Jamaaliyat Ka Paikar Hussain Ke Nana Lyrics || Barkate Raza

Huzoor Sarwar-E-Kainat Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Unke Nawase Hazrat Imam Hussain Ki Shaan Mein Likha Gaya Yeh Ek Nihayat Hi Dilkash Kalam Hai. Javed Sahab Ki Is Haseen Takhleeq Se Apne Dil Ko Taaza-O-Munawwar Karein. Ahmad Raza Gondvi Sahab Ki Khush-Alhani Se Saja Yeh Kalam Roohani Sukoon Ka Ek Azeem Khazana Hai.

Naat Information Details
Naat Title Jamaaliyat Ka Paikar Hussain Ke Nana
Poet / Writer Javed
Category Manqabat Imam Hussain
Naatkhawan / Reciter Ahmad Raza Gondvi
Book Name Unknown

Jamaaliyat Ka Paikar Hussain Ke Nana Lyrics In Roman

Jamaaliyat Ka Paikar Hussain Ke Nana
Hain Bahre Khuld Ke Mahwar Hussain Ke Nana.

Ye Kah Ke Jhoom Uthe Ghar Me Hazrat E Jabir
Ke Aa Rahe Hain Mere Ghar Hussain Ke Nana.

Firishte Janib E Dozakh Chaleñge Jab Lekar
Mujhe Bacha Lenge Aa Kar Hussain Ke Nana.

Gulab Ho Gaye Chehre Gunahgaron Ke
Jab Aa Gaye Sare Mahshar Hussain Ke Nana.

Ye Aarzu Hai Ke Uthte Darood Padhne Lagun
Jab Aayeñ Qabr Ke Andar Hussain Ke Nanan.

Hazaro Laakho Hi Aaye Yahañ Magar Javed
Habeeb E Khaliq E Akbar Hussain Ke Nana.

Jamaaliyat Ka Paikar Hussain Ke Nana Lyrics In Hindi

जमालियात का पैकर हुसैन के नाना
हैं बहर-ए-ख़ुल्द के मेहवर हुसैन के नाना।

ये कह के झूम उठे घर में हज़रत ए जाबिर
के आ रहे हैं मेरे घर हुसैन के नाना।

फ़िरिश्ते जानिब-ए-दोज़ख़ चलेंगे जब लेकर
मुझे बचा लेंगे आकर हुसैन के नाना।

गुलाब हो गए चेहरे गुनाहगारों के
जब आ गए सरे महशर हुसैन के नाना।

ये आरज़ू है के उठते दुरूद पढ़ने लगूँ
जब आएं क़ब्र के अन्दर हुसैन के नाना।

हज़ारों लाखों ही आए यहां मगर जावेद
हबीब ए खालिक ए अकबर हुसैन के नाना।

Jamaaliyat Ka Paikar Hussain Ke Nana Lyrics In Urdu

جمالیت کا پیکر حسین کے نانا
ہیں بحرِ خلد کے محور حسین کے نانا

یہ کہہ کے جھوم اٹھے گھر میں حضرتِ جابر
کہ آ رہے ہیں میرے گھر حسین کے نانا

فرشتے جانبِ دوزخ چلیں گے جب لے کر
مجھے بچا لیں گے آ کر حسین کے نانا

گلاب ہو گئے چہرے گناہگاروں کے
جب آ گئے سرِ محشر حسین کے نانا

یہ آرزو ہے کہ اٹھتے درود پڑھنے لگوں
جب آئیں قبر کے اندر حسین کے نانا

ہزاروں لاکھوں ہی آئے یہاں مگر جاوید
حبیبِ خالقِ اکبر حسین کے نانا

Leave a Comment