Nigah E Mahar Jo Is Mahar Ki Idhar Ho Jaye Lyrics
Nigah E Mahar Jo Is Mahar Ki Idhar Ho Jaye
Gunah Ke Daagh Mitain Dil Mera Qamar Ho Jaye
Jo Qalb Terah Pay Teri Kabhi Nazar Ho Jaye
To Aik Noor Ka Buqah Woh Sar Basar Ho Jaye
Hamari Kasht e Amal Mein Kabhi To Phal Aaye
Kabhi To Shajrah e Umeed Baar War Ho Jaye
Kabhi To Aisa Ho Ya Rab Woh Dar Ho Aur Yeh Sar
Kabhi To Un Ki Gali Mein Mera Guzar Ho Jaye
Hamara Sar Ho Khudaaya Habib Ka Dar Ho
Hamari Umar Ellahi Yuhin Basar Ho Jaye
Jo Sachey Dil Se Kahe Koi Ya Rasool Allah
Museebatein Bhi Talain Har Muhim Bhi Sar Ho Jaye
Meri Musibaton Ka Silsila Abhi Kat Jaye
Ishara Abrue Kham Daar Ka Agar Ho Jaye
Tarap Rahay Hain Furaaq e Habib Mein Aashiq
Ellahi! Raah Madinah Ki Be Khatar Ho Jaye
Tere Gazab Se Hon Ghaarat Yeh Dahar Ke Shaitan
Banay Ghulam Har Ik Un Mein Dar Badar Ho Jaye
Jo Aap Chahain To Haizam Ko Dam Mein Sabz Karen
Karam Jo Aap Ka Ho Khuld Ka Shajar Ho Jaye
Khuda Ke Fazl Se Har Khushk O Tar Pay Qudrat Hai
Jo Chaho Tar Ho Abhi Khushk, Khushk Tar Ho Jaye
Ayaan Hai Dabdaba Tera Samawaat O Sawan Se
Hamari Khaiti Bhi Shookhi Hai Pyare Tear Ho Jaye
Jo Kaasa Taaj Ka Le Kar Tumahray Dar Par Aaye
To Badshah Haqeeqat Mein Tajwar Ho Jaye
Tere Gadavon Ki Paposh Taaj e Sultan Hai
Woh Jis Ke Sir Pay Rakhen Na-al Tajwar Ho Jaye
Jo Aap Hon Marey Pallay Pay Phir Mujhe Kya Dar
Jidhar Nigah Karam Ho Khuda Idhar Ho Jaye
Jo Khawab Mein Kabhi Tashreef Layein Jaan e Qamar
To Un Ke Noor Se Maamoor Sara Ghar Ho Jaye
Khuda Ne Qalb e Haqeeqat Tumahray Haath Kya
Jo Shaakh Larnay Ko Do Tegh Aur Tabar Ho Jaye
Jo Waqt Wazan Giran Palla Ho Gunaaho Ka
Shafaat Aap Ki Is Dam Meri Super Ho Jaye
Andheri Shab Mein Karam Se Tumahray Ae Suroor
Asa Sahaba Ka Fanoos Raah Bhar Ho Jaye
Khuda Ne Ghaib Tumahray Liye Huzoor Kya
Jo Raaz Dil Mein Chupay Hon Tumhe Khabar Ho Jaye
Woh Aayen Tayragi Ho Daur Mere Ghar Bhar Ki
Shab Faraaq Ki Yarab! Kabhi Sehar Ho Jaye
Hijaab Utheen Jo Marqad Se Un Ke Roza Tak
Andhera Qabar Ka Mit Jaye Dopehar Ho Jaye
Tere Habib Ke Dushman Hain Aur Khud Tairay
Har Aik Un Mein Ka Fi Naaro Saqar Ho Jaye
Kinar Atifat Hawiya Mein Ik Ik Jaye
Jo Maa Ki Goad Mein Baithy To Khush Pisar Ho Jaye
Saraapaa Aag Ke Darya Mein Doob Jayen Yeh
Agar Hamaim Ka Darya Kamar Kamar Ho Jaye
Chamak Utthay Meri Qismat Ka Tara Ae Noori
Agar Woh Ghairat e Khurshid Mere Ghar Ho Jaye
Samanِ Bakhshish