Haqq Ki Sada Ho Haqq Ka Ho Elan Ya Hussain || Barkate Raza


Imam E Aali Maqam Hazrat Imam Hussain Alaihis Salam Ki Shaan E Mubarak Aur Azmat E Karbala Par Mabni Yeh Manqabat Ka Purnoor Kalam Hai. Is Kalam Mein Deen E Islam Ki Sarbulandi Aur Imam Hussain Ke Azeem Isar O Qurbani Ka Khubsoorat Bayan Pesh Kiya Gaya Hai. Teeno Zabanon Mein Yeh Kalam Niche Mulahiza Farmaen.

Naat InformationDetails
Naat TitleHaqq Ki Sada Ho Haqq Ka Ho Elan Ya Hussain
Poet / WriterFayyaz
CategoryManqabat E Imam Hussain
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Haqq Ki Sada Ho Haqq Ka Ho Elan Ya Hussain Lyrics In Roman

Haqq Ki Sada Ho Haqq Ka Ho Elan Ya Hussain
Baatil Ki Kashtiyon Pe Ho Toofan Ya Hussain

Ye Aapki Hi Shaan Hai Warna Jahaan Mein
Padhta Hai Kaun Neze Pe Quraan Ya Hussain

Har Harf Jisqa Khoone Wafa Se Hai Tar Batar
Karbal Mein Tumne Likha Wo Deewan Ya Hussain

Jo Tayyabo Khabees Mein Karta Hai Imtiyaaz
Haqqaaniyat Ka Aisa Hi Meazaan Ya Hussain

Naana Nabi Ho Baaba Ali Maa Ho Fatima
Itni Baland Kisi Ki Kahan Shaan Ya Hussain

Ulfat Tumhari Khulde Baree Tak Dilaye Gi
Fayyaz Ka Hai Aap-Pe Ikaan Ya Hussain

Haqq Ki Sada Ho Haqq Ka Ho Elan Ya Hussain Lyrics In Hindi

हक़ की सदा हो हक़ का हो ऐलान या हुसैन
बातिल की कश्तियों पे हो तूफान या हुसैन

ये आपकी ही शान है वरना जहान में
पढ़ता है कौन नेज़े पे क़ुरआन या हुसैन

हर हर्फ़ जिसका ख़ूने वफ़ा से है तर बतर
करबल में तुमने लिखा वो दीवान या हुसैन

जो तय्यबो ख़बीस में करता है इम्तियाज़
हक़्क़ानियत का ऐसा ही मीज़ान या हुसैन

नाना नबी हो बाबा अली मां हो फातिमा
इतनी बलंद किसी की कहां शान या हुसैन

उल्फ़त तुम्हारी खुलदे बरी तक दिलायेगी
फ़य्याज़ का है आपपे ईकान या हुसैन

Haqq Ki Sada Ho Haqq Ka Ho Elan Ya Hussain Lyrics In Urdu

حق کی صدا ہو حق کا ہو اعلان یا حسین
باطل کی کشتیوں پہ ہو طوفان یا حسین

یہ آپ کی ہی شان ہے ورنہ جہان میں
پڑھتا ہے کون نیزے پہ قرآن یا حسین

ہر حرف جس کا خونِ وفا سے ہے تر بتر
کربل میں تم نے لکھا وہ دیوان یا حسین

جو طیب و خبیث میں کرتا ہے امتیاز
حقانیت کا ایسا ہی میزان یا حسین

نانا نبی ہو بابا علی ماں ہو فاطمہ
اتنی بلند کسی کی کہاں شان یا حسین

الفات تمہاری خلدِ بریں تک دلائے گی
فیاض کا ہے آپ پہ ایقان یا حسین

Leave a Comment