Ye Pyari Naat Sharif Huzoor Nabi E Kareem Ki Shan E Mubarak Aur Un Ki Be-Mishal Azmat Par Mabni Hai. Is Kalame Pak Mein Kamli Wale Aqa Ki Shan, Sabz Gumbad Ki Barkat Aur Un Ki Bargaah Ki Sakhawat Ka Pyara Zikr Hai. Is Khubsurat Naat Ko Padhiye Aur Bazaat E Khud Apne Dil Ko Anware Mustafa Se Munawwar Kijiye.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Mere Kamli Waale Ki Shaan He Niraali Hai |
| Poet / Writer | Raaz Illahabadi |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Farhan Ali Waris |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Mere Kamli Waale Ki Shaan He Niraali Hai Lyrics In Roman
Mere Kamli Waale Ki Shaan He Niraali Hai
Do Jahan Ke Data Hein Aur Haath Khaali Hai
Khuld Jisko Kahate Hein Yaa’ni Dekhi Bhaali Hai
Sabz Sabz Gumbad Hai Aur Sunahari Jaali Hai
Chhaao Mahki Mahki Hai Dhoop Thandi Thandi Hai
Shahrey Mustafa Teri Baat He Niraali Hai
Chand Ki Tarah Unko Hum Kahen To Mujrim Hein
Kyonki Unki Choukhat Par Chand Khud Suwaali Hai
Uske Laakh Sajde Bhi Kaam Aa Nahi Sakte
Azmatey Muhammad Se Qalb Jiska Khaali Hai
Hum Gunah-Gaaron Ko Rab Se Bakhshwa Lenge
Unke Rab Ne Kab Unki Koi Baat Taali Hai
Sar Zaminey Kaaba Bhi Sar Zameeney Taiba Bhi
Ye Bhi Noor Waali Hai Wah Bhi Noor Waali Hai
Umr Bhar Ke Sajdon Ke Daagh Hein Jabeeno Par
Dil Tera Magar Najdi Noore Haq Se Khaali Hai
Aariz-E-Muhammad Se Gesu-E-Muhammad Tak
Sub’h Bhi Anokhi Hai Sham Bhi Niraali Hai
Roz Bheek Milti Hai Raaz Babe Rahmat Se
Daamne Talab Apna Kyon Kahoon Ki Khaali Hai
Mere Kamli Waale Ki Shaan He Niraali Hai Lyrics In Hindi
मेरे कमली वाले की शान ही निराली है
दो जहां के दाता हैं और हाथ ख़ाली है
खुल्द जिसको कहते हैं यानी देखी भाली है
सब्ज़ सब्ज़ गुम्बद है और सुनहरी जाली है
छांव महकी महकी है धूप ठन्डी ठन्डी है
शहरे मुस्तफ़ा तेरी बात ही निराली है
चांद की त़रह उनको हम कहें तो मुजरिम हैं
क्योंकि उनकी चौखट पर चांद खुद सवाली है
उसके लाख सज्दे भी काम आ नहीं सकते
अज़मते मुह़म्मद से क़ल्ब जिसका ख़ाली है
हम गुनाहगारों को रब से बख़्शवा लेंगे
उनके रब ने कब उनकी कोई बात टाली है
सर जमीनें कअ़बा भी सर ज़मीन तैबा भी
ये भी नूर वाली है वह भी नूर वाली है
उम्र भर के सज्दों के दाग़ हैं जबीनों पर
दिल तेरा मगर नज्दी नूरे हक़ से ख़ाली है
आरिज़े मुह़म्मद से गेसूए-मुह़म्मद तक
सुबह भी अनोखी है शाम भी निराली है
रोज़ भीक मिलती है राज़ बाबे रह़मत से
दामने तलब अपना क्यों कहूं कि ख़ाली है
Mere Kamli Waale Ki Shaan He Niraali Hai Lyrics In Urdu
میرے کملی والے کی شان ہی نرالی ہے
دو جہاں کے داتا ہیں اور ہاتھ خالی ہے
خلد جس کو کہتے ہیں یعنی دیکھی بھالی ہے
سبز سبز گنبد ہے اور سنہری جالی ہے
چھاؤں مہکی مہکی ہے دھوپ ٹھنڈی ٹھنڈی ہے
شہرِ مصطفیٰ تیری بات ہی نرالی ہے
چاند کی طرح ان کو ہم کہیں تو مجرم ہیں
کیونکہ ان کی چوکھٹ پر چاند خود سوالی ہے
اس کے لاکھ سجدے بھی کام آ نہیں سکتے
عظمتِ محمد سے قلب جس کا خالی ہے
ہم گنہگاروں کو رب سے بخشوا لیں گے
ان کے رب نے کب ان کی کوئی بات ٹالی ہے
سر زمینِ کعبہ بھی سر زمینِ طیبہ بھی
یہ بھی نور والی ہے وہ بھی نور والی ہے
عمر بھر کے سجدوں کے داغ ہیں جبینوں پر
دل تیرا مگر نجدی نورِ حق سے خالی ہے
عارضِ محمد سے گیسوئے محمد تک
صبح بھی انوکھی ہے شام بھی نرالی ہے
روز بھیک ملتی ہے راز بابِ رحمت سے
دامنِ طلب اپنا کیوں کہوں کہ خالی ہے