Ejaz Hai Us Dar Ki Gadaayi To Ajab Kya Lyrics || Barkate Raza


Sarkar-E-Do-Alam, Tajdar-E-Haram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan-E-Aqdas Aur Unke Darbar Ki Azmat Ko Bayan Karta Yeh Khalid Mahmood Khalid Naqshbandi Sahab Ka Nihayat Hi Haseen Aur Maqbool Kalam Hai. Is Naat-E-Pak Ke Ek Ek Lafz Mein Aqeedat Aur Dar-E-Rasool Par Haazri Ki Tadap Ka Be-Hadd Pyara Izhaar Kiya Gaya Hai. Aayiye, Is Noore-E-Batin Se Labraiz Kalam-E-Azeem Se Apne Quloob Ko Munawwar Karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleEjaz Hai Us Dar Ki Gadaayi To Ajab Kya
Poet / WriterKhalid Mahmood Khalid Naqshbandi
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterAlhaj Owais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Ejaz Hai Us Dar Ki Gadaayi To Ajab Kya Lyrics In Roman

Ejaz Hai Us Dar Ki Gadaayi To Ajab Kya
Haasil Ye Hameñ Bhi Hai Badaayi To Ajab Kya.

Main Door Hun Unse Wo Magar Door Nahin Hai
Gir Jaaye Ye Deewar-E-Judaai To Ajab Kya.

Hai Unke Siva Kaun Mere Dard Se Waaqif
Ghabra Ke Maiñ Dooñ Unko Duhaayi To Ajab Kya.

Dekho Unheñ Dekho, Mujhe Kya Dekh Rahe Ho
Ban Jaaye Buraayi Bhi Bhalaayi To Ajab Kya.

Sarkar Ki Nisbat Ke Karishme Haiñ Nirale
Bhaari Ho Pahaadoñ Pe Bhi Raayi To Ajab Kya.

Mahdood Nahiñ Wus’At-E-Daamaan-E-Shafa’At
Mehshar Meiñ Ho Sab Ki Hi Rihaayi To Ajab Kya.

Ye Faasle Muñh Dekhte Rah Jaayeñ Karam Ka
Ho Unki Hameñ Jalwa-Numaayi To Ajab Kya.

Daamaan-E-Muhammad ﷺ Ke Tajassus Meiñ Haiñ Aañsu
Lag Jaye Thikaane Ye Kamaayi To Ajab Kya.

Mehboob-E-Khuda Haiñ Wo Khuda To Nahin “Khalid”
Phir Bhi Hai Agar Unki Khudaayi To Ajab Kya.

Ejaz Hai Us Dar Ki Gadaayi To Ajab Kya Lyrics In Hindi

एजाज़ है उस दर की गदाई तो अजब क्या
हासिल ये हमें भी है बड़ाई तो अजब क्या।

मैं दूर हूं उनसे वह मगर दूर नहीं हैं
गिर जाए ये दीवार-ए-जुदाई तो अजब क्या।

है उनके सिवा कौन मेरे दर्द से वाक़िफ
घबरा के मैं दूं उनको दुहाई तो अजब क्या।

देखो उन्हें देखो, मुझे क्या देख रहे हो
बन जाए बुराई भी भलाई तो अजब क्या।

सरकार की निस्बत के करिश्मे हैं निराले
भारी हो पहाड़ों पे भी राई तो अजब क्या।

महदूद नहीं वुस्अ़त-ए-दामान-ए-शफ़ाअ़त
महशर में हो सब की ही रिहाई तो अजब क्या।

ये फ़ासले मुंह देखते रह जाएं करम का
हो उनकी हमें जलवा नुमाई तो अजब क्या।

दामान-ए-मोहम्मदﷺ के तजस्सुस में हैं आंसू
लग जाए ठिकाने ये कमाई तो अजब क्या।

महबूब-ए-ख़ुदा हैं वो ख़ुदा तो नहीं ख़ालिद
फिर भी है अगर उनकी ख़ुदाई तो अजब क्या।

Ejaz Hai Us Dar Ki Gadaayi To Ajab Kya Lyrics In Urdu

اعجاز ہے اس در کی گدائی تو عجب کیا
حاصل یہ ہمیں بھی ہے بڑائی تو عجب کیا

میں دور ہوں ان سے وہ مگر دور نہیں ہیں
گر جائے یہ دیوارِ جدائی تو عجب کیا

ہے ان کے سوا کون میرے درد سے واقف
گھبرا کے میں دوں ان کو دھائی تو عجب کیا

دیکھو انہیں دیکھو مجھے کیا دیکھ رہے ہو
بن جائے برائی بھی بھلائی تو عجب کیا

سرکار ﷺ کی نسـبت کے کرشـمے ہیں نرالے
بھاری ہو پہاڑوں پہ بھی رائی تو عجب کیا

محدود نہیں وسعتِ دامانِ شفاعت
محشر میں ہو سب کی ہی رہائی تو عجب کیا

یہ فاصلے منہ دیکھتے رہ جائیں کرم کا
ہو ان کی ہمیں جلوہ نمائی تو عجب کیا

دامانِ محمد ﷺ کے تجسس میں ہیں آنسو
لگ جائے ٹھکانے یہ کمائی تو عجب کیا

محبوبِ خدا ہیں وہ خدا تو نہیں خالد
پھر بھی ہے اگر ان کی خدائی تو عجب کیا

Leave a Comment