Ahmed Raza Ka Taza Gulistan

Ahmed Raza Ka Taza Gulistan

 

 

Ahmed Raza ka taza gulistan hai aaj bhi
Khursheed ilm un ka darakhshaan hai aaj bhi

Arsa huwa woh Mard e Mujahid chala gaya
Sunniyo me ek Sozish e Pinhaan hai aaj bhi

Imaan pa rahaa hai halaawat ki naemate
Aur kufr tere naam se larzaan hai aaj bhi

Kis tarah itne ilm ke daryaa baha diye
Ulamaa e Haq ki aql toh hairaan hai aaj bhi

Maghmum Ahl e Ilm na ho kyu tere liye
Jab ilm khud hi sar bagareeban hai aaj bhi

Ishq e Habib e Paak me dooba huwa kalaam
Sarmaya nishaat sukhandaan hai aaj bhi

Bhar di dilo me Ulfat o Azmat Rasool ki
Joh Makhzan e Halaawat e Imaan hai aaj bhi

Tum kya gaye ke Raunak e Mehfil chali gayi
Sher o Adab ki Zulf e Pareshaan hai aaj bhi

Aalim ki maut kehte hai aalam ki maut hai
Apne kiye pe maut pasheeman hai aaj bhi

Wabastagaan kyu ho pareeshaan un pe jab
Lutf o Karam unka damaan hai aaj bhi

Lillah apne faiz se ab kaam lejiye
Fitno ke sar uthaane ka imkaan hai aaj bhi

Taiba me us ki zaat salaamat rahe ke joh
Teri amaanato ka nighehbaan hai aaj bhi

Mirza sare niyaaz jhukaataa hai is liye
Ilm o Amal pe aap ka ehsaan hai aaj bhi

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment