Aaj aaye nabiyon kay sardar marhaba – Owais Raza Qadri Naats Lyrics
Aaj aaye nabiyon kay sardar marhaba,
Marhaba aye qafila salaar marhaba.
Amina kay dilbar o dildar marhaba,
Marhaba aye mehboob-e-ghaffar marhaba.
Shaad ho kay aamad-e-khair ul wara hai aaj,
Ghum kay maaray bol uthay ghum khwaar marhaba.
Subz parcham haath mein lehra kay sub bolo,
Makki madni aye arabi sardar marhaba.
Jhoomta hai wajd mein kaaba khushi mein aaj,
Keh rahe hain mibar-o-minnaar marhaba.
Bas gayi hai wadi-e-jaan mein nahee mehek,
Teri aamad per shah-e-abrar marhaba.
Do ubaid-e-bay hunar ko naat ka shaoor,
Kar raha hai piyaar se takraar marhaba.