Sarkar-E-Do-Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan Mein Likha Gaya Yeh Nihayat Hi Khubsurat Aur Roohani Kalam Paish-E-Khidmat Hai. Is Pyare Kalam Mein Madina Ki Taraf Shauq Aur Huzoor Ke Jalwon Ka Bayan Intehai Dil-Soz Andaaz Mein Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Barkat Bhare Kalam Ko Padhein Aur Apne Dilon Ko Roshan Karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Na Baharein Na Hi Gulzaar |
| Poet / Writer | Sami |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Na Baharein Na Hi Gulzaar Lyrics In Roman
Na Baharein Na Hi Gulzaar Nazar Aate Hain
Jiss Taraf Dekh Lo Sarkar Sallallahu Alayhi Wa Sallam Nazar Aate Hain
Aaj Bik Jaun, Ke Yeh Mauka Na Ayega Kabhi
Aaj Woh Khud Hi Kharidaar Nazar Aate Hain
Aise Lagta Hai Mere Aaqa Sallallahu Alayhi Wa Sallam Challe Aate Hain
Raqs Karte Dar-O-Deewar Nazar Aate Hain
Ankh Se Ansoo Nahi, Sajde Gira Karte Hain
Jab Tere Gumbad-O-Minaar Nazar Aate Hain
Jis Ki Qismat Mein Ho Taiba Ki Galli Ke Phere
Woh Na Jannat Ke Tallabgaar Nazar Aate Hain
Aise Lagta Hai Mere Aaqa Sallallahu Alayhi Wa Sallam Challe Aate Hain
Wajd Karte Dar-O-Deewar Nazar Aate Hain
Qadmon Ka Kaam Hai Yeh Dagmaagate Hain
Dil To Gir Jaayein Jahaan Wahin Parre Rehte Hain
Unke Aane Ki Gharri Hai Woh Hain Aane Waale
Mere Sarkar Ki Mehfil Ko Hum Saajaye Hue Hain
Maine Meraj Ki Shab Baat Yeh Jaani Hai Sammi
Jo Ho Dilbar Unhein Dildaar Nazar Aate Hain
Na Baharein Na Hi Gulzaar Nazar Aate Hain
Jiss Taraf Dekh Lo Sarkar Nazar Aate Hain
Na Baharein Na Hi Gulzaar Lyrics In Hindi
न बहारें न ही गुलज़ार नज़र आते हैं
जिस तरफ देख लो सरकार (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) नज़र आते हैं
आज बिक जाऊँ, कि ये मौका न आयेगा कभी
आज वो खुद ही ख़रीदार नज़र आते हैं
ऐसे लगता है मेरे आक़ा (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) चले आते हैं
रक़्स करते दर-ओ-दीवार नज़र आते हैं
आँख से आँसू नहीं, सज्दे गिरा करते हैं
जब तेरे गुम्बद-ओ-मीनार नज़र आते हैं
जिस की क़िस्मत में हो तैबा की गली के फेरे
वो न जन्नत के तलबगार नज़र आते हैं
ऐसे लगता है मेरे आक़ा (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) चले आते हैं
वज्द करते दर-ओ-दीवार नज़र आते हैं
क़दमों का काम है ये डगमगाते हैं
दिल तो गिर जायें जहाँ वहीं पड़े रहते हैं
उनके आने की घड़ी है वो हैं आने वाले
मेरे सरकार की महफ़िल को हम सजाये हुए हैं
मैंने मेराज की शब बात ये जानी है समी
जो हो दिलबर उन्हें दिलदार नज़र आते हैं
न बहारें न ही गुलज़ार नज़र आते हैं
जिस तरफ देख लो सरकार नज़र आते हैं
Na Baharein Na Hi Gulzaar Lyrics In Urdu
نہ بہاریں نہ ہی گلزار نظر آتے ہیں
جس طرف دیکھ لو سرکارﷺ نظر آتے ہیں
آج بک جاؤں، کہ یہ موقع نہ آئے گا کبھی
آج وہ خود ہی خریدار نظر آتے ہیں
ایسے لگتا ہے میرے آقاﷺ چلے آتے ہیں
رقص کرتے در و دیوار نظر آتے ہیں
آنکھ سے آنسو نہیں، سجدے گرا کرتے ہیں
جب تیرے گنبد و مینار نظر آتے ہیں
جس کی قسمت میں ہو طیبہ کی گلی کے پھیرے
وہ نہ جنت کے طلب گار نظر آتے ہیں
ایسے لگتا ہے میرے آقاﷺ چلے آتے ہیں
وجد کرتے در و دیوار نظر آتے ہیں
قدموں کا کام ہے یہ ڈگمگاتے ہیں
دل تو گر جائیں جہاں وہیں پڑے رہتے ہیں
ان کے آنے کی گھڑی ہے وہ ہیں آنے والے
میرے سرکار کی محفل کو ہم سجائے ہوئے ہیں
میں نے معراج کی شب بات یہ جانی ہے سمیع
جو ہو دلبر انہیں دلدار نظر آتے ہیں
نہ بہاریں نہ ہی گلزار نظر آتے ہیں
جس طرف دیکھ لو سرکار نظر آتے ہیں