Ye Bil Yaqeen Hussain Hai Nabi Ka Noor-e-Ain Hai Lyrics
Ye Bil-Yaqee.N Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Husain Hi Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Libaas Hai Fata Huwa, Gubaar Me.N Ata Huwa
Tamaam Jism-E-Naaznee.N Chhida Huwa, Kata Huwa
Ye Kaun Zee-Waqaar Hai ! Bala Ka Shah-Sawaar Hai
Ki Hai Hazaaro.N Qaatilo.N Ke Saamne Data Huwa
Ye Bil-Yaqee.N Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Husain Hi Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Ye Kaun Haq-Parast Hai ? May-E-Riza-E-Mast Hai
Ki Jis Ke Saamne Koi Buland Hai Na Past Hai
Udhar Hazaar Ghaat Hai, Magar Ajeeb Baat Hai
Ki Ek Se Hazaar-Haa Ka Hausla Shikast Hai
Ye Bil-Yaqee.N Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Husain Hi Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Dilaawari Me.N Fard Hai, Ba.Da Hi Sheer-Mard Hai
Ki Jis Ke Dabdabe Se Rang Dushmano.N Ka Zard Hai
Habeeb-E-Mustafa Hai Ye, Mujaahid-E-Khuda Hai Ye
Jabhi To Is Ke Saamne Ye Fauj Gard-Bard Hai
Ye Bil-Yaqee.N Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Husain Hi Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Udhar Sipaah-E-Shaam Hai, Hazaar Intizaam Hai
Udhar Hai.N Dushmanaan-E-Dee.N, Idhar Faqat Imaam Hai
Magar Ajeeb Shaan Hai, Gazab Ki Aan-Baan Hai
Ki Jis Taraf Uthi Hai Teg Bas Khuda Ka Naam Hai
Ye Bil-Yaqee.N Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Husain Hi Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Ye Jis Ki Ek Zarb Se, Kamaal-E-Fann-E-Harb Se
Kai Shaqee Gire Hue Ta.Dap Rahe Hai.N Karb Se
Gazab Hai Teg-E-Do-Saraa, Ki Ek Ek Waar Par
Uthi Sada-E-Al-Amaa.N Zabaan-E-Sharq-O-Garb Se
Ye Bil-Yaqee.N Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Husain Hi Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
‘Aba Bhi Taar Taar Hai, To Jism Bhi Figaar Hai
Zameen Bhi Tapi Hui, Falak Bhi Sho’la-Baar Hai
Magar Ye Mard-E-Teg-Zan, Ye Saf-Shikan, Falak-Figan
Kamaal-E-Sabr-O-Tan-Dahi Se Mahw-E-Kaar-Zaar Hai
Ye Bil-Yaqee.N Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
Husain Hi Husain Hai, Nabi Ka Noor-E-‘Ain Hai
ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
लिबास है फटा हुवा, ग़ुबार में अटा हुवा
तमाम जिस्म-ए-नाज़नीं छिदा हुवा, कटा हुवा
ये कौन ज़ी-वक़ार है ! बला का शह-सवार है !
कि है हज़ारों क़ातिलों के सामने डटा हुवा
ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
ये कौन हक़-परस्त है ? मय-ए-रज़ा-ए-मस्त है
कि जिस के सामने कोई बुलंद है न पस्त है
उधर हज़ार घात है, मगर अजीब बात है
कि एक से हज़ार-हा का हौसला शिकस्त है
ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
दिलावरी में फ़र्द है, बड़ा ही शेर-मर्द है
कि जिस के दबदबे से रंग दुश्मनों का ज़र्द है
हबीब-ए-मुस्तफ़ा है ये, मुजाहिद-ए-ख़ुदा है ये
जभी तो इस के सामने ये फ़ौज गर्द-बर्द है
ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
उधर सिपाह-ए-शाम है, हज़ार इंतिज़ाम है
उधर हैं दुश्मनान-ए-दीं, इधर फ़क़त इमाम है
मगर अजीब शान है, ग़ज़ब की आन-बान है
कि जिस तरफ़ उठी है तेग़ बस ख़ुदा का नाम है
ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
ये जिस की एक ज़र्ब से, कमाल-ए-फ़न्न-ए-हर्ब से
कई शक़ी गिरे हुए तड़प रहे हैं कर्ब से
ग़ज़ब है तेग़-ए-दो-सरा, कि एक एक वार पर
उठी सदा-ए-अल-अमाँ ज़बान-ए-शर्क़-ओ-ग़र्ब से
ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
‘अबा भी तार तार है, तो जिस्म भी फ़िगार है
ज़मीन भी तपी हुई, फ़लक भी शो’ला-बार है
मगर ये मर्द-ए-तेग़-ज़न, ये सफ़-शिकन, फ़लक-फ़िगन
कमाल-ए-सब्र-ओ-तन-दही से महव-ए-कार-ज़ार है
ये बिल-यक़ीं हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
हुसैन ही हुसैन है, नबी का नूर-ए-‘ऐन है
The Harmonious Blend of Spirituality and Art: A Journey Through Naatkhawan.com
Learn to Read the Quran with Noorani Qaida: Your Guide to Perfect Pronunciation
Shab E Barat Ki Fazilat | Shab E Barat Ki Namaz | Faqeere Aalahazrat | 2023
Ramadan Kareem | Ramadan Kareem Ki Fazilat | Roza Chorne Ka Nuksaan | 2023
Eid Mubarak Bayan | Eid Mubarak Images | Wishes 2023
Namaz Ka Tarika | Step By Step With Tarjuma 2023 | Namaz Kaise Padhe
Durood e Ibrahim Sharif In Hindi English Urdu | Durood Sharif