Maa Maa Hoti Hai Noha Lyrics

Maa Maa Hoti Hai Noha Lyrics

 

Maa Maa Hoti Hai Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

ماں ماں ہوتی ہے

Waqt Nazdeek Tha Aakhri Raat Thi.

Zakhmi Zahra Ne Fizza Ko Aawaz Di.

Aaein Fizza Tu Zahra Ne Ro Kar Kaha.

Ab Tumhare Hawalay Hai Yeh Ghar Mera.

Tum Ko Maloom Hai Mera Haal Aye Behan.

Mere Bachoon Ka Rakhna Khiyal Aye Behan.

 

Yeh Fizza Pukari Bataein Yeh Bibi.

Kami Kaisay Maa Ki Main Pori Karon Gi.

Woh Dekhtey Hain Tum Ko Tu Milta Hai Unn Ko Chain.

Amma Pokartay Hain Tumhein Bhi Hasan Hussain.

 

Main Bholi Nahi Aap Ka Ghar Chalana.

Woh Ik Waqt Mein Do Farezay Nibhana.

Woh Chaki Chalana Woh Jhola Johlana.

Kabhi Aap Ke Bin Na Guzra Koi Din.

Mujhe Amma Fizza Woh Kehte Hain Lekin.

Adat Hai Loriyon Ki Mere Dil Ke Chain Ko.

Lori Suna Ke Tum Bhi Sulana Hussain Ko.

 

Woh Godi Mein Le Kar Ossay Pyar Karna.

Woh Kehna Mere Lal So Ja Hussaina.

Woh Aawaz Suntay Hi Betay Ka Sona.

Main Jab Oss Ko Lori Sunaon Gi Bibi.

Kahan Se Woh Aawaz Laon Gi Bibi.

Lagti Bohat Hai Pyas Mere Noor-e-Ain Ko.

Uth Uth Ke Shab Mein Pani Pilana Hussain Ko.

 

Ho Pyasa Tu Pani Pila Doon Gi Bibi.

Main Khana Bhi Oss Ko Khila Doon Gi Bibi.

Saweray Main Chehra Dhola Doon Gi Bibi.

Galay Se Lagaon Woh Rothay Manaon.

Magar Maa Ki Khushbo Kahan Se Main Laon.

Zalim Ne Dar Gira Ke Meri Gaud Ujaar Kar.

Ik Nasal Khatam Ki Mere Mohsin Ko Mar Kar.

 

Aye Bibi Woh Dar Jab Uthaya Tha Main Ne.

Shikasta Hai Pehlu Yeh Dekha Tha Main Ne.

Woh Jab Aap Se Haal Pocha Tha Main Ne.

Na Gham Pasliyon Ka Na Pehlu Ka Sadma.

Thi Yeh Fikar Mohsin Na Mar Jaye Mera.

Jab Bhi Hasan Ke Samne Jati Hai Fatima.

Hathoon Se Apne Gaal Chupati Hai Fatima.

 

Kaha Ro Ke Fizza Ne Aye Shah Zadi.

Woh Chup Chup Ke Rota Hai Ghurbat Pe Maa Ki.

Nishaan Ungliyon Ke Hain Chehray Pe Ab Bhi.

Janazay Pe Aa Ke Woh Chehra Jo Dekhey.

Main Oss Waqt Oss Ko Sanbhalon Gi Kaisay.

Be Pardah Layi Jaein Gi Bazar Betiyaan.

Meri Tarha Se Jaein Gi Darbar Betiyaan.

 

Unhein Shamiyon Se Bacha Loon Gi Bibi.

Main Hathoon Ko Chadar Bana Loon Gi Bibi.

Unhein Apne Pichey Chupa Loon Gi Bibi.

Khulay Sar Woh Haye Jo Darbar Jaye.

Chali Aaiye Ga Jo Zainab Bulaye.

Tasbeeh Kar Rahi Thi Jo Aawaz Kho Gayi.

Thak Kar Ghamo Se Fatima Khamosh Ho Gayi.

 

Janazay Pe Zahra Ke Dekha Yeh Manzar.

Kaha Jab Yeh Shabeer Ne Maa Se Ro Kar.

Aye Amma Bola Lo Hai Be Chain Dilbar.

Yeh Sun Kar Kafan Se Uthay Hath Maa Ke.

Yeh Fizza Ne Dekha Tu Bolein Ali Se.

 

:RAZA: Our :ZEESHAN: Kaisa Sama Tha.

Woh Jab Shimar Ne Sheh Pe Khanjar Chalaya.

Pohanch Kar Yeh Maqtal Mein Fizza Ne Dekha.

Pisar Ke Sirhaney Kaha Fatima Ne.

Lehad Chor Aayi Hoon Tujh Ko Bachaney.

 

Poet: :Zeeshan Abidi:

Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:

Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2021-22:

Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:

 

#AyameFatmiyah

#MaaMaaHotiHai

#NohayLyrics

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment