Hazrat Qutub Mahmood Suharwardi Karantawi Biography

Hazrat Qutub Mahmood Suharwardi Karantawi Biography

 

 

Hazrat Qutub Mahmood Suharwardi Karantawi rahmatullāhi alaihi :
****************

Aap ki wilaadat 647 Hijri (1249) me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaah Sulaimān bin Shaah Ali Sarmast rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nsal se hain.
****************
Aap ke daada Hazrat Shaah Ali Sarmast Sher sawaar rahmatullāhi alaihi Madeena munawwara se Shiraz aur alag alag jagaho sair o siyahat karte hue Gujarat ke Shaher Khambat me tashreef laae aur phir Dabhoi hote hue Patan tashreef laae.
Yaha ke Raaja ko koi aulaad nahi thi. Hazrat ki dua se Raja ke yaha ladke hua. Raja ne Aap ko in’aam dena chaaha to Hazrat ne ek Masjid ta’ameer karne ke liye farmaaya. Aap ke farmaan par Raaja ne ek Masjid ta’ameer ki, jo ‘Masjide Kaat’ k naam se mash’hoor hai.
*******************
Aap Patan se Karanta tashreef laaye aur yaha ke zaalim raaja se logo ko najaat dilaai.
Aur yahi par sukoonat ikhtiyaar karke logo ko ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
*******************
Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht rahmatullāhi alaihi akṡar alag alag maqaamaat ki sair o siyahat karte rehte the. Ek martaba jab Hazrat apne watana waapas tashreef laae to Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki Ziyarat se musharraf hue. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ke “Jalaal-ud-deen! Karanta jaao aur Qutub Mahmood se mulaaqaat karo.”
Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Karanta tashreef laae aur ek masjid me qayaam farmaaya. Hazrat Qutub Mahmood ko Hazrat ke aane ki khabar mili to Aap asr ke waqt me Hazrat se mulaaqaat ke liye aaye. Musaafa wa Muaaneka ke baad dono Buzurgo me baahum guftagu hui. Phir Hazrat Aap ko haath pakad kar Nadi ke kinaare tha le gae. Waha dono Buzurgo ne musalsal 40 roz tak Chilla kiya.
Ek raat Aap ko khwaab me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aur Chaaro Khulfa e raashideen ki ziyarat ki sa’adat haasil hui. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par Aap ne Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht se Bai’at ki.
****************
Aap Qutb-ul-Aqtaab the.
Aap Qutub aur Khateeb ke alqaab se mash’hoor hain.
****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ka nikaah Bibi Ummat-ur-Raoof binte Sayyed Zain-ud-deen se hua.
Aap ke 3 saahabzaade hain :
(1) Qutub Ibrāheem,
(2) Qutub Husain,
(3) Qutub Mohammad (Ahmedabad)
****************
Aap Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
****************
Aap ka wisaal 5 Ramazaan 758 Hijri ko 111 saal ki umr me hua.
Aap ka urs 24-25 Sha’abaan ko manaaya jaata hai.
Aap ka mazaar (Karanta, Gujarat) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Qutub Mahmood Suharwardi Karantawi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment