Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki Lyrics
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Allah Ki Raza Hai Mohabbat Husain Ki
Likhta Hu.N Khoon-E-Dil Se Shahaadat Husain Ki
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Jab Karbala Me.N Aae Dulaare Batool Ke
Sher-E-Khuda Ke Laa’l, Nawaase Rasool Ke
Chaaro.N Taraf Se Gher Liya Fauj-E-Shaam Ne
Ye Zulm Sayyido.N Pe Kiya Fauj-E-Shaam Ne
Ik Zakhm Dil Pe Aur Bhi Gehra Laga Diya
Dariya Pe Bhi La’eeno.N Ne Pehra Laga Diya
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Zainab Ne Jab Nigaaho.N Se Dekha Ye Maajra
Aa Kar Husain Se, Bhayya ! Suno Zara
Karti Hu.N Is Gareebi Me.N Ik Aakhiri Sawaal
Khidmat Me.N Le Ke Aai Hu.N Mai.N Apne Dono.N Laa’l
Maana Ki Ye Tumhaari Bahan Ka Qaraar Hai.N
Pyaare Husain ! Tujh Pe Ye Bachche Nisaar Hai.N
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Zainab Ki Baat Sun Ke Shah-E-Deen Ro Diye
Jaise Kisi Ne Rooh Me.N Nashtar Chubho Diye
Farmaaya, Jaao Ran Ki Ijaazat Bhi Ham Ne Di
In Ko Shaheed Hone Ki ‘Izzat Bhi Ham Ne Di
Zainab ! Tumhaare Laadle Khoo.N Me.N Nahaaenge
Ye Laa’l Ham Se Pehle Hi Jannat Me.N Jaaenge
Shabbir Itna Keh Ke Pareshaan Ho Gae
‘Aun-O-Muhammad Aap Pe Qurbaan Ho Gae
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Asgar ‘Ali Bhi Raahi-E-Baag-E-Iram Hue
‘Abbaas Ke Bhi Nahar Pe Baazu Qalam Hue
Qaasim Ka Seena Chhid Gaya, Akbar Hue Shaheed
Raah-E-Khuda Me.N Sab Hi Dilaawar Hue Shaheed
Zahra Ka Sabr Chhin Gaya, Haidar Ka Ghar Luta
Afsos ! Karbala Me.N Payambar Ka Ghar Luta
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ik Dard Se Imaam Ka Chehra Udaas Hai
Mehsoos Ho Raha Hai Ki Kaa’ba Udaas Hai
Bachcho.N Ka Dukh Hai Seene Me.N Fikr-E-Haram Bhi Hai
Aur Us Ke Saath Naana Ki Ummat Ka Gam Bhi Hai
Sher-E-Khuda Ke Sher Ki Haalat ‘Azeeb Hai
Wo Khoob Jaante Hai.N Shahaadat Qareeb Hai
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Beemaar Naunihaal Ko Bistar Pe Chho.D Kar
Shabbir Ran Me.N Chal Diye Gho.De Ko Mo.D Kar
Seene Me.N Apne Jazba-E-Imaa.N Liye Hue
Nikle Hai.N Lab Pe Aayat-E-Qur.Aa.N Liye Hue
Zee-Jaah Rahi ‘Azeez Na Raahat ‘Azeez Thi
Un Ko To Karbala Me.N Shahaadat ‘Azeez Thi
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Dariya Baha Jo Fauj Ka Pyaase Ko Dekh Kar
Sab Kaanp Uthe Nabi Ke Nawaase Ko Dekh Kar
Teero.N Ka Menh Barasne Laga Shaah-E-Deen Par
Khoon-E-Husain Girne Laga Jab Zameen Par
Us Khoo.N Ko Farishto.N Ne Daaman Me.N Le Liya
Ik Boond Ko Bhi Ret Pe Girne Nahi.N Diya
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Zakhmo.N Se Choor Ho Gaya Jo Murtaza Ka Laa’l
Sajde Me.N Sar Jhuka Ke Kaha, Rabb-E-Zuljalaal !
Tego.N Ke Saae Me.N Mera Sajda Qubool Kar
Ye Aakhiri Namaaz Hai, Maula ! Qubool Kar
Is Tarah Poora Ho Gaya Taqdeer Ka Likha
Sookhe Gale Pe Chal Gaua Khanjar La’een Ka
Ummat Ko Yu.N Bachaaya Shah-E-Be-Misaal Ne
Sajde Me.N Sar Kata Diya Zahra Ke Laa’l Ne
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
Ya Husain Ibn-E-‘Ali ! Ya Husain Ibn-E-‘Ali !
- Zameen Falak Maho Akhtar Hussain Wale Hai Naat Lyrics
- Ye Bil Yaqeen Hussain Hai Nabi Ka Noor-e-Ain Hai Lyrics
- Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki Lyrics
- Hussain Ja Rahen Hai Laash e Akbar Par Ya Ali Noha Lyrics
- Shaheed e Karbala Hussain Noha Lyrics
- Ghame Hussain hamesha naya nazar aaya Lyrics
- Pukari Laash pe Zehrra Mere Hussain Hussain Noha Lyrics
- Husain Ke Naame Pak Per Aaj Noori Mela Jo Saj Gaya Hai Lyrics
- GALI GALI HUSSAIN HAIN LYRICS
- हुसैन आज सर को कटाने चले हैं
- Qurbani PDF Book Download
- Karbala Ki Hai Yaad Aai Lyrics
- kabhi le chalo mujhe karbala lyrics
- Kya Deen E Mustafa Ko Jagaya Hussain Ne Lyrics
- Kadi Wich Khaab Dey Howey Nazarah Ya Rasulullah Lyrics
- Biography of Akhtar Raza Khan Inspirational History
- 12-Months-Taqreer
- Haqq ki sada ho haqq ka elan ho yaa husaain lyrics
- AA PALAT AA AY HUSSAIN LYRICS
- imam hussain ke kitne bete the
- Tera Zarra Mahe Kaamil Hai Ya Ghous Manqabat Sharif Lyrics
- Aastan Hai Ye Kis Shah E Zeeshan Ka Marhaba Marhaba Lyrics
- Assalam Ya Hussain Lyrics | Full Salam Lyrics
- Hazaro Me 72 Tan The Tasleemo Raza Waale Lyrics
- Meri Ulfat Madine Se Yun Nahi Lyrics
- Sayyad Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye Hai Lyrics ccc
- Mera Imaan Ali Hai Lyrics
- Chal Jannat Mein Aaram Karen Hindi | चल जन्नत में आराम करें
- Hussain Lajawab Hai Lyrics
- hadis of the day
- AI SHAM E GHARIBAN LYRICS
- Rasoolullah Ke Karimana Adab e Zindagi PDF Free Download
- Rahbar Ilm e Hadees PDF Free Download
- Sayyidina Hussain Bin Ali Shakhsiyat Aur Karnamay pdf free download
- Nabi e Kareem Ke Lail o Nahar Urdu PDF Book
- Dajjal Aur Qayamat Ki Nishaniyan pdf book download
- Shahadat e Hussain pdf book download
- Ahkamat o Mamnuat download book for free pdf
- Hazrat Hassan Aur Hazrat Hussain Ke 100 Qissay download any book for free pdf
- Iqbal Ki Ibtedai Zindagi PDF Book
- Islami Hakoomat Main Aqliyatain PDF Book
- Fatima Ka Ladla Jo Ali Ke Ghar Pala Lyrics
- Alam hatho’n me shabbiri uthane ki zaroorat hai Lyrics
- 51 Best Urdu Naat of All Time New Naat Lyrics 2023
- Qari Waheed Zafar Qasmi Naat Lyrics
- Rehai Qaid Se Noha Lyrics
- Bolay Sara Jahan Hussain Ya Hussaina lyrics
- Ya Ghazi Lyrics
- Huriya Rafeeq Naat Lyrics
- Ay Mustafa Ke Phool Dilo Jaan Ya Hussain Lyrics In Hindi
- Muharram Naat Lyrics
- Surah Yaseen Read Online – Sura Yasin PDF – Yasin Sharif Arabic, English, Urdu
- jadon ali ali vird pukaaran te mushkil tal jaandi lyrics
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
अल्लाह की रज़ा है मोहब्बत हुसैन की
लिखता हूँ ख़ून-ए-दिल से शहादत हुसैन की
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
जब कर्बला में आए दुलारे बतूल के
शेर-ए-ख़ुदा के ला’ल, नवासे रसूल के
चारों-तरफ़ से घेर लिया फ़ौज-ए-शाम ने
ये ज़ुल्म सय्यिदों पे किया फ़ौज-ए-शाम ने
इक ज़ख़्म दिल पे और भी गहरा लगा दिया
दरिया पे भी ल’ईनों ने पहरा लगा दिया
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
ज़ैनब ने जब निगाहों से देखा ये माजरा
आ कर कहा हुसैन से, भय्या ! सुनो ज़रा
करती हूँ इस ग़रीबी में इक आख़िरी सवाल
ख़िदमत में ले के आई हूँ मैं अपने दोनों ला’ल
माना कि ये तुम्हारी बहन का क़रार हैं
प्यारे हुसैन ! तुझ पे ये बच्चे निसार हैं
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
ज़ैनब की बात सुन के शह-ए-दीन रो दिए
जैसे किसी ने रूह में नश्तर चुभो दिए
फ़रमाया, जाओ रन की इजाज़त भी हम ने दी
इन को शहीद होने की ‘इज़्ज़त भी हम ने दी
ज़ैनब ! तुम्हारे लाडले ख़ूँ में नहाएँगे
ये ला’ल हम से पहले ही जन्नत में जाएँगे
शब्बीर इतना कह के परेशान हो गए
‘औन-ओ-मुहम्मद आप पे क़ुर्बान हो गए
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
असग़र ‘अली भी राही-ए-बाग़-ए-इरम हुए
‘अब्बास के भी नहर पे बाज़ू क़लम हुए
क़ासिम का सीना छिद गया, अकबर हुए शहीद
राह-ए-ख़ुदा में सब ही दिलावर हुए शहीद
ज़हरा का सब्र छिन गया, हैदर का घर लुटा
अफ़सोस ! कर्बला में पयंबर का घर लुटा
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
इक दर्द से इमाम का चेहरा उदास है
महसूस हो रहा है कि का’बा उदास है
बच्चों का दुख है सीने में, फ़िक्र-ए-हरम भी है
और उस के साथ नाना कि उम्मत का ग़म भी है
शेर-ए-ख़ुदा के शेर की हालत ‘अजीब है
वो ख़ूब जानते हैं शहादत क़रीब है
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
बीमार नौनिहाल को बिस्तर पे छोड़ कर
शब्बीर रन में चल दिए घोड़े को मोड़ कर
सीने में अपने जज़्बा-ए-ईमाँ लिए हुए
निकले हैं लब पे आयत-ए-क़ुरआँ लिए हुए
ज़ी-जाह रही ‘अज़ीज़ न राहत ‘अज़ीज़ थी
उन को तो कर्बला में शहादत ‘अज़ीज़ थी
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
दरिया बहा जो फ़ौज का प्यासे को देख कर
सब काँप उठे नबी के नवासे को देख कर
तीरों का मेंह बरसने लगा शाह-ए-दीन पर
ख़ून-ए-हुसैन गिरने लगा जब ज़मीन पर
उस ख़ूँ को फ़रिस्तों ने दामन में ले लिया
इक बूँद को भी रेत पे गिरने नहीं दिया
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
ज़ख़्मों से चूर हो गया जो मुर्तज़ा का ला’ल
सज्दे में सर झुका के कहा, रब्ब-ए-ज़ुलजलाल !
तेग़ों के साए में मेरा सज्दा क़ुबूल कर
ये आख़िरी नमाज़ है, मौला ! क़ुबूल कर
इस तरह पूरा हो गया तक़दीर का लिखा
सूखे गले पे चल गया ख़ंजर ल’ईन का
उम्मत को यूँ बचाया शह-ए-बे-मिसाल ने
सज्दे में सर कटा दिया ज़हरा के ला’ल ने
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! या हुसैन इब्न-ए-‘अली !
ना’त-ख़्वाँ:
यूसुफ़ आज़ाद क़व्वाल
बिलाल क़ादरी मूसानी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी