Allama Iqbal Ka Ye Shahakaar Kalam Insani Fikr Aur Ishq E Haqeeqi Ki Gehraaiyon Ko Ujaagar Karta Hai. Is Mein Aql O Fikr Ki Hudoood Aur Ishq E Ilahi Ke Raste Par Chalne Ka Paighaam Diya Gaya Hai. Ye Kalam Dil Mein Khudi Aur Baseerat Ka Jazba Bedaar Karta Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Khirad Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahi |
| Poet / Writer | Allama Iqbal |
| Category | Kalam E Iqbal |
| Naatkhawan / Reciter | Shafqat Amanat Ali |
| Book Name | Bal E Jibril |
Khirad Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahi Lyrics In Roman
Tere Seene Mein Dam Hai Dil Nahin Hai
Tera Dam Garmi E Mahfil Nahin Hai
Guzar Jaa Aql Se Aage Ke Ye Noor
Charagh E Raah Hai Manzil Nahin Hai
Khirad Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahin
Tera Ilaaj Nazar Ke Siwa Kuch Aur Nahin
Har Ek Maqaam Se Aage Maqaam Hai Tera
Hayaat Zauq E Safar Ke Siwa Kuch Aur Nahin
Ragon Mein Gardish E Khoon Hai Agar To Kya Haasil
Hayaat Soz E Jigar Ke Siwa Kuch Aur Nahin
Jise Kasaad Samajhte Hain Tajiran E Farang
Woh Shai Mata E Hunar Ke Siwa Kuch Aur Nahin
Uroos E Lalah Munasib Nahin Hai Mujh Se Hijaab
Ke Main Naseem E Sahar Ke Siwa Kuch Aur Nahin
Bada Kareem Hai Iqbal Be Nawa Lekin
Ata E Shola Sharar Ke Siwa Kuch Aur Nahin
Giran Baha Hai To Hifz E Khudi Se Hai Warna
Guhar Mein Aab E Guhar Ke Siwa Kuch Aur Nahin
Khirad Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahi Lyrics In Hindi
तेरे सीने में दम है दिल नहीं है
तेरा दम गर्मी ए महफ़िल नहीं है
गुज़र जा अक़्ल से आगे के ये नूर
चराग़ ए राह है मंज़िल नहीं है
ख़िरद के पास ख़बर के सिवा कुछ और नहीं
तेरा इलाज नज़र के सिवा कुछ और नहीं
हर एक मक़ाम से आगे मक़ाम है तेरा
हयात ज़ौक़ ए सफ़र के सिवा कुछ और नहीं
रगों में गर्दिश ए ख़ूं है अगर तो क्या हासिल
हयात सोज़ ए जिगर के सिवा कुछ और नहीं
जिसे कसाद समझते हैं ताजिरान ए फ़रंग
वो शै मता ए हुनर के सिवा कुछ और नहीं
उरूस ए लालह मुनासिब नहीं है मुझसे हिजाब
के मैं नसीम ए सहर के सिवा कुछ और नहीं
बड़ा करीम है इक़बाल बे नवा लेकिन
अता ए शोला शरर के सिवा कुछ और नहीं
गिरां बहा है तो हिफ़्ज़ ए ख़ुदी से है वर्ना
गुहर में आब ए गुहर के सिवा कुछ और नहीं
Khirad Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahi Lyrics In Urdu
تیرے سینے میں دم ہے دل نہیں ہے
تیرا دم گرمیِ محفل نہیں ہے
گزر جا عقل سے آگے کہ یہ نور
چراغِ راہ ہے منزل نہیں ہے
خرد کے پاس خبر کے سوا کچھ اور نہیں
تیرا علاج نظر کے سوا کچھ اور نہیں
ہر اک مقام سے آگے مقام ہے تیرا
حیات ذوقِ سفر کے سوا کچھ اور نہیں
رگوں میں گردشِ خوں ہے اگر تو کیا حاصل
حیات سوزِ جگر کے سوا کچھ اور نہیں
جسے کساد سمجھتے ہیں تاجرانِ فرنگ
وہ شئے متاعِ ہنر کے سوا کچھ اور نہیں
عروسِ لالہ مناسب نہیں ہے مجھ سے حجاب
کہ میں نسیمِ سحر کے سوا کچھ اور نہیں
بڑا کریم ہے اقبالِ بے نوا لیکن
عطائے شعلہ و شرر کے سوا کچھ اور نہیں
گراں بہا ہے تو حفظِ خودی سے ہے ورنہ
گہر میں آبِ گہر کے سوا کچھ اور نہیں