Teri Nazron Se Nazron Ka Milana Bhi Hai Be-adabi Lyrics
Teri Nazron Se Nazron Ka Milaana Bhi Hai Be-Adabi
Teri Sarkaar Men Palken Uthaana Bhi Hai Be-Adabi
Wo Naadaan Hain Jo Uncha Bolte Hain Teri Nagri Men
Wahaan To Be-Takalluf Muskuraana Bhi Hai Be-Adabi
Wahaan Ki Dhoop Men Thandak Hai Jannat Ke Makaanon Ki
Wahaan Ki Dhoop Se Khud Ko Bachaana Bhi Hai Be-Adabi
Farishte Jin Ki Mitti Par Qadam Rakhte Jhijhakte Hain
Mere Jaison Ka Un Galiyon Men Jaana Bhi Hai Be-Adabi
Kinaare Par Khade Rehna ‘Alaamat Kam-Nigaahi Ki
Teri Maujon Men Lekin Doob Jaana Bhi Hai Be-Adabi
Wahaan Jaane Ki Khwaahish Ka Na Hona Bhi Hai Gustaakhi
Wahaan Par Jaa Ke Anjum ! Laut Aana Bhi Hai Be-Adabi
तेरी नज़रों से नज़रों का मिलाना भी है बे-अदबी
तेरी सरकार में पलकें उठाना भी है बे-अदबी
वो नादाँ हैं जो ऊँचा बोलते हैं तेरी नगरी में
वहाँ तो बे-तकल्लुफ़ मुस्कुराना भी है बे-अदबी
वहाँ की धूप में ठंडक है जन्नत के मकानों की
वहाँ की धूप से ख़ुद को बचाना भी है बे-अदबी
फ़रिश्ते जिन की मिट्टी पर क़दम रखते झिझकते हैं
मेरे जैसों का उन गलियों में जाना भी है बे-अदबी
किनारे पर खड़े रहना ‘अलामत कम-निगाही की
तेरी मौजों में लेकिन डूब जाना भी है बे-अदबी
वहाँ जाने की ख़्वाहिश का न होना भी है गुस्ताख़ी
वहाँ पर जा के, अंजुम ! लौट आना भी है बे-अदबी
- Karima Sadee
- Kimya Urdu Sharh Karima Sadee By Maulana Naeem Ahmad Mazahiri
- Gohar E Be Baha Urdu Sharh Karima Sadee
- Panj Ganj
- Dars e Panj Ganj Urdu Maulana Nadeem Ahmad Qasmi
- Panj Ganj Urdu
- Taleem un Nahw
- Taleem Us Sarf