Yeh Tanveerullah Shakir Sahib Ka Likha Hua Ek Nihayat Hi Ruhani Aur Mashhoor Naat-E-Pak Hai Jo Dil Ko Emaan Ki Tapish Aur Sukoon Bakhshta Hai. Is Kalam Ke Har Misre Se Huzoor S.A.W Se Sachi Muhabbat Aur Madina Munawwara Ki Khushboo Jhalakti Hai. Chaliye Is Mukammal Naat Ke Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Script Mein Parhte Hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Unka Mangta Hon Jo Mangta Nahi Hone Dete |
| Poet / Writer | Tanveerullah Shakir |
| Category | Naat-e-Paak |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaaj Muhammad Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Unka Mangta Hon Jo Mangta Nahi Hone Dete Lyrics In Roman
Unka Mangta Hun Jo Mangta Nahi Hone Dete
Yeh Hawaale Mujhe Ruswa Nahi Hone Dete
Mere Har Aeib Ki Karte Hain Woh Parda Poshi
Mere Jurmoñ Ko Tamasha Nahi Hone Dete
Apne Mangtoñ Ki Fahrist Mein Rakhte Hain Mujhe
Mujh Ko Mohtaaj Kisi Ka Nahi Hone Dete
Baat Karta Hon To Aati Hai Mehak Taiyba Ki
Mere Lahje Ko Woh Maila Nahi Hone Dete
Hai Yeh Imaan Ke Ayeñge Lahad Mein Meri
Apne Mangtoñ Ko Woh Tanha Nahi Hone Dete
Mere Halaat Meri Jaan Ke Dushman Thehrey
Mujh Ko Didar E Madina Nahi Hone Dete
Aapki Naat Se Joban Hai Takhayyul Meiñ Mere
Faqr Tere Mujhe Boodha Nahi Hone Dete
Aap Ki Yaad Se Rahti Hai Nami Aañkhoñ Mein
Mere Daryaaoñ Ko Sahra Nahi Hone Dete
Hukm Karte Hain To Milte Hain Yeh Maqte Shakir
Aap Na Chaaheiñ To Matla Nahi Hone Dete
Unka Mangta Hon Jo Mangta Nahi Hone Dete Lyrics In Hindi
उनका मंगता हूँ जो मंगता नहीं होने देते
ये हवाले मुझे रुस्वा नहीं होने देते
मेरे हर ऐब की करते हैं वो पर्दा-पोशी
मेरे जुर्मों को तमाशा नहीं होने देते
अपने मंगतों की वो फ़हरिस्त में रखते हैं सदा
मुझ को मौहताज किसी का नहीं होने देते
बात करता हूँ तो आती है महक तयबा की
मेरे लहजे को वो मैला नहीं होने देते
है ये ईमान के आएँगे लहद में मेरी
अपने मँगतों को वो तन्हा नहीं होने देते
मेरे हालात मेरी जान के दुश्मन ठहरे
मुझको दीदार ए मदीना नहीं होने देते
आपकी नात से जोबन है तख़य्युल में मेरे
फ़क्र तेरे मुझे बूढ़ा नहीं होने देते
आप की याद से रहती है नमी आँखों में
मेरे दरियाओं को सहरा नहीं होने देते
हुक्म करते हैं तो मिलते हैं ये मक़्ते शाकिर
आप ना चाहें तो मतला नहीं होने देते
Unka Mangta Hon Jo Mangta Nahi Hone Dete Lyrics In Urdu
ان کا منگتا ہوں جو منگتا نہیں ہونے دیتے
یہ حوالے مجھے رسوا نہیں ہونے دیتے
میرے ہر عیب کی کرتے ہیں وہ پردہ پوشی
میرے جرموں کو تماشا نہیں ہونے دیتے
اپنے منگتوں کی فہرست میں رکھتے ہیں مجھے
مجھ کو محتاج کسی کا نہیں ہونے دیتے
بات کرتا ہوں تو آتی ہے مہک طیبہ کی
میرے لہجے کو وہ میلا نہیں ہونے دیتے
ہے یہ ایمان کے آئیں گے لحد میں میری
اپنے منگتوں کو وہ تنہا نہیں ہونے دیتے
میرے حالات مری جان کے دشمن ٹھہرے
مجھکو دیدارِ مدینہ نہیں ہونے دیتے
آپ کی نعت سے جوبن ہے تخیل میں میرے
فقر تیرو مجھے بوڑھا نہیں ہونے دیتے
آپ کی یاد سے رہتی ہے نمی آنکھوں میں
میرے دریاؤں کو صحرا نہیں ہونے دیتے
حکم کرتے ہیں تو ملتے ہیں یہ مقطعے شاکر
آپ نہ چاہیں تو مطلع نہیں ہونے دیتے