Pee Ke Jo Mast Ho Gaya Bada e Ishq e Mustafa || Barkate Raza


Yeh Nihayat Hi Khoobsurat Aur Rooh-Parwar Naat Sharif “Pee Ke Jo Mast Ho Gaya Bada e Ishq e Mustafa” Huzoor Tajush Shariah Ki Likhi Hui Ek Shahkar Tashleeq Hai. Is Kalam-E-Muqaddas Mein Ishq-E-Mustafa ﷺ Ka Intehai Wajd-Aafreen Aur Dilkash Andaaz Mein Izhaar Kiya Gaya Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitlePee Ke Jo Mast Ho Gaya Bada e Ishq e Mustafa
Poet / WriterMufti Akhtar Raza Khan Qadri Azhari (Tajush Shariah)[1]
CategoryNaat Lyrics
Naatkhawan / ReciterAlhaj Owais Raza Qadri
Book NameSafina e Bakhshish

Pee Ke Jo Mast Ho Gaya Bada e Ishq e Mustafa Lyrics In Roman

Pee Ke Jo Mast Ho Gaya Bada E Ishq E Mustafa
Us Ki Khuda-Ee Ho Gayi Awr Woh Khuda Ka Ho Gaya

Keh Diya Qaasimun Ana Donoñ Jahaañ Ke Shah Ne
Ya’ani Dar E Huzoor Pe Bat’ti He Ne’mat E Khuda

Arsa E Hashr Me Khuli Un Ki Woh Zulf E Ambareeñ
Meena Woh Jhoom Kar Gira Cha-Ee Woh Dekhiye Ghata

Gardish E Chashm E Naaz Me Sadqe Tere Ye Keh To De
Le Chalo Is Ko Khuld Me Ye To Humaara Ho Gaya

Pee Ke Jo Mast Ho Gaya Bada e Ishq e Mustafa Lyrics In Hindi

पी के जो मस्त हो गया बादए इश्क़ ए मुस्तफ़ा
उस की ख़ुदाई हो गई और वो ख़ुदा का हो गया

कह दिया क़ासिमुन अना दोनों जहाँ के शाह ने
यानी दर ए हुज़ूर पे बटती है नेमत ए ख़ुदा

अरसा ए हश्र में खुली उनकी वो ज़ुल्फ़ ए अम्बरीं
मीना वो झूम कर गिरा छाई वो देखिये घटा

गर्दिश ए चश्म ए नाज़ में सदक़े तेरे ये कह तो दे
ले चलो इस को ख़ुल्द में ये तो हमारा हो गया

Pee Ke Jo Mast Ho Gaya Bada e Ishq e Mustafa Lyrics In Urdu

پی کے جو مست ہوگیا بادۂ عشق مصطفی
اس کی خدائی ہوگئی اور وہ خدا کا ہو گیا

کہہ دیا قاسم انا دونوں جہاں کے شاہ نے
یعنی درِ حضور پہ بٹتی ہے نعمت خدا

عرصۂ حشر میں کھلی ان کی وہ زلف عنبریں
مینہ وہ جھوم کر گرا چھائی وہ دیکھئے گھٹا

گردشِ چشمِ ناز میں صدقے تیرے یہ کہہ تو دے
لے چلو اس کو خلد میں یہ تو ہمارا ہو گیا

Leave a Comment