Barson Ke Intizar Ka Anjam Likh Diya Lyrics || Barkate Raza


Assalamu Alaikum. Aaj Hum Aap Ki Khidmat Mein Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Ki Awaz Mein Gayi Gayi Nihayat Hi Pyaari Ghazal “Barson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya” Lekar Hazir Hue Hain. Humein Umeed Hai Ke Yeh Khoobsurat Kalaam Aap Ko Behad Pasand Aayega.

Naat InformationDetails
Naat TitleBarson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya
Poet / WriterIftikhar Qaiser
CategoryUrdu Ghazal
Naatkhawan / ReciterNusrat Fateh Ali Khan
Book NameBarkate Raza Naat Book

Barson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya Lyrics In Roman

Barson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya
Kaagaz Pe Shaam Kaat Ke Phir Shaam Likh Diya

Bikhri Padi Theen Toot Ke Kaliyan Zameen Par
Tarteeb De Ke Maine Tera Naam Likh Diya

Aasan Nahin Thi Tarq E Muhabbat Ki Dastaan
Do Aansuon Ne Aakhiri Paigaam Likh Diya

Humko Kisi Ke Husn Ne Shayar Bana Diya
Hoton Ka Naam Le Na Sake, Jaam Likh Diya

Allah! Zindagi Se Kahan Tak Nibhaun Main
Jis Bewafa Ke Saath Mera Naam Likh Diya

Taqseem Ho Rahi Theen Khudai Ki Nematein
Ik Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Diya

Qaisar Kisi Ki Den Hai Ye Shayari Meri
Uski Ghazal Pe Kisne Mera Naam Likh Diya?

Barson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya Lyrics In Hindi

बरसों के इंतज़ार का अंजाम लिख दिया
काग़ज़ पे शाम काट के फिर शाम लिख दिया

बिखरी पड़ी थीं टूट के कलियां ज़मीन पर
तरतीब दे के मैंने तेरा नाम लिख दिया

आसां नहीं थी तर्क-ए-मोहब्बत की दास्तां
दो आंसुओं ने आख़िरी पैग़ाम लिख दिया

हमको किसी के हुस्न ने शायर बना दिया
होठों का नाम ले न सके, जाम लिख दिया

अल्लाह! ज़िन्दगी से कहां तक निभाऊं मैं
जिस बेवफ़ा के साथ मेरा नाम लिख दिया

तक़सीम हो रही थीं खुदाई की नेमतें
इक इश्क़ बच गया सो मेरे नाम लिख दिया

कैसर किसी की देन है ये शायरी मेरी
उसकी ग़ज़ल पे किसने मेरा नाम लिख दिया?

Barson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya Lyrics In Urdu

برسوں کے انتظار کا انجام لکھ دیا
کاغذ پہ شام کاٹ کے پھر شام لکھ دیا

بکھری پڑی تھیں ٹوٹ کے کلیاں زمین پر
ترتیب دے کے میں نے تیرا نام لکھ دیا

آساں نہیں تھی ترکِ محبت کی داستاں
دو آنسوؤں نے آخری پیغام لکھ دیا

ہمکو کسی کے حسن نے شاعر بنا دیا
ہونٹوں کا نام لے نہ سکے، جام لکھ دیا

اللہ! زندگی سے کہاں تک نبھاؤں میں
جس بیوفا کے ساتھ میرا نام لکھ دیا

تقسیم ہو رہی تھیں خدائی کی نعمتیں
اک عشق بچ گیا سو میرے نام لکھ دیا

قیصر کسی کی دین ہے یہ شاعری میری
اسکی غزل پہ کس نے میرا نام لکھ دیا؟

Leave a Comment