Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga
Ham Ko Sarkar Madine Me Bulana Hoga
Dard Mando Ko Bhi Seene Lagana Hoga
Jo Tadaptein Hain Gareebi Me Huzoori Ko Huzoor
Pas Unko Bhi Tumhe Apne Bulana Hoga
Ham Ne Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Mehfil Ko Sajana Hoga
Dekhna Phir Mere Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ana Hoga
Nat Likhta Hi Rahun Nat Me Padhta Hi Rahun
Khud Hi Bas Mere Jane Ka Thikana Hoga
Me To Unka Hun Gada Qabr Me Bhi Keh Duga
Nar E Dozakh Se Ye Bachne Ka Bahana Hoga
Tu Kyun Ghabraye Bhala Unka Sanakhwan Ho Kar
Hashr Tak Sath Tere Tera Hi Aqa Hoga
Aj Qadmon Me Beetha Kar Mujhe Izzat Bakhshi
Bad Marne K Bhi Qadmon Me Sulana Hoga
Tu Kyun Ghabraye Bhala Aley Mohammed Ho Kar
Hashr Tak Sath Tere Tera Hi Nana Hoga
Eid E Milad Ka Sadqa Hamein Eidi De Do
Aj Ham Sab Pe Bhi Eidi Ko Lutana Hoga
Do Ijazat Mujhe Bhi Laut K Ane Ki Shaha
Phir Mujhe Jald Hi Qadmon Me Bulana Hoga
Wasta Zehra O Hasnain O Ali Ka Tum Ko
Ranj O Gam Dard O Alam Sab K Meetana Hoga
Sayyed E Khasta Ki Hai Arzu Itni Aqa
Waqt E Rukhsat Bhi Tumhe Jalwa Dikhana Hoga