Taiba Ke Jaane Wale Lyrics | Owais Raza Qadri Naats lyrics
Taiba Ke Jaane Wale Lyrics | Owais Raza Qadri Naats lyrics
Tayba Ke Jane Wale
Ae gunbad-e-khazra ke makeen, Meri madad kar
Ya phir yeh bata, Kon mera tere siwa he
Tayba ke jane wale, Jakar bare adab se
Mera bhi kisay-e gham, Kahena shah-e arab se.
Tayba Ke Jane Wale
Tayba Ke Jane Wale
Kahena ke shah-e aalee, ik ranj-o gham ka mara
Dono jahan me iska, he app hi sahaara
Halaat-e pur alam se, har dam guzar raha he
Aur kanpte labhoon se, faryaad kar raha he
Baare ghunah apna, he dosh par uthaye
Koi nahin he aesa, jo puchane ko aaye
Bhatka huvaa musafir manzil ko dhundta he
Taarikiyoon me mahe kamil ko dhundta he
Sine me he andhera, dil he siyah khana
Sine me he andhera, dil he siyah khana
Yeh sab meri haqeeqat sarkaar ko soonana
Wah kiya Jood-o-Karam he shahe -batha tera lyrics
Kahena mere Nabi se,
mahroom hoon khushi se,
sar par ik abre gham he
Ashkoon se aankh nam he,
pamal-e zindagi hoon,
sarkaar aummati hoon,
Ummat ke rahnuma ho,
kuch arze hal sunlo,
faryaad kar raha hoon,
Me dil figaar kab se,
mera bhi kissye-e gham kahena shahe arab se.
Tayba ke jane wale, Jakar bare adab se
Mera bhi kissay-e gham, Kahena shah-e arab se.
Tayba Ke Jane Wale
Tayba Ke Jane Wale
Kahena ke kha raha hoon, me thokaren jahan me
Tum hi batavo aaqa, jaoon bhala kahan me
Mahsoos kar raha hoon, duniya he ik dhoka
Matlab ke yaar hen sab, koi nahi kisi ka
Kis ko me apna janoon, kis ka me loo sahaara
Mujko to mere aaqa he aap ka sahara
Tum hi suno ge meri, tum hi karam karo ge
Dono jahan me tumhi, mera bharam rakho ge.
Tum daad kha-e alam, me ik naseeb-e barham
Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali
Tum aasiyoon ka yaara, me gardi-shoun ka mara
Rahmeat ho tum sarapa, ma murtaiqab khata ka
Hoon sharam saar apne, aamal ke sabab se
Mera bhi kisa e gham, Kahena shah e arab se
Tayba kay jane wale, Jakar bare aadab se
Mera bhi kissa e gham, kahena shah e arab se.
Taiba Ke Janay Wale
Taiba Ke Janay Wale
Ae aazam-e madina, jaa kar Nabi se kahena
Soz-e gham-e alam se, aab jal raha he seena
Kahena ke dil me lakhoon armaan bhare huve hen
Kahena ke hasratoon ke nashtar chubhe huve hen
He arzoo yeh dil ki, me bhi madine jauoon
Sultan-e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon.
Katoon hazar chakar, tayba ki har gali ke
Youn hi guzaar doon me, aayam zindagi ke.
Wah kiya Jood-o-Karam he shahe -batha tera lyrics
Phulon pe jaan nisaroun, katoon pe dil ko waroon
Zaron ko doon salamee, dar ki karoon ghulamee
Diwar-o dar ko chumoun, qadmoun pae sar ko rakh doun
Mahboob se lapat kar, rota rahoon bara bar
Aalam ke dil me he yeh, hasrat najane kab se
Mera bhi kissay-e gham, kahena shah e arab se
Taiba kay jane wale, Jakar baray aadab se
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab se.
Taiba Ke Janay Wale
Taiba Ke Janay Wale