Diwan e Ghalib Lyrics
Diwan- e- Ghalib
Poet : Mirza Asad Ullah khan Ghalib
1
naqsh faryadi hai kis ki shokhi e tehreer ka
kaghazi hai perhan har paiker e tasweer ka
Shokhi e nearing, syed o hast e taaos hai
daam, sabzay mein hai parwaz e chaman taskheer ka
lzzt ijad e naz, afson e arze zouqe qatal
na-al aatish mein hai, tagh e yaar se nakhchar ka
kao kav e sakht jani haae tanhai nah pooch
subuh karna shaam ka, lana hai juye sheear ka
jazba be ikhtiar e shoq dekha chahiye
seenah Shamsheer se bahar hai dam Shamsheer ka
aaghi daam e saneedan jis qader chahay bichaya
mudda Anqa hai apne aalmِ taqreer ka
khisht pusht e dstِ e ijaz o Qalib aagosh e vidaa
pُr howa hai sale se pemana kis taamer ka
wahshat e khwabِ e Adam shor e tamasha hai Asad
jo maza johar nahi ainaa tabeer ka
bas kay hon Ghalib , aseeri mein bhi aatish zayr e pa
moay aatish dida hai halqa meri zanjeer ka
—————————————————————————
2
junoo garam intzaar o naala betabi kamand aaya
suvedaa taa bulb zanjeer se dood e spnd aaya
Mh e Akhtar fishan ki istaqbaal aankhon se
tamasha kishor e ainaa mein ainaa band aaya
taghaful, bad gumani, balkay meri sakht jani hai
nigah e be hijab e naz ko beem e gznd aaya
fiza e khanda gul tang o zouqe aish be parwa
faraghat gah e daa e dil pasand aaya
Adam hai kher khoa e jalwa ko zindan e be taabi
Kharam e naz bark e kharaman e saye e pasand aaya
jarahat tohfa, almaas armaghan ,dagh e jigar Hadia
mubarak bad Asad ,gham khwar e jaan-e dard mand aaya
—————————————————————————
3
Juz qais aur koi na aaya barooai kar
Sahra magar bah tangiye chashme husood tha
Aashaftagi ne naqshe suaida kiya durust
Zahir hua ki, dag ka sarmaya door tha
Tha khuaab mein khayal ko tujh se muamila
Jab aankh khul gaie, na zaiya’n tha na sood tha
Laita hon maktabe game dil mein sabaq, hunooz
Laikin yahi ki “raft” gaya’ aur “bood” tah
Dhanpa kafan ne dage uyoobe barahnagi
Mein, warna har libas mein nanage wajood tha
Teeshe bagair, mar na saka kohan, Asad!
Sargashtai khumare rusoom-o-quood tha
—————————————————————————
4
kaihtai ho, na dengay hum dil agar pada paya
Dil kahan gum kijie, hum nai muddua paya
Ishq se tabiat nai zeest ka maza paya
Dard ki dawa paye, dard bai dawa paya
Doustdare dushman hai, aitemade dil maloom
Aah be asar daikhi, nalah nar sa paya
Sadgi-o- purkari, baikhudi-o-hushaiari
Husn ko tagaful mein, jurat azma paya
Guncha phir laga khilne, aaj hum nai apna dil
Khun kiya hua daikha, gum kiya hua paya
Hale dil nahin maloom laikin is qadar maloom
Hum ne barha dhondha tum ne barha paya
Shore pande naseh ne zakham par namak chidka
Aap se koi pooche, tum ne kaya maza paya
—————————————————————————
5
Dil mera soze nihan se bai muha jal gaya
Atashe khamosh kai manind goya jal gaya
Dil mein zauqe wasle yar tak baqi nahin
Aag as ghar mein aisee lagi ki jo tha jal gaya
Mein adam se bhi parey hon’ warna gafil!barha
Meiri aah astin se bal anqa jal gaya
Arz kijiai jo har andaishah ki garmi kahan
Kuch khayal aya tha wahshat ka ki sahra jal gaya
Dil nahin tugh ko dikhata warnah dagon ki bahar
Is chiragan ka, karon kya, farma jal gaya
Mein hon aur afsurdagi ki arzo Ghalib! Ki dil
Daikh kar tarze tapake ahle dunia jal gaya
—————————————————————————
6
shauq har rung raqeeb sar-o-saman nikla
qais tasweer ke pardey mein bhi uryan nikla
Zakham ne dad na di tngie dil ki ya rab!
Teer bhi seenai bismil se pur afshan nikla
Booye gul, nalai dil, doode chirage mahfil
Jo teri bazm se nikla so parishan nikla
Dile hasrat zadah tha maidai lazzat dared
Kam yaron ka baqadre lab-o-dandan nikla
Thi nau amooze fina, himmate dushwar pasand
Sakht mushkil hai ki, ye kam bhi asan nikla
Dil mein phir griye ne ek shore uthaya Ghalib
Aah! jo qatrah nah nikla tha, so toofan nikla
—————————————————————————
7
Dhamki mein mar gaya, jo nah babe naberd tha
Ishq naberd paishai talabgar merd tha
Tha zindagi mein marg ka khatka laga hua
Udne se paishtar bhi mera rung zard tha
Taleef nuskhaai wafa kar raha thamein
Majmuai khayal abhi fard fard tha
Dil ta jigar ki sahile daryae khon hai ab
Is rahguzar mein jalwai gul aage gird tha
Jati hai koi kash-makash andohe ishq ki
Dil bhi agar gaya, to wahi dil ka dard tha
Ahbab charah sazie wahshat na kar sake
Zindan mein bhi khayal byaban naward tha
Ye lashe be kafan Asad khastah jaan ki hai
Haq magfirat kare ! ajab Azad merd tha
—————————————————————————
8
Shumare subahe margoobe bute mushkil pasand aya
Tamashaei bah yak kaf burdan sad dil pasand aya
Bafaize baidili naumedi jawed asan hai
Kashayash ko hamara uqdai mushkil pasand aya
Hawaai sair gul, aiena bemahri qatil
Ki andaze bakhon galteedan bismil pasand aya
—————————————————————————
9
Daher mein, nakshe wafa wajhe tasalli na hua
Hai ye wo lafz ki sharmindai mani na hua
Sabzai khat se tera kakule sar kash, na daba
ye zamurrad bhi, hareef dame afaye na hua
Mein ne chaha tha ki andohe wafa se chooton
Who sitamgar merai mernai pai razi na hua
Dil guzargahe khayale mai wo sagar hi sahi
Gar nafas jada-e-sar manzile taqwa na hua
Hon tere wada na karne mein bhi razi ki kabhi
Gosh minnat kasha gulbange tasalli na hua
Kis se, mahromia kismat ki shikayat kijiye
Hum ne chaha tha ki mar jayein, so wo bhi na hua
Mar gaya sadmai yak lab se Ghalib
Natwanee se hareef dame iesa na hua
—————————————————————————
10
Sataish gar hai zahid is qadar bage rizwan ka
Who ek guldastah hai hum bakhudon ke taqe nisiyan ka
Bayan kya kijeye baidad kawishhaye masgan ka
Ni her ek qatrai khoon danah hai tasbeeh marjan ka
Na aaye satwate qatil bhi mane, mere nalon ko
Liya danton mein jo tinka, hua reesha neestan ka
Dikhaonga tamasha, di agar fursat zamane ne
Mera her dage dil ek tukhm hai sarwe chiragan ka
Kiya aiena khane ka woh naksha tere jalwe ne
Kare jo partawe khursheed alam shabnamistan ka
Meri tamer mein, muzmir hai ek soorat kharabi ki
Huola barq-e-khirman ka, hai khoone garm dahkan ka
Uga hai ghar mein her so sabzai, werani tama shakir
Madar, ab khodne par ghass ke hai mere darban ka
Khamoshi mein nihan, khoon gashtah lakhon arzoain hain
Chirage murda hon, main be zuban gore gareeban ka
Hnooz ek partawe nakshe khayale yar baqi hai
Dide afsurda goya hujrai hai usuf ke zindan ka
Bagal mein gair ki aaj aap sote hain warnah
Sabab kaya, khuaab mein aakar tabassum haai pinhan ka
Nahin maloom, kis kis ka laho pani hua hoga
Qyamat hai shrik alodah hona teire masgan ka
Nazar mein hai hamari jadai rahe fana, ghalib!
Ki yeh shirazah hai aalam ke ajzaie parishan ka
—————————————————————————
11
Na hoga ek bayan mandagi se zauq kam meira
Hubabe maujai raftar hai naqshe qadam mera
Muhabbat thi chaman se, lakin ab ye bai dimagi hai
Ki mauje booai gul se nak mein aata hai danm maira
—————————————————————————
12
Sarapa rahen ishq-o-naguzire ulfate hasti
Ibadat barq karta hon aur afsos hasil ka
Baqadre zarf hai, saqi! khumare tashna kami bhi
Jo too daryai mai hai, to main khamiyazah hon sahil ka
—————————————————————————
13
Mahram nahi hai to hi, nawahai raz ka
Yan warnah jo hijab hai, prdah hai saz ka
Range shikastah subhe bahare nazara hai
Ye waqt hai shguftane gulhai naz ka
Too aur sooai gair nazar hai tez tez!
Main aur dukh tari mazah hai daraz ka!
Sarfah hai zabte Aah mein mera, wo gar na main
Tumah hon eak hi nafse jaan gudaz ka
Hain baski, joshe badah se shisai uchal rahai
Her gosai bisat, hai sar shishah bad ka
Kawish ka dil kare hai taqazah kiye hai hunooz
Nakhun pai qarz us girah neem baz ka
Taraj kawishe game hijran hua Asad
Seenah ki tha dafeenai, guhar hai raz ka
—————————————————————————
14
Bazame shahenshah mein, ashaar ka daftar khula
Rakhiyo yarab! ye ganjenai gauhar khula
Shab huie, phir anjum rakhshandah ka manzar khula
Is takalluf se ki goya butkadai ka dar khula
Gar cheh hon deewana, par kiyon dost ka khaon faraib
Aastin mein dashnah pinhan, hath mein nashtar khula
Go na samjhon uski batein, go na paon uska bhaid
Par yeh kya kam hai ki, mujh se woh pari paikar khula
Hai khayale husn mein husne amal ka sa khayal
Khuld ka ek dar hai meri gore ke ander khula
Munh na khulnai par hai woh aalam ki dakha hi nahin
Zulf se badkar niqab us shokh ke munh par khula
Dar pak rahne ko kaha kah ke kaisa phir gaya
Jitne arse mein mera lipta hua bistar khula
Kiyon andhaire hai shabe gam? hai kiyon balaon ka nuzool
Aai udher hi ko rahey ga deedai akhter khula?
Kaya rahon gurbat mein khush, jab hua hwadis ka ye hal
Namah lata hai, watan se, namah bar aksar khula
Uski ummat mein hon main, maire rahain kiyon kam band
Waste jis shahei ke, Ghalib! gunbade bai dar khula
—————————————————————————
15
Shab ke barqe soze dil se zahrai abre aab tah
Sholai jawwalah, her ek hlqai girdab tha
waan karam ko, uzre barish tha gina nageer kharam
Girye se yan, panbai balish kafe sailab tha
Waan khud aaraye ko tha moti pirone ka khayal
Yaan hujome ashk mein tare nigah nayab tha
Jalwai gul ne kiya tha waan chiragan aanjoo
Yaan rawan masgane chashme tar se khoone nab tah
Yaan sare pur shore, be khuabi se tah deewar jo
Waan woh farqe naaz, mahwe balise kamkhuab tha
Yaan nafas karta tha raushan shame bai khudi
Jalwai gul waan bisate suhbate ahbab tha
Farsh se ta arsh waan toofan tha mauje rang ka
Yaan zamin se aasman tak shokhtanka bab tha
Na gahan is rung se khoonabah tpkane laga
Dil zauqe kawishe nakhun se lazzat yaa b tha.
—————————————————————————
16
Nalai dil mein shab andaze asar nayab tha
Tha sapnde bazme wasle gair, go baitab tha
Maqdame sailab se kaya nishat ahung hai!
Khanai aashiq magar saz sadaye aab tha
Nazishe aiyam khakaster nasheeni, kaya kahon
Pahloai andaishah, waqfe bistre sanjab tha
Kuch na ki apne junone narsane, warnah yaan
Zarrah zarrah rokashe khurshid alam tab tha
Qaf
Aaj kiyon parwah nahin apne aseeron ki tujhe
Kal talak tera bhi dil mehro wafa ka ta j tha
Yad kar woh din ki her ek halqah terai dam ka
Intezare seed mein ek deedai baikhuab tha
Main ne roka raat ghalib ko, woh gar na daikhte
Us ke seele girya mein, gardon kafe sailab tha.
—————————————————————————
17
Eik eik qatre ka mujhe daina pada hisab
Khoone jigar wadeeate masgane yar tha
Ab main hon, aur matame yak shahre arzo
Toda jo tum ne aienai, tamsal dar tha
Galiyon mein nash ko khinchai phiro ki maim
Jaan dadai hawai sare rahguzar tha
Mauje shrab daste wafa ka na pooch hal
Her zarrah misle johare taig aabdar tha
Kam jantai thai hum bhi game ishq ko, par ab
Daikha, to kam huai pah gam rozgar tha
—————————————————————————
18
Baskih dushwar hai her kaam ka asan hona
Admi ko bhi moyassar nahin insan hona
Girya chahai hai kharabi mere kashane ki
Dar-o-diwar se tapke hai biyaban hona
Waye deewanagiye shauq, ki her dam mujhko
Aap jana udhar, aap hi hairan hona
Jalwah az baski taqazai nigah karta hai
Jo her aiena bhi chahey hai masgan hona
Ishrat qatalgah ahle tamanna mat pooch
Eid nazzarah hai shadheer ka uryan hona
Ley gai khak mein hum dage tamannai nishat
To ho aur aap bah sad runge gulsitan hona
Ishrate parai dil, zakhme tamanna khana
Lazzate raishe jigar, garqe namkdan hona
Kee mere qatl ke bad, us ne jafa se tauba
Hai, us zoude pashiman ka pashabman hona!
Haif, us char girah kapde ki qismat ghalib!
Jis ki qismat mein ho aashiq ka gariban hona
—————————————————————————
19
Shab khumar shauq saqi rustakhir andaza tha
Ta muheete badah, soorat khanahe khamyazah tha
Yak qadam wahshat se dares daftr imkan khula
Jadaih ajzai do alam dasht ka shirazah tha
Mane wahshat kharami hai laila kaun hai
Khanai manon sahra gird be darwazah tha
Pooch mat rusqai andaze istegnaye husn
Dast mahoone hena, rukhsare rehan gazah tha
Nalai dil ne diye auraqe lakht dil be bad
Yadgare nalah, yak deewan be shirazah tha.
—————————————————————————
20
Dost, gam khuari mein meri saee farmawenge kaya
Zakham ke bharne talak nakhun na bad jainge kaya
Bai niyazi had se guzri, bandai parwer! kab talak
Hum kahenge hale dil aap farma denge kaya?
Hazrate naseh gar aawen, deda-o-dil farshe rah
Koi mujh ko ye to samjha do ki samjhawenge kaya
Aaj wa’n taig-o-kafan bandhe huai jata hon main
Uzar mere qatal kar ne woh ab lawenge kaya?
Gar gaya naseh ne hum ko qaid, achcha, yon sahi
Ye junone ishq ke andaz chut jawenge kaya?
Khanai zade zulf hain, zanjeer se bhagenge kiyon
Hain giraftare wafa, zindan se ghabrawenge kaya!
Hai ab is mamoorah mein qahte game ulfat, Asad
Hum ne mana dilli mein rahenge khawenge kaya
—————————————————————————
21
Ye na thi hamari qismat ki wsale yaar hota
Agar aur jete rahte, yahi intezar hota
Tere wade pe jiye hum, to yeh jaan jhoot jana
Ki khushi se mer na jate, agar atebar hota
Teri nazuki se jana ki badha tha ahead booda
Kabhi too na tod sakta agar ustwar hota
Koi mere dil se poche tere teere neem kash ko
Ye khlish kahan se hoti jo jigar ke par hota
Ye kahan ki dosti hai ki bane hain dost naseh
Koi charah saz hota, koi gamgusar hota
Rage sung se tapakta wo laho ki, phir na thamta
Jise gam samajh rahe ho, ye agar sharar hota
Gam agarche jaan gusal hai, pah kahan bachin ka dil hai
Game ishq gar na hota, game rozgar hota
Kahon kis se mein ki kaya hai, shbe gam buri bla hai
Mujhe kaya bura tha merna, agar eik bar hota
Huai mer ke hum jo ruswa, huai kion na garqe dariya
Na kabhi janazah uthta na kahin mazar hota
Use kaun daikh sakta ki ygana hai woh yakta
Jo doie ki bo bhi hoti to kahin dochar hota
Ye msaile tasuuf, ye tera bayane ghalib!
Tujhe hum wali samajhte, jo na badai khuar hota
—————————————————————————
22
Hawas ko hai nishate kar kaya
Na ho meran to jine ka mazah kaya hai
Tajahul paishgi se muddua kaya
Kahan tak ai srapa naz kaya kaya
Nwazishhaie be jaan daikhta hon
Shikayathai rangin ka gila hai
Nigahe be muhaba chahta hon
Tgaful haye tamkin azman kaya
Faroge sholai, khas, yak nafas hai
Hawas ko pas namose wafa kaya!
Nafas mauje muhite baikhudi hai
Tgaful haye saqi ka gila hai
Dimage etre pairahan nahin hai
Game awargi haye saba kaya
Dil her qatrah hai saze ana al baher
Hum uske hai hamara poochna kaya
Muhaba kaya hai zamin idhar daikh
Shidane nigah ka khoon baha kaya!
Sun ai gar tagre jinse wafa! Sun
Shikaste qeemat dil ki sada kaya
Kiya kis ne jigar dari ka dawa?
Shakeebe khatire asiq bhala kaya
Ye qatil, wadaye sabr azman kiyon?
Ye kafir fitnai taqat ruba kaya!
Balai jaan hai Ghalib us ki her bat
Ibarat kaya, asharat kaya, ada kaya
—————————————————————————
23
Dar khore qaher-o-gazab, jab koi hum sana hua
Phir galat kaya hai ki hum sa koi paida na hua
Bandagi mein bhi who azadah wo khud bin hai ki hum
Ulte phir aye, dare kaba agar wa na hua
Sab ko maqbool hai dawa teri yaktai ka
Robaro koi bute aiena seema na hua
Kam nahin nazish hunami chashm khoban
Tera bimar, bura kaya hai, gar achcha na hua
Seene ka dag hai, woh nalah kab tak na gaya
Khak rizq hai, woh qatrah ki dariya na hua
Nam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila
Kam mein mere hai, jo fitna ki barpa na hua
Her bine mo se dame zikr na tapke khonab
Hamzah ka qissa hua, ishq ka charcha na hua
Qatre mein dariya dikhai na de aur juzo mein kul!
Khail ladjon ka hua, dedai bena na hua
Thi khabar garm ki Ghalib ke udenge purze
Daikhne hum bhi gai thai, pa tamasha na hua
—————————————————————————
24
Asad! hum who junon jolan gadaye be sar-o-pa hai
Ki hai sar panjai masgan aho, puste khar apna
—————————————————————————
25
Pai nazrr karam tohfa hai sharme narsaie ka
Bakhon galteedai sad rung dawa parsaie ka
Na ho husne tamasha dost ruswa be wafaie ka
Bah mohre sad nazar sabit hai dawa parsaie ka
Zkate husn de ai jalwai benash !ki moher aasa
Chirage khanai darwesh ho, kasah khudaie ka
Na mara jan kar be jurm, gafil; teri gardan par
Raha maninde khoone be gunah, haq ashnaie ka
Tamannaye zaban mahwe sapase be zabani hai
Mita jis ne taqaza shikwai be dast-o- paie ka
Wahi ek bat jo yan nafs, nikhate gul hai
Chman ka jalwah, baies hai meri rungin nwaie ka
Dahane her but paigarah jo zanjeer ruswaie
Adam tak bewafa! Charcha hai teri bai wafaie ka
Na de namein ko etna tool, Ghalib!mukhtasar likh de
Ki hasrat sanj hon, arze sitam haie judaie ka
—————————————————————————
26
Gar na andohe shabe furqate bayan ho jaiga
Be takalluf dage mah, mahere dahan ho jaiga
Zuhra gar shame hijr mein hota hai aab
Patawe mahtabe, seele khanma ho jaiga
Le to lon sote mein uske paun ka bosa magar
Aise baton se woh kafir badguman ho jai ga
Dil ko hum sarfe wafa samajhte thai, kaya maloom
Yane ye pahle hi nazre imtehan ho jaiga
Sab ke dil mein hai jagah jo to razi hua
Mujh pai goya ek zamana maherban ho jaiga
Gar nigahe germ farmati rahi taleeme zabt
Shaglah khas mein, jaise khoon rag mein nihan ho jaiga
Bag mein mujh ko na le ja warna mere hal par
Her gule tar, eik chashme khoon fishan ho jaiga
Wai ! ger mera tera insaf mahsar mein na ho
Ab talak to ye tawaqqo hai ki wan ho jaiga
Faieda kaya soch, aakhir to bhi dana hai Asad!
Dosti nadan ki hai, ji ka zeyan ho jaiga
—————————————————————————
27
Derde minnat kashe dawa na hua
Main na achcha hua bura na hua
Jama kerte ho kiyon raqeebon ko
Ek tamasha hua, gila na hua
Hum kahan kismat azmane jaein
To hi jab khanjar azma na hua
Kitne shiren hain tere lab ke raqeeb
Galiyan kha ke be maza na hua
Hai khabar geem un ke ane ki
Aaj hi ghar mein boriya na hua
Kaya woh namrood ki khudaie thi?
Bandagi mein mera bhala na hua
Jaan di, di huie usi ki thi
Haq to yon hai ki haq ada na hua
Zakhm gar dab gaya, laho na thama
Kaam gar ruk gaya, rawa na hua
Rahzani hai ki dil satani hai?
Le ke dil dil sitan rawa na hua
Kuch to padiye ki log kahte hain
“Aaj Ghalib gazak sara na hua”
—————————————————————————
28
Gila hai, shauq ko, dil mein bhi tangie ja ka
Guher mein maho hua iztarab dariya ka
Ye janta hon ki to aur pasuhkhe maktoob!
Magar sitamzadah zauq khamah farsa ka
Hena pai khizan hai, bahar agar hai yhi
Dwame kulfate khatir hai, aish duniya ka
Game firaq mein, takleef saire bag na do
Mujhe dimag nahi khanda haie bai ja ka
Hunooz mahramie husn ko tarasta hon
Kare hai her bune mo, kam chashme bena ka
Dil us ko pahle hi naaz-o-ada se dai baithe
Hamein dimag kahan husn ke taqaza ka!
Na kaih ki girya ba miqdare hasrate dil hai
Meri nigah mein hai jama wo khraj dariya ka
Falak ko daikh ke karta hon us ko yad Asad!
Jafa mein uski hai andaze kar ferfa ka
—————————————————————————
29
Qatrai mai, baski hairat se nafse parwer hua
Khate jame mai, saraser rishtai gauher hua
Aetebare ishq ki khana khrabi daikhna
Gair ne ki aah! laikin woh khafa mujh per hua
—————————————————————————
30
Jab ba raqreebe safer yar ne mahmil bandha
Tapishe shauq ne her zarre pe ek dil bandha
Ahle benash ne ba hairatkadai shokhiye naaz
Jauhare aiena ko totiye bismil bandha
Yas-o-ummeed ne yak arbadai maidan manga
Ujze himmat ne tilisme dile saiel bandha
Na bandhe tashnagiye shauq ke mazmon Ghalib!
Garche dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha
—————————————————————————
31
Main aur bazme mai yon tashna kam aon!
Gar main ne ki thi tauba, saqi ko kaya hua tha ?
Hai eik ter jismein dono chidey pade hain
Woh din gai ki apan dil se jigar juda tha
Darmandagi mein Ghalib! Kuch bin pade to janon
Jab rishtah be girah tha, nakhun girah kusha tha
—————————————————————————
32
Ghar hamara jo na rotey bhi to weran hota
Baher gar baher na hoat, to biyaban hota
Rangiye dil ka gila kaya, ye woh kafir dil hai
Ki agar tang na hota to parishan hota
Bad yak umre wara, bar to daita bare
Kash rizwan hi dariya ka darban hota!
—————————————————————————
33
Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hoata
Duboya mujh ko hone ne, na hota main to kaya hoata!
Hua jab gam se yon bahees, to gam kaya ser ke katne ka
Na hota gar juda tan se, to zano per dhra hota
Huye muddat ki Ghalib mer gaya, per yad aata hai
Who her ek bat pe kahna ki yon hota to kaya hota?
—————————————————————————
34
Yak zarrai zameen nahin bakar bag hai
Yan jadah bhi, fatila hai lale ke dag ka
Be mai, kise hai taqate ashobe agahi
Khinch hai ajze hauslah ne khat iyag ka
Bulbul ke karobar pe hai khandhai gul
Kahte hai jis ko ishq khlal hai dimag ka
Tazah nhin hai nashshai fikre sukhan mujhe
Tiyakiye qadeem hon dode chirag ka
Sau bar bande ishq se azad hum huai
Per kaya karien dil hi ado hai frag ka
Be khoone dil, hai chashm mein mauje nigah gubar
Ye maikadah khrab hai main ke surag ka
Bage saguftah tera bisate nishate dil
Abre bahar, khumkadah kis ke dimag ka!
—————————————————————————
35
Woh meri chaine jabeen se game pinhan samjha
Raze maktob bah be rabti unwan samjha
Yak ulfat baish nahin saiqale aiena hunoz
Chak karta hon, main jab se gariban samjha
Sherhe asbabe giraftari khtir mat pooch
Is qadar tang hua dil ki main zindansamjha
Badgumani ne chaha use ser germe khram
Rukh oe her qatrah araq dedai hairan samjha
Ajz se apne ye jana ki woh bad kho hoga
Nabze khas se tapishe shola sozan samjha
Safre ishq mein ki zof ne rahat talabi
Her qadam saie komain apne shabistan samjha
Tha gurezan masrai ya rse dil ta dame maerg
Dafye paikane fiza is qadar asan samjha
Dil diya jan ke kiyon us ko wafadar asad!
Galti ki kih jo kafir ko musalman samjha
—————————————————————————
36
Phir mujhe dedai ter yad aya
Dil jigar tashnai feryad aya
Dam liya tha na qayamat ne hunoz
Phir tera waqte safer yad aya
Sadgi haye tamanna, yanee
Phir woh nirunge nazar yad aya
uzro amadgi ai dil!
Nalah kareta tha jigar yad aya
Zindagi yon bhi guzar hi jati
Kiyon tera rahe guzar yad aya
Kaya hi rizwan se ladaee hogi
Ghar tera khuld mein gar yad aya
Aah woh jurate feryad kahan
Dil se tang ake jigar yad aya
Phir tere koche ko jata hai khayal
Dile gam gushtah magar yad aya
Koi werani si werani hai!
Dasht ko daikh ke gher yad aya
Main ne majnon pe ladakpan mein Asad!
Sung uthaya tha, kih ser yad aya
—————————————————————————
37
Huie takheer to kuch baise takheer bhi tha!
Aap ate the magar koi ana geer bhi tha!
Tum se baija hai mujhe apni tabahi ka gila
Us mein kuch shaibakhoobiye taqdeer bhi tha
To mujhe bhool gaya ho to pata batla doon
Kabhi fitrak mein tere koi nkhcheer bhi tha?
Qaid mein hai tere wahshi ko tere zulf ki yad
Han kuch ek runj giran bariye zanjee bhi tha
Bijli ek kond gaye ankhon ke agey to kaya!
Bat kerte, ki mein lub tashnai taqreer bhi tha
Usuf usko kahon, aur kuch na kahe khair huyee
Gar bigad baithey to main laiqe tazeer bhi tha
Daikh kar gair ko kiyon ho na kalaja thanda
Nalah karta tha wale, talibe taseer bhi tha
Paishe mein aib nhin, na ferhad ko nam
Hum hi aashaftah saron mein woh jawan meer bhi tha
Hum the marne ko khade pas nah aya na sahi
Akhir us shokh ke terkash mein koi teer bhi tha!
Pakde jate hai farishton ke likhe per nahaq
Admi koi hmara dame tahreer bhi tha
Raikhte ke tum ustad nahin ho Ghalib!
Kahte hain agle zamane mein koi meer bhi tha
—————————————————————————
38
Labe khushk der tashnagi murdgan
Ziyarat kadah hon dile azurdgan ka
Hama na umeedi, hama bad gumani
Main dil hon faraibewafa khurdgan ka
—————————————————————————
39
To dost kisi ka bhi sitam gar na hua tha
Auron pe hai woh zulm ki mujh per na hua tha
Choda mahe nakhshab ki trah daste qaza ne
Khurseed hunooz uske braber na hua tha
Taufeeq bandazai himmat hai jhan azal se
Ankhon mein hai woh qatrah ki gauher na hua tha
Jab tak ki nah daikha tha qade yar ka alam
Main motaqide fitnai mahsher na hua tha
Mein sadah dil azurdagiye yar se khush hon
Yani sabqe shauq mukarraa na hua tah
Deryai muasi tutunuke aabi se hua khushk
Meira sare daman bhi abhi tter na hua tha
Jari thi, Asad! dage jigger se meri tahseel
Atashkadah, jageere samnder na hua tha
—————————————————————————
40
Shab kih woh majlis faroze khiwate namoos tha
Rishtai her shama khare kaswate fanoos tha
Mashhade aashiq se koson tak jo ugti hai hena
Kis qadar yarab !hlake hasrte paboos tha
Hasile ulfat na dikha, juz shikaste arzo
Dil bah dil paiwastah, goya yak labe afsos tha
Kaya kahon, bimari gam ki fragat ka bayan
Jo ki khaya khoone dil, be minnate kaimoos tha
—————————————————————————
41
Aiena daikh wo apna sa munh le ke rah gai
Sahab ko dil na daine pe kitana guroor tha
Qadid ko apne hath se gardan na mariye
Us ki khta nahin hai ye mera qusoor tha
—————————————————————————
42
Arze niyaz ishq ke qabil nahin raha
Jis dil pe naaz tha mujhe woh dil nahin raha
Jata dage hasrate hasti liye huai
Hon shamae kushtah, der khore mahfil nahin rha
Merne ki ai dil ! aur hi tadbeer ker ki main
Shayane dast-o- bazuai qatil nahin raha
Brooe shash jihat dare aiena baz hai
Yan imtiyaze naqis-o-kamil nahin raha
Wa ker diye hain shauq ne bnde neqabe husn
Gair az nigah, ab koi hail nahin raha
Go main raha raheene sitamhaye rozgar
Laikin tere khayal se gafil nahin raha
Dil se hawa ki kishte waea mit gayee wahan
Hasil sewai hasrate hasil nahin raha
Baidade ishq se nahin darta magar Asad!
Jis dil pe naaz tha mujhe who dil nahi raha
—————————————————————————
43
Rashk kahta hai ki, uska kagair se akhlas haif!
Aqal kahti hai hai ki, woh be muhre kis ka ashna!
Zarrah zarrah sagar maikhani neerung hai
Gardishe majnon bah chshmak haye lila ashna
Shauq hai saman ter az nazish arbab ajz
Zarrah sahra dast gah-o-qaterah dariya ashna
Mein aur eik afat ka tukda woh dil wahshi kih hai
Aafiyat ka dushman aur awargi ka ashan
Shikwah sanj rashk hum deegar nah rahna chahiye
Mera azano monis aur aienai tera ashan
Kohan naqash yak tamsal sheerin tha, Asad!
Sung se ser mar kar, huai na paida ashna
—————————————————————————
44
Zikr us pari wash ka, aur phir bayan apna
Man gaya raqeeb aakhir, tha jo razdan apna
Mai woh kiyon bazm gair mein yarab!
Aaj hi un ko hua manzoor un ko imtehan apna
Manzar ek bulandi par aur hum bna sakte
Arhs se edhar hota, kash ke mkan apna!
De who jis qadar jillat hum hansi mein talenge
Bare ashna nikla, unka pasban apna
Derde likhon kab tak jaon un ko dikhla don
Ungliyan figar apni, khamah khonchkan apna
Ghiste ghiste mit jata, ap ne abas badla
Nanuge sajdah se mere sung aastan apna
Ta kare na gammazi, kar liya hai dushman ko
Dost ki shikyat mein hum ne humzuban apna
Hum khan ke dana the, kis hunar meim yakta they
Be sabbab hua Ghalib dushman asman apna
—————————————————————————
45
Surmai mufte nazar hon, meri qismat hai yahi
Ki rahai chashme kharidar pe ahsan mera
Rukhsate nalah mujhe de ki mubada zalim!
Tere chehre se ho zahir game pinhan mera
—————————————————————————
46
Gafil, bah wahem naaz khud ara hai warna yan
Be shanai saba nahin turrah giyah ka
Bazme qdah se aish tamanna na rakh ki rung
Said zadam jastah hai is damgah ka
Rahmat agar qabool kare, kaya baeed hai
Sharmindagi se uzr na karna gunah ka
Maqtal ko kis nigah se jata hon mein ki hai
Pur gul khaiale zakham se daman nigah ka
Jaan dar hawai yak nigah garam hai, Asad!
Parwanah hai wakeel tere dad khuah ka
—————————————————————————
47
jaur se baz ayeper baz aiem kaya!
Kahte hain, hum tujh ko munh dikhai kaya
Rat din gardish mein hain sat aasma
Ho rahe ga kuch na kuch, ghabraein kaya!
Lag ho, usko hum samjhein ge lagau
Jab na ho kuch bhi, to dhoka khaein kaya
Ho liye kiyon namah bar ke sath sath
Yaa rab! Apne khat ko hum pahonchaein kaya!
Mauje khoon ser se guzer hi kiyon na jaay
Aastane yaar se uth jaein kaya!
Umr bher daikha kiya merne ki raah
Mer gai phir daikhiye dikhlayen kaya!
Poochte hai woh ki, Ghalib kaun hain?
Koi batlawe ki hum batlaein kaya!
—————————————————————————
48
Latafat be ksafat jalwah paida ker nhin sakti
Chaman, zangar hai aeinai bade bahari ka
Harrefe joshishe dariya, nahin khuddar-e-sahil
Jo saqi ho to, batil hai dawa hoshiyari ka
—————————————————————————
49
Ishrate qatrah hai, dariya mein fana ho jana
Derd ka had se guzarna hai dawa ho jana
Tujh se qismat mein reri soorate qafle abjad
Tha likha, baat ke bante hi juda ho jana
Dil hua kash makash charai zahmat mein tamam
Mit gaya ghisne mein is uqdey ka wa ho jana
Ab jafa se bhi hain mahroom hum allah allah!
Is qader dushmane arbabe wafa ho jana!
Zof se giryah mubaddil bah dam serd hawa
Bawer aaya hamein pani ka hawa ho jana
Dil se mitna teri angusht hinaee ka khayal
Ho gaya gosht se nakhun ka zuda ho jana
Hai mujhe abre bahari ka baras ker khulna
Rote rote game furqat mein fana ho jana
Gar nahin nikhate gul ko tere koche ki hawas
Kiyon hai girde rahe jolane saba ho jana
Bakhshe hain jalwai gul joshe tamasha Ghalib!
Chashm ko chahiye her rang mein wa ho jana
Taki tujh per khule ajaz hawai saiqal
Daikh bersatmein sabz aiene ka ho jana
—————————————————————————
50
Phir hua waqt ki ho bal kusha mauj-e-shrab
De bate mai ko dil-o-doste shana, mauj-e-shrab
Pooch mat wajhe seeyah masti arbabe chaman
Sayai taak mein hoti hai mauj-e-shrab
Jo hua gurqai mai, bakhte rasa rakhta hai
Ser se guzre bhi yeh bal huma mauj-e-shrab
Hai yeh barsat woh maosam ki ajab kaya hai agar
Mauje hasti ko, faize hawa mauj-e-shrab
Char mauj uthti hai toofan-e-tarabse her soo
Mauj-e-gul, mauj-e-shafaq, mauj-e-saba, mauj-e-bahar
Jisqadar rooh nabati hai jigar tashanai naaz
De hai taskee’n ba dam aabe baqa mauje shrab
Baski daudey hai rag-e-tak mein khoon hoho ker
Shahpar-e-rung se hai bal kusha mauj-e-shrab
Maujai gul se chiraqgan hai guzar gah-e-khayal
Hai tasauor mein zabis jalwah numa mauj-e-shrab
Nashe ke perde mein hai mahwe tamashai dimag
Baski rakhti hai sere nash-o-hum mauj-e-shrab
Eik alam pe hai toofani kaifiyat fasal
Maujai sanzai hasti hai zahe mausame gul!
Rahbare qatrah badariya hai, khusha mauj-e-shrab!
Hosh udte hain mere jalwai gul daikh Asad!
Phir hua waqt ki ho bal kusha mauj-e-shrab
—————————————————————————
51
Afsos ki dedan ka kaya rizq falak ne
Jin logon ki thi der khoore aqde guher angush
Kafi hai nishani tere challe ka daina
Khali mujhe dikhla ke bwaqt-e-safer angusht
Likhta hon Asad! sozish-e-dil se sukhan-e-germ
Ta rakh na sake koie mere herf per angusht
—————————————————————————
52
Rha ger koi ta qyamat slamat
Phir ek roz merna hai hazrat slamat!
Jigar ko mere, ishq khonaba mashrab
Likhe hain khudawand namat!slamat
Aler ragm-e-dushman shheed-e-wafa hon
Mubarak mubarak slamat slamat
Nahin ger ser-o-berg edrak mani
Tmashai neerung-e-soorat slamat
—————————————————————————
53
mun gaien kholte hi kholte ankhein Ghalib!
Yar laye meri balin pe use phir kis waqt
—————————————————————————
54
Amade khat se hua hai serd jo bazare dost
Doode shama kushtah tha, shayed khte rukhsare dost
Ai dile na aqibqt andaish !zabte shauq ker
Kaun la sakta hai tabe jalwai dedare dost
Khanai weran sazi-e-hairat tmasha kijiye
Soorate naqshe qadam, hon raftai raftare dost
Ishq mein badae rashke gair ne mara mujhe
Kushtai dushman hon akhir, ger che tha bemare dost
Chashme ma raushan, ki us baiderd ka dilshad hai
Dedai pur khoon hamara, sagare sershar dost
QAF
Gair yon karta hai meri pursish, us ke hijr mein
Bai takalluf dot ho jaide koi gamkhuare dost
Taki main janon ki uski rasaie wan talak
Mujh ko daita hai payame wadai deedare dost
Jab ki main kerta honapna shikwai zofe dimag
Ser kare hai who hadeese zulf anber bare dost
Chupke chupke mujh ko rote daikh pata hai, ager
Hans ke karta hai bayan shokhiye guftare dost
Mehr bani haye dushma ki shikayt kijiye
Yan byan kijiye sapase lazzate azare dost
Ye gazal apni mujhe ji se pasan ati hai aap
Hai radeefe shair mein, Ghalib!az bas takrare dost
—————————————————————————
55
Gulshan mein band-o-bast brunge digger hai aaj
Qumri ka tauq, halqai bairoon der hai aaj
Aata hai ek parai dil her fugan ke sath
Tare nafas, kmnde shikare aser hai aaj
Ai afiyt kinarah ker, ai intezam chel
Sailabe giryah derpai deewr-o-der hai aaj
—————————————————————————
56
lo hum mareeze ishq ke beemar dar hain
achcha agar na ho to masseha ka kaya ilaj
—————————————————————————
57
Nafs na anjumane arzo se baher kheench
Agar shrab nhin, intezare sagat kheench
Kmal-e-germi saee tlashe deeda na pooch
Barung khar mere aiene se jauher kheench
Tujhe bhanai rahat hai intezar ai dil
Kiya hai kis ne isharah ki naaze bister kheenh
Teri taraf ai ba hasrat nazarai nergis
Bah kori dil-o-chashm raqeebe sagar kheench
Ba neem gamzah ada ker haqe wadeate naaz
Neyam perdai zakhme jigar se khanjer kheench
Mere qdah mein hai sohbai atashe pinhan
Barooye safrah kbabe dil-e-sikender kheench
—————————————————————————
58
Husn, gamze ki kshakash se chuta mere bad
Bare aram se hain ahle jafa mere bad
Mansabe saiftagi ke koi qabil na raha
Huie mazolie andaz-o-ada mere bad
Shama bujhti hai to usmein se dhuan uthta hai
Sholai ishqe seeh posh hua mere bad
Khon hai dil ahwale butan per yani
Un ke nakhun huai muhtaj hena mere bad
Der khore arz nhin johare baidad ko ja
Nigahe naaz hai surmein se khafa mere bad
Hai junon ahle juno ke liye agoshe wida
Chak hota hai gariban se juda mere bad
Kaun hota hai hareefe mai murda figane ishq
Hai maker labe saqi pe sela mere bad
Gam se merta hon ki etna nhin duniya mein koi
Ki kare taziyat mahr-o-wafa mere bad
Aaye hai baikasiye ishq pe roona Ghalib!
Kis ke gher jaye ga sailabe bla mere bad
—————————————————————————
59
Bla se hain jo ye pashe nazar der-o-deewar
Nigahe shauq kjo hain bal-o-per, der-o-dewar
Wafoore ashk ne kashane kakiya yeh rung
Ki ho gai mere dewa-o-der, der-o-deewar
Nahin hai saya, ki sun ker nawaide maqdme yaar
Gai hain chand qadam badhter der-o-deewar
Huyee hai kis qaderarzani mai jalwah
Ki mast hai tere koche mein der-o-deewar
Jo hai tujhe sare sauday intezar to aa
Ki hai n dokane mtaye nazar der-o-deewar
Hujoome girya ka saman kab kiya mai ne
Ki gir padey na mere paon per der-o-deewar
Who aa raha hai mere sai se to hum sai mein
Huai fida der-o-deewar per der-o-deewar
Nazar mein khatke hai bin tere gher ki abadi
Hamaishah rote hain hum daikh ker der-o-deewar
Na pooch baikhudi aishe muqadme sailab
Ki nachte hai pade ser ba ser der-o-deear
Na kah kisi se ki Ghalib, nahin zamane mein
Haree raze muhbbat, , magar der-o-deewar
—————————————————————————
60
Gher jab bana liya tere derb per kahe bagair
Jane ga ab bhi too na mera gher, kahe bagair
Kahte hain, jab rahi na mujhe taqate sukhan
Janon kisi ke dil ki main kiyon ker kahe bagair
Kam uska aa pada hai ki jis ka jhan mein
Laiwey na koi nam sitamger kahe bagair
Ji mein hi kuch nahin hai hamare, wagerna hum
Ser jaei yaar hai, na rahein per kahe bagair
Chodonga main na us bute kafir ka poojna
Chodey na khalq go mujhekafir kahe bagair
Maqsad hai naaz-o-gamzah, wale guftagu mein kam
Chalta nahin, dashnah-o-khanjar kahe bagair
Bahra hon mein mujh ko chahiye dona hua iltefat
Sunta nahin hon bat mukarrer kiye bgair
Ghalib na ker huzoor mein too bar bar arz
Zahir hai tera haal sab un per kahe bagair
—————————————————————————