Zarb e Kaleem Lyrics

Zarb e Kaleem Lyrics

 

Nazreen Se

 

Jab Tak Na Zindagi Ke Haqaeeq Pe Ho Nazar
Tera Zujaj Ho Na Sake Ga Hareef-e-Sang

 

Ye Zor-e-Dast-o-Zarbat-e-Kari Ka Hai Maqam
Maidan-e-Jang Mein Na Talab Kar Nawa-e-Chang

 

Khoon-e-Dil-o-Jigar Se Hai Sarmaya-e-Hayat
Fitrat ‘Lahoo Tarang’ Hai Ghafil! Na ‘Jal Tarang’

 

 

Tamheed

 

(1)

Na Dair Mein Na Haram Mein Khudi Ki Baidari
Ke Khawaran Mein Hai Qoumon Ki Rooh Taryaki

 

Agar Na Sehal Hon Tujh Par Zameen Ke Hangame
Buri Hai Masti-e-Andaisa Haye Aflaki

 

Teri Nijat Gham-e-Marg Se Nahin Mumkin
Ke Tu Khudi Ko Samajhta Hai Paikar-e-Khaki

 

Zamana Apne Hawadas Chupa Nahin Sakta
Tera Hijab Hai Qalb-o-Nazar Ki Na-Paki

 

Atta Huwa Khs-o-Khashak-e-Asia Mujh Ko
Ke Mere Shaole Mein Hai Sarkashi-o-Bebaki!

 

(2)

Tera Gunah Hai Iqbal! Majlis Arayi
Agarche Tu Hai Misal-e-Zamana Kam Pewand

 

Jo Ko Kinar Ke Khugar The, In Ghareebon Ko
Teri Nawa Ne Dia Zauq-e-Jazba Haye Buland

 

Tarap Rahe Hain Faza Haye Neelgoon Ke Liye
Woh Par Shakista Ke Sehan Sara Mein The Khorsand

 

 

Teri Saza Hai Nawa-e-Sehar Se Mehroomi
Maqam-e-Shauq-o-Suroor-o-Nazar Se Mehroomi

 

(Islam Aur Musalman) Subah

Islam Aur Mussalman

Subah

Ye Sehar Jo Kabhi Farda Hai Kabhi Hai Amroz
Nahin Maloom Ke Hoti Hai Kahan Se Paida

 

Woh Sehar Jis Se Larazta Hai Shabistan-e-Wujood
Hoti Hai Banda-e-Momin Ki Azan Se Paida

 

 

Bhopal (Sheesh Mehal) Mein Likhe Gye

 

LA ILAHA ILLALLAH (لا الہٰ الا اللہ) NO GOD BUT ALLAH

 

La Ilaha Illallah

Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha Illallah
Khudi Hai Taeg, Fasan La Ilaha Illallah

 

Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein Hai
Sanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah

 

Kiya Hai Tu Ne Mataa-e-Ghuroor Ka Soda
Faraib Sood-o-Zayan, La Ilaha Illallah

 

Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya, Ye Rishta-o-Pewand
Butan-e-Weham-o-Guman, La Ilaha Illallah

 

Khird Huwi Hai Zaman-o-Makan Ki Zunnari
Na Hai Zaman Na Makan, La Ilaha Illallah

 

Ye Naghma Fasl-e-Gul-o-Lala Ka Nahin Paband
Bahar Ho Ke Khazan, La Ilaha Illallah

 

Agarche But Hain Jamat Ki Astinon Mein
Mujhe Hai Hukm-e-Azan, La Ilaha Illallah

 

Tan Ba Taqdeer

Tan-Ba-Taqdeer

 

Issi Quran Mein Hai Ab Tark-e-Jahan Ki Taleem
Jis Ne Momin Ko Banaya Meh-o-Parveen Ka Ameer

 

‘Tan Ba Taqdeer’ Hai Aaj Un Ke Amal Ka Andaz
Thi Nihan Jin Ke Iradon Mein Khuda Ki Taqdeer

 

Tha Jo ‘Na-Khoob’ Batadreej Wohi ‘Khoob’ Huwa
Ke Ghulami Mein Badal Jata Hai Qoumon Ka Zameer

 

Miraj

Meeraj

De Walwala-e-Shauq Jise Lazzat-e-Parwaz
Kar Sakta Hai Woh Zarra Mah-o-Mehr Ko Taraaj

 

Mushkil Nahin Yaraan-e-Chaman! Maarka-e-Baaz
Pursouz Agar Ho Nafs-e-Sina-e-Durraj

 

Nawak Hai Musalman, Hadaf Iss Ka Hai Surreya
Hai Sirr-e-Sara Parda-e-Jaan Nukta-e-Miraaj

Tu Maanni-e-‘Wannajam’ Na Samajha To Ajab Kya
Hai Tera Mad-o-Jazar Abhi Chand Ka Mohtaaj

 

Aik Falsafa-zada Syed Zadde Ke Naam

Aik Falsafa Zada Syed Zade Ke Naam
Admonition To A Philosophy Stricken Sayyid

Tu Apni Khudi Agar Na Khota
Zunnari-e-Bargsan Na Hota

 

Heegal Ka Sadaf Guhar Se Khali
Hai Uss Ka Tilism Sub Khayali

Hegelʹs shell is quite devoid of gem that gleams,
His talisman merely web of fancy seems.

Mohkam Kaise Ho Zindagi
Kis Tarah Khudi Ho La-Zamani!

 

Adam Ko Sabat Ki Talab Hai
Dastoor-e-Hayat Ki Talab Hai

 

Dunya Ki Asha Ho Jis Se Ishraaq
Momin Ki Azan Nidaye Afaq

 

Main Asal Ka Khas Somanti
Aaba Mere Lati-o-Manati

 

Tu Syed-e-Hashmi Ki Aulad
Meri Kaf-e-Khak Barhman Zad

 

Hai Falsafa Mere Aab-o-Gil Mein
Poshida Hai Raisha Haye Dil Mein

 

Iqbal Agarche Behunar Hai
Iss Ki Rag Rag Se Ba-Khabar Hai

 

Shaula Hai Tere Junoon Ka Be-Souz
Sun Mujh Se Ye Nukta-e-Dil Afroz

 

Anjam-e-Khirad Hai Be Huzoori
Hai Falsafa Zindagi Se Doori

 

Afkar Ke Naghma Haye Be Soot
Hain Zauq-e-Amal Ke Waste Mout

 

Deen-e-Maslak-e-Zindagi Ki Taqween
Deen-e-Sirr-e-Muhammad (S.A.W.)-o-Baraheem (A.S.)

 

 

“Dil Dar Sukhan-e-Muhammadi (S.A.W.) Band
Ae Por-e-Ali (R.A.) Za Bu Ali Chand!

 

Choon Didah-e-Rah Been Nadari
Qaid Qarshi Ba Az Bukhari”

 

Farsi Ashaar Hakeem Khaqani Ki ‘Tohfa-Ul-Arifeen’ Se Hain
Persain Couplets are from Hakim Khaqani’s book ‘Tuhfa tul Aaraqeen

 

Zameen-o-Asman

Zameen-o-Asman
The Earth And The Sky

Mumkin Hai Ke Tu Jis Ko Samajhta Hai Baharan
Auron Ki Nighahonmein Woh Mousam Ho Khazan Ka

 

Hai Silsila Ahwal Ka Har Lehza Dirgargoon
Ae Salik-e-Reh, Fikar Na Kar Sood-o-Zayan Ka

 

Shaid Ke Zameen Hai Ye Kisi Aur Jahan Ki
Tu Jis Ko Samajhta Hai Falak Apne Jahan Ka!

 

Musalman Ka Zawal

Musalman Ka Zawal
The Decline Of The Muslims

Agarcha Zar Bhi Jahan Mein Hai Qazi-Ul-Hajat
Jo Faqar Se Hai Mayassar, Toungari Se Nahin

 

Agar Jawan Hon Meri Qoum Ke Jasoor-o-Ghayyoor
Qalandari Meri Kuch Kam Sikandari Se Nahin

 

Sabab Kuch Aur Hai, Tu Jis Ko Khud Samajhta Hai
Zawal Banda-e-Momin Ka Be-Zarri Se Nahi

 

Agar Jahan Mein Jouhar Aashkara Huwa
Qalandari Se Huwa Hai, Toungari Se Nahin

 

Ilm-o-Ishq

Ilm-o-Ishq
KNOWLEDGE AND LOVE

Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan
Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan

Knowledge said to me, Love is madness;
Love said to me, Knowledge is calculation—

Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na Ban
Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab!

 

Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-Kainat
Ilm Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat

 

Ishq Sukoon-o-Sabat,Ishq Hayat-o-Mamat
Ilm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab!

 

Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-Deen
Ishq Ke Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen

 

Ishq Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-Zameen
Ishq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab!

 

Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil Haraam
Shorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam

 

Ishq Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil Haraam
Ilm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab!

 

Ijtihad

Ijtihaad

Hind Mein Hikmat-e-Deen Koi Kahan Se Sikhe
Na Kahin Lazzat-e-Kirdar, Na Afkar-e-Aumeeq

 

Halqa-e-Shouk Mein Woh Jurrat-e-Andesha Kahan
Aah Mehkoomi-o-Taqleed-o-Zawal-e-Tehqeeq !

 

Khud Badalte Nahin, Quran Ko Badal Dete Hain
Huwe Kis Darja Faqeehan-e-Haram Be-Toufeeq !

The jurists are helpless to such extent canʹt change themselves but would change Quranʹs content.
How sad, the jurists canʹt shift their outlook, but would prefer to change the Holy Book!

In Ghulamon Ka Ye Maslak Hai Ke Naqis Hai Kitab
Ke Sikhati Nahin Momin Ko Ghulami Ke Tareeq!

 

Shukar-o-Shikayat

Shukar-e-Shikayat
Thanks Cum Complaint

Main Band-e-Nadan Hun, Magar Shukar Hai Tera
Rakhta Hun Nihan Khana-e-Lahoot Se Pewand

Though unwise, thanks to God I must express
For bonds with celestial world that I possess.

Ek Walwala Taza Diya Main Ne Dilon Ko
Lahore Se Ta-Bakhak-e-Bukhara-o-Samarqand

My songs fresh zeal to hearts of men impart,
Their charm extends to lands that lie apart.

Taseer Hai Ye Mere Nafas Ki Ke Khazan Mein
Murghan-e-Sehar Khawan Meri Sohbat Mein Hain Khoursand

In Autumn my breath makes birds that chirp in morn,
Imbibe much joy and feel no more forlorn.

Lekin Mujhe Paida Kiya Uss Dais Mein Tu Ne
Jis Dais Ke Bande Hain Ghulami Pe Razamand!

 

Zikar-o-Fikar

Zikr-e-Fikr
Dhikr And Fikr

Ye Hain Sub Aik Hi Salik Ki Justujoo Ke Maqam
Woh Jis Ki Shan Mein Aya Hai ‘Allam Al-Asma’

These are all a wayfarer’s search posts
about whom the Quran says: He taught all the names.

Maqam-e-Zikr, Kamalat-e-Rumi-O-Attar
Maqam-e-Fikr, Maqalat-e-Bu Ali Seena

The achievements of Rumi and ‘Attar are stations of dhikr;
The computations of Bu ‘Ali Sina pertain to the station of fikr.

Maqam-e-Fikr Hai Pemaish-e-Zaman-o-Makan
Maqam-e-Zikr Hai Subhana Rubi Al Aala

 

Mullah-e-Haram

Mullah-e-Haram
Mullah Of The Mosque

Ajab Nahin Ke Khuda Tak Teri Rasayi Ho
Teri Nigah Se Hai Poshida Adami Ka Maqam

I do not wonder if to God you find approach:
You know not rank of man for which you need reproach.

Teri Namaz Mein Baqi Jalal Hai, Na Jamal
Teri Azan Mein Nahin Hai Meri Sehar Ka Payam

 

Taqdeer

Taqdeer
Destiny

Na-Ahl Ko Hasil Hai Kabhi Quwwat-o-Jabroot
Hai Khwar Zamane Meinkabhi Johar-e-Zati

Oft men who donʹt deserve get might and main,
Anon a Personʹs gifts ungraced remain.

Shaid Koi Mantaq Ho Nihan Iss Ke Amal Mein
Taqdeer Nahin Tabe-e-Mantaq Nazar Ati

Perhaps some rules of Logic are concealed,
Mishaps that lie in wait are not revealed.

Haan, Aik Haqiqat Hai Ke Maloom Hai Sub Ko
Tareekh-e-Ummam Jis Ko Nahin Hum Se Chupati

There is a fact that all of us can know,
World annals much light on this matter throw.

‘Har Lehza Hai Qoumon Ke Amal Par Nazar Iss Ki
Burran Sift-e-Taeg-e-Do Paikar Nazar Iss Ki !’

 

Touheed (توحید) Oneness Of God

Touheed
ONENESS OF GOD

Zinda Quwwat Thi Jahan Mein Yehi Touheed Kabhi
Aaj Kya Hai, Faqat Ek Masla-e-Ilm-e-Kalaam

Tauhid has been a living force in the days bygone;
What is it these days? Merely a topic of theology.

Roshan Iss Zou Se Agar Zulmat-e-Kirdar Na Ho
Khud Musalman Se Hai Poshida Musalman Ka Maqam

If its glory doesn’t make the darkness of character radiant,
Muslim cannot judge his elevated position.

Main Ne Ae Meer-e-Sipah! Teri Sipah Dekhi Hai
‘QUL HU WALLAH’ Ki Shamsheer Se Khali Hain Nayam

Chief of warriors, I have witnessed your array;
Their sheaths are devoid of the sword of Say: ‘He is Allah’

Aah, Iss Raaz Se Waqif Hai Na Mullah, Na Faqeeh
Wahdat Afkar Ki Be-Wahdat-e-Kirdar Hai Kham

Ah! Neither mullah nor faqih envisages the fact that
Unity of thought without unity of action is imperfect.

Qoum Kya Cheez Hai, Qoumon Ki Imamat Kya Hai
Iss Ko Kya Samjhain Ye Bechare Do Rakat Ke Imam!

 

Ilm Aur Irfan

Ilm Aur Deen
Knowledge And Religion

Woh Ilm Apne Boton Ka Hai Aap Ibraheem
Kya Ha Jis Ko Khuda Ne Dil-o-Nazar Ka Nadeem

Learning whom God has made the mate of heart and sight,
Like Friend of God can break with ease all idols bright.

Zamana Aik, Hayat Aik, Kainat Bhi Aik
Daleel-e-Kam-Nazari, Qissa-e-Jadeed-o-Qadeem

Cosmos and life are one, the world is one and same
The tale of old and new is merely false and lame.

Zamana Aik, Hayat Aik, Kainat Bhi Aik
Daleel-e-Kam-Nazari, Qissa-e-Jadeed-o-Qadeem

A blossom can not thrive in meadow full of trees,
Unless some drops of dew ally with pleasant breeze.

Woh Ilm, Kam Basri Jis Mein Ham-Kinar Nahin
Tajaliat-e-Kaleem-o-Mushahidat-e-Hakeem!

 

Hindi Musalman

Hindi Musalman
Indian Muslim

Gaddar-e-Watan Iss Ko Batate Hain Barhaman
Angraiz Samjahta Hai Musalman Ko Gadagar

Brahmans dub him as foe to native land,
The English call him beggar on the other hand.

Punjab-e-Arbab-e-Nabuwwat Ki Shariat
Kehti Hai Ke Ye Momin-e-Parina Hai Kafir

The code of prophet born in Punjab says,
ʺThis ancient Muslim owns many pagan ways.”

Awazah-e-Haq Uthta Hai Kab Aur Kidhar Se
‘Makeen Dilkam Manda Daren Kashmakas Andar !’

 

Azadi-e-Shamsheer Ke Ilan Par

Azadi-e-Shamsheer Ke Alan Par
Written On The Occasion Of The British Governmentʹs Permission To Keep Sword

Socha Bhi Hai Ae Mard-e-Musalman Kabhi Tu Ne
Kya Cheez Hai Foulad Ki Shamsheer-e-Jigar Dar

O Muslim, did you ever think or feel
What is meant by piercing sword of steel?

Uss Bait Ka Ye Misra-e-Awwal Hai Ke Jis Mein
Poshida Chale Ate Hain Touheed Ke Asrar

It is the first hemistich of this verse
That Godʹs Oneness shows in form so terse.

Hai Fikr Mujhe Misra-e-Sani Ki Ziada
Allah Kare Tujh Ko Atta Faqr Ki Talwar

My anxiety for the second half is greater though,
May God the sword of faqr on you bestow

Qabze Mein Ye Talwar Aa Jaye To Momin
Ya Khalid (R.A.) Janbaz Hai Ya Haidar-e-Karar (R.A.)

 

ihad

ihad

Fatwa Hai Sheikh Ka Ye Zamana Qalam Ka Hai
Dunya Mein Ab Rahi Nahin Talwar Kargar

This is an age, our canonist’s new dictum assures us, of the pen:
In our world now the sword has no more virtue.—

Lekin Janab-e-Sheikh Ko Maloom Kya Nahin?
Masjid Mein Ab Ye Waaz Hai Besood-o-Be-Asar

Has it not reached our pious oracle’s ear,
That in the Mosque such sermonizing nowadays has grown rhymeless and reasonless?

Taeg-o-Tufnag Dast-e-Musalman Mein Hai Kahan
Ho Bhi, To Dil Hain Mout Ki Lazzat Se Be-Khabar

Where, in a Muslim’s hand, Will he find dagger or rifle?
And if there were, Our hearts have lost all memory of delight

Kafir Kimout Se Bhi Larazta Ho Jis Ka Dil
Kehta Hai Kon Usse Ke Musalman Ki Mout Mer

In death. to one whose nerves falter at even an infidel cut down,
Who would exclaim ‘Die like a Muslim!’

Taleem Uss Ko Chahye Tark-e-Jahad Ki
Dunya Ko Jis Ke Panja-e-Khoonain Se Ho Khatar

Preach relinquishment of such crusades to him
Whose bloody fist menaces earth!

Batil Ke Faal-o-Far Ki Hafazat Ke Waste
Yourap Zira Mein Doob Gya Dosh Ta Kamar

Europe, swathed cap‐a‐pie in mail,
Mounts guard over her glittering reign of falsehood;

Hum Poochte Hain Sheikh-e-Kalisa Nawaz Se
Mashriq Mein Jang Shar Hai To Maghrib Mein Bhi Hai Shar

We enquire of our divine, So tender of Christendom:
If for the East war is unhallowed, Is not war unhallowed for Western arms?

Haq Se Agar Gharz Hai To Zaiba Hai Kya Ye Baat
Islam Ka Muhasiba, Yourap Se Darguzar!

 

Quwwat Aur Deen

Quwwat Aur Deen
Authority And Faith

Iskandar-o-Changaiz Ke Hathon Se Jahan Mein
Sou Bar Huwi Hazrat-e-Insan Ki Qaba Chaak

Autocrats like Alexander and Genghis, Have trampled men beneath their feet,
Not once but hundred times so far, They brought man down from honoured seat.

Tareekh-e-Ummam Ka Ye Payam -e-Azali Hai
‘Sahib Nazaran ! Nasha-e-Quwwat Hai Khatarnaak’

The annals right from history’s dawn the message eternal bear as such,
“O man, with insight great endowed, The wine of might is dangerous much.ʺ

Iss Seel-E-Subaq Sair-o-Zameengeer Ke Agay
Aqal-o-Nazar-o-Ilm-o-Hunar Hain Khs-o-Khashak

Before this quickly flowing flood that spreads to all the tracts with speed:
Art, insight, intellect and science, Are carried along like straw and reed.

La-Deen Ho To Hai Zahr-E-Halahil Se Bhi Barh Kar
Ho Deen Ki Hifazat Mein To Har Zehr Ka Tiryaak

 

Faqar-o-Malookiyat

Faqr-o-Mulookiat
Faqr And Monarchy

Faqr Jingah Mein Be-Saaz-o-Yaraak Ata Hai
Zarb Kari Hai,Agar Seene Mein Hai Qalb-e-Saleem

Faqr goes to War unequipped, unarmed with glee,
It deals dire blows, if heart of sins is free.

Iss Ki Barhti Huwi Bebaki-o-Betabi Se
Taza Har Ehad Mein Hai Qissa-e-Firon-o-Kaleem

Its defiance and unrest, ever on increase
Give tale of Moses and Pharoah fresh release.

Ab Tera Dour Bhi Ane Ko Hai Ae Faqr-e-Ghayoor
Kha Gyi Rooh-e-Farangi Ko Hawa-e-Zar-o-Seem

O zealous faqr, you will get your grandeur old,
The Frankish soul is stained with greed of wealth and gold.

Ishq-o-Masti Ne Kiya Zabt-e-Nafs Mujh Pe Haram
Ke Girah Ghunche Ki Khulti Nahin Be-Mouj-e-Naseem

 

Islam

Islam

Rooh Islam Ki Hai Noor-e-Khudi, Naar-e-Khudi
Zindagaani Ke Liye Naar-e-Khudi Noor-o-Huzoor

The fire and light of ego both, The soul of Muslims together bind;
The fire of self is light for life: Godʹs existence brings before the mind.

Yehi Har Cheez Ki Taqweem, Yehi Asal-e-Namood
Garcha Iss Rooh Ko Fitrat Ne Rakha Hai Mastoor

It fortifies the things of life, It is the cause of all display:
Though Nature always hides this soul from eyes of mankind far away.

Lafz-e-‘Islam’ Se Yourap Ko Agar Kidd Hai To Khair
Dosra Naam Issi Deen Ka Hai ‘Faqr-e-Ghayoor’!

 

Hayat-e-Abadi

Hayat-e-Abdi
Eternal Life

Zindagaani Hai Sadaf, Qatra-e-Neesan Hai Khudi
Woh Sadaf Kya Ke Jo Qatre Ko Guhar Kar Na Sake

Life is a like a shell and ego like a drop of April shower—
It is unbecoming a shell if it cannot turn the drop into a pearl.

Ho Agar Khudnigar-o-Khudgar-o-Khudgeer Khudi
Ye Bhi Mumkin Hai Ke Tu Mout Se Bhi Mer Na Sake

 

Sultani

Sultani
Kingship

Riyaz Manzil (Doulat Kuda-e-Sir Raas Masood) Bhopal Mein Likhe Gye

Kise Khabar Ke Hazaron Maqam Rakhta Hai
Woh Faqr Jis Mein Hai Be-Parda Rooh-e-Qurani

The lofty states of faqr are known to few,
The faqr that brings the soul of Quran to view.

Khudi Ko Jab Nazar Ati Hai Qahari Apni
Yehi Maqam Hai Kehte Hain Jis Ko Sultani

When selfhood sees its sway and upper hand,
This exalted state the folk as kingship brand.

Yehi Maqam Hai Momin Ki Quwwaton Ka Ayar
Issi Maqam Se Adam Hai Zil-e-Subhani

This rank gives verdict of a Muslimʹs worth,
And makes him vicegerent of God on earth.

Ye Jabr-e-Qehr Nahin, Ye Ishq-o-Masti Hai
Ke Jabr-o-Qehr Se Mumkin Nahin Jahan Baani

It is not imposed by force or wrath, It is love and enthusiasm intense
As due to wrath only, It is not possible to flourish this universe

Kiya Gya Ha Ghulami Mein Mubtala Tujh Ko
Ke Tujh Se Ho Saki Faqr Ki Nighebani

You have got bondage as a fit reward,
For you have failed to keep on faqr a guard.

Misal-e-Mah Chamakta Tha Jis Ko Dagh-e-Sujood
Khareed Li Hai Farangi Ne Woh Musalmani

Prostration made like moon his forehead shine,
Alas! the Franks have snatched that essence fine.

Huwa Hareef-e-Mah-o-Aftab Tu Jis Se
Rahi Na Tere Sitaron Mein Woh Durkhashani

 

Sufi Se

Sufi Se
The Mystic

Teri Nigah Mein Hai Maujazat Ki Dunya
Merinigah Mein Hai Hadsaat Ki Dunya

Your eyes are fixed on miracles that amaze,
But world of events strange attracts my gaze.

Takhiyulat Ki Dunya Ghareeb Hai, Lekin
Ghareeb Tar Hai Hayat-o-Mumat Ki Dunya

No doubt, the world of thought is strange and queer,
But worlds of Life and Death more odd appear.

Ajab Nahin Ke Badal De Isse Nigah Teri
Bula Rahi Hai Tujhe Mumkinat Ki Dunya

 

 

Afrang Zada

Afrang Zada
Dazzled By Europe

(1)

Tera Wujood Sarapa Tajali-e-Afrang
Ke Tu Wahan Ke Amarat Garon Ki Hai Tameer

Your light is only Europe’s light reflected:
You are four walls her architects have built,

Magar Ye Paidar-e-Khaki Khudi Se Hai Khali
Faqat Nayam Hai Tu, Zar Nigar-o-Beshamsheer!

A shell of dry mud with no tenant soul,
An empty scabbard chased with flowery gilt.

(2)

Tera Nigah Mein Sabit Nahin Khuda Ka Wujood
Meri Nigah Mein Sabit Nahin Wujood Tera

To your mind God’s existence seems unproved:
Your own existence seems not proved to mine.

Wujood Kya Hai, Faqat Johar-e-Khudi Ki Namood
Kar Apni Fikar Ke Johar Hai Be Namood Tera

 

Tasawwuf

Tasawwuf
Mysticism

 

Ye Hikmat-e-Malkooti, Ye Ilm-e-Lahooti
Haram Ke Dard Ka Darman Nahin To Kuch Bhi Nahin

If angelic art and celestial lore the ills of Muslims can not cure,
Worthless they are and of no use, of fact so true you must be sure.

Ye Zikr-e-Neem Shabi, Ye Marakabe, Ye Suroor
Teri Khudi Ke Nigheban Nahin To Kuch Bhi Nahin

Your reveries deep and rapture sweet, Your worship at the midst of night,
If fail to keep a watch on self, Are useless quite and have value slight.

Ye Aqal Jo Mah-o-Parveen Ka Khailti Hai Shakar
Shareek-e-Shourish-e-Pinhan Nahin To Kuch Bhi Nahin

The intellect can cast its noose on the Pleiades and the Moon;
If heart is bʹreft of love for God, It is not a worthy gift and boon.

Khirad Ne Keh Bhi Diya ‘La Ilaha’ To Kya Hasil
Dil-o-Nigah Musalman Nahin To Kuch Bhi Nahin

If wit incites a man to say ʺNo God but Heʺ it brings no gain:
It. has no worth at all I think, Unless affirmed by heart and brain.

Ajab Nahin Ke Preshan Hai Guftugoo Meri
Farogh-e-Subah Preshan Nahin To Kuch Bhi Nahin

 

Ghazal

Ghazal

Dil-e-Murda Dil Nahin Hai, Isse Zinda Kar Dobara
Ke Yehi Hai Ummaton Ke Marz-e-Kuhan Ka Chara

A heart devoid of love is dead, Infuse fresh life in it again:
It is the only cure for folk who suffer from some chronic pain.

Tera Behar Pur-Sukoon Hai, Ye Sukoon Hai Ya Fusoon Hai?
Na Nahang Hai, Na Toofan, Na Kharabi-e-Kinara!

Your sea is full of calm and rest is it repose or magic art?
No sharks and storms disturb your sea, Intact its coast in every part!

Tu Zameer-e-Asman Se Abhi Ashna Nahin Hai
Nahin Be-Qarar Karta Tujhe Ghamzada-e-Sitara

You are not intimate with laws that rule the spheres that spin around:
The twinkling stars do not disturb the calm which in your heart is found!

Tere Neestan Mein Dala Mere Naghma-e-Sahar Ne
Meri Khak-e-Pay-Sipar Mein Jo Nihan Tha Ek Sharara

The dormant spark that buried lay in my extinguished clay since long
Has set afire your bed of reeds, Assuming form of morning song!

Nazar Aye Ga Issi Ko Ye Jahan-e-Dosh-o-Farda
Jise Aa Gyi Mayassar Meri Shoukhi-e-Nazara

 

Duniya

Dunya
The World

Mujh Ko Bhi Nazar Ati Hai Ye Bu-Qalmooni
Woh Chand, Ye Tara Hai, Woh Pathar, Ye Nageen Hai

The diverse hues of world I can descry,
Here stone and gem, there moon and starry sky.

Deti Hai Meri Chashm-e-Beseerat Bhi Ye Fatwa
Woh Koh, Ye Darya Hai, Woh Gardoon, Ye Zameen Hai

My insight also gives this verdict clear,
These are hills, river, earth and sphere.

Haq Baat Ko Lekin Main Chupa Kar Nahin Rakhta
Tu Hai, Tujhe Jo Kuch Nazar Ata Hai, Nahin Hai!

 

Namaz

Namaz
Prayer

Badal Ke Bhais Phir Ate Hain Har Zamane Mein
Agarche Peer Hai Adam, Jawan Hai Laat-e-Manaat

In different garbs and various masks the idols reappear in every age:
They e’er retain their youth and gloss though man has grown old on this stage.

Ye Aik Sajda Jise Tu Garan Samajhta Hai
Hazar Sajde Se Deta Hai Admi Ko Nijat!

 

Wahi

Wahi
Revelation

Aqal-e-Bemaya Imamat Ki Sazawar
Rahbar Hi Zan-o-Takhmeen To Zaboon Kar-e-Hayat

Poor intellect canʹt be fit to be your guide in life:
If led by guess and doubt disruption may get rife.

Fikar Be-Noor Tera, Jazb-Eamal Be-Bunyad
Sakht Mushkil Hai Ke Roshan Ho Shab-e-Tar-e-Hayat

Your zeal infirm and weak, Unlit your thoughts by light:
It is too hard to illume your lifeʹs dark dismal night.

Khoob-o-Na-Khoob Amal Ki Ho Girah Wa Kyunkar
Gar Hayat Aap Na Ho Shareh-e-Asrar-e-Hayat

 

Shikast

Shikast
Defeatism

Mujahidana Hararat Rahi Na Sufi Mein
Bahana Be-Amali Ka Bani Sharab-e-Alasst

The mystics of the present age are devoid of warriorʹs rage:
The claim that they are rapt with wine of ’Last and turn from Code Divine!

Faqeeh-e-Sheher Bhi Ruhbaniat Pe Hai Majboor
Ke Maarke Hain Shariat Ke Jang-e-Dast-Badast

The jurist has such bent of mind that makes to monkish mode inclined,
In Holy Wars take rock‐like stand, They are just combats hand to hand.

Garaiz Kashmakash-e-Zindagi Se, Mardon Ki
Agar Shikast Nahin Hai To Aur Kya Hai Shikast!

 

Aqal-o-Dil

Aqal-o-Dil
Heart And Intellect

Har Khaki-o-Noori Pe Hukoomat Hai Khird Ki
Bahir Nahin Kuch Aqal-e-Khudadad Ki Zad Se

Clay‐made man and angelic hosts all are swayed by wit and mind:
Naught lies beyond the reach of wit, bestowed by God benign and kind.

Alam Hai Ghulam Iss Ke Jalal-e-Azali Ka
Ek Dil Hai Ke Har Lehza Ulajhta Hai Khirad Se

 

Masti-e-Kirdar

Masti-e-Kirdar
Fervour For Action

Sufi Ki Tariqat Mein Faqt Mast-e-Ahwal
Mullah Ki Shariat Mein Faqt Mast-e-Guftar

The mystic mode has naught except the inner changes of the heart;
The talk of Mullah on his creed is merely piece of fiery art.

Shayar Ki Nawa Murda-o-Afsurda-o-Be-Zauq
Afkar Mein Sar-Mast, Na Khawabida Na Baidar

The poetʹs song of zeal bereft, is dead and struck with frost!
To outward eyes he seems awake, though in thoughts completely lost!

Woh Mard-e-Mujahid Nazar Ata Nahin Mujh Ko
Ho Jis Ke

Qabar

Qabar (The Grave)

Marqad Ka Shabistan Bhi Usse Raas Na Aya
Aram Qalandar Ko Teh-e-Khak Nahin Hai

A dervish feels no rest at all beneath the mound of clods and dust:
Though abysmal dark the grave, Its rigours yet bear he must.

Khamoshi-e-Aflak To Hai Qabar Mein Lekin
Be-Qaidi-o-Pehnai-e-Aflak Nahin Hai

Rag-e-Pay Mein Faqt Masti-e-Kirdar

 

 

 

 

Qalander Ki Pehchan

Qalandar Ki Pehchan
The Recognition Of A Qalandar

Kehta Hai Zamane Se Ye Darvesh-e-Jawan Mard
Jata Hai Jidhar Banda-e-Haq, Tu Bhi Udhar Ja!

A Dervish bold proclaims with main and might
My guidance take, tread path quite straight and right!

Hangame Hain Mere Teri Taqat Se Zaida
Bachta Huwa Bunigah-e-Qalandar Se Guzar Ja

Beyond your might and nerves my tumults lie,
With caution great by Qalandarʹs dwelling hie!

Main Kashti-O-Mallah Ka Mauhtaj Na Hun Ga
Charhta Huwa Darya Hai Agar Tu To Utar Ja

The help of skiff and guide I do not need,
If you are swollen brook, come down with speed!

Torha Nahin Jadoo Meri Takbeer Ne Tera?
Hai Tujh Mein Mukar Jane Ki Jurrat To Mukar Ja!

Has not my Takbir broke your charm?
Revoke, if show of courage does not harm!

Meher-O-Mah-O-Anjum Ka Mahasib Hai Qalandar
Ayyam Ka Markab Nahin, Rakin Hai Qalandar

 

 

Falsafa

Falsafa
Philosophy

Afkar Jawanon Ke Khafi Hon Ke Jali Hon
Poshida Nahin Mard-e-Qalandar Ki Nazar Se

The thoughts of young both masked and plain
From Qalandarʹs eyes canʹt hid remain.

Maloom Hain Mujh Ko Tere Ahwal Ke Main Bhi
Muddat Huwi Guzra Tha Iss Rah Se

I know your states for I too crost,
These tracts in times which now are past.

Alfaz Ke Pechon Mein Ulajhte Nahin Dana
Ghawwas Ko Matlab Hai Sadaf Se Ke Guhar Se!

The wise ʹbout words do not quarrel,
He heeds not shell who seeks the pearl.

Paida Hai Faqat Halq-e-Arbab-e-Junoon Mein
Woh Aqal Ke Pa Jati Hai Shaole ko Sharar Se

Men crazed with love of God possess,
Wit that from spark the flame can guess.

Jis Maani-e-Pecheeda Ki Tasdeeq Kare Dil
Qeemat Mein Bohat Barh Ke Hai Tabinda Guhar Se

An import complex confirmed by heart,
Is precious more than gems in mart.

Ya Mudra Hai Ya Nazaa Ki Halat Mein Giraftar
Jo Falsafa Likha Na Gya Khoon-e-Jigar Se

 

Mardan-e-Khuda

Mardan-e-Khuda
God’s Men

Wohi Hai Banda-e-Hur Jis Ki Zarb Hai Kari
Na Woh Ke Harb Hai Jis Ki Tamam Ayyari

That man alone is brave and free, whose stroke is full of main and might;
That man is coward through and through who leans on guile and tricks in fight.

Azal Se Fitrat-e-Ahrar Mein Hain Dosh Ba-Dosh
Qalandari-o-Qaba Poshi-o-Kulahdari

From creationʹs Immemorial Dawn free born men own a bent of mind,
Qalandarʹs traits donning cloak and crown, Such distinctive marks in them we find.

Zamana Le Ke Jise Aftab Karta Hai
Unhi Ki Khak Mein Poshida Hai Woh Chingari

The spark lies hid within their clay, which the world to itself takes;
Transforms it as if by a smell and world—illuming sun it makes.

Wujood Inhi Tawaf-e-Butan Se Hai Azad
Ye Tere Momin-o-Kafir, Tamam Zunnari!

 

afir-o-Momin

Kafir-o-Momin
The Infidel And Believer

Kal Sahil-e-Darya Pe Kaha Mujh Se Khizar Ne
Tu Dhoond Raha Hai Sam-e-Afrang Ka Taryaq?

Thus Khizr to me did speak last day on river banks.
ʺAre you in search of cure for venom spread by Franksʺ?

Ek Nukta Mere Pas Hai Shamsheer Ki Manind
Burrinda-o-Saqeel Zada-o-Roshan-o-Burraq

I know a subtle point which like the sword is keen:
Is cutting, burnished, bright and owns a peculiar sheen.

Kafir Ki Ye Pehchan Ke Afaq Mein Gum Hai
Momin Ki Ye Pehchan Ke Gum Iss Mein Hain Afaaq!

 

Mahdi-e-BarHaq (The True Guide)

Mahdi-e-Barhaq

The True Guide

Sub Apne Banaye Huwe Zindan Mein Hain Mehboos
Khawar Ke Sawabit Hon Ke Afrang Ke Sayyar

The sedent nations of the East, or active dwellers of the West;
Are inmates of such dungeons that were built by them with zeal and zest!

Peeran-e-Kalisa Hon Ke Sheikhan-e-Haram Hon
Ne Jiddat-e-Guftar Hai, Ne Jiddat-e-Kirdar

The priests who guide the Christian church, and elders who maintain the Shrine,
Lack newness of discourse and speech, Bereft are they of actions fine.

Hain Ahle-e-Siasat Ke Wohi Kuhna Kham-o-Paich
Shayar Issi Aflas-e-Takhiyyul Mein Giraftar

Experts in statecraft practise still the same antique guile and wily tricks
No flights of fancy the bard can claim to ideals low and mean he sticks!

Dunya Ko Hai Uss Mahdi-e-Barhaq Ki Zaroorat
Ho Jis Ki Nigah Zalzala-e-Alam-e-Afkar

 

Momin

Momin
(Dunya Mein)

Believer
In The World

Ho Halqa-e-Yaran To Baresham Ki Tarah Naram
Razm-e-Haq-o-Batil Ho To Foulad Hai Momin

A man whose faith is firm and strong is soft as silk in friendly throng:
In skirmish between wrong and right like sword of steel, he stands to fight!

Aflak Se Hai Iss Ki Hareefana Kashakash
Khaki Hai Magar Khak Se Azad Hai Momin

The skies are his inveterate foes his war with them e’er onward goes:
Though Muslim true of clay is born from earthly bonds still he is torn.

Jachte Nahin Kunjishik-o-Hamam Iss Ki Nazar Mein
Jibreel-o-Sarafeel Ka Sayyad Hai Momin

To hunt the sparrow and the dove he does not like and does not love:
He much aspires his noose to cast on angels great and hold it fast.

Jannat Mein
In Paradise

Kehte Hain Farishte Kr Dil Awaiz Hai Momin
Hooron Ko Shikayat Hai, Kam Amaiz Hai Momin

Muhammad Ali Baab

Muhammad Ali Baab

Thi Khoob Huzoor-e-Ulema Baab Ki Taqreeq
Bechara Galat Parthta Tha Araab-e-Samawat

Before assembled Muslim priests, Bab made a speech with apt remarks;
That fellow could not read aright ʹSamawatsʹ with its syntactic marks.

Uss Ki Ghalat Par Ulema The Mutabassam
Bola, Tumhain Maloom Nahin Mere Maqamat

The scholars smiled with contempt at stupid error that he made.
He said with courage and aplomb, They knew not his spiritual grade:

Ab Meri Imamat Ke Tasadduq Mein Hain Azad
Mehboos The Araab Mein Quran Ke Ayaat!

 

Taqdeer (Ablees-o-Yazdan )

Taqdeer
(Iblees-o-Yazdan)

Fate
(Satan And God)

(Iblees)
Satan

Ae Khuda-e-Kun Fakan! Mujh Ko Na Tha Adam Se Bayr
Aah, Woh-e-Nazdeek-o-Door-o-Dair-o-Zood

Oh God, Creator! I did not hate your Adam,
That captive of Far‐and‐Near and Swift‐and‐Slow;

Harf-e-‘Istaqbar’ Tere Samne Mumkin Na Tha
Haan, Magar Teri Mashiyat Mein Natha Mera Sujood

And what presumption could refuse to You Obedience?
If I would not kneel to him, the cause was Your own fore‐ordaining will.

Yazdan
God

Kab Khula Tujh Par Ye Raaz, Inkaar Se Pehle Ke Baad?

When did that mystery dawn on you? Before, or after your sedition?

(Iblees)
Satan

Baad, Ae Teri Tajalli Se Kamalat-e-Wujood

After, oh brightness whence all the glory of all being flows.

Yazdan
(Farishton Ki Taraf Deh Kar)

God (To His Angels)

Pasti-e-Fitrat Ne Sikhlayi Hai Ye Hujjat Isse
Kehta Hai, ‘Teri Mashiyat Mein Na Tha Mera Sujood’

See what a groveling nature taught him this
Fine theorem! His not kneeling, he pretends,

De Raha Hai Apni Azadi Ko Majboori Ka Naam
Zalim Apne Shaula-e-Sozan Ko Khud Kehta Hai Dood

Belonged to My fore‐ordinance; gives his freedom necessity’s base title;
—wretch! his own consuming fire he calls a wreath of smoke.

(Makhooz Az Mohiyyudin Ibn-e-Arabi R.A.)

Ae Rooh-e-Muhammad (PBUH)

Ae Rooh-e-Muhammad
Invocation To The Soul Of Muhammad (Peace Be Upon Him)

Shiraza Huwa Millat-e-Marhoom Ka Abtar
Ab Tu Hi Bata, Tera Musalman Kidhar Jaye!

The bonds that in past, like bundle knit, The Faithful Fold, have now been split!
Please let Muslims know, What to do and where to go?

Woh Lazzat-e-Ashob Nahin Beher-e-Arab Mein
Poshidah Jo Hai Mujh Mein, Woh Toofan Kidhar Jaye

The Arabian Sea is quite bereft , Of stir, there rise no waves and crest;
The tempest that in me is hid, Has no place to spread and skid!

Har Chand Hai Be-Qafla-o-Rahla-o-Zaad
Iss Koh-o-Bayaban Se Hudi Khawan Kidhar Jaye

Caravan has left the tramp alone, But mount or food he does not own:
Where can the singing cameleer go, Who rides on hill and waste to and fro!

Iss Raaz Ko Ab Fash Kar Ae Rooh-e-Muhammad (S.A.W.)
Ayaat-e-Elahi Ka Nigheban Kidhar Jaye!

 

Madniyat-e-Islam

Madniyat-e-Islam
The Way Of Islam

Bataun Tujh Ko Musalman Ki Zindagi Kya Hai
Ye Hai Nihayat-e-Andesha-o-Kamal-e-Junoon

What, shall I tell you then, is a Muslim’s life?
Ecstasy’s summit joined with profoundest thought!

Tulu Hai Sift-e-Aftab Iss Ka Ghuroor
Yagana Aur Misal-e-Zamana Goo-Na-Goon!

Even its setting flames like a rising sun;
Single its hue, yet manifold age by age;

Na Iss Mein Asr-e-Rawan Ki Haya Se Bezari
Na Iss Mein Ehd-e-Kuhan Ke Fasana-o-Afsoon

Neither with those times sharing their scorn of virtue.
Nor with times past their bondage to myth and magic,

Haqaeeq-e-Abdi Par Asas Hai Iss Ki
Ye Zindagi Hai, Nahin Hai Tilism-e-Aflatoon!

Firm on eternal verity’s bedrock standing—
Here is true life, no airy conceit of Plato!

Anasir Iss Ke Hain Rooh-Ul-Quds Ka Zauq-e-Jamal
Ajam Ka Husn-e-Tabiat, Arab Ka Souz-e-Darun!

Imamat

Imamat

Guidance

Tu Ne Puchi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujh Se
Haq Tujhe Meri Tarah Sahib-e-Asrar Kare

What Guidance signifies you wish to know,
Insight, like me, may God on you bestow!

Hai Wohi Tere Zamane Ka Imam-e-Barhaq
Jo Tujhe Hazir-o-Mojood Se Bezar Kare

He is true guide and teacher of your age,
Who can with present fill your mind with rage.

Mout Ke Aaeene Mein Tujh Ko Dikha Kar Rukh-e-Dost
Zindagi Tere Liye Aur Bhi Dushwar Kare

By showing the face of Friend in looking glass,
May make your life more onerous and crass.

De Ke Ehsas-e-Zayan Tera Lahoo Garma De
Faqr Ki Saan Charha Kar Tujhe Talwar Kare

He may make your blood seethe with sense of harm
And on faqr’s whetstone may to sword transform.

Fitna-e-Millat-e-Baiza Hai Imamat Uss Ki
Jo Musalman Ko Salateen Ka Prestar Kare!

 

Faqar-o-Rahbi

Faqr-o-Raahbi
Faqr And Monkery

Kuch Aur Cheez Hai Shaid Teri Musalmani
Teri Nigah Mein Hai Aik, Faqr-o-Ruhbani

Perhaps your faith is so much quaint and queer,
For faqr and monkery same to you appear.

Sukoon Prasti-e-Rahab Se Faqr Hai Bezar
Faqeeh Ka Hai Safina Humasha Toofani

Faqr has a loathing great for monkish ease;
Its boat is ever tossed by stormy seas.

Pasand Rooh-o-Badan Ki Hai Wa Namood Iss Ko
Ke Hai Nihayat-e-Momin Khudi Ki Uryani

He yearns to put to test his frame and soul,
Display of self is his main aim and goal.

Wujood Saer Fee Kainat Hai Uss Ka
Usse Khabar Hai, Ye Baq Hai Aur Woh Fani

 

Issi Se Puch Ke Paish-e-Nigah Hai Jo Kuch
Jahan Hai Ya Ke Faqt Rang-o-Boo Ki Tughyani

 

Ye Faqr Mard-e-Musalman Ne Koh Diya Jab Se
Rahi Na Doulat-e-Salmani-o-Sulemani

 

Ghazal

Ghazal

Teri Mata-e-Hayat Ilm-o-Hunar Ka Suroor
Meri Mata-e-Hayat Aik Dil-e-Nasaboor!

A restless aching heart that throbs with Love is my lifeʹs only stock and hoard.
Your joys of life consist of wealth and gold that worldly Science and Arts to you afford.

Moujaza-e-Ahl-e-Fikar, Falsafa-e-Paich Paich
Moujaza-e-Ahl-e-Zikr, Musa(A.S.)-o-Firoun-o-Toor

The marvel wrought by thinkers wise and sage consists of problems stiff that thought provoke:
Mount Sinai, Pharoahʹs rout and Mosesʹ Staff are miracles worked by those who God invoke.

Muslahatan Keh Diya Main Ne Musalman Tujhe
Tere Nafs Mein Nahi, Garmi-e-Youm-Ul-Nashoor

 

Aik Zamane Se Hai Chaak Gireban Mera
Tu Hai Abhi Hosh Mein, Mere Junoon Ka Qasoor!

 

Faiz-e-Nazar Ke Liye Zabt-e-Sukhan Chahiye
Harf-e-Preshan Na Keh Ahl-e-Nazar Ke Huzoor

 

Khawar Jahan Mein Kabhi Ho Nahin Sakti Woh Qoum
Ishq Ho Jis Ka Jasoor, Faqr Ho Jis Ka Ghayoor

Tasleem-o-Raza
Resignation

Har Shakh Se Ye Nukta-e-Pecheeda Hai Paida
Poudon Ko Bhi Ehsas Hai Pehnaye Faza Ka

 

Zulmat Kada-e-Khak Pe Shakir Nahin Rehta
Har Lehza Hai Dane Ko Junoon Nash-o-Nama Ka

 

Fitrat Ke Taqazon Pe Na Kar Rah-e-Amal Band
Maqsood Hai Kuch Aur Hi Tasleem-o-Raza Ka

 

Jurrat Ho Namoo Ki Tu Faza Tang Nahin Hai
Ae Mard-e-Khuda, Mulk-e-Khuda Tang Nahin Hai!

 

 

Nukta-e-Touheed
Unity Of God

Byan Mein Nukta-e-Touheed Aa To Sakta Hai
Tere Damagh Mein Butkhana Ho To Kya Kahiye

The subtle point in Godʹs Oneness hid with ease in words we can explain;
But what about your mind unsound that brims with myths and idols vain?

Woh Ramz-e-Shouk Ke Poshida La Ilaha Mein Hai
Tareeq-e-Sheikh Faqeeh Na Ho To Kya Kahiye

 

Suroor Jo Haq-o-Batil Ki Karzaar Mein Hai
Tu Harb-o-Zarb Se Begana Ho To Kya Kahiye

 

Jahan Mein Banda-e-Hur Ke Mashidaat Hain Kya
Teri Nigah Ghulamana Ho To Kya Kahiye

 

Maqam-e-Faqr Hai Kitna Buland Shahi Se
Rawish Kisi Ki Gadayana Ho To Kya Kahiye!

 

Ilhaam Aur Azadi
Revelation And Freedom

Ho Banda-e-Momin Azad Agar Sahib-e-Ilhaam
Hai Uss Ki Nigah Fikar-o-Amal Ke Liye Mehmaiz

 

Uss Ke Nafas-e-Garam Ki Taseer Hai Aesi
Ho Jati Hai Khaak-e-Chamanistan Sharar Amaiz

 

Shaheen Ki Ada Hoti Hai Bulbul Mein Namoodar
Kis Darja Badal Jate Hain Murghan-e-Sahar Khaiz!

 

Uss Mard-e-Khud Aagah-o-Khuda-Mast Ki Sohabat
Deti Hai Gadaon Ko Shikoh-e-Jam-o-Pervaiz

 

Mehkoom Ke Ilhaam Se Allah Bachaye
Gharat Gar-e-Aqwam Hai Woh Soorat-e-Changaiz

 

 

Jaan-o-Tan
Soul And Body

Aqal Muddat Se Hai Iss Pechaak Mein Uljhi Huwi
Rooh Kis Johar Se, Khaak-e-Teerah Kis Johar Se Hai

 

Meri Mushkil, Masti-o-Shor-o-Suroor-o-Dard-o-Dagh
Teri Mushkil, Mai Se Hai Saghir Ke Mai-e-Saghir Se Hai

 

Irtabat-e-Harf-o-Maani, Ikhtalaat-e-Jaan-o-Tan
Jis Tarah Akhgar Qaba Posh Apni Khakstar Se Hai!

 

 

Lahore-o-Karachi

Lahore-o-Karachi
Lahore And Karachi

Nazar Allah Pe Rakhta Hai Musalman-e-Ghayoor
Mout Kya Shay Hai,Faqt Alam-e-Maani Ka Safar

For Muslim true, death has no dread
To realm of souls, he straight is led.

Un Shaheedon Ki Diyat Ahle-e-Kalisa Se Na Mang
Qadar-o-Qeemat Mein Hai Khoon Jin Ka Haram Se Barh Kar

 

Aah, Ae Mard-e-Musakman Tujhe Kya Yaad Nahin
Harf-e-‘La Tad-Au Maa Allahi Ilahan Aakhar’

 

Nabuwwat

Nabuwwat
Prophethood

Main Na Arif, Na Mujaddid, Na Muhaddis, Na Faqeeh
Mujh Ko Maloom Nahin Kya Hai Nabuwwat Ka Maqam

 

Haan, Magar Alam-e-Islam Pe Rakhta Hun Nazar
Fash Hai Mujh Pe Zameer-e-Falak-e-Neeli Faam

 

Asar-e-Hazir Ki Shab-e-Taar Mein Dekhi Main Ne
Ye Haqeeqat Ke Hai Roshan Sifat-e-Mah-e-Tamam

 

“Woh Nabuwwat Hai Musalman Ke Liye Barg-e-Hasheesh
Jis Nabuwwat Mein Nahin Quwwat-o-Shoukat Ka Payam”

 

Adam

Adam

Tilism-e-Bood-o-Aadam , Jis Ka Naam Hai Adam
Khuda Ka Raaz Hai, Qadir Nahin Hai Jis Pe Sukhan

 

Zamana Subah-e-Azal Se Raha Hai Mehv-e-Safar
Magar Ye Iss Ki Tag-o-Dou Se Ho Saka Na Kuhan

 

Agar Na Ho Tujhe Uljhan To Khol Kar Keh Doon
Wujood-e-Hazrat-e-Insan Na Rooh Hai Na Badan

 

Makkah Aur Geneva

Makkah Aur Geneva

Makkah And Geneva

 

Iss Dour Mein Aqwam Ki Souhbat Bhi Huwi Aam
Poshida Nigahon Se Rahi Wahdat-e-Adam

Contemporary era witnessed tremendous contacts among the nations;
The unity of mankind, however, remained concealed.

Tafreeq-e-Milal Hikmat-e-Afrang Ka Maqsood
Islam Ka Maqsood Faqt Millat-e-Adam

 

Makke Ne Diya Khak-e-Geneva Ko Ye Pegham
Jamiat-e-Aqwam Ke Jamiat-e-Adam!

 

 

Ae Pir-e-Haram

Ae Peer-e-Haram
To Elder Of The Shrine

Ae Peer-e-Haram! Rasm-o-Reh-e-Khanqahi Chor
Maqsood Samajh Meri Nawa-e-Sehri Ka

 

Allah Rakhe Tere Jawanon Ko Salamat!
De In Ko Sabaq Khud Shikani, Khud Nigari Ka

 

Tu In Ko Sikha Khara Shagafi Ke Tareeqe
Maghrib Ne Sikhaya Inhain Fann Shisha-Gari

Dil Torh Gyi In Ka Do Sadiyon Ki Ghulami
Daru Koi Soch In Ki Preshan Nazari Ka

 

Keh Jata Hun Main Zor-e-Junoon Mein Tere Asrar
Mujh Ko Bhi Sila De Meri Aashufta Sari Ka!

 

Mehdi

Mehdi
The Guide

Qoumon Ki Hayat In Ke Takhiyyul Pe Hai Mouqoof
Ye Zauq Sikhata Hai Adab Murgh-e-Chaman Ko

 

Majzoob-e-Farangi Ne Ba Andaz-e-Farangi
Mehdi Ke Takhiyyul Se Kiya Zinda Watan Ko

 

Ae Woh Ke Tu Mehdi Ke Takhiyyul Se Hai Bezar
Naumeed Na Kar Ahuye Mushkeen Se Khutan Ko

 

Ho Zinda Kafan Posh To Mayyat Use Samjhain
Ya Chaak Karain Mardak-e-Nadan Ke Kafan Ko?

 

Mard-e-Musalman (مرد مسلمان) A Muslim

 

Mard-e-Musalman
A MUSLIM

Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!

 

Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman

 

Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki
Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan

 

Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin
Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran!

 

Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade
Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan

 

Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam
Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan

 

Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz
Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman

 

Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum
Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan!

 

Punjabi Musalman

Punjabi Musalman
Punjabi Muslim

Mazhab Mein Bohat Taza Pasand Iss Ki Tabiyat
Kar Le Kahin Manzil To Guzerta Hai Bohat Jald

 

Tehqeeq Ki Bazi Ho To Shirkat Nahin Karta
Ho Khail Mureedi Ka To Harta Hai Bohat Jald

In search for truth he takes no part,
As disciple stakes both head and heart.

Taveel Ka Phanda Koi Sayyad Laga De
Ye Shakh-e-Nasheman Se Uterta Hai Bohat Jald

 

Azadi

Azadi
Freedom

Hai Kis Ki Ye Juraat Ke Musalman Ko Toke
Hurriyat-e-Afkar Ki Naimat Hai Khudadad

The right of thinking free, a Muslim owns,
Is gift of God which canʹt be checked by frowns.

Chahe To Kare Kaabe Ko Aatish Kuda-e-Paaras
Chahe To Kare Iss Mein Farangi Sanam Abad

He can transform the Shrine to Magian fane,
Can deck the Shrine with Frankish idols vain.

Quran Ko Bazeecha-e-Taveel Bana Kar
Chahe To Khud Ek Taza Shariat Kare Ijad

Can make the Holy Book the sport of boys,
And can with ease devise new faiths like toys.

Hai Mamlikat-e-Hind Mein Ek Tarfa Tamasha
Islam Hai Mehboos, Musalman Hai Azad!

 

 


================

 

Nafsiyat-e-Ghulami

Kaha Mujahid-e-Turki Ne Mujh Se Baad-e-Namaz
Taweel Sajda Hain Kyun Iss Qadar Tumhare Imam

 

 

Woh Saada Mard-e-Mujahid, Woh Momin-e-Azad
Khabar Na Thi Use Kya Cheez Hai Namaz-e-Ghulam

 

 

Hazar Kaam Hain Mardan-e-Hur Ko Dunya Mein
Inhi Ke Zauq-e-Amal Se Hain Ummaton Ke Nazam

 

 

Badan Ghulam Ka Souz-e-Amal Se Hai Mehroom
Ke Hai Muroor Ghulamon Ke Roz-o-Shab Pe Haram

 

 

Taweel Sajda Agar Hain To Kya Ta’ajjub Hai
Waraye Sajda Ghareebon Ko Aur Kya Hai Kaam

 

 

Khuda Naseeb Kare Hind Ke Imamon Ko
Woh Sajda Jis Mein Hai Millat Ki Zindagi Ka Payam!

 

 

Mehrab-e-Gul Afghan Ke Afkar

 

 

Mere Kuhistan! Tujhe Chor Ke Jaun Kahan
Teri Chitanon Mein Hai Mere Ab-o-Jad Ki Khak

 

 

Roz-e-Azal Se Hai Tu Manzil-e-Shaheen-o-Charkh
Lala-o-Gul Se Tehi, Naghma-e-Bulbul Se Pak

 

 

Tere Kham-o-Paich Mein Meri Behisht-e-Bareen
Khak Teri Ambreen, Aab Tera Taabnaak

 

 

Baaz Na Ho Ga Kabhi Banda-e-Kubak-o-Hamam
Hifz-e-Badan Ke Liye Rooh Ko Kar Doon Halaak!

 

 

Ae Mere Faqr-e-Ghayyur! Faisal Tera Hai Kya
Khilat-e-Angraiz Ya Pairhan-e-Chaak Chaak!

 

Haqiqat-e-Azali Hai Raqabat-e-Aqwam

 

Haqiqat-e-Azali Hai Raqabat-e-Aqwam
Nigah-e-Peer-e-Falak Mein Na Main Aziz, Na Tu

 

 

Khudi Mein Doob, Zamane Se Na-Umeed Na Ho
Ke Iss Ka Zakhm Hai Darparda Ehtimam-e-Rafu

 

 

Rahe Gat U Hi Jahan Mein Yagana-o-Yakta
Utr Gya Jo Tere Dil Mein ‘La Shareeka Lahu’

 

Kya Charkh-e-Kajro, Kya Meher, Kya Mah

 

 

Kya Charkh-e-Kajro, Kya Meher, Kya Mah
Sub Rahru Hain Wa Manda-e-Rah

 

 

Karka Sikandar Bijli Ki Manind
Tujh Ko Khabar Hai Ae Marg-e-Nagah

 

 

Nadir Ne Looti Dilli Ki Doulat
Ek Zarb-e-Shamsheer, Afsana Kotah

 

 

Afghan Baqi, Kuhsar Baqi
Alhukmu Lillah! Almulku Lillah!

 

 

Hajat Se Majboor Mardan-e-Azad
Karti Hai Hajat Sheron Ko Rubah

 

 

Mehram Khudi Se Jis Dam Huwa Faqr
Tu Bhi Shehenshah, Mein Bhi Shehenshah

 

 

Qoumon Ki Taqdeer Woh Mard-e-Darvaish
Jis Ne Na Dhoondi Sultan Ki Dargah

 

Ye Madrasa Ye Khail Ye Ghoghaye Rawa-Ro

 

Ye Madrasa Ye Khail Ye Ghoghaye Rawa-Ro
Iss Aysh-e-Farawan Mein Hai Har Lehza Gham-e-Nau

 

 

Woh Ilm Nahin, Zaher Hai Ahrar Ke Haq Mein
Jis Ilm Ka Hasil Hai Jahan Mein Do Kaf-e-Jo

 

 

Nadan! Adab-o-Falsafa Kuch Cheez Nahin Hai
Asbaab-e-Hunar Ke Liye Lazim Hai Tag-o-Dou

 

 

Fitrat Ke Nawa Main Pe Ghalib Hai Hunar Mand
Shaam Iss Ki Manind-e-Sehar Sahib-e-Partou

 

 

Woh Sahib-e-Fann Chahe To Fann Ki Barkat Se
Tapke Badan-e-Meher Se Shabnam Ki Tarah Zou!

 

 

Jo Alam-e-Ijad Mein Hai Sahib-e-Ijad

 

Jo Alam-e-Ijad Mein Hai Sahib-e-Ijad
Har Dour Mein Karta Hai Tawaaf Iss Ka Zamana

 

 

Taqleed Se Nakara Na Kar Apni Khudi Ko
Kar Iss Ki Hifazat Ke Ye Gohar Hai Yagana

 

 

Uss Qoum Ko Tajdeed Ka Paigham Mubarik !
Hai Jis Ke Tasawwar Mein Faqt Bazm-e-Shabana

 

 

Lekin Mujhe Dar Hai Ke Ye Awaza-e-Tajdeed
Mashriq Mein Hai Taqleed-e-Farangi Ka Bahana

 

Rumi Badle, Shaami Badle, Badla Hindustan
Tu Bhi Ae Farzand-e-Kuhastan! Apni Khudi Pehchan

 

 

Apni Khudi Pehchan

 

Mousam Acha, Pani Wafir, Mitti Bhi Zarkhiaz
Jis Ne Apna Khait Na Seencha, Woh Kaisa Dehqan

 

 

Apni Khudi Pehchan
O Ghafil Afghan!

 

 

Unchi Jis Ki Lehr Hai, Woh Kaisa Darya
Jis Ki Hawaen Tund Nahin Hain, Woh Kaisa Toofan

 

 

Apni Khudi Pehchan
O Ghafil Afghan!

 

 

Dhoond Ke Apni Khaak Mein Jis Ne Paya Apna Aap
Uss Bande Ki Dehqani Par Sultani Qurban

 

 

Apni Khudi Pehchan
O Ghafil Afghan!

 

 

Teri Be-Ilmi Ne Rakh Li Be-Ilmon Ki Laaj
Alim Fazil Baich Rahe Hain Apna Deen Imaan

 

 

Apni Khudi Pehchan
O Ghafil Afghan!

 

 

Zaagh Kehta Hai Nihayat Bad-Numa Hain Tere Par

 

 

Zaagh Kehta Hai Nihayat Bad-Numa Hain Tere Par
Shapparak Hehti Hai Tujh Ko Kaur Chashm-o-Be-Hunar

 

 

Lekin Ae Shahbaz! Ye Murghan-e-Sehra Ke Achoot
Hain Fazaye Neelgun Ke Paich-o-Kham Se Be-Khabar

 

 

Un Ko Kya Maloom Uss Tair Ke Ahwal-o-Maqamat
Rooh Hai Jis Ki Dam-e-Parwaz Sar Ta Pa Nazar!

 

Ishq Tiniat Mein Firomaya Nahin Misl-e-Hawas
Par Shahbaz Se Mumkin Nahin Parwaz-e-Magas

 

 

Yun Bhi Dastoor-e-Gulistan Ko Badal Sakte Hain
Ke Nasheman Ho Anadil Pe Garan Misl-e-Qafas

 

 

Safar Amadah Nahin Muntazir-e-Bang-e-Raheel
Hai Kahan Qafla-e-Mouj Ko Parwaye Jaras!

 

 

Gharcha Maktab Ka Jawan Zinda Nazar Ata Hai
Murda Hai, Mang Ke Laya Hai Farangi Se Nafas

 

 

Parwerish Dil Ki Agar Mad-e-Nazar Hai Tujh Ko
Mard-e-Momin Ki Nigah-e-Galat Andaz Hai Bas!

 

 

Jis Ke Partou Se Munawwar Rahi Teri Shab-e-Dosh
Phir Bhi Ho Sakta Hai Roshan Woh Charagh-e-Khamosh

 

 

Mard-e-Be Hosla Karta Hai Zamane Ka Gila
Band-e-Hur Ke Liye Nashtar-e-Taqdeer Hai Nosh

 

 

Nahin Hangama-e-Paikar Ke Laeik Woh Jawan
Jo Huwa Nala-e-Murghan-e-Sehar Se Madhosh

 

 

Mujh Ko Dar Hai Ke Hai Tiflana Tabiat Teri
Aur Ayyar Hain Yourap Ke Shaker-Parah Farosh!

 

La Deeni-o-La-Teeyni, Ks Paich Mein Uljha Tu
Daru Hai Zaeefon Ka ‘La Ghaliba-Illah Hu’

 

 

Sayyad-e-Maani Ko Yourap Se Hai Naumeedi
Dilkash Hai Faza, Lekin Be-Nafah Tamam Aahu

 

 

Be Ashak-e-Sehargahi Taqweem-e-Khudi Mushkil
Ye Lala-e-Paikani Khaushtar Hai Kinar-e-Ju

 

 

Sayyad Hai Kafir Ka, Nachcheer Hai Momin Ka
Ye Dair-e-Kuhan Yani Butkhana-e-Rang-o-Bu

 

 

Ae Sheikh, Ameeron Ko Masjid Se Nikalwa De
Hai Un Ki Namazon Se Mehraab Tursh Aabru

 

Mujh Ko To Ye Dunya Nazar Ati Hai Digargoon
Maloom Nahin Dekhti Hai Teri Nazar Kya

 

 

Har Seene Mein Ek Subah-e-Qayamat Hai Namoodar
Afkar Jawanon Ke Huwe Zair-o-Zabar Kya

 

 

Kar Sakti Hai Be Maarka Jeene Ki Talaafi
Ae Peer-e-Haram Teri Manajaat-e-Sehar Kya

 

 

Mumkin Nahin Takhleeq-e-Khudi Khanqahon Se
Iss Shaola-e-Nam Khorda Se Toote Ga Sharar Kya !

 

Be Juraat-e-Rindana Har Ishq Hai Rubahi
Bazoo Hai Qawi Jis Ka, Woh Ishq Yadullahi

 

 

Jo Sakhti-e-Manzil Ko Saman-e-Safar Samjhe
Ae Waye Tan Asani! Na-Paid Hai Woh Raahi

 

 

Wehshat Na Samajh Iss Ko Ae Mard-e-Maidani !
Kuhsaar Ki Khalwat Hai Taleem-e-Khud Aagahi

 

 

Dunya Hai Rawayati, Uqba Hai Manajati
Darbaz Do-Alam Ra, Aeen Ast Shehanshahi !

 

Adam Ka Zameer Iss Ki Haqiqat Pe Hai Shahid
Mushkil Nahin Ae Salik-e-Rah! Ilm-e-Faqeeri

 

 

Foulad Kahan Rehta Hai Shamsheer Ke Laeek
Paida Ho Agar Iss Ki Tabiat Mein Harairi

 

 

Khud-Dar Na Ho Faqr To Hai Qehr-e-Elahi
Ho Sahib-e-Ghairat To Hai Tamheed-e-Ameeri

 

 

Afrang Zakhud Be-Khabarat Kard Wagarna
Ae Banda-e-Momin! Tu Basheeri, Tu Nazeeri!

 

Qoumon Ke Liye Mout Hai Markaz Se Juddai
Ho Sahib-e-Markaz To Khudi Kya Hai, Khudai!

 

 

Jo Faqr Huwa Talkhi-e-Douran Ka Gila Mand
Uss Faqr Mein Baqi Hai Abhi Bu-e-Gadai

 

 

Iss Dour Mein Bhi Mard-e-Khuda Ko Hai Mayyasar
Jo Maujaza Parbat Ko Bana Sakta Hai Rai

 

 

Dar Maarka Be-Souz-e-To Zauqe Natawaan Yaafat
Ae Banda-e-Momin Tu Kujai, Tu Kujai

 

 

Khursheed! Sara Parda-e-Mashriq Se Nikl Kar
Pehna Mere Kuhsar Ko Malboos-e-Hinai

 

Aag Uss Ki Phoonk Deti Hai Barna-o-Peer Ko
Lakhon Mein Aik Bhi Ho Agar Sahib-e-Yaqeen

 

 

Hota Hai Koh-o-Dasht Mein Paida Kabhi Kabhi
Woh Mard Jis Ka Faqr Khazaf Ko Kare Nageen

 

 

Tu Apni Sar-Nawisht Ab Apne Qalam Se Likh
Khali Rakhi Hai Khama-e-Haq Ne Teri Jabeen

 

 

Ye Neelgun Faza Jise Kehte Hai Asaman
Himmat Ho Par Kusha To Haqiqat Mein Kuch Nahin

 

 

Balaye Sar Raha To Hai Naam Uss Ka Asman
Zair-e-Par Aa Gya To Yehi Asam, Zameen!

 

Ye Nukta Khoob Kaha Sher Shah Suri Ne
Ke Imtiaz-e-Qabail Tamam Tar Khwari

 

 

Aziz Hai Unhain Naam-e-Waziri-o-Mehsood
Abhi Ye Khilaat-e-Afghaniat Se Hain Aari

 

 

Hazar Parah Hai Kuhasar Ki Musalmani
Ke Har Qabeela Hai Apne Buton Ka Zunnari

 

 

Wohi Haram Hai, Wohi Itebaar-e-Laat-o-Manaat
Khuda Naseeb Kare Tujh Ko Zarbat-e-Kari!

 

Nigah Woh Nahin Jo Surkh-o-Zard Pehchane
Nigah Woh Hai Ke Mouhtaj-e-Mehr-o-Mah Nahin

 

 

Farang Se Bohat Aage Hai Manzil-e-Momin
Qadam Utha! Ye Maqam Intahaye Rah Nahin

 

 

Khule Hain Sub Ke Liye Ghareebon Ke Maikhane
Uloom-e-Taza Ki Sarmastiyan Gunah Nahin

 

 

Issi Suroor Mein Poshida Mout Bhi Hai Teri
Tere Badan Men Agar Souz-e-‘La Ilah’ Nahin

 

 

Sunain Ge Meri Sada Khanzadgan-e-Kabeer?
Gileem Posh Hon Main Sahib-e-Kulah Nahin!

 

 

Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigehbani
Ya Banda-e-Sehrai Ya Mard-e-Kuhistani

 

 

Dunya Mein Muhasib Hai Tehzeeb-e-Fasoon Gar Ka
Hai Iss Ki Faqeeri Mein Sarmaya-e-Sultani

 

 

Ye Husn-o-Latafat Kyun, Woh Quwwat-o-Shoukat Kyun
Bulbul Chamanistani, Shahbaz Byabani !

 

 

Ae Sheikh! Bohat Achi Maktab Ki Faza, Lekin
Banti Hai Byaban Mein Farooqi-o-Salmani

 

 

Sadiyon Mein Kahin Paida Hota Hai Hareef Uss Ka
Talwar Hai Taizi Mein Sehbaye Musalmani!

 

 

 

 

 

 

Nafsiyat-e-Hakami

(Islahat)

Psychology Of Power
(The ‘Reforms’)

Ye Meher Hai Be-Meheri-e-Sayydad Ka Parda
Ayi Na Mere Kaam Meri Taza Safeeri

 

Rakhne Laga Murjhaye Huwe Phool Qafas Mein
Shaid Ke Aseeron Ko Gawara Ho Aseeri !

 

 

Wohi Jawan Hai Qabeele Ki Ankh Ka Tara
Shabaab Jis Ka Hai Be-Dagh, Zarb Hai Kari

 

Agar Ho Jang To Sheran-e-Ghab Se Barh Kar
Agar Ho Sulah To Raana Ghazaal-e-Tatari

 

Ajab Nahin Hai Agar Iss Ka Souz Hai Hama Souz
Ke Neestan Ke Liye Bas Hai Aik Chingari

 

Khuda Ne Iss Ko Diya Hai Shikoh-e-Sultani
Ke Iss Ke Faqr Mein Hai Haidari-o-Karrari

 

Nigah-e-Kam Se Na Dekh Iss Ki Be Kulahi Ko
Ye Be-Kulah Hai Sarmaya-e-Kulah-Dari

 

 

Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti

 

 

Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti
Magar Hai Iss Se Ye Mumkin Ke Tu Badal Jaye

 

Teri Khudi Mein Agar Inqilab Ho Paida
Ajab Nahin Hai Ke Ye Char Soo Badal Jaye

 

Wohi Sharab, Wohi Haye-o-Hoo Rahe Baqi
Tareeq-e-Saqi-o-Rasm-e-Kadoo Badal Jaye

 

Teri Dua Hai Ke Ho Teri Arzoo Puri
Meri Dua Hai Teri Arzoo Badal Jaye!

 

Mashriq-o-Maghrib

 

The East And The West

Yahan Marz Ka Sabab Hai Ghulami-o-Taqleed
Wahan Marz Ka Sabab Hai Nizam-e-Jumhoori

 

Na Mashriq Iss Se Bari Hai, Na Maghrib Iss Se Bari
Jahan Mein Aam Hai Qalb-o-Nazar Ki Ranjoori

 

 

Falasteeni Arab Se

To The Palestinian Arabs

Zamana Ab Bhi Nahin Jis Ke Souz Se Farig
Mein Janta Hun Woh Atish Tere Wujood Mein Hai

I know the fire that burns throughout your frame,
The lands of world still fear its scorching flame.

Teri Dawa Na Geneva Mein Hai, Na London Mein
Farang Ki Rag-e-Jaan Panja-e-Yahood Mein Hai

Your cure in Geneva or London you canʹt trace,
Wind‐pipe of Franks is gripped by Jewish race.

Suna Hai Main Ne, Ghulami Se Ummaton Ki Nijat
Khudi Ki Parwarish-o-Lazzat-e-Namood Mein Hai

 

 

Aik Behri Qazzaq Aur Sikandar

A Pirate And Alexander

Sikandar
Alexander

Sila Tera Teri Zanjeer Ye Shamsheer Hai Meri
Ke Teri Rahzani Se Tang Hai Darya Ki Pehnayi!

 

Qazzaq
Pirate

Sikandar! Haif, Tu Iss Ko Jawan Mardi Samajhta Hai
Gawara Iss Tarah Karte Hain Hum Chashmon Ki Ruswayi?

 

Tera Paisha Hai Saffaki, Mera Paisha Hai Saffaki
Ke Hum Qazzaq Hain Dono, Tu Maidani, Main Daryai!

 

 

Nasihat
Advice

Ek Lurd-e-Farangi Ne Kaha Apne Pisar Se
Manzar Woh Talab Kar Ke Teri Ankh Na Ho Sair

 

Bechare Ke Haq Mein Hai Yehi Sub Se Bara Zulm
Barre Pe Agar Faash Karain Qaeda-e-Sher

 

Seene Mein Rahe Raaz-e-Mulookana To Behter
Karte Nahin Mehkoom Ko Taegon Se Kabhi Zair

 

Taleem Ke Tezaab Mein Daal Iss Ki Khudi Ko
Ho Jaye Malayam To Jidhar Chahe, Isse Phair

 

Taseer Main Ikseer Se Barh Kar Hai Ye Tehzeeb
Sone Ka Hamala Ho To Mitti Ka Hai Ek Dhair!

 

Daam-e-Tehzeeb
Civilization’s Clutches

Iqbal Ko Shak Iss Ki Sharafat Mein Nahin Hai
Har Millat-e-Mazloom Ka Yourap Hai Khareedar

 

Ye Peer-e-Kaleesa Ki Karamat Hai Ke Uss Ne
Bijli Ke Charaghon Se Munawwar Kiye Afkar

 

Jalta Hai Magar Sham-o-Falasteen Pe Mera Dil
Tadbeer Se Khulta Nahin Ye Uqda-e-Dushwar

 

Turkaan-e-‘Jafa Paisha’ Ke Panje Se Nikl Kar
Bechare Hain Tehzeeb Ke Phande Mein Giraftar!

 

 

Intadab
Tutelage

Kahan Farishta-e-Tehzeeb Ki Zaroorat Hai
Nahin Zamana-e-Hazir Ko Iss Mein Dushwari

 

Jahan-e-Qimaar Nahin, Zan Tunk Labas Nahin
Jahan Haraam Batate Hain Shughal-e-Mai Khwari

 

 

Badan Mein Gharche Hai Ek Rooh-e-Na-Shakeeb-o-Umeeq
Tareeqa-e-Ab-o-Jad Se Nahin Hai Bezari

 

 

Jusoor-o-Zeerak-o-Purdam Hai Bacha-e-Badwi
Nahin Hai Fiaz-e-Makatib Ka Chashma Jari

 

Nazarwaran-e-Farangi Ka Hai Yehi Fatwa
Woh Sarzameen Mein Madniyat Se Hai Abhi Aari!

 

 

Jo Baat Haq Ho, Woh Mujh Se Chupi Nahin Rehti

 

Jo Baat Haq Ho, Woh Mujh Se Chupi Nahin Rehti
Khuda Ne Mujh Ko Diya Hai Dil-e-Khabeer-o-Baseer

 

Meri Nigah Mein Hai Ye Siasat-e-La-Deen
Kaneez-e-Ahrman-o-Doon Nihad-o-Murda Zameer

 

Huwi Hai Tark-e-Kaleesa Se Hakami Azad
Farangiyon Ki Siasat Se Hai Diyo-e-Bezanjeer

 

Mataa-e-Ghair Pe Hoti Hai Jab Nazar Iss Ki
To Hain Harawal-e-Lashkar Kaleesa Ke Safeer!

 

 

Gila
Complaint

Maloom Kise Hind Ki Taqdeer Ke Ab Tak
Bechara Kisi Taaj Ka Tabinda Nageen Hai

 

Dehqan Hai Kisi Qabar Ka Ugla Huwa Murda
Bosida Kafan Jis Ka Abhi Zair-e-Zameen Hai

I

Jaan Bhi Girwi-e-Ghair, Badan Bhi Girwi-e-Ghair
Afsos Ke Baqi Na Makan Hai Na Makeen Hai

 

Yourap Ki Ghulami Pe Razamand Huwa Tu
Mujh Ko To Gila Tujh Se Hai, Yourap Se Nahin Hai!

 

Nafsiyat-e-Ghulami
Psychology Of Bondage

Sakht Bareek Hain Amraz-e-Umam Ke Asbab
Khol Kar Kahiye To Karta Hai Byan Kotahi

 

Deen-e-Sheri Mein Ghulami Ke Imam Aur Shyukh
Dekhte Hain Faqt Ek Falsafa-e-Rubahi

 

Ho Agar Quwwat-e-Firon Ki Darparda Mureed
Qoum Ke Haq Mein Hai Lanat Woh Kaleem-Ullahi !

 

 

Siasi Paishwa
Political Leaders

Umeed Kya Hai Siasat Ke Paishwaon Se
Ye Khakbaz Hain, Rakhte Hain Khak Se Pewand

 

Hamesha Moor-o-Magas Par Nigah Hai Un Ki
Jahan Mein Hai Sift-e-Ankuboot Un Ki Kumand

 

Khausha Woh Qafla, Jis Ke Ameer Ki Hai Mataa
Takhiyyul-e-Malkooti-o-Jazba Haye Buland

 

Sham-o-Falasteen
Syria And Palestine

Rindan-e-Faransis Ka Maikhana Salamat
Pur Hai Mai-e-Gulrang Se Har Sheesha Halab Ka

 

Hai Khak-e-Falasteen Pe Yahoodi Ka Agar Haq
Haspania Pe Haq Nahin Kyun Ahl-e-Arab Ka

 

Maqsad Hai Mulookiat-e-Englees Ka Kuch Aur
Qissa Nahin Naranj Ka Ya Shehad-o-Rutab Ka

 

 

Jamiat-e-Aqwam
League Of Nations

Bechari Kai Roz Se Dam Torh Rahi Hai
Dar Hai Khabar-e-Bad Na Mere Munh Se Nikl Jaye

 

Taqeer To Mubaram Nazar Ati Hai Wa Lekin
Peeran-e-Kaleesa Ki Dua Ye Hai Ke Tal Jaye

 

Mumkin Hai Ke Ye Dashta-e-Peerak-e-Afrang
Iblees Ke Taweez Se Kuch Roz Sambhal Jaye!

 

 

Mussolini
(Apne Mashriqi Aur Maghribi Hareefon Se)
(To his rivals east and west)

Kiya Zamane Se Nirala Hai Missulini Ka Jurm!
Be-Mehal Bighra Hai Masooman-e-Yourap Ka Mazaj

 

Main Phatakta Hun To Chalni Ko Bura Lagta Hai Kyun
Hain Sabhi Tehzeeb Ke Auzar ! Tu Chhalni, Main Chhaj

 

Mere Soda’ay Mulookiat Ko Thukrate Ho Tum
Tum Ne Kya Torhe Nahin Kamzor Qoumon Ke Zujaj?

 

Ye Ajaeb Shaubde Kis Ki Mulookiat Ke Hain
Rajdahani Hai, Magar Baqi Na Raja Hai Na Raaj

 

Aal Seezar Chob-e-Ne Ki Aabyarimein Rahe
Aur Tum Dunya Ke Banjar Bhi Na Choro Be Kharaaj!

 

Tum Ne Loote Ne-Nawa Sehra Nasheenon Ke Khayam
Tum Ne Looti Kisht-e-Dehqan, Tum Ne Loote Takht-o-Taaj

You have plundered tents of nomads of the little wealth they own,
You have plundered peasants ploughlands, you have plundered crown and throne—

Parda-e-Tehzeeb Mein Gharat Gari, Adam Gari
Kal Rawa Rakhi Thi Tum Ne, Main Rawa Rakhta Hun Aaj !

 

 

 

Yourap Aur Suriya
Europe And Syria

Farangiyon Ko Atta Khak-e-Suriya Ne Kiya
Nabi Iffat-o-Gham Khwari-o-Kam Azari

 

Sila Farang Se Aya Hai Suriya Ke Liye
Mai-o-Qimar-o-Hujoom-e-Zanan-e-Bazari !

 

 

Jumhooriat
Democracy

Iss Raaz Ko Ek Mard-e-Farangi* Ne Kiya Fash
Har Chand Ke Dana Isse Khila Nahin Karte

 

Jumhooriat Ek Tarz-e-Hukumat Hai Ke Jis Mein
Bandon Ko Gina Karte Hain, Tola Nahin Karte!

 

 

Sultani Javed
Everlasting Monarchy

Ghawwas To Fitrat Ne Banaya Hai Mujhe Bhi
Lekin Mujhe Aamaq-e-Siasat Se Hai Parhaiz

 

Fitrat Ko Gawara Nahin Sultani-e-Javed
Har Chand Ke Ye Shaubda Bazi Hai Dil Awaiz

 

Farhad Ki Khara Shikni Zinda Hai Ab Tak
Baqi Nahin Dunya Mein Mulookiat-e-Parviaz !

 

 

Jamiat-e-Aqwam-e-Mashriq
An Eastern League Of Nations

Pani Bhi Musakhar Hai, Hawa Bhi Ai Musakhar
Kya Ho Jo Nigah-e-Falak-e-Peer Baal Jaye

 

Dekha Hai Mulookiat-e-Afrang Ne Jo Khawab
Mumkin Hai Ke Uss Khawab Ki Tabeer Badal Jaye

 

Tehran Ho Gar Alam-e-Mashriq Ka Jeneeva
Shaid Kurra-e-Arz Ki Taqdeer Badal Jaye!

 

 

Iblees Ka Farman Apne Siasi Farzandon Ke Naam

Satan To His Political Offspring

La Kar Barhmanon Ko Siasat Ke Paich Mein
Zunnariyon Ko Dair-e-Kuhan Se Nikal Do

 

Woh Faqa Kash Ke Mout Se Darta Nahin Zara
Rooh-e-Muhammad (S.A.W.) Iss Ke Badan Se Nikal Do

 

Fikr-e-Arab Ko De Ke Farangi Takhiyyulat
Islam Ko Hijaz-o-Yaman Se Nikal Do

 

Afghaniyon Ki Ghairat-e-Deen Ka Hai Ye Ilaj
Mullah Ko Un Ke Koh-o-Daman Se Nikal Do

 

Ahl-e-Haram Se Un Ki Rawayat Cheen Lo
Aahu Ko Murgh-Zaar-e-Khutan Se Nikal Do

-Added Soon-

Iqbal Ke Nafs Se Hai Lale Ki Aag Taiz
Aese Ghazal Sara Ko Chaman Se Nikal Do!

 

 

Ahle-e-Misr Se
To The Egyptians

Khud Abu-Ul-Hol Ne Ye Nukta Sikhaya Nujh Ko
Woh Abu-Ul-Hol Ke Hai Sahib-e-Asrar-e-Qadeem

 

Dafatan Jis Se Badal Jati Hai Taqdeer-e-Ummam
Hai Woh Quwwat Ke Hareef Iss Ki Nahin Aqal-e-Hakeem

Strength that in one hour can swerve the fates of nations
Admits no puzzling intellect for rival,

Har Zamane Mein Digargoon Hai Tabiat Iss Ki
Kabhi Shamsheer-e-Muhammad (S.A.W.) Hai, Kabhi Chob-e-Kaleem (A.S.)!

 

 

Yourap Ke Kargason Ko Nahin Hai Abho Khabar

 

 

Yourap Ke Kargason Ko Nahin Hai Abho Khabar
Hai Kitni Zahernaak Abyssinia Ki Lash

Those vultures of the West have yet to learn
What poisons lurk in Abyssinia’s corpse,

Hone Ko Hai Ye Muda-e-Dairina Qash Qash!

That rotting carcass ready to fall in pieces.

Tehzeeb Ka Kamal Sharafat Ka Hai Zawal
Gharatgari Jahan Mein Hai Aqwam Ki Ma’ash

Civilization’s zenith, nadir of virtue;
In our world pillage is the nation’s trade,

Har Gurg Ko Hai Barah-e-Maasoom Ki Talash!

Each wolf aprowl for inoffensive lambs.

Ae Waye Aabrooye Kaleesa Ka Aeena
Roma Ne Kar Diya Sar-e-Bazar Pash Pash

 

Peer-e-Kalisa! Ye Haqiqat Hai Dilkharash!

 

 

Ghulamon Ke Liye

Hikmat-E-Mashriq-O-Maghrib Ne Sikhaya Hai Mujhe
Aik Nukta Ke Ghulamon Ke Liye Hai Ikseer

 

Deen Ho, Falsafa Ho, Faqr Ho, Sultani Ho
Hote Hain Pukhta Aqaid Ki Bina Par Tameer

 

Harf Uss Qoum Ka Be-Souz, Amal Zaar-o-Zuboon
Ho Gya Pukhta Aqaid Se Tehi Jis Ka Zameer!

 

 

 

Khawajgi
Mastership

Dour-e-Hazir Hai Haqiqat Mein Wohi Ehd-e-Qadeem
Ahle-e-Sajadah Hain Ya Ahl-e-Siasat Hain Imam

 

Iss Mein Peeri Ki Karamat Hai Na Meeri Ka Ha Zor
Saikrhon Sadiyon Se Khugar Hain Ghulami Ke Awam

 

Khawajgi Mein Koi Mushkil Nahin Rehti Baqi
Pukhta Ho Jate Hain Jab Khuwe-e-Ghulami Mein Ghulam!

 

 

Siasat-e-Afrang
Statesmanship Of The Franks

Teri Hareef Hai Ya Rab Siasat-e-Afrang
Magar Hain Iss Ke Pujari Faqt Ameer-o-Raees

 

Banaya Aik Hi Iblees Aag Se Tu Ne
Banaye Khak Se Uss Ne Do Sad Hazar Iblees!

 

 

Ye Aesh-e-Farawan, Ye Hukumat, Ye Tajarat

Ye Aesh-e-Farawan, Ye Hukumat, Ye Tajarat
Dil-e-Seena-e-Be Noor Mein Mehroom-e-Tasalli

 

Tareek Hai Afrang Machinon Ke Duhween Se
Ye Wadi-e-Ayman Nahin Shayaan-e-Tajalli

 

Hai Naza Ki Halat Mein Ye Tehzeeb-e-Jawan Marg
Shaid Hon Kaleesa Ke Yuhoodi Mutawalli !

 

Mashriq
The East

Meri Nawa Se Greban-e-Lala Chaak Huwa
Naseem-e-Subah Chaman Ki Talsh Mein Hai Abhi

 

Na Mustafa Na Raza Shah Mein Numood Uss Ki
Ke Rooh-e-Sharaq Badan Ki Talash Mein Hai Abhi

 

Meri Khudi Bhi Saza Ki Hai Mustahiq Lekin
Zamana Daar-o-Rasan Ki Talash Mein Hai Abhi

 

 

Aaj Aur Kal
To‐Day And To‐Morrow

Woh Kal Ke Gham-o-Ayesh Pe Kuch Haq Nahin Rakhta
Jo Aaj Khud Afroz-o-Jigar Souz Nahin Hai

 

Woh Qoum Nahin Laeek-e-Hangama-e-Farda
Jis Qoum Ki Taqdeer Mein Amroz Nahin Hai!

 

 

 

Bolshevik Roos
Bolshevik Russia

Rawish Qazaye Elahi Ki Hai Ajeeb-o-Ghareeb
Khabar Nahin Ke Zameer-e-Jahan Mein Hai Kya Baat

 

Huwe Hain Kasr-e-Chalipa Ke Waste Maamoor
Wohi Ke Hifz-e-Chalipa Ko Jante The Nijat

 

Ye Wahi Dohriyat-e-Roos Par Huwi Nazil
Ke Torh Daal Kaleesaon Ke Laat-o-Manat !

 

Nafsiyat-e-Ghulami
The Psychology Of Slaves

Shayar Bhi Hain Paida, Ulma Bhi, Hukma Bhi
Khali Nahin Qoumon Ki Ghulami Ka Zamana

 

Maqsad Hai In Allah Ke Bandon Ka Magar Aik
Har Aik Hai Go Sharah-e-Maani Mein Yagana

 

‘Behtar Hai Ke Sheron Ko Sikha Dain Ram-e-Aahu
Baqi Na Rahe Sher Ki Sheri Ka Fasana’

 

Karte Hain Ghulamon Ko Ghulami Pe Razamand
Taveel-e-Masael Ko Banate Hain Bahana

 

 

Manasib
Government Jobs

Huwa Hai Band-e-Momin Fusooni-e-Afrang
Issi Sabab Se Qalandar Ki Ankh Hai Namnaak

 

Tere Buland Munasib Ki Khair Ho, Ya Rab!!
Ke In Ke Waste Tu Ne Kiya Khudi Ko Halak

 

Magar Ye Baat Chupaye Se Chup Nahin Sakti
Samajh Gyi Hai Isse Har Tabiat-e-Chalak

 

Shareek-e-Hukm Ghulamon Ko Kar Nahin Sakte
Khareedte Hain Faqt Un Ka Johar-e-Idraak

 

 

Khushamad
Flattery

Main Kaar-e-Jahan Se Nahin Aagah, Wa Lekin
Arbab-e-Nazar Se Nahin Poshida Koi Raaz

 

Kar Tu Bhi Hukumat Ke Wazeeron Ki Khushamd
Dastoor Naya, Aur Naye Dour Ka Aghaz

 

Maloom Nahin Hai Ye Khushamd Ke Haqiqat
Keh De Koi Allu Ko Agar ‘Raat Ka Shahbaz’!

 

 

Inqilab
Revolution

Na Asia Mein Na Yorap Mein Souz-o-Saaz-e-Hayat
Khudi Ki Mout Hai Ye, Aur Woh Zameer Ki Mout

 

Dilon Mein Walwala-e-Inqilab Hai Paida
Qareeb Aa Gyi Shaid Jahan-e-Peer Ki Mout!

 

 

Karl Marx Ki Awaz
The Voice Of Karl Marx

Ye Ilm-o-Hikmat Ki Muhra-Bazi, Ye Behas-o-Takrar Ki Namaesh
Nahin Hai Dunya Ko Ab Gawara Purane Afkaar Ki Namaesh

Your chess-match of research and erudition—Your comedy of debate and disputation!—
The world has no more patience left to watch this comedy of threadbare speculation.

Teri Kitabon Mein Ae Hakeem-e-Maash Rakha Hi Kya Hai Akhir
Khatoot-e-Khamdar Ki Namaesh, Maraiz-o-Kajdar Ki Namaesh

What after all, sapient economists, Is to be found in your biblification?
A comedy of your nicely‐flowing curves, A sort of Barmecidal invitation.

Jahan-e-Maghrib Ke Butkudon Mein Kaleesaon Mein, Madrason Mein
Hawas Ki Khoon Raiziyan Chupati Hai Aqal-e-Ayyar Ki Namaesh

 

Ishtrakiat
Communism

Qoumon Ki Rawish Se Mujhe Hota Hai Ye Maloom
Be Sood Nahin Roos Ki Ye Garmi-e-Raftar

From wont and ways of nations all these facts so clear with ease I learn,
The Russians seem to be in haste to gain the goal for which they yearn.

Andesha Huwa Shaukhi-e-Afkaar Pe Majboor
Farsooda Tareeqon Se Zamana Huwa Bezar

The world is red tip with the modes that arenʹt in vogue and are outworn;
My intellect, that was tame and mild much pert and insolent has grown.

Insaan Ki Hawas Ne Jinhain Rakha Tha Chupa Kar
Khule Nazar Aate Hain Batadreej Woh Asrar

These mysteries which the greed of man had kept in veils of stuff so coarse
Are step by step emerging now and coming forth by dint of force.

Quran Mein Ho Ghota-Zan Ae Mard-e-Musalman
Allah Kare Tujh Ko Atta Jiddat-e-Kirdar

O Muslim, dive deep in the Book,Which was revealed to Prophetsʹ Seal;
May God, by grace on you bestow politeness, for good deeds much zeal!

Jo Harf-e-‘Qulil-Affo’ Mein Poshida Hai Ab Tak
Iss Dour Mein Shaid Woh Haqiqat Ho Namoodar!

 

 

Raqs
Dancing

Choro Yourap Ke Liye Raqs-e-Badan Ke Kham-o-Paich
Rooh Ke Raqs Mein Hai Zarb-e-Kaleem-Ul-Lahi !

To Europe leave the dance of serpent limb:
The prophet’s power is born of the spirit’s dance.

Sila Uss Raqs Ka Hai Tashnagi-e-Kaam-o-Dahan
Sila Iss Raqs Ka Darveshi-o-Shehanshahi!

 

 

Zabt
Discipline

Tareeq-e-Ahl-e-Dunya Hai Gila Shikwah Zamane Ka
Nahin Hai Zakham Kha Kar Aah Karna Shaan-e-Darveshi

It is the mode of worldly men against the world to whine and groan;
It does not suit a dervish true, By Fate‐inflicted wounds to moan.

Ye Nukta-e-Peer-e-Dana Ne Mujhe Halwat Mein Samjhaya
Ke Hai Zabt-e-Faghan Sheri, Afghan Rubahi-o-Maishi!

 

Ijad-e-Ma’ani

Invention Of New Meanings

Har Chand Ke Aeejad-e-Maani Hai Khudad
Koshish Se Kahan Mard-e-Hunarmand Hai Azad !

It is a gift by God bestowed to coin fresh words with meanings new;
Yet skilful artist must work hard, As inborn trend is owned by few.

Khoon-e-Rag-e-Maamar Ki Garmi Se Hai Tameer
Maikhana-e-Hafiz Ho Ke Butkhana-e-Behzad

It is the heat in masonʹs blood who builds structures of various forms:
It may be Behzadʹs picture hall, or house of wine where Hafiz charms.

Be Mehnat-e-Peham Koi Johar Nahin Khulta
Roshan Sharer-e-Teesha Se Hai Khana-e-Farhad!

 

 

 

Raqs-o-Mausiqi
Dance And Music

Shair Se Roshan Hai Jaan-e-Jibreel-o-Ahrman
Raqs-o-Mausiqi Se Hai Souz-o-Suroor-e-Anjuman

The souls of Satan and Gabriel too from verse derive effulgence strong,
For dance and music both provide pathos and rapture for the throng.

Faash Yun Karta Hai Ek Cheeni Hakeem Asrar-e-Fan
Shair Goya Rooh-e-Mausiqi Hai, Raqs Uss Ka Badan!

 

 

Shair
Verse

Main Shair Ke Asrar Se Mehram Nahin Lekin
Ye Nukta Hai, Tareekh-e-Umam Jis Ki Hai Tafseel

I do not know the mysteries of poetry.
This point, however, is clear from the nation’s history.

Woh Shair Ke Paigham-e-Hayat-e-Abdi Hai
Ya Naghma-e-Jibreel Hai Ya Bang-e-Sarafeel!

Zauq-e-Nazar
Zest For Sight

Khudi Buland Thi Uss Khoon Garifta-Cheeni Ki
Kaha Ghareeb Ne Jallad Se Dam-e-Tazeer

How lofty was that Chinese’s self who for crime was condemned to death.
On eve of his beheading, he asked headsman, ʺStop for a span of breath!

Thehr Thehr Ke Bohat Dil Kasha Hai Ye Manzir
Zara Mein Dekh To Loon Taabnaaki-e Shamsheer

 

 

Mausiqi
Music

Woh Naghma Sardi-e-Khoon-e-Ghazal Sara Ki Daleel
Ke Jis Ko Sun Ke Tera Chehra Taabnaak Nahin

A song that fails to make your face glimmer and glow with joy and glee,
Shows that minstrelʹs blood is cold, His heart of heat and warmth is free.

Nawa Ko Karta Hai Mouj-e-Nafs Se Zahr Alood
Woh Ne Nawaz Ke Jis Ka Zameer Paak Nahin

That player on the flute who has a conscience much defiled, impure,
With puff of breath can make a tune replete with poison which hasnʹt cure.

Phira Mein Mashriq-o-Maghrib Ke Lala Zaron Mein
Kisi Chaman Mein Greban-e-Lala Chaak Nahin

 

 

Alam-e-Nau
New World

Zinda Dil Se Nahin Poshida Zameer-e-Taqdeer
Khawab Mein Dekhta Hai Alam-e-Nau Ki Tasveer

Decrees of Fate are not concealed from man whose heart throbbing seems:
He sees the image of New World in slumberous state, during dreams.

Aur Jab Bang-e-Zan Karti Hai Baidar Usse
Karta Hai Khawab Mein Dekhi Huwi Dunya Tameer

When prayer call at early morn transports him to Morpheusʹ domain,
He tries to build the world beheld with utmost might and utmost main.

Badan Uss Taza Jahan Ka Hai Ussi Ki Kaf-e-Khak
Rooh Iss Taza Jahan Ki Hai Ussi Ki Takbeer

 

 

Mard-e-Buzurg
The Great Man

Uss Ki Nafrat Bhi Umeeq, Uss Ki Muhabbat Bhi Umeeq
Qeher Bhi Uss Ka Hai Allah Ke Bandon Pe Shafeeq

His contempt has no bound his Loveʹs depth none can sound:
His wrath on men of God is tempered in manner odd.

Parwarish Pata Hai Taqleed Ki Tareeki Mein
Hai Magar Uss Ki Tabiat Ka Taqaza Takhleeq

Nurtured in mimicryʹs gloom, To tread like sheep his doom;
But he is much inclined to creative bent of mind.

Anjuman Mein Bhi Mayassar Rahi Khalwat Uss Ko
Shama-e-Mehfil Ki Tarah Sub Se Judda, Sub Ka Rafeeq

In midst of surging throng, He keeps aloof for long:
Like lamp, he lights the hall, But has not mate at all.

Misl-e-Khursheed-e-Sehar Fikr Ki Tabani Mein
Baat Mein Sada-o-Azadah, Ma’aani Mein Daqeeq

Faqr can like sun of morn with light the mead adorn:
Its speech is frank and free, Though meanings tenuous be.

Uss Ka Andaz-e-Nazar Apne Zamane Se Judda
Uss Ke Ahwal Se Mehram Nahin Peeran-e-Tareeq

 

 

 

 

Hunarwaran-e-Hind
India’s Artists

Ishq-o-Masti Ka Janaza Hai Takhiyyul Un Ka
In Ke Andaisha-e-Tareek Mein Qoumon Ke Mazar

Their opinions bury love and enthusiasm,
In their dark ideas is the tomb of nations.

Mout Ki Naqsh Gari In Ke Sanam Khanon Mein
Zindagi Se Hunar In Barhamanon Ka Bezar

In their temples they carve symbols of death,
The art of such Brahmins is disgusted with life.

Chashme-e-Adam Se Chupate Hain Maqamat-e-Buland
Karte Hain Rooh Ko Khawabida, Badan Ko Baidar

They conceal high goals from view;
They put the spirit to slumber and awaken the body.

Hind Ke Shayar-o-Sooratgar-o-Afsana Nawees
Ah, Becharon Ke Asaab Pe Aurat Hai Sawar!

 

 

 

Shair-e-Ajam
Persian Poetry

Hai Shair-e-Ajam Gharche Tarabnaak-o-Dil-Awaiz
Iss Shair Se Hoti Nahin Shamsheer-e-Khudi Taiz

The Persian Muse is mirthsome and heart‐easing,
No whetstone for the sword‐edge of the self.

Afsurda Agar Iss Ki Nawa Se Ho Gulistan
Behtar Hai Ke Khamosh Rahe Murgh-e-Sehar Khaiz

Better the song‐bird of the dawn be still,
Than by her notes lull flower-land into languor.

 

Woh Zarb Agar Koh Shikan Bhi Ho To Kya Hai
Jis Se Mutazalzal Na Huwi Doulat-e-Parviaz

What use the patient axe that hews through mountains
Yet leaves Parvez and his proud throne unscathed?

Iqbal Ye Hai Khara Tarashi Ka Zamana
‘Az Har Che Ba-Aaeena Nama-Yand Ba Parhaiz’

 

 

 

 

Shayar
The Poet

Mashriq Ke Neestan Mein Hai Muhtaj-e-Nafs Ne
Shayar! Tere Seene Mein Nafs Hai Ke Nahi Hai

In lands of East, the bed of reeds for pipe, the breath of minstrel needs;
O poet, let me this much know, ʺIf you have breath in breast, or no?

Taseer-e-Ghulami Se Khudi Jis Ki Huwi Naram
Achi Nahin Uss Qoum Ke Haq Mein Ajami Laiy

If nationʹs self grows too much weak by chains of bondage and much meek,
It need not hear the Persian strains, For these will only add to pains.

Sheeshe Ki Soorahi Ho Ke Mitti Ka Suboo Ho
Shamsheer Ki Manind Ho Taizi Mein Teri Mai

If flask of glass shines like the day, or is a pitcher made from clay:
Like sharpness of a sword of steel to palate must its relish feel.

Aesi Koi Dunya Nahin Aflak Ke Neeche
Be-Maarka Hath Aye Jahan Takht-e-Jim-o-Kai

There is no land or home on earth beneath this spinning azure dome,
Where one without great stress and strain the thrones of Jam and Kai may gain.

Har Lehza Naya Toor, Nayi Barq-e-Tajalli
Allah Kare Marhala-e-Shauq Na Ho Tai !

 

Fawwara
Fountain

Ye Aabju Ki Rawani, Ye Humkinari-e-Khak
Meri Nigah Mein Na-Khoob Hai Ye Nazzara

To own the flow of brook and meander on the earth
In gaze of mine hasnʹt charm and canʹt endow with mirth.

Udhar Na Dekh, Idhar Dekh Ae Jawan-e-Aziz
Buland Zor-e-Duroon Se Huwa Fawwara

 

 

 

Surood-e-Haraam
Unlawful Music

Na Mere Zikr Mein Sufiyon Ka Souz-o-Suroor
Na Mera Fikr Hai Pemana-e-Sawab-o-Azab

My remembrance lacks the warmth and zeal that mystics oft attain:
My thought is not a scale at all for deeds deserving need or pain.

Khuda Kare Ke Usse Ittefaq Ho Mujh Se
Faqeeh-e-Shehr Ke Hai Mehram-e-Hadees-o-Kitab

I wish that jurist of the town, Who knows the rules that Prophet taught
And is adept at Book revealed, To my own point of view be brought.

Agar Nawa Mein Hai Poshida Mout Ka Pegham
Haraam Meri Nigahon Mein Naye-o-Chang-o-Rubab!

 

 

Surood-e-Hilal
Lawful Music

Khul To Jata Hai Mughanni Ke Bam-o-Zeer Se Dil
Na Raha Zinda-o-Painda To Kya Dil Ki Kushood!

The bass and treble of minstrelʹs song much joy to human heart imparts:
What is the use of pleasure that is eʹer on wings and soon departs?

Hai Abhi Seena-e-Aflak Mein Oinhan Wo Nawa
Jis Ki Garmi Se Pighal Jaye Sitaron Ka Wujood

That melodious song is still unborn and is concealed in heavenʹs breast,
Whose intense heat may transform the solid stars to liquid form.

Jis Taseer Se Adam Ho Gham-o-Khof Se Pak
Aur Paida Ho Ayazi Se Maqam-e-Mehmood

A song that may have such results which set men free from grief and pain,
And makes Ayaz break slavish and learn like kings to rule and reign.

Mah-o-Anjum Ka Ye Hairat Kadah Baqi Na Rahe
Tu Rahe Aur Tera Zamzama-e-La-Mujood

Perplexing maze of moon and stars may flop down, leave their course:
O God, you shall last and the cry “God is Great,” uttered with much force.

Jis Ko Mashroo Samjhte Hain Faqeehan-e-Khudi
Muntazir Hai Kisi Mutarib Ka Abhi Tak Woh Surood!

 

 

Funoon-e-Latifa
Fine Arts

Ae Ahl-e-Nazar Zauq-e-Nazar Khoob Hai Lekin
Jo Shay Ki Haqiqat Ko Na Dekhe, Woh Nazar Kya

O people with observing eyes, a taste for observation is a good things,
But what good is observation if it does not see the inwardness of things?

Maqsood-e-Hunar Souz-e-Hayat-e-Abdi Hai
Ye Aik Nafs Ya Do Nafs Misl-e-Sharar Kya

The aim of art should be to generate a vital flame that never dies.
What use is a mere momentary spark?

Jis Se Dil-e-Darya Mutalatum Nahin Hota
Ae Qatra-e-Neesan Woh Sadaf Kya, Woh Guhar Kya

What good, O rain‐drop, if you do not agitate the bosom of the sea,
And are content to be a pearl lodged in a mother‐of‐pearl’s womb?

Shayar Ki Nawa Ho Ke Mughanni Ka Nafas Ho
Jis Se Chaman Afsurdah Ho Woh Baad-e-Sehar Kya

What good a breath of morning breeze, Whether as poet’s verse or singer’s air,
If it can only make the garden wilt?

Be-Maujaza Dunya Mein Ubharti Nahin Qoumain
Jo Zarb-e-Kaleemi Nahin Rakhta Woh Hunar Kya!

 

 

 

 

Musawwar
The Painter

Kis Darja Yahan Aam Huwi Marg-e-Takhiyyul
Hindi Bhi Farangi Ka Maqallad, Ajmi Bhi!

The death of fancy is so widely spread
That men of Pers and Ind by Franks are led.

Mujhe Ko To Yehi Gham Hai Ke Iss Dour Ke Behzad
Hko Baithe Hain Mashriq Ka Suroor-e-Azali Bhi

I feel sad that Behzads of modern time
Have lost Eastʹs rapture sweet and joy sublime.

Maloom Hain Ae Mard-Ehunar Tere Kamal
San’at Tujhe Ati Hai Purani Bhi, Nayi Bhi

O artist, of your talents I can tell,
You know the ancient crafts and new so well.

Fitrat Ko Dikhaya Bhi Hai, Dekha Bhi Hai Tu Ne
Aaeena-e-Fitrat Mein Dikha Apni Khudi Bhi!

 

 

 

Jalal-o-Jamal
Grandeur And Grace

Mere Liye Hai Faqt Zor-e-Haidari Kafi
Tere Naseen Flatoon Ki Taizi-e-Idraak

With Hyderʹs might and brawn I feel myself content
I wish you joy of wit, To you by Plato lent.

Meri Nazar Mein Yehi Hai Jamal-o-Zaibai
Ke Sar-Basajda Hain Quwwat Ke Samne Aflaak

This is the charm and grace in view of mine and sight
That heavens too prostrate before much main and might.

Na Ho Jalal To Husn-o-Jamal Be-Taseer
Nira Nafs Hai Agar Naghma Ho Na Atishnaak

Without great majestic, height grace is not of much use:
Song is mere puff of breath, If rapture canʹt produce.

Mujhe Saza Ke Liye Bhi Nahin Qabool Woh Aag
Ke Jis Ka Shaola Na Ho Tund-o-Sarkash-o-Bebaak!

 

 

 

Mirza Bedil

Hai Haqiqat Ya Meri Chashme-e-Ghalat-Been Ka Fasad
Ye Zameen, Ye Dasht, Ye Kuhsaar, Ye Charakh-e-Kubood

Is it a fact or delusion mere which has been caused by erring eye:
Do earth, hills, deserts vast exist, And is there any azure sky?.

Koi Kehta Hai Nahin Hai, Koi Kehta Hai Ke Hai
Kya Khabar, Hai Ke Nahin Hai Teri Dunya Ka Wujood!

Some aver that they do exist, Whereas some call their being untrue;
O God, it is very hard to find to truth or falsehood certain clue.

Mirza Bedil Ne Kis Khoobi Se Kholi Ye Girah
Ahl-e-Hikmat Par Bohat Mushkil Rahi Jis Ki Kushood

Bedil resolved this tangled knot with so much skill and manner nice,
Though sages and wise men of the past to undo this skein had no device.

“Dil Agar Maidashat Wussat Be Nishan Buwad Aen Chaman
Rang-e-Mai Beerun Nasheest Az Basika Meena Tang Bood”

 

Jiddat
Newness

Dekhe Tu Zamane Ko Agar Apni Nazar Se
Aflaak Munnawar Hon Tere Noor-e-Sehar Se

If you behold the world with gaze much bright,
Of you the sky may beg morning light.

Khursheed Kare Kasb-e-Zia Tere Sharar Se
Zahir Teri Taqdeer Ho Seemaye Qamar Se

The sun may beg light from gleam of your spark
Your Luck may shine, from moonʹs brow, mark!

Darya Mutalatum Hon Teri Mouj-e-Guhar Se
Sharminda Ho Fitrat Tere Ejaz-e-Hunar Se

The sea may swell with lustrous waves of gems,
Put world to shame with art that from you stems.

Aghyar Ke Afkar-o-Takhiyyul Ki Gadai!
Kya Tujh Ko Nahin Apni Khudi Tak Bhi Rasai?

 

 

Rumi

Galat-e-Nigar Hai Teri Chashm-e-Neem Baaz Ab Tak
Tera Wujood Tere Waste Hai Raaz Ab Tak

Your half‐shut eyes still fail to see
What subtle fact this life may be.

Tera Niaz Nahin Ashnaye Naaz Ab Tak
Ke Hai Qayam Se Khali Teri Namaz Ab Tak

Too meek to have a fondling will,
Devoid of Qiam your worship still.

Gasta Taar Hai Teri Khudi Ka Saaz Ab Tak
Ke Tu Hai Naghma-e-Tumi Se Be-Niaz Ab Tak!

 

 

Subah-e-Chaman
Dawn In The Garden

Phool
Flower

Shaid Tu Samajhti Thi Watan Door Hai Mera
Ae Qasid-e-Aflaak! Nahin, Door Nahin Hai

Perhaps you fancied My land is far off,
Sky‐herald! No, it is not far.

Shabnam
Dew

Hota Hai Magar Mehnat-e-Parwaz Se Roshan
Ye Nukta Ke Gurdoon Se Zameen Door Nahin Hai

But only laboring wings
Prove earth not far from heaven!

Subah
Dawn

Manind-e-Sahar Sehan-e-Gulistan Mein Qadam Rakh
Aye Teh-e-Paa Gohar-e-Shabnam Tou Na Tootte

Softly as morning, Enter this garden.
Not trampling its dewdrop pearls,

 

Ho Koh-o-Byaban Se Hum-Aghosh, Walekin
Hathon Se Tere Daman-e-Aflaak Na Choote!

 

Khaqani

Woh Sahib-e-‘Tohfa-Tul-Araqeen’
Arbab-e-Nazar Ka Qurratulain

Khaqani, the author of ‘Tuhfatularaqain’,
Is dear to those who truths can scan.

Hai Parda Shagaf Uss Ka Idaak
Parde Hein Tamam Chaak Dar Chaak

His wisdom is so sharp and keen,
From truths he can remove the screen.

Khamosh Hai Alam-e-Maani
Kehta Nahin Harf-e-‘Lan Tarani’!

With world of meanings he is free:
They dare not say “you can not see”
.

Puch Iss Se Ye Khaakdan Hai Kya Cheez
Hangama-e-Ae-o-Aan Hai Kya Cheez

Ask him what does this world imply,
Where does the cause or tumults lie?

Woh Mehram-e-Alam-e-Makafar
Ek Baat Mein Keh Gya Hai Sou Baat

He knows the world of requital well,
His maxims with much wisdom swell,

“Khud Buye Cheeneen Jahan Tawan Burd
Kabalees Bamanand-o-Bu-Al-Bashar Murd!”

 

 

 

Iqbal

Firdous Mein Rumi Se Ye Kehta Tha Sanayi
Mashriq Mein Abhi Tak Hai Wohi Kasa, Wohi Aash

In Eden Sinai to Rumi told that people living in the East,
Still eat their bread and beans from begging cups they have not made progress least.

Hallaj Ki Lekin Ye Rawayat Hai Ke Akhir
Ek Mard-e-Qalandar Ne Kiya Raaz-e-Khudi Faash

 

Makhlookat-e-Hunar
Creations Of Art

Hai Ye Firdous-e-Nazar Ahl-e-Hunar Ki Tamer
Fash Hai Chashm-e-Tamasha Pe Nihan Khan-e-Zaat

The craftsmen by their tact have built such works that Eden jealous make:
The eyes endowed with sight can see states hid that stir the heart and rake.

Na Khudi Hai, Na Jahan-e-Sehar-o-Sham Ke Dour
Zindagaani Ki Hareefana Kashakash Se Nijat

There is no self nor usual change of morn and night at all is found
The Muslims have got rid entire of combats and shun such a round.

Aah, Woh Kafir Bechara Ke Hain Uss Ke Sanam
Asr-e-Rafta Ke Wohi Toote Huwe Laat-o-Manaat!

Ali! the infidel poor still pays homage to his idols old
Though their broken state he knows, Yet on him they retain their hold.

Tu Hai Miyyat, Ye Hunar Tere Janaze Ka Imam
Nazar Ayi Hai Jise Marqad Ke Shabistan Mein Hayat!

 

 

 

 

Ahram-e-Misr
The Pyramids Of Egypt

Iss Dasht-e-Jigar Taab Ki Khamoshi Faza Mein
Fitrat Ne Faqt Rait Ke Teele Kiye Tameer

The quiet environs of this waste whose intense heat scalds the heart:
In forming only dunes of sand Nature has displayed its Art.

Ahram Ki Azmat Se Nugoon Saar Hain Aflaak
Kis Hath Ne Khainchi Ab Abdiat Ki Ye Tasveer!

The grandeur of these pyramids puts lofty heavens to disgrace
What hand did build, design and frame, They seem attired in lasting grace?

 

Fitrat Ki Ghulami Se Kar Azad Hunar Ko
Sayyad Hain Mardan-e-Hunarmand Ke Nakhcheer

 

Naseem-o-Shabnam
Breeze And Dew

Naseem
Breeze

Anjum Ki Faza Tak Na Huwi Meri Rasai
Karti Rahi Main Pairhan-e-Lala-o-Gul Chaak

I could not find access to tracts where stars like pendent lamps do shine:
Tearing vest of tulips and the rose was main and foremost duty mine.

Majboor Huwi Jati Hun Main Tark-e-Watan Par
Be-Zauq Hain Bulbul Ki Nawa Haye Tarab Naak

I feel an inner urge so great to bid farewell to home and depart:
For joyful songs of nightingale, No zeal or zest to me impart.

Donon Se Kiya Hai Tujhe Taqdeer Ne Mehram
Khak-e-Chaman Achi Ke Sara Parda-e-Aflaak!

O dew, Godʹs will has made you know full well, both park and heavens high:
What is more precious in your eyes, The dust of park or dome of sky?

Shabnam
Dew

Khainchain Na Agar Tujh Ko Chaman Ke Khs-o-Khashak
Gulshan Bhi Hai Ek Sir-e-Sara Parda-e-Aflaak

 

 

 

Surood
Melody

Aya Kahan Se Nala-e-Ne Mein Suroor-e-Mai
Asal Uss Ki Ne Nawaz Ka Dil Hai Ke Chob-e-Ne!

Whence does the zest of liquor come in mournful tune of hollow reed:
Is its main‐spring the playerʹs heart, or does it from the pipe proceed?

Dil Kya Hai, Uss Ki Masti-o-Quwwat Kahan Se Hai
Kyun Iss Ki Nigah Ulati Hai Takht-e-Ke

What is the source of heartʹs great might, Wherefore to rapture it is prone:
How does it topple with a glance the firm and mighty Achamenian throne?

Kyun Is Ski Zindagi Se Hai Aqwam Mein Hayat
Kyun Iss Ke Wardat Badalte Hain Pe Ba Pe

Why does the heart bestow fresh life on nations on verge of decline:
Why do its states have constant change, Are points that no one can divine?

Kya Baat Hai Ke Sahib-e-Dil Ki Nigah Mein
Jachti Nahin Hai Saltanat Rome-o-Sham-o-Re

Why is it that in eyes of man on whom God has bestowed a heart,
The realms of Syria, Rome and Rayy are fake effects in the mart?

Jis Roz Dil Ki Ramz Mughanni Samajh Gya
Samjho Tamam Marhala Haye Hunar Hain Tae

 

 

Wujood
Being

Ae Ke Hai Zair-e-Falak Misl-e-Sharar Teri Numood
Kon Samjhaye Tujhe Kya Hain Maqamat-e-Wujood!

O man, your stay and show beneath the sky, Is short and brief, like spark, that parts from flame:
Who can make man detect this fact so clear that being of man enjoys high rank and name?

Gar Hunar Mein Nahin Tameer-e-Khudi Ka Johar
Waye Soorat-Gari-o-Shairi-o-Naaye-o-Surood

If craftsmanship of man is quite devoid of gift and tact the self to form and frame,
Alas! such art and music of the flute are naught but source of much disgrace and shame.

Maktab-o-Mai Kudah Juz Dars-e-Naboodan Nadhund
Boodan Amoz Ke Hum Bash-o-Hum Khawahi Bood

 

Ghazal

Darya Mein Moti, Ae Mouj-e-Bebaak
Sahil Ki Soughat! Khar-o-Khs-o-Khaak

O fearless wave, at bed of river gems are found.
What are the gifts of coast? There dust and thorns abound.

Mere Sharar Mein Bijli Ke Johar
Lekin Neestan Tera Hai Namnaak

The temper of lightning flash that darts, my spark contains,
But still your bed of reeds is moist and sap retains.

Tera Zamana, Taseer Teri
Nadan, Nahin Ye Taseer-e-Aflaak

The age in which you live is influenced by you:
To spheres that ever spin, It can no way be due.

Aesa Junoon Bhi Dekha Hai Main Ne
Jis Ne Siye Hain Taqdeer Ke Chaak

I have come ʹcross in life men with such craze and pluck;
They could darn with much ease the rents produced by Luck.

Kamil Wohi Hai Rindi Ke Fan Main
Masti Hai Jis Ki Be-Minnat-e-Taak

That man is toper fine,Who owes, no debt to wine:
Such men are very few, They raise no cry or hue.

Rakhta Hai Ab Tak Maikhana-e-Sharq
Woh Mai Ke Jis Se Roshan Huwa Idraak

The East has taverns still where you can find such wine,
Which makes perception dull with grandeur gleam and shine.

Ahl-e-Nazar Hain Yourap Se Numeed
In Ummaton Ke Batin Nahin Paak

 

 

 

Ahl-e-Hunar Se
To The Artists

Mehr-o-Mah-o-Mushtari, Chand Nafs Ka Farogh
Ishq Se Hai Paidar Teri Khudi Ka Wujood

Sun, moon and Jupiter shine their hour;
Your self burns on, fed by Love’s power.

Tere Haram Ka Zameer Aswad-o-Ahmar Se Paak
Tang Hai Tere Liye Surkh-o-Spaid-o-Kubood

Your creed knows nothing of race or hue:
No credit in white or black, or blue!

Teri Khudi Ka Ghayaab Maarka-e-Zikr-o-Fikr
Teri Khudi Ka Huzoor Alam-e-Shair-o-Surood

Where selfhood droops, doubts fight ding‐dong;
Where it blooms—a world of verse and song!

Rooh Agar Hai Teri Ranj-e-Ghulami Se Zaar
Tere Hunar Ka Jahan Dair-o-Tawaf-o-Sujood

If your soul rot under slavery’s blight,
Your art an idolater’s soulless rite;

Aur Agar Bakhabar Apni Sharafat Se Ho
Teri Sipah Ins-o-Jinn, Tu Hai Ameer-e-Junood!

 

 

 

Nigah-e-Shauq
Eager Glance

Ye Kainat Chupati Nahin Zameer Apna
Ke Zarre Zarre Mein Hai Zauq-e-Ashkarayi

Contents of soul this world can not conceal,
For every mote has longing to reveal:

Kuch Aur Hi Nazar Ata Hai Karobar-e-Jahan
Nigah-e-Shauq Agar Ho Shareek-e-Beenai

The course of life somewhat distinct appears,
If eager looks and sight become corn‐peers.

Issi Nigah Se Mehkoom Qoum Ke Farzand
Huwe Jahan Mein Sazawar-e-Kaar Farmayi

The members of a subject race by dint of glance, its gloss and grace,
The glance has might to cause defeat, It has the strength, its foes to beat:

Issi Nigah Mein Hai Qahiri-o-Jabari
Issi Nigah Mein Hai Dilbari-o-Raanai

We see through glance great charm and grace, It brings the lovers face to face.
Have acquired the right and claim to rule and get renown and fame.

Issi Nigah Se Har Zarre Ko, Junoon Mera
Sikha Raha Hai Reh-o-Rasm-e-Dasht-e-Pemai

Through self‐same glance my craze imparts to motes and their most inner parts,
The wont and mode of wandering tramps, Who pay no heed to need of camps

Nigah-e-Shauq Mayassr Nahin Agar Tujh Ko
Tera Wujood Hai Qalb-o-Nazar Ki Ruswai

 

Umeed
Hope

Muqabala To Zamane Ka Khoob Karta Hun
Agarche Main Na Sipahi Hun Ne Ameer-e-Junood

With courage great a war I wage against evils of the present age:
I do not bear a fighterʹs name, To chieftainship I lay no claim.

Mujhe Khabar Nahin Ye Shayari Hai Ya Kuch Aur
Atta Huwa Hai Mujhe Zikr-o-Fikr-o-Jazb-o-Suroor

God has bestowed on me since long his praise, reflection, charm and song.
The flood of light that makes its show on true and faithful Muslimʹs brow:

Jabeen-e-Banda-e-Haq Mein Numood Hai Jis Ki
Ussi Jalal Se Labraiz Hai Zameer-e-Wujood

With grandeur same is quite replete
that fills beingʹs soul and makes complete.

Ye Kafiri To Nahin, Kafiri Se Kam Bhi Nahin
Ke Mard-e-Haq Ho Giraftar-e-Hazir-o-Mujood

You do not call it unbelief, No less it is than disbelief:
That truthful man may get content I with today, for change show no intent.

Ye Kafiri To Nahin, Kafiri Se Kam Bhi Nahin
Ke Mard-e-Haq Ho Giraftar-e-Hazir-o-Mujood

 

 

 

 

Shua-e-Umeed
Ray Of Hope

 

Suraj Ne Diya Apni Shuaon Ko Ye Pegham
Dunya Hai Ajab Cheez, Kabhi Subah Kabhi Sham

The sun conveyed this message to its rays
ʺWhat wonder great, the change of nights and days!

Muddat Se Tum Awara Ho Pehnaye Faza Mein
Barhti Hi Chali Jati Hai Be-Mehri-e-Ayyam

You have been rambling since aeons in space,
But hate among men is increasing pace.

Ne Rait Ke Zarron Pe Chamakne Mein Hai Rahat
Ne Misl-e-Saba Tof-e-Gul-o-Lala Mein Aram

To shine on sand affords no pleasure sound,
Nor peace, like breeze in making flowerʹs round.

Phir Mere Tajalli Kudah-e-Dil Mein Sama Jao
Choro Chamanistan-o-Byaban-o-Dar-o-Baam

Be lost in fount of light that gave you birth,
Forsake the park, the waste, the roof and earthʺ.

 

Afaaq Ke Har Goshe Se Uthti Hain Shuaen
Bichre Huwe Khursheed Se Hoti Hain Hum Aghosh

The rays rise from every nook of space,
Make haste to take the sun in fond embrace.

Ek Shor Hai, Maghrib Mein Ujala Nahin Mumkin
Afrang Machinon Ke Duhwain Se Hai Sayah Posh

Loud roar persists, there canʹt be light in West,
For smoke makes West enrobed in able vest.

Mashriq Nahin Go Lazzat-e-Nazara Se Mehroom
Lekin Sifat-e-Alam-e-Lahoot Hai Khamosh

Though East is not bereft of inner light,
Yet quiet of tomb prevails like Celestial Height.

Phir Hum Ko Ussi Seena-e-Roshan Mein Chupa Le
Ae Mehr-e-Jahan Taab! Na Kar Hum Ko Faramosh

O sun that light the world keep us in mind,
Hide us in breast so bright and kind.

 

Ek Shoukh Kiran, Shoukh Misal-e-Nigah-e-Hoor
Aram Se Farigh, Sift-e-Jouhar-e-Seemab

A shameless ray as proud as houriʹs glance
Bereft of rest, like mercury eʹer at dance,

Boli Ke Mujhe Rukhsat-e-Tanveer Atta Ho
Jab Tak Na Ho Mashriq Ka Har Ek Zarra Jahan Taab

Implored the sun to let it spread its light
Till every mote of East grows lustrous bright.

Choron Gi Na Main Hind Ki Tareek Faza Ko
Jab Tak Na Uthain Khawab Se Mardan-e-Garan Khawab

The dark surroundings of Hind it wonʹt forsal
Till natives sunk in slumber do not wake.

Khawar Ki Umeedon Ka Yehi Khak Hai Markaz
Iqbal Ke Ashkon Se Yehi Khak Hai Seerab

The hopes of Orient on this region hinge,
The tears that Iqbal sheds on it impinge.

Chashm-e-Mah-e-Parveen Hai Issi Khak Se Roshan
Ye Khak Ke Hai Jis Ka Khazaf Raiza Dur-e-Naab

The moon and Pleiades get light from this land,
Its stones are costlier than gems of purest brand.

Iss Khak Se Uthte Hain Woh Ghawwas-e-Maani
Jin Ke Liye Har Behar-e-Pur Aashob Hai Payab

It has produced men who hid sense can see,
With utmost ease can cross the swollen sea.

Jis Saaz Ke Naghmon Se Hararat Thi Dilon Mein
Mehfil Ka Wohi Saaz Hai Begana-e-Mizrab

The harp whose music warmth to gathering lent
The plectrum alien is with force quite spent.

Butkhane Ke Darwaze Pe Sota Hai Barhman
Taqdeer Ko Rota Hai Musalman Teh-e-Mehrab

The Brahman guards the fane and sleeps at gate,
The Muslim in mosqueʹs niche bewails his fate.

Mashriq Se Ho Bezar, Na Maghrib Se Hazar Kar
Fitrat Ka Ishara Hai Ke Har Shab Ko Sehar Kar !

 

Tiyatar
Theatre

Teri Khudi Se Hai Roshan Tera Hareem-e-Wujood
Hayat Kya Hai, Ussi Ka Suroor-o-Souz-o-Sabat

Your beingʹs sanctum gets from self its inner light:
Save zeal and firm resolve naught can make life eʹer bright.

Buland Tar Mah-o-Parveen Se Hai Ussi Ka Maqam
Ussi Ke Noor Se Paida Hain Tere Zaat-o-Sifat

Its rank is higher than the Pleiades and the moon:
Your essence and its gifts are egoʹs greatest boon.

Harem Tera, Khudi Ghair Ki ! Maaz Allah
Dobara Zinda Na Kar Karobar-e-Laat-o-Manat

God save that alien self seek shelter in your shrine!
The creed of idols shun, Donʹt desecrate house divine.

Yehi Kamal Hai Tamseel Ka Ke Tu Na Rahe
Raha Na Tu To Na Souz-e-Khudi , Na Saaz-e-Hayat

 

 

 

Masjid-e-Quwwat-Ul-Islam
Might Of Islam Mosque

Hai Mere Seena Be-Noor Nein Ab Kya Baqi
‘La Ilaha’ Murda-o-Afsurda-o-Be-Zauq-e-Namood

Now naught remains in Muslimʹs breast, His heart devoid of glint and glow:
He avowed with zeal ʹNo God but He,ʹ But dead and cold the zeal for show.

Chashme-e-Fitrat Bhi Na Pehchan Sake Gi Mujh Ko
Ke Ayazi Se Digargoon Hai Maqam-e-Mehmood

The Muslimʹs state has so declined that Nature fails to know at sight,
Because the slavish acts of Ayaz have put Mahmudʹs high rank in plight.

Kyun Musalman Na Khajal Ho Teri Sangeeni Se
Ke Ghulami Se Huwa Misl-e-Zujaj Iss Ka Wujood

You have withstood the ruin of Time and kept your ground as firm as rock.
Constraint has turned the Muslims weak, You put them all to shame and shock.

Hai Teri Shan Ke Shayan Ussi Momin Ki Namaz
Jis Ki Takbeer Mein Ho Maarka-e-Bood-o-Nubood

The worship of such Muslims suits your structure immense and so vast,
Who with one breath that ‘God is Great’ find truth and lies away cast.

Ab Kahan Mere Nafs Mein Woh Hararat, Woh Gudaz
Be Tab-o-Taab-e-Duroon Meri Salat Aur Durood

The Muslimʹs breast is quite bereft of previous heat and ardour strong:
His blessings, worship are devoid of innate heat and fret since long.

Hai Meri Bang-e-Azan Mein Na Bulandi, Na Shikwa
Kya Gawara Hai Tujhe Aese Musalman Ka Sujood?

 

 

Nigah
Vision

Bahar-o-Qafla-e-Lala Haye Sehrayi
Shabab-o-Masti-o-Zauq-o-Suroor-o-Raanai !

The Spring has come with tulips wild, They seem like carvans on the move:
The youth, their charm and ecstatic joy of colossal worth and value prove.

Andheri Raat Mein Ye Chashmkeen Sitaron Ki
Ye Behar, Ye Falak-e-Neelgun Ki Pehnayi!

The sea that has no bound or marge, And azure sky that seems so high,
When pitch dark night has upper hand, They gleam and glint like stars in sky.

Safar Uroos-e-Qamar Ka Umaari-e-Shab Mein
Tulu-e-Mehar-o-Sukoot-e-Sipihr-e-Meenai !

How nice the bride‐like moon appears, While touring sky in van of night!
At morn, the sun presents a scene much grand in sky so blue and bright.

Nigah Ho To Bahaye Nazara Kuch Bhi Nahin
Ke Bechti Nahin Fitrat Jamal-o-Zaibai

One must have eyes to see these sights which vie with each in bloom and grace:
For Nature is not wont to sell the charm appearing on her face.

 

 

Adabiat
Literature

Ishq Ab Pairwi-e-Aqal-e-Khudadad Kare
Aabru Koocha-e-Janana Mein Na Barbad Kare

Now Love from mind must take the lead, By God bestowed on human race:
To dear oneʹs lane it must not go and bring with haste on head disgrace.

Kuhna Paikar Mein Nayi Rooh Ko Abad Kare
Ya Kuhan Rooh Ko Taqleed Se Azad Kare

 

Paris Ki Masjid
Paris Mosque

Meri Nigah Kamal-e-Hunar Ko Kya Dekhe
Ke Haq Se Ye Haram-e-Maghrabi Hai Begana

What should my eyes, but an architect’s Nimbleness,
See in this shrine of the West? It knows nothing of God.

Haram Nahin Hai, Farangi Karishma Bazon Ne
Tan-e-Haram Mein Chupa Di Hai Rooh-e-Butkhana

Mosque?—the Frankish illusionists
Have smuggled into the carcass of a shrine, an idol‐hall’s soul!

Ye But-Khuda Unhi Gharat Garon Ki Hai Tamer
Damishq Hath Se Jin Ke Huwa Hai Weerana

 

 

 

Apne Shair Se
To My Poem

Hai Gilla Mujh Ko Teri Lazzat-e-Paidai Ka
Tu Huwa Fash To Hain Ab Mere Asrar Bhi Fash

I must complain of your self‐flaunting airs—
My secrets, when you go unveiled, lie bare.

Shoale Se Toot Ke Misl-e-Sharar Awara Na Reh
Kar Kisi Seena-e-Pur Souz Mein Khalwat Ki Talash!

 

 

 

Junoon
Madness

Zujaj Gar Ki Dukan Shairi-o-Mullai
Sitam Hai, Khwar Phire Dasht-o-Dar Mein Diwana?

Poets and priestly class denote and show the shops of those who blow the glass.
What pity! the mad frequents the wilds and lanes to smash these shops, this way he does not pass.

Kise Khabar Ke Junoon Mein Kamal Aur Bhi Hain
Karain Agar Isse Koh-o-Qamar Se Begana

Few know that madness can with ease display a myriad crafts, accomplishments and skill,
Provided one can completely wean it of the wastes and deserts, from gorge and hill.

Hujoom-e-Madrasa Bhi Saaz Gaar Hai Iss Ko
Ke Iss Ke Waste Lazim Nahin Hai Weerana

 

 

 

 

Takhleeq
Creation

Jahan-e-Taza Ki Afkar-e-Taza Se Hai Namood
Ke Sang-o-Khisht Se Hote Nahin Jahan Paida

New worlds derive their pomp from thoughts quite fresh and new
From stones and bricks a world was neither built nor grew.

Khudi Mein Doobne Walon Ke Azam-o-Himmat Ne
Iss Aabjoo Se Kiye Behar-e-Bekaran Paida

The firm resolve of those, Who depths of self explore,
Transforms this stream to sea that has no marge or shore.

Wohi Zamane Ki Gardish Pe Ghalib Ata Hai
Johar Nafs Se Kare Umar-e-Javidan Paida

The fellow same is lord of freaks of fate and strife,
Who with eʹery breath he draws creates an eternal life.

Khudi Ki Mout Se Mashriq Ki Sarzameenon Mein
Huwa Na Koi Khudai Ka Raazdan Paida

The death of self has made the lands of East effete:
Men who Godʹs secrets share in these realms are deplete.

Hawaye Dasht Se Booye Rafaqat Ati Hai
Ajab Nahin Ke Hon Mere Hum Anan Paida

 

 

 

 

Deen-o-Hunar
Religion And Crafts

Surood-o-Shair-o-Siasat, Kitab-o-Deen-o-Hunar
Guhar Hain Un Ki Girah Mein Tamam Yakdana

Music, religion, politics, knowledge, art
Have all in their possession matchless pearls.

Zameer-e-Banda-e-Khaki Se Hai Namood Un Ki
Buland Tar Hai Sitaron Se Un Ka Kashana

They emanate from the mind of a creature made of dust,
But higher than the stars is their abode.

Agar Khudi Ki Hifazat Karain To Aen-e-Hayat
Na Kar Sakain To Sarapa Fusoon-o-Afsana

If they protect the ego, they are life itself;
If they cannot, they are mere magic and false tales.

Huwi Hai Zair-e-Falak Ummaton Ki Ruswayi
Khdui Se Jab Adab-o-Deen Huwe Hain Begana

 

 

 

Johar-e-Mardayan Hota Hai Be Minnat-e-Ghair

 

 

Johar-e-Mardayan Hota Hai Be Minnat-e-Ghair
Ghair Ke Hath Mein Hai Johar-e-Aurat Ki Namood

The spirit of man can display its self without obligation to another,
But the spirit of woman cannot fully reveal its self without another’s help.

Raaz Iss Ke Tap-e-Gham Ka Yehi Nukta-e-Shauq
Atisheen, Lazzat-e-Takhleeq Se Hai Iss Ka Wujood

Her desire is the secret of her fever of sorrow:
Her existence is full of fire with the wish to create.

Khule Jate Hain Issi Aag Se Asrar-e-Hayat
Garam Issi Aag Se Hai Maarka-e-Bood-o-Nabood

Here is the fire which opens the secrets of life;
That is the heat which sustains the struggle between to be and not to be.

Mein Bhi Mazloomi-e-Niswan Se Hun Gham-Naak Bohat
Nahin Mumkin Magar Iss Uqda-e-Mushkil Ki Kushood!

 

Aurat Aur Taleem
Education And Women

Tehzeeb-e-Farangi Hai Agar Marg-e-Umoomat
Hai Hazrat-e-Insan Ke Liye Iss Ka Samar Mout

If Frankish culture blights the motherly urge,
For human race it means a funeral dirge.

Jis Ilm Ki Taseer Se Zan Hoti Hai Na-Zan
Kehte Hain Ussi Ilm Ko Arbab-e-Nazar Mout

The lore that makes a woman lose her rank
Is naught but death in eyes of wise and frank.

Begana Rahe Deen Se Agar Madrasa-e-Zan
Hai Ishq-o-Mohabbat Ke Liye Ilm-o-Hunar Mout

 

 

Aurat Ki Hifazat
Protection Of The Weaker Vessel

Ek Zinda Haqiqat Mere Seene Mein Hai Mastoor
Kya Samjhe Ga Woh Jis Ki Ragon Mein Hai Lahoo Sard

A fact alive is in my breast concealed,
He can behold whose blood is not congealed.

Ne Parda, Na Taleem, Nayi Ho Ke Purani
Niswaniyat-e-Zan Ka Nigheban Hai Faqt Mard

To wear a veil and learn new lore or old,
Canʹt guard fair sex except a person bold.

Jis Qoum Ne Iss Zinda Haqiqat Ko Na Paya
Uss Qoum Ka Khursheed Bohat Jald Huwa Zard

 

 

 

Iss Behas Ka Kuch Faisla Main Kar Nahin Sakta
Go Khoob Samajhta Hun Ke Ye Zaher Hai, Woh Qand

I know quite well that one despoils, While other is like candy sweet:
I can not give a verdict true which needs of Quest can fully meet.

Kya Faida, Kuch Keh Ke Banon Aur Bhi Maatob
Pehle Hi Khafa Mujh Se Hain Tehzeeb Ke Farzand

I like to make no more remark and earn the wrath of present age:
Already the sons of modern cult ʹGainst me are full of ire and rage.

Iss Raaz Ko Aurat Ki Baseerat Hi Kare Faash
Majboor Hain, Maazoor Hain, Mardan-e-Khirdmand

The insight owned by woman can this subtle point with ease reveal:
Constrained and helpless, wise and sage, With knotty point they can not deal.

Kya Cheez Hai Araish-o-Qeemat Mein Zaida
Azadi-e-Niswan Ke Zumurd Ka Gluband !

 

 

Kya Faida, Kuch Keh Ke Banon Aur Bhi Maatob
Pehle Hi Khafa Mujh Se Hain Tehzeeb Ke Farzand

I like to make no more remark and earn the wrath of present age:
Already the sons of modern cult ʹGainst me are full of ire and rage.

Iss Raaz Ko Aurat Ki Baseerat Hi Kare Faash
Majboor Hain, Maazoor Hain, Mardan-e-Khirdmand

The insight owned by woman can this subtle point with ease reveal:
Constrained and helpless, wise and sage, With knotty point they can not deal.

Kya Cheez Hai Araish-o-Qeemat Mein Zaida
Azadi-e-Niswan Ke Zumurd Ka Gluband !

 

 

 

Aurat
Woman

Wujood-e-Zan Se Hai Tasveer-e-Kainat Mein Rang
Issi Ke Saaz Se Hai Zindagi Ka Souz-e-Darun

The picture that this world presents from woman gets its tints and scents:
She is the lyre that can impart pathos and warmth to human heart.

Sharaf Mein Barh Ke Sureya Se Musht-e-Khak Iss Ki
Ke Har Sharaf Hai Issi Durj Ka Dur-e-Makoon

Her handful clay is superior far to Pleiades that so higher are
For every man with knowledge vast, Like gem out of her cask is cast.

Makalat-e-Falatoon Na Likh Saki, Lekin
Issi Ke Shole Se Toota Sharaar-e-Aflatoon

 

Khalwat
Solitude

Ruswa Kiya Iss Dour Ko Jalwat Ki Hawas Ne
Roshan Hai Nigah, Aaeena-e-Dil Hai Mukaddar

(Mukaddar = Maila, Gadla)

Much greed for show and fame has put this age to shame:
The glance is bright and clear, Heartʹs mirror, but is blear.

Barh Jata Hai Zauq-e-Nazar Apni Hadon Se
Ho Jate Hain Afkar Paraganda-o-Abtar

When zeal and zest for sight exceed their greatest height,
Thoughts soar to highest point and soon are out of joint.

Aghosh-e-Sadaf Jis Ke Naseebon Mein Nahin Hai
Woh Qatra-e-Neesan Kabhi Banta Nahin Gohar

That vernal drop of rain the state of pearl canʹt gain
If destined not to dwell, In lap of mother shell.

Khalwat Mein Khudi Hai Khudgeer, Walekin
Khalwat Nahin Ab Dair-o-Haram Mein Bhi Muyassar

 

Parda
Veil

Bohat Rang Badle, Sipihr-e-Bareen Ne
Khudaya Ye Dunya Jahan Thi, Wahin Hai

(Sipihr = Aasman)

Great change the lofty spheres have met,
O God! the world has not budged as yet.

Tafawuf Na Dekha Zan-o-Sho Mein Main Ne
Woh Khalwat Nasheen Hai, Ye Khalwat Nasheen Hai

In man and wife is no contrast,
They like seclusion and hold it fast.

Abhi Tak Hai Parde Mein Aulad-e-Adam
Kisi Ki Khudi Ashakara Nahin Hai

 

 

 

Aik Sawal
A Question

Koi Puche Hakeem-e-Yourap Se
Hind-o-Yunan Hain Jis Ke Halqa Bagosh

Ask the wise men of Europe, who have hung
Their ring in the nose of Greece and Hindustan:

Kya Yehi Hai Maasharat Ka Kamal
Mard Bekaar-o-Zan Tehi Aagosh !

 

 

 

Aurat
Woman

Mard-e-Farang
The Frankish Man

Hazar Bar Hakeemon Ne Iss Ko Suljhaya
Magar Ye Masla-e-Zan Raha Wahin Ka Wahin

To solve this riddle thinkers have much tried,
Their efforts all so far it has defied.

Qasoor Zan Ka Nahin Hai Kuch Iss Kharabi Mein
Gawah Iss Ki Sharafat Pe Hain Mah-o-Parveen

No doubt, to womanʹs faith and conduct clear,
The Pleiades and moon do witness bear.

Fasad Ka Haifarangi Maasharat Mein Zahoor
Ke Mard Sada Hai Bechara Zan Shanas Nahin

 

 

 

Javed Se
To Javid

 

Gharat Gar-e-Deen Hai Ye Zamana
Hai Uss Ki Nihad Kafirana

The present age destroys the faith and creed,
Like pagans has a bent of mind indeed.

Darbar-e-Shehenshi Se Khaushtar
Mardan-e-Khuda Ka Astana

The threshold of a saint is higher far
Than court of worldly king or mighty Czar.

Lekin Ye Dour-e-Sahiri Hai
Andaz Hain Sub Ke Jadooana

It is a period full of magic art,
With spell so strong all play their part.

Sar Chashma-e-Zindagi Huwa Khushk
Baqi Hai Kahan Mai-e-Shabana

The fount and source of life is parched and dry,
No more the wine of gnosis can supply.

Khali Un Se Huwa Dabistan
Thi Jis Ki Nigah Taziyana

The shrines are empty of such saintly folk,
Whose glance good manners taught with single stroke.

Jis Ghar Ka Magar Charagh Hai Tu
Hai Uss Ka Mazaq Arifana

The house, your presence illumes like a lamp,
Has mystic trend in veins and bears its stamp.

Johar Mein Ho ‘LA ILAH’ To Kya Khof
Taleem Ho Go Farangiyana

If essence of Godʹs Oneness be in heart,
The lore of Franks can cause no harm or smart.

Shakh-e-Gul Par Chehak Wa-Lekin
Kar Apni Khudi Mein Ashiyana!

On rose twigs chirp, for long there do not rest,
In selfhood you must seek your home and nest.

Woh Behar Hai Admi Ke Jis Ka
Har Qatra Hai Behar-e-Baikarana

A man is ocean that is vast and free,
Its every drop is like the boundless sea.

Dehqan Agar Na Ho Tan Asan
Har Dana Hai Sad Hazar Dana

If peasant is not charmed with life of ease,
A seed can yield a thousand‐fold increase.

“Ghafil Mansheen Na Waqt-e-Bazi Sat
Waqt-e-Hunar Ast-o-Kaar Saazi Sat”

I donʹt sit like sluggards and indulge in play,
It is time for your craft and skillʹs display.

 

Seene Meinagar Na Ho Dil-e-Garam
Reh Jati Hai Zindagi Mein Khami

If heart with love of God is not replete,
The life of man remains quite incomplete.

Nakhcheer Agar Ho Zeerak-o-Chust
Ati Nahin Kaam Kuhna Dami

If quarry is wise acute and bold,
It can not be trapped by hunters old.

Hai Aab-e-Hayat Issi Jahan Mein
Shart Iss Ke Liye Hai Tashna Kami

The Fount of Life in wordly life is found,
Provided you have a thirst quite true and sound.

Ghairat Hai Tareeqat-e-Haqiqat
Ghairat Se Hai Faqr Ki Tamami

Your envy for Faith is mystic course indeed,
For growth of faqr a lot of zeal you need.

Ae Jaan-e-Padar! Nahin Hai Mumkin
Shaheen Se Tadaro Ki Ghulami

My darling son, I see no chance at all
That hawk will like to turn a pheasantʹs thrall.

Nayab Nahin Mataa-e-Guftar
Sad Anwari-o-Hazar Jami

There is no dearth of goods, called verse or rhyme,
There are hundreds of poets much sublime.

Hai Meri Bisat Kya Jahan Mein
Bus Aik Faghan-e-Ziar Bami

My reach and might in world is this alone
That ʹneath the roof I cry, complain and groan.

Ek Sidq-e-Maqal Hai Ke Jis Se
Main Chashm-e-Jahan Mein Hun Garami

In speaking truth I am much bold and frank,
In eyes of men I hold a lofty rank.

Allah Ki Dayn Hai, Jis De
Miras Nahin Buland Nami

A son can not acquire his sireʹs renown,
Unless His grace by Mighty Lord is shown.

 

Apne Noor-Enazar Se Kya Khoob
Farmate Hain Hazrat-e-Nizami

Nizami, the poet great of Persian tongue,
Gave counsel wise to son who still was young:

“Jaye Ke Buzurg Bayadat Bood
Farzandi Man Nadaradat Sood”

“On occasions where your greatness must prevail
Your lineage there wonʹt be of much avail.

 

Momin Pe Garan Hain Ye Shab-o-Roz
Deen-o-Doulat, Qimar Bazi !

The days and nights a Muslimʹs toils enhance:
Both creed and rule are like a game of chance.

Na-Paid Banda-e-Amal Mast
Baqi Hai Faqt Nafas Darazi

Men drunk with zeal for deeds nowhere are found,
The rest are fond of talk with idle sound.

Himmat Ho Agar To Dhoond Woh Faqr
Jis Faqr Ki Asal Hai Hijazi

If you have courage great and ample force,
Seek such faqr which in Hijaz has its source.

Uss Faqr Se Admi Mein Paida
Allah Ki Shan-e-Be-Niazi

This brand of faqr such virtues great can grant
That make man, like God, free from every want.

Kunjishak-o-Hamam Ke Liye Mout
Hai Uss Ka Maqam Shahbazi

His hawk‐like status can spread general death
Of sparrows, pigeons all in single breath.

Roshan Uss Se Khird Ki Ankhain
Be-Surma-e-Bu Ali-o-Razi

The glance of mind by its means burns and blazes
Without collyrium begged from Avicenna and Rhazes.

Hasil Uss Ka Shikwa-e-Mehmood
Fitrat Mein Agar Na Ho Ayazi

If temper of Ayaz is free from every slavish trend,
Like Mahmud can win grandeur which hasnʹt end.

Teri Dunya Ka Ye Sarafeel
Rakhta Nahin Zauq-e-Ne Nawazi

Your worldʹs Sarafil has neither taste nor zeal,
He canʹt blow trumpet nor can skill reveal.

Hai Iss Ki Nigah-e-Alam Ashob
Dar Parda Tamam Kar Sazi

Its glance a world‐wide tumult can inspire,
In obscure mode sets right the things entire.

 

Ye Faqr-e-Ghayoor Jis Ne Paya
Be-Taeg-o-Sana Hai Mard-e-Ghazi

A warrior who can this Jealous Faqr attain,
Without sword and lance great conquests he can gain.

Momin Ki Issi Mein Hai Ameeri
Allah Se Mang Ye Faqeeri

 

Deen-o-Taleem
Religion And Education

Mujh Ko Maloom Hain Peeran-e-Haram Ke Andaz
Ho Na Ikhlas To Dawaye Nazar Laaf-o-Guzaaf

Guzaaf = Bakwas, Behooda

I know the modes of those who guide the creed,
Though lacking truth, of vision boast indeed.

Aur Ye Ahle-e-Kalisa Ka Nizam-e-Taleem
Aik Sazish Hai Faqt Deen-o-Murawat Ke Khilaf

The teaching that the English have devised
ʹGainst faith and ties has great intrigue contrived.

Uss Ki Taqleed Mein Mehkoomi-o-Mazloomi Hai
Qoum Jo Kar Na Saki Apni Khudi Se Insaf

That race is doomed to bondage and much pain,
Which justice for its ego canʹt attain.

Fitrat Afrad Se Ighmaaz Bhi Kar Leti Hai
Kabhi Karti Nahin Millat Ke Gunahon Ko Muaf

Ghazal

Mile Ga Manzil-e-Maqsood Ka Ussi Ko Suragh
Andheri Shab Mein Hai Cheete Ki Ankh Jis Ka Charagh

That man alone in life shall find to aim and end a certain sign:
Whose eyes in pitch dark night can see, and like the eyes of panther shine.

Mayassar Ati Hai Fursat Faqt Ghulamon Ko
Nahin Hai Banda-e-Hur Ke Liye Jahan Mein Faragh

The slaves can get repose and rest in world confined by Time and Space;
But men of high and noble birth havenʹt leisure in worldly race.

Farogh-e-Mueez Byan Kheerah Kar Raha Hai Tujhe
Teri Nazar Ka Nigehban Ho Sahib-e-‘Ma Zagh’

The progress great that West has mad has bedazzled your eyes a deal:
May Prophet guard your precious sight, To vouch him God did Najm reveal!

Woh Bazm-e-Aysh Hai Mehman Ak Nafas Do Nafas
Chamak Rahe Hain Misal-e-Sitara Jis Ke Ayagh

These revels do not last for long, Like guests they stay for a breath or so;
The bowls of wine that glint like stars, Are soon deprived of gloss and glow.

Kiya Hai Tujh Ko Kitabon Ne Kaur Zauq Itna
Saba Se Bhi Na Mila Tujh Ko Booye Gul Ka Suragh!

 

Asatizah
Teachers

Maqsad Ho Agar Tarbiat-e-Laal-e-Badkhashan
Be-Sood Hai Bhatke Huwe Khursheed Ka Partou

If you desire to breed such ruby which is red,
Donʹt beg light of sun that from course has fled.

Dunya Hai Rawayat Ke Phandon Mein Griftar
Kya Madrasa, Kta Madrase Walon Ki Tag-o-Dou!

The world is trapped by traditions old and hoar,
Preceptors helpless quite, can do no more.

Kar Sakte The Jo Apne Zamane Ki Imamat
Woh Kuhna Damagh Apne Zamane Ke Hain Pairou !

 

 

 

Hakeem Natsha
Nietzsche

Hareef-e-Nukta-e-Touheed Ho Saka Na Hakeem
Nigah Chahiye Asrar-e-‘LA ILAHA’ Ke Liye

The subtle point that God is one, The German sage could not perceive:
Clear sight and mind are both a must, So that this point one may conceive.

Khadang-e-Seena-e-Gardoon Hai Uss Ka Fikr-e-Buland
Kumand Uss Ka Takhiyul Hai Mehr-o-Mah Ke Liye

The flights of fancy, like a dart, Can hit the dome of azure sky:
He casts his noose on moon and sun that seem so far above and high.

Agarcha Pak Hai Tiniat Mein Rahbi Uss Ki
Taras Rahi Hai Magar Lazzat-e-Gunah Ke Liye

 

 

Imtihan
Examination

Kaha Pahar Ki Nadi Ne Sang Raize Se
Fatadgi-o-Sar Afgandagi Teri Miraj!

Afgandagi = girawat, gira hona, aajazi

Thus mountain stream to pebble spake,
“This lowly state for height you take.

Tera Ye Haal Ke Pamaal-o-Dardmand Hai Tu
Meri Ye Shan Ke Darya Bhi Hai Mera Mohtaj

You are tread upon and suffer deal,
How nice! my need the rivers feel.

Jahan Mein Tu Kisi Diwar Se Na Takraya
Kisi Khabar Ke Tu Hai Sang-e-Khara Ya Ke Zujaj!

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Asr-e-Hazir Malak-Ul-Mout Hai Tera, Jis Ne

 

 

Asr-e-Hazir Malak-Ul-Mout Hai Tera, Jis Ne
Qabz Ki Rooh Teri De Ke Tujhe Fikr-e-Muash

This age that’s with us is your angel of death,
Its bread and butter cares catch your soul’s breath.

Dil Larazta Hai Hareefana Khashakash Se Tera
Zindagi Mout Hai, Koh Deti Hai Jab Zauq-e-Kharash

Your heart recoils from shock of combat; life
Is death, that deadens in men the joy of strife.

Uss Junoon Se Tujhe Taleem Ne Begana Kiya
Jo Ye Kehta Tha Khird Se Ke Bahane Na Tarash

Learning estranged you from such exaltation
As would not let man’s mind desert its station;

Faiz-e-Fitrat Ne Tujhe Didah-e-Shaheen Bakhsha
Jis Mein Rakh Di Hai Ghulami Ne Nigah-e-Khaffash

A falcon’s eyes were yours by Nature’s right,
Slavishness left them only a poor wren’s sight,

Madrase Ne Teri Ankhon Se Chupaya Jin Ko
Khalwat-e-Koh-o-Byaban Mein Woh Asrar Hain Fash

 

 

 

 

 

 

Khudi Ki Tarbiat
Upbringing Of Selfhood

Khudi Ki Parwarish-o-Tarbiat Pe Hai Moqoof
Ke Musht-e-Khak Mein Paida Ho Atish-e-Hama Souz

If self is bred with perfect care, Such force and strength it can acquire
That handful dust of man with ease can set untruths and wrongs afire.

Yei Hai Sirr-e-Kaleemi Har Ek Zamane Mein
Hawaye Dast-o-Shoaib-o-Shabani-e-Shab-o-Roz

 

 

Sultan Tipu Ki Wasiyat
The Testament Of Tipu Sultan

Tu Reh Naward-e-Shauq Hai, Manzil Na Kar Qabool
Laila Bhi Hum-Nasheen Ho To Mehmil Na Kar Qabool

If you traverse the road of love, Donʹt yearn to seek repose or rest:
If Layla be your companion close that litter shun with great contempt.

Ae Jooye Aab Barh Ke Ho Darya-e-Tund-o-Taiz
Sahil Tujhe Atta Ho To Sahil Na Kar Qabool

O streamlet, onward flow and get transformed to torrent strong and deep:
If bank is eʹer on you bestowed, Abstain, flow on with mighty sweep.

Khoya Na Ja Sanamkada-e-Kainat Mein
Mehfil Gudaz! Garmi-e-Mehfil Na Kar Qabool

Donʹt lose your bearings in this world because with idols it is full:
The assemblage here can cast a spell, disdain, or strings of heart shall pull.

Subah-e-Azal Ye Mujh Se Kaha Jibreel Ne
Jo Aqal Ka Ghulam Ho, Woh Dil Na Kar Qabool

Gabriel on Creationʹs Early Morn, a piece of useful counsel gave:
He bade me not accept a heart enchained by mind of man like slave.

Batil Dooyi Pasand Hai, Haq La-Shareek Hai
Shirkat Mayana-e-Haq-o-Batil Na Kar Qabool

 

 

 

Asrar-e-Paida
Open Secrets

Uss Qoum Ko Shamsheer Ki Hajat Nahin Rehti
Ho Jis Ke Jawanon Ki Khudi Soorat-e-Foulad

A nation whose youth are endowed with self as strong and hard as steel:
No need of piercing swords in war such people brave can ever feel.

Na-Cheez Jahan-e-Meh-o-Parveen Tere Agay
Woh Alam-e-Majboor Hai, Tu Alam-e-Azad

The world of Pleiades and the Moon by natural laws is chained and bound;
Whereas the world in which you dwell owns insight, will and mind much sound.

Moujon Ki Tapish Kya Hai, Faqt Zauq-e-Talab Hai
Pinhan Jo Sadaf Mein Hai, Woh Doulat Hai Khudadad

What do the quivering waves imply, Save enormous zeal and zest for quest?
What lies concealed in mother shell is gift of God Who knows it best.

Shaheen Kabhi Parwaz Se Thak Kar Nahin Girta
Pur Dam Hai Agar Tu To Nahin Khatra-e-Uftad

 

 

Maghribi Tehzeeb
Western Culture

Fasad-e-Qalb-o-Nazar Hai Farang Ki Tehzeeb
Ke Rooh Iss Madniyat Ki Reh Saki Na Ufeef

The Western culture depraves both heart and vision,
Because the soul of that culture is no longer chaste.

Rahe Na Rooh Mein Pakeezgi To Hai Na-Paid
Zameer-e-Pak-o-Khayal-e-Buland-o-Zauq-e-Lateef

 

 

 

Musliheen-e-Mashriq
Reformers Of The East

Main Hun Naumeed Tere Saqiyan-e-Samri Fan Se
Ke Bazm-e-Khawaran Mein Le Ke Aye Satgeen Khali

Your vinteners have despaired me much, Like Samri, they can cast a spell:
With empty bowls to East have come, What they would do is hard to tell.

Nayi Bijli Kahan Un Ke Badalon Ke Jaib-o-Daaman Mein
Purani Bijliyon Se Bhi Hai Jin Ki Aasteen Khali !

 

 

Aqwam-e-Mashriq
Eastern Nations

Nazar Ate Nahin Be-Parda Haqaeq Un Ko
Ankh Jin Ki Huwi Mehkoomi-o-Taqleed Se Kaur

Reality grows blurred to eyes whose vision
Servility and parrot‐ways abridge.

Zinda Kar Sakti Hai Iran-o-Arab Ko Kyun Kar
Ye Farangi Madniyat Ke Jo Hai Khud Lab-e-Gaur !

 

 

 

 

Aagahi
Awareness

Nazar Sipihr Pe Rakhta Hai Sitara Shanas
Nahin Hai Apni Khudi Ke Maqam Se Aagah

He, who predicts the Fate of man, and keeps his gaze eʹer fixed on sky:
Such man is unaware of fact that rank of self is very high.

Khudi Ko Jis Ne Falak Se Buland Tar Dekha
Wohi Hai Mamlikat-e-Subah-o-Sham Se Aagah

Those who perceive this fact so clear that dome of sky that spins around,
Has not the height as self of man. ʹBout world have formed an opinion sound.

Wohi Nigah Ke Na-Khoob-o-Khoob Se Mehram
Wohi Hai Dil Ke Hilal-o-Haraam Se Aagah

 

 

 

 

Zamana-e-Hazir Ka Insan
Modern Man

‘Ishq Na-Paid-o-Khird Megazardish Soorat-e-Maar’
Aqal Ko Taba-e-Farman-e-Nazar Kar Na Saka

Love fled, Mind stung him like a snake; he could not
Force it to vision’s will.

Dhoondne Wala Sitaron Ki Guzrgahon Ka
Apne Afkar Ki Dunya Mein Safar Kar Na Saka

He tracked the orbits of the stars, yet could not
Travel his own thoughts’ world;

Apni Hikmat Ke Kham-o-Paich Mein Uljha Aesa
Aj Tak Faisla-e-Nafa-o-Zarar Kar Na Saka

Entangled in the labyrinth of his science
Lost count of good and ill;

Jis Ne Suraj Ki Shuaon Ko Giraftar Kiya
Zindagi Ki Shab-e-Tareek Sehar Kar Na Saka !

Taleem-o-Tarbiat
Education And Upbringing

Maqsood
Goal

(Spinoza)

Nazar Hayat Pe Rakhta Hai Mard-e-Danish-Mand
Hayat Kya Hai, Huzoor-o-Suroor-o-Noor-o-Wujood

On life is fixed the gaze of persons bright,
What is life? Presence, being, joy and light!

Falatoon
Plato

Nigah Mout Pe Rakhta Hai Mard-e-Danish-Mand
Hayat Hai Shab-e-Tareek Mein Sharar Ki Namood

A wise man knows that ʹfore death he must bow,
In pitch dark night, life, like spark, soon loses glow.

 

Hayat-o-Mout Nahin Iltafat Ke Laeek
Faqt Khudi Hai Khudi Ki Nigah Ka Masood

 

Qum Bi-Izinillah
By Grace Of God, Rise!

Jahan Agarcha Digargoon Hai, Qum Bi-Izinillah
Wohi Zameen, Wohi Gadroon Hai, Qum Bi-Izinillah

Though change so great has swept the world, There is no need to grieve or smart:
The same the earth and same the skies, By Grace of God, rise! Play your part!

Kiya Nawaye ‘Anal-Haq’ Ko Aatisheen Jis Ne
Teri Ragon Mein Wohi Khoon Hai, Qum Bi-Izinillah

The same hot blood runs in your veins that raised the cry ʺThe self is Trueʺ
By Grace of God, rise! Play your part! And go in quest of ventures new.

Ghameen Na Ho Ke Paraganda Hai Shaur Tera
Farangiyon Ka Ye Afsoon Hai, Qum Bi-Izinillah

 

 

Mout
Death

Lahad Mein Bhi Yehi Ghaib-o-Huzoor Rehta Hai
Agar Hi Zinda To Dil Na-Saboor Rehta Hai

If self of man perfection gains devoid of rest his heart remains:
Even in the niche of grave presence and Absence he must brave.

 

Meh-o-Sitara, Misal-e-Shararah Yak Do Nafas
Mai-e-Khudi Ka Abad Tak Suroor Rehta Hai

The Moon and stars shine like a spark, For moments few and then the dark:
The rapture caused by egoʹs wine is as eternal as things divine.

Farishta Mout Ka Chhuta Hai Go Badan Tera
Tere Wujood Ke Markaz Se Door Rehta Ha!

 

 

Ahkam-e-Elahi
Decrees Of God

Pabandi-e-Taqdeer Ke Pabandi-e-Ahkam!
Ye Masla Mushkil Nahin Ae Mard-e-Khirdmand

This problem is not hard to solve O man, endowed with insight great:
Whʹr to obey dictates of God, or submit to decrees of Fate.

Ek Aan Mein Sou Bar Badal Jati Hai Taqdeer
Hai Iss Ka Muqallid Abhi Na-Khush, Abhi Khursand

The Wheel of Fate spins hundred times within the twinkling of the eye;
He, who follows freaks of Fate, Anon is down and anon is high.

Taqdeer Ke Paband Nabataat-o-Jamadaat
Momin Faqt Ahkam-e-Elahi Ka Hai Paband

 

 

Umraye Arab Se
To The Amirs Of Arabia

Bhopal (Sheesh Mahal) Mein Likhe Gye

Kare Ye Kafir-e-Hindi Bhi Juraat-e-Guftar
Agar Na Ho Umraye Arab Ki Be Adabi !

If Amirs of Arabian lands donʹt take it for a slur or slight:
This Muslim from the land of India may speak with vigour great and might.

Ye Nukta Pehle Sikhaya Gya Kis Ummat Ko?
Wasal Mustafawi, Iftaraq Bu Lahbi!

Who were the people whom at first Godʹs apostle preached kinship close?
Division amongst them was infused by men like Bu Lahab and such foes.

Nahin Wujood Hudood-o-Saghoor Se Iss Ka
Muhammad-e-Arabi Se Hai Alam-e-Arabi!

 

 

Fazaye Noor Mein Karta Na Shakh-o-Barg-o-Bar Paida

 

Fazaye Noor Mein Karta Na Shakh-o-Barg-o-Bar Paida
Safar Khaki Shabistan Se Na Kar Sakta Agar Dana

It could have never borne fruit and foliage in the space lit up with light,
If from the dark recesses the seed had not moved on:

Nihad-e-Zindagi Mein Ibtida ‘LA’ , Intiha ‘ILLA’
Payam-e-Mout Hai Jab ‘LA’ Huwa ‘ILLA’ Se Begana

In life we begin with no and end with yes;
When no is divorced from yes it becomes destructive.

Woh Millat Rooh Jis Ki ‘LA’ Se Agay Barh Nahin Sakti
Yaqeen Jano, Huwa Labraiz Uss Millat Ka Pemana

 

 

Zameer Iss Madniyat Ka Deen Se Hai Khali

 

Zameer Iss Madniyat Ka Deen Se Hai Khali
Farangiyon Mein Akhuwat Ka Hai Nasab Pe Qayam

Through all the Western politeia Religion withers to the roots;
For the white man, ties of blood and race are all he knows of brotherhood—

Buland Tar Nahin Angraiz Ki Nigahon Mein
Qabool-e-Deen-e-Mesihi Se Barhaman Ka Maqam

A Brahmin, in Britannia’s sight, Ascends no higher in life’s scale
Because the creed of the Messiah has numbered him with its recruits;

Agar Qabool Kare, Deen-e-Mustafa, Angraiz
Sayah Roz Musalman Rahe Ga Phir Bhi Ghulam

 

 

Hai Kis Ki Ye Juraat Ke Musalman Ko Toke

 

Hai Kis Ki Ye Juraat Ke Musalman Ko Toke
Hurriyat-e-Afkar Ki Naimat Hai Khudadad

The right of thinking free, a Muslim owns,
Is gift of God which canʹt be checked by frowns.

Chahe To Kare Kaabe Ko Aatish Kuda-e-Paaras
Chahe To Kare Iss Mein Farangi Sanam Abad

He can transform the Shrine to Magian fane,
Can deck the Shrine with Frankish idols vain.

Quran Ko Bazeecha-e-Taveel Bana Kar
Chahe To Khud Ek Taza Shariat Kare Ijad

Can make the Holy Book the sport of boys,
And can with ease devise new faiths like toys.

Hai Mamlikat-e-Hind Mein Ek Tarfa Tamasha
Islam Hai Mehboos, Musalman Hai Azad!

 

 

 

Mazhab Mein Bohat Taza Pasand Iss Ki Tabiyat

 

Mazhab Mein Bohat Taza Pasand Iss Ki Tabiyat
Kar Le Kahin Manzil To Guzerta Hai Bohat Jald

A newborn faith invokes his taste,
Adopts with zeal but leaves with haste.

Tehqeeq Ki Bazi Ho To Shirkat Nahin Karta
Ho Khail Mureedi Ka To Harta Hai Bohat Jald

In search for truth he takes no part,
As disciple stakes both head and heart.

Taveel Ka Phanda Koi Sayyad Laga De
Ye Shakh-e-Nasheman Se Uterta Hai Bohat Jald

 

 

Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan

 

Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!

A Muslim true gets grandeur new with moment’s change and every hour:
By words and deeds he gives a proof of Mighty God, His reach and power.

Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman

To rout the foes, to grant them reprieve, do pious deeds and show great might:
Are four ingredients that make A Muslim devout who shuns not fight.

Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki
Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan

With Gabriel trusted and steadfast this clay-born man has kinship close:
A dwelling in some land or clime for himself Muslim never chose.

Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin
Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran!

This secret yet none has grasped that Muslim Scripture reads so sweet:
Practising rules by it prescribed, becomes its pattern quite complete.

Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade
Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan

The Faithful acts on aims and ends that Nature keeps before its sight:
In world he sifts the good and bad, In future shall judge wrong and right.

Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam
Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan

While dealing with friends and mates, He is dew that thirst of tulip slakes:
When engaged with his foes in fight, like torrent strong makes rivers shake.

Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz
Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman

The charm of Nature’s eternal song in Muslim’s life, no doubt is found:
Like chapter Rahman of the Quran, Is full of sweet melodious sound.

Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum
Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan!

 

 

 

Mehdi
The Guide

Qoumon Ki Hayat In Ke Takhiyyul Pe Hai Mouqoof
Ye Zauq Sikhata Hai Adab Murgh-e-Chaman Ko

A nationʹs life gets much prolonged by lofty aims and ideals high:
If dwellers here some zeal possess, they can explore the heights of sky.

Majzoob-e-Farangi Ne Ba Andaz-e-Farangi
Mehdi Ke Takhiyyul Se Kiya Zinda Watan Ko

The Frankish Sage by guile and skill new lease of life to nation gave:
The path for birth of Superman by valour great he strove to pave.

Ae Woh Ke Tu Mehdi Ke Takhiyyul Se Hai Bezar
Naumeed Na Kar Ahuye Mushkeen Se Khutan Ko

To Guideʹs concept you seem averse, too fed up with this thought appear:
This view for Muslims has the weight that for Cathay has musk of deer.

Ho Zinda Kafan Posh To Mayyat Use Samjhain
Ya Chaak Karain Mardak-e-Nadan Ke Kafan Ko?

 

 

Ae Peer-e-Haram
To Elder Of The Shrine

Ae Peer-e-Haram! Rasm-o-Reh-e-Khanqahi Chor
Maqsood Samajh Meri Nawa-e-Sehri Ka

O Shaykh, who tend the Holy Shrine, Discard these monkish modes of yours:
Grasp what morning songs denote, What aim or end I would promote.

Allah Rakhe Tere Jawanon Ko Salamat!
De In Ko Sabaq Khud Shikani, Khud Nigari Ka

May God preserve the youth you guide and may they all by Faith abide!
Restraint and order you must teach to shun conceit you ought to preach.

Tu In Ko Sikha Khara Shagafi Ke Tareeqe
Maghrib Ne Sikhaya Inhain Fann Shisha-Gari Ka

Those who blow on glass in West, Have taught the youth repose and rest:
Let them imbibe to bear the shocks, and cut the stones and hew the rocks.

Dil Torh Gyi In Ka Do Sadiyon Ki Ghulami
Daru Koi Soch In Ki Preshan Nazari Ka

The foreign Yoke that ran for periods long, has drained the blood of heart, so strong;
Think of some cure, panacea or aught to bring to end their sight distraught.

Keh Jata Hun Main Zor-e-Junoon Mein Tere Asrar
Mujh Ko Bhi Sila De Meri Aashufta Sari Ka!

 

 

Makkah Aur Geneva

Makkah And Geneva

 

Iss Dour Mein Aqwam Ki Souhbat Bhi Huwi Aam
Poshida Nigahon Se Rahi Wahdat-e-Adam

Contemporary era witnessed tremendous contacts among the nations;
The unity of mankind, however, remained concealed.

Tafreeq-e-Milal Hikmat-e-Afrang Ka Maqsood
Islam Ka Maqsood Faqt Millat-e-Adam

Western polity advocates division among the nations;
Islam pleads but for unification of humanity.

Makke Ne Diya Khak-e-Geneva Ko Ye Pegham
Jamiat-e-Aqwam Ke Jamiat-e-Adam!

 

 

Adam

Tilism-e-Bood-o-Aadam , Jis Ka Naam Hai Adam
Khuda Ka Raaz Hai, Qadir Nahin Hai Jis Pe Sukhan

The talisman wrought from mud and clay, Whom we give the name of man,
Is mystery known to God alone, Its essence true we can not scan.

Zamana Subah-e-Azal Se Raha Hai Mehv-e-Safar
Magar Ye Iss Ki Tag-o-Dou Se Ho Saka Na Kuhan

Since Creationʹs Early Morn began time is engaged in constant flight,
Has tried to leave its trace on man, But has not met success e’en slight.

Agar Na Ho Tujhe Uljhan To Khol Kar Keh Doon
Wujood-e-Hazrat-e-Insan Na Rooh Hai Na Badan

 

 

Nabuwwat
Prophethood

Main Na Arif, Na Mujaddid, Na Muhaddis, Na Faqeeh
Mujh Ko Maloom Nahin Kya Hai Nabuwwat Ka Maqam

A gnostic, revivalist, jurist or expert in Prophetʹs maxims I do not claim:
As such a prophetʹs rank and state in terms precise I canʹt proclaim.

Haan, Magar Alam-e-Islam Pe Rakhta Hun Nazar
Fash Hai Mujh Pe Zameer-e-Falak-e-Neeli Faam

Despite these things I always keep on Muslim lands my watchful eye:
To me are known the secrets hid in depths of this azure sky.

Asar-e-Hazir Ki Shab-e-Taar Mein Dekhi Main Ne
Ye Haqeeqat Ke Hai Roshan Sifat-e-Mah-e-Tamam

In present age, so full of dusk I have beheld this fact so stark
That peeps like bright and full grown moon from sky that wears the mantle dark.

“Woh Nabuwwat Hai Musalman Ke Liye Barg-e-Hasheesh
Jis Nabuwwat Mein Nahin Quwwat-o-Shoukat Ka Payam”

 

Nazar Allah Pe Rakhta Hai Musalman-e-Ghayoor

 

 

Nazar Allah Pe Rakhta Hai Musalman-e-Ghayoor
Mout Kya Shay Hai,Faqt Alam-e-Maani Ka Safar

For Muslim true, death has no dread
To realm of souls, he straight is led.

Un Shaheedon Ki Diyat Ahle-e-Kalisa Se Na Mang
Qadar-o-Qeemat Mein Hai Khoon Jin Ka Haram Se Barh Kar

Their blood is precious and divine
Like precincts of the Holy Shrine.

Aah, Ae Mard-e-Musakman Tujhe Kya Yaad Nahin
Harf-e-‘La Tad-Au Maa Allahi Ilahan Aakhar’

 

 

 

Dedication To Nawab Sir Hamidullah Khan The Ruler Of Bhopal

What Time has done or shall do with the East,
None save a prince, like you, can know the least.

 

You own insight and what lies in my mind,
Is not too hard for you to ken and find.

Accept from me this treasure of Spring tide,
Whose roses in your hand shall fresh abide.

 

 

Nazreen Se
To Readers

Jab Tak Na Zindagi Ke Haqaeeq Pe Ho Nazar
Tera Zujaj Ho Na Sake Ga Hareef-e-Sang

Your glass can never match the stony rock,
Unless of facts with care you take the stock.

Ye Zor-e-Dast-o-Zarbat-e-Kari Ka Hai Maqam
Maidan-e-Jang Mein Na Talab Kar Nawa-e-Chang

Give proof of strength and strike a dreadful blow,
When war is waging strains of harp forego.

Khoon-e-Dil-o-Jigar Se Hai Sarmaya-e-Hayat
Fitrat ‘Lahoo Tarang’ Hai Ghafil! Na ‘Jal Tarang’

The wealth of life is due to blood in veins,
O man remiss! love pain, shun melodious strains.

 

 

Tamheed
The Prologue

(1)

Na Dair Mein Na Haram Mein Khudi Ki Baidari
Ke Khawaran Mein Hai Qoumon Ki Rooh Taryaki

In fane and shrine the self in slumber deep is sunk,
It seems that soul of East an opiate strong has drunk.

Agar Na Sehal Hon Tujh Par Zameen Ke Hangame
Buri Hai Masti-e-Andaisa Haye Aflaki

If freaks of Fate with smile on lips you can not face,
The secrets hid in firmament nʹre claim to trace.

Teri Nijat Gham-e-Marg Se Nahin Mumkin
Ke Tu Khudi Ko Samajhta Hai Paikar-e-Khaki

Your anguish sharp for Death you can not keep at bay,
Because you deem that self is merely made of clay.

Zamana Apne Hawadas Chupa Nahin Sakta
Tera Hijab Hai Qalb-o-Nazar Ki Na-Paki

Time can conceal mishaps at all from you,
Alas! your heart and soul are foul and are not true.

Atta Huwa Khs-o-Khashak-e-Asia Mujh Ko
Ke Mere Shaole Mein Hai Sarkashi-o-Bebaki!

The straws and thorns of East (Asia) to me have been assigned,
For flame that burns in me is rash and unconfined

(2)

Tera Gunah Hai Iqbal! Majlis Arayi
Agarche Tu Hai Misal-e-Zamana Kam Pewand

Iqbal, you sin because the throngs you tingle,
Though keep aloof and seldom with them mingle.

Jo Ko Kinar Ke Khugar The, In Ghareebon Ko
Teri Nawa Ne Dia Zauq-e-Jazba Haye Buland

Men wont to quaff extract from poppies drawn,
Have courage gained for deeds requiring brawn.

Tarap Rahe Hain Faza Haye Neelgoon Ke Liye
Woh Par Shakista Ke Sehan Sara Mein The Khorsand

The birds, who spite of pinions rent were glad,
In nests, for azure sky now feel so sad.

 

Teri Saza Hai Nawa-e-Sehar Se Mehroomi
Maqam-e-Shauq-o-Suroor-o-Nazar Se Mehroomi

 

 

 

Ye Sehar Jo Kabhi Farda Hai Kabhi Hai Amroz
Nahin Maloom Ke Hoti Hai Kahan Se Paida

The morn (morning) that shifts so soon tomorrow new,
Whence it comes is only known to few:

Woh Sehar Jis Se Larazta Hai Shabistan-e-Wujood
Hoti Hai Banda-e-Momin Ki Azan Se Paida

The dark abode of being is shook by morn,
Which by Muslimʹs call to prayer is born.

 

Bhopal (Sheesh Mehal) Mein Likhe Gye

 

La Ilaha Illallah

Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha Illallah
Khudi Hai Taeg, Fasan La Ilaha Illallah

The secret of the self is hid, In words “No god but He alone.”
The self is just a dull-edged sword, “No god but He,” the grinding stone.

Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein Hai
Sanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah

An Abraham by the age is sought to break the idols of this Hall:
The avowal of God’s Oneness can make all these idols headlong fall.

Kiya Hai Tu Ne Mataa-e-Ghuroor Ka Soda
Faraib Sood-o-Zayan, La Ilaha Illallah

A bargain you have struck for goods of life, a step, that smacks conceit,
All save the call “No god but He,” is merely fraught with fraud and deceit.

Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya, Ye Rishta-o-Pewand
Butan-e-Weham-o-Guman, La Ilaha Illallah

The worldly wealth and riches too, ties of blood and friends a dream
The idols wrought by doubts untrue, all save God’s Oneness empty seem.

Khird Huwi Hai Zaman-o-Makan Ki Zunnari
Na Hai Zaman Na Makan, La Ilaha Illallah

The mind has worn the holy thread of Time and Space like pagans all
Though Time and Space both illusive “No god but He” is true withal.

Ye Naghma Fasl-e-Gul-o-Lala Ka Nahin Paband
Bahar Ho Ke Khazan, La Ilaha Illallah

These melodious songs are not confined to time when rose and tulip bloom
Whatever the season of year be “No god but He” must ring till doom.

Agarche But Hain Jamat Ki Astinon Mein
Mujhe Hai Hukm-e-Azan, La Ilaha Illallah

 

 

Tan-Ba-Taqdeer
Submission To Fate

Issi Quran Mein Hai Ab Tark-e-Jahan Ki Taleem
Jis Ne Momin Ko Banaya Meh-o-Parveen Ka Ameer

The Quranic teaching that did bring the Moon and Pleiades within human
Is now explained in manner strange, ’Twixt man and world to cause a breach.

‘Tan Ba Taqdeer’ Hai Aaj Un Ke Amal Ka Andaz
Thi Nihan Jin Ke Iradon Mein Khuda Ki Taqdeer

Their mode of work has changed entire, Before the freaks of Fate they bow:
They had a say in what God decreed, But Muslims have now fallen low.

Tha Jo ‘Na-Khoob’ Batadreej Wohi ‘Khoob’ Huwa
Ke Ghulami Mein Badal Jata Hai Qoumon Ka Zameer

What was so evil has by steps put on the shape of good and fine:
In state of bondage, as is known, the shift of conscience is quite sure.

 

Meeraj
Ascension

De Walwala-e-Shauq Jise Lazzat-e-Parwaz
Kar Sakta Hai Woh Zarra Mah-o-Mehr Ko Taraaj

A mote endowed with strong desire for flight
Can reach the Sun and Moon with effort slight.

Mushkil Nahin Yaraan-e-Chaman! Maarka-e-Baaz
Pursouz Agar Ho Nafs-e-Sina-e-Durraj

If chest of partridge fire and zeal emit,
My friends, in fight with hawk it can acquit.

Nawak Hai Musalman, Hadaf Iss Ka Hai Surreya
Hai Sirr-e-Sara Parda-e-Jaan Nukta-e-Miraaj
Ascension means to gauge a Muslimʹs heart,
The Pleiades are the target of his dart.

Tu Maanni-e-‘Wannajam’ Na Samajha To Ajab Kya
Hai Tera Mad-o-Jazar Abhi Chand Ka Mohtaaj

No wonder, meanings of Najm from you hide,
On Moon depends your oceanʹs ebb and tide.

 

Aik Falsafa Zada Syed Zade Ke Naam
Admonition To A Philosophy Stricken Sayyid

Tu Apni Khudi Agar Na Khota
Zunnari-e-Bargsan Na Hota

If your self had not been debased and lost,
Bergson, his spell on you would not have cast.

Heegal Ka Sadaf Guhar Se Khali
Hai Uss Ka Tilism Sub Khayali

Hegelʹs shell is quite devoid of gem that gleams,
His talisman merely web of fancy seems.

Mohkam Kaise Ho Zindagi
Kis Tarah Khudi Ho La-Zamani!

 

Adam Ko Sabat Ki Talab Hai
Dastoor-e-Hayat Ki Talab Hai

 

Dunya Ki Asha Ho Jis Se Ishraaq
Momin Ki Azan Nidaye Afaq

 

Main Asal Ka Khas Somanti
Aaba Mere Lati-o-Manati

 

Tu Syed-e-Hashmi Ki Aulad
Meri Kaf-e-Khak Barhman Zad

 

Hai Falsafa Mere Aab-o-Gil Mein
Poshida Hai Raisha Haye Dil Mein

 

Iqbal Agarche Behunar Hai
Iss Ki Rag Rag Se Ba-Khabar Hai

 

Shaula Hai Tere Junoon Ka Be-Souz
Sun Mujh Se Ye Nukta-e-Dil Afroz

 

Anjam-e-Khirad Hai Be Huzoori
Hai Falsafa Zindagi Se Doori

Afkar Ke Naghma Haye Be Soot
Hain Zauq-e-Amal Ke Waste Mout

 

Deen-e-Maslak-e-Zindagi Ki Taqween
Deen-e-Sirr-e-Muhammad (S.A.W.)-o-Baraheem (A.S.)

 

 

“Dil Dar Sukhan-e-Muhammadi (S.A.W.) Band
Ae Por-e-Ali (R.A.) Za Bu Ali Chand!

 

Choon Didah-e-Rah Been Nadari
Qaid Qarshi Ba Az Bukhari”

 

Farsi Ashaar Hakeem Khaqani Ki ‘Tohfa-Ul-Arifeen’ Se Hain
Persain Couplets are from Hakim Khaqani’s book ‘Tuhfa tul Aaraqeen’

 

Zameen-o-Asman
The Earth And The Sky

Mumkin Hai Ke Tu Jis Ko Samajhta Hai Baharan
Auron Ki Nighahonmein Woh Mousam Ho Khazan Ka

 

Hai Silsila Ahwal Ka Har Lehza Dirgargoon
Ae Salik-e-Reh, Fikar Na Kar Sood-o-Zayan Ka

 

Shaid Ke Zameen Hai Ye Kisi Aur Jahan Ki
Tu Jis Ko Samajhta Hai Falak Apne Jahan Ka!

 

Musalman Ka Zawal
The Decline Of The Muslims

Agarcha Zar Bhi Jahan Mein Hai Qazi-Ul-Hajat
Jo Faqar Se Hai Mayassar, Toungari Se Nahin

 

 

Agar Jawan Hon Meri Qoum Ke Jasoor-o-Ghayyoor
Qalandari Meri Kuch Kam Sikandari Se Nahin

 

 

Sabab Kuch Aur Hai, Tu Jis Ko Khud Samajhta Hai
Zawal Banda-e-Momin Ka Be-Zarri Se Nahi

 

 

Agar Jahan Mein Jouhar Aashkara Huwa
Qalandari Se Huwa Hai, Toungari Se Nahin

 

 

 

Ilm-o-Ishq
KNOWLEDGE AND LOVE

Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan
Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan

 

 

Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na Ban
Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab!

 

 

Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-Kainat
Ilm Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat

 

Ilm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab!

 

Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-Deen
Ishq Ke Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen

 

Ishq Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-Zameen
Ishq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab!

 

Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil Haraam
Shorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam

 

Ishq Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil Haraam
Ilm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab!

 

 

 

Ijtihaad

Hind Mein Hikmat-e-Deen Koi Kahan Se Sikhe
Na Kahin Lazzat-e-Kirdar, Na Afkar-e-Aumeeq

 

Halqa-e-Shouk Mein Woh Jurrat-e-Andesha Kahan
Aah Mehkoomi-o-Taqleed-o-Zawal-e-Tehqeeq !

 

Khud Badalte Nahin, Quran Ko Badal Dete Hain
Huwe Kis Darja Faqeehan-e-Haram Be-Toufeeq !

 

In Ghulamon Ka Ye Maslak Hai Ke Naqis Hai Kitab
Ke Sikhati Nahin Momin Ko Ghulami Ke Tareeq!

 

 

Shukar-e-Shikayat
Thanks Cum Complaint

Main Band-e-Nadan Hun, Magar Shukar Hai Tera
Rakhta Hun Nihan Khana-e-Lahoot Se Pewand

 

Ek Walwala Taza Diya Main Ne Dilon Ko
Lahore Se Ta-Bakhak-e-Bukhara-o-Samarqand

 

Taseer Hai Ye Mere Nafas Ki Ke Khazan Mein
Murghan-e-Sehar Khawan Meri Sohbat Mein Hain Khoursand

 

Lekin Mujhe Paida Kiya Uss Dais Mein Tu Ne
Jis Dais Ke Bande Hain Ghulami Pe Razamand!

 

 

Zikr-e-Fikr

Ye Hain Sub Aik Hi Salik Ki Justujoo Ke Maqam
Woh Jis Ki Shan Mein Aya Hai ‘Allam Al-Asma’

 

Maqam-e-Zikr, Kamalat-e-Rumi-O-Attar
Maqam-e-Fikr, Maqalat-e-Bu Ali Seena

 

Maqam-e-Fikr Hai Pemaish-e-Zaman-o-Makan
Maqam-e-Zikr Hai Subhana Rubi Al Aala

 

 

 

Mullah-e-Haram

Ajab Nahin Ke Khuda Tak Teri Rasayi Ho
Teri Nigah Se Hai Poshida Adami Ka Maqam

 

Teri Namaz Mein Baqi Jalal Hai, Na Jamal
Teri Azan Mein Nahin Hai Meri Sehar Ka Payam

 

 

Taqdeer

 

Na-Ahl Ko Hasil Hai Kabhi Quwwat-o-Jabroot
Hai Khwar Zamane Meinkabhi Johar-e-Zati

 

Shaid Koi Mantaq Ho Nihan Iss Ke Amal Mein
Taqdeer Nahin Tabe-e-Mantaq Nazar Ati

 

Haan, Aik Haqiqat Hai Ke Maloom Hai Sub Ko
Tareekh-e-Ummam Jis Ko Nahin Hum Se Chupati

 

‘Har Lehza Hai Qoumon Ke Amal Par Nazar Iss Ki
Burran Sift-e-Taeg-e-Do Paikar Nazar Iss Ki !’

 

 

 

Touheed
ONENESS OF GOD

Zinda Quwwat Thi Jahan Mein Yehi Touheed Kabhi
Aaj Kya Hai, Faqat Ek Masla-e-Ilm-e-Kalaam

 

Roshan Iss Zou Se Agar Zulmat-e-Kirdar Na Ho
Khud Musalman Se Hai Poshida Musalman Ka Maqam

 

Main Ne Ae Meer-e-Sipah! Teri Sipah Dekhi Hai
‘QUL HU WALLAH’ Ki Shamsheer Se Khali Hain Nayam

 

Aah, Iss Raaz Se Waqif Hai Na Mullah, Na Faqeeh
Wahdat Afkar Ki Be-Wahdat-e-Kirdar Hai Kham

 

Qoum Kya Cheez Hai, Qoumon Ki Imamat Kya Hai
Iss Ko Kya Samjhain Ye Bechare Do Rakat Ke Imam!

 

 

Ilm Aur Deen
Knowledge And Religion

Woh Ilm Apne Boton Ka Hai Aap Ibraheem
Kya Ha Jis Ko Khuda Ne Dil-o-Nazar Ka Nadeem

 

Zamana Aik, Hayat Aik, Kainat Bhi Aik
Daleel-e-Kam-Nazari, Qissa-e-Jadeed-o-Qadeem

 

Zamana Aik, Hayat Aik, Kainat Bhi Aik
Daleel-e-Kam-Nazari, Qissa-e-Jadeed-o-Qadeem

 

Woh Ilm, Kam Basri Jis Mein Ham-Kinar Nahin
Tajaliat-e-Kaleem-o-Mushahidat-e-Hakeem!

 

 

Hindi Musalman
Indian Muslim

Gaddar-e-Watan Iss Ko Batate Hain Barhaman
Angraiz Samjahta Hai Musalman Ko Gadagar

 

Punjab-e-Arbab-e-Nabuwwat Ki Shariat
Kehti Hai Ke Ye Momin-e-Parina Hai Kafir

 

Awazah-e-Haq Uthta Hai Kab Aur Kidhar Se
‘Makeen Dilkam Manda Daren Kashmakas Andar !’

 

 

Socha Bhi Hai Ae Mard-e-Musalman Kabhi Tu Ne

Socha Bhi Hai Ae Mard-e-Musalman Kabhi Tu Ne
Kya Cheez Hai Foulad Ki Shamsheer-e-Jigar Dar

 

Uss Bait Ka Ye Misra-e-Awwal Hai Ke Jis Mein
Poshida Chale Ate Hain Touheed Ke Asrar

 

Hai Fikr Mujhe Misra-e-Sani Ki Ziada
Allah Kare Tujh Ko Atta Faqr Ki Talwar

 

Qabze Mein Ye Talwar Aa Jaye To Momin
Ya Khalid (R.A.) Janbaz Hai Ya Haidar-e-Karar (R.A.)

 

 

Fatwa Hai Sheikh Ka Ye Zamana Qalam Ka Hai

 

Fatwa Hai Sheikh Ka Ye Zamana Qalam Ka Hai
Dunya Mein Ab Rahi Nahin Talwar Kargar

 

Lekin Janab-e-Sheikh Ko Maloom Kya Nahin?
Masjid Mein Ab Ye Waaz Hai Besood-o-Be-Asar

 

Taeg-o-Tufnag Dast-e-Musalman Mein Hai Kahan
Ho Bhi, To Dil Hain Mout Ki Lazzat Se Be-Khabar

 

Kafir Kimout Se Bhi Larazta Ho Jis Ka Dil
Kehta Hai Kon Usse Ke Musalman Ki Mout Mer

 

Taleem Uss Ko Chahye Tark-e-Jahad Ki
Dunya Ko Jis Ke Panja-e-Khoonain Se Ho Khatar

 

Batil Ke Faal-o-Far Ki Hafazat Ke Waste
Yourap Zira Mein Doob Gya Dosh Ta Kamar

 

Hum Poochte Hain Sheikh-e-Kalisa Nawaz Se
Mashriq Mein Jang Shar Hai To Maghrib Mein Bhi Hai Shar

 

Haq Se Agar Gharz Hai To Zaiba Hai Kya Ye Baat
Islam Ka Muhasiba, Yourap Se Darguzar!

 

 

 

Quwwat Aur Deen
Authority And Faith

Iskandar-o-Changaiz Ke Hathon Se Jahan Mein
Sou Bar Huwi Hazrat-e-Insan Ki Qaba Chaak

 

Tareekh-e-Ummam Ka Ye Payam -e-Azali Hai
‘Sahib Nazaran ! Nasha-e-Quwwat Hai Khatarnaak’

 

Iss Seel-E-Subaq Sair-o-Zameengeer Ke Agay
Aqal-o-Nazar-o-Ilm-o-Hunar Hain Khs-o-Khashak

 

La-Deen Ho To Hai Zahr-E-Halahil Se Bhi Barh Kar
Ho Deen Ki Hifazat Mein To Har Zehr Ka Tiryaak

 

 

 

Faqr-o-Mulookiat
Faqr And Monarchy

Faqr Jingah Mein Be-Saaz-o-Yaraak Ata Hai
Zarb Kari Hai,Agar Seene Mein Hai Qalb-e-Saleem

Faqr goes to War unequipped, unarmed with glee,
It deals dire blows, if heart of sins is free.

Iss Ki Barhti Huwi Bebaki-o-Betabi Se
Taza Har Ehad Mein Hai Qissa-e-Firon-o-Kaleem

Its defiance and unrest, ever on increase
Give tale of Moses and Pharoah fresh release.

Ab Tera Dour Bhi Ane Ko Hai Ae Faqr-e-Ghayoor
Kha Gyi Rooh-e-Farangi Ko Hawa-e-Zar-o-Seem

O zealous faqr, you will get your grandeur old,
The Frankish soul is stained with greed of wealth and gold.

Ishq-o-Masti Ne Kiya Zabt-e-Nafs Mujh Pe Haram
Ke Girah Ghunche Ki Khulti Nahin Be-Mouj-e-Naseem

 

Rooh Islam Ki Hai Noor-e-Khudi, Naar-e-Khudi

 

Rooh Islam Ki Hai Noor-e-Khudi, Naar-e-Khudi
Zindagaani Ke Liye Naar-e-Khudi Noor-o-Huzoor

The fire and light of ego both, The soul of Muslims together bind;
The fire of self is light for life: Godʹs existence brings before the mind.

Yehi Har Cheez Ki Taqweem, Yehi Asal-e-Namood
Garcha Iss Rooh Ko Fitrat Ne Rakha Hai Mastoor

It fortifies the things of life, It is the cause of all display:
Though Nature always hides this soul from eyes of mankind far away.

Lafz-e-‘Islam’ Se Yourap Ko Agar Kidd Hai To Khair
Dosra Naam Issi Deen Ka Hai ‘Faqr-e-Ghayoor’!

 

 

Hayat-e-Abdi
Eternal Life

Zindagaani Hai Sadaf, Qatra-e-Neesan Hai Khudi
Woh Sadaf Kya Ke Jo Qatre Ko Guhar Kar Na Sake

Life is a like a shell and ego like a drop of April shower—
It is unbecoming a shell if it cannot turn the drop into a pearl.

Ho Agar Khudnigar-o-Khudgar-o-Khudgeer Khudi
Ye Bhi Mumkin Hai Ke Tu Mout Se Bhi Mer Na Sake

 

 

Sultani
Kingship

Riyaz Manzil (Doulat Kuda-e-Sir Raas Masood) Bhopal Mein Likhe Gye

Kise Khabar Ke Hazaron Maqam Rakhta Hai
Woh Faqr Jis Mein Hai Be-Parda Rooh-e-Qurani

The lofty states of faqr are known to few,
The faqr that brings the soul of Quran to view.

Khudi Ko Jab Nazar Ati Hai Qahari Apni
Yehi Maqam Hai Kehte Hain Jis Ko Sultani

When selfhood sees its sway and upper hand,
This exalted state the folk as kingship brand.

Yehi Maqam Hai Momin Ki Quwwaton Ka Ayar
Issi Maqam Se Adam Hai Zil-e-Subhani

This rank gives verdict of a Muslimʹs worth,
And makes him vicegerent of God on earth.

Ye Jabr-e-Qehr Nahin, Ye Ishq-o-Masti Hai
Ke Jabr-o-Qehr Se Mumkin Nahin Jahan Baani

It is not imposed by force or wrath, It is love and enthusiasm intense
As due to wrath only, It is not possible to flourish this universe

Kiya Gya Ha Ghulami Mein Mubtala Tujh Ko
Ke Tujh Se Ho Saki Faqr Ki Nighebani

You have got bondage as a fit reward,
For you have failed to keep on faqr a guard.

Misal-e-Mah Chamakta Tha Jis Ko Dagh-e-Sujood
Khareed Li Hai Farangi Ne Woh Musalmani

Prostration made like moon his forehead shine,
Alas! the Franks have snatched that essence fine.

Huwa Hareef-e-Mah-o-Aftab Tu Jis Se
Rahi Na Tere Sitaron Mein Woh Durkhashani

 

 

Sufi Se
The Mystic

Teri Nigah Mein Hai Maujazat Ki Dunya
Merinigah Mein Hai Hadsaat Ki Dunya

Your eyes are fixed on miracles that amaze,
But world of events strange attracts my gaze.

Takhiyulat Ki Dunya Ghareeb Hai, Lekin
Ghareeb Tar Hai Hayat-o-Mumat Ki Dunya

No doubt, the world of thought is strange and queer,
But worlds of Life and Death more odd appear.

Ajab Nahin Ke Badal De Isse Nigah Teri
Bula Rahi Hai Tujhe Mumkinat Ki Dunya

 

Afrang Zada
Dazzled By Europe

(1)

Tera Wujood Sarapa Tajali-e-Afrang
Ke Tu Wahan Ke Amarat Garon Ki Hai Tameer

Your light is only Europe’s light reflected:
You are four walls her architects have built,

Magar Ye Paidar-e-Khaki Khudi Se Hai Khali
Faqat Nayam Hai Tu, Zar Nigar-o-Beshamsheer!

A shell of dry mud with no tenant soul,
An empty scabbard chased with flowery gilt.

(2)

Tera Nigah Mein Sabit Nahin Khuda Ka Wujood
Meri Nigah Mein Sabit Nahin Wujood Tera

To your mind God’s existence seems unproved:
Your own existence seems not proved to mine.

Wujood Kya Hai, Faqat Johar-e-Khudi Ki Namood
Kar Apni Fikar Ke Johar Hai Be Namood Tera

 

 

Tasawwuf
Mysticism

 

Ye Hikmat-e-Malkooti, Ye Ilm-e-Lahooti
Haram Ke Dard Ka Darman Nahin To Kuch Bhi Nahin

If angelic art and celestial lore the ills of Muslims can not cure,
Worthless they are and of no use, of fact so true you must be sure.

Ye Zikr-e-Neem Shabi, Ye Marakabe, Ye Suroor
Teri Khudi Ke Nigheban Nahin To Kuch Bhi Nahin

Your reveries deep and rapture sweet, Your worship at the midst of night,
If fail to keep a watch on self, Are useless quite and have value slight.

Ye Aqal Jo Mah-o-Parveen Ka Khailti Hai Shakar
Shareek-e-Shourish-e-Pinhan Nahin To Kuch Bhi Nahin

The intellect can cast its noose on the Pleiades and the Moon;
If heart is bʹreft of love for God, It is not a worthy gift and boon.

Khirad Ne Keh Bhi Diya ‘La Ilaha’ To Kya Hasil
Dil-o-Nigah Musalman Nahin To Kuch Bhi Nahin

If wit incites a man to say ʺNo God but Heʺ it brings no gain:
It. has no worth at all I think, Unless affirmed by heart and brain.

Ajab Nahin Ke Preshan Hai Guftugoo Meri
Farogh-e-Subah Preshan Nahin To Kuch Bhi Nahin

 

Hai Zinda Faqt Wahdat-e-Afkar Se Millat

 

Hai Zinda Faqt Wahdat-e-Afkar Se Millat
Wahdat Ho Fana Jis Se Woh Ilhaam Bhi Ilhaad

Only identity of thought keeps the Faith thriving—
Doctrine by whose means schism is brought is impious striving;

Wahdat Ki Hifazat Nahin Be-Quwwat-e-Bazoo
Aati Nahin Kuch Kaam Yahan Aqal-e-Khudadad

And only the strong hand is fit to guard the creed:
Let no‐one trust man’s native wit to serve such need.

Ae Mard-e-Khuda! Yujh Ko Woh Quwwat Nahin Hasil
Ja Baith Kisi Ghaar Mein Allah Ko Kar Yaad

But that strength, preacher, we shall not find in your hand muster;
Go, and recite in some cool grot your paternoster—

Miskeeni-o-Mehkoomi-o-Naumeedi-E-Javed
Jis Ka Ye Tasawwuf Ho Woh Islam Kar Ijad

And there concoct some new Islam, Whose mystic kernel shall be
a tame submissive calm, despair eternal!

Mullah Ko Jo Hai Hind Mein Sajde Ki Ijazat
Nadan Ye Samajhta Hai Ke Islam Hai Azad!

 

Ghazal

Dil-e-Murda Dil Nahin Hai, Isse Zinda Kar Dobara
Ke Yehi Hai Ummaton Ke Marz-e-Kuhan Ka Chara

A heart devoid of love is dead, Infuse fresh life in it again:
It is the only cure for folk who suffer from some chronic pain.

Tera Behar Pur-Sukoon Hai, Ye Sukoon Hai Ya Fusoon Hai?
Na Nahang Hai, Na Toofan, Na Kharabi-e-Kinara!

Your sea is full of calm and rest is it repose or magic art?
No sharks and storms disturb your sea, Intact its coast in every part!

Tu Zameer-e-Asman Se Abhi Ashna Nahin Hai
Nahin Be-Qarar Karta Tujhe Ghamzada-e-Sitara

You are not intimate with laws that rule the spheres that spin around:
The twinkling stars do not disturb the calm which in your heart is found!

Tere Neestan Mein Dala Mere Naghma-e-Sahar Ne
Meri Khak-e-Pay-Sipar Mein Jo Nihan Tha Ek Sharara

The dormant spark that buried lay in my extinguished clay since long
Has set afire your bed of reeds, Assuming form of morning song!

Nazar Aye Ga Issi Ko Ye Jahan-e-Dosh-o-Farda
Jise Aa Gyi Mayassar Meri Shoukhi-e-Nazara

 

 

Dunya
The World

Mujh Ko Bhi Nazar Ati Hai Ye Bu-Qalmooni
Woh Chand, Ye Tara Hai, Woh Pathar, Ye Nageen Hai

The diverse hues of world I can descry,
Here stone and gem, there moon and starry sky.

Deti Hai Meri Chashm-e-Beseerat Bhi Ye Fatwa
Woh Koh, Ye Darya Hai, Woh Gardoon, Ye Zameen Hai

My insight also gives this verdict clear,
These are hills, river, earth and sphere.

Haq Baat Ko Lekin Main Chupa Kar Nahin Rakhta
Tu Hai, Tujhe Jo Kuch Nazar Ata Hai, Nahin Hai!

 

 

Namaz
Prayer

Badal Ke Bhais Phir Ate Hain Har Zamane Mein
Agarche Peer Hai Adam, Jawan Hai Laat-e-Manaat

In different garbs and various masks the idols reappear in every age:
They e’er retain their youth and gloss though man has grown old on this stage.

Ye Aik Sajda Jise Tu Garan Samajhta Hai
Hazar Sajde Se Deta Hai Admi Ko Nijat!

 

 

Wahi
Revelation

Aqal-e-Bemaya Imamat Ki Sazawar
Rahbar Hi Zan-o-Takhmeen To Zaboon Kar-e-Hayat

Poor intellect canʹt be fit to be your guide in life:
If led by guess and doubt disruption may get rife.

Fikar Be-Noor Tera, Jazb-Eamal Be-Bunyad
Sakht Mushkil Hai Ke Roshan Ho Shab-e-Tar-e-Hayat

Your zeal infirm and weak, Unlit your thoughts by light:
It is too hard to illume your lifeʹs dark dismal night.

Khoob-o-Na-Khoob Amal Ki Ho Girah Wa Kyunkar
Gar Hayat Aap Na Ho Shareh-e-Asrar-e-Hayat

 

Shikast
Defeatism

Mujahidana Hararat Rahi Na Sufi Mein
Bahana Be-Amali Ka Bani Sharab-e-Alasst

The mystics of the present age are devoid of warriorʹs rage:
The claim that they are rapt with wine of ’Last and turn from Code Divine!

Faqeeh-e-Sheher Bhi Ruhbaniat Pe Hai Majboor
Ke Maarke Hain Shariat Ke Jang-e-Dast-Badast

The jurist has such bent of mind that makes to monkish mode inclined,
In Holy Wars take rock‐like stand, They are just combats hand to hand.

Garaiz Kashmakash-e-Zindagi Se, Mardon Ki
Agar Shikast Nahin Hai To Aur Kya Hai Shikast!

 

 

Aqal-o-Dil
Heart And Intellect

Har Khaki-o-Noori Pe Hukoomat Hai Khird Ki
Bahir Nahin Kuch Aqal-e-Khudadad Ki Zad Se

Clay‐made man and angelic hosts all are swayed by wit and mind:
Naught lies beyond the reach of wit, bestowed by God benign and kind.

Alam Hai Ghulam Iss Ke Jalal-e-Azali Ka
Ek Dil Hai Ke Har Lehza Ulajhta Hai Khirad Se

 

Masti-e-Kirdar
Fervour For Action

Sufi Ki Tariqat Mein Faqt Mast-e-Ahwal
Mullah Ki Shariat Mein Faqt Mast-e-Guftar

The mystic mode has naught except the inner changes of the heart;
The talk of Mullah on his creed is merely piece of fiery art.

Shayar Ki Nawa Murda-o-Afsurda-o-Be-Zauq
Afkar Mein Sar-Mast, Na Khawabida Na Baidar

The poetʹs song of zeal bereft, is dead and struck with frost!
To outward eyes he seems awake, though in thoughts completely lost!

Woh Mard-e-Mujahid Nazar Ata Nahin Mujh Ko
Ho Jis Ke Rag-e-Pay Mein Faqt Masti-e-Kirdar

 

 

Qabar (The Grave)

Marqad Ka Shabistan Bhi Usse Raas Na Aya
Aram Qalandar Ko Teh-e-Khak Nahin Hai

A dervish feels no rest at all beneath the mound of clods and dust:
Though abysmal dark the grave, Its rigours yet bear he must.

Khamoshi-e-Aflak To Hai Qabar Mein Lekin
Be-Qaidi-o-Pehnai-e-Aflak Nahin Hai

 

 

Qalandar Ki Pehchan
The Recognition Of A Qalandar

Kehta Hai Zamane Se Ye Darvesh-e-Jawan Mard
Jata Hai Jidhar Banda-e-Haq, Tu Bhi Udhar Ja!

A Dervish bold proclaims with main and might
My guidance take, tread path quite straight and right!

Hangame Hain Mere Teri Taqat Se Zaida
Bachta Huwa Bunigah-e-Qalandar Se Guzar Ja

Beyond your might and nerves my tumults lie,
With caution great by Qalandarʹs dwelling hie!

Main Kashti-O-Mallah Ka Mauhtaj Na Hun Ga
Charhta Huwa Darya Hai Agar Tu To Utar Ja

The help of skiff and guide I do not need,
If you are swollen brook, come down with speed!

Torha Nahin Jadoo Meri Takbeer Ne Tera?
Hai Tujh Mein Mukar Jane Ki Jurrat To Mukar Ja!

Has not my Takbir broke your charm?
Revoke, if show of courage does not harm!

Meher-O-Mah-O-Anjum Ka Mahasib Hai Qalandar
Ayyam Ka Markab Nahin, Rakin Hai Qalandar

 

 

Falsafa
Philosophy

Afkar Jawanon Ke Khafi Hon Ke Jali Hon
Poshida Nahin Mard-e-Qalandar Ki Nazar Se

The thoughts of young both masked and plain
From Qalandarʹs eyes canʹt hid remain.

Maloom Hain Mujh Ko Tere Ahwal Ke Main Bhi
Muddat Huwi Guzra Tha Iss Rah Se

I know your states for I too crost,
These tracts in times which now are past.

Alfaz Ke Pechon Mein Ulajhte Nahin Dana
Ghawwas Ko Matlab Hai Sadaf Se Ke Guhar Se!

The wise ʹbout words do not quarrel,
He heeds not shell who seeks the pearl.

Paida Hai Faqat Halq-e-Arbab-e-Junoon Mein
Woh Aqal Ke Pa Jati Hai Shaole ko Sharar Se

Men crazed with love of God possess,
Wit that from spark the flame can guess.

Jis Maani-e-Pecheeda Ki Tasdeeq Kare Dil
Qeemat Mein Bohat Barh Ke Hai Tabinda Guhar Se

An import complex confirmed by heart,
Is precious more than gems in mart.

Ya Mudra Hai Ya Nazaa Ki Halat Mein Giraftar
Jo Falsafa Likha Na Gya Khoon-e-Jigar Se

 

Mardan-e-Khuda
God’s Men

Wohi Hai Banda-e-Hur Jis Ki Zarb Hai Kari
Na Woh Ke Harb Hai Jis Ki Tamam Ayyari

That man alone is brave and free, whose stroke is full of main and might;
That man is coward through and through who leans on guile and tricks in fight.

Azal Se Fitrat-e-Ahrar Mein Hain Dosh Ba-Dosh
Qalandari-o-Qaba Poshi-o-Kulahdari

From creationʹs Immemorial Dawn free born men own a bent of mind,
Qalandarʹs traits donning cloak and crown, Such distinctive marks in them we find.

Zamana Le Ke Jise Aftab Karta Hai
Unhi Ki Khak Mein Poshida Hai Woh Chingari

The spark lies hid within their clay, which the world to itself takes;
Transforms it as if by a smell and world—illuming sun it makes.

Wujood Inhi Tawaf-e-Butan Se Hai Azad
Ye Tere Momin-o-Kafir, Tamam Zunnari!

 

Kal Sahil-e-Darya Pe Kaha Mujh Se Khizar Ne

 

Kal Sahil-e-Darya Pe Kaha Mujh Se Khizar Ne
Tu Dhoond Raha Hai Sam-e-Afrang Ka Taryaq?

Thus Khizr to me did speak last day on river banks.
ʺAre you in search of cure for venom spread by Franksʺ?

Ek Nukta Mere Pas Hai Shamsheer Ki Manind
Burrinda-o-Saqeel Zada-o-Roshan-o-Burraq

I know a subtle point which like the sword is keen:
Is cutting, burnished, bright and owns a peculiar sheen.

Kafir Ki Ye Pehchan Ke Afaq Mein Gum Hai
Momin Ki Ye Pehchan Ke Gum Iss Mein Hain Afaaq!

 

Mahdi-e-Barhaq

The True Guide

Sub Apne Banaye Huwe Zindan Mein Hain Mehboos
Khawar Ke Sawabit Hon Ke Afrang Ke Sayyar

The sedent nations of the East, or active dwellers of the West;
Are inmates of such dungeons that were built by them with zeal and zest!

Peeran-e-Kalisa Hon Ke Sheikhan-e-Haram Hon
Ne Jiddat-e-Guftar Hai, Ne Jiddat-e-Kirdar

The priests who guide the Christian church, and elders who maintain the Shrine,
Lack newness of discourse and speech, Bereft are they of actions fine.

Hain Ahle-e-Siasat Ke Wohi Kuhna Kham-o-Paich
Shayar Issi Aflas-e-Takhiyyul Mein Giraftar

Experts in statecraft practise still the same antique guile and wily tricks
No flights of fancy the bard can claim to ideals low and mean he sticks!

Dunya Ko Hai Uss Mahdi-e-Barhaq Ki Zaroorat
Ho Jis Ki Nigah Zalzala-e-Alam-e-Afkar

 

Momin
(Dunya Mein)

Believer
In The World

Ho Halqa-e-Yaran To Baresham Ki Tarah Naram
Razm-e-Haq-o-Batil Ho To Foulad Hai Momin

A man whose faith is firm and strong is soft as silk in friendly throng:
In skirmish between wrong and right like sword of steel, he stands to fight!

Aflak Se Hai Iss Ki Hareefana Kashakash
Khaki Hai Magar Khak Se Azad Hai Momin

The skies are his inveterate foes his war with them e’er onward goes:
Though Muslim true of clay is born from earthly bonds still he is torn.

Jachte Nahin Kunjishik-o-Hamam Iss Ki Nazar Mein
Jibreel-o-Sarafeel Ka Sayyad Hai Momin

To hunt the sparrow and the dove he does not like and does not love:
He much aspires his noose to cast on angels great and hold it fast.

Jannat Mein
In Paradise

Kehte Hain Farishte Kr Dil Awaiz Hai Momin
Hooron Ko Shikayat Hai, Kam Amaiz Hai Momin

 

 

Muhammad Ali Baab

Thi Khoob Huzoor-e-Ulema Baab Ki Taqreeq
Bechara Galat Parthta Tha Araab-e-Samawat

Before assembled Muslim priests, Bab made a speech with apt remarks;
That fellow could not read aright ʹSamawatsʹ with its syntactic marks.

Uss Ki Ghalat Par Ulema The Mutabassam
Bola, Tumhain Maloom Nahin Mere Maqamat

The scholars smiled with contempt at stupid error that he made.
He said with courage and aplomb, They knew not his spiritual grade:

Ab Meri Imamat Ke Tasadduq Mein Hain Azad
Mehboos The Araab Mein Quran Ke Ayaat!

 

Taqdeer
(Iblees-o-Yazdan)

Fate
(Satan And God)

(Iblees)
Satan

Ae Khuda-e-Kun Fakan! Mujh Ko Na Tha Adam Se Bayr
Aah, Woh-e-Nazdeek-o-Door-o-Dair-o-Zood

Oh God, Creator! I did not hate your Adam,
That captive of Far‐and‐Near and Swift‐and‐Slow;

Harf-e-‘Istaqbar’ Tere Samne Mumkin Na Tha
Haan, Magar Teri Mashiyat Mein Natha Mera Sujood

And what presumption could refuse to You Obedience?
If I would not kneel to him, the cause was Your own fore‐ordaining will.

Yazdan
God

Kab Khula Tujh Par Ye Raaz, Inkaar Se Pehle Ke Baad?

When did that mystery dawn on you? Before, or after your sedition?

(Iblees)
Satan

Baad, Ae Teri Tajalli Se Kamalat-e-Wujood

After, oh brightness whence all the glory of all being flows.

Yazdan
(Farishton Ki Taraf Deh Kar)

God (To His Angels)

Pasti-e-Fitrat Ne Sikhlayi Hai Ye Hujjat Isse
Kehta Hai, ‘Teri Mashiyat Mein Na Tha Mera Sujood’

See what a groveling nature taught him this
Fine theorem! His not kneeling, he pretends,

De Raha Hai Apni Azadi Ko Majboori Ka Naam
Zalim Apne Shaula-e-Sozan Ko Khud Kehta Hai Dood

 

 

Ae Rooh-e-Muhammad

Shiraza Huwa Millat-e-Marhoom Ka Abtar
Ab Tu Hi Bata, Tera Musalman Kidhar Jaye!

 

Woh Lazzat-e-Ashob Nahin Beher-e-Arab Mein
Poshidah Jo Hai Mujh Mein, Woh Toofan Kidhar Jaye

 

Har Chand Hai Be-Qafla-o-Rahla-o-Zaad
Iss Koh-o-Bayaban Se Hudi Khawan Kidhar Jaye

 

Iss Raaz Ko Ab Fash Kar Ae Rooh-e-Muhammad
Ayaat-e-Elahi Ka Nigheban Kidhar Jaye!

 

Bataun Tujh Ko Musalman Ki Zindagi Kya Hai

 

Bataun Tujh Ko Musalman Ki Zindagi Kya Hai
Ye Hai Nihayat-e-Andesha-o-Kamal-e-Junoon

 

Tulu Hai Sift-e-Aftab Iss Ka Ghuroor
Yagana Aur Misal-e-Zamana Goo-Na-Goon!

 

Na Iss Mein Asr-e-Rawan Ki Haya Se Bezari
Na Iss Mein Ehd-e-Kuhan Ke Fasana-o-Afsoon

 

Haqaeeq-e-Abdi Par Asas Hai Iss Ki
Ye Zindagi Hai, Nahin Hai Tilism-e-Aflatoon!

 

Anasir Iss Ke Hain Rooh-Ul-Quds Ka Zauq-e-Jamal
Ajam Ka Husn-e-Tabiat, Arab Ka Souz-e-Darun!

 

Imamat

Guidance

Tu Ne Puchi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujh Se
Haq Tujhe Meri Tarah Sahib-e-Asrar Kare

 

Hai Wohi Tere Zamane Ka Imam-e-Barhaq
Jo Tujhe Hazir-o-Mojood Se Bezar Kare

 

Mout Ke Aaeene Mein Tujh Ko Dikha Kar Rukh-e-Dost
Zindagi Tere Liye Aur Bhi Dushwar Kare

 

De Ke Ehsas-e-Zayan Tera Lahoo Garma De
Faqr Ki Saan Charha Kar Tujhe Talwar Kare

 

Fitna-e-Millat-e-Baiza Hai Imamat Uss Ki
Jo Musalman Ko Salateen Ka Prestar Kare!

 

Faqr-o-Raahbi
Faqr And Monkery

Kuch Aur Cheez Hai Shaid Teri Musalmani
Teri Nigah Mein Hai Aik, Faqr-o-Ruhbani

 

Sukoon Prasti-e-Rahab Se Faqr Hai Bezar
Faqeeh Ka Hai Safina Humasha Toofani

 

Pasand Rooh-o-Badan Ki Hai Wa Namood Iss Ko
Ke Hai Nihayat-e-Momin Khudi Ki Uryani

 

Wujood Saer Fee Kainat Hai Uss Ka
Usse Khabar Hai, Ye Baq Hai Aur Woh Fani

 

Issi Se Puch Ke Paish-e-Nigah Hai Jo Kuch
Jahan Hai Ya Ke Faqt Rang-o-Boo Ki Tughyani

 

Ye Faqr Mard-e-Musalman Ne Koh Diya Jab Se
Rahi Na Doulat-e-Salmani-o-Sulemani

 

Teri Mata-e-Hayat Ilm-o-Hunar Ka Suroor

 

Teri Mata-e-Hayat Ilm-o-Hunar Ka Suroor
Meri Mata-e-Hayat Aik Dil-e-Nasaboor!

 

Moujaza-e-Ahl-e-Fikar, Falsafa-e-Paich Paich
Moujaza-e-Ahl-e-Zikr, Musa(A.S.)-o-Firoun-o-Toor

 

Muslahatan Keh Diya Main Ne Musalman Tujhe
Tere Nafs Mein Nahi, Garmi-e-Youm-Ul-Nashoor

 

Aik Zamane Se Hai Chaak Gireban Mera
Tu Hai Abhi Hosh Mein, Mere Junoon Ka Qasoor!

 

Faiz-e-Nazar Ke Liye Zabt-e-Sukhan Chahiye
Harf-e-Preshan Na Keh Ahl-e-Nazar Ke Huzoor

 

Khawar Jahan Mein Kabhi Ho Nahin Sakti Woh Qoum
Ishq Ho Jis Ka Jasoor, Faqr Ho Jis Ka Ghayoor