Alam hatho’n me shabbiri uthane ki zaroorat hai Lyrics
Tgaful ke sabhi khirman jalaane ki zaroorat hai
hame soyee hui ummat jagane ki zaroorat hai
abaabeelo ka lashkar ab na aayega musalmaano !
tumhe khud apne kaaba ko bachaane ki zaroorat hai
hamaraa qibla e awwal bhi azaadi se chamkega
jaha’n ko zauk e ayyubi dikhane ki zaroorat hai
lahoo se baa wuzoo hokar azaane ishq dena hai
musalla zer e khanjar fir bichhaane ki zaroorat hai
hame shaq ki nigaaho’n se zamana dekhta kyo hai ?
haqiqat kya hai duniya ko batane ki zaroorat hai
har ik jaanib jo apas me lagi hai aag nafrat ki
use aab e mohabbat se bujhane ki zaroorat hai
tanaffur ka dhuwa’n insaniyat ki jaan le lega
taa’assub ke charaago ko bujhane ki zaroorat hai
basirat me’n wo kuwat ho ki murda dil munavvar ho
basaarat ko junaidi may pilane ki zaroorat hai
jo dushman hai hamaare khud hamara deen mane’nge
hame aslaaf ka lahja banane ki zaroorat hai
kai karbal ki aamad hai yazeedi shorishe’n har soo
alam hatho,n me shabbiri uthane ki zaroorat hai
khamoshi zulm par ho to madad zalim ki hai fayyaz
jahaa’n tak dam ho’n awaaze’n uthane ki zaroorat hai