RewriteEngine On RewriteCond %{HTTP_HOST} ^barkateraza\.com$ [NC] RewriteRule ^( .* )$ https://www.barkateraza.in/$1[L,R=301,NC]

Abtar thi fiza teer giye jahle the chahi Naat Lyrics

Abtar thi fiza teer giye jahle the chahi Naat Lyrics

 

 

Sallay Ala Nabi e na sallay Ala muhammadin

sallay Ala Shafi ana sallay Ala Muhammadin
Amade sarkar se pehle aise the halaat e zamana
Abtar thi fiza teer giye jahle the chahi
Na wakif e Asrar e muhabbat rhi khudaayi
Har zahn me bugz o adavat ka dhuwan tha
Jari thi hama waqt qabilon me ladayi
Wo raat ke parde me dehelte huwe anjoom
Dushman nazar aata tha jaha’n bhai ka bhai
Dhabbe the kudurat ke har aina e dil par
Dushwaar nazar aati thi baaton ki safaai
Dukhtar ko daba aate the zinda hi zamin me
nadaan samaj the burayi ko bhalaayi
Insaan bika karta tha Insaan ke haatho
Thi gardane muflis pe rawa taeghe palai
Zaiba’ish e mehfil the khanakte huwe saghar
Raqsa tha sareerah parak husne khafaai
Mahfooz na thi iffat o azmat kisi surat
Tha jaam bakaf bazme har dast e hinaae
Insaan ka Insaan lahoo Choos raha tha
Khete hai jisse Sood wo thi unki kamaayi
Yun dil me basse rehte the af’aal e kabiha
Jaise kisi talaab me ke paani me ho kaayi
Wo apna madadgaar samajte the bud’on ko
Insaan ke kahno me thi pathar ki khudayi
Uzza tha khuda wand kahi laat o habl tha
The unke nigaahon me yahi unke rawaayi
Na wakif e adaab e tammadun tha har ek dil
Jaiz thi unhe loot juwa Sood gadayi
Laya jo koi kafilaa asbaab e tijaarat
Sab toot pare uspe looteron ki banayi
Wo jabr ke naghmo’n se faza goonj rahi thi
Mazlum ki awaj ne deti thi sunaayi
Is tarha jakad rakha tha zanjeer e sitam ne
Mushkil thi dar e adl pe rasaayi
Dete the ajab ghulaamo ko aziyat
Haq baat koi kehde toh marta tha binati
Tha faqr ru’unat pe naaz badi par
Bighdi jo kahi baat toh talwar utaayi
Khud apni hi tareef me padhte the qaside
Karte the bade faqr se khud apni badaayi ghuftaar me talqi thi toh lahje me taqabur
Akhir ye ravish unkimashiyat ko na bhaayi
X3
Wama arsalna ka illa rahmatallil a’lameen
Sarkaar marhaba X4
Aye shahe dhulkaram
Ho Salaam aap par
Hadi e mohataram
Ho Salaam aap par
Maalik e bahr o bar
Ho salam aap par
Faqr e Jin o bashar
Ho Salaam aap par
Sham se ta sahar
Ho salam aap par
Har gadi hap pahar
Ho Salaam aap par
Khatimul ambiya
Ho Salaam app par
Ya raool e khuda
Ho Salaam ap par
Ho Salam ap par
Ho Salaam ap par
Sallay Ala Nabi e na sallay Ala muhammadin
sallay Ala Shafi ana sallay Ala Muhammadin
Ubrah e faqr zehen pe ek matla e dilkash
Raqshinda o taabinda o purnoor ziyaai
Badli wo faza rehmat e haq e josh me ayi
Zulmat me Kiran phooti paye raah numaai
Mansoob huwa naam e Muhammad se wahi noor
Tanveer e hidayat mutashaqal e zaraai
Chamkadiya duniya ko isi noor e mubee’n ne
Chayi huwi sab teer kiye jehle mitaayi
Cheron se barasne lage Anwar yaqeen ke
Imaan se hone lage qalbo ki safaai
Bando’n ko khabardaar kiye azmat e rab se
Gardan sitam o jor se Insaan ki chudayi
Wo jisne yateemo ko kaleje se lagaya
Di jisne ghulaamo ko ghulaamo se rihaayi
Bando’n ko jukaya dare maabud pe jisne
Wo rah numaah jisne rahe raast dikhayi
Insaan ko akhlaaq ke khugad kiya jisne
Wo husn jo uryaan tha kiya usko ridayi
Wo jisne ujadti huwi duniya ko sa’nvara
Wo jisne bigadti huwi taqdeer banayi
Insaan ko adaab tammadun ke sikhaye
Kis tarha jiya karte hai yeh baat batayi
Is shaan se paigham u quvat diya jisne
Ansar o muhajir nazar ane lage bhai
Tabdeel kiye zehen buraayi ki taraf se
Nafrat rahi baqi na adaavat na ladai X 2
Wo zaat e girami jise Allah nawaze
Wo jiske liye mehfil e kounain sajayi
Wo Hadi e kul khatm e rusul Shafi e mehshar
Haasil jise tha arsh e mu’alla hai rasaayi
Wo sahib e Altaf o ata’ bani e ikraam
Sharminda e ahsaan e karam jiski khudaayi
Wo jiske har ek Gaul hai ganjeena e hikmat
Wo jiski har ek baat me poshida bhalayi
Wo jisko kahe syed e mahmood o mubashir
Wo paikare azmat ke jise zaib badayi
Yaseen bhi ho taha bhi ho Sadiq bhi ameen bhi
Hairaan hun kya uski karun uski Madha saraayi
Karta hu fida khatm qaside ko duwa par
Allah dare sarvare di tak ho rasai
Creadit: syedzahoor

Sharing Is Caring:

Leave a Comment