Ab Mere Nigahoon Mein Jachta Nahi Koi

Ab Mere Nigahoon Mein Jachta Nahi Koi

 

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Jaisay Mere Sarkar Hain Aisa Nahin Koyi

Tum Sa To Husin Aankh Ne Dekha Nahein Koi
Ye Shaane Latafat He Ke Sayaa Nahein Koyi

Ay Zarfe Nazar Dekh Maghar Dekh Adab Se
Sarkaar Ka Jalwoh He Tamashaa Nahein Ko’Ee

Ye Toor Se Kehtie He Abhi Tak Shabbe Me’Raj
Didaar Ki Taakat Ho To Parda Nahein Ko’Ee

I?Zaaz Ye Haasil He To Haasil He Zameen Ko
Aflaak Pe To Ghumbade Khazra Nahein Ko’Ee

Hota He Jahan Zikre Muhammad ﷺ Ke Karam Ka
Is Bazm Me Mehroome Tamanna Nahein Ko’Ee

Sarkaar Ki Rahmat Ne Maghar Koob Nawaaza
Ye Sach He Ke Khalid Sa Nikama Nahein Ko’Ee

Naat By Khalid Mahmood Khalid

 

अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई
जैसे मेरे सरकार हैं, ऐसा नहीं कोई

तुम सा तो हसीं आँख ने देखा नहीं कोई
ये शान-ए-लताफ़त है कि साया नहीं कोई

ए ज़र्फ़-ए-नज़र ! देख मगर देख अदब से
सरकार का जल्वा है, तमाशा नहीं कोई

ये तूर से कहती है अभी तक शब-ए-मे’राज
दीदार की ताक़त हो तो पर्दा नहीं कोई

होता है जहाँ ज़िक्र, मुहम्मद के करम का
उस बज़्म में महरूम-ए-तमन्ना नहीं कोई

ए’ज़ाज़ ये हासिल है तो हासिल है ज़मीं को
अफ़्लाक पे तो गुम्बद-ए-ख़ज़रा नहीं कोई

दरमान-ए-ग़म-ओ-दर्द, शिफ़ा-ए-दिल-ए-बीमार
जुज़ आप के, ए जान-ए-मसीहा ! नहीं कोई

सरकार की रहमत ने मगर ख़ूब नवाज़ा
ये सच है कि ख़ालिद सा निकम्मा नहीं कोई

शायर:
ख़ालिद महमूद ख़ालिद

नात-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment