Fayyaz Misbahi Sahib Ka Likhah Gaya Yeh Behad Khubsoorat Kalam Jashn E Miladunnabi Ki Mubarak Aamad Aur Noorani Khushi Par Mabni Hai. Is Naat E Pak Mein Huzoor Ki Wiladat E Ba Sa’adat Aur Rahmat E Elahi Ka Intehai Dilkash Bayan Hai. Teeno Zabanon Mein Yeh Kalam Niche Mulahiza Farmaen.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Har Taraf Anwaar Chhaye Aapka Meelad Hai |
| Poet / Writer | Fayyaz Misbahi |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Har Taraf Anwaar Chhaye Aapka Meelad Hai Lyrics In Roman
Har Taraf Anwaar Chhaye Aapka Meelad Hai
Hoor O Ghilman Farsh Aaye Aapka Meelad Hai
Bekason Aur Bebason Ko Ek Masiha Mil Gaya
Gham Ke Maare Muskuraen Aapka Meelad Hai
Jashn Ka Jhanda Lagane Kaaba E Rehman Par
Hazrat E Jibril Aayen Aapka Meelad Hai
“La Ila” Ka Chand Nikla Noor E Imaan Mil Gaya
Kufr Ne Chehre Chhupaye Aapka Meelad Hai
Apne Pyare Ki Wiladat Par Mere Allah Ne
Faiz Ke Dariya Bahaye Aapka Meelad Hai
Deejiye Fayyaz Ko Bhi Sadqa E Aamad Huzoor
Dil Mohabbat Mein Nahaye Aapka Meelad Hai
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Rahbar Ki Aamad Marhaba, Madani Ki Aamad Marhaba
Har Taraf Anwaar Chhaye Aapka Meelad Hai Lyrics In Hindi
हर तरफ अनवार छाये आपका मीलाद है
हूरो गिल्मां फर्श आये आपका मिलाद है
बेकसों और बेबसों को एक मसीहा मिल गया
ग़म के मारे मुस्कुराएँ आपका मिलाद है
जश्न का झंडा लगाने काबा ए रहमान पर
हज़रते जिब्रील आयें आपका मिलाद है
“ला इला” का चाँद निकला नूरे इमां मिल गया
कुफ्र ने चेहरे छुपाये आपका मिलाद है
अपने प्यारे कि विलादत पर मेरे अल्लाह ने
फैज़ के दरिया बहाए आपका मिलाद है
दीजिये फ़य्याज़ को भी सदक़ा ए आमद हुज़ूर
दिल मोहब्बत में नहाये आपका मिलाद है
सरकार की आमद मरहबा, आक़ा की आमद मरहबा
रहबर की आमद मरहबा, मदनी की आमद मरहबा
Har Taraf Anwaar Chhaye Aapka Meelad Hai Lyrics In Urdu
ہر طرف انوار چھائے آپ کا میلاد ہے
حور و غلماں فرش آئے آپ کا میلاد ہے
بے کسوں اور بے بسوں کو ایک مسیحا مل گیا
غم کے مارے مسکرائیں آپ کا میلاد ہے
جشن کا جھنڈا لگانے کعبہٴ رحمٰن پر
حضرتِ جبریل آئیں آپ کا میلاد ہے
“لا الہ” کا چاند نکلا نورِ ایماں مل گیا
کفر نے چہرے چھپائے آپ کا میلاد ہے
اپنے پیارے کی ولادت پر میرے اللہ نے
فیض کے دریا بہائے آپ کا میلاد ہے
دیجیے فیاض کو بھی صدقہٴ آمد حضور
دل محبت میں نہائے آپ کا میلاد ہے
سرکار کی آمد مرحبا، آقا کی آمد مرحبا
رہبر کی آمد مرحبا، مدنی کی آمد مرحبا