islamic lyrics

islamic lyrics

 

 

Wah Kya Jood-O-Karam Hay Shah-E-Batha Tera

Wah Kya Jood-O-Karam Hay Shah-E-Batha Tera,

Nahi Sunta Hi Nahin Mangne Wala Tera.

Dhare Chalte Hain Ata Key Woh Hay Qatrah Tera,

Tare Khilte Hain Sakha Key Woh Hay Zarrah Tera.

Faiz Hay Ya Shah-E-Tasneem Nirala Tera,

Ap Pyason Key Tajassus Mein Hay Darya Tera.

Aghniya Palte Hain Dar Sey Woh Hay Bara Tera,

Asfiya Chalte Hain Sar Sey Woh Hay Rasta Tera.

Farsh Wale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Janein,

Khusrawa Arsh Pe Urta Hay Pharera Tera.

Asman Khwan, Zameen Khwan, Zamana Mehman,
Sahib-E-Khana Laqab Kis Ka Hay Tera Tera.

Main To Malik Hi Kahunga Key Ho Malik Key Habeeb
Yani Mehboob-O-Muhib Mein Nahin Mera Tera.

Tere Qadmon Mein Jo Hain Ghair Ka Munh Kya Dekhein,
Kaun Nazron Pe Charhe Dekh Key Talwa Tera.

Behr-E-Sail Ka Hoon Sail Nah Kunwe Ka Pyasa,

Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheenta Tera.

Chor Hakim Sey Chupa Karte Hain Ya’n Uske Khilaf,

Tere Daman Mein Chupe Chor Anokha Tera.

Ankhein Thandi Hon Jigar Taze Hon Janein Sairab,
Sachhe Sooraj Woh Dil Ara Hay Ujala Tera.

 

Dil Abas Khauf Sey Patta Sa Ura Jata Hay,

Palla Halka Sahi Bhari Hay Bharosa Tera.

Ek Main Kya Mere Isiyan Ki Haqeeqat Kitni,

Mujh Sey Sau Lakh Ko Kafi Hay Ishara Tera.

Muft Pala Tha Kabhi Kam Ki Adat Na Parri,

Ab ‘Amal Poochte Hain Haye Nikamma Tera.

Tere Tukron Sey Pale Ghayr Ki Thokar Pe Na Dal,
Jhirkiyan Khayein Kahan Chhor Key Sadqa Tera.

Khwar-O-Beemar-O-Khatawar-O-Gunahgar Hoon Mein,
Rafe-O-Nafe-O-Shafe Laqab Aqa Tera.

Meri Taqdeer Buri Ho Toh Bhali Kar Dey Key Hay,

Mehwe Isbat Key Daftar Pey Karora Tera.

Tu Jo Chahe Toh Abhi Mail Mere Dil Key Dhulein,

Key Khuda Dil Nahin Karta Kabhi Maila Tera.

Kis Ka Munh Takiye Kahan Jaiye Kis Sey Kahiye,

Tere Hi Qadmon Mein Mit Jaye Yeh Pala Tera.

Tu Ney Islam Diya Tu Ney Jama’at Me Liya,

Tu Kareem Ab Koi Phirta Hay ‘Atiyyah Tera.

Maut Sunta Hoon Sitam Talkh Hay Zehr Ab-E-Nab,

Kaun La Dey Mujhe Talwon Ka Ghasalah Tera.

Door Kya Janiye Badkar Pey Kaisi Guzre,

Tere Hi Dar Pey Mare Bekas-O-Tanha Tera.

 

Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohot Hay Teri,

Jis Din Achon Ko Mile Jam Chalakta Tera.

Haram-O-Taibah-O-Baghdad Jidhar Kijiye Nigah,
Jowt Parti Hay Teri Noor Hay Chanta Tera.

Teri Sarkar Me Lata Hay Raza Usko Shafee’,

Jo Mera Ghaus Hay Or Ladla Beta Tera.

 

Wah Kya Martaba Ay Ghaus Hay Bala Tera

Wah Kya Martaba Ay Ghaus Hay Bala Tera,
Oonche Oonchon Key Saron Sey Qadam A’la Tera.

Sar Bhala Kya Koi Jane Key Hay Kaisa Tera,

Auliya Malte Hain Ankhein Woh Hay Talwa Tera.

Kya Dabe Jis Pey Himayat Ka Ho Panjah Tera,

Sher Ko Khatre Me Lata Nahin Kutta Tera.

Tu Husaini Hasani Kyoon Nah Muhiyuddin Ho,

Ay Khizar Majma’-E-Bahrain Hay Chashma Tera.

Qasmein Dey Dey Key Khilata Hay Pilata Hay Tujhe,
Pyara Allah Tera Chahne Wala Tera.

Mustafa Key Tane Bey Saye Ka Saya Dekha,

Jis Ney Dekha Meri Jan Jalwa-E-Zayba Tera.

Ibn-E-Zahra Ko Mubarak Ho ‘Aroos-E-Qudrat,
Qadiri Payein Tasadduq Mere Dulha Tera.

Kyoon Nah Qasim Ho Key Tu Ibn-E-Abil-Qasim Hay,
Kyoon Nah Qadir Ho Key Mukhtar Hay Baba Tera.

Nabavi Meenh ‘Alawi Fasl Batooli Gulshan,

Hasani Phool Husaini Hay Mehekna Tera.

Nabavi Zil Alawi Burj Batooli Manzil,

Hasani Chand Husaini Hay Ujala Tera.

Nabavi Khur ‘Alawi Kooh Batooli Ma’din,

Hasani La’l Husaini Hay Tajalla Tera.

 

Behr-O-Bar Sheher-O-Qura Sehel-O-Hazan Dasht-O-Chaman,
Kaun Sey Chak Pe Pohonchta Nahin Da’wa Tera.

Husn-E-Niyyat Ho Khata Phir Kabhi Karta Hi Nahin,
Azmaya Hay Yagana Hay Dogana Tera.

‘Arz-E-Ahwal Ki Pyason Me Kahan Tab Magar,
Ankhein Ay Abr-E-Karam Takti Hain Rasta Tera.

Maut Nazdeek Gunahon Ki Tahein Mail Key Khowl,

A Baras Ja Key Naha Dho Le Ye Pyasa Tera.

Ab Amad Woh Kahe Aur Mein Tayammum Bar Khast,
Musht Khak Apni Ho Aur Noor Ka Ahla Tera.

Jan To Jate Hi Jayegi Qayamat Ye Hay,

Ke Yahan Marne Pe Thehra Hay Nazarah Tera.

Tujh Sey Dar Dar Sey Sag Aur Sag Sey Hay Mujh Ko Nisbat,
Meri Gardan Me Bhi Hay Door Ka Dora Tera.

Is Nishani Key Jo Sag Hain Nahi Mare Jate,

Hashr Tak Mere Gale Mein Rahe Patta Tera.

Meri Qismat Ki Qasam Khayein Sagan-E-Baghdad,

Hind Me Bhi Hoon To Deta Rahoon Pehra Tera.

Teri Izzat Key Nisar Ay Mere Ghairat Wale,

Ah Sad Ah Key Yoon Khwar Ho Barda Tera.

Bad Sahi, Chor Sahi, Mujrim-O-Nakarah Sahi,

Ay Woh Kaisa Hi Sahi Hay To Kareema Tera.

Mujh Ko Ruswa Bhi Agar Koi Kahega To Yoon Hi,

Ke Wohi Na, Wo Raza Banda-E-Ruswa Tera.

Ay Raza Yoon Na Bilak Tu Nahin Jayyid To Na Ho,
Sayyad-E-Jayyid-E-Har Dehr Hay Mawla Tera.

Fakhr-E-Aqa Mein Raza Aur Bhi Ik Nazm-E-Rafee’,

Chal Likha Layein Thana Khwanon Mein Chehra Tera.

Tu Hay Woh Ghaus Key Har Ghaus Hay Sheda Tera

Tu Hay Woh Ghaus Key Har Ghaus Hay Shaida Tera,
Tu Hay Woh Ghais Key Har Ghais Hay Pyasa Tera.

Sooraj Aglon Key Chamaktey Thay Chamak Kar Doobe,
Ufaq-E-Noor Pey Hay Mehr Hamesha Tera.

Murgh Sab Boltey Hain Bol Key Chup Rehte Hain,

Han Aseel Ek Nawa Sanj Rahega Tera.

Jo Wali Qabl Thay Ya Ba’d Huwe Ya Hongey,

Sab Adab Rakhte Hain Dil Mein Mere Aqa Tera.

Baqasam Kehtey Hain Shahan-E-Sarifeen-O-Hareem,
Key Hua Hay Nah Wali Ho Koi Hamta Tera.

Tujhsey Aur Dahar Key Aqtab Sey Nisbat Kaisi,

Qutub Khud Kaun Hay Khadim Tera Chela Tera.

Sare Aqtab Jahan Karte Hain Ka’be Ka Tawaf,
Ka’ba Karta Hay Tawaf-E-Dar-E-Wala Tera.

Aur Parwane Hain Jo Hote Hain Ka’be Pey Nisar,
Shama’a Ek Tu Hay Key Parwanah Hay Ka’ba Tera.

Shajr-E-Sar-O-Sahee Kis Key Ugaye Tere,

Marifat Phool Sahi Kis Ka Khilaya Tera.

Tu Hay Naushah Barati Hay Yeh Sara Gulzar,
Layi Hay Fasl-E-Saman Goondh Key Sehra Tera.

Daliyan Jhoomti Hain Raqs-E-Khushi Josh Pey Hay,
Bulbulein Jhoolti Hain Gati Hain Sehra Tera.

 

Geet Kaliyon Ki Chatak Ghazlein Hazaron Ki Chehek,
Bagh Key Sazon Mein Bajta Hay Tarana Tera.

Saf-E-Har Shajrah Mein Hoti Hay Salami Teri,
Shakhein Jhuk-Jhuk Key Baja Lati Hain Mujra Tera.

Kis Gulistan Ko Nahin Fasl —E-Bahari Sey Niyaz,
Kaun Sey Silsile Mein Faiz Nah Aya Tera.

Nahin Kis Chand Ki Manzil Mein Tera Jalwa-E-Noor,
Nahin Kis Aine Key Ghar Mein Ujala Tera.

Raj Kis Sheher Mein Kartey Nahin Tere Khuddam,
Baj Kis Neher Sey Leta Nahin Darya Tera.

Mazr’ae Chisht-O-Bukhara-O-Iraq-O-Ajmer,

Kaun Si Kisht Pey Barsa Nahin Jhala Tera.

Aur Mehboob Hain, Han Par Sabhi Yaksan To Nahin,
Yoon To Mehboob Hay Har Chahne Wala Tera.

Is Ko Sau Fard Sarapa Ba-Faraghat Oorhein,

Tang Ho Kar Jo Utarne Ko Ho Neema Tera.

Gardanein Jhuk Gayin Sar Bich Gaye Dil Laut Gaye,
Kashf-E-Saq Aj Kahan Yeh To Qadam Tha Tera.

Taj-E-Farq-E-Irfa Kis Key Qadam Ko Kahiye,

Sar Jise Baj Dein Woh Paon Hay Kiska Tera.

Sukr Key Josh Mein Jo Hain Woh Tujhe Kya Janein,
Khidr Key Hosh Sey Pooche Koi Rutba Tera.

 

Admi Apne Hi Ehwal Pey Karta Hay Qiyas,

Nashe Walon Ney Bhula Sukr Nikala Tera.

Woh To Choota Hi Kaha Chahein Key Hain Zer-E-Hadeed
Aur Har Auj Sey Ooncha Hay Sitarah Tera.

Dil-E-A’da Ko Raza Tez Namak Ki Dhun Hay,

Ek Zara Aur Chirakta Rahey Khamah Tera.

 

Al Aman Qeher Hay Ay Ghaus Woh Teekha Tera

 

A1 Aman Qeher Hay Ay Ghaus Woh Teekha Tera,
Mar Key Bhi Chain Sey Sota Nahin Mara Tera.

Badalon Sey Kahin Rukti Hay Karakti Bijlee,
Dhalein Cheent Jati Hain Uthta Hay Jo Tegha Tera.

Aks Ka Dekh Key Munh Aur Biphar Jata Hay,

Char Aina Key Bal Ka Nahin Neza Tera.

Koh-E-Sar Mukh Ho To Ek War Mein Do Par Kale,
Hath Parta Hi Nahin Bhool Key Aucha Tera.

Is Pey Yeh Qeher Key Ab Chand Mukhalif Tere,
Chahate Hain Key Ghata Dein Kahin Paya Tera.

Aql Hoti To Khuda Sey Nah Larai Lete,

Yeh Ghataein Usey Manzoor Barhana Tera.

Warafa’na Laka Zikrak Ka Hay Saya Tujh Par,

Bol Bala Hay Tera Zikr Hay Ooncha Tera.

Mit Gaye Mit Te Hain Mit Jayenge A’da Tere,

Na Mita Hay Na Mitega Kabhi Charcha Tera.

Tu Ghataye Sey Kisi Key Na Ghata Hay Na Ghatay,
Jab Barhaye Tujhe Allah Ta’ala Tera.

Samm-E-Qatil Hay Khuda Ki Qasam Unka Inkar,
Munkir-E-Fadl-E-Huzoor Ah Ye Likkha Tera.

Mere Sayyaf Key Khanjar Sey Tujhe Bak Nahin,
Cheer Kar Dekhe Koi Ah Kaleja Tera.

Ibn-E-Zahra Sey Tere Dil Mein Hain Ye Zeher Bhare,

Bal Be Ow Munkir-E-Be Bak Yeh Zuhra Tera.

Baz-E-Ashhab Ki Ghulami Sey Yeh Ankhein Phirni,
Dekh Ur Jayega Iman Ka Tota Tera.

Shakh Par Baith Key Jar Katne Ki Fikr Mein Hain,
Kahin Neecha Na Dikhaye Tujhe Shajra Tera.

Haq Sey Bad Ho Key Zamane Ka Bhala Banta Hay,

Are Main Khoob Samajhta Hoon Mua’mma Tera.

Sag-E-Dar Qeher Sey Dekhe To Bikharta Hay Abhi,

Band Band-E-Badan Ay Roobeh Duniya Tera.

Gharz Aqa Sey Karoon Arz Key Teri Hay Panah,
Bandah Majboor Hay Khatir Pe Hay Qabza Tera.

Hukm-E-Nafiz Hay Tera Khamah Tera Saif Teri,

Dam Main Jo Chahe Kare Dor Hay Shaha Tera.

Jis Ko Lalkar De Ata To Ulta Phir Jaye,

Jis Ko Chamkar Le Har Phir Key Woh Tera Tera.

Kunjiyan Dil Ki Khuda Ne Tujhe Dein Aisi Kar,

Ke Yeh Seena Ho Mohabbat Ka Khazeena Tera.

Dil Pe Kundah Ho Tera Nam Key Wo Duzd-E-Rajeem,
Ulte Hi Paon Phire Dekh Key Tughra Tera.

Naz’a Mein Gor Mein Meezan Pe Sar-E-Pul Pe Kahin,
Na Chutay Hath Say Daman-E-Mu’alla Tera.

Dhoop Mahshar Ki Woh Jan Soz Qayamat Hay Magar,
Mutmain Hoon Key Mere Sar Pe Hay Palla Tera.

Bahjat Is Sir Ki Hay Jo Bahjatul Asrar Mein Hay,

Ke Falak War Mureedon Pe Hay Saya Tera.

Ay Raza Cheest-E-Gham Ar Jumlah Jahan Dushman-E-Tust,
Kardah Am Mamane Khud Qibla-E-Hajate Ra.

 

Hum Khak Main Aur Khak Hi Mawa Hay Hamara

 

Hum Khak Hain Aur Khak Hi Mawa Hay Hamara,
Khaki To Woh Adam Jad-E-Ala Hay Hamara.

Allah Humein Khak Kare Apni Talab Me,

Yeh Khak To Sarkar Sey Tamgha Hay Hamara.

Jis Khak Pe Rakhte The Qadam Sayyid-E-‘Alam,

Us Khak Pe Qurba(N) Dil-E-Shaida Hay Hamara.

Kham Ho Gayi Pusht-E-Falak Iss Ta’ane Zamee(N) Sey,
Sun Hum Pe Madinah Hay Wo Rutba Hay Hamara.

Usne Laqab-E-Khaq Shahenshah Sey Paya,

Jo Haider-E-Karrar Key Maula Hay Hamara.

Ay Mudda’eyo! Khak Ko Turn Khak Na Samjhe,

Is Khak Me Madfoo(N) Shah-E-Batha Hay Hamara.

Hay Khak Sey Ta’ameer Mazar-E-Shah-E-Kounain,
Ma’mur Isi Khak Sey Qiblah Hay Hamara.

Hum Khak Urain Ge Jo Wo Khak Na Payi,

Abad Raza Jis Pe Madinah Hay Hamara.

 

Gham Ho Gaye Beshumar Aqa

 

 

Gham Ho Gaye Beshumar Aqa,
Bandah Tere Nisar Aqa.

Bigra Jata Hay Khel Mera,

Aqa Aqa Sanwar Aqa.

Manjhdar Pe Ake Naw Tooti,

De Hath Key Hoon Main Par Aqa.

Tooti Jati Hay Peeth Meri,

Lillah Ye Bojh Utar Aqa.

Halka Hay Agar Hamara Palla,

Bhari Hay Tera Waqar Aqa.

Majboor Hain Ham To Fikr Kya Hay,
Turn Ko To Hay Ikhtiyar Aqa.

Main Door Hoon Turn To Ho Mere Pas,
Sun Lo Meri Pukar Aqa.

Mujh Sa Koi Ghamzadah Na Hoga,

Turn Sa Nahin Gham Gusar Aqa.

Girdab Me Par Gayi Hay Kashti,
Dooba Dooba Utar Aqa.

Turn Woh Key Karam Ko Naz Turn Sey,
Main Woh Key Badi Ko Ar Aqa.

Phir Munh Na Pare Kabhi Khizan Ka,
De De Aisi Bahar Aqa.

 

Jis Ki Marzi Khuda Na Tale,

Mera Hay Woh Namdar Aqa.

Hay Mulk-E-Khuda Pe Jiska Qabza,
Mera Hay Woh Kamgar Aqa.

Soya Kiye Nabakar Bande,

Roya Kiye Zar Zar Aqa.

Kya Bhool Hay Unke Hote Kehlaein,
Duniya Kay Yeh Tajdar Aqa.

Unke Adna Gada Pe Mit Jayein,
Aise Aise Hazar Aqa.

Be Abr-E-Karam Key Mere Dhabbe,
La Taghsiluha-Al-Bihar Aqa.

Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo,

La Yaqrubuhu-Ul-Bawar Aqa.

 

Muhammad Mazhar-E-Kamil

 

Muhammad Mazhar-E-Kamil Hain Haq Ki Shan-E-Izzat Ka,
Nazar Ata Hay Is Kasrat Mein Kuch Andaz Wahdat Ka.

Yahi Hay Asl-E-Alam-E-Madah Ijad-E-Khalqat Ka,

Yahan Wahdat Mein Barpa Hay Ajab Hangama Kasrat Ka.

Gada Bhi Muntazir Hay Khuld Mein Nekon Ki Da’wat Ka,

Khuda Din Khair Sey Laye Sakhi Key Ghar Ziyafat Ka.

Gunah Maghfoor, Dil Raushan, Khanak Ankhein, Jigar Thanda,
Ta’ala-Allah Mah-E-Taiba Alam Teri Tal’at Ka.

Na Rakhi Gul Key Josh-E-Husn Ne Gulshan Meinja Baqi,
Chatakta Phir Kahan Ghuncha Koi Bagh-E-Risalat Ka.

Barha Ye Silsila-E-Rahmat Ka Daur-E-Zulf-E-Wala Mein.
Tasalsal Kale Koson Reh Gaya Isiyan Ki Zulmat Ka.

Saf-E-Matam Uthe Khali Ho Zindan Tootein Zanjeerain,
Gunahgaro Chalo Mawla Ne Dar Khola Hay Jannat Ka.

Sikhaya Hay Yeh Kis Gustakh Ne Aina Ko Ya Rab,

Nazarah Rooye Janan Ka Bahana Kar Key Hairat Ka.

Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaliq Ki Rahmat Par,
Nirala Taur Hoga Gardish-E-Chashme Shafa’at Ka.

Barhein Is Darja Maujein Kasrat-E-Afdal-E-Wala Ki,

Kinarah Mil Gaya Is Neher Sey Darya-E-Wahdat Ka.

Kham-E-Zulf-E-Nabi Sajid Hay Mehrab-E-Do Abru Mein,

Ke Ya Rab Tu Hi Wali Hay Siyah Karan-E-Ummat Ka.

26

Madad Ay Joshish-E-Girya Baha De Kooh Aur Sehra,

Nazar A Jaye Jalwah Be Hijab Us Pak Turbat Ka.

Hue Kam Khwabi-E-Hijran Mein Saton Parde Kam Khwabi,
Tassawwur Khoob Bandha Ankhon Ne Astar-E-Turbat Ka.

Yaqeen Hay Waqt-E-Jalwah Laghzishain Paye Negah Paye,
Mile Josh-E-Safaye Jism Sey Pa Bos Hazrat Ka.

Yahan Chirka Namak Wa Marham-E-Kafoor Hath Aya,
Dil-E-Zakhmi Namak Parwardah Hay Kis Ki Malahat Ka.

Ilahi Muntazir Hoon Woh Khiram-E-Naz Farmaein,

Bicha Rakha Hay Farsh Ankhon Ne Kam Khwab-E-Basarat Ka.

Na Ho Aqa Ko Sajdah Adam-O-Yusuf Ko Sajdah Ho,

Magar Sad-E-Zaray’-E- Dab Hay Apni Shari’at Ka.

Zaban-E-Khar Kis Kis Dard Sey Un Ko Sunati Hay,

Tarapna Dasht-E-Taiba Mein Jigar Afgar-Furqat Ka.

Sirhane Un Key Bismil Key Ye Betabi Ka Matam Hay,

Shahe Kausar Tarahham Tishnahjata Hay Ziyarat Ka.

Jinhein Marqad Me Ta Hashr Ummati Keh Kar Pukaroge,
Hamain Bhi Yad Kar Lo Un Mein Sadqa Apni Rahmat Ka.

Woh Chamke Bijliyan Ya Rab Tajalli Haye Janan Sey,

Ke Chashm-E-Toor Surma Ho Dil Mushtaq Rooyat Ka.

Raza-E-Khasta Josh-E-Behr-E-‘Isiyan Sey Na Ghabrana,

Kabhi To Hath Ajayega Daman Unki Rahmat Ka.

27

Lutf Unka Am Ho Hi Jayega
Lutf Unka Am Ho Hi Jayega,

Shad Har Na Kam Ho Hi Jayega.

Jan De Do Wada-E-Deedar Par,

Naqd Apna Dam Ho Hi Jayega.

Shad Hay Firdous Yani Ek Din,
Qismat-E-Khuddam Ho Hi Jayega.

Yad Reh Jayengi Yeh Be Bakiyan,
Nafs To To Ram Ho Hi Jayega.

Be Nishano Ka Nishan Mit Ta Nahin,
Mit Te Mit Te Nam Ho Hi Jayega.

Yad-E-Gesu Zikr-E- Haq Hay Ah Kar,
Dil Mein Paida Lam Ho Hi Jayega.

Ek Din Awaz Badleinge Yeh Saz,

Cheh Chaha Kohram Ho Hi Jayega.

Sailo Daman Sakhi Ka Tham Lo,

Kuch Na Kuch In’am Ho Hi Jayega.

Yad-E-Abru Karke Tarpo Bulbulo,
Tukre-Tukre Dam Ho Hi Jayega.

Mufliso Unki Gali Mein Ja Paro,
Bagh-E-Khuld Ikram Ho Hi Jayega.

Gar Yoonhi Rahmat Ki Tawilein Rahein,
Madh Har Ilzam Ho Hi Jayega.

28

Badah Khawari Ka Saman Bandhne To Do,
Shaikh Durd A Sham Ho Hi Jayega.

Gham To Unko Bhool Kar Lipta Hain Yoon,
Jaise Apna Kam Ho Hi Jayega.

Mit Key Gar Yoonhi Raha Qarz-E-Hayat,

Jan Ka Neelam Ho Hi Jayega.

Aqilo Unki Nazar Seedhi Rahe,

Bauron Ka Bhi Kam Ho Hi Jayega.

Ab To Layi Hay Shafa’at Afw Par,

Barhte Barhte Am Ho Hi Jayega.

Ay Raza Har Kam Ka Ek Waqt Hay,

Dil Ko Bhi Aram Ho Hi Jayega.

 

Lam Yatinazeeruka Fee Nazarin

 

Lam Yati Nazeeruka Fee Nazarin Mithle To Na Shud Paida Jana,

Jag Raj Ko Taj Tore Sarso Hay Tujh Ko Shahe Do Sara Jana.

Al-Bahru ‘Ala Wal Mauju Tagha Mann Bekas-O-Toofan Hosh Ruba,
Manjdhar Mein Hoon Bigri Hay Hawa Mori Nayya Par Laga Jana.

Ya Shamsu Nazarti Ila Lailee Chu Ba Taiba Rasi ‘Arz-E-Ba Kuni,

Tori Jowt Ki Jhaljhal Jag Mein Rachi Mori Shab Ne Na Din Hona Jana.

Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal Khat Hala-E-Mah Zulf Abr-E-Ajil,

Tore Chandan Chandar Paro Kundal Rahmat Ki Bharan Barsa Jana.

Ana Fi Atashin-Wa Sakha Ka Atam Ay Gesuye Pak Ay Abre Karam,
Barsan Hare Rimjhim Rimjhim Do Boond Idhar Bhi Gira Jana.

Ya Qafilatee Zeedee Ajalak Rahme Bar Hasrate Tishna Labak,

Mora Jiyara Larje Darak Darak Taiba Sey Abhi Na Suna Jana.

Wa Ahan Lisooway’atin Zahabat An Ahad-E-Huzoor Bar-E-Gahat,

Jab Yad Awat Mohe Kar Na Parat Darda Woh Madinah Ka Jana.

Alqalbu Shajin Wal Hammu Shujoon Dil Zar Chuna Jan Zer-E- Chunoo,
Pat Apni Bipat Mai Ka Sey Kahoo Mera Kaun Hay Tere Siwa Jana.

Arruhu Fidaka Fazid Harqa Yak Sho’la Digar Barzan ‘Ishqa,

Mora Tan Man Dhan Sab Phoonk Diya Ye Jan Bhi Pyare Jala Jana.

Bas Khamae Kham-E-Nawa-E-Raza Na Ye Tarz Meri Na Ye Rang Mera,
Irshad-E-Ahibba Natiq Tha Nachar Is Rah Parra Jana.

30

Na Asman Ko Yoon Sar Kasheedah Hona Tha
Na Asman Ko Yoon Sar Kasheedah Hona Tha,
Huzoor-E-Khak-E-Madinah Khameedah Hona Tha.

Agar Gulon Ko Khizan Na Raseedah Hona Tha,
Kinar-E-Khar-E-Madinah Dameedah Hona Tha.

Huzoor Un Key Khilaf-E-Adab Thi Betabi,

Meri Umeed Tujhe Ar Meedah Hona Tha.

Nazarah Khak-E-Madinah Ka Aur Teri Ankh,

Na Is Qadar Bhi Qamar Shaukh Deedah Hona Tha.

Kinar-E-Khak-E-Madinah Mein Rahatein Milti,
Dil-E-Hazeen Tujhe Ashk Chakeedah Hona Tha.

Panah-E- Daman-E-Dasht-E-Haram Mein Chain Ata,
Na Sabr-E-Dil Ko Ghazal-E-Rameedah Hona Tha.

Ye Kaise Khulta Key Unke Siwa Shafee Nahin,

‘Abath Na Auron Key Age Tapeedah Hona Tha.

Hilal Kaise Na Banta Key Mah-E-Kamil Ko,
Salam-E-Abroo-E-Shah Mein Khameedah Hona Tha.

La Amla Anna Jahannam Tha Wa’dah-E-Azali,

Na Munkiron Ka ‘Abath Bad ‘Aqeedah Hona Tha.

Naseem Kyoon Na Shameem Un Ki Taiba Sey Lati,

Ke Subh-E-Gul Ko Gireban Dareedah Hona Tha.

Tapakta Rang-E-Junoon ‘Ishq-E-Shah Me Har Gul Sey,
Rag-E-Bahar Ko Nishtar Raseedah Hona Tha.

31

Baja Tha ‘Arsh Pe Khak-E-Mazar-E-Pak Ko Naz,
Ke Tujh Sa Arsh Nashin Afreedah Hona Tha.

Guzarte Jan Sey Ek Shor-E-Ya Habeeb Key Sath,
Fughan Ko Nala-E-Halq Bureedah Hona Tha.

Mere Kareem Gunah Zeher Hay Magar Akhir,

Koi To Shahed-E-Shafa’at Chasheedah Hona Tha.

Jo Sang-E-Dar Pe Jabeen Saiyon Mein Tha Mitna,

To Meri Jan Sharar-E-Jaheedah Hona Tha.

Teri Quba Key Na Kyoon Neeche Neeche Daman Hon,
Ke Khaksaro Sey Yan Kab Kasheedah Hona Tha.

Raza Jo Dil Ko Banana Tha Jalwah Gah-E-Habeeb,

Tu Pyare Qaid-E-Khudi Say Raheedah Hona Tha.

32

Shor-E-Mah-E-Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawan Aya
Shor-E-Mah-E-Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawan Aya,
Saqi Mai Tere Sadqe Mai De Ramadan Aya.

Is Gul Key Siwa Har Phool Ba Gosh-E-Giran Aya,

Dekhe Hi Gayee Ay Bulbul Jab Waqt-E-Fughan Aya.

Jab Bam-E-Tajalli Par Woh Nayyar-E-Jan Aya,

Sar Tha Jo Gira Jhuk Kar Dil Tha Jo Tapan Aya.

Jannat Ko Haram Samjha Ate To Yahan Aya,

Ab Tak Key Har Ek Ka Munh Kehta Hoon Kahan Aya.

Taiba Key Siwa Sab Bagh Pa Mal-E-Fana Honge,
Dekhoge Chaman Walo Jab ‘Ahd-E-Khizan Aya.

Sar Aur Woh Sang-E-Dar Ankh Aur Woh Bazm-E-Noor,
Zalim Ko Watan Ka Dhyan Aya To Kahan Aya.

Kuch Na’at Key Tabqe Ka ‘Alam Hi Nirala Hay,

Sakte Mein Pari Hay Aql Chakkar Mein Guman Aya.

Jalti Thi Zameen Kaisi Thee Dhoop Kari Kaisi,

Lo Woh Qad-E-Be Saya Ab Saya Kinan Aya.

Taiba Sey Ham Ate Hain Kahiye To Jinan Walo,

Kya Dekh Key Jeeta Hay Jo Wan Sey Yahan Aya.

Le Toq-E- Alam Sey Ab Azad Ho Ay Qumri,

Chithi Liye Bakhshish Ki Woh Sarwe-Rawan Aya.

Namah-Sey-Raza Key Ab Mit Jao Bure Kamo,

Dekho Mere Palle Par Woh Ache Miyan Aya.

33

Badkar-Raza Khush Ho Badkam Bhale Honge,
Woh Ache Miyan Pyara Achon Ka Miyan Aya.

34

Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya
Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya,

Tumhare Kooche Sey Rukhsat Kiya Nihal Kiya.

Na Rooye Gul Abhi Dekha Na Booye Gul Soonghi,

Qaza Ne Lake Qafas Mein Shikasta Bal Kiya.

Woh Dil Key Khoon Shudah Arman The Jis Mein Mal Dala,
Fughan Key Gor-E-Shahidan Ko Payemal Kiya.

Ye Raye Kya Thi Wahan Sey Palatne Ki Ay Nafs,

Sitam Gar Ulti Churi Sey Hamain Halal Kiya.

Ye Kab Ki Mujh Sey Adawat Thi Tujh Ko Ay Zalim,

Chura Key Sang-E-Dar-E-Pak Sar Wabal Kiya.

Chaman Sey Phenk Diya Ashiyana-E-Bulbul,

Ujara Khana-E-Be Kas Bara Kamal Kiya.

Tera Sitam Zadah Ankhon Ne Kya Bigara Tha,

Ye Kya Samai Key Door Un Sey Woh Jamal Kiya.

Huzoor Un Key Khyal-E-Watan Mitana Tha,

Ham Ap Mit Gaye Ache Faragh Bal Kiya.

Na Ghar Ka Rakha Na Is Dar Ka Haye Na Kami,

Hamari Be Basi Par Bhi Na Kuch Khyal Kiya.

Jo Dil Ne Mar Key Jalaya Tha Mannato Ka Charagh,

Sitam Key Arz Rah-E-Sar Sar Zawal Kiya.

Madinah Chor Key Weerana Hind Ka Chaya,

Ye Kaisa Haye Hawason Ne Ikhtilal Kiya.

35

Tu Jis Key Waste Chor Aya Taiba Sa Mahboob,

Bata To Is Sitam Ara Ne Kya Nihal Kiya.

Abhi Abhi To Chaman Mein Thay Chehchahe Na Gah,
Ye Dard Kaisa Utha Jis Ne Jee Nidhal Kiya.

Ilahi Sun Le Razajeete Jee Key Mawla Ne,
Sagan-E-Koocha Mein Chehra-E-Mera Bahal Kiya.

 

Bandah Milne Ko Qareeb-E-Hazrat-E-Qadir Gaya

 

Bandah Milne Ko Qareeb-E-Hazrat-E-Qadir Gaya,
Lam’ah-E-Batin Me Gumne Jalwah-E-Zahir Gaya.

Teri Marzi Pa Gaya Sooraj Phira Ulte Qadam,

Teri Ungli Uth Gayi Mah Ka Kaleja Chir Gaya.

Barh Chali Teri Ziya Andher Alam Sey Ghatta,

Khul Gaya Gesu Tera Rahmat Ka Badal Ghir Gaya.

Bandh Gayi Teri Hawa Sa Woh Mein Khak Urne Lagi,
Barh Chali Teri Ziya Atish Pe Pani Phir Gaya.

Teri Rahmat Sey Safi-Ullah Ka Bera Par Tha,

Tere Sadqe Sey Naji-Ullah Ka Bajra Tir Gaya.

Teri Amad Thi Key Baitullah Mujre Ko Jhuka,

Teri Haibat Thi Key Har But Thar Thara Kar Gir Gaya.

Momin Un Ka Kya Hua Allah Uska Ho Gaya,

Kafir Un Sey Kya Phira Allah Hi Sey Phir Gaya.

Woh Key Us Dar Ka Hua Khalq-E-Khuda Us Ki Hui,

Woh Key Us Dar Sey Phira Allah Hi Sey Phir Gaya.

Mujh Ko Deewana Batate Ho Main Woh Hushiyar Hoon,
Paon Jab Tof-E-Haram Me Thak Gaye Sar Phir Gaya.

Rehmatul-Lil-‘Alameen Afat Mein Hoon Kaisi Karoon,
Mere Mawla Main To Is Dil Sey Bala Mein Ghir Gaya.

Mein Tere Hathon Key Sadqe Kaisi Kankariyan Thee Woh,
Jin Sey Itne Kafiron Ka Daf’atan Munh Phir Gaya.

37

Kyoon Janab-E-Bu Hurairah Tha Woh Kaisa Jam-E-Sheer,
Jis Sey Sattar Sahibon Ka Doodh Sey Munh Phir Gaya.

Wasta Pyare Ka Aisa Ho Key Jo Sunni Marre,

Yoon Na Farmayein Tere Shahid Key Woh Fajir Gaya.

Arsh Par Dhoomein Machein Woh Momine Saleh Mila,
Farsh Sey Matam Uthe Wo Tayyib-O-Tahir Gaya.

Allah Allah Ye ‘Uloo-E-Khas ‘Abdiyat-Raza,

Bandah Milne Ko Qareeb-E-Hazrat-E-Qadir Gaya.

Thokarein Khate Phiroge Unke Dar Par Par Raho,

Qafila To Ay Raza Awwal Gaya Akhir Gaya.

38

Ne’matein Bantta Jis Samt Woh Zeeshan Gaya
Ne’matein Bantta Jis Samt Wo Zeeshan Gay A,

Sath Hi Munshi -E-Rahmat Ka Qalamdan Gaya.

Le Khabar Jald Key Ghairon Ki Taraf Dhyan Gaya,

Mere Mawla Mere Aqa Tere Qurban Gaya.

Ah Wo Ankh Key Nakame Tammanna Hi Rahi,
Haye Wo Dil Jo Tere Dar Sey Pur Arman Gaya.

Dil Hay Wo Dil Jo Teri Yad Sey Ma’moor Raha,

Sar Hay Wo Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurban Gaya.

Unhein Jana Unhein Mana Na Rakha Ghair Sey Kam,
Lillahil Hamd Main Duniya Sey Musalman Gaya.

Aur Turn Par Mere Aqa Ki ‘Inayat Na Sahi,

Najdiyon Kalmah Parhane Ka Bhi Ehsan Gaya.

Aj Le Unki Panah Aj Madad Mang Un Sey,

Phir Na Manenge Qayamat Mein Agar Man Gaya.

Uf Re Munkir Ye Barha Joshe Ta’assub Akhir,

Bheer Mein Hath Sey Kam Bakht Key Iman Gaya.

Jan-O-Dil Hosh-O-Khirad Sab To Madine Pahunche,

Turn Nahin Chalte Raza Sara To Saman Gaya.

 

Tab-E-Mirat-E-Saher Gard-E-Bayaban-E-Arab

 

Tab-E-Mirat-E-Saher Gard-E-Bayaban-E-Arab,
Ghaza-E-Rooye Qamar Dood-E-Charaghan-E-Arab.

Allah Allah Bahar-E-Chamanistane Arab,

Pak Hain Lauth-E-Khizan Sey Gul-O-Rehan-E-Arab.

Joshish-E-Abr Sey Khoon-E-Gul-E-Firdous Kare,

Cher De Rag Ko Agar Khar-E-Bayaban-E-Arab.

Tishna-E-Neher-E-Jinan Har Arabi-O-Ajami,

Lab-E-Har Neher-E-Jinan Tishna-E-Neesane Arab.

Toq-E-Gham Ap Hawae Pare Qumri Sey Gire,

Agar Azad Kare Sarw-E-Khuraman-E-Arab.

Meher-E-Meezan Mein Chupa Ho To Hamal Mein Chamke,
Dale Ek Boond Shabe De Mein Jo Baran-E-Arab.

Arsh Sey Muzda-E-Bilqees-E-Shafa’at Laya,

Tair-E-Sidrah Nasheen Murgh-E-Suleman-E-Arab.

Husn-E-Yusuf Pe Kateen Misr Mein Angasht-E-Zanan,

Sar Katate Hain Tere Nam Pe Mardan-E-Arab.

Koocha Koocha Mein Mahekti Hay Yahan Boo—E-Qamees,
Yusufistan Hay Har Ek Gosha-E-Kan’an-E-Arab.

Bazm-E-Qudsi Mein Hay Yad-E-Lab-E-Jan Bakhsh Huzoor,
Alam-E-Noor Mein Hay Chashma-E-Hay Wan-E-Arab.

Payay Jibreel Ne Sarkar Sey Kya Kya Alqab,
Khusr-O-Khail-E-Malak Khadim-E-Sultan-E-Arab.

40

Bulbul-O-Nilpar-O-Kabak Bano Parwano,
Meh-O-Khursheed Pe Hanste Hain Charaghan-E-Arab.

Hoor Sey Kya Kahein Moosa Sey Magar Arz Karein,

Ke Hay Khud Husn-E-Azal Talib-E-Janan-E-Arab.

Karam-E-Nat-Key Nazdeek To Kuch Door Nahin,

Ke Raza-E-Ajami Ho Sag-E- Hassan-E-Arab.

41

Phir Utha Walwala-E-Yad-E- Mugheelan-E-Arab
Phir Utha Walwala-E-Yad-E-Mugheelan-E-Arab,

Phir Khincha Daman-E-Dil Sooye Bayaban-E-Arab.

Bagh-E-Firdous Ko Jate Hain Hazaran-E-Arab,

Haye Sehra-E-Arab Haye Bayaban-E-Arab.

Meethi Batein Teri Deen-E-Ajam Iman-E-Arab,

Namkeen Husn Tera Jan-E-Ajam Shan-E-Arab.

Ab To Hay Girya-E- Khoon Gauhar-E-Daman-E-Arab,
Jismein Do La’al The Zahra Key Woh Thee Kan-E-Arab.

Dil Wohi Dil Hay Jo Ankhon Sey Ho Hairan-E-Arab,
Ankhein Wo Ankhein Hain Jo Dil Sey Hon Qurban-E-Arab.

Haye Kis Waqt Lagi Phans Alam Ki Dil Mein,

Ke Bohot Door Rahe Khar-E-Mugheelan-E-Arab.

Fasl-E-Gul Lakh Na Ho Wasl Ki Rakh As Hazar,

Phoolte Phalte Hain Be Fasl Gulistan-E-Arab.

Sadqe Hone Ko Chale Ate Hain Lakhon Gulzar,

Kuch Ajab Rang Sey Phoola Hay Gulistan-E-Arab.

Andaleebi Pe Jagharte Hain Kate Marte Hain,

Gul-O-Bulbul Ko Larata Hay Gulistan-E-Arab.

Sadqe Rahmat Key Kahan Phool Kahan Khar Ka Kam,
Khud Hay Daman Kash-E-Bulbul Gul-E-Khandan-Arab.

Shadi-E-Hashr Hay Sadqe Mein Chutenge Qaidi,

Arsh Par Dhoom Sey Hay Dawat-E-Mehman-E-Arab.

42

Charche Hote Hain Ye Kamhlaye Huey Phoolon Mein,
Kyoon Ye Din Dekhte Pate Jo Biyaban-E-Arab.

Tere Be Dam Key Bande Hain Raeesan-E-Ajam,

Tere Be Dam Key Bandi Hain Hazaran-E-Arab.

Hasht-E- Khuld Ayein Wahan Kasb-E-Latafat Ko Raza,
Char Din Barse Jahan Abr-E-Baharan-E-Arab.

43

Jo Banon Par Hay Bahar-E-Chaman Arai-E-Dost
Jo Banon Par Hay Bahar-E-Chaman Arai-E-Dost,

Khuld Ka Nam Na Le Bulbul-E- Shaidayi-E-Dost.

Thak Key Beithe To Dar-E-Dil Pe Tamannai-E-Dost,

Kaun Sey Ghar Ka Ujala Nahin Zebai-E-Dost.

Arsa-E- Hashr Kuja Mawqaf-E-Mahmood-Kuja,

Saz Hangamon Sey Rakhti Nahi Yaktai-E-Dost.

Mehr Kis Munh Sey Jaluw Dari Janan Karta,

Saya Key Nam Sey Bezar Hay Yaktai-E-Dost.

Marne Walon Ko Yahan Milti Hay Umr-E-Javed,

Zinda Choregi Kisi Ko Na Maseehai-E-Dost.

Unko Yakta Kiya Aur Khalq Banai Ya’ani,

Anjuman Karke Tamasha Karein Tanhai-E-Dost.

Ka’aba-O-Arsh Mein Kohram Hay Na Kami Ka,

Ah Kis Bazm Mein Hay Jalwa-E-Yaktai-E-Dost.

Husne Be Pardah Key Parde Ne Mitta Rakha Hay,
Dhoondne Jayein Kahanjalwa-E-Har Jai-E-Dost.

Shauq Roke Na Ruke Paon Uthaye Na Uthe,

Kaisi Mushkil Me Hain Allah Tamannai-E-Dost.

Sharm Sey Jhukti Hain Mehrab Key Sajid Hain Huzoor,
Sajdah Karwati Hay Ka’aba Sey Jabeen Sayi-E-Dost.

Taj Walo Ka Yahan Khak Pe Matha Dekha,

Sarey Daraoon Ki Dara Hoyi Darai-E-Dost.

44

Toor Par Koyi Koyi Charakh Pe Ye Arsh Sey Par,

Sare Balaon Pe Bala Rahi Balai-E-Dost.

Anta Fee Him Ne Adoo Ko Bhi Liya Daman Mein,

Aishe Javed Mubarak Tujhe Shaydai-E-Dost.

Ranj-E-Ada Ka Raza Charah Hi Kya Hay Key Unhein,
Ap Gustakh Rakhe Halm-O-Shakeebai-E-Dost.

45

Tooba Mein Jo Sab Sey Oonchinazuk Seedhiniklishakh
Tooba Mein Jo Sab Sey Oonchi Nazuk Seedhi Nikli Shakh,

Mangun Nat-E-Nabi Likhne Ko Rooh-E-Quds Sey Aisi Shakh.

Mawla Gulbun Rahmat Zahra Sibtain Uski Kaliyan Phool,
Siddique-O-Farooq-O-Usman-O-Haidar Har Ek Uski Shakh.

Shakh-E-Qamat Sheh Me Zulf-O-Chashm-O-Rukhsar-O-Lab Main,
Sunbul Nargis Gul Pankhariyan Qudrat Ki Kya Phooli Shakh.

Apne In Baghon Ka Sadqa Woh Rahmat Ka Pani De,

Jis Sey Nakhl-E-Dil Mein Ho Paida Pyare Teri Wila Ki Shakh.

Yad-E-Rukh Mein Ahein Kar Key Ban Mein Main Roya Ayi Bahar,
Jhoomein Naseemein Nisan Barsa Kaliyan Chatkein Mehki Shakh.

Zahir-O-Batin Awwal-O-Akhir Zeb-E-Faroo’-O-Zain-E-Usool,
Bagh-E-Risalat Mein Hay Tu Hi Gul Ghuncha Jar Patti Shakh.

Al-E-Ahmad Khuzbiyadi Ya Sayyad-E-Hamza Kun Madadi,
Waqt-E-Khazan-E-Umre-E-Raza Ho Barg-E-Huda Sey Na Ari Shakh.

46

Zahe Izzat-O-A’etla-E-Muhammad (Salallahu Alayhi
Wasallam)
Zahe Izzat-O-A’etla-E-Muhammad

Keh Hay Arsh-E-Haq Zere Pa-E-Muhammad ( Alujg<Uic •

Makan Arsh Unka Falak Farsh Unka,

Malak Khadiman-E-Sara-E-Muhammad .

Khuda Ki Raza Chahte Hain Do Alam,

Khuda Chahta Hay Raza-E-Muhammad .

Ajab Kya Agar Raham Farmaein Ham Par,
Khuda-E-Muhammad-Baraye Muhammad •

Muhammad Bara-E-Janab-E-Ilahi,

Janab-E-Ilahi Bara-E-Muhammad .

Basi Itr-E-Mehboob-E-Kibriya Sey,

‘Abaye Muhammad Qabaye Muhammad I Aluj Yculc .

Beham Ehed Bandhe Hain Wasl-E-Abad Ka,

Razaye Khuda Aur Razaye Muhammad Phxjjcblc. .

Dam-E-Naz’a Jari Ho Meri Zuban Par,

Muhammad Muhammad Khuda-E-Muhammad •

‘Asa-E-Kaleem Azdaha-E-Ghazab Tha,

Giron Ka Sahara Asa-E-Muhammad •

Main Qurban Kya Pyari Pyari Hay Nisbat,

Ye Ane Khuda Wo Khuda-E-Muhammad .

47

Muhammad Ka Dam Khas Beher-E-Khuda Hay,
Siwaye Muhammad Baraye Muhammad •

Khuda Unko Kis Pyar Sey Dekhta Hay,

Jo Ankhein Hain Mehwe Liqa-E-Muhammad .

Juluwo Mein Ijabat Khwasi Mein Rehmat,

Barhi Kis Tazuk Sey Duaye Muhammad [ Alujg<Uic >

Ijabat Ne Jhuk Kar Galle Sey Lagaya,

Barhi Naz Sey Jab Duay-E-Muhammad .

Ijabat Ka Sehra Inayat Ka Jora,

Dulhan Ban Key Nikli Duaye Muhammad .

Raza Pul Sey Ab Wajd Karte Guzariye,

Ke Hay Rab-E-Sallim Sadaye Muhammad •

48

Ay Shafa’-E-Umam Shake Zee Jah Le Khabar
Ay Shafa’-E-Umam Shahe Zee Jah Le Khabar,
Lillah Le Khabar Meri Lillah Le Khabar.

Darya Ka Josh, Naw, Na Bera Na Na Khuda,

Main Dooba Tu Kahan Hay Mere Shah Le Khabar.

Manzil Kari Hay Rat Andheri Main Na Balad,

Ay Khidr Le Khabar Meri Ay Mah Le Khabar.

Pohonche Pohonchne Wale To Manzil Magar Shaha,
Un Ki Jo Thak Key Beithe Sar-E-Rah Le Khabar.

Jangal Darindo Ka Hay Mai Be Yar Shab Qareeb,
Ghere Hain Char Samt Sey Badkhwah Le Khabar.

Manzil Nayi Azeez Juda Log Na Shanas,

Toota Hay Koh-E-Gham Mein Pare Kah Le Khabar.

Woh Sakhtiyan Sawal Ki Woh Sooratein Muheeb,
Ay Ghamzadon Key Hal Sey Agah Le Khabar.

Mujrim Ko Bargah-E- Adalat Me Laye Hain,

Takta Hay Be Kasi Me Teri Rah Le Khabar.

Ahl-E-Amal Ko Unke Amal Kam Ayenge,

Mera Hay Kaun Tere Siwa Ah Le Khabar.

Pur Khar Rah Barhana Pa Tishna Ab Door,
Mawla Pari Hay Afat-E-Jan Kah Le Khabar.

Bahar Zubanein Pyas Sey Hain Aftab Garam,
Kausar Key Shah Katharahullah Le Khabar.

49

Mana Key Sakht Mujrim-O-Nakarah Hay Raza,
Tera Hi To Hay Banda-E-Dargah Le Khabar.

So

Bandah Qadir Ka Bhiqadir Bhi Hay Abdul Qadir
Bandah Qadir Ka Bhi Qadir Bhi Hay Abdul Qadir,
Sir-E-Batin Bhi Hay Zahir Bhi Hay Abdul Qadir.

Mufti-E-Shar’a Bhi Hay Qazi-E-Millat Bhi Hay,
Ilm-E-Asrar Sey Mahir Bhi Hay Abdul Qadir.

Manba’a Faiz Bhi Hay Majma’a Afdal Bhi Hay,
Meher-E-Irfan Ka Munnawar Bhi Hay Abdul Qadir.

Qutb-E-Abdal Bhi Hay Mehwer -E-Irshad Bhi Hay,
Markaze Dairah-E-Sir Bhi Hay Abdul Qadir.

Salak-E-Irfan Ki Ziya Hay Yahi Dur-E-Mukhtar,
Fakhr-E-Ashbah-Wa-Nazair Bhi Hay Abdul Qadir.

Us Key Farman Hain Sab Shareh Hukm-E-Share’,
Mazhare Na Hi-O-Amir Bhi Hay Abdul Qadir.

Zee Tasarruf Bhi Hay Mazoon Bhi Mukhtar Bhi Hay,
Kar-E-Alam Ka Muddabir Bhi Hay Abdul Qadir.

Rashk-E-Bulbul Hay Raza Lala-E-Sad Dagh Bhi Hay,
Ap Ka Wasif-O-Zakir Bhi Hay Abdul Qadir.

 

 

Guzre Jis Rah Sey Wo Sayyid-E-Wala Ho Kar

 

 

Guzre Jis Rah Sey Wo Sayyid-E-Wala Ho Kar,

Reh Gayi Sari Zameen Anbar-E-Sara Ho Kar.

Rukh-E-Anwar Ki Tajjali Jo Qamar Ne Dekhi,

Reh Gaya Bosah Dah-E-Naqsh-E-Kaf-E-Pa Ho Kar.

Waye Mehroomi-E-Qismat Key Main Phir Ab Ki Baras,
Reh Gaya Hamrah-E-Zawwar-E-Madinah Ho Kar.

Chaman-E-Taiba Hay Wo Bagh Key Murgh-E-Sidrah,
Barson Chehke Hain Jahan Bulbul-E-Shaida Ho Kar.

Sar-Sar-E-Dasht-E-Madinah Ka Magar Aya Khyal,
Rashk-E-Gulshan Jo Bana Ghuncha-E-Dil Wa Ho Kar.

Gosh-E-Sheh Kehte Hain Faryad Rasi Ko Ham Mein,
Wada-E-Chashm Hay Bakhshain Ge Goya Ho Kar.

Paye Sheh Par Gire Ya Rab Tapish-E-Meher Sey Jab,
Dil-E-Betab Ure Hashr Mein Para Ho Kar.

Hay Yeh Ummeed Raza Ko Teri Rahmat Sey Shaha,

Na Ho Zandani-E-Dozakh Tera Bandah Ho Kar.

52

Nar-E-Dozakh Ko Chaman Kar De Bahar-E-Ariz
Nar-E-Dozakh Ko Chaman Kar De Bahar-E-Ariz,
Zulmat-E-Hashr Ko Din Kar De Nahar-E-Ariz.

Main To Kya Cheez Hoon Khud Sahib-E-Quran Ko Shaha,
Lakh Mushaf Sey Pasand Ayi Bahar-E-Ariz.

Jaise Quran Hay Wird Iss Gul-E-Mehboobi Ka,

Yoon Hi Quran Ka Wazeefa Hay Waqar-E-Ariz.

Gar Che Quran Hay Na Quran Ki Barabar Lekin,

Kuch To Hay Jis Pe Hay Woh Madh-E-Nigar-E-Ariz.

Toor Kya Arsh Jale Dekh Key Woh Jalwa-E-Garam,

Ap Ariz Ho Magar Aina Dar-E-Ariz.

Tarfa Alam Hay Wo Quran Idhar Dekhein Udhar,
Mashaf-E-Pak Ho Hairan Bahar-E-Ariz.

Tarjama Hay Yeh Sifat Ka Wo Khud Aina-E-Zat,

Kyoon Na Mashaf Sey Zyada Ho Waqar-E-Ariz.

Jalwa Farmaein Rukh-E-Dil Ki Siyahi Mit Jaye,

Subah Ho Jaye Ilahi Shab-E-Tar-E-Ariz.

Nam-E-Haq Par Kare Mehboob Dil-O-Jan Qurban,

Haq Kare Arsh Sey Ta Farsh Nisar-E-Ariz.

Mushk Bu Zulf Sey Rukh Chehra Sey Balon Mein Shua’a,
Mojizah Hay Halab-E- Zulf-O-Tatar-E-Ariz.

Haq Ne Bakhsha Hay Karam Nazr-E-Gadayan Ho Qubool,
Pyare Ek Dil Hay Woh Karte Hay Nisar-E-Ariz.

53

Ah Be Mayigi Dil Key Raza-E-Mohtaj,
Le Kar Ek Jan Chala Behr Nisar-E-Ariz.

 

Tumhare Zarre Key Par To Sitar Haye Falak

 

 

Tumhare Zarre Key Par To Sitar Haye Falak,
Tumhare Na’al Ki Naqis Misl Ziyaye Falak.

Agar Che Chale Sitaron Sey Par Gaye Lakhon,

Magar Tumhari Talab Mein Thake Na Paye Falak.

Sar-E-Falak Na Kabhi Ta Ba Astan Pohoncha,

Keh Ibtidaye Bulandi Thee Intihaye Falak.

Ye Mit Key Un Ki Rawish Par Huwa Khud Unki Rawish,
Keh Naqsh-E-Paye Zameen Par Na Soat-E-Paye Falak.

Tumhari Yad Mein Guzri Thee Jagte Shab Bhar,

Chali Naseem Hue Band Deed Haye Falak.

Na Jag Uthain Kahin Ahl-E-Baqee Kuchi Neend,

Chala Yeh Narm Na Nikli Sadaye Paye Falak.

Yeh Un Key Jalwe Ne Keen Garmiyan Shab-E-Asra,

Keh Jab Sey Charkh Mein Hain Naqrah-O-Talaye Falak.

Mere Ghani Ne Jawahar Sey Bhar Diya Daman,

Gaya Jo Kasa-E-Mai Le Key Shab Gadaye Falak.

Raha Jo Qane’ Yak Nan-E-Sookhta Din Bhar,

Mili Huzoor Sey Kan-E-Gehr Jazaye Falak.

Tajammal-E-Shab-E-Asra Abhi Simat Na Chuka,

Keh Jab Sey Waisi Hi Kotal Hay Sabz Haye Falak.

Khitab-E-Haq Bhi Hay Dar Bab-E-Khalq-Min-Ajalik,
Agar Idhar Sey Dam-E-Hamd Hay Sadaye Falak.

55

Ye Ahl-E-Bait Ki Chakki Sey Chal Seekhi Hay,
Rawan Hay Be Madad Dast Asiya-E-Falak.

Raza Ye Nat-E-Nabi Ne Bulandiyan Bakhsheen,
Laqab Zameen-E-Falak Ka Hua Samaye Falak.

 

Kya Theek Ho Rukh-E-Nabwi Par Misal-E-Gul

Kya Theek Ho Rukh-E-Nabwi Par Misal-E-Gul,

Pa Mal Jalwaye Kaf-E-Pa Hay Jamal-E-Gul.

Jannat He Un Key Jalwa Sey Jo Yaye Rang-O-Boo,

Ay Gul Hamare Gul Sey Hay Gul Ko Sawal-E-Gul.

Un Key Qadam Sey Sil’aye Ghali Hui Jinan,

Wallah Mere Gul Sey Hay Jah-O-Jalal-E-Gul.

Sunta Hoon Ishq-E-Shah Mein Dil Hoga Khoon Fashan,

Ya Rab Ye Muzdah Sach Ho Mubarak Ho Fal-E-Gul.

Bulbul Haram Ko Chal Gham-E-Fani Sey Faidah,

Kab Tak Kahegi Haye Wo Ghuncha-O-Lal-E-Gul.

Ghamgeen Hay Shauq-E-Ghazah-Khak-E-Madinah Main,
Shabnam Sey Dhul Sakegi Na Gird-E-Malal-E-Gul.

Bulbul Yeh Kya Kaha Main Kahan Fasl-E-Gul Kahan,
Ummeed Rakh Key Am Hay Jood-O-Nawal-E-Gul.

Bulbul Ghara Hay Abre Wala Muzdah Ho Key Ab,

Girti Hay Ashiyana Pe Barq-E-Jamal-E-Gul.

Ya Rab Hara Bhara Rahe Dagh-E-Jigar Ka Bagh,

Har Mah Mahe Bahar Ho Har Sal Sal-E-Gul.

Rang-E-Muthrah Sey Kar Kay Khajal Yad Shah Mein,
Kheencha Hay Ham Ne Kanton Pe Itr-E-Jamal-E-Gul.

Main Yad-E-Sheh Me Rowoon ‘Ana Dil Karein Hujoom,
Har Ashke Lala-E-Fam Pe Ho Ehtemal-E-Gul,

57

Hain Akse Chehra Sey Lab Gulgon Mein Surkhiyan,
Dooba Hay Badr-E-Gul Sey Shafaq Mein Hilal-E-Gul.

Nat-E-Huzoor Mein Mutarannim Hay Andaleeb,
Shakhon Key Jhoomne Sey Ayan Wajd-O-Hal-E-Gul.

Bulbul Gul-E-Madinah Hamesha Bahar Hay,

Do Din Ki Hay Bahar Fana Hay Mal-E-Gul.

Shaikhain Idhar Nisar Ghani-O-Ali Udhar,

Ghuncha Hay Bulbulon Ka Yameen-O-Shimal-E-Gul.

Chahe Khuda To Payeinge Ishq-E-Nabi Mein Khuld,
Nikli Hay Nama-E-Dil-E-Pur Khoon Me Fal-E-Gul.

Kar Us Ki Yad Jis Sey Mile Chain Andaleeb,

Dekha Nahi Keh Khar-E-Alam Hay Khyal-E-Gul.

Dekha Tha Khwab-E-Khar-E-Haram Andaleeb Ne,
Khatka Kiya Hay Ankh Me Shab Bhar Khyal-E-Gul.

Un Do Ka Sadqa Jinko Kaha Mere Phool Hain,

Kijiye Raza Ko Hashr Mein Khanda Misal-E-Gul.

58

Sar Ta Ba Qadam Hay Tan-E-Sultan-E-Zaman Phool
Sar Ta Ba Qadam Hay Tan-E-Sultan-E-Zaman Phool,

Lab Phool Dahan Phool Zaqan Phool Badan Phool.

Sadqe Mein Tere Bagh To Kya Laye Hain Ban Phool,

Iss Ghuncha-E-Dil Ko Bhi To Ema Ho Key Ban Phool.

Tinka Bhi Hamare To Hilaye Nahi Hilta,

Turn Chaho To Ho Jaye Abhi Koh-E-Mihan Phool.

Wallah Jo Mil Jaye Mere Gul Ka Paseena,

Mange Na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool.

Dil Basta-O-Khoon Gushtah Na Khushboo Na Latafat,
Kyoon Ghuncha Kahoon Hay Mere Aqa Ka Dahan Phool.

Shab Yad Thi Kin Danton Ki Shabnam Key Dam-E-Subah,
Shokhan-E-Bahari Key Jurao Hain Kiran Phool.

Dandan-O-Lab-O-Zulf-O-Rukh-E-Sheh Key Fidayi,

Hain Dur-E-Adan La’al-E-Yaman Mushk-E-Khutan Phool.

Boo Ho Key Nihan Hogaye Tab-E-Rukh-E-Sheh Mein,

Lau Ban Gaye Hain Ab To Haseenon Ka Dahan Phool.

Hoon Bar-E-Gunah Sey Na Khajal Dosh-E-Azeezan,
Lillah Meri Na’ash Kar Ay Jan-E-Chaman Phool.

Dil Apna Bhi Shaidayi Hay Us Nakhun-E-Pa Ka,

Itna Bhi Mah-E-Nau Pe Na Ay Charkh-E-Kohan Phool,

Dil Khol Key Khoon Role Gham-E-Ariz-E-Sheh Mein,

Nikle To Kahin Hasrat-E-Khoon Na Ba Shudan Phool.

59

Kya Ghazah Mila Garde Madinah Ka Jo Hay Aj,

Nikhre Hue Jo Ban Mein Qiyamat Ki Phaban Phool.

Garmi Yeh Qiyamat Hay Key Kante Hain Zuban Par,
Bulbul Ko Bhi Aya Saqi-E-Sehba-O-Laban Phool.

Hay Kaun Keh Girya Kare Ya Fatiha Ko Aye,

Bekas Kay Uthaye Teri Rehmat Kay Bharan Phool.

Dil Gham Tujhe Ghere Hain Khuda Tujh Ko Wo Chamkaye,
Sooraj Tere Khirman Ko Bane Teri Kiran Phool.

Kya Bat Raza Is Chamanistan-E-Karam Ki,

Zahra Hay Kali J Is Mein Hussain Aur Hasan Phool.

60

Hay Kalam-E-Ilahi Mein Shams-O-Duha Tere Chehra-E-Noor
Fizakiqasam
Hay Kalam-E-Ilahi Mein Shams-O-Duha Tere Chehra-E-Noor Fiza Ki Qasam,
Qasam-E-Shab-E-Tar Mein Raz Ye Tha Key Habeeb Ki Zulfe Do Ta Ki Qasam.

Tere Khulq Ko Haq Ne Azeem Kaha Teri Khalq Ko Haq Ne Jameel Kiya,

Koi Tujh Sa Hua Hay Na Hoga Shaha Tere Khaliq-E-Husn-O-Ada Ki Qasam.

Wo Khuda Ne Hay Martaba Tujh Ko Diya Na Kisi Ko Mile Na Kisi Ko Mila,

Ke Kalam-E- Majeed Ne Khai Shaha Tere Shaher-O-Kalam-O-Baqa Ki Qasam.

Tera Masnade Naz Hay Arsh-E-Bareen Tera Mehram-E-Naz Hay Roohe Ameen,
Tu Hi Sarwar-E-Har Do Jahan Hay Shaha Tera Misl Nahin Hay Khuda Ki Qasam.

Yahi Arz Hay Khaliq-E-Arz-O-Sama Woh Rasool Hain Tere Main Banda Tera,
Mujhe Unke Jawar Mein De Wo Jagah Key Hay Khuld Ko Jis Ki Safa Ki Qasam.

Tu Hi Bandon Pe Karta Hay Lutf-O-Ata Hay Tujhi Pe Bharosa Tujhi Sey Dua,

Mujhe Jalwa-E-Pak Rasool Dikha Tujhe Apne Hi Izz-O-Ula Ki Qasam.

Mere Garche Gunah Hain Had Sey Siwa Magar Un Sey Umeed Hay Tujh Sey Raja,
Tu Rahim Hay Unka Karam Hay Gawah Wo Karim Hain Teri Ata Ki Qasam.

Yahi Kehti Hay Bulbule Baghe Jina Key Raza Ki Tarah Koi Sehr Bayan,

Nahin Hind Mein Wasif-E-Shah-E-Huda Mujhe Shokhiye Tab’-E- Raza Ki Qasam.

61

Pat Wo Kuch Dhar Ye Kuch Zar Ham
Pat Wo Kuch Dhar Ye Kuch Zar Ham,
Ya Ilahi Kyoon Kar Utrein Par Ham.

Kis Bala Ki Mai Sey Hain Sarshar Ham,

Din Dhala Hote Nahin Hushiyar Ham.

Turn Karam Sey Mushtari Har Aib Key,
Jins-E-Na Maqbool Har Bazar Ham.

Dushmanon Ki Ankh Mein Bhi Phool Turn,
Doston Ki Bhi Nazar Mein Khar Ham.

Laghzish-E-Pa Ka Sahara Ek Turn,

Girne Wale Lakhon Na Hinjar Ham.

Sadqa Apne Bazuon Ka Almadad,

Raise Torein Ye Bute Pindar Ham.

Dam Qadam Ki Khair Ay Jan-E-Maseeh,
Dar Pe Laye Hain Dil-E-Beemar Ham.

Apni Rehmat Ki Taraf Dekhein Huzoor,
Jante Hain Jaise Hain Badkar Ham.

Apne Mehmano Ka Sadqa Ek Boond,

Mar Mitey Pyase Idhar Sarkar Ham.

Apne Koocha Sey Nikala To Na Do,

Hain To Had Bhar Key Khudai Khwar Ham.

Hath Utha Kar Ek Tukra Ay Kareem,

Hain Sakhi Key Mal Mein Haqdar Ham.

62

Chandni Chatki Hay Unke Noor Ki,

Ao Dekhein Sair-E-Toor-O-Nar Ham.

Himmat Ay Za’af Unke Dar Par Gir Key Hoon,
Be Takalluf Saya-E-Deewar Ham.

Ba Ata Turn Shah Turn Mukhtar Turn,

Be Nawa Ham Zar Ham Na Char Ham.

Turn Ne To Lakhon Ko Janein Pher Deen,

Aisa Kitna Rakhte Hain Azar Ham.

Apni Sattari Ka Ya Rab Wasta,

Hoon Na Ruswa Bar Sar-E-Darbar Ham.

Itni Arz-E-Akhri Keh Do Koi,

Naw Tooti A Paray Manjhdar Ham.

Munh Bhi Dekha Hay Kisi Key Afw Ka,

Dekh Ow Isiyan Nahin Be Yar Ham.

Main Nisar Aisa Musalman Kijiye,

Tor Dalein Nafs Ka Zunnar Ham.

Kab Sey Phailaye Hay Daman Tegh-E-Ishq,
Ab To Payein Zakhm Daman Dar Ham.

Sunniyat Sey Khatke Sab Ki Ankh Mein,
Phool Ho Kar Ban Gaye Kya Khar Ham.

Natawani Ka Bhala Ho Ban Gayay,
Naqsh-E-Paye Taliban-E-Yar Ham.

63

Dil Key Tukre Nazr-E-Hazir Laye Hain,

Aye Sagan-E-Koocha-E-Dildar Ham.

Qismat-E-Soor-O-Hira Ki Hirs Hay,

Chahte Hay Dil Mein Gehra Ghar Ham.

Chashm Pooshi-O-Karam Shan-E-Shuma,
Kar-E-Ma Be Baki-O-Israr Ham.

Fasl Gul Sabzah Saba Masti Shabab,
Chorein Kis Dil Sey Dar-E-Khumar Ham.

Maikadah Chut-Ta Hay Lillah Saqiya,

Ab Key Saghar Sey Na Hon Hushiyar Ham.

Saqi-E-Tasneem Jab Tak A Na Jayein,

Aye Siyah Masti Na Hon Hushiyar Ham.

Nazishein Karte Hain Apas Mein Malak,
Hain Ghulaman-E-Shahe Abrar Ham.

Lutf Az Khoo Raftagi Ya Rab Naseeb,

Hon Shaheed-E-Jalwa-E- Raftar Ham.

Un Key Age Dawa-E-Hasti Raza,

Kya Bake Jata Hay Ye Har Bar Ham.

64

Ariz-E-Shams-O-Qamar Sey Bhihain Anwar Aeriyan
Ariz-E-Shams-O-Qamar Sey Bhi Hain Anwar Aeriyan,
Arsh Ki Ankhon Key Tare Hain Wo Khushtar Aeriyan.

Ja Baja Par To Figan Hain Asman Par Aeriyan,

Din Ko Hain Khursheed Shab Ko Mah-O-Akhtar Aeriyan.

Najm Gardoon To Nazar Ate Hain Chote Aur Wo Paon,
Arsh Par Phir Kyoon Na Hon Mehsoos Laghar Aeriyan.

Dab Key Zer-E-Pa Na Gunjaish Samane Ko Rahi,

Ban Gaya Jalwa Kaf-E-Pa Ka Ubhar Kar Aeriyan.

Un Ka Mangta Paon Sey Thukra De Wo Duniya Ka Taj,
Jis Ki Khatir Mar Gaye Mun’am Ragar Kar Aeriyan.

Do Qamar Do Panja-E-Khowr Do Sitare Das Hilal,

Un Key Talwe Panje Nakhun Paye Athar Aeriyan.

Haye Us Patthar Sey Is Seene Ki Qismat Phoriye,

Be Takalluf Jis Key Dil Mein Yoon Karein Ghar Aeriyan.

Taj-E-Roohul Quds Key Moti Jise Sajdah Karein,

Rakhti Hain Wallah Woh Pakizah Gauhar Aeriyan.

Ek Thokar Mein Uhad Ka Zalzala Jata Raha,

Rakhti Hain Kitna Waqar Allahu Akbar Aeriyan.

Charkh Par Charhte Hi Chandi Mein Siyahi A Gayi,

Kar Chuki Hain Badr Ko Taksal Bahar Aeriyan.

Ay Raza Toofan-E-Mehshar Key Talatum Sey Na Dar,
Shad Hon Hain Kashti-E-Ummat Ko Langar Aeriyan.

65

Ishq-E-Mawla Mein Hoon Khoon Bar Kinar-E-Daman
Ishq-E-Mawla Mein Hoon Khoon Bar Kinar-E-Daman,
Ya Khuda Jald Kahein Aye Bahar-E-Daman.

Beh Chali Ankh Bhi Ashkon Ki Tarah Daman Par,

Key Nahin Tar Nazar Juz Do Seh Tar-E-Daman.

Ashk Barsaon Chale Koocha-E-Janan Sey Naseem,

Ya Khuda Jald Kahin Nikle Bukhar-E-Daman.

Dil Shudon Ka Yeh Hua Daman-E-Athar Pe Hujoom,

Be Dil Abad Hua Nam Dayar-E-Daman.

Mushk Sa Zulf Sheh-O-Noor Fashan Rooye Huzoor,

Allah Allah Halb-E-Jeeb-O-Tatar-E-Daman.

Tujh Sey Aygul Main Seetam,Deedah-E-Dasht-E-Harman.
Khalash Dil Ki Kahoon Ya Gham-E-Khar-E-Daman.

Aks Afgan Hay Hilal-E-Lab-E-Sheh Jeeb Nahin,

Mehr Ariz Ki Shuaein Hain Na Tar-E-Daman.

Ashk Kehte Hain Yeh Shaidayi Ki Ankhein Dho Kar,
Ayadab Gard-E-Nazar Ho Na Ghubar-E-Daman.

Ay Raza Ah Wo Bulbul Key Nazar Mein Jis Ki,
Jalwa-E-Jeeb Gul Aye Na Bahar-E-Daman.

66

Rashke Qamar Hoon
Rashke Qamar Hoon Rang Rukh-E-Aftab Hoon,

Zarra Tera Jo Ay Shahe Gardun Janab Hoon.

Durre Najaf Hoon Gauhar-E-Pak-E-Khushab Hoon,

Yani Turab-E-Rah Guzar-E-Bu Turab Hoon.

Gar Ankh Hoon To Abr Ki Chashme Pur Ab Hoon,

Dil Hoon Toh Bark Ka Dil-E-Pur Izterab Hoon.

Khoonain Jigar Hoon Ta-Ir-E-Be Ashiya(N) Shaha,

Range Pareedah-E- Rukhe Gul Ka Jawab Hoon.

Be Aslo Be Sabat Hoon Bahre Karam Madad,
Parwarda-E-Kinare Surabo Habab Hoon.

Ibrat Feza Hay Sharm-E-Gunah Sey Mera Sukut,

Goya Lab-E-Khamosh-E-Lahad Ka Jawab Hoon.

Kyoon Nala Soz Sey Karu Kyoon Khoon-E-Dil Piyoon,
Seekh-E-Kabab Hoon Na Mai Jam-E-Sharab Hoon.

Dil Basta Bekarar Jigar Chak Ashkbar,

Ghuncha Hoon Gul Hoon Barke Tapa(N) Hoon Sahab Hoon.

Dava Hay Sabse Teri Shafa’at Pe Beshtar,

Daftar Me Asiyo Key Shahe Intekhab Hoon.

Maula Duha-I Nazro Sey Gir Kar Jala Ghulam,

Ashqe Mujhra Raseeda-E- Chashme Kabab Hoon.

Mit Jaye Ye Khudi To Wo Jalwa Kahan Nahi,

Darda Me Ap Apni Nazar Ka Hijab Hoon.

67

Sadqe Hoon Uspe Nar Sey Dega Jo Mukhlesi,

Bulbul Nahin Keh Atish-E-Ghul Par Kabab Hoon.

Qalib Tahi Kiye Hama Aghosh Hay Hilal,

Ay Shahsaware Taibah Me Teri Rikab Hun.

Kya Kya Hay Tujhse Naz Tere Qasr Ko Ki Mai,

Ka’abe Ki Jan Arshe Baree Ka Jawab Hoon.

Shaha Bujhe Saqar Mere Ashko Sey Ta-Na Main,
Abe Abas Chakida-E-Chashme Kabab Hoon.

Mai To Kaha Hi Chahun Key Banda Hoon Shah Ka,

Par Lutf Jab Hay Keh Dain Agar Wo Janab Hoon.

Hasrat Me Khaq Bosi-E-Taibah Ki Ay Raza,

Tapka Jo Chashme Mahar Sey Wo Khoon-E-Nab Hoon.

 

Poochte Kya Ho Arsh Par Yoon Gaye Mustafa Key Yoon

 

Poochte Kya Ho Arsh Par Yoon Gaye Mustafa Key Yoon,

Kaif Key Par Jahan Jale Koyi Bataye Kya Key Yoon.

Qasre Dana Key Raz Me Aqle To Gum Hay Jaisi Hay,

Ruhe Qudus Sey Poochiye Turn Ne Bhi Kuch Suna Key Yoon.

Maine Kaha Ki Jalwa-E-Asl Me Kis Tarah Gume,

Subha Ne Noor-E-Mehr Me Mit Key Dikha Diya Key Yoon.

Haye Re Zouq-E-Bekhudi Dil Jo Sambhalne Sa Laga,

Chak Key Mahak Me Phool Ki Gir Ne Lagi Saba Key Yoon.

Dil Ko De Noor-O-Daghe Ishq Phir Mai Fida Do Neem Kar,

Mana Hay Sun Key Shaq-E-Mah Ankho Sey Ab Dikha Key Yoon.

Dil Ko Hay Fikr Kis Tarah Murde Jilate Hain Huzoor,

Ay Mai Fida Laga Kar Ek Thokar Use Bata Key Yoon.

Bagh Me Shukre Wasl Tha Hijr Me Hay Hay Gul,

Kam Hay Unke Zikr Sey Khair Wo Yoon Hua Key Yoon.

Jo Kahe She’aro Pas Shar’a Dono Ka Husn Kyoon Kar Aye,

La Use Paishe Jalwa-E-Zam Zam-E-Raza Key Yoon.

69

Phir Key Galigalitabah Thokarein Sabkikhayein Kyoon
Phir Key Gali Gali Tabah Thokarein Sabki Khayein Kyoon,

Dil Ko Jo Aql De Khuda Teri Gali Sey Jaye Kyoon.

Rukhsat-E-Qafila Ka Shor Ghash Sey Hamein Uthaye Kyoon,
Sote Hain Unke Saye Mein Koi Hamain Jagaye Kyoon.

Bar Na Thay Habeeb Ko Palte Hi Ghareeb Ko,

Royein Jo Ab Naseeb Ko Chain Kahan Ganwaye Kyoon.

Yad-E-Huzoor Ki Qasam Ghaflat-E-Aish Hay Sitam,

Khoob Hay Qaid —E-Gham Mein Ham Koi Hamein Churaye Kyoon.

Dekh Key Hazrat-E-Ghani Phail Pare Faqeer Bhi,

Chayi Hay Ab To Chaoni Hashr Hi A Na Jaye Kyoon.

Jan Hay Ishq-E-Mustafa Roz Fazoon Kare Khuda,

Jis Ko Ho Dard Ka Maza Naz-E-Dawa Uthaye Kyoon.

Ham To Hain Ap Dil Figar Gham Mein Hansi Hay Na Gawar,
Cher Key Gul Ko Nau Bahar Khoon Hamein Rulaye Kyoon.

Ya To Yoon Hi Tarap Key Jayein Ya Wahi Dam Sey Churayein,
Mannat-E-Ghair Kyoon Uthayein Koi Taras Jataye Kyoon.

Un Key Jalal Ka Asar Dil Sey Lagaye Hay Qamar,

Jo Key Ho Laut Zakhm Par Dagh-E-Jigar Mitaye Kyoon.

Khush Rahe Gul Sey Andaleeb Khar-E-Haram Mujhe Naseeb,
Meri Bala Bhi Zikr Par Phool Key Khar Khaye Kyoon.

Gard-E-Malal Agar Dhule Dil Ki Kali Agar Khile,

Barq Sey Ankh Kyoon Jale Roone Pe Muskuraye Kyoon.

70

Jan-E-Safar Naseeb Ko Kis Ne Kaha Maze Sey Siwa,
Khatka Agar Seher Ka Ho Sham Sey Maut Aye Kyoon.

Ab To Na Rok Ay Ghani Adat-E-Sag Bigar Gayi,

Mere Kareem Pehle Hi Luqma-E-Tar Khilaye Kyoon.

Rah-E-Nabi Me Kya Kami Farsh Biyade Deedah Ki,
Chadar-E-Zil Mulgaji Zer-E-Qadam Bichaye Kyoon.

Sang-E-Dar-E-Huzoor Sey Ham Ko Khuda Na Sabr De,
Jana Hay Sar Ko Ja Chuke Dil Ko Qarar Aye Kyoon.

Hay To Raza Nira Sitam Jurm Pe Gar Lajayein Ham,
Koi Bajaye Soz-E-Gham Saz-E-Tarab Bajaye Kyoon.

71

Yad-E-Watan Sit Am Kiya Dasht-E-Haram Sey Layikyoon
Yad-E-Watan Sitam Kiya Dasht-E-Haram Sey Layi Kyoon,
Baithe Bithaye Bad Naseeb Sar Pe Bala Uthayi Kyoon.

Dil Mein To Choot Thi Dabi Haye Ghazab Ubhar Gayi,

Pucho To Ah Sard Sey Thandi Hawa Chalayi Kyoon.

Chhor Key Us Haram Ko Ap Ban Me Thagoon Key Absoo,

Phir Kaho Sar Pe Dhar Key Hath Lut Gayi Sab Kamayi Kyoon.

Bagh-E-Arab Ka Sar-We-Naz Dekh Liya Hay Warna Aj,
Qumri-E-Jan-E-Ghamzadah Goonj Key Chehchhai Kyoon.

Nam-E-Madinah Le Diya Chalne Lagi Naseem-E-Khuld,
Sozish-E-Gham Ko Ham Ne Bhi Kaisi Hawa Batayi Kyoon.

Kis Ki Nigah Ki Haya Phirti Hay Meri Ankh Mein,

Nargis Mast Naz Ne Mujh Sey Nazzer Churayi Kyoon.

Tu Ne To Kar Diya Tabeeb Atish-E-Seena Ka Ilaj,

Aj Key Daur-E-Ah Mein Booye Kabab Ayi Kyoon.

Fikr-E-Ma’ash Bad Bala Hol-E-Ma’ad Jan Gaza,

Lakhon Bala Mein Phansne Ko Rooh Badan Mein Ayi Kyoon.

Ho Na Ho Aj Kuch Mera Zikr Huzoor Mein Hua,

Warna Meri Taraf Khooshi Dekh Key Muskurayi Kyoon.

Hoor-E-Jinan Sitam Kiya Taibah Nazar Mein Phir Gaya,

Cheer Key Parda-E-Hijaz Des Ki Cheez Gayi Kyoon.

Ghaflat-E-Shaikh-O-Shab Par Hanste Hain Tifl-E-Sheer Khwar,
Karne Ko Gud-Gudi Abas Ane Lagi Bahayi Kyoon.

72

Arz Karoon Huzoor Sey Dil Ki To Mere Khair Hay,
Peet-Ti Sar Ko Arzu Dasht-E-Haram Sey Ayi Kyoon.

Hasrat-E-Nau Ka Sa’niha Sunte Hi Dil Bigar Gaya,
Aise Mareez Ko Raza Marg-E-Jawan Sunayi Kyoon.

73

Ahle Sirat Rooh-E-Ameen Ko Khabar Kare(N)
Ahle Sirat Rooh-E-Ameen Ko Khabar Kare(N),

Jati Hay Ummat-E-Nabavi Farsh Par Kare(N).

Inn Fitna Haye Hashr Sey Kehdo Hazar Kare(N),
Nazo(N) Key Pale Ate Hay Rah Sey Guzar Kare(N).

Bad Hay To Apke Hay Bhale Hay To Apke,

Tukron Sey To Yahan Key Pale Rukh Kidhar Kare(N).

Sarkar Hum Kameeno Key Atvar Par Najaye(N),
Aqa Huzoor Apne Karam Par Nazar Kare(N).

Unki Haram Key Khar Kashida Hay Kis Liye,
Ankho(N) Me Aye Sar Pe Rahe Dil Me Ghar Kare(N).

Jalo Pe Jal Par Gaye Lillah Waqt Hay,

Mushkil Kushayi Ap Key Nakhun Agar Kare(N).

Manzil Karee Hay Shan-E-Tabassum Karam Kare,
Taro(N) Ki Chao(N) Noor Key Tarke Safar Kare(N).

Kilk-E-Raza Hay Khanjar-E-Khun-Khwar Barq-Bar,
A’ada Sey Kehdo Khair Manaye(N) Na Shar Kare(N).