AI SHAM E GHARIBAN LYRICS
Jab Karbala Ki Shaam Mei Koyi Nahi Raha, Ai Shaam-E-Gharibaan
Mazloom-E-Karbala Ka Sar Tan Se Tha Juda Ai Shaam-E- Gharibaan
Khaak Urh Rahi Thi Khaymo Mei, Zainab Thi Berida Ai Shaam-E-Gharibaan
Rone Ki Pit Ne Ki Aati Rahi Sadaa Ai Shaam-E-Gharibaan
(Ai Shaam-E-Gharibaan) X6
- (Haay Fatema Zahra Ka Bharaa Ghar Ujar Gaya) X2
(Pyaase Tarap Rahe The Darya Karib Tha) X2
Khaymo Se Aag Bhar Ki To Ek Shor Sa Utha
(Ai Shaam-E-Gharibaan) X4 - (Haay Karbala Ki Shaam Ka Manzar Ajib Tha) X2
(Ran Me Pare Thay Bikhre Haay Laash Jabajaa(N)) X2
Ro Roke Kehrathi Ye Khaak-E-Karbala Ai Shaam-E- Ghariba
(Ai Shaam-E-Gharibaan) X4 - (Khaymo Mai Ashkiya Hai Charaaga Kiye Huwe) X2
(Wo Fatema Ke Dar Ko Hai Veera(N) Kiye Huwe) X2
Sibte Rasool Paak Ka Khayma Jalaa Huwa
(Ai Shaam-E-Gharibaan) X4 - (Koyi Nahi Jo Zainab-E-Muztar Ka Saath De) X2
(Pyaase Yateem Bacho Ke Koi Sar Pe Haath De) X2
Har Simt Aa Rahi Thi Al-Atash Ki Eik Sadaa
(Ai Shaam-E- Ghariba) X4 - (Karbobala Mei Lut Gayi Nana Duhayi Hai) X2
(Be Gor-O-Kafan Ran Me Mera Pyaara Bhaayi Hai) X2
Haay Dasht Nainawaa Mai Zainab Ne Ye Kahaa
(Ai Shaam-E-Gharibaan) X4 - (Sajjad Gham Ye Bhulna Paayenga Umr Bhar) X2
(Sayyedaniyo(N) Ke Sog Manayenga Umr Bhar) X2
Aankho Se Ashk Khu(N) Ke Bahayenege Ab Sadaa
(Ai Shaam-E-Gharibaan) X4 - (“Mesum” Ye Kaisi Shaam Karbal Mei Aayi Hai) X2
(“Irfan” Roke De Rahi Zainab Duhaayi Hai) X2
Pyaasa Gala Hussain Ka Khanjar Se Kat Gaya
(Ai Shaam-E-Gharibaan) X4
Pakistani Urdu Noha Information:
Nawha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2008 Volume