Ya Nabi Ya Nabi Ka Wajifa Karo Naat Lyrics

Ya Nabi Ya Nabi Ka Wajifa Karo Naat Lyrics

 

Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo

Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi
Aayenge Tere Ghar Me Mere Mustafa
Teri Chamkegi Kismat Kabhi Na Kabhi
Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi
Sarbare Do Jaha Rab Ke Dildaar Ka
Dil Me Arma Hai Gar Unke Didar Ka
Aap Salle-ala Padh Ke So Ja Iye
Unki Hogi Jiyarat Kabhi Na Kabhi
Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi
Me Lahad Me Kahunga Nadeerain Se
Samne Se Hato Dekhne Do Mujhe
Rat Din Kah Rahi Thi Meri Zindagi
Inki Dekhenge Surat Kabhi Na Kabhi
Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi
Isme Ham Sunniyo Ko Koi Shak Nahi
Aur Ahle Raza Ko Hai Kamil Yaki
Zarra Bhar Jiske Dil Me Hai Ishke Nabi
Bo Bhi Jayenge Jannat Kabhi Na Kabhi
Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi
Pao(n) Maa Ka Dawana Tu Mat Chhodna
Unki Khidmat Se Hargij Na Muh Modna
Payari Maa Ki Duao(n) Ke Sadke Teri
Dur Hogi Musibat Kabhi Na Kabhi
Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi
Tere Sar Pe Balao Ka Tufan Hai
In Dino Tu Bahut Hi Pareshan Hai
Roz Kuraa(n) Ki Ghar Me Tilawat Karo
Bhag Jayegi Aafat Kabhi Na Kabhi
Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi

 

 

 

या नबी या नबी का वज़ीफ़ा करो
रंग लाएगी उल्फ़त कभी न कभी
आएँगे तेरे घर में मेरे मुस्तफ़ा
तेरी चमकेगी क़िस्मत कभी न कभी

सरवर-ए-दो-जहाँ रब के दिलदार का
दिल में अरमाँ है गर उन के दीदार का
आप सल्ले-‘अला पढ़ के सो जाइए
उन की होगी ज़ियारत कभी न कभी

इस में हम सुन्नियों को कोई शक नहीं
और अहल-ए-रज़ा को है कामिल यक़ीं
ज़र्रा-भर जिस के दिल में है ‘इश्क़-ए-नबी
वो भी जाएँगे जन्नत कभी न कभी

मैं लहद में कहूँगा नकीरैन से
सामने से हटो, देखने दो मुझे
रात-दिन कह रही थी मेरी ज़िंदगी
इन की देखेंगे सूरत कभी न कभी

पाँव माँ का दबाना तू मत छोड़ना
उन की ख़िदमत से हरगिज़ न मुँह मोड़ना
प्यारी माँ की दु’आओं के सदक़े तेरी
दूर होगी मुसीबत कभी न कभी

तेरे सर पे बलाओं का तूफ़ान है
इन दिनों तू बहुत ही परेशान है
रोज़ क़ुरआँ की घर में तिलावत करो
भाग जाएगी आफ़त कभी न कभी

शायर:
नदीम रज़ा फ़ैज़ी

ना’त-ख़्वाँ:
नदीम रज़ा फ़ैज़ी

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment