Chishti Rang Qawwali Lyrics
Ye Chishti Rang, Rang-Rang
Ye Chishti Rang, Rang-Rang
Chhupa Hai Pyar Isme To Ahad Ka Aur Ahmad Ka
Ye Wo Rang Hai Ke Jisme Aks Hai Pyare Muhammad Ka
Ye Chishti Rang, Rang-Rang
Ye Chishti Rang, Rang-Rang
Kishi Shadaad Ki Jannat Na Karooni Khazane Se
Mila Duniya Ko Sarkar-E-Do Aalam Ke Gharane Se
Ye Chishti Rang, Rang-Rang
Ye Chishti Rang, Rang-Rang
Mujhe Dekh Zamana Ho Gaya Dang
Ye Jhoom Ke Bole Mast Malang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Hai Chishti Rang Ki Shaan Ajab
Isi Rang Ke Hain Shaidayi Sab
Isi Rang Me Jo Rang Jayega
Allah Ki Rahmat Payega
Ye Sach Hai Badaulat Khwaja Ki
Iman Ki Daulat Hamko Mili
Hain Khwaja Mera An Gang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Ali-E-Murtaza Mushkil Kusha Ka Rang Hai Isme
Muhammad Mustafa Salla Ala Ka Rang Hai Isme
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Hazrat-E-Waris Ali Ki Ye Inayat Ho Gayi
Khwaja Qutubudeen Ki Aisi Karamat Ho Gayi
Sabir-E-Kaliyar Ka Mujh Pe Ho Gaya Aisa Karam
Khwaja -E-Ajmer Se Mujhko Mohabbat Ho Gayi
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Dekh Zamana Ho Gaya Dang
Ye Jhoom Ke Bole Mast Malang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mere Khwaja Hai Darbar Aalishan Kya Kahna
Bichha Rakkha Hai Rahmat Ka Wo Dastarkhwan Kya Kahna
Mohabbat Ka Nazar Aayega Ye Ajmer Me Manzar
Ye Hi Kahte Milenge Chishtiya Mehman Kya Kahna
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Taiba Ke Phool Jaisa Tan Man Mahak Raha Hai
Meri Jabi Pe Noor-E-Iman Chamak Raha Hai
Mera Hi Tazkira Hai Hoor-O-Malak Me Shayad
Hairat Se Ye Zamana Mujhko Hi Tak Raha Hai
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Dekh Zamana Ho Gaya Dang
Ye Jhoom Ke Bole Mast Malang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Khwaja Ka Mai Diwana Jis Din Se Ho Gya Hun
Us Din Se Ho Gaya Hai Kirdaar Saaf Mera
Wallah Koi Dekhe Khwaja Ki Ye Inayat
Qaaba Bhi Kar Rha Hai Aakar Tawaaf Mera
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Jazakallah Aaya Hai Muhammad Ke Safina Se
Qadam Usne Rakha Bharat Me Islami Qareena Se
Karmat Sabse Pahli Ye Sanam Khaane Me Dikhlayi
Connection Yun Kiya Bharat Ka Makka Se Madina Se
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Maki Bhi Naaz Karte Hai Makan Bhi Naaz Karta Hai
Zami To Ye Zami Hai Aasma Bhi Naaz Karta Hai
Main Ik Chhota Sa Khitta Hun Mujhe Ajmer Kahte Hain
Muqaddar Pe Mere Hindosta Bhi Naaz Karta Hai
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Dekh Zamana Ho Gaya Dang
Ye Jhoom Ke Bole Mast Malang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Wo Jaadugar Tha Aur Jaadugari Pe Naaz Karta Tha
Jo Apne Fan Ki Jannat Bada Hi Mast Rahta Tha
Koi Jaadu Bhi Khwaja Ke Muqabil Kaam Aaya To
Gir Qadmon Pe Aur Gir Kar Yehi Jaipal Kahta Tha
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang
Rahega Isse Kamtar Koi Aisa Ho Nahin Sakta
Koi Bhi Rang Ho Isse To Achha Ho Nahin Sakta
Zamana Lakh Apne Taur Pe Dhoya Kare Isko
Kisi Bhi Haal Me Ye Rang Feeka Ho Nahin Sakta
Mujhe Char Gaya Chishti Rang Rang