Saaf likha hua hai ye qur’aan meiñ Lyrics || Barkate Raza


Saaf Likha Hua Hai Ye Qur’aan Mein Ek Nihayat Hi Pyaari Aur Roohani Naat Hai Jo Ramzan-E-Mubarak Ki Fazeelat Par Likhi Gayi Hai. Is Khoobsoorat Kalam Mein Ramzan Ki Barkaton Aur Namaz-O-Roze Ke Inaam Ka Badi Hi Pyari Shairy Mein Zikr Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Barkat Bhare Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Padhte Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleSaaf Likha Hua Hai Ye Qur’aan Mein
Poet / WriterUnknown
CategoryNaat Sharif / Ramzan Kalam
Naatkhawan / ReciterMohammad Aziz
Book NameBarkate Raza Naat Book

Saaf Likha Hua Hai Ye Qur’aan Mein Lyrics In Roman

Saaf Likha Hua Hai Ye Qur’aan Mein
Saaf Likha Hua Hai Ye Qur’aan Mein

Nazaare Gulshan-E-Jannat Ke Raas Aayenge
Farishte Raah Me Apni Nazar Bichhayenge

Namaz O Roza Taraveeh Fitra Aur Zaqat
Ba Roze Hashr Yahi Tumko Bakhshwayenge

Saaf Likha Hua Hai Ye Qur’aan Mein
Aur Pyare Nabi Ka Ye Farman Hai

Is Mahine Ka Har Pal Khuda Ki Qasam
Rooh-E-Eeman Hai Jaane Eeman Hai

Jisne Ki Farzo Sunnat Nawafil Ada
Jo Hai Shaida Namaze Taraveeh Ka

Jisne Is Maah Ke Poore Roze Rakhe
Uspe Rahmat Khuda Ki Meherban Hai

Ye Muhammad ﷺ Ka Farman Hai Bakhuda
Ehtram Is Mahine Ka Jisne Kiya

Qabr Se Hashr Tak Hashr Se Khuld Tak
Us Musalman Ki Raah Aasan Hai

Uth Rahe Hain Jo Fitne To Uthne Bhi Do
Waqt Ko Apni Nazreñ Badalne Bhi Do

Chal Raha Hai Jo Islam Ki Raah Me
Us Musafir Ka Allah Nigehban Hai

Dil Me Yaade Nabi Lab Pe Zikr-E-Khuda
Aur Mubarak Mahina Wo Ramzan Ka

Sar Ho Sajde Me Aur Maut Aaye Use
Har Musalman Ka Bas Ye Arman Hai

Saaf Likha Hua Hai Ye Qur’aan Mein
Aur Pyare Nabi Ka Ye Farman Hai

Saaf Likha Hua Hai Ye Qur’aan Mein Lyrics In Hindi

साफ़ लिखा हुआ है ये क़ुरआन में
साफ़ लिखा हुआ है ये क़ुरआन में

नज़ारे गुलशन-ए-जन्नत के रास आयेंगे
फ़रिश्ते राह में अपनी नज़र बिछायेंगे

नमाज़-ओ-रोज़ा तरावीह फ़ित्रा और ज़क़ात
ब-रोज़े हश्र यही तुम को बख़्शवाएंगे

साफ़ लिखा हुआ है ये क़ुरआन में
और प्यारे नबी का ये फ़रमान है

इस महीने का हर पल ख़ुदा की क़सम
रूह-ए-ईमान है जाने ईमान है

जिसने की फ़र्ज़ सुन्नत नवाफ़िल अदा
जो है शैदा नमाज़े तरावीह का

जिसने इस माह के पूरे रोज़े रखे
उस पे रह़मत ख़ुदा की मेहरबान है

ये मुह़म्मद ﷺ का फ़रमान है बाख़ुदा
एहतराम इस महीने का जिसने किया

क़ब्र से हश्र तक हश्र से खुल्द तक
उस मुसलमान की राह आसान है

उठ रहे हैं जो फ़ितने तो उठने भी दो
वक़्त को अपनी नज़रें बदलने भी दो

चल रहा है जो इस्लाम की राह में
उस मुसाफ़िर का अल्लाह निगेहबान है

दिल में याद-ए-नबी लब पे ज़िक्र-ए-ख़ुदा
और मुबारक महीना वो रमज़ान का

सर हो सज्दे में और मौत आए उसे
हर मुसलमान का बस ये अरमान है

साफ़ लिखा हुआ है ये क़ुरआन में
और प्यारे नबी का ये फ़रमान है

Saaf Likha Hua Hai Ye Qur’aan Mein Lyrics In Urdu

صاف لکھا ہوا ہے یہ قرآن میں
صاف لکھا ہوا ہے یہ قرآن میں

نظارے گلشنِ جنت کے راس آئیں گے
فرشتے راہ میں اپنی نظر بچھائیں گے

نماز و روزہ تراویح فطرہ اور زکوٰۃ
بہ روزِ حشر یہی تم کو بخشوائیں گے

صاف لکھا ہوا ہے یہ قرآن میں
اور پیارے نبی کا یہ فرمان ہے

اس مہینے کا ہر پل خدا کی قسم
روحِ ایمان ہے جانِ ایمان ہے

جس نے کی فرض و سنت و نوافل ادا
جو ہے شیدا نمازِ تراویح کا

جس نے اس ماہ کے پورے روزے رکھے
اس پہ رحمت خدا کی مہربان ہے

یہ محمد ﷺ کا فرمان ہے باخدا
احترام اس مہینے کا جس نے کیا

قبر سے حشر تک حشر سے خلد تک
اس مسلمان کی راہ آسان ہے

اٹھ رہے ہیں جو فتنے تو اٹھنے بھی دو
وقت کو اپنی نظریں بدلنے بھی دو

چل رہا ہے جو اسلام کی راہ میں
اس مسافر کا اللہ نگہبان ہے

دل میں یادِ نبی لب پہ ذکرِ خدا
اور مبارک مہینہ وہ رمضان کا

سر ہو سجدے میں اور موت آئے اسے
ہر مسلمان کا بس یہ ارمان ہے

صاف لکھا ہوا ہے یہ قرآن میں
اور پیارے نبی کا یہ فرمان ہے

Leave a Comment