Nibha Lo Tum Nibha Lo Lo Tum Nibha Lo Lo Ya Rasool Allah Lyrics
Nibha Lo Tum Nibha Lo Tum Nibha Lo Ya Rasoolallah !
Bula Lo Ab Madine Men Bula Lo Ya Rasoolallah !
Sataate Hain Jo Duniya Waale Is Ka Kuchh Nahin Hai Gam
Mujhe Bas Apna Keh Kar Tum Bula Lo Ya Rasoolallah !
Sunahri Jaaliyon Ke Saamne Pahuncha Hun Main Aaqa !
Mujhe Apni Ziyaarat Bhi Kara Do Ya Rasoolallah !
Meri Qismat Buri Ho To Khuda-Ra Tum Bhali Kar Do
Sanwaaro Meri Qismat Ko Sanwaaro Ya Rasoolallah !
‘Ata Ho ‘Ilm Ki Daulat ‘Ata Ho Deed Ki Daulat
Dam-E-Aakhir Madina Bhi ‘Ata Ho Ya Rasoolallah !
Shafaa’at Ka Sawaali Hun Sawaali Hun Main Rehmat Ka
Ijaabat Se Nawaazo Tum Nawaazo Ya Rasoolallah !
Mu’een-E-Raah-E-Tayba Hain Mere Khwaaja Mu’eenuddin
Mu’een-E-Raah-E-Jannat Bhi Bana Do Ya Rasoolallah !
Tasadduq Gaus-E-Aa’zam Ka Tawassul Aa’la Hazrat Ka
Baqi’-E-Paak Ke Qaabil Bana Do Ya Rasoolallah !
Nigaah-E-Mufti-E-Aa’zam Ne Zinda Kar Diya Dil Ko
Unhin Ka Saath Mehshar Men ‘Ata Ho Ya Rasoolallah !
Tamanna Ye Liye Jaata Hai Aaqa ! Shakir-E-Razvi
Ise Izn-E-Madina Phir ‘Ata Ho Ya Rasoolallah !
Hai Sitamgar Zamana Pareshan Hun Main Lyrics
NABI KE SHEHAR MEIN JAUN NAAT LYRICS
Aankhon Ka Tara Naam E Muhammad Lyrics in Urdu
Aankhen Purnoor Karu Dekh Ke Chehra Unka Lyrics in Urdu
Aane Walo Yeh To Batao Lyrics in Urdu
Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman Lyrics in Urdu
Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun Lyrics in Urdu
Aaqa Ko Pukar Bande Aaqa Ko Pukar Lyrics in Urdu
Aaj Muhammad Aye Moray Ghar Lyrics in Urdu
Aaj Ashk Mere Naat Sunain To Ajab Kya Lyrics in Urdu
AAJ MUSLIM TERA MEHMAN CHAL DIYA LYRICS IN URDU
Aaqa Ke Gulamon Ko Ab Eid Manane Do Lyrics in Urdu
Aariz-e-shams-o-Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan Lyric in Urdu
Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye Lyrics in Urdu
Bheeni Suhani Subhu Me Dhandak Jigar Ki Hai Lyrics in Urdu
Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai Lyrics in Urdu
निभा लो तुम, निभा लो तुम, निभा लो, या रसूलल्लाह !
बुला लो अब मदीने में बुला लो, या रसूलल्लाह !
सताते हैं जो दुनिया वाले इस का कुछ नहीं है ग़म
मुझे बस अपना कह कर तुम बुला लो, या रसूलल्लाह !
सुनहरी जालियों के सामने पहुँचा हूँ मैं, आक़ा !
मुझे अपनी ज़ियारत भी करा दो, या रसूलल्लाह !
मेरी क़िस्मत बुरी हो तो ख़ुदा-रा तुम भली कर दो
सँवारो मेरी क़िस्मत को सँवारो, या रसूलल्लाह !
‘अता हो ‘इल्म की दौलत, ‘अता हो दीद की दौलत
दम-ए-आख़िर मदीना भी ‘अता हो, या रसूलल्लाह !
शफ़ा’अत का सवाली हूँ, सवाली हूँ मैं रहमत का
इजाबत से नवाज़ो तुम नवाज़ो, या रसूलल्लाह !
मु’ईन-ए-राह-ए-तयबा हैं मेरे ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन
मु’ईन-ए-राह-ए-जन्नत भी बना दो, या रसूलल्लाह !
तसद्दुक़ ग़ौस-ए-आ’ज़म का, तवस्सुल आ’ला हज़रत का
बक़ी’-ए-पाक के क़ाबिल बना दो, या रसूलल्लाह !
निगाह-ए-मुफ़्ती-ए-आ’ज़म ने ज़िंदा कर दिया दिल को
उन्हीं का साथ महशर में ‘अता हो, या रसूलल्लाह !
तमन्ना ये लिए जाता है, आक़ा ! शाकिर-ए-रज़वी
इसे इज़्न-ए-मदीना फिर ‘अता हो, या रसूलल्लाह !