sar jhukaaya toh patthar sanam bann gaye Lyrics
sar jhukaaya toh patthar sanam bann gaye
lekar tumhaara naam jahan sar jhuka diya
maine ussi dayaar ko kaaba bana diya
sar jhukaaya toh patthar sanam bann gaye
ishq bhatka toh haq aashna ho gaya
rashq karta hai kaaba mere kufr par
maine jis but ko pooja khuda ho gaya
gum rahi hai ke mairaaj hai ishq ki
aye junoon bol manzil hai yeh kaun si
uske ghar ka pata poochte poochte
poochne wala khud laapta ho gaya
main muhabbat se muh mod leta agar
toot padhti yeh bijli kisi aur par
mere dil ki tabahi se yeh toh hua
kam se kam doosron ka bhala ho gaya
waqt e ehbaab parchchayi sooraj kiran
log duniya khushi chaandni zindagi
mere mehboob ik tere gham ke siwa
jo mila raaste mein juda ho gaya
kaarobaar e tamanna mein yeh to hua
unke kadmon pe marne ka mauka mila
zindagi bhar toh ghaata uthaate rahe
aaj pehli baar faayda ho gaya
aisa bhatka ke lauta nahi aaj tak
aisa bichchda ke aaya nahi aaj tak
dil to kambakht iska darman walla
aapke ghar gaya aapka ho gaya