Khuda Mehshar Mein Puchhega Guzari Zindagi Kaisi
Khuda Mahshar MeN Poochhega, Guzaari Zindagi Kaisi
Laraz Uthunga MaiN Aur Khauf Hoga Mujh Pe Tab Taari
Mujhe Bhi Maut Aani Hai Magar MaiN Is Se Gaafil Tha
Mera Jeevan Bhi Faani Hai Magar MaiN Is Se Gaafil Tha
Kafan Baazaar MeN Aa Bhi Chuka Lekin MaiN Gaafil Tha
Meri Mayyat Ka Takhta Bhi Bana Lekin MaiN Gaafil Tha
Khuda Mahshar MeN Poochhega, Guzaari Zindagi Kaisi
Laraz Uthunga MaiN Aur Khauf Hoga Mujh Pe Tab Taari
MaiN Gaflat MeN Gunaah Karta Raha Afsos Lekin Ab
Magar Ab Koi Bhi Afsos Ka Banta NahiN Matlab
Mujhe Bhi Maut Lene Aa Gai Ab Kya Karunga MaiN
Andheri Qabr MeN Ab Kis Tarah Tanha Rahunga MaiN
Khuda Mahshar MeN Poochhega, Guzaari Zindagi Kaisi
Laraz Uthunga MaiN Aur Khauf Hoga Mujh Pe Tab Taari
Andheri Qabr MeN Mujh Ko Akela ChhoD Aaenge
YahaN Taaqat Na Daulat Na Ye Rishte Kaam Aaenge
Hisaab-E-Zindagi Dene Uthaaya Jaaega Mujh Ko
Khuda Ke Saamne Mahshar MeN Laaya Jaaega Mujh Ko
Khuda Mahshar MeN Poochhega, Guzaari Zindagi Kaisi
Laraz Uthunga MaiN Aur Khauf Hoga Mujh Pe Tab Taari
Khuda Poochhega, Batla ‘Ilm Par Kitna Raha ‘Aamil
KahaN Par Kharch Ki Tu Ne Ye Daulat Kaise Ki Haasil
Sawaal-E-Jism Bhi Hoga, Sawaal-E-Zindagi Hoga
Sawaal-E-‘Ilm Bhi Hoga, Sawaal-E-Bandagi Hoga
Khuda Mahshar MeN Poochhega, Guzaari Zindagi Kaisi
Laraz Uthunga MaiN Aur Khauf Hoga Mujh Pe Tab Taari
MaiN Kaise Saamna Kar Paaunga Rab Ke SawaaloN Ka
Chhupaaunga KahaN Rab Se ‘Amal-Naama GunaahoN Ka
Mere Aa’za Gawaahi Denge Khud Mere GunaahoN Ki
Mere Aa’za Gawaahi Denge Khud Meri KhataaoN Ki
Khuda Mahshar MeN Poochhega, Guzaari Zindagi Kaisi
Laraz Uthunga MaiN Aur Khauf Hoga Mujh Pe Tab Taari
Mere Maula ! WahaN Bas Tu Hi Mera Aasra Hoga
Mera Mushkil-Kusha Tere Siwa Na Doosra Hoga
WahaN Mumkin NahiN, Jaa’far ! PakaD Se Rab Ki Bach Paana
WahaN Mumkin NahiN, Jaa’far ! KahiN Jaa Kar Ke Chhup Jaana
Khuda Mahshar MeN Poochhega, Guzaari Zindagi Kaisi
Laraz Uthunga MaiN Aur Khauf Hoga Mujh Pe Tab Taari
Khuda Mehshar Mein Puchhega Guzari Zindagi Kaisi in Hindi
ख़ुदा महशर में पूछेगा, गुज़ारी ज़िंदगी कैसी
लरज़ उठूँगा मैं और ख़ौफ़ होगा मुझ पे तब तारी
मुझे भी मौत आनी है मगर मैं इस से ग़ाफ़िल था
मेरा जीवन भी फ़ानी है मगर मैं इस से ग़ाफ़िल था
कफ़न बाज़ार में आ भी चुका लेकिन मैं ग़ाफ़िल था
मेरी मय्यत का तख़्ता भी बना लेकिन मैं ग़ाफ़िल था
ख़ुदा महशर में पूछेगा, गुज़ारी ज़िंदगी कैसी
लरज़ उठूँगा मैं और ख़ौफ़ होगा मुझ पे तब तारी
मैं ग़फ़लत में गुनाह करता रहा अफ़सोस लेकिन अब
मगर अब कोई भी अफ़सोस का बनता नहीं मतलब
मुझे भी मौत लेने आ गई अब क्या करूँगा मैं
अँधेरी क़ब्र में अब किस तरह तनहा रहूँगा मैं
ख़ुदा महशर में पूछेगा, गुज़ारी ज़िंदगी कैसी
लरज़ उठूँगा मैं और ख़ौफ़ होगा मुझ पे तब तारी
अँधेरी क़ब्र में मुझ को अकेला छोड़ आएँगे
यहाँ ताक़त न दौलत ना ये रिश्ते काम आएँगे
हिसाब-ए-ज़िंदगी देने उठाया जाएगा मुझ को
ख़ुदा के सामने महशर में लाया जाएगा मुझ को
ख़ुदा महशर में पूछेगा, गुज़ारी ज़िंदगी कैसी
लरज़ उठूँगा मैं और ख़ौफ़ होगा मुझ पे तब तारी
ख़ुदा पूछेगा, बतला ‘इल्म पर कितना रहा ‘आमिल
कहाँ पर ख़र्च की तूने ये दौलत कैसे की हासिल
सवाल-ए-जिस्म भी होगा, सवाल-ए-ज़िंदगी होगा
सवाल-ए-‘इल्म भी होगा, सवाल-ए-बंदगी होगा
ख़ुदा महशर में पूछेगा, गुज़ारी ज़िंदगी कैसी
लरज़ उठूँगा मैं और ख़ौफ़ होगा मुझ पे तब तारी
मैं कैसे सामना कर पाऊँगा रब के सवालों का
छुपाऊँगा कहाँ रब से ‘अमल-नामा गुनाहों का
मेरे आ’ज़ा गवाही देंगे ख़ुद मेरे गुनाहों पर
मेरे आ’ज़ा गवाही देंगे ख़ुद मेरी ख़ताओं पर
ख़ुदा महशर में पूछेगा, गुज़ारी ज़िंदगी कैसी
लरज़ उठूँगा मैं और ख़ौफ़ होगा मुझ पे तब तारी
मेरे मौला ! वहाँ बस तू ही मेरा आसरा होगा
मेरा मुश्किल-कुशा तेरे सिवा न दूसरा होगा
वहाँ मुमकिन नहीं, जा’फ़र ! पकड़ से रब की बच पाना
वहाँ मुमकिन नहीं, जा’फ़र ! कहीं जा कर के छुप जाना
ख़ुदा महशर में पूछेगा, गुज़ारी ज़िंदगी कैसी
लरज़ उठूँगा मैं और ख़ौफ़ होगा मुझ पे तब तारी
- Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Fazile Barelvi
- Hazrat Khwaja Fareed-ud-deen Mas’ood Ganje-shakar Biography
- Hazrat Maulana Zia-ud-deen Ahmad Razawi Madani Biography
- Hazrat Ameer Hamza ibn Abdul Muttalib Biography
- Hazrat Mufti Amjad Ali Aazami Biography
- Hazrat Allama Maulana Hidaayatullah Khan Rampuri Biography
- Hazrat Qutub Mahmood Suharwardi Karantawi Biography
- Hazrat Abdullah ibn Mas’ood Biography
- Hazrat Khwaja Abu Ali Shafeeq al-Balkhi Biography