Hazrat Allama Maulana Hidaayatullah Khan Rampuri Biography

Hazrat Allama Maulana Hidaayatullah Khan Rampuri Biography

 

Hazrat Allama Maulana Hidaayatullāh Khan Rampuri rahmatullāhi alaihi :

—————–
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ustaad-ul-Asaatiza.
****************
Aap ki wilaadat Rampur me hui.
Aap ka aabaai watan Swat tha.
Aap ke waalid ka naam Maulwi Rafi’ullāh Khan Rampuri hai.
****************
Aap ne ibtidaai ta’aleem apne waalid se haasil ki.
Phir Maulana Haafiz Ghulaam Ali se Sarf aur Nahaw ki, Maulana Jalaal-ud-deen al-Matufi se Mantiq ki aur Maulana Ghulaam Ali Naginawi al-Matufi se Hadeeṡ ta’aleem haasil ki.
Allama Fazle Haq Khairabadi Rampur ke daure par tashreef laaye to un se mulaaqaat ke baad Hazrat ki sohbat me rehkar uloom o funoon ki ta’aleem haasil ki.
Aap Hazrat ke aise moataqid the ke har waqt Hazrat ki khidmat me rehte. Delhi, Alwar aur deegar maqaamaat par Hazrat ke saath saath rahe.
*****************
1273 Hijri (1857 A.D.) me Allama Fazle Haq Khairabadi ne Angrezo ke khilaaf Jihaad ke muta’aaliq fatawa jaari kiya.
1857 A.D. ke gadar ke nakaam hone ke baad 30 January 1859 A.D. me Angrez hukoomat ne Hazrat ko girftaar kiya. Muqadama chalaane ke baad Awadh ki adaalat ne Hazrat ko Kaala-paani (Cellular Jail) ki saza sunaai. Rabi ul awwal 1276 Hijri (8 October 1859 A.D.) ko un ko umr qaid ke liye Andaman bhej diya gaya.
Is ke baad Aap maghmoon apne watan waapas aaye aur Madrasa me Mudarris ki zimmedaari sambhali.
1287 Hijri (1870 A.D.) me Jaunpur tashreef laaye aur Madrasa Hanafiya me Sadr-ul-Mudarriseen bane aur ta’aleem wa tadrees farmaate rahe. Mukhtalif maqaamaat se kaṡeer ta’adaad me taalibaane ilm Aap se ta’aleem haasil karne ke liye aane lage. Aap apne shaagirdo par nihaayat shafeeq the.
Aap ke mash’hoor shaagird :
Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Mufti Amjad Ali Aazami,
Hazrat Maulana Muhammad Siddeeq,
Hazrat Allama Maulana Sayyed Sulaimān Ashraf Bihari,
Hazrat Khwaja Misbaah-ul-Hasan Chishti Phaphundi,
Hazrat Allama Hakeem Sayyed Barkaat Ahmad Tonki,
Hazrat Maulana Abdus Salaam Niyaazi Dehlawi,
Hazrat Maulana Sayyed Ali Matufi.
****************
Aap Jaami’ Ma’aqulaat wa Manqulaat the.
Aap ne Wahaabi firqe ko radd karke daleelen pesh ki.
1300 Hijri me Murshidabad (Bengal) me Ghair Muqallid Abdul Azeez Raheemabadi ka muaqaabala karke Mazhabe Hanafi nusrat wa himaayat farmai.
1318 Hijri me Patna me mun’aqid Majlise Ulama e Ahle Sunnat ke jalse me shareek hue.
****************
Aap Hazrat Shaah Chhote Miyan Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed hain.
Hazrat Allama Fazl-e-Haq Khairabadi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai hai.
****************
Aap ka wisaal 5 Ramazaan 1326 Hijri (1908 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Rashidabad, Jaunpur (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Allama Maulana Hidaayatullāh Khan Rampuri rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment