Ali Ke Ghar Se Lyrics

Ali Ke Ghar Se Lyrics

 

 

इश्क़ ए सरकार का इरफ़ान अली के घर से

 

Ishq E Sarkar Ka Irfan Ali Ke Ghar Se

Aakhirat Ka Mila Saman Ali Ke Ghar Se

इश्क़ ए सरकार का इरफ़ान अली के घर से

आख़िरत का मिला सामान अली के घर से

 

Chakki Chalti Hai Jo Zahra Ki Usi Ke Sadqe

Ishq Hota Hai Hame Daan Ali Ke Ghar Se

चक्की चलती है जो ज़हरा की उसी के सदक़े

इश्क़ होता है हमें दान अली के घर से

 

Khwaja E Hind Ne Islam Sikhaya Hamko

Ham Huye Sahib E Imaan Ali Ke Ghar Se

ख्वाजा ए हिन्द ने इस्लाम सिखाया हमको

हम हुए साहिबे ईमान अली के घर से

 

Kitni Islam Ko Payri Hai Ali Ki Nisbat

Aakhri Hoga Nigehban Ali Ke Ghar Se

कितनी इस्लाम को प्यारी है अली की निस्बत

आख़िरी होगा निगेह-बान अली के घर से

 

Usko Rizwan Na Rokenege Dar E Jannat Par

Jis Musafir Ki Hai Pahchan Ali Ke Ghar Se

उसको रिज़वान ना रुकेंगे दर ए जन्नत पर

जिस मुसाफ़िर की है पहचान अली के घर से

 

Deen Ke Waste Akbar Ne Jawani De Di

Aur Asghar Huye Qurban Ali Ke Ghar Se

दीन के वास्ते अकबर ने जवानी दे दी

और असग़र हुए क़ुर्बान अली के घर से

 

Mere Mola Mujhe Hasnain Ka Sadqa De De

Khaali Jata Nahin Mehman Ali Ke Ghar Se

मेरे मौला मुझे हसनैन का सदक़ा दे दे

खाली जाता नहीं मेहमान अली के घर पर

 

Ghouse Azam Ka Karam Noore Mujassam Kahiye

Ho Gayi Meri Bhi Pahchan Ali Ke Ghar Se

ग़ौसे आज़म का करम नूरे मुजस्सम कहिए

हो गई मेरी भी पहचान अली के घर से

Sharing Is Caring:

Leave a Comment