Aisa Lagta Hai Ajmer Aa Kar Ham Madine Meiñ Aaye Hue Haiñ Lyrics

 

 

 

Jise Khwaja Bulaate Haiñ Wohi Ajmer Aata Hai
Dar-e Khwaja Se Apni Jholiyañ Bhar Bhar Ke Laata Hai.

 

Pahuñchta Hai Dar-e Khwaja Pe Jo Taqdeer Ka Maara
Use Taskeen Milti Hai Muqaddar Jaagta Hai

 

Khwaja… Mere Khwaja..
Khwaja… Mere Khwaja..

Rahmateñ Aa Gayeeñ Haiñ Wahiñ Se
Ham Pe Waliyoñ Ke Saaye Hue Haiñ,

Aisa Lagta Hai Ajmer Aa Kar
Ham Madine Meiñ Aaye Hue Haiñ

 

Khwaja… Mere Khwaja..
Khwaja… Mere Khwaja..

Khwaja Ajmer Ke Aastañ Par
Noor Ki Baariseñ Ho Rahiñ Haiñ,

Aisa Mahsoos Hota Hai Jaise
Aaqa Tashreef Laaye Hue Haiñ.

 

Khwaja… Mere Khwaja..
Khwaja… Mere Khwaja..

Ranjo Gham khwaja Dil Ke Mita Do
Bigdi Qismat Ko Khwaja Bana Do

Waasta Hai Tumheñ PanjTan Ka
Ham Jahañ Ke Sataaye Hue Haiñ

 

Khwaja… Mere Khwaja..
Khwaja… Mere Khwaja..

Tum Ho Maula Ali Ki Nishaani
Hai Husaini Gharana Tumhara

Laaj Rah Jaaye Sabir Ki Khwaja
Haath Ham Bhi Uthaaye Hue Haiñ

 

Khwaja… Mere Khwaja..
Khwaja… Mere Khwaja..

Hai Chhati Aaj Khwaja Piya Ki
Ham Daaman Phailaye Hur Haiñ
Maañgne Sadqa Maula Ali Ka
Mañgte Ajmer Aaye Hue Haiñ

 

Aisa Lagta Hai Ajmer Aa Kar,
Ham Madine Meiñ Aaye Hue Haiñ ..

Aisa Lagta Hai Ajmer Aa Kar,
Ham Madine Meiñ Aaye Hue Haiñ ..

Aisa Lagta Hai Ajmer Aa Kar,
Ham Madine Meiñ Aaye Hue Haiñ ..

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: