Wazu karne ka tarika kya hai?

Wazu karne ka tarika kya hai?

 

 

KITAABUL AAMAAL:

WUZU KA BAYAN:

SAWAAL:  Wuzu karne ka tariqa kya hai ?

JAWAAB:  Wuzu karne ka tariqa yeh ki pehle tasmiya(Bismillah) padhe fir miswaak kare agar miswaak na ho toh ungli se daanth masle fir doono haatho ko gatton tak teen baar dhoye pehle dahine haath par paani daale fir baaye haath par doono haatho ko ek saat na dhoye fir dahine haath se teen baar kulli kare fir baaye haath ki choti ungli se naak saaf kare aur dahine haath se teen baar naak me paani chadhaaye fir poora chehra dhoye yaani peshani par baal ugne ki jagah se thuddi ke neeche tak aur ek kaan ki lou se dusre kaan ki lou tak har hisse par paani teen baar bahaye iske baad doono haath kohniyon sameth teen baar dhoye ungliyoun ki taraf se kohniyon ke upar tak paani daale kohniyon ki taraf se na daale fir ek baar doono haath se poore sar ka mas’a kare fir kaano ka aur gardan ka ek ek baar mas’a kare fir doono paawon ko takhno sameth teen baar dhoye.

SAWAAL:  Dhone ka kya matlab hai ?

JAWAB:  Dhone ka matlab ye hai ki jis cheez ko dhoowo uske har hisse par paani behjaaye.

SAWAAL:  Agar kuch hissa bheeg gaya magar uss par paani nahi baha toh Wuzu hoga ya nahi ?

JAWAAB:  Iss tarah Wuzu hargiz na hoga bheegne ke saat har hisse par paani behjaana zaruri hai.

SAWAAL:  Wuzu me kitni cheeze farz hai ?

JAWAAB:  Wuzu me chaar(4) cheeze farz hai, Awwal Muh dhona yaani baal nikalne ki jagah se thuddi ke neeche tak aur ek kaan ki lou se dusre kaan ki lou tak aur Dusra Kohniyon sameth doono haath dhona, Teesra Chouthayi sar ka mas’a karna bheega huwa haath pherna, Choutha doono paawon ko takhno sameth dhona.

SAWAAL:  Wuzu me sunnate kitni hai ?

JAWAAB:  Wuzu me sunnate solah(16) hai, Niyyath karna, Tasmiya padh kar shuru karna, Doono haatho ko gatton tak teen baar dhona, Miswaak karna, dahine haath se teen baar kulli karna, Dahine haath se teen baar naak saaf karna, Daadhi ka qilaal karna, Haath aur paawon ki ungliya ka qilaal karna, Har Aazah ko teen teen baar dhona, Poore sar ka ek baar mas’a karna, Kaano ka mas’a karna, Tarteeb se Wuzu karna, Daadhi ke jo baal muh ke dayare ke neeche hai unka mas’a karna, Aazah ko paidar pai dhona, har makruh baat se bachna.

SAWAAL:  Wuzu me kitni baate makruh hai ?

JAWAAB:  Wuzu me Ikkis(21) baate makruh hai. Aurat ke gusl ya Wuzu ke bache huwe paani se Wuzu karna, Wuzu ke liye najis jagah baithna, Najis jagah Wuzu ka paani giraana, Masjid ke andar Wuzu karna, Wuzu ka aaza se(Wuzu karna) Bartan me khatre tapkaana, Paani me reenth ya qhankar daalna, Qible ke taraf ki tarah thook ya qhankar daalna ya kulli karna, Bezarurat duniya ki baate karna, Zarurat se ziyada paani kharch karna, Paani iss qadar kam kharch karna ki sunnat adaa na ho, Muh par paani maarna, Muh par paani daalte waqt phunkna, Sirf ek haath se muh dhona, Gale ka mas’a karna, Baaye haath se kulli karna ya naak me paani daalna, Dahine haath se naak saaf karna, apne liye koi lota wagairah khaas kar lena, Teen naye paaniyoun se teen baar sar ka masah karna jis kapde se istinja ka paani khushk kiya ho usse aazaaye Wuzu pochna, Dhoop ke garm pani se Wuzu karna, kisi sunnat ko chood dena.

SAWAAL:  Kin cheezo se Wuzu toot jaata hai ?

JAWAAB:  Paakhana ya peshaab karna, Paakhana peshaab ke raaste se kisi aur cheez ka nikalna, paakhana ke raaste se hawa ka nikal jaana, Badan ke kisi muqaam se khoon ya peep nikal kar aise jagah behna ki jiska Wuzu ya Gusl me dhona farz hai, Khaana paani ya safra ki muh bhar khai aana, iss tarah soo jaana ki jism ke jood dheele padh jaaye, Behosh hona junoon hona, Gashi hona, Kisi cheez ka itna nasha hona ki chalne me paawon ladkhadaye, Ruku aur sajde waali namaaz me itni jor se hasna ki aas paas waale sune, Dukhti aankh se aasoon behna, Inn tamaam baaton se Wuzu toot jaata hai.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment