd
Par tabee’at idhar naheeN aatii

Hai kuchch aeisee hi baat jo chup huN
Warna kya baat kar naheeN aatii

KyoN na cheeKHooN K yaad karate haiN
Meree aawaaz gar naheeN aatii

DaaGH-e-dil gar nazar naheeN aata
Boo bhee ae chaaraagar ! naheeN aatii

Ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee
Kuchch hamaaree KHabar naheeN aatii

Marte haiN aarzoo meiN marne ki
Maut aatii hai par naheeN aatii

Kaa’baa’ kis muNh se jaaoge ‘GHalib’
Sharm tumko magar naheeN aatii

 

Besan ki Sondhii RoTii …

Besan kii sondhii roTii pe khaTTii chaTni jaisii maaN
Yaad aatii hai chauka besan chimtaa phuknii jaisii maaN

Baan ki khurri khaaT ke uupar har aahat par kaan dhare
Aadhii soii aadhi jaagi thakii dopahrii jaisii maaN

chiRiyoN kii chahkaar se guunje Radha mohan Ali Ali
MurGhe kii aawaz se khulti, ghar ki kundi jaisii maaN

Biiwii, beti, bahan, paRosan thoRii thorii sii sab meN
Din bhar ek rassii ke uupar chaltii naTnii sii maaN

BaanT ke apnaa chehraa maatha aankheN jaane kahaaN gayii
Phate puraane ek album mein chanchal laRkii jaisii maaN

 

leave a comment
Us Ko Judaa Hue Bhi …
october 8, 2009, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
Ab kyaa kaheN ye qissaa puraanaa bahut huaa

Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
Ae marg-e-naagahaaN teraa aanaa bahut huaa

Ham Khuld se nikal to gaye haiN par ae Khudaa
Itne se vaaqa’ay kaa fasaanaa bahut huaa

Ab ham haiN aur saare zamaane kii dushmaanii
Us se zaraa sa rabt baRhaanaa bahut huaa

Ab kyoN na zindagii pe muhabbat ko vaar deN
Is aashiqii meN jaan se jaanaa bahut huaa

Ab tak to dil ka dil se ta’aaruf na ho sakaa
Maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa

Kya kya na ham Kharaab hue haiN magar ye dil
Ae yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa

Kahtaa thaa naasehoN se mere muuNh na aa_iiyo
Phir kya thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa

Lo phir tere laboN pe usii bevafaa kaa zikr
Ahmad ‘Faraz’ tujh se kahaa naa bahut huaa

 

Koi Haalat Bhi …

Koi haalat bhi ab taari nahiN hai
To kya yeh dil ki naadaari nahiN hai

MaiN huN aesey safar par jaaney wala
K jis ki koi tayyaari nahiN hai

HuN zadd par is tarah teer-e-fana ki
Abhi jaisay meri baari nahiN hai

KahuN kya, kitna be araam huN maiN
Meri ummeed abhi haari nahiN hai

MaiN apnay aap sey hooN ghair kitna
Kisi sey bhi meri yaari nahiN hai

HuN behadd tangg apne aap sey maiN
K ab tak khud sey bayzaari nahiN hai

Yeh meri zindagi, meri aziyyat
Hai aisa waar, jo kaari nahiN hai

ALAMM uth’tey to haiN ab bhi hamarey
Magar wo girya o zaari nahiN hai

Gila kar ab bichaRney meiN hamaray
Meri JaaN ! Koi dushwaari nahiN hai

 

Gile Fuzuul The …

Gile fuzuul the ahad-e-vafaa ke hote hue
So chup rahaa sitam-e-naaravaa ke hote hue

Ye qurbatoN meN ajab faasale paRe k mujhe
Hai aashnaa kii talab aashnaa ke hote hue

Vo hila-gar haiN jo majburiyaaN shumaar kareN
ChiraaGh ham ne jalaaye havaa ke hote huye

Na kar kisii pe bharosaa ke kashtiyaaN DuubaiN
Khudaa ke hote huye naaKhudaa ke hote huye

Kise Khabar hai ki kaasaa-ba-dast phirte haiN
Bahut se log saroN par humaa ke hote hue

‘Faraz’ aise bhii lamhe kabhii kabhii aaye
K dil giriftaa rahaa dil_rubaa ke hote hue

 

Aise Hijr Ke Mausam …

Aise hijr ke mausam ab kab aate haiN

Tere alaava yaad humeN sab aate haiN

Jazb kare kyon ret hamaare ashko ko

Tera daaman tar karne ab aate haiN

Ab wo safar ki taab nahi baaqi varna

Humko bulaavey dasht se jab tab aate haiN

Jaagti aankhoN se bhi dekho duniya ko

Khaab ka kya hai, wo har shab aate haiN

KaaGhaz ki kashti mei dariya paar kiya

Dekho humko kya-kya kartab aate hain

~ Shahryar ~

 

Sach Yeh Hai …

Sach yeh hai, bekaar humeN gham hota hai
Jo chaha tha, duniyaa meN kam hota hai

Dhalta suraj, phaila jungle, rasta gum
Humse puchho kaisa aalam hota hai

GhairoN ko kab fursat hai dukh dene ki
Jab hota hai, koi humdum hota hai

Zakhm to humne in ankhon se dekhe haiN
LogoN se sunte hain, marham hota hai

Zahn kii shaakhoN par ash’aar aa jaate haiN
Jab teri yaadoN ka mausam hota hai

{ Javed Akhtar }

leave a comment
Dil Munaafiq Tha …
august 25, 2009, posted in ahmad faraz, ilhaami aayaat
Dil munaafiq tha shab-e-hijr maiN soyaa kaisaa
Aur jab tujh se milaa toot ke royaa kaisaa

Zindagi meN bhi ghazal hi ka Qareenaa raK_khaa
Khaaab dar khaab tere gham ko piroyaa kaisaa

Ab to chehroN pe bhi katboN ka ghumaaN hota hai
AankhaiN patth_raayi hui haiN lab-e-goyaa kaisaa

Dekh ab qurb ka mausam bhi na sar sabz lage
Hijr hi hijr maraasim maiN samoyaa kaisaa

Aik aansoo tha ke dariya-e-nidaamat tha FARAZ
Dil se baibaak shanawar ko duboyaa kaisaa

 

 

Dayar-e-noor meN …

Dayar-e-noor meN teeraaH shaboN ka saathi ho
Koi to ho jo meri wahshatoN ka saathi ho

MaiN usse jhuTT bhi boluN to mujh se sach bole
Mere mizaaj k sab mousamoN ka saathi ho

Wo mere naam ki nisbat se mo’tabar thahre
Gali gali meri ruswaaiyon kaa saathi ho

MaiN us k hath na aauN wo mera ho k rahe
MaiN gir parun to meri pastiyoN ka saathi ho

Wo khaab dekhe to dekhe mere hawale se
Mere khayaloN k sab manzaroN ka saathi ho

 

 

Tumhaare Shahr Ka Mausam …

Tumhare shahr ka mausam baRa suhaanaa lage
MaiN ek shaam chura luN agar buraa naa lage

Tumhare bas meN agar ho to bhool jaao humeN
TumheN bhulaane meN shayad mujhe zamanaa lage

Hamaare pyar se jalne lagi hai ek duniya
Dua karo kisi dushman ki bad-dua naa lage

Na jaane kya hai kisi ki udaas aankhoN meN
Vo muNh chhupa k bhi jaye to bewafa naa lage

Jo doobnaa hai to itne sukoon se dubo
K aas-paas ki leharoN ko bhi pata naa lage

Ho jis adaa se mere saath bewafaayi kar
K tere baad mujhe koi bewafaa naa lage

Vo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob
Khudaa kare unhe bazaar ki hawa naa lage

Tum aankh moond ke pi jao zindagi ‘Qaiser’
K ek ghoont meN shayad ye bad-mazaa naa lage

[ Qaisar ul J’afri ]

 

Kabhi Visaal Kabhi Intezaar …

Kabhi visaal kabhi intezaar karte hue
Kati hayaat yahi kar O baar karte hue

 

Wo apne zulm k fan me kamal E fan ki taraf
Hum unse rishtaa E dil ustawaar karte hue

Bachi jo umr to phir tere shahr aayeNge
Hum apne khoye hue pal shumar karte hue

Guzar na jaye ye tajdeed E ahd ka mausam
Masaalehat ki feza saazgaar karte hue

ZameeN ko zard libaadaa pasand aata hua
Falak darakhtoN ko be barg O bar karte hue

 

Kuchh Na Kisii Se BoleNge …

Kuchh na kisii se boleNge
Tanhaayii meN ro leNge

Ham berahabaroN kaa kyaa
Saath kisii ke ho leNge

Khud to hue rusavaa lekin
Tere bhed na kholeNge

Jivan zahar bharaa saagar
Kab tak amrit gholeNge

NiiNd to kya aayegi ‘Faraz’
Maut aayii to so leNge

~

 

Tumhaari Yaad K Jab Zakhm …

Tumhaari yaad ke jab zakhm bharne lagte haiN

Kisi bahaane tumheN yaad karne lagte haiN

Hadees-e-yaar ke unvaa nikharne lagte haiN

To har hareem meN gesu saNwarne lagte haiN

Har ajnabi hameN mehram dikhayi deta hai

Jo ab bhi teri gali se guzarne lagte haiN

Sabaa se karte haiN gurbat-naseeb zikr-e-watan

To chashm-e-subah meN ansoo ubharne lagte haiN

Vo jab bhi karte hain is nutq-o-lab ki bakhiyaagari

Fazaa mei aur bhi naghme bikharne lagte haiN

Dar-e-qafas pe andhere ki muhar lagti hai

To ‘Faiz’ dil meN sitaare utarne lagte haiN

 

Vus’At-e-chashm Ko …

 

Vus’At-e-chashm ko andoh-e-basaarat lik’kha
MaiN ne ik vasl ko ik hijr ki Haalat lik’kha

MaiN ne lik’kha k Saf-e-dil kabhi KHaali nah huii
Aur KHaali jo huii bhi to malaamat lik’khha

Sirf aavaaz kahaaN tak mujhe jaari rakhti
MaiN ne chup saadh li, san’naTe ko Aadat lik’kha

Yeh safar paaoN hilaane ka nahiiN aaNkh ka hai
MaiN ne is baab meN rukne ko masaafat lik’kha

MaiN ne dastak ko likha kash-ma-kash-e-be-KHabari
Jumbish-e-pardaa ko aane ki ijaazat lik’kha

Likhne vaaloN ne to hone ka sabab lik’kha hai
MaiN ne hone ko nah hone ki vazaaHat lik’kha

Ashk agar sab ne likhe, maiN ne sitaare lik’khe
Aajizii sab ne likhi, maiN ne ibaadat lik’kha

ZaKHm likhne ke liye maiN ne likhi he Ghaflat
Khuun likhna tha magar maiN ne Haraarat lik’kha

Koii aasan rafaaqat nahiiN lik’khi maiN ne
Qurb ko jab bhi likha juzv-e-raqaabat lik’kha

MaiN ne KHushbu ko likha dast-ras-e-gum-shudagi
Rang ko faaslaa rakhne ki riAayet lik’kha

Husn-e-goyaaii ko likhna tha, likhi sargoshi
Shor likhna tha so aazar-e-sama’At lik’kha

MaiN ne parvaaz likhi hadd-e-falak se aage
Aur be-baal-o-pari ko bhi nehayet lik’kha

MaiN ne tA’biir ko teHriir meN aane nah diya
Khaab likhte huye moHtaaj-e-bashaarat lik’kha

Mere sar par kabhi afsos ka saayaa nah rahaa
Ranj tha jis ki jagah maiN ne shikaayat lik’kha

Itne dA’voN se guzar kar yeh KHayaal aataa hai
‘AZM’ kya tum ne kabhi Harf-e-nidaamat lik’kha

 

Havaa Ke Zor Se …

Havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
ChiraaGh ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa

Pukaarte rahe mahfuuz kashtiyoN vaale
MaiN dubtaa hua dariya ke paar utar bhii gayaa

Ab ehatiyaat kii deevaar kyaa uThaate ho???
Jo chor dil meN chhupa tha vo kaam kar bhii gayaa

MaiN chup rahaa k isi meN thii aafiyat jaaN kii
koyii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa

Sulagte sochate viiraan mausamoN kii tarah
KaRaa thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa

Jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhtaa
Jo naam dil meN rahaa zehn se utar bhii gayaa

PhaTii-phaTii huyii aaNkhoN se yuuN na dekh mujhe
Tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa

Magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
JahaaN ‘Faraz’ na thaa sail-e-Gham udhar bhii gayaa

 

Kab Uska Visal Chahiye Tha …

Kab uskaa visaal chaahiye thaa
Bas aik Khayaal chaahiye thaa

Kab dil ko javaab se Gharaz thii
HoNToN ko savaal chaahiye thaa

Shauq yek nafas thaa aur vafaa ko
Paas-e-mah-o-saal chaahiye thaa

Ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamko
Be-misl-o-misaal chaahiye thaa

Ek Karb meN zaat-o-zindagii haiN
Mumkin ko mahaal chaahiye thaa

 

Apnaa Gham Leke KahiiN …

Apnaa Gham leke kahiiN aur na jaayaa jaaye
Ghar meN bikhri hui chiizoN ko sajaayaa jaaye

Jin chiraaGhoN ko havaaoN kaa koi Khauf nahiN
Un chiraaGhoN ko havaaoN se bachaayaa jaaye

Baagh meN jaane ke aadaab huaa karte haiN
Kisii titli ko na phuuloN se uDaayaa jaaye

Khudakushi karne ki himmat nahiN hotii sab meN
Aur kuchh din yuuNhi logoN ko sataayaa jaaye

Ghar se masjid hai bahut dur chalo yuN kar leN
Kisii rote hue bachche ko haNsaayaa jaaye

 

Sunte HaiN Phir Chhup Chhup Unke Ghar MeN Aate Jaate Ho …

Sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho
Insha saahab naahaq jii ko vahshat meN uljhaate ho

 

Dil kii baat chhupaanii mushkil,lekin Khuub chhupaate ho
Ban meN daanaa, shahr ke andar diivaane kahlaate ho

 

Bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadaab ke saath
AaNkh churaa kar dekhte ho, phir bhole bhii ban jaate ho

 

Peet meN aise laakh jatan haiN, lekin ek din sab nakaam
Aap jahaaN meN rusvaa hoge, vaa’z hameN farmaate ho

 

Ham se naam junuuN kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii
ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?

 

 

Apni Marzi Se KahaaN …

Apnii marzii se kahaaN apne safar ke ham haiN

RuKh havaaoN kaa jidhar kaa hai udhar ke ham haiN

Pahle har chiiz thii apnii magar ab lagtaa hai

Apne hii ghar meN kisii duusre ghar ke ham haiN

Vaqt ke saath hai miTTii kaa safar sadiyoN se

Kisko maaluum kahaaN ke haiN kidhar ke ham haiN

Chalte rahte haiN k chalnaa hai musaafir kaa nasiib

Sochte rahte haiN kis raahguzar ke ham haiN

GintiyoN meN hii gine jaate haiN har daur meN ham

Har qalamkaar kii benaam khabar ke ham haiN

leave a comment
Ye Mo’jezaa Bhii Muhabbat Kabhi …
august 17, 2009, posted in ilhaami aayaat, qateel shifayi
Ye mo’jezaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe
K sang tujh pe gire aur zaKhm aaye mujhe

Vo meraa dost hai saare jahaaN ko hai maaluum
DaGhaa kare vo kisii se to sharm aaye mujhe

Vo meherbaaN hai to iqraar kyuuN nahiiN kartaa
Vo badgumaaN hai to sau baar aazmaaye mujhe

Vohii to sab se zyaada hai nukta-chiiN meraa
Jo muskuraa ke hamesha gale lagaaye mujhe

Barang-e-uud milegii use merii khushbuu
Vo jab bhii chaahe baRe shauq se jalaaye mujhe

MaiN apnii zaat meN niilaam ho rahaa huuN Qateel
Gham-e-hayaat se kah do khariid laaye mujhe

 

 

YuuN Na Mil Mujh Se …

YuuN na mil mujh se Khafaa ho jaise
Saath chal, mauj-e-sabaa ho jaise

Log yuuN dekh k haNs dete haiN
Tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise

Ishq ko shirk kii had tak na baRhaa
YuuN na mil hamase Khudaa ho jaise

Maut bhii aayii to is naaz ke saath
Mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise

Aise anjaan bane baiThe ho
Tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise

HichakiyaaN raat ko aati hi rahiiN
Tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise

Zindagi beet rahi hai “Daanish”
Ek be-jurm sazaa ho jaise

[ Ehsan Danish ]

 

Gulon MeN Rang Bhare …

Gulon Men Rang Bhare, Baad-E-Naubahaar Chale
Chale Bhii Aao K Gulshan Kaa Kaarobaar Chale

 

Qafas Udaas Hai Yaro, Sabaa Se Kuchh To Kaho
KahiN To Bahr-E-Khudaa Aaj Zikr-E-Yaar Chale

 

Kabhii To Subh Tere Kunj-E-Lab Se Ho Aagaaz
Kabhii To Shab Sar-E-Kaakul Se Mushkabaar Chale

 

BaRaa Hai Dard Kaa Rishtaa, Ye Dil Gharib Sahi
Tumhaare Naam Pe Aayenge Gham_Gusaar Chale

 

Jo Ham Pe Guzarii So Guzarii Magar Shab-E-HijraaN
Hamaare Ashk Terii Aaqebat SaNwaar Chale

 

Huzoor-E-Yaar Huii Daftar-E-Junuun Kii Talab
Girah Men Leke Garebaan Kaa Taar Taar Chale

 

Maqaam ‘Faiz’ Koii Raah Men Jachaa Hii NahiN
Jo Kuu-E-Yaar Se Nikle To Suu-E-Daar Chale

 

Hamaare Shauq Ki Yeh …

Hamaare shauq kii yeh intehaa thii
Qadam rakKhaa k manzil raastaa thii

 

BichhaR ke Daar se ban ban phiraa voh
Haran ko apnii kastuurii sazaa thii

Kabhii jo Khaab thaa voh paa liyaa hai
Magar jo kho gayii voh chiiz kyaa thii

 

MaiN bachpan meN khilaune toRtaa thaa
Mere anjaam kii voh ibtidaa thii

 

Muhabbat mar gayii, mujhko bhii Gham hai
Mere achchhe dinoN kii aashnaa thii

Jise chhuu luuN maiN voh ho jaaye sonaa
Tujhe dekhaa to jaanaa bad-duaa thii

Mariiz-e-Khaab ko to ab shafaa hai
Magar duniyaa baRDii kaRvii davaa thii

*** Javed Akhtar***

 

Kya Ishq Tha Jo …

Kya ishq tha jo baa’as e ruswaayi ban gaya
Yaaro tamaam shahr tamaashaayi ban gaya

Bin mange mil gaye meri aankhoN ko rat jaggay
MaiN jab say aik chand ka shaidaayi ban gaya

Dekha jo uska dast-e-hinaaee qareeb se
Ehsas goonjti hooyi shahnaayi ban gaya

Barham huaa tha meri kisi baat par koyi
Woh haadsa hi wajh-e-shanasayi ban gaya

Karta raha jo roz mujhay us say bad gumaan
Woh shakhs bhi ab usska tamannayi ban gaya

Woh teri bhi to pahli muhabbat na thi Qateel
Phir kya hoowa agar koyi harjaayi ban gaya

 

Main Gunahgaar, Aur Anginat Paarsaa …

Main gunahgaar, aur anginat paarsaa, chaar jaanib se yalghar karte hue
Jaise shabkhuun meN baukhlaa kar utheN, log talwaar talwaar karte hue

Phir chhati his ne parche lagaaye bahut, aayine aaqebat ne dikhaaye bahut
Bhaayee ne aaj kyuuN mujh ko dekha nahi, taajposhi ka darbaar karte hue

Yeh zamaanaa laga hai k ab jism me, khaar k waaste khuun baqui nahiN
Ek woh waqt bhi tha k chalte the hum, raaste bhar ko gulnaar karte hue

Ur rahi thi wahaaN gard tashkik ki, aandhiyaaN tez thiN tanz-o-tazhik ki
Raaste meN paRaa nek – naami ka pul, khauf aayaa jise paar karte hue

Berukhi ki hawaayeN muwafiq na thiN, kaise ikhlaaq ki koNpaleN phuT_tiN
Chaar aansu zaminoN ko num kargaye, sard lafzoN ko be-kaar karte hue

Woh kharaasheN dikhate rahe haath ki, sang baari k dauraan aayiN thiN jo
Aur idhar zakhm e sar hum chhupaate rahe, khuub tazyeen e dastaar karte hue

Tarz e t’ameer k kuchh naye zaviye, asr-e-nau ko muzaffar ne bakhshe to hain
Apni hi zaat par waar karte hue, apni hasti ko mismaar karte hue

 

Raz-e-ulfat Chupa k …

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Wo mere ho ke bhi mere na hue
Unko apnaa bana ke dekh liya

Aj unki nazar meN kuchh hamne
Sabki nazreN bachaa ke dekh liya

Aas us dar se TuTti hi nahiN
Ja k dekha, na ja ke dekh liya

‘Faiz’ takmil E Gham bhi ho na saki
Ishq ko aazmaa ke dekh liya

 

Yeh Kya K Sab Se BayaaN Dil Ki HaalateN Karni …

Ye kyaa k sab se bayaaN dil kii haalateN karnee
‘Faraz’ tujh ko na aayiiN muhabbateN karnee

Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hameN
Shumaar abhii se judaayii kii sa’ateN karnee

koyi Khudaa ho k patThar jise bhii ham chaaheN
Tamaam umr usii kii ibaadateN karnee

Sab apane apane qariine se muntazir us ke
Kisii ko shukr kisii ko shikaayateN karnee

Ham apane dil se haiN majabuur aur logoN ko
Zaraa sii baat pe barpaa qayaamateN karnee

MileN jab un se to mubham sii guftaguu karanaa
Phir apane aap se sau-sau vazaahateN karnee

Ye log kaise magar dushmanii nibhaate haiN
HamiiN ko raas na aayiiN muhabbateN karnee

Kabhii ‘Faraz’ naye mausamoN meN ro denaa
Kabhii talaash puraanii raqaabateN karnee

 

Dil MeN Ek Lahr Si UThi Hai Abhi …

Dil meN ik lahr sii uThii hai abhii
koyii taazaa havaa chalii hai abhii

Shor barpaa hai Khaanaa-E-dil meN
Koyii diivaar sii girii hai abhii

Kuchh to naazuk mizaaj haiN ham bhi
Aur yeh choT bhii nayii hai abhii

Bharii duniyaa meN jii nahiiN lagtaa
Jaane kis chiiz kii kamii hai abhii

Tuu shariik-e-suKhan nahiiN hai to kyaa
Ham-suKhan terii Khaamushii hai abhii

Yaad ke be-nishaaN jaziiroN se
Terii aavaaz aa rahii hai abhii

Shahr ki be – charaaG galiyoN meN
Zindagii tujh ko DhuNDhtii hai abhii

So gaye log us havelii ke
Ek khiDakii magar khulii hai abhii

Tum to yaaro abhii se uTh baiThe
Shahr meN raat jaagatii hai abhii

Vaqt achchhaa bhii aayegaa ‘Nasir’
Gham na kar zindagii paDii hai abhii

 

Ham to Jaise YahaaN …

Ham to jaise yahaaN ke the hii nahiiN
Dhuup the saayabaaN ke the hii nahiiN

Raaste kaaravaaN ke saath rahe
Marhale kaaravaaN ke the hii nahiiN

Ab hamaaraa makaan kis kaa hai?
Ham to apane makaaN ke the hii nahiiN

In ko aaNdhi meN hii bikharanaa thaa
Baal-o-par aashiyaaN ke the hii nahiiN

Us galii meN ye sun ke sabr kiyaa
Jaane vaale yahaaN ke the hii nahiiN

Ho terii Khaak-e-aastaaN pe salaam
Ham tere aastaaN ke the hii nahiiN

 

Ajnabi Khauf FizaaoN MeN …

Ajnabi khauf fizaaoN meN basaa ho jaise
Shahr ka shahr hi aaseb zadaa ho jaise

Raat ke pichle pahar aati hain aavazaiN si
Dur sehraa meN koi chiKh rahaa ho jaise

Dar-o-divar pe chhai hai udaasi aisii
Aaj har ghar se jaaaza sa uthaa ho jaise

Muskurata huN pa-e-Khatir-e-ahabaab, magar
Dukh to chehre ki lakiron pe sajaa ho jaise

Ab agar duub gaya bhi to marunga na ‘Kamal’
Bahte paani pe mera nam likhaa ho jaise

{ By : Ahmad Kamal }

 

Apne Hamraah Jo Aate Ho Idhar Se Pahle …

Apne hamraah jo aate ho idhar se pahle
Dasht paRta hai miyaN ishq meiN ghar se pahle

Chal diye uThke su-e-shahar-e-wafa, ku-e-habib
Puchh lena tha kisi khaak basar se pahle

Ishq pahle bhi kiya hijr ka Gham bhi dekha
Itne taRrpe hain na ghabraye na tarse pahle

Ji bahalta hi nahin ab koi saa’at, koi pal
Rat Dhalti hi nahin chaar pahar se pahle

Ham kisi dar pe na thithke na kahiN dastak di
Saikaron dar the meri jaN tere dar se pahle

Chand se aankh mili, ji ka ujala jaga
Ham ko sou bar hui subh, sahar se pahle

 

Bas Tere Liye …

Bas tere liye udaas aankheN !!!!
uff! maslehat naashanaas aankheN

Be noor hui hiaN dheere dheere
Aayi nahi mujh ko raas aankheN!

Aakhir ko gaya wo – kaash rukta
Karti rahiN iltemaas aankheN!!

Khaabeedah haqiqatoN ki maari
Paamaal aur bad hawaas aankheN

Dar pesh junuN ka marhala, aur
Faqa hai badan to pyas aankheN

Baarish Huee To …

Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye
Mausam ke haath bheeg ke saffaak ho gaye

Baadal ko kya khabar hai k baarish ki chaah meN
Kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye

Jugnu ko din ke waqt parakhne ki zidd kareN
Bachche hamaare ‘ahd ke chaalaak ho gaye

Lehra rahi hai barf ki chaadar hata ke ghaas
Sooraj ki shah pe tinke bhi bebaak ho gaye

Sooraj-dimaag log bhi iblaagh-e-fikr mein
Zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye

Jab bhi ghareeb-e-shehar se kuch guftagu huee
Lehje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye

Saahil pe jitne aabguzeeda thhay sab ke sab
Dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye

Kuchh Bhi NahiN …

 

Kuchh bhi nahiN, koi nahiN, khaab k ekhtiyaar meN
Raat guzaar dee gayii !!! subh k intezaar meN

Baab e ataa k saamne, ahl e kamaal ka hujoom
Jin ko tha sarkashi pe naaz, woh bhi usi qataar meN

Aayega aayegaa wo din, ho k rahega har hisaab
Waqt bhi intezaar meN, khalq bhi intezaar meN

Jaise fasaad e khuun se jil e badan pe daagh e bars
Dil ki siyaahiyaaN bhi haiN, daaman e daghdaar meN

Waqt ki thokaroN me hai, uqdaa kushaiyoN ko zo’m
Kaisei ulajh rahi hai dor, naakhun e hoshiyaar meN

Jaisi lagi thi dil me aag, waisie ghazal bani nahiN
Lafz Tthahar nahiN sake, Dard ki tez dhaar meN

 

Wo SahiloN Pe Gaane Waale Kya Hue …

Wo sahiloN pe gaane waale kya hue
Wo kashtiyaN Chalane waale kya hue

wo dil meN khubne waali aankheN kya huiN
Wo hoNt muskuraane waale kya hue

Wo subh aate aate rah gayi kahaN
Jo qaafle the aane waale kya hue

MaiN jin ki raah dekhta hun rat bhar
Wo raushani dikhane waale kya hue

Ye kaun log haiN mere idhar udhar
Wo dosti nibhaane waale kya hue

ImaarateN to jal k rakh ho gayiN
ImaarateN banaane waale kya hue

Ye aap ham to bojh haiN zamin ka
ZamiN ka bojh uthaane waale kya hue

 

Dil hi to hai na Sang-o-Khisht …

Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyuN
RoyeNge ham hazaar baar koi hameiN sataaye kyuN

Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastaN nahi
Baithe hain rahguzar pe ham, ghair hamein uthaaye kyuN

Jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
Aap hi ho nazaarasoz, parde mein munh chupaaye kyuN

Dashna-e-gamza jansitaN, nawak-e-naz bepanaah
Tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aaye kyuN

Qaid-e-hayat-o-band-e-gham asl mein donoN ek haiN
Maut se pahle aadmi gham se najat paaye kyuN

Husn aur us pe husn-e-zan rah gayi bulahawas ki sharm
Apne pe etimaad hai ghair ko aazamaaye kyuN

WaN wo ghuroor-e-izz-o-naz, yaN ye hijab-e-pas waz’a
Raah mein ham milen kahaN, bazm mein wo bulaaye kyuN

HaaN wo nahi khudaparast, jaao wo bewafa sahi
Jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaaye kyuN

“Ghalib”-e-khastaa k baghair kaun se kam band haiN
Roiye zar-zar kyaa, kijiye haaye-haaye kyuN

 

Khaatir se ya Lihaaz se …

Khaatir se ya lihaaz se maiN maan to gayaa
JhooTi Qasam se aap ka eemaan to gayaa

Dil leke muft kahte haiN kuch kaam ka nahiN
UlTi shikaayateiN rahiN ehsaan to gayaa

Afshaay E raaz E ishq me go zillataiN huiN
Lekin use jataa to diya, jaan to gayaa

Dekha hai butkade meN jo ae sheikh kuch na kuch
Eemaan ki to ye hai k eemaan to gayaa

Darta hooN dekh kar dil E be-aarzu ko maiN
Sunsaan ghar ye kyuN na ho mehmaan to gayaa

Go naamaabar se khush na hua par hazaar shukr
Mujhko wo mere naam se pahchaan to gayaa

Hosh O hawaas O taab O tavaaN “Daag” ja chuke
Ab hum bhi jaane waale haiN saamaan to gayaa

[Daagh Dehlavi]

 

Huii Hai Shaam …

 

Huii hai shaam to aankhoN mein bas gayaa phir tuu
Kahaan gayaa hai mere shahr ke musaafir tuu

Bahut udaas hai ik shakhs, tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usii kii khaatir tuu

Merii misaal k ik nakhl-e-khushk-e-sahraa huuN
Teraa Khayaal k shaakh-e-chaman kaa taair tuu

Main jaantaa huun ke duniyaa tujhe badal degii
Main maantaa huuN ke aisaa nahiin bazaahir tuu

Hansii Khushii se bichhaR jaa agar bichaRnaa hai
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aakhir tuu

‘Faraz’ tune use mushkiloN mein daal diyaa
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayir tuu

 

Na GaNvaao Naavak …

 

Na gaNvaao naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza gaNvaa diyaa
Jo bache haiN sang samet lo, tan-e-daagh daagh lutaa diyaa

Mere chaaraagar ko naved ho, saf-e-dushmanaaN ko Khabar karo
Wo jo qarz rakhate the jaan par, wo hisaab aaj chukaa diyaa

Karo kaj jabiiN pe sar-e-kafan, mere qaatiloN ko gumaaN na ho
K ghuruur-e-ishq kaa baaNkapan, pas-e-marg hamne bhulaa diyaa

Udhar ek harf k kushtanii, yahaaN laakh uzr thaa guftanii
Jo kahaa to sun ke uDaa diyaa, jo likhaa to padh ke mitaa diyaa

Jo ruke to koh-e-garaaN the ham, jo chale to jaaN se guzar gaye
Rah-e-yaar hamane qadam qadam, tujhe yaadagaar banaa diyaa

 

Dariya Ke Paas Aur …

Dariya k paas aur bahaanaa to hai nahi
kahta hai chal k tera thikaana to hai nahi

Thori si raoushni hai, use jo bhi loot le
Jugnu miyaN k paas khazaana to hai nahi

Hum Jaye-Haadsaa se bahut door aagaye
Zakhmi ki cheekh koi taraanaa to hai nahi

Jab kah diya to baat nibhadenge umr bhar
HalaNki dosti ka zamaanaa to hai nahi

Laavaa sa khaulta hai sadaa andrun-e-zaat
Aatish fashan-e-gham ka dehaana to hai nahi

Deewaana hai jo us se tawaqqo’ rakhe koi
Aakhir wo rahnuma hai diwanaa to hai nahi

Chubh jayeN jane kis ko ‘Muzaffar’ hamare she’r
Har chand koi khaas nishaana to hai nahi

 

Tera Ghar aur Mera …

Tera ghar aur mera jungal bheegta hai saath saath
Aisi barsaateN ke badal bheegta hai saath saath

Bachpane ka saath hai phir aik se dono ke dukh
Raat ka aur mera aanchal bheegta hai saath saath

Woh ajab duniya, k sab khanjar bakaf phirte hain, aur
Kaanch ke peyaloN maiN sandal bheegta hai saath saath

Baarish-e-sang-e-malamat maiN bhi woh hamraah hai
MaiN bhii bheeguN khud bhi pagal bheegta hai saath saath

LaRkiyoN ke dukh ajab hote haiN sukh us se ajeeb
Hans rahi haiN aur kaajal bheegta hai saath saath

 

Ye Dil, Ye Paagal Dil Mera …

Ye dil, ye paagal dil mera kyuN bujh gayaa? aavaargii
Is dasht meN ik shahar thaa wo kyaa huaa? aavaargii

Kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chauNkaa diyaa
MaiN ne kahaa tuu kaun hai? us ne kahaa aavaargii

Ik tuu k sadiyoN se mere ham_raah bhiii ham_raaz bhii
Ik maiN k tere naam se naa_aashnaa aavaargii

Ye dard kii tanhaa_iyaaN, ye dasht kaa viiraaN safar
Ham log to uktaa gaye apanii sunaa aavaargii

Ik ajnabii jhoNke ne jab, puchhaa mere gham ka sabab
Sahraa kii bhiiigii ret par maiN ne likhaa aavaargii

Le ab to dasht-e-shab kii saariii vus’ateN sone lagiiN
Ab jaaganaa hogaa hameN kab tak? bataa aavaargii

Kal raat tanhaa chaaNd ko dekha tha maiN ne Khaab meN
‘Mohsin’ mujhe raas aayegii, shaayad sadaa aavaargii

 

Ishq Mujhko Nahin …

Ishq mujhko nahin wahshat hi sahi
Meri wahshat teri shohrat hi sahi

Qat’aa kieje na taa’alluq hum se
Kuchh nahin hai to adaawat hi sahi

Mere hone main hai kya ruswaai
Ye woh majlis nahin khalwat hi sahi

Hum bhi dushman to nahin hain apne
Ghair ko tujh se mohabbat hi sahi

Apni hasti hi se ho jo kuchh ho
Aagahi gar nahin ghaflat hi sahi

Umr harchand k hai barq-E-kharaam
Dil ko khuN karne ki fursat hi sahi

Hum koi tark-e-wafaa karte hain
Naa sahi ishq, museebat hi sahi

Kuchh to de Ae falak-e-na-insaaf
Aah-o-fariyaad ki rukhsat hi sahi

Hum bhi tasleem ki khuu dalenge
Be – neyaazi teri aadat hi sahi!!!

Yaar se chheR chali jaaye “Asad”
Gar nahin wasl to hasrat hi sahi

 

Hawaa Ke Hont KhuleN …

Hawa ke hont khuleN, saa’at e kalaam to aaye
Ye ret jaisa badan, aandhiyoN ke kaam to aaye
~
Hamara sar na uthaaye wo apne sar se buland
Rayees shahr ko aadaab e qatl-e-aam to aaye
~
Use udaas na kar de ye meri tez ravee !!
MaiN abke sust chaluN wo subuk kheraam to aaye
~
Munafeqat ki sabhi tohmaten mujhe dede
Mere tufail rafeeqoN me tera naam to aaye
~
Gham-e-hayat, gham-e-rozgaar, be watani
Sakun se jo dhale kaash aisi shaam to aaye.

Maskan-E-Maah-O-Saal …

Maskan-e-maah o saal chhoR gaya
Dil ko uss ka khayaal chhoR gaya

Taaza dam jism o jaaN thay furqat meiN
Wasl , uss ka nidhaal chhoR gaya

Ahd-e-maazi jo tha ajab pur haal
Aik weeraan haal chhoR gaya

Zaala baari k marhaloN ka safar
Qaaflay, paayemaal chhoR gaya

Dil ko ab yeh bhi yaad ho k na ho
Kaun tha , kia malaal chhoR gaya

MaiN bhi ab khud se huN jawaab talab
Wo mujhey , bay sawaal chhoR gaya

 

Shaayad Us Ne Mujhko …

Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai
Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai

Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main
Aayine mein kiska chehra dekh liya hai

Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska
Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai

Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai

Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha
Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai

Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they
Band aankhon se usko jata dekh liya hai !!

 

Kab Talak Shama’ Jali …

 

Kab talak shama’ jali, yaad naheeN
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheeN

Is qadar yaad hai apne the sabhi
Kisne kya chaal chali, yaad naheeN

Hum zamane mein kuch aise bhatkay
Ab to unki bhi gali yaad naheen

Abr tha, jaam tha, per aap na thay
Woh ghaRi kaise tali yaad naheeN

Kat gayi umr kisi tarh’ “Qateel”
Woh buri thee k bhali yaad naheeN

(Qateel Shifayi)

 

Bahte Daryaa MeN …

Bahte daryaa men utar jana tha
Khaak the aur bikhar jana tha
*
Us se bichhRe to zamaanaa beeta
Ab talak zakhm ko bhar jana tha
*
Maan letaa hun tujhe hi manzil!!
Ab kahaaN yaad kidhar jana tha
*
Hausle ham ne bachakar rakkhe
Jab hameN had se guzar jana tha
*
Jaan !!! is hijr pe ronaa kaisa!!!
Ek din yuN bhi to mar jana tha


 

Qaryaa-e-jaaN mein …

Qaryaa-e-jaaN mein koi phool khilaane aaye
Woh mere dil pe nayaa zakhm lagaane aaye

Mere veeraan darichoN mein bhi khushbu jaage
Woh mere ghar ke dar-o-baam sajaane aaye

Uss se ek baar to roothuN main usee ki maanind
Aur meri tarh’ se wo mujhko manaane aaye

Isee kuche mein kayi us ke shanaasa bhi to hain
Woh kisi aur se milne ke bahaane aaye

Ab na puchhungi main khoye hue khaboN ka pata
Woh agar aaye to kuch bhi na bataane aaye

Zabt ki shehar-panaahoN ki mere maalik khair
Gham ka sailaab agar mujhko bahaane aaye.

 

TohmateN, BadnaamiyaaN …

TohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN
Haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

zindagii shaayed isii kaa naam hai
DuuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN

Kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat
KarvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN

Kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar
AahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN

Aik paikar meN simaT kar rah gayiiN
KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN

ZaKhm dil ke phir hare karne lagiiN
BadliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN

“Kaif” paida kar samandar kii tarah
Vus’ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN

Kaif Bhopali

 

Garaj Baras Pyasi ….

Garaj baras pyaasi dharthi ko phir paani de maula
ChidiyoN ko daane, bacchoN ko guR-dhaani de maula

Do aur do ka joR hamesha chaar kahan hota hai
Soch samajh waaloN ko thoRi naadaani de maula

Phir roshan kar zahr ka pyaala, chamka nayee salibeN
JhootoN ki duniya meiN sach ko taabaani de maula

Phir moorat se bahar aakar chaaroN or bhikar ja
Phir mandir ko ek meera deewaani de maula

Tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyoN ho
Jeene waaloN ko marne ki aasaani de maula

 

Uga Sabza Dar O Deewar …

Uga Sabza Dar-o-Deewar Per Aahista Aahista
Hua Khaali Sadaon Se Nagar Aahista Aahista

Ghira Baadal khamoshi Se Khizaan Aasaar Baghon Per
Hile Thhandi Hawaon Se Shajar Aahista Aahista

Bahut He Sust Tha Manzar Lahoo K Rang Laane Ka
Nishaan Aakhir Hua Ye Surkh Tar Aahista Aahista

Chamak Zar Ki Usse Aakhir Makaan-e-Khaak Tak Laayi
Banaya Naag Ne Jismon Mein Ghar Aahista Aahista

Mere Bahar Faseelen Thein Ghubaar-e-Khaak-o-Baaraan Ki
Mili Mujh Ko Tere Gham Ki Khabar Aahista Aahista

Munir Is Mulk Per Aaseb Ka Saaya Hay Ya Kya Hay
K Harkat Tez Tar Hay Aur Safar Aahista Aahista

 

Gham Hai Yaa …

Gham hai ya izteraar sa kuch hai
Yaa mujhe intezaar sa kuchh hai

Be sabab aur kaun bhatke ga??
Dil hai, aur be qaraar sa kuch hai

Jab bhi chaahuN udaas hojauN!
Khud pe ab ikhteyaar sa kuch hai

Zindagi itni badnumaa to nahi!!
Aayeene pe ghubaar sa kuch hai

Ab gumaN ho raha hai manzil ka
Saamne reg zaar sa kuch hai

Hauslon ko abhi pata na chale
Raste me hisaar sa kuch hai !

Mere andar ki rut khezaN jaisii
Wo sarapa bahaar sa kuchh hai

 

Bechain Bahut Phirna …

Bechain Bahut Phirna, Ghabraye Hue Rehna
Ek Aag Si Jazbon Ki, Dehkaye Hue Rehna

Chhalkaye Hue Chalna Khushboo Lab-e-la’aleen Ki
Ek Baagh Sa Saath Apne Mehkaye Hue Rehna

Uss Husn Ka Shewa Hay Jab Ishq Nazar Aaye
Parde Mein Chale Jaana Sharmaye Hue Rehna

Ek Shaam Si Kar Rakhna Kaajal K Karishme Se
Ek Chaand Sa Aankhon Mein Chamkaye Hue Rehna

Aadat hi Bana Lee Hay Tum Ne Tou Munir Apni
Jis Shehar Mein Bhi Rehna Uktaye Hue Rehna

 

Yeh Gham Kya …

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to
Kisi sey kuch shikaayat hai?Nahi to

Hai wo ik khaab-e-be taabeer us ko
Bhula dene ki neeyyat hai?Nahi to

Kisi k bin, kisi ki yaad k bin
Jiye jaane ki himmat hai?Nahi to

Kisi soorat bhi dil lagta nahi?haan
To kuch din se ye haalat hai?Nahi to

Tujhey jis ney kahiN ka bhi na rak_kha
Wo ik zaati si wehshat hai?Nahi to

Trey is haal par hai sab ko hairat
Tujhey bhi iss pe hairat hai?Nahi to

Hum aahangee nahi dunia sey teri
Tujhey is par nadaamat hai?Nahi to

Hua jo kuch yehi maqsoom tha kia?
Yehi saari hikaayat hai?Nahi to

Azeeyyat naak ummeedoN sey tujh ko
AmaaN paaney ki hasrat hai?Nahi to

Tu rehta hai khayaal O khaab meiN gum
To is ki wajh fursat hai?Nahi to

WahaaN waloN se hai itni muhabbat
YahaaN waloN sey nafrat hai?Nahi to

Sabab jo is judaai ka bana hai
Wo mujh se khoobsoorat hai?Nahi to

 

Juz Tere Koi Bhi …

Juz teray koi bhi din raat na janay meray
Tu kahaN hai magr Ae dost puranay meray

Tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar
Burg-e-awara ki maninth dikhAnay meray

ShamA ki lau thi k wo tu tha magr hijr ki raat
Dair tak rotA raha koi sarhanay meray

Khalq ki beKhabaree hai k meree ruswayee
Log mujh ko hi sunatay hain fasanay meray

Lut k bhi khush huN k ashkoN se bhara hai daaman
Dekh gharat gar e dil yeh bhi khazane meray

Aaj ik aur baraS beet gaya us kay beghair
Jis k hotay hue hotay thay zamanay meray

Kaash tu bhi meri aawaaz kahiN sunta ho
Phir pukara hai tujhe dil ki saada ne meray

Kaash tu bhi kabhi aajaye masihayee ko
Log aate hain bahut dil ko dukhane meray

Kaash auroN ki tarah main bhi kabhi keH sakta
Baat sun lee hai meri, aaj khuda ne meray

Tu hai kis haal mein aih zood-faramosh mere
Mujh ko to chheen liya ahd-e wafa ne meray

Chara-gar yuN to bahut haiN magr ae jaan-e-faraz
Juz teray aur koi zakhum na janay meray

 

Khuda Ka Shukr …

خدا کا شکر مجھے بیش از گمان ملا
تمہارے ریشمی آنچل کا سائبان ملا

نہ جانے مجھ میں سمائی تھیں ہجرتیں کتنی
ترے وجود سے مجھ کو مرا مکان ملا

خدا نے ہم پہ حدیں کتنی باندھ رکھی ہیں
حصار جسم سے نکلے تو آسمان ملا

ہم اسکے جبر کا قصّہ سناتے کس کس کو
یہاں تو جو بھی ملا اس کا ہم زبان ملا

حکایتیں تھیں مری راویوں کے نرغے میں
پھر اس کے باد جہاں مجھ سے بعد گمان ملا

سنا ہے شہر کی بنیاد اس نے ڈالی تھی
جو شخص کل مری بستی میں بے امان ملا

Khuda ka shukr mujhe besh-az-gumaan mila
Tumhare reshmi aanchal ka saayabaan mila.

Na jaane mujh meN samaayi thiN hijrateN kitni
Tere wajood se mujh ko meraa makaan mila.

Khuda ne humpe hadeN kitni baNdh rakhkhi haiN
Hisaar e jism se nikle to aasmaan mila !!

Hum uske jabr ka qissaa sunaate kis kis ko
YahaaN to jo bhi milaa, uska hamzaban mila.

HikayateN thiN meri raaviyoN ke narghe meN
Phir uske baad jahaaN mujh se bad gumaan mila

Suna hai shahr ki buniyaad usne daali thi
Jo shakhs kal meri basti me be amaan mila.

Ye shayeri mujhe maqdur bhar mili hi nahin
Magar abhi bhi koi le to mujh se taan mila.

 

Zikr-e shab-e firaaq …

Zikr-e shab-e firaaq se wehshat usay bhi thee,
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thee.

Mujh ko bhi shoq tha naye chehron ki deed ka,
Rasta badal k chalne ki aadal usay bhi thee.

Us raat dair tak wo raha mahav-e guftagoo,
Masroof main bhi kam tha faraagat usay bhi thee.

Mujh se bichhar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs,
Haalaanke shahar bhar se adaawat usay bhi thee.

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna her aik saans qayamat usay bhi thee.

Sunta tha wo bhi sab se puraani kahaaniyaan’
Shayad rifaaqaton ki zaroorat usay bhi thee.

Tanha husa safar main to mujh pe khula ye bhaid,
Saaye se pyar, dhoop se nafrat usay bhi thee.

Mohsin’ main us se keh na saka yun bhi haal-e dil,
Dar-pesh aik taaza museebat usay bhi thee..

 

Khulegi Uss Nazar Pe …

 

Khulegi uss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista

Kiya jaata hai paani mein safar aahista-aahista

Koi zanjeer phir waapas waheeN par le ke aati hai

Kathin ho raah to chhut’ta hai ghar aahista-aahista

Badal dena hai rasta ya kaheeN par baith jaana hai

K thakta jaa raha hai humsafar aahista-aahista

Khalish ke saath iss dil se na meri jaan nikal jaaye

Khinche teer-e-shanaasaai magar aahista-aahista

Hawa se sarkashi mein phool ka apna zayaaN dekha

So jhukta jaa raha hai ab ye sar aahista-aahista

Meri shola mijaazi ko wo jangal kaise raas aaye

Hawa bhi saans letii ho jidhar aahista-aahista.

 

Kucha E DilbaraaN ke …

KUCHA E DILBARAAN KE THE HI NAHIN
AHL US IMTEHAAN KE THE HI NAHIN
ANDHIYON KE AMAL DAKHAL ME RAHE
HUM KISI AASHIYAN KE THE HI NAHIN.
SAH GAYE RIZQ KE LIYE WO LAFZ !!
JO HAMARI ZABAN KE THE HI NAHIN.
CHARA GAR SE WO ZAKHM KIYA BHARTE
JO ADOO KI SENAAN KE THE HI NAHIN
JIS KA ANJAAM KHUSH NATEEJAA HO
HUM TO US DASTAAN KE THE HI NAHIN.
IS TARAH HUM NE CHHOR DEE DUNIYA
JAISE PAHLE YAHAAN KE THE HI NAHIN.

 

Dekh Hamaaray Maathay Pe Yeh Dasht-E-Talab Ki Dhool MiyaaN …

Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan
Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan

Ahl-e-wafa se baat na karna ho ga tera usool miyaan
Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan

Yunhi to nahi dasht main pohnchay,yunhi to nahi jog liya
Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan

Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi
Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan

Nasb karain mehraab-e-tamanna,deeda-o-dil ko farsh karain
Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan

Sun to liya kisi naar ki khatir kata koh, nikali nehr
Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan

Khailnay day inhain ishq ki baazi,khailain gay to seekhain gay
Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan?

Ab to hamain manzoor hai yeh bhi,shehr se niklain,ruswa hoN
Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan

Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo
Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!!

 

Raat ek mehfil meiN …

Raat ek mehfil meiN guft_guu namu par thii
Har zubaan thii saakit, har nigaah pat_thar thii

Ek savaal kii lou se hoNT jhulse jaate the
Ek javaab kii ThanDak aah ke baraabar thii

Ek be-yaqeeN lehja khouf se larazta tha
Ik Chhupi huii hairat, hairatoN se baahar thii

Voh sukhan zubaN par tha jis ko dil meiN rehna tha
Voh shikan jabeeN par thii jo adaaye bistar thii

MaiN bahut hirasaaN tha zakhm ke na bharne se
Ek shab kii mohlat thii aur jang sar par thii

Shaakh-e-dil kii haryaali khaab ka bayaaN Thehri
MaiN ne jis ko nam rak_Kha voh zameeN hii banjar thii

Mujh meiN ek darya hai jo bipharta rehta hai
Pehle ek Sehra tha jis pe chup kii chaadar thii

MaiN ne us ko har lamha jism se pukaraa tha
Ab Khula keh voh khaahish ruuh ke baraabar thii

Ishq kii karaamat hai varnaa umr ke haathoN
Khaal-o-khad kii veeraani husn ka muqaddar thii

Kya huye voh lab jin se phool hii baraste the
Kya huii voh shaadabi jo hameiN muyassar thii

AZM be-sabab dekhha tum ne khaab-e-sairaabi
Dasht ke tasalsul meiN tashnagi hii behtar thii

 

Kal ChaudhaviiN Ki Raat Thii Shab Bhar Rahaa Charchaa Tera …

Kal chaudhaviiN ki raat thi shab bhar raha charchaa teraa
Kuchh ne kaha yeh chaaNd hai kuchh ne kaha chehraa teraa

 

Ham bhi vahiN maujud the, ham se bhi sab puuchhaa kiye
Ham haNs diye, ham chup rahe, manzur tha pardaa teraa

 

Is shahr meN kis se mileN ham se to chhuTiN mahafileN
Har shaKhs teraa naam le, har shaKhs diivaanaa teraa

 

Kuuche ko tere chhoR kar, jogii hii ban jaayeN magar
Jangal tere, parbat tere, bastii terii, sehraa teraa

 

Ham aur rasm E bandagi, aashuftagii, uftaadagii
Ehasaan hai kya kya teraa ae husn E beparvaa teraa

 

Do ashk jaane kis liye palkoN pe aa kar Tik gaye
Altaaf kii baarish terii, ikraam kaa dariyaa teraa

 

Ae bedaareGh O be_amaaN ham ne kabhi ki hai fuGhaaN
Ham ko terii vahshat sahi ham ko sahii saudaa teraa

 

Tu ba-vafaa tu mahrabaaN, ham aur tujh se bad-gumaaN?
Ham ne to puuchhaa tha zaraa ye vasf kyuN Thahraa teraa

 

Ham par ye saKhtii ki nazar, ham haiN faqiir E rah_guzar
Rastaa kabhii rokaa teraa, daaman kabhii thaamaa teraa?

 

HaaN haaN terii suurat hasiiN, lekin tuu aisaa bhii nahiiN
Is shaKhs ke ash’aar se shohraa huaa kyaa kyaa teraa

 

Beshak usii kaa dosh hai, kahataa nahiiN Khaamosh hai
Tu aaQ kar aisii davaa, biimaar ho achchhaa teraa

 

Bedard sun_nii ho to chal, kahtaa hai kyaa achchhii Ghazal
Aashiq teraa, rusvaa teraa, shaayar teraa ‘Insha’ teraa

 

 

Mere husn e bayaaN me …

Mere husn e bayaaN me shamil thaa
Woh meri daastaaN me shamil thaa

Meri basti ko lootne waalaa!!!!!!!!
Wafd e rahat rasaaN me shamil thaa

Us ki khaatir jahaan haar gaye
Kya maza us zayaaN me shamil thaa

Justajoo maaNd parti jati thi
Dil ajab kaarwaaN me shamil thaa

Gumrahi ka wo bad numa lamhaa
Meri tazyeen e jaaN me shamil thaa

 

Kitne mousam sargardaaN the …

Kitne mousam sargardaan the mujh se hath milane main
Main ne shaayed dair lagadi khood sey baahar aane main

Ek nighah ka san’nata hai ek aawaaz ka banjar pan
Main kitna tanha baitha hun qurbat ke veerane main

Bistar se karwat ka rishta toot gaya ek yaad ke saath
Khaab sarhane se uth baitha takiye ko sarkaney main

Aaj uss phul ki khushbu mujh main paiham shor machati hai
Jis ne be had ujlat barti khilne aur murjhaane main

Baat banaane wali ratein rang nikharne wale din
Kin rastoN par chhoR aaya main umr ka sath nibhane main

Aik malal ki gard samete main ne khood ko paar kia
Kaise kaise wasl guzare hijr ka zakhm chhupane main

Jitne dukh the jitni umeedein, sab se brabar kam liya
Main ne apne aayinda ki ek tasweer banaane main

Aik wazahat ke lamhe main mujh par ye ahwaal khula
Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataane main

Pahlay dil ko aas dilaa kar beparwaaa ho jata tha
Ab to Azm bikhar jata hun main khud ko bahlane main

 

Ranjish Hi Sahi …

Ranjish hi sahi, dil hi dukhaanay k liye aa
Aa phir se mujhay chhoR k jaanay k liye aa

Pahlay se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rah-e-dunya ko nibhaanay k liye aa

Kis kis ko bataayaiNge judaayi ka sabab ham
Tu mujh se Khafa hai to zamaanay k liye aa

Kuchh to meray pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manaanay k liye aa

Ek umr se huN lazzat-e-giryaa se bhi mahrum
Ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaanay k liye aa

Ab tak dil-e-Khush fahm ko haiN tujh se umeedaiN
Yeh aaKhri sham’eiN bhi bujhaanay ki liye aa

Maanaa k muhabbat ka chhupaanaa hai muhabbat
Chupke se kisi roz jataane ke liye aa

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
Waise hi kisi roz na jaane ke liye aa

 

Aaye kuchh abr …

Aayey kuchh abr, kuchh sharaab aayey
Us k baad aayey jo azaab aayey

Baam-e-meena se maahtaab utray
Dast-e-saaqi meiN aaftaab aayey

Har rag-e-jaaN meiN phir chiraaGhaaN ho
Saamney phir wo baynaqaab aayey

Kar raha tha Gham-e-jahaaN ka hisaab
Aaj tum yaad bayhisaab aayey

Jal uThay bazm-e-Ghair k darbaaN
Jab bhi ham KhaanumaaN Kharaab aayey

Faiz thi raah sar basar manzil
Ham jahaaN pahuNchey kaamyaab aayey

 

Ishq meiN Ghairat-e-jazbaat …

Ishq meiN Ghairat-e-jazbaat ne roaney na diya
Warna kya baat hai, kis baat ne roaney na diya

Aap kahtay haiN k roaney se na badlaiN gey naseeb
Umr bhar aap ki is baat ne roaney na diya

Roaney waaloN se kaho un ka bhi roana ro laiN
Jin ko majboori-e-haalaat ne roaney na diya

Tujh se mil kar hameiN raona tha, bahut roana tha
Tangi-e-waqt-e-mulaaqaat ne roaney na diya

Aik do roaz ka sadma ho to ro laiN Faakir
Ham ko har roaz k sadmaat ne roaney na diya

Sudarshan Faakir

 

Us ko judaa hue bhii …

Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
Ab kya kaheN ye qissaa puraanaa bahut huaa

Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
Ai marg-e-naagahaaN teraa aanaa bahut huaa

Ham Khuld se nikal to gaye haiN par ae Khudaa
Itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa

Ab ham haiN aur saare zamaane kii dushmaanii
Us se zaraa saa rabt baDhaanaa bahut huaa

Ab kyoN na zindagii pe muhabbat ko vaar deN
Is aashiqii meN jaan se jaanaa bahut huaa

Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
Maanaa k us se milanaa milaanaa bahut huaa

Kya kya na ham Kharaab hue haiN magar ye dil
Ae yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa

Kahtaa thaa naasehoN se mere muuNh na aa_iio
Phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa

Lo phir tere laboN pe usii bevafaa kaa zikr
Ahmad ‘Faraz’ tujh se kahaa naa bahut huaa!

 

Dil Ishq MaiN BepaayaaN, Sauda Ho To Aisa Ho …

Dil ishq meiN bepaayaaN, sauda ho to aisa ho
Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho

Ham se nahiN rishta bhi, ham se nahiN milta bhi
Hai paas wo baiTha bhi, dhoaka ho to aisa ho

Wo bhi raha baygaana, ham ne bhi na pehchaana
HaaN ai dil-e-deewaana, apna ho to aisa ho

Ham ne yahi maaNga tha, us ne yahi baKhshaa hai
Banda ho to aisa ho, daata ho to aisa ho

Is daur meN kya kya hai, ruswaayi bhi lazzat bhi
KaaNTa ho to aisa ho, chubhta ho to aisa ho

Ai Qais junooN paisha, Insha ko kabhi dekha?
Wahshi ho to aisa ho, ruswa ho to aisa ho

 

Shola-e-ishq Bujhaana …

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii,
aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai

sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai

apne kis kaam meN laayega bataata bhii nahiiN
ham ko auroN pe ganvaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

mere lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka,
dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa hai

 

Dohay …

Main roya pardes mein, bheegaa maaN kaa pyaar
Dukh ne dukh se baat ki, bin chit_thhi bin taar!!!!

Chhotaa kar ke dekhiye jeevan kaa vistaar
AankhoN bhar aakaash hai, baahoN bhar sansaar

Leke tan ke naap ko, ghoomay basti gaanv
Har chaadar ke gher se, baahar nikalay paanv

Sab ki poojaa ek si, alag alag hai reet
Masjid jaaye maulavi, koyal gaaye geet

Puja ghar mein murti Meera k sang Shyam
Jiski jitni chaakari, utne uske daam

Nadiyaa seenchay khet ko, tota kutray aam
Sooraj Thekedaar saa, sab ko baantay kaam

Saaton din bhagwaan ke, kyaa mangal kyaa peer
Jis din soye der tak, bhookhaa rahay faqeer

Achhi sangat baithkar, sangi badalay roop
Jaisay milkar aam se meethii ho gayi dhoop

Sapnaa jharnaa neend kaa, jaagii aankhen pyaas
Paanaa, khonaa, khojanaa saanson kaa itihaas

Chaahay Geetaa baanchiye, yaa padhiye Quraan
Mera tera pyaar hi har pustak kaa gyaan

Raste ko bhi dosh de, aankheN bhi kar laal
Chappal me jo keel hai, pahle use nikaal

Seedha sada dakiya, jadu kare mahaan
Ek hi thaile me rakhe, aansu aur muskan

Bachchah bola dekh k masjid aalishaan
Allah tere ek ko itna baRa makaan???

 

Niyyat-E-Shauq Bhar Na Jaaye KahiN …

Niyyat-e-shauq bhar na jaaye kahiN
Tu bhi dil se utar na jaaye kahiN

Aaj dekha hai tujh ko der k baad
Aaj ka din guzar na jaaye kahiN

Na milaa kar udaas logon se
Husn tera bikhar na jaaye kahiN

Aarzoo hai k tuu yahaan aaye
Aur phir umar bhar na jaaye kahiN

Jee jalaata huN aur ye sochta huN
Raayegaan ye hunar na jaaye kahiN

Aao kuch der ro hi len ‘Nasir’
Phir ye dariya utar na jaaye kahiN

 

Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Is Shahr MaiN Ji Ka Lagana Kya …

انشإ جی اٹھو اب کوچ کرو، اس شہر میں جی کو لگانا کیا
وحشی کو سکوں سے کیا مطلب، جوگی کا نگر میں ٹھکانہ کیا

اس دل کے دریدہ دامن میں دیکھو تو سہی،سوچو تو سہی
جس جھولی میں سو چھید ہوئے،اس جھولی کا پھیلانا کیا

شب بیتی چاند بھی ڈوب چلا، زنجیر پڑی دروازے میں
کیوں دیر گئے گھر آئے ہو، سجنی سے کرو گے بہانہ کیا

اس حسن کے سچے موتی کو ہم دیکھ سکیں اور چھو نہ سکیں
جسے دیکھ سکیں پر چھو نہ سکیں، وہ دولت کیا خزانہ کیا

پھر ہجر کی لمبی رات میں سنجوک کی ہے تو ایک گھڑی
جو دل میں ہے لب پر آنے دو شرمانہ کیا گھبرانا کیا

اس روز کو ان کو دیکھا ہے اب خوان کا عالم لگتا ہے
اس روز جو ان سے بات ہوئی وہ بات بھی کیا افسانہ کیا

اس کو بھی جلا دہکتے ہوئے من، اک شعلہ آگ بھبھولا بن
یوں آنسو میں بہہ جانا کیا، یوں مٹی میں مل جانا کیا

جب شہر کے لوگ نہ رستہ دیں،کیوں بن میں نہ جا بس رام کریں
دیوانوں کی سی نہ بات کرے تو اور کرے دیوانہ کیا

 

Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya
Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya

Iss Dil K Dareeda Daaman Ko, Dekho To Sahi, Socho To Sahi
Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya

Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala, Zanjeer Pari Darvazay Mai
KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya

Phir Hijar Ki Lambi Raat Miaan, Sanjog Ki To Hai Aik Ghari
Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya

Uss Roz Jo Unko Dekha Hai, Abb Khuwaab Ka Aalam Lagta Hai
Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya

Iss Husan K Suchchay Moti Ko, Hum Dekh Sakain Par Chhoo Na SakaiN
Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya

Usko Bhi Jala Dukhtay Huay Mun, Ik Shola Aag Bhabhuka Bann
Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya

Jab Shahr K Log Na Rasta DaiN, KyuN Bann Mai Na Ja Basraam Kare
Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya

(Ibn E Insha)

 

Is se pahale ke …

Is se pahale ke be-vafaa ho jaayeN
KyuN na ae dost ham judaa ho jaayeN

Tuu bhii hiire se ban gayaa pat_thar
Ham bhii kal jane kya se kya ho jaayeN

Tuu ke yakta tha, be-shumar hooa
Ham bhii tooteN to jabaja ho jaayeN

Ham bhii majbuuriyoN ka uzr kareN
Aur kahiiN aur mubtalaa ho jaayeN

Ham agar manzileN naa ban paayeN
ManziloN tak kaa raastaa ho jaayeN!!

Dair say soch meiN haiN parwaanay
Rakh ho jaayeN, ya hawaa ho jaayeN

Ishq bhii khel hai nasiibo.n kaa
Khaak ho jaaye.n kimiyaa ho jaaye.n

Ab ke gar tuu mile to ham tujh se
Aise lipTeN terii qabaa ho jaayeN

Bandagii ham ne chhoR dii hai ‘Faraz’
Kyaa kareN log jab Khudaa ho jaayeN

 

Mere khudaa mujhe …

Mere khudaa mujhe itnaa to mo’tabar kar de
MaiN jis makaan meN rahtaa huuN usko ghar kar de

Yah roshnii ke ta’aaqub meN bhaagtaa huaa din
Jo thak gayaa hai to ab isko muKhtasar kar de

MaiN zindagii ki dua maangne lagaa huN bahut
Jo ho sake to duaaoN ko be-asar kar de

Sitaara-e-sahrii Duubne ko aayaa hai
Zaraa koii mere suuraj ko baaKhabar kar de

Qabiila-daar kamaaneN kaRakne vaalii haiN
Mere lahuu kii gavaahii mujhe niDar kar de

Main apne khab se kat kar jiyuN to mere khuda
Ujaar de meri mittee ko darbadar karde

Merii zamiin meraa aaKhrii havaalaa hai
So maiN rahuuN na rahuuN us ko baar-var kar de

 

Dayaar-E-Dil Ki Raat MeN CharaaGh Sa Jalaa Gayaa …

Dayaar E dil ki raat meN charaaGH saa jalaa gayaa
Milaa nahiN to kyaa huaa wo Shakl to dikhaa gayaa

 

JudaaioN ke ZakHm dard E Zindagi ne bhar diye
Tujhe bhi NeeNd aa gayi mujhe bhi Sabr aa gayaa

 

Yeh subh ki SafediyaaN yeh dopahar ki ZardiyaaN
Ab Aaine meN deKhtaa hooN maiN kahaaN chalaa gayaa

 

Pukarti haiN FursateN kahaaN gayiN wo SohbateN
ZameeN nigal gayi unheN yaa Aasmaan khaa gayaa

 

Wo dosti to kHair ab Naseeb-e-dushmanaaN hui
Wo cHoTi cHoTi RanjishoN kaa lutf bhi chalaa gayaa

 

Yeh kis kHushi ki Ret par GHamoN ko NeeNd aa gayi
Wo lehr kis taraf gayi ye maiN kahaaN samaa gayaa

 

Gaye dinoN ki Laash par paRe rahoge kab talak??
UTho amal-kasho K Aaftaab sar pe aa gayaa

 

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai …

Musalsal bekalee dil ko rahee hai
Magar jeene ki surat to rahee hai

Main kyun phirta huN tanha maara maara
Ye bastee chain se kyuN so rahee hai

Chale dil se ummeedoN ke musaafir
ye nagari aaj Khaali ho rahee hai

Na samajho tum ise shor-e-bahaaraaN
KhazaaN pattoN mein chhup ke ro rahee hai

Hamare ghar ki diivaaroN pe ‘Nasir’
Udaasee baal khole so rahee hai

 

Garmi-e-hasrat …

Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hain
Hum charagoN ki tarah shaam se jal jaate hain

Bach nikalate hain agar atih-e-sayyal se hum
Shola-e-atish-e-gulfaam se jal jaate hain

Khudnumaayi to nahin shewaa-e-arbaab-e-wafaa
jin ko jalnaa ho wo aaram se jal jaate hain

Shama’ jis aag mein jalti hai numaayish k liye
Ham usi aag mein gumnaam se jal jaate hain

Jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath
Jane kyun log mere naam se jal jaate hain

Rabt-baaham pe hamein kya na kahenge dushman
Ashnaa jab tere paighaam se jal jaata hain

 

Ek hunar hai …

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
Sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

Kaise apnii haNsii ko zabt karuuN??
Sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

Kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
Jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

Ab hai bus apna saamnaa darpesh
Har kisii se guzar gayaa huuN maiN

Vohii naaz-o-adaa, vohii Ghamze
Sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

Ajab ilzaam huuN zamaane kaa
Ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

Kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
Jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

Tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

Kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
Ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

 

Jaisaa huN vaisaa kyuuN huN …

Jaisaa huN vaisaa kyuuN huN samjhaa saktaa thaa maiN
Tumne puuchhaa to hotaa, batlaa saktaa thaa maiN

Aasuudaa rahne kii Khaahish maar gayii varnaa
Aage aur bahut aage tak jaa saktaa thaa maiN!

ChhoTii moTii ek lahar hii thii mere andar
Ek lahar se kyaa tuufaan uThaa saktaa thaa maiN

KahiN kahiN se kuchh misr’e, ek aadh Ghazal, kuchh she’r
Is puunjii par kitnaa shor machaa saktaa thaa maiN

Jaise sab likhte rahte haiN GhazleN, nazmeN, geet
Vaise likh likh kar ambaar lagaa saktaa thaa maiN

 

Terii Khushbu kaa …

Terii Khushbu kaa pataa karti hai
Mujh pe ehasaan hawaa karti hai

Shab ki tanhaai meN ab to aksar
Guftagu tujh se raha karti hai

Dil ko us raah pe chalanaa he nahiN
Jo mujhe tujh se judaa karti hai

Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahne meN raha karti hai

Us ne dekhaa hi nahiN warnaa ye aaNkh
Dil kaa Ahawaal kahaa karti hai

Be-niyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
Ret par naam likhaa karti hai

Shaam parte he kisi shaKhs ki yaad
Kuuchaa-e-jaaN meN sadaa karti hai

Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Haal jo teraa ana karti hai

Dukh huaa kartaa hai kuchh aur bayaaN
Baat kuchh aur huaa karti hai

Abr barse to inaayat us ki
ShaaKh to sirf duaa karti hai

Humne dekhi hai wo ujli saa’at
Raat jab she’r kaha karti hai

Mas’ala jab bhi chiraagooN ka uThe
Faisalaa sirf hawaa kerti hai

 

Gaahe gaahe bas ab …

Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya?
Tumse mil kar bahut khushi ho kya?

Mil rahi ho bare tapaak ke saath,
Mujhko yeksar bhula chuki ho kya?

Yaad hain ab bhi apne khaab tumheN?
Mujhse mil kar udaas bhi ho kya?

Bas mujhe yun hi ik khayal aaya,
Sochti ho to sochti ho kya?

Ab meri koi zindagi hi nahin,
Ab bhi tum meri zindagi ho kya?

Kya kaha, ishq jaawidaani hai?
Aakhri baar mil rahi ho kya?

Haan, faza yaan’ ki soyi soyi si hai
To bahut taiz roshni ho kya?

Mere sab tanz be-asar hi rahe,
Tum bohat door ja chuki ho kya?

Dil mein ab soz-e-intezar nahin,
Shamm-e ummeed bujh gayi ho kya?

Is samandar pe tashna kaam huN maiN,
‘Baan’ tum ab bhi beh rahi ho kya

 

Jab kisii se koii …

Jab kisii se koii gilaa rakhanaa
Saamane apne aaiiinaa rakhanaa

YuuN ujaaloN se vaasta rakhanaa
Shammaa ke paas hii hava rakhanaa

Ghar ki taa’miir chaahe jaisi ho
Is meN rone ki kuchh jagah rakhanaa

MasjideN haiN namaaziyoN ke liye
Apane ghar meN kahiiN Khudaa rakhanaa

Milnaa julanaa jahaaN zaruurii ho
Milne-julane kaa hausalaa rakhanaa

 

Aaraaish-E-Khyaal Bhi Ho Dil Kushaa Bhi Ho …

Aaraaish-e Khayaal bhii ho dil kushaa bhi ho
Wo dard ab kahaaN jise jee chahta bhi ho!

Ye kya k roz aik saa gham aik see umeed,
Is ranj-e be-khumaar ki ab intehaa bhi ho.

Ye kyaa k aik tor se guzare tamaam umr,
Jee chaahtaa hai ab koi tere sivaa bhi ho.

Toote kabhi to khuwab-e shab-o-roz ka tilism,
Itne hujoom main koi chehraa naya bhi ho.

Dewangii-e shoq ko ye dhun hai in dinon,
Ghar bhi ho aur be-dar-o-deewaar sa bhi ho.

Juz dil koi makaan nahin dahar main jahaan,
Rah-zan ka khof bhi na rahe dar khulaa bhi ho.

Har zarra aik mahamil-e-ibrat hai dasht ka,
Lekin kise dikhaaoon koi dekhtaa bhi ho.

Har shay pukaaratii hai pas-e pardaa-e-sukoot,
Lekin kise sunaaoon koi hum-navaa bhi ho.

Fursat main sun shaguftagii-e Gunchaa ki sadaa,
Ye wo sukhan nahin jo kisii ne kahaa bhi ho.

Baithaa hai aik shakhs mere paas dair se,
Koi bhalaa-saa ho to humain dekhtaa bhi ho.

Bazm-e sukhan bhi ho sukhan-e garm k liye,
Taa-uus boltaa ho to jangal haraa bhi ho.

 

Raqs Karne Kaa Milaa …

Raqs karne kaa milaa hukm jo dariyaaoN meN
Ham ne Khush hoke bhaNvar baaNdh liye paaoN meN

Un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talaash
Boond tak bo na sake jo kabhii saharaaoN meN

Ae mere ham-safaro tum bhii thaake-haare ho
Dhuup ki tum to milaavaT na karo chaaoN meN

Jo bhi aataa hai bataataa hai nayaa koi ilaaj
Bat na jaaye teraa biimaar masiihaaoN meN

Hausalaa kis meN hai Yusuf ki Kharidaari kaa
Ab to mahNgaayi ke charche haiN zuleKhaaN meN

Jis barahman ne kaha hai k ye saal achchha hai
Us ko dafnaao mere haath ki rekhaaoN meN

Woh khuda hai kisi tootay hue dil me hoga
MasjidoN me use dhoondho na kalissaaoN meN

Hum ko aapas me muhabbat nahi karne dete
Ik yahi aib hai is shehr k daanaaoN meN

Mujh se karte haiN Qateel is liye Kuch log hasad
KyuN mere she’r hain maqbool haseenaaoN men

 

Teri bataain hi sunaanay aaye..

Teri bataain hi sunaanay aaye
Dost bhi dil hi dukhaanay aaye

Phool khilte hain to hum sochte hain
Tere aanay ke zamaanay aaye

Aisi kuch chup si lagi hai jaise
Hum tujhe haal sunaanay aaye

Ishq tanha hai sar-e munzil-e ghum
Kaun yeh bojH uthaanay aaye

Ajnabi dost humeN dekh! keh hum
Kuch tujhe yaad dilaanay aaye

Dil dharakta hai safr ke hungaam
Kaash phir koi bulaanay aaye

Ab to ronay se bhi dil dukhta hai
Shayed ab hosh thikaanay aaye

Kya kaheeN phir koi basti ujRi
Log kyoN jashun manaanay aaye

 

So raho maut ke pahlU mein Faraz

Neend kis waqt na jaanay aaye

 

Kuchh To Ehasaas-E-ZayaaN Thaa Pahle …

 

Kuchh to ehasaas-e-zayaaN thaa pahle
Dil kaa ye haal kahaaN thaa pahle

Ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar
Har qadam sang-e-nishaaN thaa pahle

Safar-e-shauq ke far_sang na puuchh
Waqt be-qaid-e-makaaN thaa pahle

Ye alag baat ki gham raas hai ab
Is me andeshaa-e-jaaN thaa pahle

YuuN na ghabaraaye huye phirte the
Dil ajab kunj-e-amaaN thaa pahle

Ab bhii tuu paas nahii hai lekin
Is qadar duur kahaaN thaa pahle

Dere Daale haiN bagoloN ne jahaaN
Us taraf chashm-e-ravaaN thaa pahle

Ab vo dariyaa na vo bastii na vo log
Kyaa Khabar kaun kahaaN thaa pahle

Har Kharaabaa ye sadaa detaa hai
MaiN bhii aabaad makaaN thaa pahle

Kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare
Tuu vahiiN par hai jahaaN thaa pahle

Ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan
Kaisaa sun_saan samaaN thaa pahle

Ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaaN
Dard majabuur-e-fuGaaN thaa pahle

Ham ne roshan kiyaa maamuur-e-gham
varnaa har samt dhuaaN thaa pahle

Gham ne phir dil ko jagaayaa ‘Nasir’
Khaanaa_barbaad kahaaN thaa pahle

 

Ab ke tajdiid-e-vafaa …

Ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahiin imkaaN jaanaaN
yaad kyaa tujh ko dilaayeN teraa paimaaN jaanaaN

YuuN hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
Kis qadar jald badal jaate hain insaaN jaanaaN

Zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai
Ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaaN jaanaaN

Dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii
Dil kii kyaa baat karen dil to hai naadaaN jaanaaN

Avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar
Be-piye bhi tera cheharaa thaa gulistaaN jaanaaN

AaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahiin
Rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaaN jaanaaN

Muddaton se hai ye aalam na tavaqqo na ummiid
Dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaaN jaanaaN

Ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa
Gam-e-dauraaN se judaa hai Gam-e-jaanaaN jaanaaN

Ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraaN jaanaaN
Sar-ba-zaanuu hai ko_ii sar-ba-girebaaN jaanaaN

Har ko_ii apanii hii aavaaz se kaaNp uThataa hai
Har ko_ii apane hii saaye se hiraasaaN jaanaaN

jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai
Shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zandaaN jaanaaN

Ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal men aaye
Aur se aur huaa dard kaa unvaaN jaanaaN

Ham ki ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the
Ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraaN jaanaaN

Hosh aayaa to sabhii Khaab the rezaa-rezaa
Jaise uDate huye auraaq-e-pareshaaN jaanaaN

 

Meri Zindagi To Firaaq Hai…

Meri Zindagi to firaaq hai, wo azal se dil main makeeN sahi
Wo nigaah-E-shauq se door haiN, rag-E-jaaN se laakh QareeN sahi

 

HamaiN jaan deni hai aik din, wo kisi tarah wo kaheeN sahi
HamaiN aap khainchiye daar par, jo nahiN koi to hameeN sahi

 

Sar-E-toor ho, sar-E-hashr ho, hamain intezaar qabool hai
Wo kabhi mileN,wo kahin mileN,wo kabhi sahi, wo kaheeN sahi

 

Na ho un pe kuchh mera bass nahiN, ke ye aashqi hai hawas nahiN
MaiN unhi ka tha, main unhi ka huN, wo mere nahiN, to nahiN sahi

 

Mujhe bhaiThne ki jagah milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman meN agar nahiN, teri anjuman ke qareeN sahi

 

Tera dar to hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameeN sahi
HamaiN sajda karne se kaam hai, jo wahaN nahiN to yaheeN sahi

 

Meri Zindagi ka naseeb hai, nahiN door mujh se qareeb hai
Mujhe uska Gham to naseeb hai, wo agar nahiN to naheeN sahi

 

Jo ho faislaa woh sunaaiye, use hashr par na uthaaiye
Jo karaiNge aap sitam wahaN, wo abhi sahi, wo yaheeN sahi

 

UnheN dekhne ki jo lou lagi, to ‘Naseer’ dekh hi laiNge hum
Wo hazaar aaNkh se door hoN, wo hazaar pardah nasheeN sahi

( Pir Naseer Udin Naseer Shah )

 

Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aya …

Dil dhaRakne ka sabab yaad aya
woh teri yaad thee ab yaad aya

Aaj mushkil tha sambhalna ae dost
Tu museebat mein ajab yaad aya

Din guzara tha bari mushkil se
Phir tera waada-E-shab yaad aya

Haal-e-dil hum bhee sunatay lekin
Jab woh rukhsat hua tab yaad aya

BaiTh kar saya-e-gul mein Naasir
Hum bahut royay woh jab yaad aya…

leave a comment
Samajh rahe haiN …
march 6, 2009, posted in iftekhar arif
Samajh rahe haiN magar bolne ka yaaraa nahiiN
Jo hamse mil ke bichhaR jaaye, vo hamara nahiiN

SamandaroN ko bhii hairat huii ki doobte waqt
kisii ko hamne madad ke liye pukaaraa nahiiN

Jo ham nahiiN the to phir kaun thaa sar-e-bazaar
Jo kah rahaa thaa ki biknaa hameN gavaaraa nahiiN

Abhii se barf ulajhne lagii hai baaloN se
Abhii to qarz-e-maah-o-saal bhii utaaraa nahiiN

Ham ahl-e-dil haiN muhabbat kii nisbatoN ke amiiN
Hamaare paas zamiinoN kaa ghoshvaaraa nahiiN

 

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte HaiN …

Suna hai log use aaNkh bhar ke dekhte haiN
So us k shahr me kuch din Thahar ke dekhte haiN

Suna hai rabt hai us ko kharaab haaloN se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhte haiN

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-E-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte haiN

Suna hai us ko bhi hai shair-O-shayeri se shaGhaf
So hum bhi mo’jeze apne hunar ke dekhte haiN

Suna hai bole to batoN se phool jhaRte haiN
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiN

Suna hai raat usay chaaNd takta rahta hai
Sitaaray baam-E-falak se utar ke dekhte haiN

Suna hai din ko use titliyaaN sataati haiN
Suna hai raat ko jugnoo Thahar ke dekhte haiN

Suna hai hashr haiN us ki ghazaal si ankheN
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiN

Suna hai raat se baRh kar haiN kaakulaiN us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte haiN

Suna hai us ki siyah chashmagi qayaamat hai
So us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiN

Suna hai us ke laboN se gulaab jalte haiN
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte haiN

suna hai aaeenaa tamsaal hai jabeeN us ki
Jo saada dil haiN ussay ban saNwar ke dekhte haiN

Suna hai jab se hamaayal haiN us ki gardan meN
Mizaaj aur hi laa’l-O-guhar ke dekhte haiN

Suna hai chashm-E-tassavur se dasht-E-imkaaN meN
Palang zaawiye us ki kamar ke dekhte haiN

Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai
K phool apni qabaayeN katar ke dekhte haiN

Bas ek nigaah se luT_ta hai qaafila dil ka
So reharwaan-E-tamanna bhi dar ke dekhte haiN

Suna hai us ke shabistaaN se muttasil hai bahisht
MakeeN udhar ke bhi jalway idhar ke ke dekhte haiN

Rukay to gardishaiN us ka tawaaf karti haiN
Chalay to us ko zamaanay Thahar ke dekhte haiN

MubaleGhe hi sahi, sab kahaaniyaaN hi sahi
Agar wo khaab hai, taa’beer karke dekhte haiN

Ab us k shahr me ThahreN k kooch kar jaayeN
‘FARAZ’ aao, sitaare safar ke dekhte haiN

 

 

Usne sukoot-e-shab …

 

Usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh diya

Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya

Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Usne jo phair li nazar meine bhi jaam rakh diya

Usne nazar nazar mein he aisay bhalay sukhan kahey
Meine to uske paaon mein saara kalaam rakh diya

Dekho woh merey khwaab thay dekho yeh mere zakhm hain
Meine to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya

Ake bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya

Jo bhi mila usi ka dil halqa baghosh-e-yaar tha
Usne to saaray shehr ko karke ghulaam rakh diya

Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam pe bachoon ka naam rakh diya

Ahmad Faraz

leave a comment
An Intro to the Ghazal
january 21, 2008, posted in uncategorized
What is Ghazal

Ghazal in short, is a collection of Sher’s which follow the rules of ‘Matla’, ‘Maqta’, ‘Beher’, ‘Kaafiyaa’ and ‘Radif’. So to know what Ghazal is, it’s necessary to know what these terms mean.

To understand these terms easily , we will take an example.

  1. koi ummid bar nahin aati
    koi surat nazar nahin aati
  2. aage aati thi haale dil par hasi
    ab kisi baat par nahin aati
  3. hum wahan hain, jahan se humko bhi
    kucch hamaari khabar nahin aati
  4. kaabaa kis muh se jaaoge ‘Ghalib’
    sharm tumko magar nahin aati
    What is a Sher ?

It’s a poem of two lines. This definition is deceptively simple. Please note that, every Sher is a poem in itself! A Sher does not need, anything around it, to convey the message.

All the 4 stanzas in our example are independent poems, Sher’s. So Ghazal is necessarily a collection of two-line-poems called Sher.
[ So the Rafi solo “rang aur noor ki baaraat kise pesh karu” is NOT a Ghazal, as every stanza is of 3 lines, and not 2. ]

What are other restrictions?

Many, and important ones.

[ Any collection of Sher’s is not Ghazal. Some good examples are ; the famous Mukesh song from Yehoodi, “yeh mera deewaanaapan hai” ; and the title song of “dil apana aur preet parayi”. Each stanza in these songs can be considered as an independent Sher, but they are NOT Ghazal’s.
To understand, why, we have to wait till ‘Kaafiyaa, ‘Radif’. ]

What is ‘Beher’ ?

‘Beher’ is the ‘meter’ of the Sher’s. It can be considered as the length of the Sher. Both the lines in the Sher MUST be of same ‘Beher’. And all the Sher’s in one Ghazal MUST be of the same ‘Beher’. There are 19 (!!) kinds of ‘Beher’. But in simple terms, ‘Beher’ is categorized in 3 classes. Short, medium, long.
[ The examples in [] are my additions, from Hindi Films. ]

Small :

ahale dairo-haram reh gaye
tere deewane kam reh gaye
[ Also Talat song, “dil-e-nadan tuze hua kya hai” ]

Medium :

umr jalwo me basar ho, ye zaruri to nahin
har shab-e-gam ki seher ho, ye zaruri to nahin
[ And by Gulzar, “ruke ruke se kadam, ruk ke baar baar chale” ]

Long :

ai mere humnashin, chal kahin aur chal, is chaman me ab apanaa guzaaraa nahin
baat hoti gulon ki, to seh lete hum, ab to kaaton pe bhi haq hamaaraa nahin
[ The filmfare winner, “Manzile apani jagah hai” !! Yes ! It IS a Ghazal.

And the Shayar is Prakash Mehra !! surprise , surprise !! ]

So Ghazal is a collection of Sher’s of SAME ‘Beher’.

What is ‘Radif’ ?
In a Ghazal, second line of all the Sher’s MUST end with the SAME word/s. This repeating common words is the ‘Radif’ of the Ghazal.

In our example, the ‘Radif’ is “nahin aati”.
[ Sometimes, the Ghazal becomes known by its ‘Radif’. eg. “jaraa aahista chal” sung by Pankaj Udhas.]

What is ‘Kaafiyaa’ ?

‘Kaafiyaa’ is the rhyming pattern which all the words before ‘Radif’ MUST have. In our example the ‘Kaafiyaa’ is “bar”, “nazar”, “par”, “magar” etc. This is a necessary requirement.

Something which is followed even in the exceptions to all these rules.

So Ghazal is a collection of Sher’s of same ‘Beher’, ending in same ‘Radif’ and having same ‘Kaafiyaa’.

[ That’s the reason, why “yeh mera diwanapan hai” etc. are NOT Ghazals.

There is no common thing which can be called ‘Kaafiyaa’ and ‘Radif’. ]

What is ‘Matla’ ?

The first Sher in the Ghazal MUST have ‘Radif’ in its both lines. This Sher is called ‘Matla’ of the Ghazal and the Ghazal is usually known after its ‘Matla’. There can be more than one ‘Matla’ in a Ghazal. In such a case the second one is called ‘Matla-e-saani’ or ‘Husn-e-matla’.
In our example, the first Sher is the ‘Matla’.

What is ‘Maqta’ ?
A Shayar usually has an alias ie. ‘takhallus’ eg. Mirza Asadullakhan used ‘Ghalib’ as his ‘takhallus’ and is known by that. Other examples are ‘Daag’ Dehlvi, ‘Mir’ Taqi Mir, Said ‘Rahi’, Ahmed ‘Faraz’ etc. There is a Sher in a Ghazal, the last one, which has the Shayar’s ‘takhallus’ in it. [ A Shayar, can use the ‘Maqta’ very intelligently. He can “talk to himself” like one in our example. I have lots of favourite Sher’s which are ‘Maqta’ of some Ghazal.
Some gems are
koi nam-o-nishan puchhe to ai kaasid bataa denaa,
takhallus ‘Daag’ hai, aur aahiqon ke dil me rehte hai

and

jab bhi milte hain, to kehte hain, “kaise ho ‘Shakil’”,
iske aage to koi baat nahin hoti hai

The first one uses the meaning of the ‘takhallus’ to create the magic, and the second one is just simple, simply beautiful. ]

To summarize, Ghazal is a collection of Sher’s (independent two-line poems), in which there is atleast one ‘Matla’, one ‘Maqta’ and all the Sher’s are of same ‘Beher’ and have the same ‘Kaafiyaa’ and ‘Radif’.

EXCEPTIONS AND IMP. POINTS TO NOTE

  1. Ghazal is just a form. It is independent of any language. eg. in Marathi also, there can be (and there are) good Ghazals.
  2. Some Ghazal’s do NOT have any ‘Radif’. Rarely. Such Ghazal’s are called “gair-muraddaf” Ghazal.
  3. Although, every Sher, should be an independent poem in itself, it is possible, that all the Sher’s are on the same theme. What famous example can be other than “chupke chupke raat din aasun bahaanaa yaad hai”.
  4. In modern Urdu poetry, there are lots of Ghazal’s which do NOT follow the restriction of same ‘Beher’ on both the lines of Sher. [ My example in ‘Maqta’, the Sher by Shakil, is one. ] But even in these Ghazal’s, ‘Kaafiyaa’ and ‘Radif’ are present.
  5. The restriction of ‘Maqta’ is really very loose. Many many Ghazal’s do NOT have any ‘Maqta’. [ I think ‘Maqta’ was used in the earlier times, as a way to keep the credit. But since this is traditional, many Ghazal’s do have a ‘Maqta’ just for the sake of it. Sometimes the name of the Shayar comes unnaturally in the last Sher of the Ghazal.

Some Great Poets and their Representative Ghazals

Ahmad Faraz is probably the best and the most renowned poet of urdu of our time. The command which he got over his versatile poetry is what everyone adores. Let us pay tribute to this wonderful and prodigious poet and have a group of like-minded ppl sharing our opinions.

Usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh diya

Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya

Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Usne jo phair li nazar meine bhi jaam rakh diya

Usne nazar nazar mein he aisay bhalay sukhan kahey
Meine to uske paaon mein saara kalaam rakh diya

Dekho woh merey khwaab thay dekho yeh mere zakhm hain
Meine to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya

Ake bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya

Jo bhi mila usi ka dil halqa baghosh-e-yaar tha
Usne to saaray shehr ko karke ghulaam rakh diya

Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam pe bachoon ka naam rakh diya

Ahmad Faraz