Aqal Ne Aik Din Ye Dil Se Kaha Lyrics
Aqal-o-Dil
Reason And Heart
Aqal Ne Aik Din Ye Dil Se Kaha
Bhoole Bhatke Ki Rahnuma Hun Main
Hun Zameen Par, Guzr Falak Pe Mera
Dekh To Kis Qadar Rasa Hun Main
Kaam Dunya Mein Rahbari Hai Mera
Misl-e-Khizr-e-Khajasta Pa Hun Main
Hun Mufassir-e-Kitab-e-Hasti Ki
Mazhar-e-Shan-e-Kibriya Hun Main
Boond Ek Khoon Ki Hai Tu Lekin
Ghairat-e-Laal-e-Be Baha Hun Main
Dil Ne Sun Kar Kaha Ye Sub Sach Hai
Par Mujhe Bhi To Dekh, Kya Hun Main
Raaz-e-Hasti Ko Ti Samajhti Hai
Aur Ankhon Se Dekhta Hun Main!
Hai Tujhe Wasta Mazahir Se
Aur Batin Se Ashna Hun Main
Ilm Tujh Se To Maarifat Mujh Se
Tu Khuda Joo, Khuda Numa Hun Main
Ilm Ki Intiha Hai Betaabi
Iss Marz Ki Magar Dawa Hun Main
Shama Tu Mehfil-e-Sadaqat Ki
Husn Ki Bazm Ka Diya Hun Main
Tu Zaman-o-Makan Se Rishta Bapa
Taeer-e-Sidra Se Ashna Hun Main
Kis Bulandi Pe Hai Maqam Mera
Arsh Rab-e-Jaleel Ka Hun Main!