Gusal karne ka tarika kya hai?
GUSL KA BAYAN:
SAWAAL: Gusl karne ka tariqa kya hai ?
JAWAAB: Gusl karne ka tariqa ye hai ki pehle gusl ki niyyath karke doono haath gatton tak teen baar dhoye fir istinja ki jagah par dhoye uske baad badan par agar kahi najaasate haqiqiya yani peshaab wa paakhana agar ho toh usse door kare fir namaaz jaisa Wuzu kare magar pawoon na dhoye ‘haan’ agar chowki ya patthar wagairah oonchi cheez par nahaye toh pawoon bhi dhole. Iske baad badan par paani chupde fir teen baar dahine kandhe par paani bahaye aur fir teen baar baaye kandhe par fir sar par aur tamaam badan par teen baar paani bahaye badan par haath phere aur malein fir nahalene ke baad fauran kapda pehenle.
SAWAAL: Gusl me kitni baate farz hai ?
JAWAAB: Gusl me teen(3) baate farz hai, Kulli karna, Naak me saqt haddi tak paani chadhaana, Tamaam zahir badan par sar se pawoon tak paani bahana.
SAWAAL: Gusl me kitni baate sunnat hai ?
JAWAAB: Gusl me ye baate sunnat hai, Gusl ki niyyath karna doono haath gatton tak teen baar dhona, Istinja ki jagah dhona, Badan par jaha kahi najaasat ho usse door karna, namaaz jaisa Wuzu karna, Badan par teil ki tarah paani chupadna, Dahine kandhe fir baaye kandhe fir sar par aur tamaam badan par teen baar paani bahana tamaam badan par haath pherna aur malna, Nahane me Qibla rukh na hona aur kapda pehan kar nahana ho toh koyi harz nahi, Aisi jagah nahana ki koyi na dekhe, nahate waqt kisi qism ka kalaam na karna, Koyi dua na padhna, Aurato ko baithkar nahana, nahane ke baad fauran kapda pehen lena.
SAWAAL: Kin surathon me Gusl karna farz hai ?
JAWAAB: Juma, Eid, Bakraeid, Arfa ke din aur Ehraam baandhte waqt nahana sunnat hai.
SAWAAL: Kin surathon me Gusl karna mustahab hai ?
JAWAAB: Waqoofe arfath, Waqoofe mujadlafa, Hazariye haram, Hazariye sarkare aazam Swallallaahu alaihi wa sallam, Tawaaf, Dukhulemina, Teeno din jamron par kankariya maarne ke liye, Shabe baraat, Shabe qadr, Arfa ki raat, Majlise Milad shareef aur deegar majlise khair ki haziri ke liye, Murda nehlane ke baad, Majnoon ko junoon jaane ke baad, Gashi se ifaaqa ke baad, Nasha jaate rehne ke baad, Gunah se touba karne ke liye, Naya kapda pehen ne ke liye, safar me wapis ke baad, Istihaaza band hone ke baad, Namaaz khusoof, Istisaqa, Khauf, Taareeqi aur sakth aandhi ke liye, Badan par najaasat lagi ho aur ye maloom na ho ki kis jagah hai, Inn sab surathon me Gusl karna mustahab hai.