Tajdar-e-Haram Huzoor Ahmed-e-Mujtaba Sallallahu Alaihi Wasallam aur Panjatan-e-Paak ki bargah-e-ali me pesh kiya gaya ye nihayat hi roohani aur maqbool kalam hai. Is naat-o-manqabat me sarkar-e-jahan ki azmat aur unki ataon ka bayaan nihayat hi sheereen aur asardaar andaz me kiya gaya hai. Aaiye is pakiza kalam ke zariye sarkar-e-madina ki bargah me apni sachi aqeedat aur mohabbat ka nazrana pesh karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Raunaq-e-Zindagi Aap Hain Aap Hain |
| Poet / Writer | Sayyid Altaf Shah Kazmi |
| Category | Naat-e-Rasool ﷺ / Manqabat |
| Naatkhawan / Reciter | Milad Raza Qadri |
Naat Lyrics in Roman
Raunaq-e-Zindagi Aap Hain Aap Hain
Meri Saari Khushi Aap Hain Aap Hain
Kaun Hoga Imam-e-Saf-e-Ambiya
Bole Saare Nabi Aap Hain Aap Hain
Aas Meri Sar-e-Hashr Aur Qabr Mein
Pehli Aur Aakhiri Aap Hain Aap Hain
Mere Daaman Mein Zahra Ki Khairaat Hai
Kyun Ho Mujh Ko Kami, Aap Hain Aap Hain
Shah-e-Khaibar-Shikan Shaamil-e-Panjatan
Ya Ali Ya Ali! Aap Hain Aap Hain
Saari Duniya Mein Altaaf Ko Aabroo
Jin Ke Sadqe Mili, Aap Hain Aap Hain
Naat Lyrics in Hindi
रौनक़-ए-ज़िंदगी आप हैं आप हैं
मेरी सारी ख़ुशी आप हैं आप हैं
कौन होगा इमाम-ए-सफ़-ए-अंबिया
बोले सारे नबी आप हैं आप हैं
आस मेरी सर-ए-हश्र और क़ब्र में
पहली और आख़िरी आप हैं आप हैं
मेरे दामन में ज़हरा की ख़ैरात है
क्यूँ हो मुझ को कमी, आप हैं आप हैं
शाह-ए-ख़ैबर-शिकन शामिल-ए-पंजतन
या ‘अली या ‘अली ! आप हैं आप हैं
सारी दुनिया में अल्ताफ़ को आबरू
जिन के सदक़े मिली, आप हैं आप हैं
Naat Lyrics in Urdu
رونقِ زندگی آپ ہیں آپ ہیں
میری ساری خوشی آپ ہیں آپ ہیں
کون ہوگا امامِ صفِ انبیاء
بولے سارے نبی آپ ہیں آپ ہیں
آس میری سرِ حشر اور قبر میں
پہلی اور آخری آپ ہیں آپ ہیں
میرے دامن میں زہراؑ کی خیرات ہے
کیوں ہو مجھ کو کمی، آپ ہیں آپ ہیں
شاہِ خیبر شکن شاملِ پنجتن
یا علیؑ یا علیؑ! آپ ہیں آپ ہیں
ساری دنیا میں الطاف کو آبرو
جن کے صدقے ملی، آپ ہیں آپ ہیں