Ye Meri Hadd-e-Safar Ho Jaise Naat Lyrics || Barkate Raza


Yeh Pyari Naat E Paak Huzoor Akram Salle Allahu Alaihi Wa Sallam Ki Bargah E Aqdas Mein Ek Nihayat Hi Khubsurat Hadiya E Aqeedat Hai. Is Kalam Mein Aqa E Do Alam Ke Dar E Aqdas Se Dil Ka Rishta, Ziyarat Ki Tadap Aur Durood E Pak Ki Barkaton Ko Behad Aala Andaz Mein Pesh Kiya Gaya Hai. Is Kalam Ko Padh Kar Dil Mein Ishq E Rasool Aur Sukoon E Kalb Bedar Hota Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleYe Meri Hadd-e-Safar Ho Jaise
Poet / WriterKhalid Mahmood Khalid Naqshbandi
CategoryNaat
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Ye Meri Hadd-e-Safar Ho Jaise Lyrics In Roman

Ye Meri Hadd-E-Safar Ho Jaise
Ru-Ba-Ru Aap Ka Dar Ho Jaise

Maiñ Zameeñ Par Hun, Dimagh Arsh Pe Hai
Unki Dahleez Pe Sar Ho Jaise

Jagmagaata Hai Kuchh Is Tarha Sha’oor
Aap Ki Raah Guzar Ho Jaise

Unki Naa’lain Ke Zaare Khursheed
Kehkashañ Raah Guzar Ho Jaise

Yuñ Sar-E-Raah Lagi Haiñ Aañkheñ
Unke Aane Ki Khabar Ho Jaise

Kaif Afroz Hai Yuñ Shughl-E-Durood
Raat Taiba Meiñ Basar Ho Jaise

Yuñ Har Ik Shai Ki Haqeeqat Haiñ Huzoor
Aankh Meiñ Noor-E-Nazar Ho Jaise

Yuñ Har Ik Saañs Se Paigham-E-Sukooñ
Iltijaoñ Ka Samar Ho Jaise

Unke Deewane Ka Allah Re Faiz
Koi Phaldaar Shajar Ho Jaise

Unki Din-Raat Ziyarat Karna
Yuñ Hai Meraj-E-Bashar Ho Jaise

Is Tarah Yaad Tumhari Aayi
Koi Purnoor Sahar Ho Jaise

Naat Yuñ Wajh-E-Sukooñ Hai Khalid
Naat Hi Zaad-E-Safar Ho Jaise

Ye Meri Hadd-e-Safar Ho Jaise Lyrics In Hindi

ये मेरी हद-ए-सफ़र हो जैसे
रूबरू आप का दर हो जैसे

मैं ज़मीं पर हूं, दिमाग़ अर्श पे है
उनकी दहलीज़ पे सर हो जैसे

जगमगाता है कुछ इस तरह शऊ़र
आपकी राह गुज़र हो जैसे

उनकी नालैन के ज़र्रे ख़ुर्शीद
कहकशां गर्द-ए-सफ़र हो जैसे

यूं सरएराह लगी हैं ऑंखें
उनके आने की ख़बर हो जैसे

कैफ़-अफ़रोज़ है यूं शुग़्ल-ए-दुरूद
रात तैयबा में बसर हो जैसे

यूं हर इक शैय की हक़ीक़त हैं हुज़ूर
ऑंख में नूर-ए-नज़र हो जैसे

यूं हर इक सांस से पैग़ाम-ए-सुकूं
इल्तिजाओं का समर हो जैसे

उनके दीवाने का अल्लाह रे फ़ैज़
कोई फलदार शजर हो जैसे

उनकी दिन-रात ज़ियारत करना
यूं है मेराज-ए-बशर हो जैसे

इस तरह याद तुम्हारी आई
कोई पुरनूर सह़र हो जैसे

नात यूं वज्ह-ए-सुकूं है ख़ालिद
नात ही ज़ाद-ए-सफ़र हो जैसे

Ye Meri Hadd-e-Safar Ho Jaise Lyrics In Urdu

یہ مری حدِ سفر ہو جیسے
روبرو آپ کا در ہو جیسے

میں زمیں پر ہوں دماغ عرش پہ ہے
ان کی دہلیز پہ سر ہو جیسے

جگمگاتا ہے کچھ اس طرح شعور
آپ کی راہ گزر ہو جیسے

ان کی نعلین کے ذرے خورشید
کہکشاں گردِ سفر ہو جیسے

یوں سرِ راہ لگی ہیں آنکھیں
ان کے آنے کی خبر ہو جیسے

کیف افروز ہے یوں شغلِ درود
رات طیبہ میں بسر ہو جیسے

یوں ہر اک شے کی حقیقت ہیں حضور
آنکھ میں نورِ نظر ہو جیسے

یوں ہراک سانس سے پیغامِ سکوں
التجاؤں کا ثمر ہو جیسے

ان کے دیوانے کا اللہ رے فیض
کوئی پھلدار شجر ہو جیسے

ان کی دن رات زیارت کرنا
یوں ہے معراجِ بشر ہو جیسے

اسی طرح یاد تمہاری آئی
کوئی پر نور سحر ہو جیسے

نعت یوں وجہِ سکوں ہے خالد
نعت ہی زادِ سفر ہو جیسے

Leave a Comment