Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Shahar Ki Azmat Par Mabni Yeh Ek Intehaye Pyari Naat E Paak Hai.
Is Khoobsurat Kalam Ko Raaz Ilahabadi Ne Tehreer Farmaya Hai Aur Ise Saqlain Rashid Ne Apni Awaz Di Hai.
Aaiye Is Roohani Kalam Ko Padh Kar Apne Quloob Munawwar Karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Kyon Aake Ro Raha Hai Muhammad Ke Shahar Me |
| Poet / Writer | Raaz Ilahabadi |
| Category | Naat-E-Paak |
| Naatkhawan / Reciter | Saqlain Rashid |
| Book Name | Unknown |
Kyon Aake Ro Raha Hai Muhammad Ke Shahar Me Lyrics In Roman
Kyon Aake Ro Raha Hai Muhammad Ke Shahar Me
Har Dard Ki Dawa Hai Muhammad Ke Shahar Me
Qadmon Ne Unke Khaak Ko Kundan Bana Diya
Mitti Bhi Keemiya Hai Muhammad Ke Shahar Me
Sadqa Luta Raha Hai Khuda Unke Naam Ka
Sona Nikal Raha Hai Muhammad Ke Shahar Me
Sab To Jhuke Hein Khaana-E-Kaaba Ke Saamne
Kaaba Jhuka Hua Hai Muhammad Ke Shahar Me
Ey Mout Abhi Aake Galey Se Laga Mujhe
Marna Mai Chahta Hun Muhammad Ke Shahar Me
Ey Raaz Garche Hind Me Moujood Hun Magar
Dil Naat Pad Raha Hai Muhammad Ke Shahar Me
Kyon Aake Ro Raha Hai Muhammad Ke Shahar Me Lyrics In Hindi
क्यों आके रो रहा है मुह़म्मद के शहर में
हर दर्द की दवा है मुह़म्मद के शहर में
क़दमों ने उनके ख़ाक को कुन्दन बना दिया
मिट्टी भी कीमिया है मुह़म्मद के शहर में
सदक़ा लुटा रहा है खुदा उनके नाम का
सोना निकल रहा है मुह़म्मद के शह़र में
सब तो झुके हैं ख़ानए काबा के सामने
काबा झुका हुआ है मुह़म्मद के शहर में
ऐ मौत अभी आके गले से लगा मुझे
मरना मैं चाहता हूं मुह़म्मद के शहर में
ऐ राज़ गरचे हिन्द में मौजूद हूं मगर
दिल नात पढ़ रहा है मुह़म्मद के शहर में
Kyon Aake Ro Raha Hai Muhammad Ke Shahar Me Lyrics In Urdu
کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں
ہر درد کی دوا ہے محمد کے شہر میں
قدموں نے ان کے خاک کو کندن بنا دیا
مٹی بھی کیمیا ہے محمد کے شہر میں
صدقہ لٹا رہا ہے خدا ان کے نام کا
سونا نکل رہا ہے محمد کے شہر میں
سب تو جھکے ہیں خانہ کعبہ کے سامنے
کعبہ جھکا ہوا ہے محمد کے شہر میں
اے موت ابھی آکے گلے سے لگا مجھے
مرنا میں چاہتا ہوں محمد کے شہر میں
اے راز گرچہ ہند میں موجود ہوں مگر
دل نعت پڑھ رہا ہے محمد کے شہر میں