AA PALAT AA AY HUSSAIN LYRICS

AA PALAT AA AY HUSSAIN LYRICS

 

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X2
Tujhse Raazi Hai Khuda Aa Palat Aa Ay Hussain

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X2

  1. Asr-E- Ashur Ka Hangaam Qayamat Ka Samaa
    Dhoop Mein Jalti Hui Reth Se Uthta Hai Dhuan
    Bhuk Aur Pyaas Ka Maara Hai Har Ek Peer-O-Jawan
    Shiddat-E-Pyaas Se Hai Tadkhi Hui Teri Zubaan
    Qushk Hai Tera Galaa Aa Palat Aa Ay Hussain

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X2

  1. Tera Har Ek Amal Nek Hai Tabinda Hai
    Muarika Huq Ke Liye Tera Ye Painda Hai
    Sabr-E-Ayub Terey Sabr Se Sharminda Hai
    Qatl Jo Huq Ke Liye Hogaya Vo Zinda Hai
    Terey Huq Mein Hai Baqaa Aa Palat Aa Ay Hussain

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X2

  1. Tune Islaam Ko Akbar Ki Jawani De Di
    Thi Jo Nana Ki Nishaani Vo Nishani De Di
    Nutq Eimaan Ko Ashkon Ko Ravani De Di
    Qatm Jo Ho Naa Sakegi Vo Kahaani De Di
    Naam Uncha Hai Tera Aa Palat Aa Ay Hussai

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X2

  1. Subh-O-Se Tune Kaen Laashe Uthaye Hai Hussain
    Zakhm Par Zakhm Har Ek Gaam Pa Khaye Hai Hussain
    Dushman-E-Deen Bohut Tujhko Satae Hai Hussain
    Khanjaro Tegh-O-Sinaa Tujh Pa Chalae Hai Hussain
    Tune Har Zulm Sahaa Aa Palat Aa Ay Hussain

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X2

  1. Laash-E-Qasim Ke Rakhe Tukde Abaa Mein Tuney
    Wakf Ki Apni Zubaan Humdosana Mein Tuney
    Ghar Kiya Apna Fida Rahe Khudaa Mein Tuney
    Zulm Kya Kya Na Sahe Karbobala Mein Tuney
    Kar Diya Waada Wafaa Aa Palat Aa Ay Hussain

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X2

  1. Hogaya Qatm Har Ek Nasir-O-Yaawar Tera
    Tera Qasim Hai Na Ab Hai Ali Akbar Tera
    Aun Hai Aur Na Mohammad Hai Na Asghar Tera
    Sogaya Nehr Pa Abbas-E-Dilawar Tera
    Tu Akela Hai Khada Aa Palat Aa Ay Hussain

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X2

7.Aa Merey Paas Mohammad Ke Nawase Aaja
Ay Merey Teen Shabo Roz Ke Pyaase Aaja
Jaanib-E-Arshe Bareen Karbobala Se Aaja
Ab To Milne Ke Liye Apne Khuda Se Aaja
Mera Sab Kuch Hai Tera Aa Palat Aa Ay Hussain

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X2

  1. Tera Noha Terey Akhtar Ne Likha Hai Shabbir
    Terey Irfan Ne Noha Ye Padha Hai Shabbir
    Majlis-E-Gha Mein Ajab Hashr Bapaa Hai Shabbir
    Ye Bhi Ek Tera Karam Teri Aata Hai Shabbir
    Deke Ummat Ko Dua Aa Palaty Aa Ay Hussain

Ghaaib Se Aayi Sadaa Aa Palat Aa Ay Hussain X3

Noha Information:
Nauha Artist: Irfan Hussain
Nawha Album: Irfan Hussain – 2008

Sharing Is Caring:

Leave a Comment