IK ME HI NAHI UN PAR QURBAN ZAMANA HE NAAT LYRICS

IK ME HI NAHI UN PAR QURBAN ZAMANA HE NAAT LYRICS

 

Ik Me Hi Nahi Un Par Qurban Zamaana He

Jo Rabe Do Aalam Ka Mahboob Yagana He

Kal Pul Se HaMe Jis Ne Khud Par Lagana He
Zahra Ka Woh Baba He Hasnain Ka Nana He

Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Me Waroon
Jo Husn O Shumail Me Yaktae Zamaana He

Izzat Se Na Marjeein Kyun Naam E Muhammad Par
Youn Bhi Kisi Din Hum Ne Duniya Se Toh Jana He

Yoon Shah E Madina Ki Me Pusht Panahi Me
Kiya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana He

Soh Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Herat
Bakhshih Ki Riweat Me Toba To Bahana He

Pur Noor Si Rahein Hen Gunbad Pe Nigahein He
Jalwey Bhi Anokhe Hen Manzar Bhi Suhana He

Yeh Keh Ke Dar E Haq Se Li Maut Me Kuch Mohlat
Milad Ki Aamad He Mehfil Ko Sajaana He

Aao Dar E Zahra Par Phalee Hue Daman
Yeh Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharaana He

Qurban Us Aaqa Per Kal Hashr Ke Din Jisne
Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Me Chupana He

Har Waqt Woh Hen Meri Duniya E Tasawar Me
Aie Shoq Kahin Ab To Aana He Na Jana He

Hum Kyun Na Kahein Unse Rodad E Alam Apni
Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Ne Mana He

Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar
Jaisa He Naseer Aakhir Sahil Toh Puraana He

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: